Showing 500- 543 questions from 543 questions on this page.
Question: Asalam walikum mujhe pe koi musibat i aur maine jald bazi main bibi syeda ki kahani man li ke har mahine parugi jab tak zinda hoon lakin kabhi aisa hota hai banda bhul jata hai phr bad ahdi hoti hai plz jawab dein ke iska kaffara kia hoga agar kahni na parhu tu afatein ati hain buraiyan ati hai bht
Answer:
Ye nazar aur mannat sahi nahin hai Q ke jo bhi nazar ya mannat maan raha ho chahe mard ho aurat, zaroori hai ke nazar (mannat) karne wala baligh aur aaqil ho, apne irade aur ikhteyaar k sath mannat mane lehaza aise hi jald bazi aur jazbaat me aakar bager irade aur ikhteyaar ke mannati maani jaye to wo mannat sahi nahin hai. Isi tarah kisi aise kaam ki mannat manna jise anjaam dena mumkin nah ho to bhi mannat sahi nahin hai. Agar mannat mannte waqt qudrat rakhta tha aur baad me aajiz ho jaaye to bhi mannat mana baatil hai. [jab mannat sahi na ho to us ko poora karna zaroori nahin hai aur kaffara bhi nahin aaye ga].
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2605,2610).
[Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alaikum janab mera sawal ye hai ki ek ldka hai usne kaha ki mujhe knowledge nhi thi ke roze ki halat me jaanbooz mani nikalna roza tootta hai lekin usne 15ki age se roze shuru kre hai rkhna but ab wo 20 ki age hai use ye b nhi maloom kitni baar mani nikla ilm na hone ki wjh se wo mani ka dhyaan nhi diya kya usse roze maane jaaenge ya batil ho jaaega agr hoga to kaffara dena pdega? Pls reply fast
Answer:
1: Agar insaan nah janta ho ke fulan cheez rozay ko baatil karti hai aur hukum ke nah janne ki wajah se use anjaam day, to agar woh cheez, khanay, peenay ya jima ke alawa koi aur ho jo rozay ko baatil karti ho, to yahan mein chand soorten banen gi:
1. Agar maslah seekhnay mein kotaahi ki ho (ke is soorat mein jaahil muqassir shumaar hoga) to is ka roza baatil ho jaye ga.
2. Agar maslah seekhnay mein kotaahi nah ki ho aur is cheez ko anjaam dete waqt taraddud mein bhi nah raha ho (ke is soorat mein jaahil qaasir shumaar hoga) to is ka roza sahi hai.
3. Agar insaan rozay ko baatil karne wali cheez ko anjaam dete waqt is ke anjaam dainay ke liye sharaei Hujjat rakhta ho (ke is soorat mein bhi jaahil qaasir shumaar hoga) to is ka roza baatil nahin hoga.
Note pehli soorat mein 15 saal ki umr se 20 saal ki umr tak jitne rozon ke baare mein yaqeen ho ke un rozon is tarah ka kaam kiya tha to wo baatil hain aur un ki qaza karna zaroori hai, lekin kaffara nahin aaye ga. albatta baaqi do soorton me rozay sahi hain.
2: Agar koi shakhs nah janta ho ya bhool gaya ho ke un rozon ki tadad kiya hai to agar wo chhote adad ke hisaab se rozay rakh lay to kaafi hai lekin behtar ye hai ke itne rozay rakhay ke use yaqeen ho jaye ke saare qaza rozay rakh liye hain, misaal ke taur par agar wo bhool jaye ke us ne kitne rozon me is tarah kaam kiya tha jabke use yaqeen ho ke maslan 10 se ziyada nahin aur maslan 15 ke baare mien shak ho to agar 10 rozay rakh lay to kaafi.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #138. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1364,1668).
[Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi admi alam PE hath Rakh k Kisi kaam ko na karny ki qasam khaye k nahi karonga or Kuch Saalon k baad dobara kar lay tu Kiya hukum hai
Answer:
Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya falan kam tark karay ga to is qasam ki chand sharaait hain:
1: Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye.
2: jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho.
3: Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho.
4: qasam ke alfaz zaban par laye.
5: Us qasam par amal karna bhi mumkin ho.
(Note: In sharaait (khaas taur par shart 3) ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne Allah ke naam ki qasam nahin khaayei balke alam pe hath rakh ke qasam khayei hai jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr Bv apko Quran Jholi mn rakh kr wasta day k is Quran e Pak ka wast Dosri shadi ni kro gay To isk liay kia hukam hy...? Ya ye kahay k Fulan ko chor do or us say Shadi ni kro gay..
