Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Mayyit (39 Questions)


Showing 0- 39 questions from 39 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
32683
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Agha sahab, mara sawal ya hay kah, Agarbati, Lobaan, Hassad kay patay, Bokhore etc ko ghar may jalanay ki koi sharie Ahamiyat hay, aur is ka kia faida hay. aur kon say din karna chahiyah. Ya is ka koi faida hi nahi. please explain.

Answer: agar agarbati, lobaan waghaira ka istemaal maal ka israaf na samja jaraha ho t o ye haram nahe hai ( laikin is k istemaal ko deen ka hissa na samja jaay ) ( ref: deenk ahkaam,aqasistani,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
35011
Mujtahid:
Date:

Question: Salaam alykum..janab mera sawal hai k janaze ko qbr me kis tarha litaya jaye kya sirf uske chehre ko qble ki taraf karna chahiye ya uske bdn ke samne ka pura hissa kabe ki trf karna mustahab hai,ya agar aisa hai to phr murde ko qabr ki diwar se laga kar dahni karwat leta sakte hain?aor is masle me kon kon se mujtahideen muttafiq hain mehrbani karke unke naam bhi bta den..wassalam o alykum

Answer: Miyyat ko qabr mai dain (right) pehlu is terah litana zaroori hai k is k badan ka samnay ka hissa ro-ba-qibla ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 605)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
41575
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alekum.mujhe pochhna yeh hai k ek mard ya aurat ki lash pre ho to kese pta chaley ga wo musliman hain ye ghair muslim? musliman ki zahiry pehchan kya hai?

Answer: Wssalam o alykum, ager wo mayat ese ilaqe se mili ho jo musalmanoo ka ilaqa ho to us ko musalmaan mana jaae ga, or ager kafiroo ke ilaqe se mile to ager is ke musalmaan hone ka imkaan ho to ehtiyaat e lazim ki bina per is ko musalmaan mana jaae ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1, Maslah # before 303 , eidition # 1 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41933
Mujtahid:
Ayytullah sistani s.b Date:

Question: Salam:janab braye mhrbani ye btayen k murde ko qabr me kis tarha litaya jaye,hamare yahan baz log khte hain k chit litao aor sirf uske chre ka rukh qible ki tarf krdo magar ham kehte hain k nehi uske badan k samne ka hissa bhi qible ki taraf hona chahye mgar wo kehte hain k litane ka hukm hai khadi karne ka nhi...lehaza braye mehrbani kitabon k hawale k sath aga e sistani aor aga e khamnai wa khumaini s.b k masael ko tafsil k sath bayan farmayen...wassalam

Answer: Wssalam o alykum, mayat ko sedhe (right) pehloo per is terhan litana zarori hai ke is ke badan ke saamne ka hissa Qible ki taraf ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 605).
Mayyit ko qabar men daen karwet is tarah litaya jaye k us k badan ka agla hissa qibla rukh ho. (Ref : Ayatullah khumeni(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1404 , maslah # 615)
(Allah apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
47123
Mujtahid:
Date:

Question: aoa, 22 weeks ka baby agr abortion ho jaye tu os ka jnaza jayez hai? aur kb jayez hoga agr paeda ho kr sans lay ? ya sans na lay tb b jnaza lazim hai.

Answer: 1)Agar aik bacha maa k pait mai 4 mahinay ya is sai ziada ka ho kar sakit ho jae to osay ghusl dena zaroori hai bal k agar 4 mahinay sai kam ka ho laikin is ka pura badn ban chukka ho to ehtiyat e wajib ki bina par is ko ghusl dena zaroori hai. in 2 suraton k alawa ehtiyat ki bina par osay kapray mai lapait kar bagair ghusl diay dafan kar dena chaheay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 547)
2)Namaz e janaza os waqt wajib hoti hai jab bacha puray 6 saal ka ho chukka ho (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 583)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47475
Mujtahid:
mujtahid Date:

Question: how we Calcifies if any woman death we do not is she muslim , hindu or kaffir or chirsten waiting for your good response.

Answer: Is sawal sai jo samajh aya hain os k mutabiq Agar koi miyat Islamic ilaqay sai milay to os par zahiran musalman ka hokum lagay ga aur agar wo kafir ilaqay sai milay to ehtiyat e lazim ki bina par os ko bhi zahiran muslaman mana jae ga. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # before 303) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47921
Mujtahid:
All Mujtahideen Ezam Date:

Question: Q. Kia shia aqayid main Ghayibana namaz e janaza ho sakti hay or kisi sunni ki ghayibana namaz e janaza main shirkat kar saktay hain? Plz dalayil/ref kay sath answer kijie. Jazakallah!!

