Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl K Ahkam (736 Questions)


Showing 700- 736 questions from 736 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-05

Question: اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎* Mujh par Ghusal waja ho gia hai Light ni hai pani be kum hai Many Fajar ke namaz phrni hai main mamu k ghr par ho apny ghr par or bat hoti main kasi k ghr par ho

Answer: Jo shakhs Fajar se pehlay bedaar ho aur apne aap ko mujnib paaye lekin sharam waghera ki wajah se ghusl nah kare to is se ghusl saaqt(khatam ) nahin hoga. balke ghusl ka ihtemaam karna zaroori hai Q ke wajibaat ke ajnaam dene aur muharramat se bachne ke sisilay me sharm o haya karna ye koi uzr nahin hai.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01812/#26063 ).
[Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: 1) Ramazan men rat ko Mani kharij na krny ki niyat se agr Kisi larki ki tasweer ko dekha jaye, pr kuch der bad mani be ikhtiyar kharij ho jaye, to is k muatliq kya hukam hai Roza rkhny or Farz namaz prhny ka Ghusal na kr skty hon Sardi ki wajh se ya bemar hony ki wjah se? 2nd yeh k Agr Masturubate kiya jaye, or ghusal wajib ho jaye, magr Sardi hony ki wjah se Bukhar ya bemar hony ka shaq ho ghusal krny se, to is surat men kya kiya jaye, Tayamum kr k Farz Namaz parhi ja skti? Or wo tyamum konsa ho ga. (Or bad men Mosam thk hony ki bina pr, ya Sehat thk hony ki bina pr bad men ghusal kr liya jaye.)

Answer: 1: Agar tasweer men khatoon hijab ke sath ho our lazat ka irada na ho, or haram me parhny ka khauf nah ho, fitna peda hone ka andisha bhi nah ho to jaiz hai. aur agar khatoon hijab men na ho to shehwat ke sath dekhna jaiz nahin hai.
2: Agar yaqeen ho ke mani khari huei hai to Maah e ramazan main azaan subh se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai. Isi tarah namaz ke liye bhi ghusl e janabat karna zaroori hai.
3: Istimna (mani nikalna) or khud lazzati (hand practice/masturbation) karna ye Haram or Gunahaan e kabeera me se hai chahe hath ke zariye ho ya film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. aur baaz riwayaat me ise zina se bhi barah ghunah shumaar kiya gaya hai Q ke ye fitri amal nahin hai. Albatta agar hand practice karte se mani bahir nah niklay to ghusl wajib nahin hoga.
4: Mani be ikhtiyar nikle ya masturbation kiya jaye Dono soorton mein Agar paani ka istemaal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar paani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke paani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to paani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi baatil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.

(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalat Part #4 pg #66, sawal #129. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,659,709,1571. + Tauzeeh ul masail Jaame, part #2, edition #1443, maslah #544).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123143
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: Mein ne ghusle janabat karliya uske thori der baad mein apne donon paon ki ungli par koi cheez lagi dekhi shayad mel tha or mein nahi jannta ke us pe se pani jild tk phncha hoga ya nhi to kya mera ghusl sahi hai

Answer: Agar us jagh se rukawat ko hata kar use ghusl ki niyat se dhoya jaye to kaafi hai, ghusl sahi ho jaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #363,364,379).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123165
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-28

Question: Salamun alaikum mera sawal ye he ki Agar hum ghusl e janabat karete hai To kya hame pehle pura body sabun se dhoo kar pak kar phir ghusl k liye body sukhani padti hai.?

Answer: Ghusl se pehlay jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai balke sirf wo jagh jahan najasat lagi huei hai us jagh ko paak kiya jaye aur paak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai.
Isi tarah sabun, shampoo istemaal karne baad jism ko khushk karna (body ko sukhana) bhi zaroori nahin hai balke usi waqt gheelay badan ke sath ghusl kar sakte hain.
Han albatta is baat ka khayaal rakha jaaye ke sabun ya shampoo istemaal karte hue paani mazaaf na ho jaaye Q ke ghusl ya wuzu me paani muzaaaf hue bagher jism tak puhnchna zaroori hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,360,371).
[Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: Ghusal k doran hawa ko rok kar lena ar ghusal porna karna to kia ghusal ho jata hy k nhe

