Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl K Ahkam (737 Questions)


Showing 650- 700 questions from 737 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121232
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-14

Question: Asslam o alikum...agr aurat haiz Sy ho or Sath Mani b kharij ho or usny baby ko feed b krwana ho tou ghusal KY kia ahkam hain

Answer: 1: Aurat, haiz ya janabat ki halat me bache ko doodh pila sakti hai.
2: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai.
(Note: is fatwe se 2 baatain wazeh ho rahi hain:
1- Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz or ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai. Maslan kisi aurat par ghusl e janabat or ghusl e haiz wajib hai to agar aurat ghusl e janabat ki niyat se ghusl kar lay to phir us par wajib nahin ke ghusl e haiz bhi anjam day.
2- Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam de or phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,387,448).
[Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: Salam . Mera sawal ye hai k kiya mani nikalne ki sorat mai gusl pura anjam dena parega ya sirf begair baal dhoe bhi sirf adhe badan ka gusul anjam de skty hain ?

Answer: 1: Chahe koi saa bhi ghusl ho us ki niyat ke sath pehle pura sar or garden dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad men baaen taraf se dhoya jaye.
2: Ghusl mein un chhote chhote baalon ko jo badan ka juz shumar hote hain dhona zaroori hai aur lambe baalon ka dhona wajib nahin hai balke agar pani ko (sar ki) jild tak is tarah puhnchayen keh lambe baal tar nah hon to ghusl sahi hai lekin agar inhein dhoye bagher jild tak pani pahunchana mumkin nah ho to inhein bhi dhona zaroori hai takeh pani badan tak pahunch jaaye.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #360,378).
[Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121387
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-15

Question: Ghusal me gardan or sar k bad pani se hatna hota hayna phir baki hissa dhotay hayn. Tou agar sar or gardan dho li aur shower band krdia phir shampoo baalo pe laga ke baki ghusal continue krlen pehle righr hissa phir left tou ghusal sae hay?

Answer: Jee han, ghusl sahi hoga Q ke wo tamam sharaait jo wuzu ke sahi hone ke liye zikr ki ja chuki hain maslan pani ka pak hona aur ghasbi nah hona wohi sharaait ghusl ke sahi hone ke liye bhi hain. Laikin ghusl mein ye zaroori nahin hai ke insaan badan ko upar se niche ki janib dhoe. is ke alawa ghusl-e-tartibi mein ye zaroori nahin ke sar aur gardan dhone ke bad fauran badan ko dhoye. Lihaza agar sar aur gardan dhone ke bad tawaqquf kare aur kuch waqt guzarne ke bad badan ko dhoye to koi haraj nahin balke zaroori nahin ke sar aur gardan ya tamam badan ko aik sath dhoye Ps agar Misaal ke taur par sar dhoya ho kuch dair baad gardan dhoye to jaiz hai laikin jo shaks peshab ya pakhaana nikalne ko nah rok sakta ho taham use peshab aur pakhaana andazan itne waqt tak nah aata ho ke ghusl kar ke namaz parh lay to zaroori hai ke fauran ghusl kare aur ghusl ke bad fauran namaz parh lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #379).
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-07

Question: Assalam o Alikum, me y janna chahti hu agr janabat k bad apko pani mahiya na hu ghusal k lye to uske kya ehkam h or khane pine ki cheezo ko hath lga skte h kya bina ghusal k.

Answer: 1: Sab se pehle to ye hukum hai ke agar insan aabadi (jese shahar ya gaon) main ho to zaroori (wajib) hai ke wuzu aur ghusl ke liye pani muhaiya karne ke liye itni justuju kare ke bil aakhir us ke milne se na umeed ho jaye, jab na umeed ho jaye to ghusl ke badle tayammum karna zaroori hai.
2: Jee han, ghusl kiye bager khane, peene ki cheezon ko hath laga sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #638,354,355).
[Updated on 07-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121535
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-12

Question: Aoa sir mra sawal ya ha ka agr kisi lrki sa bt krta waqt mani to ni lkn Mani jesa Pani sa nikal aye to kia aysi surat ma gusal wajib hoga ya ni or agr wo kapra sirf Waha sa wash kr Liya jay or stanjah kr Liya jay to kia phr b gusal wajib ha or aysa hmmm namaz par skta ha ya ni

Answer: Wo ratoobat jo shehwat angez khayalat ke waqt insan apni sharmgah men mehsoos karta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahin hota or na hi ye wazu ko batil karti hai. lehaza bager us maqam ko dhoye namaz parhi ja sakti hai.
Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho .
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,345,Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125
[Updated on 13-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121548
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-29

Question: Agar raat ko sote hue mazi kapron per lag jaye to kiya kapre napaak hojaye hain??agar ho jate hain to sirf paani laga kar paak kiye ja sakte hain ya nahi???plz reply