Answer: Namaz e janaza mai zaroori hai k namaz parhnay wala mayyat sai door na ho. Yani gayabana namaz e janaza nahi ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 583-97) Note : agar taqiyya ki wajah sai sunni ki aisi namaz e janaza mai shareek hona paray to shareek ho saktay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam ,1- What is history behind Imam Hasan(A.S) ka dastarkhwan? 2- what is correct method to do nazr/fateha on food? 3- Should fruits be peeled off for nazr, and if whole is kept in nazr where to throw seeds and peel? I am very confused as many of friends give different suggestions . 4- which is authentic book in this regard?

Answer: Wssalam o alykum, 1 , 2

Print

Id:
67107
Mujtahid:
Date:

Question: sir agr non muslim country main lady dead body mill jaye to kaisy pata chaly ga k muslim hy ya non muslim?

Answer: Wssalam o alykum, ager wo mayat ese ilaqe se mili ho jo musalmanoo ka ilaqa ho to us ko musalmaan mana jaae ga, or ager kafiroo ke ilaqe se mile to ager is ke musalmaan hone ka imkaan ho to ehtiyaat e lazim ki bina per is ko musalmaan mana jaae ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #before 303, eidition # 1st ). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93250
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-23

Question: Assalam Walaikum, kya biwi 2 months pregnant ke waqt kisi rishtedaaro ke janaze ko shohar khanda desakte hai ya nahi

Answer: Jee haan de sakta hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 618 )
[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100904
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-10

Question: Salam mayyit ko ghusal k bad hath lagaya to kya mujh par ghusal wajib he?

Answer: Tinno(3) ghusul mokamal honay kay bad agar koi mayyit ko choay(touch) kar lay to us per ghusul wajib nahi hay. (
[Updated on 10-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102435
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: AOA, Kya shohar apni biwi ke mayyat ko gusal de sakta hai. Quran o hadees ke hawale se rahnumai farma deen. Jazak ALLAH

Answer: mard namehram aurat ko ghusal nahi de sakta hai aur isi tarah aurat na mehram mard ko ghusal nahi de sakti, lekin biwi apne shohar ko ghusal de sakti hai aur shohar bhi apni biwi ko ghusal de sakta hai.
(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 548).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalaam walaikum hazrat ..mera sawal bada nahi hai chota sa hai ..inteqal pe rishtedaaron ka zor zor se awaz krke chilla kr rona kya zaruri hai? Pata nhi main ye sahi puch raha hun ya galat bas mujhe janna hai.....

Answer: Ehtiyaat e wajib ye hay keh mayyit per rote waqt awaaz bohot buland nah ki jaey. (Ref: Ayatullah Khoe(r.a),Tauzeehul masail, maslah #644). Update on dated 25-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103276
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Slam mera question ye hai k mere 2 Nephew foat ho ge Aik 2 din ka tha aur dosta 14month ka tha meri phupho ne un k 3rd day pe apne son ki din dyarey kiye jo hamare chacha k ghar se jis ka sehan bilkul hamarey ghar men hai sirf middle men wall hai btayen kia unho ne thek kiya bachon k marne k dosre din shopping wagera shuro kar di thanx

Answer: ye kaam jaiz hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#511-633).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-04

Question: Kya mayyat ka Khana jaiz by ?

Answer: Mayyat kay gar khana khana makrooh (yani acha nahe hay laikin haram nahe ) hay. (Ref:Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani db 2019 edition Masala No.622)
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104544
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-24

Question: murday kay gallay lug kay rona

Answer: Mayyit k qareeb rona makrhooh hay. Agar koe shaks kisi aise murdah insan k badan ko mas kare jo thanda ho chuka ho or jise ghusl nah gaya ho tu yani apne badan ka koe hissa os se lagaey tu zarori hay kkkeh ghusl e ,,as e mayyit kare.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 511,529).
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109141
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-10

Question: meri walda christian hain. aur unke bachay muslim. Father(muslim) ka inteqal hochuka hai. Puchna ye hai k agar unka inteqal hota hai to hum islami tareekay se hi tadfeen karen? (unki chahat to Christianity k tareekay s hi karna hai).