Answer: Jee ghusl sahi hai. Balke agar ghusl ke dauran hadas e asghar sarzat bhi ho jaye maslan reeh(gas) nikal bhi jaye tab bhi us ghusl ko tark kar ke shuru se ghusl karna zaroori nahin hai balke isi ghusl ko mukammal kar sakte hain. lekin is surat me ehtiyat e lazim ki bina par wuzu karna bhi zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #384,389).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123210
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-04

Question: kiya khuawab me apni hi husband k sath sex krte hue dekhna - jbke subha uthe kr koi ratobat bhi mehsoon na ho., tu kiya ghusal wajib hoga? Ayet Ullah Khaminae ki taqleed me hon.

Answer: Agar koi Khuwab me apne shohar ke sath sex karte hue dekhe to is wajah se ghusl wajib nahin hota, Isi tarah agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin huei (yani ihtelam nahin hua) tab bhi ghusl wajib nahin hota. Han! Agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij huei (yani ihtelam hua) hai to phir ghusl karna hoga. Q ke Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziyada, shehwat ke sath niklay ya bagher shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiyar me ho ya na ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344).
[Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123222
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-06

Question: Asalam o Alikum mera sawal ye ha pehly masla pata nh hony ki waja sy ma na gusal jinabat ma pehly pat sy nichy wala hissa dhoya phr sir gardan phr daya hissa phr baya hissa tou ye gusal galat hungy ya sahe

Answer: 1: Agar jaan bhooj kar aisa nahin kiya ya ghusl ke ahkam seekhne me kotahi nahin ki to ghusl sahi hai.
Lekin agar jaan bhooj kar aisa kiya hai ya ghusl ke ahkam seekhne me kotahi ki hai to phir ehtiyaat e laazim ki bina par ghusl baatil hai.

2: Tarteebi Ghusl ka tareeqa:
Ehtiyaat e laazim ki bina par Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona zaroori hai aur baad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360).
[Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123246
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-08

Question: Assalam U AlaikUm..... AGr gusal Pura kr k shk ho k kxh Reh gaya 1 br Pani dalna tw Phr wuzu se Dubara gusal kia tw hamara gusal ho gaya naw?

Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl baatil hai. lekin agar ghusl ke baad shak ho ke ghusl sahi kiya hai ya nahin to dobara ghusal karna zaroori nahin. Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahin dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kaafi hai is tarah ghusl sahi ho jaaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364,373,383).
[Updated on 09-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123254
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-15

Question: Aslam O ALaikum. Mera sawal ye he kya kise larki se shehwat baten karty waqt khud e pani nikal k ajaye to kya usper gusul wajib hoga ya nahi wo roza rakh sakta he ya nai please guide

Answer: 1: Agar wo ruboobat zel me bayan ki gayei in 3 alaamaton ke sath niklay to ghusl karna hoga warna nahin. 1-Agar wo ruboobat shehwat ke saath niklay. 2-Uchal ka niklay. 3-Nikalne ke baad badan sust ho jaye to ghusl kar ke baad me roza rakh rakhna hoga.
Lekin agar ruboobat me in 3 alaamaton me se saari ki saari ya kuch mojood nah hon to ghusl wajib nahin hoga aur roza rakh sakte hain.

2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen (3) tarah ki mazeed rutoobatain kharij hoti hain: 1-Wo rutoobat jo khabi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2-Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3-Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. Agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai.

3: Na-mehram se baat cheet ke hawale se aap ko aik sharaei masleh ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke, Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koe aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona (parna) jaiz nahin hai.

4: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho, isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubhaarne wali ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510).
[Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123268
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-13

Question: Sallam sain Jesa k mene prah he k bivi apne shohr ko muth mar sakti he, kia usk bad sirf husband p ghusal wajib hoga ya bivi p bhi wajib hoga

Answer: 1: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar aurat ki sharamghah me daakhil (enter) nahin huei aur biwi ne shohar ki mani apne haath se istimna (masturbation) kar ke khaarij ki hai to is soorat me sirf shohar pe ghusl ki zimme daari aaye gi lekin biwi par ghusl wajib nahin hoga.