Answer:
Shohar agar ko is tarah ka waasta diya jaye to shohar par is pe amal karna zaroori nahin hai. Han, agar shohar Quran ke ehteraan ki khaatir biwi ke is tarah kehne par amal kare to kar sakta hai ye aik alag baat hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam-o-alaikum Mera aur mery bhai ka daily ek aurat ki wja sy jhgra hota tha ussy lgta tha mai usky sath zna kiya ha aur mje lgta uss ny kiya ho gaa Ek din gussy mai mai quran pak ly aya uss ny bhi qasm utha lii aur mai ny bhi Dono sachy hon to iss kakaffa ada krna ho gaa ya nahi
Answer:
is tareekay ki qasam durust nahin Q ke is me qasam ki sharait moujood nahin lehaaza kaffara nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Allah say Wada torny ka kaffara Lkn hamy ye yard nhi ky Wada kerty hua Kia alfaz Kahy thy is pr Kia kaffara Ho ga
Answer:
Sharaei wada(ahad) ye hai ke jab koi shakhs Allah se ahad kare ke jab uski koi muayyen sharaei hajat poori ho jayegi to wo fulan kam karega. Albatta ahad men seegha parhna zaroori hai. aur isi tarah is par amal na karne ki soorat men kaffara bhi dena zaroori hoga aur is ka kaffara ka ye hai ke 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe jayen.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2630,2631,2632).
[Updated on 01-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wada Krny ki sharite Jin ki bina pay Wada kiya jay
Answer:
Sharaei ahad (jo Allah se kiya jata hai) ki chand sharait hain.
1. Jo shakhs Allah se ahad kare, zaroori hai ke ahad ke alfaaz zaban se ada kare maslan is tarah se ke allah se ahad kare ke jab uski koi muayyan sharaei hajat pooiri ho jaye gi to wo fulan kam karega. faqat dil me niyat kar lene se wo kaam karna wajib nahin hota.
2: Ahad karne wale ke liye zaroori hai ke Baalig, aur Aaqil ho aur apne ikhtiyar aur irade se ahad kare.
3: Ahad me ye zaroori nahin hai keh jis kaam ka ahad kiya jaye woh sharaei taur par acha ho balke is qadr kaafi hai ke shareat me is kaam se na roka gaya ho aur uqala ke nazdeek ba maqsad qarara paaye, lekin aap ne Allah se jo ahad kiya hai wo kaam to sharaei taur par acha bhi nahin hai aur nah hi uqala ke nazdeek ba maqsad hai.
4: Jab koi shakhs Allah se ahad kare aur jaan bhooj kar us ki mukhalifat kare to phir kaffara dena wajib hoga. Allah se kiya hua ahad torne ka kaffara ye hai ke 2 mahine musalsal roze rakhe jayen ya phir 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye jaye.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #741,742,744,745).
[Updated on 01-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koe mujhy Quran Pak ky Saamne lejaky kahy k tumhen ek kaam nae krna hy( wo Ger Mard sy baat krti hy men rokna chah raha hon). Aur wo mujhy Eshara krty huwy kehti quran ki traf kiya mujhy es kasim ko nibhhany ki zaroorat hy? Please Reply
Answer:
Agar kisi se zabardasti qasam uthwaayi jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran ki qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur us ko nibhana zaroori nahin hai aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koi insaan allah ka wada kry or us wja sa kisi or ko takleef ho tu kia wo wada tor skte hain?
Answer:
Iss sawal ki chand qismein hoskti hai:
1. Agr Allah se Ehad / Wada kia hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi, Yaani yh wada shumar hi nhi hota to torne me koi Harj nhi
2. Agr Allah se Ehad krte hue unhi Alfaaz se Ehad kia hai or uss kaam se kisi ko azziyat horhi ho tb bhi Ehad shumar nhi hota
3. Agr ap ne kisi or shaks se wada kia hai k masln yh kaam zaroor kruga to uss se baat ki ja skti hai lekin berhaal har sorat me kisi Momin ko izziyat phnchana Jaiz nhi hai
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Muj sy Quran Pak utha k Kuch bty Pocho gai Han Jo shak k hawaly sy thi kch suchi thi lkn jhut b thi ...is tra is k kaffara Kesy ada huga ...plzz Mujy bta den...
