Showing 0- 50 questions from 261 questions on this page.
Question: if a lady is in state of istehada qaleela according to her duty she have to do wudhu for each namaz but if bleeding stops or there is no blood during two namaz e.g between zuhar and asar so is that wudu which was done fr Zuhr is valid fr asr namaz or again wudh should be done for next namaz?
Answer: Wuzu should be done for Namaz-e-Asr again.
Question: Q:1 Whose reward is more than the other between these two namaz ? (1) wajib namaz e.g. namaz e zuhr OR (2) mustahib namaz e.g. namaz e tahajjuj ( namaz e shab )
Answer:
Salam un Alaikum,
We are extremely sorry for the late reply because of some functional reasons. We will try our best for the quick responce later.
The obligatory prayer (wajib namaz) has more reward.
Question: Salaam, 1) Namaaz ke musale per agar khan-e-kabaa ya masjidoon ki tasveer bani hui ho to us per paer(legs) rakhne ke bare me kya hkaam hai ? 2) Jo chadar namaaz keliye bandhi jati hai agar us ka kapra thora transparent ho to kya namaaz sahi hai ? 3) Namaaz me sajde ya ruku me jate ya uth te waqt jab badan mukamal itminan ki halaat me na ho darmian me agar takbeer kaheen to kya namaaz sahi hai ?
Answer:
Salam un alaikum,
1) Agar tauheen shumar ho to jayez nahi hay.
2) Agar wo cheez keh jis ka chupana wajib hay nazar aaye to jayez nahi hay laikin agar maslan face ho jis ka chupana wajib nahi hay to phir koi haraj nahi hay.
3) Yeh takbeeraat qiyam kee halat mein honi chahiye. Agar harkat kee halat mein takbeer keh de jayen to yeh takbeer shumar nahi hogi laikin namaz batil nahi hogi.
Ref: Istiftaat A.Sistani
Question: salam, 1,pls tell me the jamaat namaz rules in detail tht wht we hav to read with paish imam in zohrain and magribain. 2,during the break in magrib and isha can i offer my fajar namaz(qaz-e-umri) wuring the period. 3,wazo ki niyat kia hona zarori hian namaz le lie 4,agar koi shaks jamaat ke saath namaz parhna chahta hian to woh jamaat ke saath kaise start kare i mean woh namaz ke lie kia niyat kare jab ke jamaat akhri rakat main ho to. pls send me its answer as soon as possilbe iltamas-e-dua
Answer: Salam un alaikum, 1) You have to read every thing with paish-e-imam except Sor-e-Fatiha and second sora in 1st and 2nd rakaat. 2) Yes, you can offer the qaza of fajr. 3) Agar yeh niyyat kee jaye keh "Mein wuzu karta hoon qurbatan-ilal-allah". 4) Wo niyyat yeh karay ga keh "Mein namaz-e-jamaat parhta hoon qubatan-ilal-allah". Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 288, 1470
Question: if a man is praying and his mother calls him what he should do?
Answer:
Salam un alaikum,
1) If he is praying an obligatory prayer, he should not cut it. In fact cutting it is impermissible.
Ref: Istiftaa Aqai Khamenai
Question: I am defence person. My home is in Rawalpindi and now a days I am living in peshawar from last 3 years due to duties. One day I went to Rawalpindi (Home) for 3 days. After 3 days I came back in Peshawar, but after 2 days I again went to Rawalpindi (Home). Question is waht about my prayers, is it "QASAR" or "FULL" also what about my "FAST" (Roza). Thanks.
Answer: Wo shakhs jo kaseerus Safar ho yani ziada safar karta ho chahay is ka pesha safar say wabasta na ho jaisay wo shakhs jo haftay(week) main teen(3) din safar main guzaarta ho chahay is ka safar tafreeh ya sayahat kay liye ho aisay shakhs kay liye zaroori hay kay apni namazain poori parhay aur safar main rozay bhi rakhay.aur agar wo kaseerus safar na ho to hadd-e-tarakhus kay baad wo namazoo ko qasr anjaam day ga aur roza bhi nahi rakhay ga bashart ye kay namaz qasr honay ki baqi sharait bhi maujood hoon.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.209.
Question: asalam o alikum, namaz main ruku k foran bad ager sajday main bholy say cahlay jaain tuo kiya hukum hai. wassalam.
Answer: Ruku kay baad qayam rukn nahi hay lihaza agar koi shakhs isay bhool kar tark karday to is ki namaz sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.945.