Answer: 1: Sotay (yani neend ki halat) men mani ke kharij hone ko ehtilam kehtay hain. Aur do cheezen ghusl e janabat ka sabab banti hai: 1) Jima (intercourse) karna. 2) Mani(semen) ka nikalna, ab chahe mani, neend ki halat main nikle ya jaagte men, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikale ya baghair shehwat ke aur iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. lihaaza sote me mani kharij hone ki wajah se aap par namaz aur is tarah ke ibadaton ke liye ghusl karna wajib hai aur badan aur libas ki us jagah ko bhi paak karna zaroori hai jahan mani lagi hai.
2: Agar kisi shakhs ke badan se koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo ratoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karna pare ga, us libas ko pani se pak karna pare ga) laikin agar in teen alamaat main say saari ki saari ya kuch alamaat maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai aur libas ko pak karne ki bhi zaroorat nahin hai), Laikin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rotoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi.
3: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed ratubatain kharij hoti hain: 1) Wo ratoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu ghusl ko bhi batil nahin karti. 2) Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3) Wo ratoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad ratubat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 ratoobato me se koi aik to wo paak hai. (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai aur libas ko pak karne ki bhi zaroorat nahin hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,154,344,345,356).
[Updated on 30-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121567
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-24

Question: Kia washroom Mai kharay hokr ghusal jaiz h ya Beth k he krna hota h?

Answer: Khare ho kar ya beth kar, dono me se jis tarah bhi ghusl kiya jaye, jaiz hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #185).
[Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121571
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-23

Question: Eid Kai nimaz Kai leye nahana wajeb hai??

Answer: Namaz e eid ke liye nahana, nah to wajib hai aur nah hi mustahab. Han albatta eid-ul-fitr ya eid-ul-azha (jo bhi eid ho)ke din Allah ke khatir gusal ki niyar se ghusl karna muhtahab ( behter )hai laikin wajib ( zarori ) nahe hay.

(Note: Nahana aur ghusl karna do alag alag cheezien hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #634).
[Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121576
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-29

Question: Agar raat k samay kapde par kuch halka bilkul halki safedi dikhe aur pata na chale ki ye mani hai ya mazi, to kya gusl wajib hoga? Rozana ka masla ho chuka hai...aur roz gusl karke pareshan ho gaya hoon..plz reply!!

Answer: 1: Agar kisi shakhs ke badan se koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo ratoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karna pare ga) laikin agar in teen alamaat main say saari ki saari ya kuch alamaat maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Laikin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rotoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi.
2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed ratubatain kharij hoti hain: 1) Wo ratoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu ghusl ko bhi batil nahin karti. 2) Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3) Wo ratoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad ratubat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 ratoobato me se koi aik to wo paak hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345).
[Updated on 30-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121598
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Kya ghair shadi shuda larkiyon pai ghusal e jannat wajib hota hai? Agar wo aisa khawab dekh lai. Jis mai shewat ho. Koi feelings wala khawab ho. Aur larki ko feelings ai. Aur us khawab se wo nend mai discharge hojai.to kya us larki par ghusal e janabat wajib hoga? Unmarried larkiyon kai baray mai hai ye sawal. Kindly bata dijiye.

Answer: 1: Buhat se log ihtehlam ko mardon ya khaas taur par no umr larkoon ke sath jorhte hain, lekin khawateen ko bhi ihtehlam ho sakta hai. ihtehlam ki wajah se orgasm ke sath sath khawateen ki endaam nihani se rutoobaten nikal sakti hain. mardon ko ihtehlam ka ziyada khatrah ho sakta hai Q ke woh qudarti taur par aik raat mein kayi uzoo peda karte hain.
2: Wo rutoobat jo Khawateen mulaabeat ya shehwat angez tasawwuraat ke waqt apni sharamgah mein mehsos karti hain aur wo ratubat itni miqdar me nah ho ke dosri jaghon ko aaluda kare, pak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko b batil nahin karti hai. Haan Agar rutoobat is qadr ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libaas ko aalooda kar day, jabke sath sath aurat heejan shehwat ki inteha ko puhunch jaye aur mukammal raza mandi (Orgasm) ho to najis aur jinabat ka moujib hai. Balke agar heejan shehwat sath nah bhi ho to bhi Ehtiyat-e-lazim ki bina par najis aur janabat ka moujib hai aur un maqamat par jahan aurat shak kare ke ratubat is had se ziyada puhunchi hai ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone me shak kare to ghusl wajb nahin hai aur wuzu aur ghusl bhi batil nahin hain.

