Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Wuzu (46 Questions)


Showing 0- 46 questions from 46 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
181
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SALAAM, AGAR WAZOO KE DORAN YA BAD MAI GAS KHARIJ HOTI HAI TO IS SE WAZOO TUT JATA HAI YA NAHI AUR AGAR GUSL-E-JANABAT KE DORAN GAS KHARIJ HO TO KYA GUSL WAPAS KARNA PARTA HAI.

Answer: Salam un Alaikum,

Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay.
Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392

Khuda Hafiz

Print

Id:
185
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: kia gas kharij hone se wazoo toot jata hai aur agar gusl-e-janabat ke doran gas kharij ho to kia hukum hai.

Answer: Salam un Alaikum,

Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay.
Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392

Khuda Hafiz

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
305
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Agar ek aurat ne chemical wali mehendi ya nail-polish lagayi hui hai toh is soorat mein iske liye wuzu ka kya hukam hai? kya uske liye mehendi ya nail-polish ki maujudgi mein wuzu aur us per tayammum karna kaafi hoga ?

Answer: Salam un alaikum,
Agar yeh mehendi paani key pohonchney mein rukawat banti ho to wuzu sahi nahi hoga. Agar shak hai keh paani pohnchay ga ya nahi tab bhi zaroori hai keh mehendi ko hata liya jaaye.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 289

Print

Id:
685
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salams..main ne suna tha ki jo chemical wali mehendi hoti hai vo wazu k pani main rukawat nahi banti hai.. kia aap muejh bata saktye hain ki aaj kal jo mehendi aati hai bazaron main vo lagane se kia wazu k paani ka masla hota hai ya nahi..Thanks..

Answer: Mehendi kay rukawat bannay ya na bannay kay baray main ham kuch nahi keh saktay.agar ye mehendi wuzu kay pani kay pohunchnay main rukawat banti hay to wuzu sahih nahi hoga agar shak ho kay rukawat banay gee tab bhi zaroori hay kay hata liya jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.289.

Print

Id:
686
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: When we read Quaran in arabic on-line do we have to do wuzu?

Answer: Baaz fuqaha nay Quran Majeed kay parhnay kay liye wuzu ko mustahab qarar diya hay.laikin is ka mustahab hona sabit nahi hay albatta agar koi shakhs mustahab honay kay aihtimaal kay saath wuzu karay to is ka wuzu sahih hay aur is wuzu kay saath har wo kaam kar sakta hay jo ba-wuzu ho kar karna zaroori hay.masalan is wuzu kay saath namaz parh sakta hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.321.

Print

Id:
715
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Using Alcoholic Perfumes when praying namaz! if there is no problem with it... is there any requirement that we shouldnt use alcoholic perfume BEFORE WUZOO??

Answer: A.Sistani kay nazdeek Sanati aur Tabeei Alcohol ki tamam aqsaam paak hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.109.

Print

Id:
1024
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-09-04

Question: SALAAM. 1. MUJHE GASTRIC ULCER HAI JIS KI WAJAH SE KABHI BHI GAS KHARIG HONE LAGTI HAI AB IS SURAT MAI WAZOO AUR NAMAZ KA KIYA HUKUM HAI. 2. BIWI KE SATH MAZAK KARNE SE YA KOI TASVEER YA FILM DEKHNE SE MAKAM-E-PESHAB SE CHIKNI CHEEZ KHARIJ HOTI HAI YEH NAJIS HAI YA PAK?

Answer: *1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62.

Print

Id:
1047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asslamoalekum ab tak jawab sa qasir hoon sawal dosraya ha kah wuzoo karne ka darmiyan bat karne sa wuzoo sahi rehta ha

Answer: Salam un Alaikum
Agar Baat karney ki waja se wuzu kay Afaal k darmian itna Fasla (waqfa)hojay k usay Urf e Aam mai Pe Dar Pe (Aik k baad Aik)dhona na kehlay to Wuzu BATIL hai.
Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No.282

Print

Id:
1188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a if any one washed left hand in wazau then off the tap(nul) there is water on the tap & that water mixed with water (tari) which is remain in the right hand & then i do masa of head .......... ques, is wadhau become right.

