Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Tayammum (39 Questions)


Showing 0- 39 questions from 39 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1566
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: SALAM, Tayammum kernay ka sahi teriqa kya hey? aur khaak e shifa na honay ki sooret mein ye kin kin cheezon per kya jaa sekta hey?

Answer: B.T. (i) halate ikhteyar me tayammum ka tariqa ye he ke dono hatho ki hatheliyo ko ek sath zamin par mare aur phir dono hath ek sath peshani aur bhanwo par is tarah male ke bal ugane ki jageh se nak ki abteda aur peshani ki dono atraf ko shamel kare aur ahteyat wajib yeh he ke nak aur honto par bhi hath phere. phir ulte hath ki hatheli ki tarf se sidhe hath ki pusht ke sare zaheri hisso par kalai se le kar angliyo ke akher tak masah kare, phir sidhe hatho ki hatheli ki taraf se ulte hath ki pushat ke sare zaheri hisso par masah kare aur angliyo ka darmiyani hissa zaher me shamil nahi he (tahrirul wasila, tayammum ka tariqa masaala no. 1)
(ii) mitti, paththar, bajari, dhela, chuna, pakne sy pahele chune ka paththar wagera par tayammum ho sakta he (tahrirul wasila, wo chizea jin par tayammum sahih he masala no.1) (tayammum ke liye khake shifa zaroori nahi he)

Print

Id:
5723
Mujtahid:
soni Date:

Question: ghusal k liye tiyamam ka kia treeqa hi?

Answer: Wazu ya ghusl k badlay kiay jaanay walay tayammum me 3 cheezain wajib hein 1: donoo hatilioon ko aik saath aisi cheez per rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ethiat e laazim ki bina per donoo haath aik saath zameen per rakhnay chahiain. 2: Donoo hatailion ko puri paishani per sar k baal ugnay ki jagah se aabro aur naak k baala’e hissay tak phairna aur isi terah ethiyaat e wajib ki bina per peshani k danoo taraf donoo hatilioon ko phairna, ethiat e mustahab ye he k haath aabroo k oper bhi phaira jaay. 3: baa’een(Left) hataili ko da’een(Right) haath ki tamaam pusht per aur is k baad daa’een hataili ko baa’een haath ki tamaam pusht per phairna ,
Zarori he k tayummum (qarbatan illal’laah) ki niyat se anjaam dain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 690). Was-salam

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
6251
Mujtahid:
Date:

Question: aslam o alaikum sir mera sawal hai k agar mani ka ikhraj ho jaye or ghusal ka waqt na mily to kia is halat mai namaz parh sakty hain ya nahi plz reply soon

Answer: Jab waqt itna tang ho k agar aik shakhs ghusl karay tu sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad parha ja sakay to zarori he k tayyamum kar k namaz parhey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 668)

Print

Id:
14287
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: jab gusal wajib ho or namaz ka waqt hatam ho raha ho to kya hum sirf wazoo ker k namaz parh saktay hain

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein.
Jab waqt itna kam ho k agar wuzu ya ghusal karain tu saari namaz ya oska ka khuch hissa waqt k baad parha jaay tu zarori hai k ghusl k badlay tayammum ker k namaz perhain. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 668). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15766
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia tayammum mai hathoo ko mitti(soil) par marnay k baad jarna wajib hai?

Answer: Jee nahi tayammum mai hathoo ko mitti(soil) par marnay k baad jarna mustahabb hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 12, pg # 24) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32763
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Salam mera swal yeh ki agar hm najis hogai sex ki wajah se aur waqt namaz itna karib hai ki gusl ka time nhi to is surat mei tayamum kaisa kiya jay sakta hai plz tayamum ka tariqa bhi btaiyega

Answer: Jab waqt itna tang ho k agar ghusl kar lain to sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad perha jasake to zaroori hai k tayammum kare. Tayammum me 3 cheezain wajib hain : 1)Dono hateliyo ko aise cheeze per marna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehtiyat e lazim ki bina per dono hath aik saat zameen per marne ya rakhne chaheay. 2)Dono hateliyo ko puri peshani per sar k baal ugnay ki jigah se eyebrow aur naak k balai hisse tak phairna aur isi terah ehtiyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hateliyo ko phairna. 3)left hateli ko right hath ki tamam pusht per aur is k baad right hateli ko left hath ki tamam pusht per phairna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 668-690)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32835
Mujtahid:
Syed Ali Hussaini Sistani Date:

Question: Salam - Taimum agar ghusal k badlay ho aur aik waqt (fajar) k baad doosri namaz (Zuhr) tak : 1- Agar dosri namaz tak pani na milay toh kya dobara taimum karna hoga Zuhr ki namaz k liyah (mubtilat e wazoo na hoa ho). 2-Agar pani mil jayee Fajar k baad toh kya (taimum karliya ho) toh zohar kay waqt ya uss sai pehlay ghusal bhee karna hooga ya ghusal ki zaroorat nahi hoogi yani Taimum kafi hoga ghusal kay badlay main. Toozi main hai k jab sabab e taimum khatam ho jayee to taimum batil hojata hai.