Answer: Musalman ko kafir k qabrustan main dafan karna or kafir ko musalmano k qabrustan main dafan karna jaiz nahi hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition 41 maslah 610).
Note: Aap k liay apni walida ko musalmano k tariqe k mutabiq dafan karna wajib nahi hay.
[Updated on 10-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: MUSALMAN MAYYAT KO KITNA KAPLON MAIN KAFAN DANA ZARORI HAI

Answer: Musalman mayyat ko 3 kapron ka kafan dena zaroori hai jinhen lung, kurta or chaadar kehte hain.Ref:(tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 559).
[Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109592
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-08-07

Question: Mayyat ko gusl dene k baad hanoot karna kaisa h

Answer: Ghusl k baad wajib hai k hunoot kia jaaye yaane aazaye sajda par kaafoor mala jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah khomeni maslah no 585).
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110380
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-17

Question: Kya do logo ki namaje janaza ek sath padhai ja sakti h

Answer: Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.(namaz Janaza me chutti taqbeer ke baad Jo Dua perhe jaate hay us me segho me tabdele ki jaay Yani agar do mardu ki maiyat hay tu tasniya ke jummle perhe jaay or agar 3 ya 3 se zaada maiyat hay tu Jame ke sighe perhe jaay . (Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala #.309.)
[Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110745
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-29

Question: Aoa. Islam kay mutabik shaheed kon kon hein? Shaheed ki types bata dein kay kis kis tarah ki maut ko shahadat ki maut kaha ja sakta he. JazakAllah

Answer: Jo shaks Imama a.s ya un k naa,ib-e-khaas k sath jang mai mara jaey ya aisi jang mai mara jaey jo islam k difa k liay larhi jaey or os main mara jay tu wo shaks shaheed kehlaata hay.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla #282).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-18

Question: AOA Kia Hospital Mai Ambulance k Torh per Gari wagera Challa sktay hain kiu k kai log kehtay hain k Murdin ka Soda krty o ap un say ziada Raqam wasool karty o Jab k jo kiraya aam chalata hai Market k lehaz say wohi liya jata hai...

Answer: Aap ka kaam jaiz hay or is kaam k paise laina bhi jaiz hay. (Ref: tauzihul masael jaame, part#1, 684)
[Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112011
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-17

Question: Kya murda ka liy qull shreef ka ihtmam krna gunah ha?

Answer: Jee nahin gunah nahin hai, balke Mustahab hai k mayyit k liay quran khani kare aur maan baap ki qabar per ja k allah se apni hajaten talab kare . ( mayyit k jo wajebaat hain maslan namaz , roza , khums waghaira un ko ada kare) . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #623 )
[Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112355
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Kya mayyat ko ghusl dene k baad ek haiz aurat usse hath laga sakti haa or mayyat ko ghusl dene k baad uss k kafan pe Ansu gir jayein to kya hoga?

Answer: 1: Agar mayyit ko teenon gusl mukammal diye gaye hon to haaiz aurat use mass kar sakti hai. Agar kafan pe ansun gir jayainto is men koi harj nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani edition 41st, maslah #354,448,515)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Hamal zaya hone k bad dafnane ka kia hukum hy?

Answer: Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus sliheen, Part #1, maslah #330).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116222
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-06

Question: Quran Main namaz e janaza ka koi zikr hay to plz wazahat kr dain

Answer: Quran kareem ke Surah tauba(surah #9), ki Ayat #84). men namaz e janaza ka zikr maujood hai.(Ref: https://quran.com/9).
(Note: Is Ayat ki tafseer ke liye aap ko aik link provide kiya ja raha hai aap is link ko visit karen ge to Inshallah baat aap ke liye wazih ho jayegi.
Link: https://www.balaghulquran.com/tafseer/index.php?sno=9&ano=009084 ).
[Updated on 07-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-07

Question: salaam molana sahab....mayat ko dafnay mai aik do din baqi ho to mayyat ki maghfirat k liaye kiya parhain

Answer: Wo tamam kaam kiye jasakte hain jo mayyit ke dafan karne ke baad kiye jate hain malan:- mayyit k liay quran khani karna, Sadqa o khairat karna, Esaal e sawab ke liye majlis barpa karna wagera... (mayyit k wajibaat maslan:- namaz, roza, khums,qarz,hajj waghaira ada karna). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #623. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4283/ ).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120516
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-05

Question: Ager use ki hue sajdagha ko muyyat ky Kafen per likhai ki Jaya to koi masla to Nahi ho ga

Answer: Likh sakte hain, koi maslah nahin hai.
(Ref: Urwatul wusqa, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, pg #305. + https://www.sistani.org/arabic/book/22/1727/ ).
[Updated on 06-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120745
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-26

Question: Is it fine to donate organs after death?