Answer: Agar ye kaam baain haath ko mukammal tor par dhoonay say pehlay kiya ho to koi ishkaal nahi hay

aur agar baain haath kay dhonay kay baad kiya ho laikin nalkay say haath par muntaqil honay wali

taree nihayat hi kam ho yani aik ya do qatray ho jo haath ki taree kay saath mil kar khatam ho

jati ho to bhi koi haraj nahi hay.Ref:Book-2 Pg.26 Q.No.19.

Print

Id:
1189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a if any one washed left hand in wazau then off the tap(nul) there is water on the tap & that water mixed with water (tari) which is remain in the right hand & then with the help of hand water ko spelt kya then i do massa of head ques, is wadhau become right.(this ques is diff from first 1)

Answer: Agar ye kaam baain haath ko mukammal taur par dhonay say pehlay kiya to koi ishkaal nahi aur agar

baain haath kay dhonay kay baad kiya ho laikin nalkay say haath par muntaqil honay wali taree

nihaayat hi kam ho yani aik ya do qatray hon jo haath ki taree kay saath mil kar khatam ho jati

ho to bhi koi haraj nahi hay.Ref: Book-2 Q.No.19.

Print

Id:
1230
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom. agar main ney aser ke namez key leya wazo keya our namaz pari.abb magriban ka waket aa geya, mojey yad nahen key iss doran merh wazou tota ha ya nahin. yani main shak mey hon. to asi sorat mein keya main osi wazo sey namaz e magrib ada kar sak tah hon ya nahenn. waslikom salam.. hamid , madina from gujrat

Answer: Agar kisi shakhs ko shak ho kay us ka wuzu batil hoa hay ya nahi to usay ye samajhna chahiye kay

us ka wuzu baqi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.299 Pg.No.56.

Print

Id:
1300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamolikom .gusel ya wazo key bad keya pani ko towl ya kesi kabrey key sath saf keya jaa sak ta ha?waliom salm. hamid shah

Answer: Aisa karnay main koi haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani.

Print

Id:
1404
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya Mehendi waghaira jo kay aaj kal raaij hay aur Cone ki shakal main aati hay .. usay istemaal kar saktay hain?

Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to istemaal kar saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.

Print

Id:
1492
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kiya wudhu karney k baad agar towel sey chera ya haath etc saaf kiye jaein tu kiya wuzu "batil" ho jata hai?

Answer: ji nahi. yeh mubtilaat-e-wudhu mein se nahi hai.
REF: Tauzeeh-ul-masail, masla no. 322.

Print

Id:
1646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aik aadmi ki daari itni bari hai k uski jild nazar nahi aarahi hai ab wo wuzzu main apney chehrey ki jild tak pani kasey phonchaye ga

Answer: bismehi taala,
agar chahere ki jild balo ke niche se nazar aati ho to pani jild tak pahonchana zaroori he or agar nazar na aati ho to balo ka dhona kafi he or un ke niche tak pani pahonchana zaroori nahi. (ref. tawzihul masail, urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masaala no. 239 page no. 47)

Print

Id:
1828
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: cigrete peena wuzu ko batil kar deta hai

Answer: bismehi taala, jee nahia (ref: istiftaat k jawabat part 1 page 44 Aytullah Khamenaie (d.b.))

Print

Id:
1886
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya sar(Head) mai pani(water) dalne se Wazu toot jata hai?

Answer: bismehi taala. ji nahi. yeh mubtilaat-e-wudhu mein se nahi hai. REF: Tauzeeh-ul-masail, masla no. 322

Print

Id:
1922
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam-0-alikum, yeh sawal meray shohar ka hai main unhy har bar taqeed karti hun ke namaz se pehlay wuzu karain must hai per woh kehtay hain ke quran main is ka zikar nahi. plz kuch aisa bataye ke main unka sawalun ka jawab de ker unhay sahi taleem de saku ..mery email per jawab zaroor de . shukria

Answer: w.s. quran me wuzu ke hukam ki ayyat muwjood he : ÓæÑÉ ÇáãÇÆÏÉ , Al-Maeda, Chapter #5, Verse #6)