(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345. + Link: https://oladoc.com/health-zone/ehtelam-kya-hai-in-urdu/#%D8%AE%D9%88%D8%A7%D8%AA%DB%8C%D9%86_%DA%A9%D9%88_%D8%A7%D8%AD%D8%AA%D9%84%D8%A7%D9%85_%DB%81%D9%88_%D8%B3%DA%A9%D8%AA%D8%A7_%DB%81%DB%92 ).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121600
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Beemari ki halat m janabat m namaz prh skty hn kya?

Answer: Namaz or is jaisi ibadaat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. Han agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,659,709).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Mry fracture hua va h kya m intercourse k baad bghr nahae namaz prh skti hn???

Answer: 1: Namaz or is jaisi ibadaat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab( behter ) ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa tota hua ho to zaroori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai.
2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121604
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Assalamualaikum Sir , Mjhe peeshab krne k baad ek resha type cheez kharij hoti hai jo transparent hai pani ki trh lekin chipakti hai. Ye jab bhe mein peeshab krta hun uskay baad he ati hai aur 10 saal hochukay hein is se aram nai aya. Mjhe inkay niklnay se kamzori bilkul nai hoti lekin mein napak feel krta hun. Please answer

Answer: Mard ki sharamghah se peshaab o mani ke alawa 3 aisi rutobatain kharij hoti hain jo nah hi peshaab hoti hain or nah hi mani wo ye hain 1-wadi, 2-mazi, 3-wazi or ye teno paak hain na in se wazo totta hai or na hi ghusl wajib hota hai. Wazahat: wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard ke aalaa e tanasul se kharij hoti hai use "mazi" kehte hain or wo paak hai or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani ke kharij hone ke bad niklti hai use "wazi" kehte hain ya phir wo rutoobat jo baz oqat peshab ke bad nakalti hai use "wadi" kehte hain agar in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121606
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Ghusal krty wqt pehly jism ko sabhun sy dhona chahye ya pehly ghusal KR liya Jaye phir jism pr sabhun mala Jaye?

Answer: Ghusl se pehlay Jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai balke sirf wo jagh jahan najasat lagi hui hai us jagh ko paak kiya jaye aur paak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai. (Han is baat ka khayaal rakha jaaye ke sabun ya shampoo istemaal karte hue paani mazaaf na ho jaaye Q ke ghusl ya wuzu me paani ka muzaaaf hue beghair jism tak puhnchna zaroori hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,360).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121630
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-06

Question: Kiss,karne sa,ghusul wajib hota,hai ke nhi

Answer: 1: Agar bosa(kiss) dene se aap muraad kisi na mehram khatoon ko bosa dena hai to ye Haram aur ghunah e kabira hai lekin is se ghusl wajib nahin hota, Q ke do cheezen ghusl e janabat ka sabab banti hai: 1) Jima (intercourse) karna. 2) Mani (semen) ka nikalna, ab chahe mani, neend ki halat main nikle ya jaagte men, kam ho ya ziyadah, shehwat (lazzat) ke saath nikale ya baghair shehwat ke aur iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho.
2: Na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, chhoona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hain. aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.
3: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,356,397,2407. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-09

Question: Asslamo alekum.. agar bina humbistri ke admi ki mani nikalti hai r wo biwi ke hath par lag jae to kya biwi par gusl farz ho jata hai

Answer: Biwi par ghusl wajib nahin hoga faqat apne hath ko dho kar paak karegi.
(Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,119,156).
[Updated on 09-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121718
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-23

Question: Assalamualaikum agar raat ko ehtelam ho jaye aur kapde pr lg jaye to kya ham itna hissa dhoke dusre kapde pehn skte hai ya pura ghusal krna pdega sir se per tak

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Namaz, roza ya is tarah ki ibadaten anjaam dene ke liye ghusl karna aur apne badan aur libaas ko paak karna ya libaas ko tabdeel karna wajib hai, warna nahin.
2: Tarteebi Ghusl ka tareeeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar or gardan dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad men baaen taraf se dhoya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,360,787).
[Updated on 24-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121729
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-26

Question:  Ghusal me gardan or sar k bad pani se hatna hota hayna phir baki hissa dhotay hayn. Tou agar sar or gardan dho li aur shower band krdia phir shampoo baalo pe laga ke baki ghusal continue krlen pehle righr hissa phir left tou ghusal sae hay?