Answer: Musalman mayyit ke aaza ko qata karna jaiz nahin, is par diyat wajib hoti hai, or kaatne ki surat me dafan karna wajib hai magar ye ke kisi musalman ki zindagi is ke dene par munhasir ho to is surat men aisa karna jaiz hai lekin is ki diyat dena wajib hai. aur agar us (marhoom) ne wasiyat ki ho to diyat saaqit ho jaye gi( yani diyat nahe hoghe), lekin agar kisi musalman ki jaan bachane ka muamala na ho aur us ne wasiyat ki ho to us ki wasiyat me ishkaal hai ( yani ehteyaate wajib ki bina per is per amal na kia jaae)
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01750/ ).
[Updated on 26-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-06

Question: Kya maiyyat pr Rona murda insaan k liye koi mushkil peida krta h??? Rona chahiye ya ni???

Answer: Jee nahin, aisa kuch nahin, mayyit par giraya kar sakte hain, Han albatta ehtiyat e muhtahab (behtar) hai ke mayyit par rote waqt Aawaz buland na ki jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #627).
[Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121066
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-17

Question: Mayyat par matam krna chaiya ya phr nhi?

Answer: 1: Kisi ki mout par bhi insan ke liye Ahtiyat ki bina par jaiz nahin k apna chehra aur badan zakhmi kare aur apne baal nochey laikin sar aur chehre ka pitna jaiz hai.
2: Ahtiyat ki bina par baap aur bhai ke alawa kisi ki bhi mout pr gireban chaak karna jaiz nahin aur Ahtiyat-e-mustahb yeh hai ke in ki mout par bhi gireban chaak na kiya jaye.
3: Agar aurat mayyit ke sog main apna chehra zahkmi kar ke khoun aaloda kar lay ya baal nochey to Ahtiyat-e-mustahb ki bina par wo aik ghulam aazad kare ya 10 faqeeron ko khana khilaye ya inhain kapre pehnaye aur agar mard apni biwi ya farzand ki mout par apna gireban ya libaas phaarey to us ke liye bhi yahi hukum hai.
4: Ahtiyat-e-mustahb yeh hai ke mayyit par rotey waqt awaaz bahut buland na ki jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #624,625,626,627).
[Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-26

Question: Kia koi Khatoon kisi k bhi janazay ko kindha de skti hai es ka jawab tuzee main nahi hai

Answer: Jee han, khatoon bhi janazay ko kandha de sakti hai aur tauzeeh me bhi ye cheez maujood hai bas thori dikkat ki zaroorat hai Q ke tauzeeh ul masail me tajheez, takfeen or tadfeen ke hawale se jo masail bayan kiye gaye hain wo mardon ke sath khaas nahin balke wo aam hain yani un kamon ko mard bhi anjam de sakte hain aur khawateen bhi anjam de sakti hain siwaye ye ke jahan na mehram mard or aurat ke muamilaat paish aa rahe hon jese ke mard, na mehram aurat ko ghusl nahin de sakta ya aurat, na mehram mard ko ghusl nahin de sakti, ya maslan agar koi khatoon kisi janazay ko kandha de to agar wahan na mehram afraad bhi maujood hon to zaroori hai ke parde ka khayal rakha jaye, lekin agar bay pardagi ho rahi ho ya is tarah deegar muamilaat ke jahan na mehram ka muamilaat paish aa rahe hon to in surton me wahan shirkat nahin kar sakti. lekin ke alawa baqi kaam khawateen bhi anjam de sakti hain.
(Note: Dosri baat ye ke humara muashira bhi aisa hai ke jahan mayyit se marboot ahkaam or wazaif mard hazrat hi anjam dete hain warna to sharaei taur par khawateen ke liye koi mumaniat nahin).
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #548,618,2409).
[Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-23

Question: Salam Ya Ali Madad sawal ye tha k Namaz ejanaza farz ha???agr farz ha Tou Kia Karbala main imam Hussain a.s Ka janaza parhya gya???