Print

Id:
1939
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-u-alikum, mera sawal ye he ke agar wazoo karne ke bad ya namaz ke doran agar shuck ho ke peshab ka qatra nikal gaya he to is surat me namaz ho gi ya nahi

Answer: shak ki surat mai namaz sahi hai.
Ref: tozihul masail-urdu,Agha sistani,edition no.24,masla no.299

Print

Id:
1941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: ASALAMOALIKUM,MERA SAWAL HE KE AGAR WUZU KARNE KE BAD YA NAMAZ KE DORAN KOI RATUBAT KHARIJ HOTE HO TO USME NAMAZ SAHI HE YA BATIL ISKA JAWAB MUJHEE E MAIL KAREN IS SE PEHLE BHI ME YE SAWAL KAR CHUCKA HON MAGAR JAWAB NAHI MELA SHUKARIA

Answer: w.s. shak ki surat mai namaz sahi hai. Ref: tozihul masail-urdu,Agha sistani,edition no.24,masla no.299

Print

Id:
1985
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: can i apply chemical mehndi (arqwali mehndi)on my hands; please reply soon its urgent iltemas e dua.

Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to istemaal kar saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.

Print

Id:
2087
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: peshaab k katray aanay ki bemari walay log kaisay taharat hasil karain?katray peshaab kernay k baad aatay hain kuch dair tek k liay?

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs ayse marz me mubtela ho k use peshab k qatre girte rahete ho ya pakhana rokne par qadir n ho to agar use yaqeen ho k namaz k awal waqt se le kar akhere waqat tak use itna waqfa mil jayega k wuzu kar k namaz padh sake to zaroori he k us waqfe k dowran namaz padh le aur agar use sirf itni mohalat mile jo namaz k wajibat ada karne k liye kafi ho to us dawran sirf namaz k wajibat baja lana aur musthab afaal masalan azan, eqamat aur qunut ko tark kar dena zaroori he. (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no.313)

Print

Id:
2092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: i need to know that is it allowed in shia relegion tahat some one can have permanent tattoo on the body or we can say parmanent picture on the body like iraqi kurd do on their body. please answer my question as soon as posible. assalam

Answer: bismehi taala, agar aysi teh ka ehtemal ho jo (wuzu aur ghusal me) pani phochne me rukawat ho to use hatana zaroori he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawala part 2 page no 27 Aytullah Seestani (d.b.)

Print

Id:
2320
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Allaikum, Wazu karne ke baad aksar hota hai ke hawa kharij hone wali hoti hai to jab hum rokne ki koshish karte hain to shak rehta hai ke hawa kharij hue ya nahin to kya huqum hai wazu ke bare main?

Answer: w.s. agai kisi shakhs ko shak ho k us ka wuzu batil huwa he ya nahin to use yeh samajna chahiye k us ka wuzu baqi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.306)

Print

Id:
2324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Aslamoalikom, Mera masla ye hai ke mujhay paishaab ke qatray aatay hain jiss waja se namaz main shak para rehta hai... please mujhay iss ka koi solution batayin koi medicine bhi batayin.

Answer: w.s., agar bimari ki wajeh se namaz me kaee dafaa peshab kharij hota ho to ek namaz k liye ek wuzoo kafi he (ref: tawzihul masail Aytullah Khoie (r.a.) masaala no.314)

Print

Id:
2374
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: wuzu kerne ke bad agar reh kharij ho jai too dobara wuzu kara lazimi hei ?

Answer: bismehi taala, jee rih k kharij hone se wuzu batil ho jata he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.329)

Print

Id:
2512
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.hamare do ulama me ye discuss horaha he k sistani sahab ne chemical wali mehndi lagane ki ijazat di he is shart par k wazo k bad tayammum karen?kia ye sahi he,wazahat kar deje

Answer: Agar wuzu kernay walay ko skak ho k wuzu ki jagah per jo cheez
lagi hoe hay wo rukawat hay ya nahi tu os ko hata ker paani khaal tak pohan chaana wajib hay.or agar yaqeen ho k ye rukawat nahi hay tu is ko hatana wajib nahi.or agar rukawat aysi ho k jis ko hatana munkin nahi ho tu, agar ye rukawat wuzu k hisso per hay tu wo tayyammum karay,or agar ye rukawat tayammum k hisso per hay(yani hathayli or maatha) tu wuzu or tayyammum dono karay.(ref:Ayat ullah Seestani(d.b) Tazeehul masail,Maslah #289,337).