Answer:
Agr Quran e Majeed ki jhoti qasam khai jae to Gunehgar hai lekin kaffara nhi hai.. Parwardigar se sidq e dil se taubah ki jae vo gunaho ko bakshne wala hai.( Tuizi masail ,aqa sistani ,masla no:2632,2633,2637)
[Updated on 18-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera ek sawal tha k agar koi gunah kar k alam PE hath rakh kar jhooti qasam kha kar yaqeen dilaye k uss NY gunah NAHI Kiya but Kiya ho tu uss ka Kiya anjam hai or agar qasam khaye alam PE hath rakh kar k Zindagi mey yeh baat nahi karonga magar b kary tu Kiya anjam hai
Answer:
Jhoot bona vese hi gunah e kabira hai khas k alam pe hath rkh k bola jae, iss sorat me gunehgar shumar hoga aur wajib hai k toubah kre.
Agr qasam amdan in alfaaz k zariye khai jae masln k "Mai Allah ki qasam kha kr kehta hn ..." aur vo kaam na kre to zarori hai k kaffara de aur jhooti qasam ka kaffara 1 ghulam azad kre ya 10 faqeero ko pait bhar k khana khilae ya unhe libas jise pehna jaskta ho de aur agr yh nhi krksta to zarori hai k Ramadhan k ilawa musalsal 3 din roza rkhe.
(Ref : Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2633)
[Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Dil mein kahnaye se qasam Hoti hai
Answer:
Aisi qasam durust nahin hai Q ke qasam ke alfaz zaban se ada karna zaroori hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 01-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam.myra sawal ye hai.k agar koe qasam uthay k wo apny mangytar sy bat nhe kary ge.lykin bad main us ko qasam torne par jay.to is ka kia qafara hai?
Answer:
Agar koi shaks shih alfaaz k sath qasam khae or jaanbojh kr apni qasam pr amal na kre to vo gunehgar hai aur zarori hai k das faqeero ko pait bhar k khana khilae ya unhe libas de or agar na krskta ho to zarori hai k 3 din musalsal roza rkhe..
Lkn agar koi shaks galati se ya majbori ya ghaflat ki waja se apni qasam pe amal na kre to uss pr kaffara wajib nhi..
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2632,2636)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera question ye ha agr meinny gussay mein jazabati ho kr quran ki ksm khali ha ky mein ya kam nhi kru gi Kia mein apni qasam wapis ly skti hu?
Answer:
Agar qasam gusse me jaqzbati ho kr khai gai hai to yh qasam shumar nh hoti or aisi qasam ko pora na krne se kaffara bhi lazim nh ata
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2634)
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mne apni success ki qasam khai ke me gussa nhi karun ga baad me mne qasam torh di ab meri succes ke sath kuch nhi hi ga na
Answer:
Agr koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga to aisi qasam ki chand sharaait hain 1 qasam khane wala balig or aaqil ho isi tarah apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye 2 jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho 3 allah ke namon me se kisi aisa naam ki qasam khayei jaye jo us zaat ke siwa kisi aur ke liye istemal na hota ho 4 qasam ke alfaz zaban par laye 5 qasam khane wale ke liye us qasam par amal karna bhi mumkin ho note in sharaait ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga q ke aap ne allah ke liye qasam nahin khayei jabke sharaei qasam wo hai jab allah taala ka maan liya jaye aur doosri baat ye ke is qasam par amal karna mumkin nahin hai..
(Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah sistani d b edition 42 maslah 2633 2634)
[Updated on 22-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi apnay Shohar say Quran par hath rakh kar Qasam dilwaey k Shohar Mutta ya Dusri Shadi nahe kray ga to kia us par amal karna zaruri hay?
Answer:
Agar koi shaks tamam sharait k sath qasam khae to zarori hai k qasam pe amal kre, Agr janbojh k qasam k khilaf amal kre to vo gunehgar hai aur zarori hai k kaffara de yani 10 faqero ko pait bhar k khana khilae ya 10 faqero ko libas de aur agr yh nh krskta to 3 musalsal din roza rkhe..
Ap k sawal k mutabiq Qasam ki sharait yh hai..