Question: Assalam o Alaikum When me and my wife are offering prayer (Namaaz) to gether, but furada not jamaat. where will the place of my wife to stand with me for prayer (Namaaz)? Parrellel to me, Little back to me or behind me. Thanks
Answer: Salam un alaikum,As an obligatory precaution(aihtiyat-e-Lazim), women should stand behind men while praying. At least, her place of Sajdah should be in line with his thighs, when in Sajdah. Ref.http://sistani.org/html/eng/menu/3/inside/98.htm
Question: AOA YAALIMADAD shia namaz aik sath kion ada kertay hain and plz i need ans in detail with authentic books
Answer: Fiqh e Jafery main bhi log 5 Namazain parhtay hain.Laikin Azan 3 is liye detay hain kion kay wo Jam bainas Salatain kartay hain yani Zohar aur Asr ko Jama kartay hain aur Maghrib aur Isha ko Jama kartay hain Kion in Namazon ko Juda kar kay Parhna Lazim nahi hay,Agarchay Afzal ye hay kay har Namaz ko uskay Fazeelat kay Waqt main ada karain balkay fazeelat kay waqt kay bhi Awwal e Waqt main ada karay.Kionkay Rasool SAWW nay Zohar o Asr aur Maghrib o Isha ko 1 Azan aur 2 Iqamatoon kay saath Jama kiya hay baghair kisi wajah kay.Ref:Isitiftaat A.Sistani I-8.
Question: Namaz main doaey qunoot kay baad moo par hath phair lain to kiya hukum hai.
Answer: Aisa karna makrooh hay.Ref:Urwatul Wusqa Pg.188,Masala No.11.
Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!
Answer:
Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.
Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!
Answer:
Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.
Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!
Answer:
Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.
Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!
Answer:
Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.
Question: Assalamu Aalaikum I have read in the book "Fiqh-e-Kamil" of Allama Majlisi that Abu Baseer narrated from Imam Jafar as Sadiq (AS) that it is sunnat to read the Shahada of Imam Ali (AS) in Tashahud. Every shia knows the position of Allam Majlisi, so do you think this book is doutful or not. I have read myself in the Chapter of Tashahud, the words are" Bismillahi wa billahi wal hamdu lillahi wa kairulasmai kuloha lillahi ashhadu ana la ilaha illallahu wahdahu la sharikalahu wa ashhadu ana Mohammadan abdohu wa rasoolohu arsala bil haqi basheeran wa nazeeran baina yadiyissaati wa ashhadu ana rabi neymar rabba wa ana Mohammadan neymar rasoolo wa ana Aliyan neymal wasiyo wa neymal imamo allamuma sali ala Mohammadin wa aali Mohammadin wa taqabal shafaatohu fi umatihi warfah darajataho alhamdo lillahi Rabil aalameen" Also I heard that Grand Ayatullah Haaj Sheikh Mohammad Fazil Lankrani permitted in his book "Taghayarat-0-Azafat" to read shahadat salasa in Tashahud. What is your answer.
Answer:
Salam un alaikum,
Because this is mainly the site of fiqhi questoins we will answer you in the aspect of fiqh.
From fiqhi aspect we are restricted to our marjes fatwa, not anyone else. Both A.Sistani, A.Khmenai and other marjieens says that its not permissible.
Question: Molana sahab Salam, mera wawal hai keh mai Landhi me kam karta hu jis ka fasla takreeban 30 se 35 Kilo meter hai kia mejeh Kaser Namaz parni hogi Ya puri Namaz Parni Hogi Thanks
Answer: Jee Nahi.aap ko poori namaz parhni paray gee.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoie Masala No.1289.
Question: please let me know the timings for all the five prayers (Nimaz) at which these get Qaza.
Answer: A.Sistani kay nazdeek.. Namaz-e-Fajr:Subah ki azan kay qareeb mashriq ki taraf say aik safeedi ooper uthti hay jisay fajr-e-awwal kaha jata hay jab ye safeedi phail jaey to wo fajr-e-doom aur subah ki namaz ka awwal-e-waqt hay aur subah ki namaz ka aakhri waqt sooraj nikalnay tak hay,is kay baad namaz-e-fajr qaza ho jati hay..Namaz-e-Zohar-o-Asr:Zohar aur Asr ki namaz ka waqt zawal-e-aaftab (zohar-e-sharee yani aadha din guzar janay) kay baad say ghuroob tak hay.is kay baad namaz-e-zohar-o-asr qaza ho jati hay.aur ghuroob-e-aaftaab say itni dair pehlay kay sirf chaar rakat namaz ka waqt baqi reh jaey to namaz-e-zohar qaza ho jati hay aur sirf namaz-e-asr ka waqt baqi bachta hay..Namaz-e-Maghrib-o-Isha:Agar shak ho kay sooraj ghuroob hoa hay ya nahi aur is baat ka aihtimaal ho kay soorajpahaaroo,imaaratoo ya darakhtoo kay peechay chup gaya hay to zaroori hay kay jab tak mashriq ki taraf ki surkhi jo sooraj ghuroob honay kay baad numoodaar hoti hay insaan kay sar kay ooper say na guzar jaey maghrib ki namaz na parhay balkay agar shak na ho tab bhi aihtiyaat-e-wajib ki bina par zaroori hay kay mazkoora waqt tak sabr karay.Maghrib aur Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs kay liye aadhi raat tak rehta hay laikin jin logoon ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya neend ya haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say aadhi raat say pehlay na parh sakay hoon to in kay liye maghrib o isha ki namaz ka waqt fajr tuloo honay tak baqi rehta hay laikin in dono namazoo kay darmiyan mutawajjeh honay ki soorat main tarteeb motabar hay yani isha ki namaz ko jaan boojh kar maghrib ki namaz say pehlay parhay to batil hay laikin agar isha ki namaz ada karnay ki miqdaar say ziada waqt baqi na raha ho to is soorat main lazim hay kay isha ki namaz ko maghrib ki namaz say pehlay parhay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.123-126,Masala No.718,723,724,729.