Print

Id:
2536
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Wuzu me Mashah Kya pair(legs)ke wuzu shocks ya shoes pr jaez hai? Kya wuzu me hath ko dhone se pahle watertap bandh kre aur fir mashah kre to jaze hai? kyoki us water mixing ka doubt rahta hai

Answer: Socks or shoes per masah kerna batil hay,Haan agar sakht sardi ki wajah say ya chor ya janwar waghaira k khof say Socks or shoes utaaray nah jasakain tu ehtiyaat e wajib hay k Socks or shoes per masah kerain.(Ref Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul maasail,Maslah # 258).agar ye kaam ultay haath ko mukammal dhonay say pehlay kia jaay tu koe baat nahi or ager ultay haath ko dhonay k baad ye kaam kia ho laikin watertap say haath per lagnay wali tari(water) bohat hi kam ho yani 1 ya 2 qatray jo haath k water say mil ker khatam hojatay hain tu bhi koe maslah nahi. .(Ref Ayat ullah Seestani(D.B) Mujtahid say pochay gay sawalat part#2 ,Maslah # 19).

Print

Id:
2587
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalmun allehkum janab mera sawal ye hai k kya NAIL POLISH lagane ke baad WAZOO kae sakte hai KUCH LOGO KA KAHNA HAI KE NAKOON KO THODA SA KHALI CHOR DIYA JAI TO WAZOO HO JATA HAI WAZAHAT KRDE

Answer: Agar nail polish haath ki ungliyoon per lagi ho tu wuzu nahi ho sakta,kun k nailpolish rukawat hay.or wuzu ki shraa’it main say aik ye hay k wuzu k aa’zaa(parts) per koe aisi rukawat nah ho jo pani jo jism tak pohanchnay nah day.laikin agar nail polish pair(foot) ki ungliyoon per lagi ho or dono pairon ki aik aik ungli per nah lagi ho,tu pairon ka masah os aik ungli say(jis per nail polish nahi hay) lay ker pair k jorh(joint) tak masah kiya jasakta hay.Kun k pair k masah main pair ki aik ungli say lay ker jorh tak masah kerna wajib hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#251,289 to 297).

Print

Id:
2964
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam i wanna ask that wazoo is neccessary after a gusal or not ok khuda hafiz

Answer: Tamaam wajib or mutahab ghusl k kernay k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay albatta mustahab hay k wuzu karain. Laikin ghusl e janabat k baad tu zarori hay k wuzu nah karain.or ghusl e istihaza e mutawassitah (aurato ka aik ghusl) k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna hoga. (ref”Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#389) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3642
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamoalikum...sir ... usually jo ladies mehndi kushi k moqay par hands pe lagati hain tu us k laganay k badd aksar uss k color dark atta hai ...tu kya uss sai wazu ...or gusal mai koi khalal tu nahi parta....tahnks ..regards

Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to wuzu sahi mana jay ga.jaisa k baghair chemical wali mehdi hoti hay jo faqat haath per apna asar chorh jati hay. .Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.

Print

Id:
3987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: toilet (jahan pishab kia jata ha)wahan wazo,ghusal karna ka bara ma kia huqam ha. thank q.

Answer: Toilet main wuzu or gusul kerna makhoh shumaar kia gaya hay.(E-mail Rcvd from ayatollah sistani(d.b),dated: 07-08-2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4011
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: quran ma wazoo ka tariqa kis ayat ma hy

Answer: Surah e ma’ida ki ayat # 6 me wuzoo ka tareeqa bayaan kia gya he.or ayatollah sistani(d.b), ki kitaab tauzehul masa’il main wuzu k tariqay or shara’it ko tafseel say biyaan kiya gaya hay.aap wuzu ki tafseel ko Tauzee hul masail, maslah#) main maslah # 235 say 343 tak main daikh saktay hain(Ref: A.Sistani(d.b), tauzeehul masa’il ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4060
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamu alaikmum mera question hai k wazu kin cheezaun se toot ta hai

Answer: 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha.
1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4074
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya Cigarate pine se hasne se wadoo makru ho jata hai??

