Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Taqleed Key Ahkam (78 Questions)


Showing 0- 50 questions from 78 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
821
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya taqleed karna zaroori hai... agar yeh kiya jaaye keh kisi bhi masle ke hal ke liye kisi bhi available tauzihul-masail dekh li jaaye.. aur kuch apne zameer (sahi o ghalat ki tameez) ki buniyad per amal kiya jaye to kaisa hai?

Answer: Salam un alaikum
Taqleed faqat Mujtahid e Aalam ki karna zaroori aur tamam masail mai usi Mujtahid ko follow karna hoga haan agar wo Mujtahid e Aalam kisi masale mai doosre Mujtahid ki taraf rujoo karney ki ijazat dey to us soorat mai Falaalam ki taraf rujoo karna paerga
Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Topic Taqleed

Print

Id:
1009
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: y taqleed is wajib? profe form quran? and its tafseer. im new shai so i belive just now quran and ahlubait. wasalam

Answer: Agar Insaan khud mujtahid na ho aur Aihtiyat par amal na karta ho to taqleed karna wajib hay.Quran Majeed main Sura e Tauba ki Ayat 122 main Irshad hay:Saahibaan e Emaan ka ye Farz nahi hay kay wo sab kay sab jihaad kay liye nikal parain to har grooh main say aik Jamaat Is kaam kay liye kion nahi nikalti hay kay deen ka ILM haasil karay aur phir jab apni Qoum ki taraf palat kar aaey to usay Azaab e Ilaahi say Daraey kay Shayad wo isi tarah darnay lagain..Imam Hasan Askari AS. ka irshaad e girami hay :Logon ko chahiye kay Fuqaha (yani Aihkaam e Shariyat ko tafseel say jannay walay Mujtahideen) main say jo shakhs apnay aap ko gunahoon say bachata ho,apnay deen ki hifazat karta ho (yani apnay deen par sakhti say Qaim ho),apni nafsaani khwahishaat ka ghulaam na ho aur Aihkaam e Ilaahi ki Itaaat karta ho us ki taqleed karain(Aihtijaaj e Tabrisi Jild-2 Pg.263)..Wali e Asr Imam Mehdi AS. farmatay hain: Ghaibat e Kubra kay zamanay main paish aanay walay halaat kay silsilay main hamari hadeesoon ko bayan karnay walay raawiyon ki taraf rujoo karo kionkay wo hamari tarah Hujjat hain jis tarah ham Allah ki taraf say Hujjat hain (Kamaluddin wa Tamamun Naima.Sheikh Sadooq)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: taqleed wajib hay.is k bare main qur,an aur hadith aur aqwal imam a.s k hawale chahiye.nawazish

Answer: Agar Insaan khud mujtahid na ho aur Aihtiyat par amal na karta ho to taqleed karna wajib hay.Quran Majeed main Sura e Tauba ki Ayat 122 main Irshad hay:Saahibaan e Emaan ka ye Farz nahi hay kay wo sab kay sab jihaad kay liye nikal parain to har grooh main say aik Jamaat Is kaam kay liye kion nahi nikalti hay kay deen ka ILM haasil karay aur phir jab apni Qoum ki taraf palat kar aaey to usay Azaab e Ilaahi say Daraey kay Shayad wo isi tarah darnay lagain..Imam Hasan Askari AS. ka irshaad e girami hay :Logon ko chahiye kay Fuqaha (yani Aihkaam e Shariyat ko tafseel say jannay walay Mujtahideen) main say jo shakhs apnay aap ko gunahoon say bachata ho,apnay deen ki hifazat karta ho (yani apnay deen par sakhti say Qaim ho),apni nafsaani khwahishaat ka ghulaam na ho aur Aihkaam e Ilaahi ki Itaaat karta ho us ki taqleed karain(Aihtijaaj e Tabrisi Jild-2 Pg.263)..Wali e Asr Imam Mehdi AS. farmatay hain: Ghaibat e Kubra kay zamanay main paish aanay walay halaat kay silsilay main hamari hadeesoon ko bayan karnay walay raawiyon ki taraf rujoo karo kionkay wo hamari tarah Hujjat hain jis tarah ham Allah ki taraf say Hujjat hain (Kamaluddin wa Tamamun Naima.Sheikh Sadooq)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani.

Print

Id:
1213
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: app apney jawabaat mey koch istalah use kartey han iss ka keya matlib ha 1. fala illem 2. eteyat e wajeb 3. asskal

Answer: 1:Fal-Aalam : Wo mujtahid jo Aalam kay baad Ilm main sab say barh kar ho...2:Aihtiyat-e-Wajib : Wo hukum jo Aihtiyat kay mutabiq ho aur Faqeeh nay is kay saath Fatwa na diya ho aisay masail main Muqallid us mujtahid kay Fatwa par Amal kar sakta hay jo Fal-Aalam yani Aalam kay baad Ilm main sab say barh kar ho...3:Ishkaal : Is Amal ki wajah say Sharee Takleef saaqit nahi hoti aur is ko Anjaam nahi dena chahiye agar is kay saath Fatwa na ho to doosray mujtahid ki taraf rujoo kiya ja sakta hay.Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.433.

Print

Id:
1261
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Who are Ahl_ul_khibra?