Answer: Agar insaan abaadi mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil-aakhir us k milnay say na umeed hojaey tu phir tayammum ker k namaz parhay yahan tak k agar insaan ko pani khareedna paray tu zarori hai k pani khareed kr gusal anjaam day.
Jo shaks pani na milnay ki wajah say ya kisi aur wajah se tayam,mum karay tu phir sabab e tayam,mum khatam ho janay per tayam,mum batil hojata hay.(yani agar zohar tak pani nah milay aur koe mubtilaat e wuzu aur ghusl nah huwa ho tu osi tayam,mum say namaz parh saktay hain laikin agar fajr k baad jaise he pani mil jaey tu tayam,mum toot jaey ga) or ghuls ker k namaz perhay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #638,709). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32843
Mujtahid:
gusal Date:

Question: agar gusal insan par parz hojai aur agar pani na ho to kia kary?

Answer: Agar insaan abaadi(residential area) mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil aakhir us k milnay say na um,meed hojaey tu phir tayam,mum ker k namaz parhay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #638)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
34513
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamualikum mera sawal yeh hai ki kya taymum karne ke liye dewaar pwer intni mitti honi chaiye ki jab tayymum kiya jaye to miti dewar se udey

Answer: Jis cheeze per tayummum kia jae ehtiyat-e-lazim ki bina per zaroori hai k is per kuch gard-o-gubar moujood ho jo k hatho per lag jae aur is per hath marne k baad zaroori hai k itni zor se hatho ko na jaray k sari ki sare gard gir jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #688 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38125
Mujtahid:
help Date:

Question: tamum ka arabi niyat

Answer: Zaroori hai k tayammum “ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” ki niyat sai anjam dia jae. Aur is k lie itna kafi hai k hokum e ilahi ki baja aawari k iraday sai kia jae. Is k alawa tayammum ki niyat sai zaban ya dil mai karna zaroori nahi bal k agar aik shakhs tayammum k tamam afal Allah k hokum par amal karnay k lie baja lae to kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 690) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41744
Mujtahid:
Date:

Question: salam meara sawal yea hea k agar guslay janabat farz hoo jay aur gussal na kar sakata hoo to wazoo yea tayaumum kar k namaz pari ja sakati hea agar kha to tayaumum ka taraqa kaya hea

Answer: Wssalam o alykum, Ager tayammum ki tamaam sharait mojud hain to gusal e janabat ke badle ki niyat se tayammum karna wajib hai, or is hi tayammum ke sath namaaz phari jasakti hai wazu zaruri nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 712 , 713 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
46970
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: My Question is dat.....Ager ap na biwi sa hum bstri ki laken Ap ki sihat kharab honey ki wajey sa Naha nai sakty to Dean main kia ahkamat han? Paak kaisey hon ga?

Answer: Agar pani ka istemal kisi shakhs k lie mojooda marz k toolani ya shaded ho janay ka sabab ho to to zaroori hai k tayammum kar k namaz parhain.
Is k alawa jo shakhs pani k istemal sai darta ho aur jan boojh kar apnay aap ko junub kar lia ho aur tayammum kar k namaz parhi ho to behtr ye hai k jo namazain insan nai tayammum k sath parhi ho in ki qaza karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 659-716)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53044
Mujtahid:
tayamum Date:

Question: Assalamualaikum admi se hajat hogai aur kapde bhi na pak hogaye tho is halat me tayammum karke namaz padsakte hai? ya saaf kapde pahenkar tayamum karna chahiye?

