Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rad e Mazalim (13 Questions)


Showing 0- 13 questions from 13 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
7271
Mujtahid:
aqa-e-SEESTANI Date:

Question: what is radd e mzalim?n when it bcomes wajib??

Answer: sher’e layhaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe at pta(address) maloom nah ho ta keh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zarori hay. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54594
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalamoalaikum!! Mera sawal ye hai Ke agar koi ap ko bad dua de jis ke sath ap ne zulam kiya ho aur uski bad dua lag jaaye tou kitnay arsay tak uski bad dua ka asar rehta ha . Koi khaas muddat tak asar rehta ha ya hamesha ke liye rehta.

Answer: wassalam o alykum, ager ap us se muaafi maang lain jis per zulum kiya hai to INSHALLAH wo asar katam ho gaae ga.(Ref : nawaa e saleheen , pg # 215 , ALLAH tofiqaat main izafa farmmae).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
103417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-31

Question: Mene paise chori kiye apni zarorat ke liye. Jas k pasia chori kiya thy Nai pata Kon ha or Wo Kaha ha. Ab muj ko apni galti par nadamat ho rahi ha k mea ny Asa q kiya. Dill par ak booj ha. ab mera kafara ada kaise hoga. Ap mari madat Kary ta k Mary dill ka booj kam ho Jay.

Answer: Sher’e layhaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe at pta(address) maloom nah ho ta keh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zarori hay. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-05

Question: If unintentionally I caused wrong to someone, like pushed someone in the crowd or picked up somebody's stationary, all unintentionally and unknowingly, and I don't know them so that I can go and ask for their forgiveness; should I give Rad-e-Mazalim to repent for those sins?

Answer: Yes, You should give Rad-e-Mazalim to repent for those sins. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01807/).
[Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-21

Question: while travelling mjh se gltii se ek bike waly ka handle se takra gya ar wo gir gya mne rukna chaha pr ruka nh gya mjh se uska nuqsaan ho gya is ki maafi kya hogi

Answer: Agar os tak pohachna mumkin ho tu os se maafi maangi jaey or os ka nuqsan poora kia jaey, or agar mumkin nah ho tu nuqsan ka andaza laga kar radd e mazalim ada karain.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01807/)[Updated on 21-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114145
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Agr m ny kisi ki rakum li ho r bad m wo mur jay ya kaheen ghaib ho jay mjhy usja ya usky ky relatives ka pata na chuly r wo ghalut muslim ho tau m kia krun?

Answer: Sharaei lihaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain.
Zaroori hay k radd e mazalim aise 12 imami shia gareeb ko diya jaey jo deendaar ho Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zarori hay.
(Ref: http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ).
(Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0481/ ).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Main ne collage k time main kisi se sone ka kara chori kiya ta os waqat zarorat ti or socha ta k main ye zindagi main kabhi bhe moqa mila to te return karonga.wo main ne 45000 ka os waqat beja ta ek tola se tora uper ta. Ab MA se meri achi salary hai but afsos ki baat ye h k wo bandi mar chuki hai .ab ose return to nai kar sakta .to ab main kiya karon? Aghr os k sawab k liye kisi achy kam main sadqe main dena chaho.to kiya ab 45000 dongi ya nai aj kal k tole k hisab se dongi?

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain.

Sharaei lihaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pata (address) maloom nah ho takeh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Zaroori hay k radd e mazalim aise 12 imami shia gareeb ko diya jaey jo deendaar ho Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zaroori hay.
(Ref: http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ).
(Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0481/ ).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120396
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-08

Question: Mery ps kisi ki koi amant thi 5 saal phly lekin ma wapis krna bhool gya , mujy ab yd aya hy lekin ab uska malik nahi mil rha mujy ab kia krna chy?