1. Qasam khane wala baligh aqil ho aur apne ikhtiyar se qasam khae..
Agar apko zouja ne majboor kia hai to aisi qasam ki koi value nh hai
2. Qasam khane wala Allah k naam ya koi aisi sifat jo Allah k sath khas hai usski qasam khae..
[Updated on 24-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.O.A sir Mera yeh sawal hai k Meri abhi recently engagement hui hai Lekin mene Kisi k Sath Shaadi ka wada Kiya tha Lekin mein us waday ko poora nahi kar saki to ab mujhe bht bura lagta hai is baat ko Le kar ab mujhe Kiya Karna chahiyeh??
Answer:
1. Agr ap ne share tariqe k mutabiq tamam sharait k sath qasam e sharii uthai thi to ussko porakrna wajib hai vrna uss ka kaffara dena zarori hai..
Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263).
2. Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he.
(Kitab Nigah aur Libas ques # 106 , pg # 69)
[Updated on 31-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere dost ne mujh se paise mange.mene ha kardi kuch time do char din baad bola tranfer kar de mene nhi kiye meri kandition wesi nhi rhi thi ki me usko paise nhi de paya me kya karu
Answer:
Agar apne sharii qasam khai hai to zarori hai k apni qasam ko poora krein bashart yh k ab use poora krna mumkin na ho..
Agar qasam poori kr skte hai phr bhi anjam nh de rhe to kaffara dena zarori hai..
Agar qasam wagera nh khai hai to phr koi muzahiqa nh hai mana krne me..
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34).
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alaikum Mere 1 dost ne Allah ki kasam khai hai ke wo hr bure kaam se bacha rahe ga lekin kisi waja se isko yeh kasam torni prhe to kia iska gunnah hai or iska kaffara kia hai plzz jald jawab de dijiye ga. (Shukriya)
Answer:
Agr kisi shakhs ne apne irade or baghair kisi k dabau k aysi qasamen khai hai jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil hai to (jese apne frmaya k Allah ki qasam khai) is surat men is qasam ki mukhalifat krne se insan gunahgar hojata hai, lehaza us per per wajib hai kaffara de, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak (libas) pehnaye (ata kre).
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34)
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, agr kisi ny Allah ki qasam khai ho k smoking nhi kry ga aur phr usny qasam tor di ho aur usky baad bht dfa smoking ko ho to kia hr bar ka kafara alag dena hoga ya aik hi bar kafara dena hoga ?
Answer:
Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye ke roza rakhe ga ya tambakoo (smoking) istemal nahin karay ga,
Is Qasam ki chand sharaait hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye.
2. Jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho.
3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho.
4. Qasam ke alfaz zaban par laye.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho.
Note: Agar in tamam sharairt ki riyaat karte hoye qasam khaai thi to is qasam ki mukhalifat karne ke soorat men wo ghunahgar hoga aur kaffara bhi wajib hoga. Aur kaffaray ke taur par zaroori hai ke 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhe poshaak pehnaye, or agar ye kaam na kar sakta ho to zaroori hai ke 3 din musalsal rozay rakhe.
Lekin agar in sharait men se koi aik bhi shart mojood na ho to ghunahgar bhi nahin hoga aur na hi us par kaffara wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 03-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: film or drama chorne ki niyat karna or bd me pora na krna k kufara kya hai hai
Answer:
Agar faqat niyyat ki hai aur koi shari qasam wagera nh hai hai to aisi sorat me kaffara wajib nh hota..
Agar qasam e sharii khai hai to zarori hai k insan kaffara ada kre aur kaffra ye hai k ek ghulam azad kre ya 10 faqeeron ko pait bhar kr khana khilaye ya unhen libas ata kre, or agr ye kam anjam na de sake o zaruri hai kl musalsal 3 roze roze rakhe.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633).
[Updated on 05-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asslamoalikum sir mera aik dost na glt kam kiya me na os ko bola agr tm na ya kiya to ma bat nhi kro ga as tra yahi but thn os na sula krna ka bola but ma na kha ma na bat nhi krni ab as tra os na ksm uthi agr bat nhi kro ga to ma do din medicine nhi khao gi ma na bat nhi ki sir ab as ksm k bara ma guide kr dy
Answer:
Qasam e shari ki kuch sharait hai, un me se 1 shart yh hai k jis kam ki qasam khai ja rhi hai zarori hai k vo haram ya makroh na ho, kisi momin se 3 din se zyada naraz rehna jaiz nh hai..