Answer: Wo loog jo mujtahid hoon ya mujtahid bannay kay qareeb hoon(yani Ijtihaad say qareeb hoon) to in ko Aihl-e-Khubra main shumaar kiya jaeyga.Ref:Istiftaat A.Sistani I-18

Print

Id:
1480
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Mujtahid k kisi Fatwe Se dil Mutmaeen Na Ho Aur Shak Baqi Rahe To Kia Us Ki Taqleed Jari Rahe Gi Taqleed Badalna Chahe To Kia Hukum Hai.

Answer: sirf khayaal aur shak ki waja se aalam se kisi dosray mujtahid ki taraf taqleed badalna jaiz nahi. REF: A.Khamnaie, Tawzeeh ul masail, hisa 1, ques no: 48.

Print

Id:
1817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam, Kia ibadaat kay liyay kissee mujtahad ki rehnumai zarooree haay?

Answer: w.s., dini ahkamat me taqleed ka matlab yeh he k kisi mujtheed k fatwe par amal kiya jae, agar yeh bat ijmalan maloom ho k darpesh masail me mujthedeen ke fatwe ek-dusre se mukhtalif hain to zaroori he k us mujthid ki taqleed ki jaye jo "aalam" ho yaani apane zamane k dusre mujthedon k muqable me ahkame elahi ko samjhne ki behtar salahiyyat rakhta ho.

Print

Id:
1843
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mojuda fal aalam kisi 4 k naam bataye

Answer: bismehi taala, is k liye aap ahle khubra se ruju karain.

Print

Id:
1957
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asalamun alaikam, mein un ki taqleed kerna chata hun jin say asaani say contact ker sakun rahnamai farmain

Answer: w.s. Salam un alaikum Taqleed faqat Mujtahid e Aalam ki karna zaroori aur tamam masail mai usi Mujtahid ko follow karna hoga haan agar wo Mujtahid e Aalam kisi masale mai doosre Mujtahid ki taraf rujoo karney ki ijazat dey to us soorat mai Falaalam ki taraf rujoo karna paerga Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Topic Taqleed

Print

Id:
1993
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam O Alaikum, 1)Mere umer es waqt 30 years hai aur main abhe tak kisi ki taqleed nahin ker saka. Kia mere koi namaaz jaiz the ya nahin jo main ne ab tak adda ki hain? 2) Mere taqleed na kerny ki wajah 1 mujhe bachpan se es ka ilm nahin tha ... ab mujhy es ka ilm howa hai to main aisa mujtahid talash ker rah hoon keh mujhy jo bhe masla dar-paish ho main us Mujtahid se us maslay k baary main pooch sakoon. 3) Agar main ghaib main Ayatullah Khamnei ya kisi aur ki taqleed kerta hoon to us ka kia tariqa (way) hai???

Answer: w.s. 1) agr koi mukallaf ek muddat tak kisi ki taqlid kiye bagair aamal baja lata rahe to agar us ke aamal hukame waqei ke mutabiq ho ya us mujtahed ke fatwe ke mutabiq ho jis ki taqlid karna abhi us ki zimmedari he to wo amal sahih taswwur kiye jayenagain us ke alawa bhi agar wo jahil kasir ho or aamal ka naqs arkan wagera ke etebar se na ho to bhi us ke aamal sahih taswwur kiye jayeingain yahi hukm us soorat main bhi hain jab jahil mukassir ho or amal main koi aysa naqs ho jo la-elmi ki soorat main maaf ho to jayse buland awaz se qaraat ki jageh ahista ahista awaz se qraat ya bar akas, to bhi us ke aamal sahih mane jayeingain yahi hukam us soorat main bhi hain jab use yah maloom na ho ke pichhale aamal kefayat ke etebar se sahih the ya nahi to bhi us ke aamal minhaj main zikr shuda baaz mawarid ke alawa sahih taswwur kiye jayaingain (masala no.12, tawzihul masail Aqai sistani (d.b.) urdu).
(2) jis mujtahid ki taqlid ki jaye woh mard, balig, aqil, shia isna asheri, halal zada, zinda or adil ho. agar yeh bat ejmalan maloom ho ke darpesh maail main mujtahedin ke fatwe ek dusre se mukhtalif hain to zaroori he ke us mujtahid ki taqlid ki jaye jo aalam ho yaani apane zamane ke digar mujtahedin ki nisbat ahkame elahi ko samajane ki bahetar salahiyat rakhta ho (masala no.2, tawzihul masail Aqai sistani (d.b.) urdu).

Print

Id:
2007
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kiya agar koi sab amal sahi karta ho namaz roza or sab lakin taqleed nahi karta to kiya os kay amal kable kabol hay

Answer: b.t. jahan tak dini ahkam ka taalluk he, "musllma or qatai umoor" ko chod kar baqi ahkam main zaroori he ke insan ya to khud mujthid ho yaani ahkam ko dalil ke zariye hasal kar sake ya kisi mujtahed ki taqleed kare ya az rahe ahteyat apna fariza yoo ada kare ke use yaqeen ho jaye ke us ne apani sharee zimmedari puri kar di he maslan agar chand mujtahid kisi amal ko haram qarar dain or chand dusre kahain ke haram nahi he to us amal se baz rahe or agar baz mujtahedin kisi amal ko wajib or baaz musthab gardanain to us amal ko baja lae lehaza jo ashkas na to mujthid hon or na hi ahteyat par amal pera ho sakain un ke liye wajid he ke mujthid ki taqleed karain. (masala no. 1, tawzihul masail. ayatullah sistani (d.b.) urdu)

Print

Id:
2020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salam mara question yai hy kay maray walid ayatollah S.ALI.SISTANI(r.a)kei takhleed kartay hai. and mai S.ALI.KHAMNAIE(r.a) kei takhleed karta hou to kiya yai sahi hai bap ek Mujtahid kei takhleed karay aur bata dousray kei takhleed? W.SALAM

Answer: w.s. dono main se har ek ki zimedari he k apne mujthid k fatwe k mutabiq amal kre. (mujthid se puchhe gaye sawalat, part-3 page-22)

Print

Id:
2036
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam O Alaikum, 1. Main dil he dil mein agar Khamnai sb ki taqleed ka irada ker leta hoon to kia yeh theek hai? Agar Nahin to koi tariqa batain.