Answer: Jee han, ghusl sahi hoga Q ke wo tamam sharaait jo wuzu ke sahi hone ke liye zikr ki ja chuki hain maslan pani ka pak hona aur ghasbi nah hona wohi sharaait ghusl ke sahi hone ke liye bhi hain. Lekin ghusl mein ye zaroori nahin hai ke insaan badan ko upar se neehe ki janib dhoye. is ke alawa ghusl-e-tartibi mein ye zaroori nahin ke sar aur gardan dhone ke bad fauran badan ko dhoye. Lihaza agar sar aur gardan dhone ke bad tawaqquf kare aur kuch waqt guzarne ke bad badan ko dhoye to koi haraj nahin balke zaroori nahin ke sar aur gardan ya tamam badan ko aik sath dhoye, pas agar misaal ke taur par sar dhoya ho kuch dair baad gardan dhoye to jaiz hai laikin jo shaks peshab ya pakhaana nikalne ko nah rok sakta ho taham use peshab aur pakhaana andazan itne waqt tak nah aata ho ke ghusl kar ke namaz parh lay to zaroori hai ke fauran ghusl kare aur ghusl ke bad fauran namaz parh lay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #379).
[Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121769
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-01

Question: Kia nashtay k baad gusal e janabat kia ja skta h? Sardi ho or fajar k waqt thand ki waja sy ya join family hony ki waja sy nahana muahkil ho to

Answer: Namaz, roza ya is tarah ki ibadaten anjaam dene ke liye ghusl karna wajib hai, warna to din me kisi bhi waqt kiya jaa sakta hai. lihaza namaz e fajr ke liye ghusl e janabat karna zaroori hoga taake namaz e fajr ada ki jaake q ke jaan bhooj kar namaz qaza karna Haram aur gunah e kabira hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356. + Tauzeeh ul Masail Jaame, part #2, maslah #394).
[Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-02

Question: Salam sir agar gusAL E JANABAT KAR LE OR IS K BAD PATA CHALY K BADAN K LEFT OR RIGHT side DONO JAGHA PAR ESA JES Hy k Pani nahi pohoncha Hy or ap ghusL k bad seraf wo JAGHA do Len jahan Pani nahi pohoncha Hy to kiya ghusL sahi Hy My ny agha e Waheed khursani ka fitwa kahi dekha tha is ny kaha tha k agar sar. O gardan dhony ka bad agar BADAN k kor his dhonu sy reh jaya to seraf wo JAGHA dho Len to gusAL sahi hy

Answer: Rukawat hatane ke bad agar woh baaen taraf (left side) ho to sirf usi miqdaar ka dho lenaa kaafi hai aur agar daaen taraf (right side) ho to Ehteyaat-e-mustahab (yani behtar hai) keh daaen taraf (right side) ki itni miqdaar dhone ke baad baaen taraf (left side) ko dubara dhoyen, (lekin ye zaroori nahin hai balke jo bhi side rukawat ki jagah se dhulne se reh gayei ho sirf usi maqam ka dho lena kafi hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364).
[Updated on 03-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121950
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-02

Question: Agr himbistari k fornn baad aurat ko periods ajain to Kya Ghusal lyna wajib hai.?

Answer: 1: Wajib nahin hai, han agar aap chahen to abhi fauran janabat ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain.
2: Jis kisipar chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kafi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387).
[Updated on 03-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121951
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-31

Question: Agr himbistari k fornn baad aurat ko periods ajain to Kya Ghusal lyna wajib hai.?

Answer: 1: Wajib nahin hai, han agar aap chahen to abhi fauran janabat ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain.
2: Jis kisipar chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kafi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387).
[Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-13

Question: Assalamualaikum. Mera sawal ye hai ki ahtelam ya hambistari ke baad jo gusal hota hai. Pahle maine toilet ko gaya wahan pe hi sharmgah ko paani se dhoya. Phir dono hath dhole. Phir wuzu karte gusal kiya. Gusal me pure garagars kiya naak me pani chadhaya aur sare badan par paani bahaya. Par maine toilet me sharmgah dhoya tha yahan nahi dhoya kya gusal ho jayega?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Ghusl se pehle wo jagh jahan najasat lagi hui hai us jagh ko paak kiya jaye aur paak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai.
2: Tarteebi Ghusl ka tareeeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar aur gardan dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,360).
[Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122121
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-22

Question: AoA, agr koi shaks porn dhkhy or Usk doran apny Azo e khas ko tangong k bich ma dba dy...or usi doran agr usko lgy ki usk Azo e khas Sy koi ratoobat Halka sa ulchal k nikli h...lekn wo ratoobat bhr ni nikli ho or nahi koi nishani ho...or bndan k sust hony ka yaqeen na ho...to kia wo Mani k hukum m aye ga...or kia is Sy gussul wajib hoga?

Answer: 1: Agar kisi shakhs ke badan se koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo ratoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karne ka sabab bane gi) lekin agar in teen alamaat main se saari ki saari ya kuch alamaat maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Lekin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rutoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi.