To apne jo qasam khai thi vo sharan galat thi to vo qasam shumar hi nh hogi..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2634)
[Updated on 27-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh ha k ek admi me mujse masjid e nabvi mein beth kr wada or kasam khai or Allah or us k hazoornko gawah bna k wo muje shadi kre ga par ab wo apni bt pe qayim ni ha or main bhot ranjeeda hu
Answer:
Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye.( Ref . Isteftat Agha Sistani)
Share kasam ki kuch sharait hai maslan yh k apne irade or ikhtiyar se kisi mustahab amal ki qasam ki khae, Allah kaam le k qasam khae, qasam k lafaz zaban pr lae, jis chez ki qasam khai gai hai uss pe qudrat bhi ho agar tamam sharait k mutabiq qasam khai gai hai or phr uss pe amal na kia jae to zarori hai k kaffara ada kre yani ya to 1 ghulam azad kre ya 10 faqeron ko khana khilae ya unhe poshak pehnae..
(Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2633, 2634)
[Updated on 28-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi zor zabardasti me aye k quran ki qasam utha le aur wo qasam us se majboori me toot jai phr wo uska kafara b ada krde tou kia qasam wapis ajai gi ya wo insan wo kaam kr skta ha jisko na krny ki usne qasam uthai thi?
Answer:
Agar zor-o-zabardasti waali qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran ki qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur us ko nibhana zaroori nahin hai aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 22-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mara question ya h ky agr mangater quran e pak py hath rakhwy ky tum kbi mujy choro gi ni to or lrki hath rakh ky kh dy ky kbi ni choro gi bad ma asy halat pada ho jy ky mngni toot jy is ka kua hal h???
Answer:
Aisi qasam sharaei qasam nahin hai aur is pe amal karna zaroori nahin hai aur koi kaffara nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 16-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Koi insan ho us ny wada kiya ho yeh Kam dubra nh kru ga.phr jis sy wada kiye woh kahy wada maf kiya tw kya woh insan wady sy azd ho jaye ga?
Answer:
Ehad / wada do tarah ka hota hai:
1. wo wada jo sharait ke sath Allah se kiya jaye, is pe amal na kiya jaye to insan ghunahgar hota hai aur kaffara bhi wajib ho jata hai.
2. wo wada jo kisi doosre insan se kiya jaye, us pe amal karna wajib nahin hai.
nateejatan insan ghunahgar nahin hoga aur kaffara bhi nahin aaye ga.
(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2631,2632).
[Updated on 08-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم!Maine apni behn se wada kiya tha ke bahir ki koi cheez nai khaoun ga jab tak wo nahi kahe gi lekin maine aaj bahir se le kar sprite pi li to kiya wada toot gaya agar toot gaya to is ka kiya kaffara hai?
Answer:
Yh shari ehad shumar nh hoga lehaza koi kaffara nh hai..
Nazar ya ehad me insan koi cheez jis ka anjam dena bhtr hai use khud pe lazim krta hai ya jis chez se bachna bhtr hai usse bachna khud pe lazim krta hai..
Nazar o ehad me seegha prhna zarori hai lkn arabi me prhna zarori nh hai, or seeghe me Allah ka naam lena zarori hai chahe yh kahe k agr falaan kam hogya to mai Allah k lie 10 faqeron ko khana khilauga or agr vo kam hojae to ehtiyat e lazim ki bina pr zarori hai k 10 faqero ko khana khilae..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2604)
[Updated on 05-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, agr ap jazbat ma a kr ye bol dein main kassam khata hu.... ... . Sirf word kassam istemal kiya ho. Allah ki qasam na ho.. just simple word "kasam" ho to kya jrain???
Answer:
Aisi qasam jis me Allah ka name shamil na ho wo sharaei qasam nahin hai aur koi kaffara nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 06-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir maa na quran ki qasam jhooti lei 3 dfa mera bf na mera se ppochaa past ma chakr tha ma jhooti Qasam lei thu ka NHi tha or as na kal ppoucha ka tum na ye kam kia ma rishta bacha ka lia 3 dfa qasam jhooti Quran ki le chuki bhaut sharminda hoo Mera bf ns zabradasati Qasam Lena hoo kha ma ristha bachna ka lia jhooti qasam lei Quran ki. Or aska kaffar kia ho ga ab
Answer:
Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahin hai, lekin Aisi jhooti qasam khana sharaei qasam nahin hai aur koi kaffara nahin hai. lekin jo jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga lehaza tauba karna laazmi hai. Aur yaqeenan parwardigar aalam ghafoor o raheem hai maaf farmaye ga. Albatta chand sharaei masail ki taraf aap ko mutawajjah kiya jata hai:
1. Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna ke mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof maujod hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna hi Jaiz nahin hai.