Answer: (Note: Aap us amanat ko radde mazalim ke taur par mujtahid se ijazat le kar kisi faqeer ko sadqa kar sakte hain). Q ke sharaei lihaaz se agar kisi k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh wo os ka maal osay lauta sake tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zaroori hay.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01807/).
[Updated on 09-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121034
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-13

Question: Agar haram khamaya ho tu uski wapsi jaiz hai ya sirf tobah karna kafi hai

Answer: Donon cheezen anjam deni hain Q ke khud Tauba or Istighfaar main 6 batain shamil hain un me se aik ye ke logon ka jo haq aap par baaqi hay us ko ada karna (maslan kisi ka maal ya haq, jo nahaq khaya tha {ya haram khaya tha} to us say maafi maangna ya us ka haq ada karna).
Dosri baat ye ke sharaei lihaaz se agar kisi k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh wo os ka maal osay lauta sake tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid (ya us ke wakeel) se ijazat laina bhi zaroori hay.
2: Tauba or Istighfaar main 6 batain shamil hain:
1. Maazi (past) ke gunah par shamindagi.
2. Aaindah (in future) gunah nah karnay ka masboot iradah.
3. logon ka jo haq aap par baaqi hay us ko ada karna (maslan kisi ka maal ya haq, jo nahaq khaya tha {ya haram khaya tha} to us say maafi maangna ya us ka haq ada karna).
4. Jin wajibaat ko ada nahin kiya us ko ada karna (maslan namaz roza ko agar ada nahin kiya tha to us ki qaza bja laana).
5. Jo ghosht maal e haram say jism main paidah hua ho us ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak ke naya ghosht paidah ho.
6. Jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis tarah us ko gunah say maza chakhaya tha.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01807/ . + Nehjul balaghah, kalimaat e hikmaat #417).
[Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: میں نے آج سے 4 سال پہلے 10,000 روپے دےکر 1 شادی شدہ عورت کے ساتھ اسکے گھر پر زنا کیا . . . اور واپسی پر اسکے بیگ سے50,000 روپے چوری کیے . . . میں نے پیسے دےکر بہت بار اور بہت عورتوں کے ساتھ زنا کیا ہے . . . تقریباً 10 سال ہوگئے ہیں ایسا کرتے ہوئے . . پِھر بھی میرا رب میرے گناہوں پر پردہ پوشی کرتا آیا ہے . . میرے رزق میں اضافہ کیا ہے . . مجھے پتہ ہے کے میرا رب اب بھی توبہ کرنے پر مجھے بخش دیگا . . . میں آج پہلی دفعہ یہاں اپنے گناہوں کا اعتراف کرتا ہوں . . . میں ہر بار توبہ کرتا ہوں پر . . . . جس عورت كے پیسے میں نے چوری کیے تھے . . وہ اسکی طرف سے صدقہ کر رہا ہوں کیوں کے اب مجھے اسکا پتہ نہیں . . . کیا یہ ٹھیک ہو گا ؟ اور کیا میری بھی توبہ ہے ؟

Answer: 1: Zina or chori karne ko kabira ghunahon mai shumar kiya gaya hai. lehaza zaroori hai ke haq malik tak puhchaya jaye. aur gunah ki wajah se tauba ki jaye.
2: jin louqo ka maal ya paise chori kie ghe hay agar aap un ka paise ya maal poucha sakte hay tu zarori hay ke un Tak pouchaae or agar aap un louqo ke talaash karne se mayoos hojaay tu Aap un paison ko radde mazalim ke taur par ehteyaate wajib ki Bina per mujtahid ( ya un ke vakeel ) se ijazat le kar kisi ( Deen daar )faqeer(Jo12 imamo ko maanta ho , namaaze or dosere wajib anjaam Deta ho ,or gunaao se ijtenaab karta hay ho )us ko sadqa Dena zarori hay hain Q ke sharaei lihaaz se agar kisi k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh wo os ka maal osay lauta sake tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zaroori hay.
3: Kisi dosre ke saamne apne Gunah ka izhar (aiteraaf) karna jaiz nahin hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition 2009, Maslah #30) + sistani.org + Mujtahid se pochey gaey sawalaat, part #3, sawal #229). Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) 1)
[Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121336
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-16