2: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me daakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me, mard aur aurat dono junub ho jate hain. {yani sirf uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me dakhil ho jaye to mard aur aurat dono par ghusl e janabat aa jata hai}.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,348).
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123281
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-14

Question: Salam Agr kiss. Karain sirf msg pah r sharamgah main white Pani ho r usy tissue say saaf kar lain r kaoray pah na lagy to Kiya ghussal Lazmi hy Dhaikhy baghair h tissue say saaf kar dain pata na ho mani hy wazi hy ya wadi ya licoriya to Kiya ghussal wajib hy r lazaaf b ni ai plz Bata dain bcz Ramadan hy

Answer: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat ke waqat apni sharamghah men mehsoos karti hain aur wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda kare to wo paak hai aur us ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi batil nahin karti hai, Han! agar rutobat is qadar ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libbas ko aalooda kare jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intihaa ko puhnch jaye aur mukammal razamandi (orgasm) ho to najis aur janabat ka moojib hai balke agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis aur janabat ka moojib hai aur in maqamat par jahan aurat shak kare ke rutoobat is had se ziyada puhnchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak kare to ghusl wajib nahin hai aur wuzu aur ghusl baatil nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345).
[Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123283
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-14

Question: Wife k sath romance kissing krny k bd sperm ka thick qatra nikal ai tou Kya namaz parh sakty hai?

Answer: 1: Agar wo ruboobat zel me bayan ki gayei in 3 alaamaton ke sath niklay to ghusl karna hoga warna nahin. 1-Agar wo ruboobat shehwat ke saath niklay. 2-Uchal ka niklay. 3-Nikalne ke baad badan sust ho jaye to ghusl kar ke baad me namaz parhni hogi.
Lekin agar ruboobat me in 3 alaamaton me se saari ki saari ya kuch mojood nah hon to ghusl wajib nahin hoga aur namaz parh sakte hain.

2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen (3) tarah ki mazeed rutoobatain kharij hoti hain: 1-Wo rutoobat jo khabi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2-Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3-Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. Agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345,356).
[Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Assalam Alaikum Mjhe ye pochna hai agar zeere naaf baal thory rehjaen tu ghusal hojata hai paki hojati h ya nahi?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, zeer-e-naaf baalon ke kaatne ya na kaatne ya thoray reh jaane ka ghusl se koi talluq nahin, ghusl is ke bager bhi ho jata hai. ( Ghusal me jisam ke har hisse tak pani pouchana zarori hay or un chote baalo ka dhona bhe zarori hay jo jisam ka jus shumaar hote hay)

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,355,356,360).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123371
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Agar shohar k sath bos o kinar karne k bad relax wali feelings aen jesi discharge hone k bad ati hain jab k na he aik dusre ki sharmga ko touch kia ho na he intercourse ho na he aesa karne ka irada ho aur discharge yan mani josh k sath nikalti na mehsoos ho to gussal ka aur roze k totne ka kia hukam hai. Bus bos o kinar karte karte aesi feelings aen k jese discharge hone k bad atin hain aur kamzori mehsoos hoti hai pls rehnumai karen

Answer: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat ke waqat apni sharamghah men mehsoos karti hain aur wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda kare to wo paak hai aur us ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi batil nahin karti hai, Han! agar rutobat is qadar ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libbas ko aalooda kare jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intihaa ko puhnch jaye aur mukammal razamandi (orgasm) ho to najis aur janabat ka moojib hai (aur rozay bhi batil hoga) balke agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis aur janabat ka moojib hai (aur rozay bhi batil hoga) aur in maqamat par jahan aurat shak kare ke rutoobat is had se ziyada puhnchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak kare to ghusl wajib nahin hai aur wuzu aur ghusl baatil nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123424
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-21

Question: Wajib ghusl se pehle jism dgoya jae or Agar ghusul k doran koi cheez jism per lagi reh jae or bad me maloom chale k wo jagha pani nahi laga to kiya ghusl hojaega khuwaah wo jagha nakhun se b choti ho..?

Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl baatil hai Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahin dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kaafi hai is tarah ghusl sahi ho jaaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364,373).
[Updated on 22-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123439
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-28

Question: Jab mein rt ko sota to to mujhe aksar weham rehtahai mein underwear geela pehen kr soojta hun aur jab subha uth ke dekhta hun to geela rehta lekein shak rehta mani hai ya pani hai phr adha ghanta shak mein mubtala rehta hun ke ehtalam hua ya nahi .....iska kya hul hai

Answer: 1: Jab tak yaqeen ya aqalmandana itmenaan na ho ke koi mani kharij huei hai ya nahin us par ghusl wajib nahin hoga aur waham aur shak ki soorat me apne aap ko paak maana jaye ga.
2: Jo koi (mard o aurat) kaseer-ul-shak ho (yani buhat ziyada shak karta ho) aur waswasay ki beemari main mubtela ho to us ko apne shak ki parwa nahin karni chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.
3: Shaki mizaj aur waswason ke shikaar hone wale ko istiaaza (اَعوذ باللہ) parhna chahiye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #351. + Istiftaat A.Sistani I-49. + Barakat e ism e aazam by doctor sakhawat hussain sandralvi).
[Updated on 29-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123548
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-10

Question: Assalamualaikum, Agar Farz Gussal karne ke bad gussa me shak(doubt) ya "yaad na ho" ke gussal ke sare faraiz kiye ya nahi , to kya gussa firse karna padega?

Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl baatil hai. lekin agar ghusl ke baad shak ho ke ghusl sahi kiya hai ya nahin to dobara ghusal karna zaroori nahin. Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahin dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kaafi hai is tarah ghusl sahi ho jaaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364,373,383).
[Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123556
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-11

Question: Sir par agar koi zakhm hoto gusl kese kre

Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai. Ab agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai.

2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709).
[Updated on 12-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123687
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Salamunalaikum, jism per garmiyun mei pasina ki wajah se mael jama hojata hai jo zahir nhi hota, ab gusl e janabat k waqt kia us mael ki wajah se pura jism dhona pehle zroori hai aur baad mei gusl kia jaaye. Kia woh mael jiska pata nhi woh zahir nhi kia woh rukawat hai pani keliye. Kyunke woh mael skin ka part hi lgta bsss jab ragde tou nikalta hai.

Answer: Umoomi tour pe Jism pr paseena rukawat shumar nhi hota lekin agr vo chiknahat ki sorat ikhtiyar krle or aisi chiknahat jo badn pe pani phnchane me rukawat ho to use gusal se pehle hatana zarori hai.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.m, 39th Edition, Masla No. 376
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-16

Question: Asslam o Alikum Sir shohar k hath lgany orat ki ijtama krny ki khwaish peda hoti h agr shohar n bv ko hath lagaya lakin ijtama ni kiya lakin orat release ni hoi is sorat m orat begr gusal kiye nmz par skti h??

Answer: Agr Inzaal nhi hua to iss sorat me gusal wajib nhi hota aur baghair gusl k namaz bhi jaiz hai or wadho bhi batil nhi hota..
(Ref : Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 345)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123763
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-13

Question: Gushal ke dauran agr maazi nikal jai to kya kre?

Answer: Vo rutubat jo baz aukat mard k alae tansl se shehwat ubharne pe nklti hai use "Mazi" kaha jata hai aur yh pak hai
Vo rutubat jo baz aukat mani k baad kharij hoti hai use "Wazi" kaha jata hai aur yh bhi pak hai
V rutubat jo baz auqat peshab k bad kharij hoti hai use "Wadi" kaha jata hai agr us me peshab na mila ho to pak hai vrna najis hai.
In tamam rutobaton se gusal wajib nhi hota naiz wadho/gusal bhi batil nhi hota
(Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 70)
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Agr urat or mard kapro main humbistari kre to gusal wajib hai kya

Answer: 2 Cheezo se insan mujnib hojata hai or uss pr gusal wajib hojata hai 1. Jima/Hambistari 2. Mani k kharij hojana
(Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 344)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Kya hum biwi k sath srf romance kr k naked sony k bad fajar k lye nimaz prhny k lye uth skty hy ya hamein shower lena pryga?

Answer: Agar jima nhi kia lkn mani kharij hui hai to bh insan mujnib hai aur zararori hai k insan namaz se pehle gusul e janabat anjam de.
(Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 344)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: gusal farz tha, pura badan pa pana baha liya gandagi door ho gayi, kapra pehan liya yad aya baki 2 farz ni pura howa ab woh 2 bhi kr liya 2 min ka waqfa sa gusal howa ka ni howa ?