2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed rutubatain kharij hoti hain:
1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti.
2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345).
[Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122138
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-19

Question: Hambistri kry or ghusul na kry phr hambistri kry aik dfa ghusul krna hoga

Answer: Jee, aik dafa ghusl karna hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #348,356,387).
[Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-19

Question: Agr urat ko halat jinabat ma haiz hojaye to gusul jinabat ka Kiya hukum ha

Answer: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke (masalan haiz ka khoon mukammal khatam hojaane ke baad )aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai.

(Note: is fatwe se 2 baatain waazeh ho rahi hain:
1. Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz aur ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai.
2. Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam day aur phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387,457).
[Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122156
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-22

Question: A.S maulana sahab, Mera question ye h ki agr kisi pr ghusl e janabat wajib ho jaye aur use maloom na ho ( due to lack of knowledge) aur wo usi halat me namaz w roze bhi rakh le to jb use maloom ho (Kayi saal baad) to kya wo sari namazen and roze ki qaza wajib ho jayegi??? Please bata den bahot pareshan hun.

Answer: Jis ghusl ki aap baat kar rahe hain, kya us bhoole hue ghusl se lekar ab tak aap ne kabhi koi ghusl nahin kiya ?
Agar surat e haal aisi hai to phir ghusl kar ke poore saal ki namazon ki qaza baja laana lazim hogi.
lekin agar surat e haal aisi na ho yani aap ne kabhi nah kabhi, wajib ya mustahab ghuslon (jin ka mustahab hona sharan saabit hai) me se koi na koi ghusl to kiya hoga, to jab aisi surat ho to is surat me bhoole hue ghusl se lekar agle ghsul (jo bhoole hue ghusl ke bad kiya ho) tak jitni namazen usi haalat me parhi hon faqat un ki qaza karna lazim hai, poore saal ki namazen qaza karna lazim nahin hain. lekin rozon ki qaza karna lazim nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail، Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1606,353).
[Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-22

Question: A.S maulana sahab, Mera question ye h ki agr kisi pr ghusl e janabat wajib ho jaye aur use maloom na ho ( due to lack of knowledge) aur wo usi halat me namaz w roze bhi rakh le to jb use maloom ho (Kayi saal baad) to kya wo sari namazen and roze ki qaza wajib ho jayegi??? Please bata den bahot pareshan hun.

Answer: Jis ghusl ki aap baat kar rahe hain, kya us bhoole hue ghusl se lekar ab tak aap ne kabhi koi ghusl nahin kiya ?
Agar surat e haal aisi hai to phir ghusl kar ke poore saal ki namazon ki qaza baja laana lazim hogi.
lekin agar surat e haal aisi na ho yani aap ne kabhi nah kabhi, wajib ya mustahab ghuslon (jin ka mustahab hona sharan saabit hai) me se koi na koi ghusl to kiya hoga, to jab aisi surat ho to is surat me bhoole hue ghusl se lekar agle ghsul (jo bhoole hue ghusl ke bad kiya ho) tak jitni namazen usi haalat me parhi hon faqat un ki qaza karna lazim hai, poore saal ki namazen qaza karna lazim nahin hain. lekin rozon ki qaza karna lazim nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail، Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1606,353).
[Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122177
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-25

Question: اگر عورتُ کو کسی بیماری کی وجہُ سے اپنی شرمگاہ میں انجکشن سے دوائ لگانی ہو توو کیا اس کے و بعد غسل واجب ہے؟

Answer: Is se ghusl wajib nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344).
[Updated on 26-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122243
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-01

Question: Musht zani k baad ghusal Ka tareeka kaisa hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar aur gardan dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

2: Ye baat aap zehen nasheen kar len ke Istimna (musht zani, mmasturbation, ya hand practice (yani kisi bhi tariqe se mani kharij) karna ye aik Haram kam hai aur gunah e kabira hai. aur medical point of view se bhi is ke nihayat bure nataaij paye jate hain.

3: Musht zani ke nuqsanaat: sar o badan ka dard, gas banna, bahazmi, laghari aur dubla pan, susti aur kahili, dimaghi kamzori, yadasht ki kamzori, aankh ki kamzori, asaab, pathon aur hadion ki kamzori waghera jaisi beemariyon aur pareshaniyon ka saamna karna parta hai.