2. Na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) ye tamam kaam haram or gunah e kabira hai, chahae lazzat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair.
3. Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.
(Ref: Al masail-ul-muntakhaba, maslah #1264. + Tauzeeh-ul-masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634. + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 06-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi apnay Shohar say Quran par hath rakh kar Qasam dilwaey k Shohar Mutta ya Dusri Shadi nahe kray ga to kia us par amal karna zaruri hay?
Answer:
Agar kisi se zabardasti qasam uthwaayi jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran ki qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur us ko nibhana zaroori nahin hai aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 26-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A agr banda Allah se mafi mange or qasam ya wada kr le ka ab gunnah nhi kry ka or gunnah ho gye to kiya karein.or kasam ka kafary ka bary ma bi bandy ko na pata ho to kiya krein .
Answer:
Sharii Qasam ki chand sharaait hain: 1: Qasam khane wala balig or aaqil ho isi tarah apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. 2: Jis kam ko anjam dene ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo Haram or makrooh na ho or jise tarq krne ki qasam khai jae zarori hai k vo wajib ya mustahab na ho 3: Allah ke namon me se kisi aisa naam ki qasam khayei jaye jo us zaat ke siwa kisi aur ke liye istemal na hota ho. 4: Qasam ke alfaz zaban par laye. 5: Qasam khane wale ke liye us qasam par amal karna bhi mumkin ho.
Agar in sharait k mutabiq qasam khai hai or uss qasam pe amal na kia jae to kaffara wajib hojaega yani ya 10 faqeron ko pait bhar k khana khilae ya unhein poshak pehnae ya agar in amal ko anjam na deskta ho to zarori hai k 3 din roza rakhay
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b), edition #42, maslah #2633,2634)
[Updated on 11-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene Quran Pak pr hath rakh kr apny rishty ko bachany k liye jhooti bt boli he us k liye me bht preshan kiya Allah Pak mujhe maaf krega
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Is tarah ki jhooti qasmen khane se kaffara to nahin aata, Albatta jhooti qasmen khana Haram aur ghunah e kabira hai, lehaza is ke liye tauba karna lazim hai. Isi tarah jhoot bolna Haram aur ghunah e kabira hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is main koi faraq nahin ke jhoot mazaq main bola jaye ya sanjeedgi main.
2: Agar kisi se koi ghunah sarzad hua ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed main wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + part #2, maslah #38. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2638. + sawal o jawab website Ayatullah Sistani(d.b), jhoot, Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 ). + sawal o jawab website, tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ).
[Updated on 02-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar qasam 1 dafa tor di to kia mukammal tor pr toot jaye gi ya phr bhi kaffara ada kr ke us pr amal krna parega
Answer:
Agr ap ne share tariqe k mutabiq tamam sharait k sath qasam e sharii uthai thi to ussko porakrna wajib hai vrna uss ka kaffara dena zarori hai or 1 martaba kaffara ada krdia to phr uss qasam pe amal krna zarori nh hai..
Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 51, Maslah # 2633).
[Updated on 26-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agar bht majburi mai apni izzat bachanay k liye insan srf Quran Sar pay rakh kr jhoot bolay k us mai aisa kaam ni kiya jab k srf aik br ghalti sey kr diya hou aur kabhi wo kam na dohraya hou tou Iska Kia kaffara hah
Answer:
Agar Quran e Majeed ki jhoti qasam khaei jaye to Gunah hai lekin kaffara nahin hai. Parwardigar se sachay dil se taubah ki jaye wo gunahon ko bakshne wala hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2632,2633,2634,2637).
[Updated on 09-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam! Mera masla ye hai Kay Mari ammi nay maray say Quran par hath rakhwa Kar qasam utwai Kay ab main ciggerate nai piyoun GA. Too Kaya ye kasam jaiz hai
Answer:
1: Aisi qasam sharaei qasam nahin kehlaye gi aur is par amal karna wajib nahin hai Q ke is me qasam ki shartein mojood nahin hain.
2: Jab koi shakhs qasam ki tamam sharait ke sath qasam khaye keh falan kaam anjaam de gaa ya tark kare gaa maslan qasam khaye keh roza rakhe gaa ya tambakoo ko istemaal nahin kare gaa to agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zarori hai keh kaffara de.