Answer: Agar ghusul apne shari tariqe se anjam pa chuka hai to masla nhi hai..
Ghusal ka tariqa: Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125663
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: Kya gair mehran ko choone se gusl toot jata hai

Answer: ( jab tak mani kharij na ho ya humbistri na ki jaay us waqt tak srif choone se ) ghusl baatil nahin hota. Albatta na-mehram mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair.

(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322,2397).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125723
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: How many Ghusl are required for a woman in Shia?

Answer: Wajib ghusl aath hain:
(1) Ghusl e Janaabat. (2) Ghusl e Haiz. (3) Ghusl e Nifaas. (4) Ghusl e Istehaaza. (5) Ghusl e masse mayyet. (6) Ghusl e mayyet. (7) Woh Ghusl jo nazar ya qasam waghaira ki wajah se waajib ho jaaye. (8) Agar chand ya soraj ko mukummal girahan laga ho aur mukallaf jan bhooj kar namaz e aayaat na parhay yahan tak ke namaz qaza ho jaye to ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us ki qaza ke liye ghusl kare.

(Note: ye sare ke sare ghusl aurat pe wajib hote hain lekin In me se 3 ghusl (haiz, nifaas, istehaza) aurat ke sath makhsoos hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #344, page #62).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: Kia ubly huy Pani Sy ghusal hojata hai?

Answer: Jee han, uble hue paani se ghusl kar sakte hai aur ghusl ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #372).
[Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-26

Question: Mushzani ka gusal ka tariqa

Answer: 1: Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai.

2: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: Ehtiyaat e laazim ki bina par Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona zaroori hai aur baad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

Note: Inasan chahe haram (mushtzani) ke zariye junub hua ho ya halal (nikah) ke zariye, Ghusl ka tareeqa aik hi hai jo ke bayan kiya gaya hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360).
[Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125824
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-26

Question: Agar koi shakhs 3 din me 3 bar jima kar le or pani ka intazam na honay ki vajah se gusal na kar pay ab 3rd time jima k bad usay kitni dafa gusal karna ho ga? Aik he gusal 3 din ki junbiat k lia kafi ho ga ya alag alag 3 bar karna lazim ho ga

Answer: Aik hi ghusl kaafi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #356,387).
[Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125984
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-05

Question: Pishab krte we agr lase nkl gae to napak ho jate hain kia?

Answer: Mard ki sharamghah se mani ke alawa mazeed teen tarah ki rutubatain bhi kharij hoti hain:

1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti.
2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai.
3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai. mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345).
[Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Agr biwi ki sharm gaa mei husband ki Sharm gaa Chali jay lykin biwi ka na to Pani nikly or na he Mani to kaua biwi pr phir b gusal wajib hota h

Answer: Jee han, phir bhi biwi pe ghusl wajib ho jaye ga. Q ke agar koi shakhs aurat se jima (intercourse) karay aur azu e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil ho jaye to ye dukhool faraj (agli sharmghah) me ho ya dubr (back side) aur chahe balig ho ya na balig aur chahe mani kharij ho ya na ho dono mujnib ho jatay hain. Aur namaz ya is jaisi doosri ibadaton ke liye ghusl e janabat karna wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348,356).
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Agr rozey ki halat m gusal lazim ho jaye or hum gusal kr len to kia iftari k baad dubara sahi tareekey se gusal krna parega?

Answer: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: Ehtiyaat e laazim ki bina par Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona zaroori hai aur baad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

(Note: Upar bayan gaye tareeqay ke mutabiq agar pehli martaba hi sahi tareeqay se ghusl kar liya tha to iftaari ke baad ghusl karne ki zaroorat nahin hai).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360).
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Agar koye aftare ki bad musht zani karai our ghosal na karai our Kal ka Roza rakkai to Kiya us ka Roza Tek hain or Kal ghosal kaise karai

Answer: 1: Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai.