Answer: wssalam o alykum, ager tayammum karne ki sharaait mojood hain (masalan maloom ho ke namaaz k aakri waqt tak pani nahi mile ga) to tayammum karna ho ga. Or namaaz main libaas ka paak hona ye ik alag shart hai, pas ager paak kapre hain to in ko pehanna hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 638 to 673 , 786 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54102
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: slam sir mai bohat parishan hon k meray naak ka operation howa ha or pmoo per pati lagi howe ha ma ghusal janabat kerna chahta hon please is ka solution btaday bohat parishan ho nmazay bhi qaza ho rhi han

Answer: Wssalam o alykum, ager pani apke liye nuqsaan de ho to zarori hai ke ap janabat ke liye ghusl ke bajaae tuyammum karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 659 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
81492
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar aik insan par nahana parz ho jae aur wo bemar ho to use Kya karna chachie qoitrat

Answer: 1-Agar wo aisa beemaar ho k nahana os k liay nuqsandah ho tu os ko tayammum kerna chahiay.
2-Tayammum ka taraiqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain:
(i)Dono hathelion ko aise cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein.
(ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or esse tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain.
(iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna.
Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam de jisa keh wuzu k masail main bataya ja chuka hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #690). Update on dated 21-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86722
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia ghusal kay badly wazo kiya ja skta hai agr pani ghusal kay liy na ho to?

Answer: Agar insaan abaadi mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil-aakhir us k milnay say na umeed hojaey tu phir tayammum ker k namaz parhay yahan tak k agar insaan ko pani khareedna parhay tu zarori hai k pani khareed kr ghusl anjaam day.(Ref:Tauzeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#638) Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86993
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Pani ke baghar ghusal e janabat

Answer: Pani na ho to ghusul ki jagah tayammum kia jaey ga. Is tarah k dono hathelio ko aik sath zameen per rakhen or phir dono hathailio ko poori paishani per sar k baal ugnay ki jagah say eyebrow or naak kay balae hissy tak pheren or isi tarah ehtiyaat e wajib ki bina per paishani kay dono tarf hathelio ko pheren or phir ulty hath ki hatheli ko seedhy hath ki pusht per pheren or seedhy hath ki hatheli ko ulty hath ki pusht pr pheren. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #690 ). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88651
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Hazrat meri biwi ko allergy hai. Paani sir pe lagnay se ya dust se oos ko shadeed chinkain shuroo ho jaati hain khaas tor per wo raat ya early morning ghusal nahin ker sakti. Kia wo woozoo se namaz parh sakti hai.

Answer: Agar masla e harj ho paani ka istemaal tu us ko chahiay k ghusl k badle tayamum karey. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 659). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89110
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Tayammum kin kin chizo se toot ta h

Answer: Jo chezein wuzu ko batil karti hai wo wuzu k badle kiay hue tayyamum ko bhi batil karti hain aur jo cheezein ghusl ko baatil karti hai wo ghusl k badle kiay hue tayyamum ko bhi baatil karti hain or jis uzr ki wajah se tayammum kia gaya tha os k khatam hone se bhi tayammum batil ho jaata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #710). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92857
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-02

Question: Assalam O alaikum, Agr mein kisi wajah se gusl nhi kr skta, jaise khin intezaam nhi hai, ya phir winters mein raat mein possible nhi, to kya paak hone ka koi or tareeqa hai.

Answer: Was Salam. Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga. Warna har soorat main ghusl hi karna hoga.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 masalah no 638)
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93313
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: Asalamoalaikum Sardiyo agar barwaqt Naha nh sakta ho ur namaz b pharni ho fajar ki To kiya kiya jae???

Answer: Pehly to ghusl karna hoga lekin agar waqt tang ho ya koi or majboori ho to tayammum kia jaey or halate ikhtiyaar me tayammum ka tariqa ye hay keh dono hatho ki hatheliyo ko ek sath zamin par mare aur phir dono hath ek sath peshani aur bhanwo par is tarah maley keh baal ugne ki jagah se naak ki ibtidah aur peshani ki dono atraaf ko shamil kare aur ehteyaat wajib yeh he keh nsak aur hoonto par bhi hath phaire. Phir ulte hath ki hathaili ki taraf se sidhe hath ki pusht k saare zaheri hisso par kalae se lay kar ungliyo k akhir tak masah kare, phir seedhe hatho ki hathaili ki taraf se ulte hath ki pushat k saare zahiri hisso par masah kare aur ungliyo ka darmiyani hissa zahir me shamil nahi he. (tahrirul wasila, tayammum ka tariqa masaala no. 1) (ii) mitti, paththar, bajari, dhela, chuna, pakne sy pahele chune ka paththar wagera par tayammum ho sakta he (tahrirul wasila, wo chizea jin par tayammum sahih he masala no.1) (tayammum ke liye khake shifa zaroori nahi he)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97050
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-30

Question: Aslam-O-Aleikum mera Question ye hai k agar ap pe Gusal wajab ho jaye or ap ke pass pani na ho to kesse gusal kar saqte hai Essa koi tareqa Islam mein hai ??