4: Jo koi shadi na hone ki wajah se haraam kaam me mubtela hota ho (jaise ke musht zani) to us par wajib hai ke shadi kar lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360,2407. + Jadeed fiqhi masail, maslah #462, pg #253. + Minhaj ul Saliheen, Part #1, Maslah #30).
[Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Mjhe Yeh Janna h k ghusal nahanay se phle anjam dena chaheay ya nahanay k bad bhi de skty hain especially ghusal e janabat or ghusal e haiz

Answer: Yeh har insaan ke ikhtiyar me hai ke pehle ghusl kare ya pehle naha lay. agar pehle ghusl kiya jaye tab bhi saare jism ka paak hona zaroori nahin hai balke agar ghusl ke iraade se paani badan par daalne se badan paak ho jaaye to ghusl sahi hoga. Albatta yeh zaroori hai ke jis paani se ghusl kiya jaye kar raha hai wo tahaarat ki haalat se khaarij na ho jaaye. Maslan kur paani se ghusl kar raha ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #371).
[Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122321
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Mujh par ghusal farz hai par halaat ke mutabiq mere liye ghusal karna mumkin nahi kiya main sirf wuzu main namaz ada kar sakta hun kyun ke namaz ka waqt he

Answer: Agar majboori (halat) aisi ho ke shareeat ki nighah me qaabl e qubool ho aur jis ki wajah se ghusl na kar sakte hon to is ke badle wuzu kar ke namaz nahin parh sakte, balke agar tayammum karne ki tamaam sharaait maujood hon to ghusl ke badle tayammum karna zaroori hai aur is tayammum ke sath hi namaaz parhi jaa sakti hai aur wuzu karna zaroori nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #712,713).
[Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122355
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-22

Question: Kya srf sharamgah ka sharamgah se touch hone pr ghus wajib ho jta hai?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani (semen) kharij (exit) ho ya na ho, ye dono junub ho jate hain. (yani mard aur aurat dono par ghusl e janabat wajib hoga).
Lekin agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar se kam dakhil ho ya sire se dakhil hi na hua ho balke sirf upar upar se touch hua ho to is surat me ghusl wajib nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: Kya gusl e janabat Thursday ko nhi Krna chahiye ya is din se related koi bhi details ho to share kriye

Answer: Aisa kuch nahin hai, balke jis din bhi ghusl e janabat karne ka sabab pesh aaye us din ghusl karna hai aur agar ghusl nahin karen gi to namaz kese parhen gi Q namaz aur is tarah ki ibadat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122391
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-16

Question: Haiz me mase mayyat ka gusl

Answer: 1: Haiz ki halat me mass e mayyit ka ghusl karna zaroori nahin hai, Han agar aap chahen to abhi fauran mass e mayyit ka ghusl kar len ya phir haiz se pak ho jane ke baad haiz ke ghusl ke sath mass e mayyit ka ghusl bhi kar sakti hain.

2: Jis kisi (mard, aurat) par chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kaafi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387).
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: salaam .....agar kisi insaan ko dou ghsl krny ho jese ghsl haiz r ghsl jinabat r ghsl krty tym usko sirf ek ki niyat ki ...kya voh nimaz pd skta h

Answer: Jee han, kisi aik ki niyat se ghusl kiya jaa sakta hai aur namaz bhi parh sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122531
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-07

Question: Ager shohar sy Milny k bad pak ho kr Namaz phar len or thori dyr k bad pher sparms yani mony ka pani nikly to agli Namaz bager nahay phar sakti hun???

Answer: Mani nikalne ke baad mard ke liye peshaab karna mustahab hai aur ye amal Istibraa kehlata hai aur ye Istibra isi liye kiya jata hai taakeh ye yaqeen ho jaye ke ab (peshaab ki) naali me mani baaqi nahin rahi, lekin agar koi mani nikalne ke baad peshaab nah kare aur ghusl ke baad us ke makhraj e peshaab se rutoobat khaarij ho jis ke baare men wo na jaanta ho ke mani hai ya koi aur rutoobat to woh rutoobat mani ka hukum rakhti hai aur wo shakhs mujnib hoga (yani us ko aise surat me dobara ghusl e janabat karna hoga).
Lekin aurton ke liye Istibraa nahin hai aur jo mashkook rutoobat un se kharij hoti hai wo mani ka hukum nahin rakhti. (aur agli namaz bager ghusl kiye parh sakti hain).
Jo ratubat mulabat (khail mood) ya shewat angheiz tasawwuraat ke waqt khawateen sharamgha me mehsoos karte Hain itne miqdaaar me na ho ke degar jaghaao ko aaloda kare tu Paak hay or is ke lie gusal nahe hay or ye wazu ko bhe batil nahe karte hay .hah agar ratubat is qadar ziyada ho ke inzaal khelaae or libaas ko aaluda karde jabke Sath Sath aurat hejaan sehwat ki inteha ko pouch jaay or mukammal razamandi (orgazm) ho tu najis or janabat ka mujib hay balke agar hejaan shewat Sath na bhe ho tu bhe ehteyat lazim ki Bina per najis or janabat ka mujib hay or in maqamaat per jaha aurat shak kare ke ratubatis had se ziyada pouche hay ya nahe or ya kud ratubat ke kharij hone me shak kare ,tu gusal wajib nahe hay or wuzu or gusal bhe batil nahe hay .