Answer: w.s. taqlid ke subut par sharee adilla hain or aqal ka bhi phaysla yahi he k jo shakhs khud ahkame deen se agah nahin he wo mujthide jameush shrayet ki tarag rujua kare. (istiftaat k jawabat, Aytullah Khamenai (d.b.) page no.17)(taqlid k liye dil ka irada kafi he).

Print

Id:
2040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: AssalamO Alaikum, Ehtiyat-e wajib kisy kehty hain?

Answer: w.s. is ka matlab yeh he k kisi amal k anjam ya tark ka wujub ahteyat ki bena par he. (istiftaat k jawabat part 1 Aytullah Khamenai (d.b.) page no.29)

Print

Id:
2066
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar sistni ka aur wali e faqih ka fatwa apas me contradict ho to kiska fatwa mana jaye?

Answer: b.t. har ek ki zimedari he k apne mujthid k fatwe k mutabiq amal kre. (mujthid se puchhe gaye sawalat, part-3 page-22)

Print

Id:
2073
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: mein kis ki taqleed me hun mujhe is ka ilm kaise hoga.

Answer: bismehi taala, dini ahkamat me taqleed ka matlab yeh he k kisi mujtheed k fatwe par amal kiya jae, agar yeh bat ijmalan maloom ho k darpesh masail me mujthedeen ke fatwe ek-dusre se mukhtalif hain to zaroori he k us mujthid ki taqleed ki jaye jo "aalam" ho yaani apane zamane k dusre mujthedon k muqable me ahkame elahi ko samjhne ki behtar salahiyyat rakhta ho.

Print

Id:
2366
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam, One of my friend is in doubt(shak) abt his baloogat(Balig) age, currently his age is 31. As he recalls, inquire and also with ref. below attached material extract fm www.islamic-laws.com, without any doubt or shak, he was following Aya. Khoie and also in his taqleed. Right now he is completely doing taqleed of Aya. Khoie and following his fatwas. Is he doing the right thing? Iltimas-e-dua =============== Material extract from www.islamic-laws.com =================== RULING OF AYATULLAH SEESTANI ON TAQLEED If a baligh person has done taqleed of a Mujtahid, who is now dead (e.g. Ayatullah Khui or Ayatullah Khumaini), and if that person wants to do taqleed of Ayatullah Seestani now, then it is wajib for that person to continue to follow the masail of that dead Mujtahid as long as he is sure that the present state of knowledge (ilm) of Ayatullah Seestani is not yet more than the knowledge of his dead Mujtahid. If that person is not sure about whose knowledge is more now, then also he must continue to follow the masail of his dead Mujtahid if the knowledge of that dead Mujtahid was more than the knowledge of Ayatullah Seestani at that time. Thus all followers of Ayatullah Khui and Ayatullah Khomeini, now through the above fatwa of Ayatullah Seestani, must continue to follow the masail of their dead Marja as long as the above conditions exist. Only in new masail (not covered by their dead Marja), they can follow the fatwa of Ayatullah Seestani. Due to above fatwa of Ayatullah Seestani, only two types of persons can start and remain in complete taqleed of Ayatullah Seestani: (a) A person, who has never done taqleed of any Marja before, (b) Children born in or after 1985 (because these children became sensible after the death of two main Marja i.e. Khui and Khomeini; Khui died in 1992 and Khomeini in 1989).

Answer: Agar aap k dost nay Ayat ullah khoe ki taqleed on ki zindagi main os waqt bhi ki ho jab k wo baligh nahi thay (yani nabaaligh magar achahay buray ki tameez raknay wala) tab bhi Ayat Ullah Seestani (d.b), k mutabiq agar merhoom mujtahid, zindah mujtahid k muqaablay main aalam (ziyadah jaanay wala) ho tu merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna wajib hay.werna zindah aalam mujtahid k masail per amal kerna hoga.or agar kisi k bhi aalam honay ka yaqeen nah hosakay ya dono ilm main baraber hon tu iktiyaar hay k kisi bhi aik ki taqleed main ajaay. (Ayat Ullah Seestani (d.b), Mihaa jus saliheen Part#1,maslah #5,7).

Print

Id:
2419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salam, meray abu agha khaminaae ki taqleed kartay hain or mummy agha seestani ki. ayatullah khoi ki wafat sae pehlae dono agha khoi ki kartay thay. Ab kuch saal pehlay agha khoi ki taqleed karnay walo nae iran k hisab sae pakistan sae ek din pehlae eid manai thi or us waqt meray mumy or abu nae bhi agha khoi ki taraf rujoo kar lia or eid-ul-fitar manai, lekin is saal meray abu or mumy agha khaminae or agha seestani ki taqleed kar k pakistan k hisaab sae rozay rakh rahay hain or agha khoi ki taqleed karnay walay ek din agay hain (iran k hisab sae rozay rakh rahay hain), ab meray waldaen ki kia zimedari banti hai kia wo agha khoi k hisaab sae eid or rozay rakhay ya apnay mojuda maraajayeen k hisaab sae?

