Showing 100- 110 questions from 110 questions on this page.
Question: salam. What if a 5yr old boy accidentally saw a young woman naked while bathing? Don`t know what he saw but still wanted to confirm what to do in such cases. And is it sinful in Islam if a mother changes her clothes in front of his son who is just 5yr old?
Answer:
According to Ehtiyat e Wjib its obligatory for a women to hide her self or her child girl to a child who is not Adult (Baligh) yet but he understand good and bad and ther is a chance that looking at a woman's body will awaken his desire..
If a child is younger than that, then there is no problem in such case..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 47th Edition, Masla No. 2398)
[Updated on 29-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bhai k haan 7 saal se aulad nai ha, aur wo buhat bechain rehta ha, kia sister apna hony wala bacha usy de sakti ha, parwarish k liye
Answer:
Adoption (Gaud lene) men aur us bache ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain.
Jise adopt kiya jaye agar wo larka hai to adopt karne wale mard ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke wohi ahkaam jaari honge jo kisi na-mehram ke liye hote hain.
(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 30-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia jawan beti ko baap bosa Dy skta ha ya nhi??
Answer:
baap baghair lazzat or haram me mubtila hone k khouf se apni beti ko bosa de skta hai..
Lekin agr zarra barabar bhi haram me mubtila hone ka khouf ya lazzat ka irada hai to beti ki janib daikna bhi jaiz nh hoga..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Mafhom e Masla No. 2401)
[Updated on 29-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا یتیم بچے کی ولدیت پر اپنا نام درج کروا سکتے
Answer:
Adoption (Gaud lene) men aur us bache ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. Jise adopt kiya jaye agar wo larki hai to adopt karne wale mard (yani aap ke shohar) ke liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke wohi ahkaam jaari honge jo kisi na-mehram ke liye hote hain.
(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 16-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager Biwi Shadi say pehlay Zina karlay or Uskay Shohar ko pata hal jaye tou shohar ko kiya karna chahiya? Shohar ko phone kiya jaye kay tumhari Biwi kay pait mai mera bacha hai or biwi Iqrar karlay lakin kahay kay bacha uska nahi tumhara yani Shohar ka hai is surat mai Shohar ko kiya karna chahiya?
Answer:
Agar shohar ne bhi hambistari ki thi tu is sorat main bache ko haram zada nahi samjha jaey. (Ref: tauzihul masael jaame, jild#4, maslah#363
[Updated on 14-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam janab Meri apse guzarish hai k mujhe koi aisa wazifa bta de jis se mujhe beta paida ho mujhe 2nd month hai apki meherbani hogi plzz plzzz Khuda hafiz
Answer:
Agar kisi ka baita (narina aulad) na ho to mian aur biwi aik din roza rakhain aur iftar ke waqt ghusl karain aik bar surah e muzzammil pani par parh kar pi lain inshallah beta ho ga.
(Ref: Kitab payam e shifa, pg #287).
[Updated on 27-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bati ager baap ko marey aur batamizi karey to baap ko kia karna chahye
Answer:
Aulad k lie zarori hai k waldain ka ehtram kre, un se bad tameezi se paish na ae..
Agar waldain kisi moqe pr ghalat bhi hon tb bhi wajib hai k ache andaz se unhe smjhaya jae or doran e guftugu unki awaza se awaz buland na ki jae, un se adab se baat kijae..
Jab waldain se badtamezi krna haram hai to unhein marna aziyat dena jaiz nh hai..
(Ref: Agha Sistani (d.b), Jadeed fiqhi masail, maslah # 347)
[Updated on 14-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a men bht pershan hun Mera Hamal hta ha zata ho jata ha 2 mAh Pura huna Sy Kuch din phly mujha Kya masla ha mujha tangu. Py bht Neal wagera party hen is ka ilaj btyaen Kya mujha athra ha
Answer:
1)Aulad k lie sohar aur biwi dono aik din roza rakhain aur iftaar ka waqt gusl karain phir aik baar surah muzammil paani per dum kar k pee lain inshallaha aulaad ho jaay gi.(Ref: Kitab payam e shifa pg#287)
2) Sheikh bahai farmatay hein jis aurat ko hamal na hota ho ye ayat haroof e mo’qat’aat likh kar aurat k pahlu me bandhein hamila ho jay gi. Sheikh bahai farmatay hein k me ne ye ayat 900 auratoon ko likh kar de sab hamila ho gi. surah e ra’ead ayat # 31 (wa lou an’na . . . . . . . .jamee’un) (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 283)
3) Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad na hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar Surah e Furqaan ki ayat no. 74 ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (Ref : Kitab naeem ul aamal pg #331).
[Updated on 05-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: zana se paida hone wale bachy ki kya hasiyat ho g?
Answer:
Zina se paida hone wale aulaad apne najaaiz mah or baap or qarebi rishtedaaro se meraas nahe pati or ye saare louq zina se paida hone wale se meraas nahe paate.
Zina se paida hone wale ke piche louq namaz jamaat nahe perh sate kyu ke imam jamat ka halaal zada hona zarori hay .or us ki taqleed nahe katsakte .
Zina se paida hone wala agar shadi kare or koi baccha paida ho tu wo halaal zaada hay
Na mehram ke sath hambistari karna zina kehlaye ga Aur zina karna haram aur gunahan e kabeera main sai hai. lihaza is se tauba karen. aur zina k zariye jo aulad ho gi wo haram zada ho gi.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, edition 1443 hij, Maslah #30,minhajussuleheen,aytullah sistani (d.b),part# 3,edition1443 hij maslah#978, tuizi masail,aqa sistani,pg no.225,masla:1434,2,2424).
[Updated on 09-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya larki k paidaish k baal kaatwana jaiz hai ya nh kyun k saudi mumalik mey aisa nh krte iska koi reference ho to wo b sath mey btaiyega
Answer:
No-molood (larka ho ya larki) ke sar ke baal saatwen din (7th day) modana jaiz hai balke mustahab bhi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #368).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]