Answer: Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga warna har soorat main ghusl hi karna hoga (ref tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 masalah no 638
[Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102504
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-19

Question: Salam mera sawal ye hy agr ghusal e janabat farz ho or garam paani available na ho sardi k mosam mein sirf thanda pani hy js sy ghusal nai ho sakta to kia wazu kar k namaz ada ki ja sakti hy???

Answer: wsalam. Agar pani garm karna mumkin nah ho or thanday pani se ghusl karna nuqsandah ho tu tayammum kar k namaz perhna wajib hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#41 maslah#659)
[Updated on 19-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102587
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr admit majboori ki wajah se Ghusal na kr ske to namaz parhi ja skti ha?

Answer: Agar ghusl karna mumkin nah ho tu phoir tayamum kar k namaz perhi zarori hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #663). Update on dated 20-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).


Print

Id:
102708
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Tyamum krane ka triqa bta Den

Answer: Tayammum ka taraiqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain:
(i)Dono hathelion ko aise cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein.
(ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or esse tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain.
(iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna.
Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam de jisa keh wuzu k masail main bataya ja chuka hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #690). Update on dated 26-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
104441
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-04

Question: Assalam o alaikum! Kia ksi majbori ki waja sy ghsal janabat na kr k wazu p iktifa krty huay wajib namaz parrh ckty hyn?

Answer: Jee nahin, agar koi majboori ho to wuzu pe iqtifa nahin kiya sakta balke is gusl ke badle tayyamum kiya jai ga.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 360)
(Note: Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3636/ pe ja kar tayammum ka tareeqa dekh sakte hain.)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109563
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-07

Question: Agar bukhar (fever) k halat me ehtelam ho jaye aur gusl se bimari k badhne ka khatra ho to is halat me kya karen?

Answer: Aisi soorat mai wo tayamum kia jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 659,660).
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110566
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-21

Question: Agr kissi ko pani sa allergy ho to wazoo k sa kry

Answer: Paani agar us k liye muzir (nuqsaan deh) ho tou phr tayammum karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 659).
[Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110669
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-03-27

Question: Janabat ke bad namaz perhna ho magar ghusal ke lia pani na ho tu kia karain

Answer: Agar insaan abaadi mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil-aakhir us k milnay say na umeed hojaey tu phir tayammum ker k namaz parhay yahan tak k agar insaan ko pani khareedna parhay tu zarori hai k pani khareed kr ghusl anjaam day, Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga. Warna har soorat main ghusl hi karna hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2020 edition, maslah#638)
[Updated on 28-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111044
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-19

Question: Agr sex kia protection k sath or lady ko khansi bht hai k wo ghusal kry to bemar ho sakti hai to phr kia krei

Answer: Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho tu paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye bhi mumkin nah ho tu ghusl k badle tayammum kia jaey, or agar agali namaz tak ghsul karna mumkin ho jaey tu phir ghusl e janabat kia jaey ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#659)
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111332
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-04

Question: Please tayamum ka tairqa bata dein. Deewar se ho sakta h ya sirf mitti se. Aur larkiyan office mei hoti hn make up ki wajha se pani ka istemal ni krna chahen tu kia deewar se tayamum karlen. Q k mitti b office mei mojood nahi hogi

Answer: Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga. Warna har soorat main wuzu hi karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani (d.b), Edition 39th, Masla no 638)
(Note: Saat (7) surton men wuzu aur gusl ke bajaye tayamum karna zaroori hai. lekin in saat (7) surton ke elawa tayamum nahin kiya jaiga. aur wo surtain ye hain 1) Pani na ho. 2) Pani tak rasaai na ho. 3) Pani ke istimal khaof ho. 4) Haraj aur mashaqat. 5) Pani piaas bujhane ke liye kafi ho. 6) Wuzu ya Gusl ka takrao aisi sharee takleef se ho raha ho jo un se ziyada aham ho ya barabar ho. 7) Namaz ka waqt tang ho.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani (d.b), Edition 39th, Pg no 111 to 115)
[Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111896
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-08

Question: AOA sir I am suffering from pneumonia. And doctor advised me not to take bath for a month. But my semen got released when I was sleeping. So how can I do ghusal? As I cannot even bear hot water for ghusal. Kindly reply me asap. Thanks.