Answer: Ayat ullah Khamnaie k mutabiq merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna jaaiz hay chahay wo mehoom zindah say ziyadah jaannay wala(aalam) nah ho ,laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k agar merhoom mujtahid ziadah say aalam ho tu oski taqleed per baaqi raha jaay.agar kisi maslay main zindah ki taraf ruju kerlain tu os ko wapas isi maslay main merhoom k fatway per amal kernay ki ijazat nahi hogi.is liay aap k abbu nay jo rozay Ayat ullah khoe(d.b) k fatway k mutabiq rakhay wo sahi thay,or ab is saal jo Ayat ullah Khamnaae(d.b) k mutabiq is saal rozay rakhay wo bhi sahi hain,laikin ab lazimi hay k wo sirif Ayat ullah Khamnaae(d.b) k mutabiq hi chaand k maslay per amal karain.kun k aik baar zindah mujtahid ki taraf ruju kernay k baad dobarah merhoom mujtahid k fatway per amal kerna jaiz nahi. . (Ayat ullah Khamnaie, Istaftaat Part 1 maslah #37, taleemul ehkaam Pg #16)

Ayat Ullah Seestani (d.b), k mutabiq agar merhoom mujtahid, zindah mujtahid k muqaablay main aalam (ziyadah jaanay wala) ho tu merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna wajib hay.werna zindah aalam mujtahid k masail per amal kerna hoga.or agar kisi k bhi aalam honay ka yaqeen nah hosakay ya dono ilm main baraber hon tu iktiyaar hay k kisi bhi aik ki taqleed main ajaay. Isliay app ki walidah k wo rozay tu sahi hain jo onho nay Ayat ullah khoe(d.b) ki wafaat k baad k baad say on k fatway k mutabiq rakhay.,or ab is saal jo Ayat Ullah Seestani(d.b), k mutabiq rozay or eid manae wo sahi nahi hay or qaza rozay rakna wajib hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#8).

Print

Id:
2826
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asslam o alaikum mera sawal yeh hai please key quran ka matlaib to pata hai aap please itrat aur mujtahid-e-taqleed ka matlaib bata de please

Answer: Itrat:Itrat ka lugvi(dictionary k mutbiq) aam matlab aulaad ya ghar walay hotay hain.or iska istilahee(term/technical meaning) matlab islam ki nazar main, sirif hamaray nabee(s.a.w.w) ki piyari baiti Hazrat fatimah zahrah(s.a) or 12 imam(a.s) hain.

Mujtahid: jo shaks is qadar ilm rakhta ho k hukm e khuda(order of God) ko Quran ,Ahadees, ijmaa or aqal say haasil kersakta ho, aisay aalim shaks ko mujtahid kehtay hain.is shaks per taqleed kerna haram hay or isko apnay hi fatway per amal kerna hoga.

Mujtahid –e-taqleed: wo mujtahid jis main chand shraait(conditions) maujood hon tu awaam ko os mujtahid ki taqleed(following) ker k os k fatway(opinion) k mutbiq apnay tamaam aamaal anjaam daina zarori hain.

Mujtahid –e-taqleed ki shrait:
1.merd(man). 2. baligh(mature). 3. aaqil(not mental). 4.12 imami shia.
5.halaal zaadah. 6.zindah 7.aadil.
or agar ye baat maloom ho k mujtahideen k kisi fatway main ikhtifaaf hay tu is maslay main aalam(tamaam mujtahideen main sab say ziyadah ilm wala) k fatway per amal kerna hi wajib hoga.

Print

Id:
3875
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: It is important to take the taqleed of rahbar for youths?

Answer:
Jis mujtahid ki taqlid ki jaye woh mard, baaligh, aaqil, shia isna asheri(12 imami shia), halaal zaada, zinda or aadil ho. agar yeh bat ejmalan(muktasar taur pe) maloom ho ke darpesh masaa’il main mujtahedin ke fatwe ek dusre se mukhtalif hain to zaroori he ke us mujtahid ki taqlid ki jaay jo aalam ho yaani apane zamane ke digar mujtahedin ki nisbat ahkame elahi ko samajane ki bahetar salahiyat rakhta ho Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzeehul masa’il,maslah# 2).

Print

Id:
3914
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam un aliak mara sawal taqleed sa mutaliq ha kia kisi 1 mujtahid ki taqleed karna zaruri ha kia asa nai ho sakta k zindagi mai darpaish masail ka hall kisi b mujtahid sa puch lia jaiy.kia taqleed kar k insan ka ilm mehdood nai ho jata.kiun k wo 1 hi mujtahid sa interact rehta ha.brakh e karm maray sawal ka jawab zarur dain kiunk ya sawal kisi dusray maslak sa puchay gayay hain

Answer: Agar aap ko mukhtasiran bhi maloom ho k darpaish masail main mujtahideen k dermiyaan ikhtilaaf paaya jaata hay tu laazimi hay k aalam {yaani jo apnay zamanay k tamaam mujtahideen ki nisbat ehkaam e ilaahi ko samjhnay ki behtar salahiyat rakhta ho} mujtahid ki taqleed ki jaay.Yaani jin masail main mujtahideen main ikhtilaaf nahi hay on masail main kisi k bhi fatwa per amal kia jasakta hay or jin masail main fatway mukhtalif hain on main sirif aalam mujtahid k fatwa per hi amal kia jaay ga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2).