Answer: 1: Jee han, har musalman ki mayyit par aur aise bache ki mayyit par jo islam ke hukum me ho aur poore 6 saal ka ho chuka ho, namaz parhna wajib hai.
2: Bani asad ke log (shuhada e karbala) ke dafan ke muamle me hairaan o sargdarn the, ke Imam Zain ul Abideen(a.s) aijaaz e imamat ke sath (karbala me) tashreef laaye, Imam(a.s) ne un ko shahada ke lashon ki murafi karayei us waqt buhat giriya o buka hua, is ke bad Imam(a.s) apne baba buzurgwar ki laash e mutahhar ke paas aaye, gale lag kar kasrat se giriya o buka kiya, phir qabr ke maqam se thori matti hataei, wahan khudi khudaei qabar tayar thi, Imam(a.s) ne namaz e janaza parhne ke bad tanha ye parhte hue apne walid e maajid ko qabr men utara 'بسم الله وفي سبيل الله وعلى ملّة رسول الله ، صدق الله ورسوله ، ما شاء الله ، لا حول ولا قوّة إلاّ بالله العظيم'. aur Imam(a.s) ne bani asad se faramaya: mere sath madadgar maujood hain.
Jab lahad me laash e muqaddas ko litaa chuke to gulu e bureeda ke paas duhn e aqdas le jaa kar kaha: 'طوبى لأرض تضمّنت جسدك الطاهر ، فإنّ الدنيا بعدك مظلمة والآخرة بنورك مشرقة ، أمّا الليل فمسّهد والحزن سرمد ، أو يختار الله لأهل بيتك دارك التي أنت بها مقيم ، وعليك منّي السّلام يابن رسول الله ورحمة الله وبركاته'
Phir qabr e mubarak par (ungusht se) likha: 'هذا قبر الحسين بن علي بن أبي طالب الذي قتلوه عطشاناً غريباً' ye us Hussain ibn e Ali(a.s) ki qabr hai jise logon ne piyasa shaheed kiya.
Is ke bad apne chacha buzurgwar janab e Abul Fazl Abass(a.s) ki laash e mubarak ke paas punhche, un ke gulu e bureeda par bosa dete hue farmaya: 'على الدنيا بعدك العفا يا قمر هاشم ، وعليك منّي السّلام من شهيد محتسب ورحمة الله وبركاته' is ke bad qabar khodi aur khud tanha un ko us me utara, aur Imam(a.s) ne bani asad se faramaya: mere sath madadgar maujood hain, phir bani asad ko hukum diya ke do garhe khoden, aik me bani hashim ko aur dosre me ashaab ko dafan karen, chunache unhon ne us ke mutabiq amal daramad kiya. wallah amal

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, before maslah #583. + Maqtal e muqarram arabi, pg #386. + https://ar.lib.eshia.ir/71703/1/320 ).
[Updated on 23-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121261
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-23

Question: Salam Ya Ali Madad sawal ye tha k Namaz ejanaza farz ha???agr farz ha Tou Kia Karbala main imam Hussain a.s Ka janaza parhya gya???

Answer: 1: Jee han, har musalman ki mayyit par aur aise bache ki mayyit par jo islam ke hukum me ho aur poore 6 saal ka ho chuka ho, namaz parhna wajib hai.
2: Bani asad ke log (shuhada e karbala) ke dafan ke muamle me hairaan o sargdarn the, ke Imam Zain ul Abideen(a.s) aijaaz e imamat ke sath (karbala me) tashreef laaye, Imam(a.s) ne un ko shahada ke lashon ki murafi karayei us waqt buhat giriya o buka hua, is ke bad Imam(a.s) apne baba buzurgwar ki laash e mutahhar ke paas aaye, gale lag kar kasrat se giriya o buka kiya, phir qabr ke maqam se thori matti hataei, wahan khudi khudaei qabar tayar thi, Imam(a.s) ne namaz e janaza parhne ke bad tanha ye parhte hue apne walid e maajid ko qabr men utara 'بسم الله وفي سبيل الله وعلى ملّة رسول الله ، صدق الله ورسوله ، ما شاء الله ، لا حول ولا قوّة إلاّ بالله العظيم'. aur Imam(a.s) ne bani asad se faramaya: mere sath madadgar maujood hain.
Jab lahad me laash e muqaddas ko litaa chuke to gulu e bureeda ke paas duhn e aqdas le jaa kar kaha: 'طوبى لأرض تضمّنت جسدك الطاهر ، فإنّ الدنيا بعدك مظلمة والآخرة بنورك مشرقة ، أمّا الليل فمسّهد والحزن سرمد ، أو يختار الله لأهل بيتك دارك التي أنت بها مقيم ، وعليك منّي السّلام يابن رسول الله ورحمة الله وبركاته'
Phir qabr e mubarak par (ungusht se) likha: 'هذا قبر الحسين بن علي بن أبي طالب الذي قتلوه عطشاناً غريباً' ye us Hussain ibn e Ali(a.s) ki qabr hai jise logon ne piyasa shaheed kiya.
Is ke bad apne chacha buzurgwar janab e Abul Fazl Abass(a.s) ki laash e mubarak ke paas punhche, un ke gulu e bureeda par bosa dete hue farmaya: 'على الدنيا بعدك العفا يا قمر هاشم ، وعليك منّي السّلام من شهيد محتسب ورحمة الله وبركاته' is ke bad qabar khodi aur khud tanha un ko us me utara, aur Imam(a.s) ne bani asad se faramaya: mere sath madadgar maujood hain, phir bani asad ko hukum diya ke do garhe khoden, aik me bani hashim ko aur dosre me ashaab ko dafan karen, chunache unhon ne us ke mutabiq amal daramad kiya. wallah amal