Answer: 1) Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho tu paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye bhi mumkin nah ho tu ghusl k badle tayammum kia jaey, or agar agali namaz tak ghsul karna mumkin ho jaey tu phir ghusl e janabat kia jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), 2) Tauzeehul masail, edition 41st, maslah #659)
Tayammum ka taraiqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aisi cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or isi tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam day. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 39th, Maslah #690).
(Note: Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3636/ pe ja kar tayammum ki mazeed tafseel dekh sakte hain.)
[Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-21

Question: Can we do masah over regular cotton socks in winter if we have medical issues with cold water? My feet get swollen in winter.

Answer: Socks par masah kerna batil hai, haan agar sakht sardi ho ya chor ya darinday waghera kay khoof say jotay ya mozay na utaray jasakain tau ehtiyaat-e-wajib ye hay k mozay par masah karay aur tayyam,mum bhi karay..(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, edition 39, maslah #258).
[Updated on 21-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112035
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-16

Question: Salam Mujy panni se allergy ha kuch namzon ke time tayamam hi krta hon wzoo ki jgah sath quran b pr skta hon .

Answer: 1: Paani agar us k liye muzir (yani nuqsaan deh) ho to phr tayammum karna hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani, edition 41, maslah #659).
2: Namaz k liay wuzu shart hai isi tarah quran k alfaaz ko mas karne k liay wuzu laazmi hai lekin is k alawa faqat quran parhne ya zikr e khuda k liay wuzu shart nahi hai. lehaza quran parhne ke liye wuzu ke badle tayamum zaroori nahin hai. (Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315,316).
3- Namaz k liay kiay gaey tayaamum se quran bhi perh salte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani, edition 41, maslah #704).
[Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-02

Question: wuzu aur gusl ke tayammum me kya fark hai

Answer: Tayammum ka tariqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen(3) cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aisi cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or isi tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam day.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #690).
(Note: Tayammum chahe wuzu ke badley men ho ya ghusl ke badley men ho in dono men Koi faraq nahin hai. aur Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3636/ pe ja kar tayammum ki mazeed tafseel dekh sakte hain).
[Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115960
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-22

Question: waqt kam honay ki wajah say gusl e janabat ki bajaey tayamum sey fajr parhi aur ab zohrain Kay liye dobara gusl e janabat karna paday ga?? aur agar zohrain kay liye gusl e janabat kiya toh wuzu ki zarurat nahin naa??

Answer: Jee han, zuhrain ke liye ghul e janabat karna parhe ga, Q ke tayyamum to waqt ki tangi ke uzur ki wajah se anjam diya gaya tha, ab choonke wo uzur khatam ho gaya hai to tayyamum bhi batil ho jaye ga. lihaaza zuhrain ke liye ghusl e janabat karna parhe ga. aur is ke baad wuzu ki zaroorat nahin hai, balke ghusl e janabat ke baad to wuzu karne se mana kiya gaya hai, ( yani ghusl e janabat ke baad wuzu karna haram hai ).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani(d.b), Edition #42, Maslah #356,709).
[Updated on 23-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116295
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-05

Question: Agr Kisi k hath tuta hua h r tayamum k lye hila ni skty to dusry ek he hath sy tayamum mumkin h ya ni,?

Answer: agar kisi shaks ka fareeza tayyamum ho lekin wo khud tayyamum na kar sakta ho tou zaroori hai k wo kisi doosre shaks sai madad le taakay wo madadgaar us shaks ko jitni madad ki zaroorat ho utni madad karay yaane
..jis cheez par tayyamum karna sahi ho wo cheez qareeb le aaye takkay wo haath rakh le phr us ka aik haath peshani par rakh de (jo toota howa hai) taakay wo dono haathon sai masa kar le phr haath k masay mai jahan zaroorat ho tou phr wahan bhi us ki madad karay.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 701).
[Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116620
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-22

Question: Assalamualaikum Taymum ka zikr surah nisa ki konsi ayat me hai ?

Answer: Quran kareem ki 2 Ayaat main tayammum aur is ke ahkam bayan hoe hain: Surah Nisa(surah #4 Ayat #43, Surah Maaidah(surah #5), Ayat #6).
(Ref: https://quran.com/)
[Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122990
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-29

Question: Asslamu alaikum paak saaf kapde se tayyum krna kaisa hai

Answer: Baraah-e-raast (direct) kapre par tayyamum nahin karna sahi hai. lekin agar kapre par dhool, matti aur gard-o-gubar jama ho (ya khud jama karen) aur aam taur par log use naram matti shumaar karen to us par tayyamum karna sahi hai. agarche ehtiyat e mustahab ye hai ke ikhtiyaari halat me us par tayyamum nah kiya jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #675).
[Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print