Print

Id:
4057
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam o Alaikum! Sir i was born in 1985. i dont hv taken keen interest regarding taqleed matters. now i come to know that taqleed is key of all the prayers. sir my parents do follow the combine Tohfa tul Awam of Ayatullah Mohsin ul Hakeem tabatai, Janab Syed Shahab uddin, Janab Mehmood ul Hussain and Janab Syed Abu Qasim Khoi. i also used to follow the same book. i was born in 1985. As these mujtahideens died before my birth, so can i follow them yet. As according to fikah, u can only do taqleed of live Mujtahid. kindly reply me sir, i shall be very thankful to u

Answer: 1)Jis mujtahid ki taqlid ki jaye woh mard, baaligh, aaqil, shia isna asheri(12 imami shia), halaal zaada, zinda or aadil ho. agar yeh bat ejmalan(muktasar taur pe) maloom ho ke darpesh masaa’il main mujtahedin ke fatwe ek dusre se mukhtalif hain to zaroori he ke us mujtahid ki taqlid ki jaay jo aalam ho yaani apane zamane ke digar mujtahedin ki nisbat ahkame elahi ko samajane ki bahetar salahiyat rakhta ho Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzeehul masa’il,maslah# 2).
2)Mujtahid e aalam k lie aisay ahl e ilm hazrat ki taraf rajoe karain jin ki deen dari aur aisay masloo me in ki marefat k mutalik ahl e ilm per bharosaa aur eitemad ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 2, pg # 21) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4061
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ma ny abi tk taqleed nhi ki , koi perfect mujtahud btae aurap k ilm k mutabik tashad ma ALI UN WALI ULLAH parhna jaiz hy?jaldi ans bhejy

Answer: 1) Mujtahid e aalam k lie aisay ahl e ilm hazrat ki taraf rajoe karain jin ki deen dari aur aisay masloo me in ki marefat k mutalik ahl e ilm per bharosaa aur eitemad ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 2, pg # 21)
2) Ethiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa parhna jaiz nahi hay. (ref:ayatollah sistani(d.b), www.sistani.org (topic:tashhud).
Namaz main quran ,dua or zikr e ilahi k izafay ki ijazat hay.( ref:ayatollah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#1016,1036,1122). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4616
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aoa agar hum kisi mujtahid per taqleed karty ho or agar hamara koi masla ho or hamay uski taraf say apnay maslay ka jawab na milay tho kya hum unkay usi hukum par us waqt tak amal kar sakthay hai jo hamay pehlay mila ho.jab tak jawab nahi miltha jasay vasvas or shak say mutaliq koi masla.

Answer: Jab tak insan ko ye yaqeen na ho jay ke mujtahid ka fatwa badal chukka he. Wo kitab me likhe hua fatwe per amal ker sakta he. Aur agar fatwe ke badal janey ka ehtmal ho to chhan been karna zurari nahei.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 5)

Print

Id:
5053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: ASLAM O ALAKUM KIA BAGHER TAKLET K NAMAZ ,ROZA ,HAJJ ,ZAKET WAGERA SAB KAM JO MANA KIA HAN KO SUB HARAM HO JIN GA ?

Answer: Agar koe mukallaf aik muddat tak kisi ki mujtahid taqleed kiaay baghair aamal baja laata rahe to agar us k aamaal hukame waqae k mutabiq hon ya us mujtahid k fatwe k mutabiq hon jis ki taqleed karna abhi us ki zimmedaari he to wo amaal saheeh tasw’wur kiye jaa’en gay is k alawa bhi agar wo jaahil kaasir ho or aamaal ka naqs arkaan waghera k aytebaar se na ho to bhi us k aamaal saheeh taswwur kiye jaa’en gay yehi hukm us soorat main bhi hay jab jaahil e mukassir ho or amaal main koe aysa naqs ho jo laa-ilmi ki soorat main maaf ho to jayse buland awaaz se qir’at ki jagaah aa’hista awaaz se qir’at ya bar aks, to bhi us k aamaal saheeh mane jaa’en gay yaahi hukum us soorat main bhi hay jab use yeh maloom na ho k pichhale aamaal kefiyat k etebaar se saheeh thi ya nahi to bhi us k aamaal minhaj main zikr shuda baaz mawarid k alawa saheeh tasw’wur kiye jaa’en gay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 12).

Print

Id:
5249
Mujtahid:
Date:

Question: Biwi ki maa(saas) say zina kernay say aap ki biwi ka aap se nikah nahi totay ga.aap ka nikah baaqi rahay ga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Email rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) ). (Albatta zina gunahe kabeera he or is ki toba karma zaroori he). Ye ap ka jo jwab hay kia ap es ka hawala Quran-W-Sunnah main day sakty ho??

