Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Job (53 Questions)


Showing 50- 53 questions from 53 questions on this page.

Id:
122895
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-13

Question: office time me agar kam na ho to quran prhskte ?

Answer: Office me jo aap ka time hai (misal ke taur par subah 8 se sham 6 tak) agar is time ke darmiyan me office walon ne aap ko ye kaha hua hai ke office time me aap apna koi zaati kaam nahin karen gay (jo ke aam taur aisa hi hota hai) to phir is surat me koi aur apna zaati kaam nahin kar sakte.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, edition #1443, mafhoom e maslah #377,378).
[Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124571
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-09

Question: Assalamualaikum w.wb. allah aapke ilm me or izafa de Mera sawal hai ki main ek casino me kaam karta hun mera kaam hai checking karna ki jo ladke customer ko game play karwa rahe wo cheating to nahi kar rahe ya fir agar koi customer jeet jata hai to usko paisa kam to nahi de rahe ya fir kisi customer ko gali ya fir ghalat andaaz me to nahi bol rahe mera kaam jayaz hai ya najayaj

Answer: Jua khana (casino) ki kamai Haram hai aur Haram ki kamai khana bhi Haram aur ghunah e kabira hai. Yani aap ke liye wahan kaam karna jaiz nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen Part #1, Edition #1443, Maslah #30. + Jadeed Fiqhi Masail, maslah #488, pg #259).
[Updated on 09-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
124619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-30

Question: Kya raat ki job krna jaiz h islam m?

Answer: G han aisi job krna halal hai jo Kisi wajib ko tark krne ya haram ko anjam dene se talluq na rkhti ho, Yani halal kaam ki job krne me koi harj nh hai..
(Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , mafhom e masala # 64 , pg # 75 , eidition #5).
[Updated on 30-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print