(Ref: Tauzeeh ul masail, Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, Maslah #434,tauzeeh ul masail ,aqa sistani,masla #345,edition#1444).
[Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122556
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-10

Question: Kiya haiz ka khoon bad hone k bad aurat sharamgah k bal saaf kar k phir ghusul haiz kar le to iska ghusul hoga ?

Answer: Aurat jab bhi ghusl kare gi us ka ghusl sahi shumar hoga chahe sharamghah ke baal saaf karne se pehlay ghusl kare ya baad main.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,356,360,448).
[Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122583
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-13

Question: Jab Ghusal Wajib ho or Bina ghusal k Namaz Parhne se Gunah Milta hai..

Answer: Is se ghunah to nahin hoga, albatta janabat ki halat me (yani bina ghusal ke) namaz parhna sahi nahin hai (yani jo namaz ada karna wajib thi wo ada nahin hogi aur apni wajib zimme daari ada karne ke liye ghusl karna wajib hai).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,356).
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122614
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-20

Question: Assalamu alekum aagha jis insan ki mani nikle to uspr mustahab hai ki wo peshab kare phr ghusl kare...uske baad agr koi ratubat nikle gi to wo paak hogi..lekin koi ghusl kare or uske pehle peshab na kare..or uski koi ratubat kharij na ho ghusl k baad...balki wo peshab kare peshab k baad koi ratubat nikle to uska kya huqm hai...plz btaiye

Answer: is ki chand surtain bane gi aur is lihaaz se jawab bhi mukhtalif hoga.

Peshaab aur mani ke alawa jo rutoobatien peshaab ke maqam se nikalti hain is ki 3 qism hain:
1. woh rutoobat jo kabhi shehwat ki wajah se mard se kharij hoti hai usay Mazi kehte hain.
2. woh rutoobat jo kabhi mani ke baad kharij hoti hai usay Wazi kehte hain.
3. woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain.
yeh tamam rutoobatien is surat mein paak hain jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab aur mani se aaloda nah hon.
«Peshaab ke baad istebra karne ka faaida» yeh hai ke agar is ne istebra kiya ho aur baad mein is se koi rutoobat kharij ho aur shak kare ke wo peshaab hai ya mazkoorah baala 3 rutoobaton mein koi aik hai to woh mashkook rutoobat paak hai, aur wuzu or ghusl ko bhi baatil nahin kare gi lekin agar istebra nah kiya ho to dobara wuzu kare aur us jagah ko bhi dhoye.
Isi tarah «mani nikalne ke baad istebra ka faaida» yeh hai ke agar koi mashkook rutoobat is se kharij ho aur nahin jaanta ke mani hai ya paak rutoobaton mein se koi aik, to wo mujnib ka hukum nahin rakhta aur agar istebra nah kare aur koi rutoobat is se kharij ho aur ihtimaal day ke mani hai to wo mujnib ka hukum rakhta hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #88).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122632
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-19

Question: Nak ma chot lage ho to gusal kase kran

Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai.
Ab agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai.

2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122649
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-19

Question: Assalamualaikum mein ye kehna chahti hon Kisi chez ko mtlb drama mein ya video dekh leny sy agar leucorrhea Nikal jaye to nahana wajib hai ya ni

Answer: 1: Leukorrhea (safeed, yellow color ki ratubat) mani ya haiz nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. aur is se koi cheez touch ho jaye to najis nahin hoti. Aur is halat men namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi.

2: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat ke waqt apni sharamghah men mehsoos karti hain aur wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke dusri jaghah ko aalooda karay, to wo paak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi baatil nahin karti, Haan agr rutoobat is qadar ziyada ho ke inzaal kaha jaye aurr libas ko aalooda karay jabke sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaye aur mukammal razamandi (orgasm) ho to najis or janabat ka mujib hai balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis aur janabat ka mujib hai aur in maqamaat par jahan aurat shak kary ke rutoobat is had se ziyada puhanchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak karay to ghusl wajib nahin hai aur wuzu or ghusl bhi baatil nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345. + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Assalamualaikum Ji muje sehwat ke waswse aate he Jese ki jese mere saam ne kuch krab chis aay to mere Turat usko apne dimag me se nikal ne lagta hu fri muje apni shamgah pe halchal hoti he our der tak nhi hoti jese night fall mehoti he vese nhii fir me soch me par jata hu ki sehwat ke saat nikli ya nhi our Shak our waswso me gusal karle ta hu Sehwat ke saat money nikli he ya nhi ye kese pehcanu our ykin hojaay ki sehwat ke saat money nikli he