Answer: Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka nam he is terha mujtahid ki reaa k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam do aur jis ko tark hona chahea usi tark karo bageir is k keh is musley me mazeed koi justiju aur tahqeeq karo. Goya aap ne apnea mal ko haar ki terha mujtehid ki garden me dal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne nama e aamal ka zimadar tahreya he.mujtahid quran aur sunnat se hi fatwa nikalta he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)

Print

Id:
5401
Mujtahid:
Ayatollah Sistani Date:

Question: Asamualaka warah ma tullahe wabarakatuhu ya ayatollah sistani(r.a),AllAH 14 masumeen(a.s)say ap ko jald sahatyabe ata farmae,elahe ameen, maray rahbar,ustad a mohtaram or ALLAH ke hujat maray sawal ya hai k hum tamam alam a islam k shia asna ashari k aik wahid mujtahid kun nahe hain,or dusral sawal ya hai k aik say zaed mujtahedeen ke vaja kia hai,ustad a mohtaram ya sawalat maray zahan main kafe arsay say hain or maray zahan main was wasay paida karta hain ap mari rahnumae farmaeya or maray, maray ahle khana or tamam momenien o momenat,muslameen o muslemat kay haq mai dua farmae kay mola hamain shataan malun k shar say mahfooz rakhay. Wassala mualaka warahma tullahe wabarakatuhu

Answer: Aik waqt me aik se zaa’id mujtahid tu hosaktay hain lakin taqleed os mujtahi ki hi ki jaay gi us me chand shara’it honi chahiay jin main say aik ye hay k wo apne daur k tamaam mujtahideen se ziada ilm rakhta ho aur sharyat ehkam ko un k muqarrarah madarak se haasil karne ki ziada qudrat aur taaqat rakhta ho yani mujtahid e aa’lam ho. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)

Print

Id:
6365
Mujtahid:
None Date:

Question: Main ek 23 saal ka ladka hoon main ne aj tak kisi mujtahid ki takleed nahi ki hai kya main is waqt aqae Sistani ke fatwoon ke saath unki tarleed kar sakta hon.

Answer: 1)Agar koe mukallaf aik muddat tak kisi ki mujtahid taqleed kiaay baghair amaal baja laata rahe to agar us k amaal hukm e waqae k mutabiq hon ya us mujtahid k fatwe k mutabiq hon jis ki taqleed karna abhi us ki zimmedaari he to wo amaal saheeh tasw’wur kiay jaa’en gay is k alawa bhi agar wo jaahil e kaasir ho or amaal ka naqs arkaan waghera k aytebaar se na ho to bhi us k amaal saheeh taswwur kiay jaa’en gay.
2) Jis mujtahid ki taqlid ki jaye woh mard, baaligh, aaqil, shia isna asheri(12 imami shia), halaal zaada, zinda or aadil ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2 , 12)
Note : Aap ayatullaha sistani d.b. ki taqleed kar sakhtay hein.
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6683
Mujtahid:
- Date:

Question: YA ALI(J.J) KI MADAD . . mera sawal yeh hai k Masoom apki tawzeeh k pehle page par likha hai k asool e deen mein taqleed jaiz nahee hai to phr app log azadari or matam par kese fatwa laga detay hoo ?

Answer: Her mukallaf per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).


Note: Azadari or matam usool e deen main shamil nahi haain. Usool e deen 5 hain: 1.Tauheed, 2.Adl, 3.Nabuwat, 4.Imamat, 5.Qiyamat. Is liay aqaid k alawa tamaam deeni ehkamaat main aap k liay taqleed zarori hay.aap ko chahiay k aap azadari or matam main bhi apnay mujtahid k fatway k mutabiq amal karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6696
Mujtahid:
Aaqa Khomaini Date:

Question: main hazrat aayatullah Khomaini RA ki takleed kerta hoon. ab wo bazaahir is dunyan mai nahi. kya meri takleed saahee hai

Answer: Agar wo mujtahid jis ki aik shakhs taqleed karta he wafaat pa jay to jo hukum oski zandigi me tha wohi hokum oski wafaat k baad bhi ho ga. agarmerhoom mujtahid, zindah mujtahid k muqaablay main aalam (ziyadah jaanay wala) ho tu merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna wajib hay.warna zindah aalam mujtahid k masa,il per amal kerna hoga.or agar kisi k bhi aalam honay ka yaqeen nah hosakay ya dono ilm main baraber hon tu iktiyaar hay k kisi bhi aik ki taqleed main ajaay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#8). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7629
Mujtahid:
Date:

Question: salam mera sawal ye hai k ijtihaad ki kia haqeeqat hai ijtihaad kab start hoa aur kia ye nabi ya aaimma ka zamanay me tha agar nai to ab is ki kio zaroorat pari plz answer

Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay me pesh aanay walay halaat me k silsilay mein hummari hadisoo ko bayan karnay walay rayioun ki taraf rajooe karoo q k wo humari taraf se tum per hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf se tum per hujjat hein.” (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7659
Mujtahid:
ALI HUSAIN SEESTANI Date:

Question: Mujh sy ye swal kia jata hy k taqleed krny ka jawaz kia hy or is baat ka buniadi jawaz kia hy k mujtahideen hm pr imam mehdi (a.s) ki hujat hain?

Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay me pesh aanay walay halaat me k silsilay mein hummari hadisoo ko bayaan karnay walay raviuoon ki taraf rajoo karo Q k wo humari taraf se tum per hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf se tum per hujjat hein.” (Ref : Kamaalud deen wa tamaam ul ni’mah, sheikh sadooq(a.h). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9304
Mujtahid:
Aayat Ul Allah Sistani Date:

Question: Taqleed Karna Zarori Ha Kya? Or Taqleed Kese Ki Jati Hai?