2: Azan e Subh tak halat e janabat par baaqi rehne se roza batil ho jata hai, Agar azan subah tak ghusl na kiya jaye to zaroori hai ke is din mafi u zimmah ki niyat se roza rakhe (yani jo bhi Allah Taala ke nazdeek mere liye zimmedari hai us ko Allah Taala ke liye anjaam de raha hon), or phir ramzaan ke baad isi roze ki qaza kare lekin is main qaza ki niyat na kare balke mafi u zimmah hi ki niyat kare, or Azaan e Subha se pehle ) (ajan bouge kar )gusal e janabat na karne ki waja se kaffara bhi wajib ho jaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1591,1630).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126335
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: Peeshab ka sth ahtlam par ghuzal fsrz hau

Answer: mani ki alaamat ye hai ke 1. uchal kar nikle, 2. shehwat ke sath nikle, 3. nikalne ke baad badan sust ho jaaye siwaaye ye ke beemar ho. Jis rutoobat mai in teen alaamaat me se koi aik alaamat bhi na ho to wo mani nahin kehlaaye gi. Peshaab ke baad jo rutoobat kharij hoti hai use wadi kaha jaata hai agar is rutoobat ke saath peshaab mila hua na ho to ye paak hai aur is rutoobat ke khaarij hone se ghusal wajib nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345).
[Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126338
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: السلام علیکم اگر گندی فلم دیکھ کر یا عضو حاص کو پکڑ کر مسلا جاۓ اور محسوس ہو کے منی خارج ہوئی ہے مگر حقیقت میں کوئی قطرہ بھی نہ خارج ہوا ہو تو کیا اس صورت میں غسل واجب ہو گا یا نہیں ۔

Answer: Jab tak mani kharij hone ke baare me yaqeen ya aqalmandana itmenaan na ho ghusl wajib nahin hota. Isi tarah agar mani apni jagah se harkat kare lekin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij huei hai ya nahin to us par ghusl wajib nahin hota.

Abatta waazih rahe je jinsi filmon (porn movies) ya tasaveeron (porn pictures) ko shehwat ke sath dekhna Haram hai, balke Ehteyat wajib ki bina par fahash filmon (porn movies) aur tasweeron (porn pictures) ka dekhna baghair shehwat ke bhi Haram hai.
Isi tarah Istimna or khud lazzati (hand practice/masturbation/mushtzani) karna Haram or Gunahaan e kabeera me se hai chahe hath ke zariye ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. aur baaz riwayaat me ise zina se bhi barah ghunah shumaar kiya gaya hai Q ke ye fitri amal nahin hai. Aur is ghunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (Jaise jinsi filmen dekhne, mushtzani e.t.c........) me mubtila hota ho to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #351,2407. + Jadeed fiqhi masail, maslah #463. + Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), part #2, edition #1443, maslah #544).
[Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126365
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-22

Question: Asslam u allaikum Mra sawal ye ha k agr koi shaks musht zani krta ha lekin us k uzu e tanasul s mani ya mazi weghaira nahi niklta toh is halat me admi pak hoga ya na pak? Or dusra sawal ye ha k please mjy confirm krein k mra gusal ka tariqa thk ha ya nahi: Phly me niyat kr k sr ko achi trha dho leta hu or phr kulli or nak me pani dal kr 3 3 dfa us k baad beth jata hu apni tango ko dhota hu 3 dfa kr phr pury badan pr pani dalta hu 3 dfa or achi trha apny hatho se pury jism ko mlta hu ta k koi hissa khushk na rh jaye pani hr jga lg jaye or wo jga pani se gili ho jaye Please answer this. Jazak Allah

Answer: 1: Jab tak mani kharij hone ke baare me yaqeen ya aqalmandana itmenaan na ho ghusl wajib nahin hota. Isi tarah agar mani apni jagah se harkat kare lekin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij huei hai ya nahin to us par ghusl wajib nahin hota. Abatta waazih rahe ke Istimna or khud lazzati (hand practice/masturbation/mushtzani) karna Haram or Gunahaan e kabeera me se hai chahe hath ke zariye ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. aur baaz riwayaat me ise zina se bhi barah ghunah shumaar kiya gaya hai Q ke ye fitri amal nahin hai. Aur is ghunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (Jaise mushtzani e.t.c........) me mubtila hota ho to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.

2: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: Ehtiyaat e laazim ki bina par Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan aik sath dhona zaroori hai aur baad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #351,360,2407. + Jadeed fiqhi masail, maslah #463. + Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), part #2, edition #1443, maslah #544).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print