Answer: 1: Agar mani apni jagah se harkat kare lekin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij huei hai ya nahin to us par ghusl wajib nahin hota.
2: Shehwat yani jinsi lazzat, khuwahish aur shoq ka hona, Agar wo ruboobat 3 alaamaton ke sath niklay to ghusl karna hoga warna nahin.
1) Wo ruboobat shehwat ke saath niklay. 2) Uchal ka niklay. 3) Nikalne ke baad badan sust ho jaye to ghusl karna hoga warna nahin.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345,351,356).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-25

Question: can take ghusl on the second day after having sex

Answer: Humbistari(sex) ke baad, namaz aur is jaisi dusri ibdaaton ke liye ghusl e janabat karna wajib hai.
Yani waise to Humbistari ke baad agle din ghusl kar sakti hain lekin maslah namaz ke waqt aaye ga ke namaz ke liye ghusl karna wajib hai aur bager ghusl ke namaz nahin parh saktein.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356).
[Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122735
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-08

Question: Kia germuslim larki se zina karny k bad gusal nh hota? Mainy ye suna hy k agr nonmuslim larki se sex kia teo jab tak kachi miti wali silh gusal k pani se pighal nh jati tab tk pakae nh hoti kia ye bat sahi hh??

Answer: 1: Na-mehram (chahe muslim ho ya non-muslim) us se zina karna Haram aur ghunah e kabira hai. aur ghusl bhi karna hota hai. aur ghusl ke bager apni ibaadat anjaam nahin day sakte, is ke alawa bhi kuch cheezen janabat halat me haram hoti hain wo anjaam nahin day sakte.
2: Jee nahin, aisa kuch nahin. balke ghusl karne se jo pakaei haasli honi chahiye wo pakaei haasil ho jati hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #344,348,356).
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122740
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-08

Question: Agar kisi insan ke upar ghusl wanib ho jaaye aur wo namaz padhe toh kya wo namaz qubool hogi? Aur uss haalat mein namaz padhna kaisa hai?

Answer: Agar ghusl wajib ho jaye to is halat me (yani ghusl kiye bager) namaz sahi nahin hai. (yani jo namaz ada karna wajib thi wo ada nahin hogi aur apni wajib zimme daari ada karne ke liye ghusl karna wajib hai).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,356).
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Kia anal sex sy ourat pr b ghusal wajib hojati h?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me, mard aur auart dono junub ho jate hain. {yani mard aur aurat dono par ghusl e janabat wajib ho jata hai}.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122816
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Namaz k liye agr hmny kisi wajah se gusl kiya ho to phir wazu alag se krna zarori hai??

Answer: Ghusl e istihazah e mutwasitah ke bad wuzu bhi karna hota hai. aur ghusl e janabat ke baad namaz ke liye wuzu karna haram hai. in do ghuslon ke alawa Tamam wajib or mustahab ghuslon (jin ka mustahb hona sabit hai) ke baad, namaz aur dosri ibadaat ke liye wuzu karna zaroori nahin hai.
Lehaza agar ghusl e istihazah e mutwasitah liya hai to is ke bad wuzu bhi karna hoga, aur agar ghusl e janabat ke kiya hai to is ke baad namaz ke liye wuzu nah kiya jaye. lekin agar in do ghuslon ke alawa koi wajib ya mustahab (jis ka mustahb hona sabit ho) ghusl kya hai to phir wuzu karna zaroori nahin hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #389,392,393,634).
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122874
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Agar Kisi ko nazla ho or ghsul mein bhi naak mein Kuch na Kuch reh jaye ya ajayye TU aise mein kia krain or wehm ka bhi ziada masla hai mjhey aise baar baar naak mein Pani dalne SE pareshani hoti hai ab mein kia krun?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, ghusl karte waqt naak me paani dalna zaroori nahin hai, lihaza naak me paani daale bager bhi ghusl kar sakti hain.

2: Tarteebi Ghusl ka tareeqa:
Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona aur bad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #360).
[Updated on 11-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122991
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-29

Question: orat Thursday ko pak ho sakti ha kya???

Answer: Agar is se aap ki muraad ghusl ke bager faqat nahana (shower lena) hai aur ghusl karna muraad nahin hai to is soorat me aurat khud mukhtaar hai ke chahe to nahaye ya chahe to nah nahaye.
lekin agar is se aap ki muraad koi wajib ghusl (jese janabat, haiz aur nifaas ka ghusl) karna hai to phir to namaz aur is tarah ki ibadat baja laane ke liye ghusl karna wajib hoga is liye ke jab aurat ghusl nahin kare gi to namaz nahin parh sakti Q ke namaz aur is tarah ki ibadat ke baja laane ke liye ghusl karna wajib hai.
Note :aurat ke haiz ya nifaas ke khoon ke rukjaane ke baad us ki lie namaz ,roza ke lie in ka ghusal wajib hay ,is ka hufte ke dino ( masalan Thursday ya Friday, Sunday)se koi taluq nahe hay

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,456,507).
[Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print