Answer: Deeni ahkamat men zaruri hai k insan ya to khud mujtahid ho matlb k kisi deeni amal ko anjam dene pr koi deene daleel rakhta ho, or agr ye mumkin na ho to phir deeni ahkamat men Ehtiyat pr amal kre jo ek mushkil kam hai(ismen apne zamane k tmam barre ulma or mujtahideen k fatwa ka ilm rakhna zarurui hota hai us k bad us sab pr Ehtiyat krte hue koi amal krna hota hai), or agr ye 2 tareeke insan k liye mumkin na ho to zaruri hai k wo khud kisi dosre mujtahid ki taqleed kre. O r deeni ahkamat men taqleed ka matlb ye hai k ksi mujtahid k fatwe pr amal krna hai or ye bhi zaruri hai k jis mujtahid ki taqleed ki jaye wo mard, baligh, aaqil, shia-asna-ashri, halazada, zinda or aadil ho.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 01- 02)
(Khuda ap ki tofiqaat men izafa farmaye)

Print

Id:
11511
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Mujhe Taqleed ki wajib honi ka book refferance (Hadees ya Qaul-e-Masoom) chaheye.

Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11627
Mujtahid:
Date:

Question: Farz aur Wajib may farq kia hay. please reply with reference. shukria

Answer: Farz or wajib yani har wo kaam jis ko anjaam dena Islam ki nazar me Lazimi ho.Farz aur wajib me amali lehaaz se koe faraq nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 494) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11641
Mujtahid:
Taqleed? Date:

Question: Taqleed Kia Hy?Kaisay Karain?Agar Deen Allah Or Mohammad Wa Aalay Mohammad Ka Hy To Deen Ki Taleemat Ko Kisi aalim ya Banaday Say Mansoob Karnay KI Kia Daleel Hy?

Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6)
1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
3) Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare.
Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2)

(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11690
Mujtahid:
none Date:

Question: salam mjhe yeh pochna hai k taqleed kiya hai? isko kerna kyun lazim hai? fl zamana itne sare mujtahid hain to phr kiski taqleed kerne chahye? Aksar log kehte hain k hum Imam zamana a.s ki taqleed kerte hain na k gair masoom ki plz reply as soon as possible

Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed kerna wajib hai q k is k baghair in ki ibadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho sakte hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6)
1)Taqleed, mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
3) Jo khud mujtahid nah ho aur nah he ehtiyaat per amal karta ho us k liay wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare.
Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baligh(4) aaqil(5) shia(6) halal zaada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
4)agar ye baat ijmalan maloom ho k dar paish masael main mujtahideen k fatwe aik doosre se mukhtalif hain tu zarori hay k is mujtahid ki taqleed ki jay jo ‘alam’ ho yani apne zamane k degar mujhtahideen ki nisbat ehkam e ilahi ko samajhne ki behter salahiyat rakhta ha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13152
Mujtahid:
Kisi ki nai Date:

Question: Salam molana sahab mera sawal ye hai k kya mujtahid ki taqleed karna zaruri hota hai kya ?

Answer: Jee haan, Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14525
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salaam o Alaikum, I have a question about My Taqleed, Actully my age is 33 and Ayatullah Sistani mutalid but when Ayatullah Khoie death my age was 14 and i know the fiqh. but i have a dought that i was not baligh at that time. so do i need to follow Ayatullah Khoie fatwa or i have to follow Ayatullah Sistani. MAy ALLAH INCREASE YOUR TOFIQAT. WaSalaam

Answer: Your taqleed to His Eminence Ayatullah Al-Udhma Al-Sayyid Al-Seestani (may Allah protect him) is sufficient inshaallah.(Ref. E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated 27 april 2012)

Note: ye jawaab is farz ki bina per hai k aap ne Ayatullah Khoe(r.h) ki zindagi me Ayatullah Khoe(r.h) ki taqleed nahi ki thi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14555
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salaam or thanks aap k reply ka..... aap nai likha hai"aap ne Ayatullah Khoe(r.h) ki zindagi me Ayatullah Khoe(r.h) ki taqleed nahi ki thi" lakin mai na ayatullah khoi r.a ki taqleed ki thee lakin mujko confirm nahi k mai us time baliq tha k nahi..... lakin fiqh k bare mai allahumdullah know how thee (kissi haad tak)woo is liaay bhi thee k hummare masjid mai fiqhi masahil k durus hote thay namaz k baad molana nazarulhasnain k saat...jo namaz k baad mai bhi attend karta thaa.... WS Salaam Salaam o Alaikum, I have a question about My Taqleed, Actully my age is 33 and Ayatullah Sistani mutalid but when Ayatullah Khoie death my age was 14 and i know the fiqh. but i have a dought that i was not baligh at that time. so do i need to follow Ayatullah Khoie fatwa or i have to follow Ayatullah Sistani. MAy ALLAH INCREASE YOUR TOFIQAT. WaSalaam Country Dubai - UAE Answer Your taqleed to His Eminence Ayatullah Al-Udhma Al-Sayyid Al-Seestani (may Allah protect him) is sufficient inshaallah.(Ref. E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated 27 april 2012) Note: ye jawaab is farz ki bina per hai k aap ne Ayatullah Khoe(r.h) ki zindagi me Ayatullah Khoe(r.h) ki taqleed nahi ki thi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Topic Ibadaat >> Taqleed >> Taqleed Key Ahkam Mujtahid Ayatullah Sistani Answered By Quran-o-Itrat Academy