Question: Assalamualaikum maine takreeban 2mahine pehle apne ghar se gold gayab kiya tha jiise me bhut sharminda aur gunhegaar hu hazrat koi ilaj btaye ki mai maulana sahab ke dua tabeez se bach jau

Answer: Aap khuda ki bargah main sachay dil se Tauba-o-Istighfaar karain aur jin logon ka jo haq aap par baaqi hai us ko ada karain. maslan jin logon ka maal ya haq, nahaq taaur par khaya tha to us se maafi maangain (or un se us maal ka istemaal halaal karaae )ya us ka haq ada karain ya agar wo log nahin mil rahe or un ke Milne se mayoos hoghe ho to un ( Malik ) ki janib se radde mazalm ada karain Yani mujtahid ki ijazat se itna maal ,Malik ki traf se kise shia ,deendaar faqeer ko sadaqa kare .

(Ref: Nehjul balaghah, kalimaat e hikmaat #417,sistani.org ,Urdu,topic:rad e mazalim).
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121502
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-08

Question: Salam Agr koi ghalti karay koi ghareeb ho aap ke gari ka qeemti cheez ko nuqsan ho jye us ghalti sy or aap usy 3 chammat marain to is ma maafi kesy milay ge q ky wo banda ab mil nh rha ky us sy maafi mangi jye

Answer: 1: Us ne jo aap ki ghari ka nuqsaan kiya tha wo use bharna parega.
Albatta kisi maarna jaiz nahin hai aur agar koi kisi ko thappar maar de to is se diyat wajib ho jati hai, jo ke jis shakhs ko thappar maara gaya tha use ada karna wajib hai. agar chehra surkh ho jaye to is ki diyat, derh dinar sharai hai aur badan mein is ka aadha hai, aur agar chehra kabood ho jaye to is ki diyat, chay dinar sharai hai, aur badan mein is ka aadha hai.
Har dinar Muadil (5/3 garam ) sona hai, aur ehtihyat e wajib ki bina par sonay ke alawa koi aur cheez dena kaafi nahin hai, Haan is ki qeemat daryaft karne ke liye musalehat kar satke hain.

2: Jis shakhs par kisi ka maal ya paise ke zimme hon to zaroori hay ke un Tak pouchaye or agar aap un louqo ke talaash karne se mayoos ho jaye to un paison ko radde mazalim ke taur par ehteyaate wajib ki Bina par mujtahid (ya us ke wakeel) se ijazat le kar kisi (Deen daar) faqeer (Jo 12 imamo ko maanta ho, namazein or dosere wajib anjaam Deta ho, or ghunahon se ijtenaab karta ho) us ko sadqa Dena zaroori hay hai Q ke sharaei lihaaz se agar kisi k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh wo os ka maal osay lauta sake tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zaroori hay.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #30. + Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/17862/ ).
[Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122276
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Aoa Agha Sb Main yeh pochna chaata hu , main aik department main kaam kirta hu , Mera kaam ha calls kir k information hasil kirna , office Waly calling software k lye mje recharge k pessy detay hain, but main apny personal resources use kirty hoy bhot ache information hasil kir k department ko daay deta hu ase information shaid calls pay bhe nah mely ...or department b Bht kush or mutmin ha information say ... department walo ko yehe kehta hu calls kir k information Le ha Agha sb pochna yeh chaata hu woh balance (pessy) Jo software recharge ke lye department say melta ha woh apni zaat pay istmaal kir sakta hu koi harj tu ni ha Jazakallah

Answer: Agar aap malik ko batayen or malik is par raazi bhi ho to jaiz hai, aur istemaal kar sakte hain.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443 hij, Mafhoom e Maslah #1301,1302).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print