Answer: In kamo say wuzu per koe asar nahi perhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235 - 343). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4618
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya insan ki sharm gah us k jism ka napak hisa hai wazoo farz hai ya ahtraman kiya jata hai?

Answer: 1) 10 cheezain najis hein. 1:peshab 2:pakhana 3:mani 4:murder 5:khoon(blood) 6:kutta (dog) 7:suwar(pig) 8:kafir 9:sharab 10:najasat khor hevaan ka pasenna. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 80). 2) 6 cheezoo ke lie wazoo karma wajib he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 315).

Print

Id:
4623
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: wuzu k baad agar bacchay ki poti wash karain to kia wuzu batil ho jata hai?

Answer: Jee nahi.is kaam say wuzu batil nahi hota.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#322)

Print

Id:
4847
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: agar kisi zakhm waghaira say khoon kharij hona shuroo ho jai to wuzu batil ho jata hai?

Answer: wuzu k baad khoon nikalnay say wozo baatil nahi hota albattah namaz k liay khoon ko pak karna ho ga. (ref : Tauzee hul masayl ayat ullaha khoe (d.b.) masla # 329).

Print

Id:
4885
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal ye hai k wazu ker lainay k baad kitni dair tak qaim rehta hai...agr insaan k sath ksi b kism ka masla na ho tu kab tk wazu rehta hai..

Answer: Ans : 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322)
(Is ma mumkin ha k ya 7 chezain aik din tak na ho to wazu baki reha ga . or ya bhi mumkin ha k wazu karnay ka aik minute bad in 7 chezain me se koi sadir ho jay to wazu batil ha jay ga)

Print

Id:
4906
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ghusl e janabat k baad namaz k liay wuzu kerna haram hay. PLEASE CLARIFY

Answer: Jis shakhs ne gusl e jannabat kia ho zurari he ke namaz ke lia gusl na karey. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 389 )

Print

Id:
5058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Q : Wudhu baja laty wakt chahra (face) ya hathon (hands) dothy waqt ayah ki telawat karna zarori hai k nahai?

Answer: Jo shakhs wuzu karney lagay us k lie mustahab he k duaein parhay.aur dua perhna wajib nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 263)

Print

Id:
5753
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam u elykam. Kya namaz k dooran reekh/hawa ko rokne se wuzu aur namaz tuut jati hai?

Answer: Agar riyaah(gas) kharij ho to wazu batil ho ga aur agar kharij na ho to wazu batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322).

Print

Id:
5819
Mujtahid:
Date:

Question: CAN YOU READ DROOD SHRIEF WITHOUT WUZZU

Answer: yes we can read darood sharif with out wazu. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 315-321

Print

Id:
5860
Mujtahid:
Date:

Question: AOA kiya smoking karney say wazoo batil ho jata hay?

Answer: Smoking karnay se wazu batil nahi hota. Balke 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha.1)peshab 2) pakhana 3)reah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zail ho jay 6)aurat ka istahaza 7)janabat bulke ethiat e mustahib ki bina per har wok am jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322)

Print

Id:
5877
Mujtahid:
Date:

Question: Meray Question ye ha k, kye Qurane Pak parney keleye wazoo ha hona zaruri ha or begair wazoo ke paran keya gunnah ha?

Answer: Baz faqha kahtay hein k quran parhnay k lie wazu karna mustahib he. Lakin ye wazu mustahib hona sabit nahi he. Albetta agar koi shakhs mustahib honay k ethimal honay k sath wazu karay to os ka wazu sahi he. Aur is wazu k sath har wok am kar sakhta he job a wazu ho kar karna zurari he maslan is wazu k sath namaz parh sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321)

Print

Id:
5892
Mujtahid:
Date:

Question: iger gas nicalanay say wazoo tote jay to kia phlay istanja kirna ho ga

Answer: jee nahi gas kharij honay k baad istinja kerna zarori nahi hay.istinja faqat peshab aur pakhana k baad kia jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62 , 63).

Print