Answer: Mumaiyaz bacha agar kisi mujtahid ki taqleed karay tu oski taqleed sahi hay.or jagar wo mujtahid jis ki aik shaks taqleed kerta ho agar oska inteqal ho jay tu jo hokum oski zindagi main tha wohi oski wafaat k baad bhi hay.layhaza agar merhoom mujtahid , zinda mujtahid k muqaablay main aalam ho tu wo shaks jisay derpaish masail main dono mujtahideen k dermiyaan ikhtelaaf ka agarchah ijmali ilm ho osay merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna zarori hay or agar zinda mujtahid aalam ho tu phir zinda mujtahid ki taraf ruju kerna zarori hay.( Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 8 & Minhaajus saliheen, part#1,maslah #5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14811
Mujtahid:
ali sistani a.s Date:

Question: taqleed say kia murad hai aur taqleed kab wajib hoti hai

Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15420
Mujtahid:
Date:

Question: MERA QUESTION YE HAI K AALAM BANNAY K LIYE HAFIZ W QURAN HONA LAAZMI HAI K NAHI

Answer: Mujtahid e aalam bannay k liay hafiz e Quran hona zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15760
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Kia taqleed sirf khums, zakat aur namaz wagira jaisi cheezoo k lie hoti hai ya zandigi k tamaam shoboo mai shamil hoti hain?

Answer: Mujtahid zandigi k tamaam masail k baray mai fatwa deta hai aur taqleed karnay walay par lazim hai k wo in tamam ahkam mai apnay mujtahid ki taqleed karay.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 6) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15763
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Agar koi shakhs murda mujtahid ki taqleed par baqi rahay is terha k zinda mujtahid ki taraf rujoo na kia jae to is k ghuzishta aamaal k baray mai kia hokum hai?

Answer: Is surat mai agar murda mujtahid zinda mujtahid k muqablay mai aalam(ziada ilm rakhta ho) ho to phir isi ki taqleed par baqi rehna wajib hai aur agar wo aalam na ho to phir zinda ki taraf ruju karna wajib hai aur is k aamal agar is mujtahid k fatway k mutabiq hain jis ki taqleed is waqt is par wajib hai to wo sahi shumar hoon gai aur os par koi zamidari nahi ho gi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 1 , pg # 19) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16138
Mujtahid:
sistani Date:

Question: asalam o allikum - talqleed kis tarha ki jati ha , kia sirf nyat kar lena kafi ha, ya is ka koi khas tareeqa ha. - agar hum kisi mujtahid ki taqleed karete han or taqleed change karna chate han to kia hum kar sakte han - ya nifas kia ha - agar janabat (mard orat dono) ya orat haiz or janabat ki halat ma kapre dhoye to sahi ha

Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2)
4)Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498)
5)janabat ya haiz ki halat mai kapray dhona shi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354-5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16158
Mujtahid:
Ayatullah Sestani Date:

Question: I want to do taqleed of above mentioned mjtahid.Please tell what I have to do for this.Please give me proper answer.Thanks

Answer: Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)

Note: aap ayatollah SIstani k fatway per amal kerne k liay in k fatway per mushtamil kitab tauzeehul masa,il per amal ker saktay hain. Or kitab in ki official web site per maujood hay or is ka link ye hay: http://al-shia.org/html/urd/resaleh/index.php

Print

Id:
16250
Mujtahid:
Date:

Question: sir meri umer 25 saal hai aur mera talak aik sunni gharany se hai pr main abhi shia huna chahta hu q k main ny is akeedy ko sacha paya hai is k liay islam main kiaa hukam hai aur mughy kia karna hu ga

Answer: Usool e deen(Tauheed, Adal , Nabowat,Imamat or Qiyamat) ko basiret se (yani daleel o yaqeen k saath) tasleem karain.or Ahkam deen mein " musallaamaat(tasleem shuda) or qatee(yaqeeni) umoor " ko chorh ker baqi ehkamat mein mujthid e aalam ki taqleed karain.or os k fatway k mutabiq amal karain. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Touzi hul masa,il, maslah:1-2)

Note: Mazeed malomaat k liay aap Ayatullah Sistani(d.b) vakeel aqae Maulana Ali Raza Mehdavi se raabta ker saktay hain, ye Madrasa Quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16952
Mujtahid:
Ayat ullaha Sistani Date:

Question: Assalam-o-Alaikum, mera yeh sawal haid k hum mujtahid ki taqleed kyun kartay hain, because main nay baaz logon say suna hai k hum to Iman e Zamana AS ki taqleed kartay hain to kisi mujtahid ki taqleed ki zaroorat nahi hai. Plz reply in detail. Thanks.

Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.)
2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
22080
Mujtahid:
aqa e sistani sb Date:

Question: salaam aksr lg kahte hn k jo iran k mjthid hmre pakistan k halat se na waqif hn to onki taqleed wahin tk mahdood hai iran tk kai ye thk hai plz bai

Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
22461
Mujtahid:
Agha Ali Sistani Date:

Question: Hum imam e zamana as ki rayat hen or humara eman oe aqeeda hai k imam e zamana hazir or nazir hen to hum pe dunvi taqleed q wajib hai....?

Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.)
2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print