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, before maslah #583. + Maqtal e muqarram arabi, pg #386. + https://ar.lib.eshia.ir/71703/1/320 ).
[Updated on 23-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121477
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-08

Question: Assalamalaikum...ek aunty ke khawaish hain ki qabr mai dafan karne time pe ziyarath e ashura audio on karke rakhne ka karke....kya ye jayaiz hain ???...

Answer: Jee han, jaiz hai Q ke dafan karne se pehlay, dafan karte waqt aur qabar ko dekhnay ke waqt jo duayen riwayaat ki kitabon mein naqal hui hain un ka parhna mustahab hai, un duaon ka zikar mufassal kitabon mein hua hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition #42, maslah #618. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4283/ ).
[Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-05

Question: Meri 15 sal ki masum aur na samaj beti ne jahar khakar apni jaan dedi hai (Meri talak ki wajah se) Me uski magfirat ke liye kya kar sakta hu?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Wo tamam kaam kiye jasakte hain jo mayyit keliye jate hain maslan:- mayyit k liye quran khani karna, Sadqa o khairat karna, Esaal e sawab ke liye majlis barpa karna wagera... (mayyit ke wajibaat maslan:- namaz, roza, khums, qarz, hajj wagera... ada karna).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #623. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4283/ ).
[Updated on 06-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121596
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Jis takhat p myyat ko gushl dya jata h Wo njis ya pak

Answer: Wo takhta ya sil jis par mayyit ko ghusl diya jaata hai aur wo kapara jis se mayyit ki sharmghah dhanpi jaati hai neez ghussaal (ghusl dene wale) ke hath, ye tamam chezein – itni miqdar me jo aam tour par ghusl ke mouqe par, mayyit aur us pani se jo us par dala jata hai, is se mili hui hoti hain – Ghusl mokamal ho jane par pak ho jati hai lakin ghussaal (ghusl dene wale) ka libaas aur badan aur baqiya ghusl daine ki cheezen ehtiyat e wajib ki bina par ba zarieya e Tabeiat pak nahin hoti hain aur alag se dhone ki muhtaj hoti hain.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #211).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123821
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: Assalualikum . Agar aurat ko koi bimaari ho aur uss halat me uska inteqal hojaye aur ghusl e maiyyat k baad kafan me kabristaan lejate waqt aurat ka khoon kafan me lag jaye toh usse koi dikkat h?

Answer: Agar maiyat ka kafan is ki apni nijasat ya kise dosere nijasat se najis hojaae or agar aisa karne se kafan zaaya na hota ho tu jitna hissa najis hoa hay ise dhoe ya kaatna zarori hay kho maiyat ko kabar me he kyu na utaara jachuka hooagar kafan ka dhona ya kaatna mumkin na ho tu zarori hay ke badal de
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 571)
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125061
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-07-21

Question: asalam alekum. kia mayyat ke ghar me 3 din chulha jalana ya khana pakana mana hai? kia yeh sharae mana hai?

Answer: Mustahab hai ke mayyit ke ahl e khana ke liye teen din tak khaana bheja jaye, un ke paas beth kar ya un ke ghar me khana khana makrooh (yani acha nahin hai) lekin Haram nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #622).
[Updated on 22-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print