Qasam ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam zabardasti khilayei jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala Jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho. lehaza Quran par hath rakha khana sharaei qasam nahin kehlaye gi.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye k jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 23-Oct-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar kisi se zabardasti quran pe half le liya jaye aur insan us cheez pe agree na ho to kya karain
Answer:
Agar kisi se zabardasti qasam uthwaayi jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran ki qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur us ko nibhana zaroori nahin hai aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 26-Oct-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dil mein kasam khain or phr tor dyn is ka kaffara hoga
Answer:
Aisi qasam sharaei qasam nahin kehlaye gi aur is par amal karna wajib nahin hai aur kaffara bhi nahin hai Q ke is me qasam ki shartein mojood nahin hain, aur us qasam ki sharait me se ail shart ye hai ke Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 06-Nov-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jab koye quran pe hath rakh le aur kahy k dobara nhi karunga aur wahi dobara kare tu os k koye kaffara hai tu plz bata dy?
Answer:
Aisi qasam durust nahin hai Q ke Quran ki qasam khane sahi nahin hai sharaei qasam shumar nahin hoti, Is liye ke qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur is par amal karna zaroori nahin hai aur is par amal na karne se ghunah aur kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 06-Nov-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Allah se kia gya wada khatam kr skty?
Answer:
Wo wada jo sharait ke sath Allah se kiya jaye, is par amal karna wajib hai aur agar is pe amal na kiya jaye (yani khatam karna chahen) to insan ghunahgar hota hai aur kaffara bhi wajib ho jata hai.
(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2631,2632).
[Updated on 14-Nov-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koi ghussy main quran par hath rakh kar kehta hy k tu mera bhai nahi hy aor na hi mainy tum sy bolna hy yeh main quran par hath rakh kar qasam kha raha hun lekin bhai hy phir bolna bhi par sakta hy to goya us par kaffara hoga ya nahi
Answer:
1: Aisi qasam sharaei qasam nahin kehlaye gi aur is par amal karna wajib nahin hai Q ke is me qasam ki shartein mojood nahin hain.
2: Jab koi shakhs qasam ki tamam sharait ke sath qasam khaye keh falan kaam anjaam de gaa ya tark kare gaa maslan qasam khaye keh roza rakhe gaa ya tambakoo ko istemaal nahin kare gaa to agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zarori hai keh kaffara de.
Qasam ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam zabardasti khilayei jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala Jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho. lehaza Quran par hath rakha khana sharaei qasam nahin kehlaye gi.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye k jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 07-Feb-2025:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.O.A ma na apni maa sa un ka samny qasam khai thi ka ma ab wo kaam nhi karon ga but ma out of control hon or ma wo kaam karna chahta hon to is ka kia hal ha? ager wo qasam tut gaye to kia hoga?
Answer:
Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga. maslan qasam khaye ke roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, to is Qasam ki chand sharaait hain:
1: Qasam khane wala balig or aaqil ho isi tarah apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye.
2: Jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo Haram or makrooh na ho.
3: Allah ke namon me se kisi aisa naam ki qasam khayei jaye jo us zaat ke siwa kisi aur ke liye istemal na hota ho.
4: Qasam ke alfaz zaban par laye.
5: Qasam khane wale ke liye us qasam par amal karna bhi mumkin ho.
(Note: In sharaait ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne Allah ke liye qasam nahin khayei jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye aur doosri baat ye ke is qasam par amal karna mumkin nahin hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik shaks nay apna aap say kaha keh mari job jis shaks ki waja say howi hai mein us ko apni pay hamesh dayni ki mannat manta hoon . Kya yeh mannt hai .kaya is par kaffara dayna paray ga?
Answer:
Jo nazar (mannat) sirf Allah ke liye maani jaye to wo sahi hoti hai aur us ke mutabiq amal karna zaroori hota hai lekin jo nazar (mannat) apne liye ya kisi aur ke liye maani jaye wo sahi nahin hoti hai aur par amal karna bhi zaroori nahin hai, aur kaffara bhi lazim nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2603,2604).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqar koi msg type kar k apko qasam dain k yai baat kisi ko nahi batani aur ap kisi ko bata dain to iska kaffar hoga?
Answer:
Aisi qasam sharaei qasam nahin hai aur koi kaffara nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 09-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]