Question: namaz kay tashahud main wilayat ali a.s ka iqrar karna jaiz ya nahi imam jafer a.s ki hadis hai "tum main sai jub bhi koi kahai la ilaha il allah , muhammah dun rasul allah to fauran kahai ali un wali allah".
Answer: A.Sistani kay nazdeek Aihtiyat ki bina par Tashahhud main Shahadat-e-Saalisa (Aliuun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:I-1.
Question: plz tell me the proper way to offer prayer for women
Answer: Aurat kay liye Namaz parhnay ka tareeqa wohi hay jo mardoo kay liye hay magar ye kay namaz kay waqt aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey,lihaza agar aurat chadar is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi ka zahiri hissa dhanpna zaroori nahi hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar shaanp li hay zaroori hay kay chehray kay atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.777...Subah Maghrib aur Isha ki namaz main aurat alhamd aur soora buland ya aahista aawaz say ,jaisa chahay parh sakti hay.laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par aahista parhay.aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur is kay ba-wajood agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat ki bina par namaz batil hay.jab kay zohar aur asar ki namazoon main mardoo ki tarah aihtiyat ki bina par wajib hay kay aahista parhay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979,981.
Question: i have listen that in fazr namaz in last two rakat we does not read surrah after surah fatiha is it true or not plz ans me
Answer: Teesri aur chothi rakat main mukallaf ko tasbeehaat-e-arbaa aur sura-e-Hamd kay darmiyan ikhtiyar hay.(yani chahay to sura-e-fatiha parhay chahay to tasbeehaat-e-arbaa parhay)Ref:Istiftaat A.Sistani I-27
Question: kounse namazke kithne rakaath
Answer:
Salam un alaikum
Aap ka sawal clear nahi hai laikin jo samajh aaraha hai us k mutabiq jawab yeh hai k Fajar ki namaz 2 rakat hai jabke Zohr ki 4 aur Asr ki 4 rakat hain aur jabke Maghrib ki 3 rakat aur Isha ki 4 rakat hain
Question: Islam main five namaz allow hai but fiq-e-jaferria main laag three namaz parteh hian aur mosque main teen martaba aazan hoti hia
Answer:
Fiqh e Jafery main bhi log 5 Namazain parhtay hain.Laikin Azan 3 is liye detay hain kion kay wo
Jam bainas Salatain kartay hain yani Zohar aur Asr ko Jama kartay hain aur Maghrib aur Isha ko
Jama kartay hain Kion in Namazon ko Juda kar kay Parhna Lazim nahi hay,Agarchay Afzal ye hay kay
har Namaz ko uskay Fazeelat kay Waqt main ada karain balkay fazeelat kay waqt kay bhi Awwal e
Waqt main ada karay.Kionkay Rasool SAwW nay Zohar o Asr aur Maghrib o Isha ko 1 Azan aur 2
Iqamatoon kay saath Jama kiya hay baghair kisi wajah kay.Ref:Isitiftaat A.Sistani I-8.
Question: ASSALAM-O-ALEKUM AGER MAIN TASHAHUD MAIN ASHHDUAN-NA-MUHUMMADAN RASOOL ALLAH KE BAD ASHHUAN-NA-ALI-AN-WALI ULAH PARHOON TU YE AMAL HARAM HAI YA HALAL KIYA YE PARHNE SE MERE NAMAZ QAZA HOJAIGI BARAYE KARAM MUJH KO ZAROOR BATAIN
Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org/html/eng (Shahadat Salesa)
Question: ASLAM-O-ALAIKUM,KAYA HUM SHAHADAT-E-SALSA(ALI UN WALI ALLAH)NAMAZ MEIN PAR SAKTE HEIN?
Answer: Aihl e Tashayyu kay Azeem Marajieen nay jis tarz e amal ko apni Fiqhi kitaaboo main likha hay aap ki zimmedari hay kay apni Namaz usi tareeqay par Anjaam dain aur kisi qism kay jumlay ka izaafa na kijiye agarchay wo sahih hi kion na ho. Ref: Istiftaat A.Khaminae 26093e.
Question: Salaam, namaaz me talwe dhamp ne ke bare me ka hukum hai.
Answer:
Aurat kay liye Namaz main Pair kay Talway chupana wajib nahi hay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.518 Pg.174
Question: Asslam o Allkam, Ya ali Madad i want to know about shahdat salasa ali un wali ullah in tashahud in namaz wajib or not please reply to me about this problem i waiting your answar amadiataly thanks
Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org
Question: Mein Pichley 15 dinon se baghair sajda gah ke namaz parh raha tha la ilmi mein phir meray dost ne mujhe bataya ke sajda gah ke baghair namaz nahin ho sakti. Aap se darkhawast hai ke meri rehnumai farmaien ke meri namaz batil hai ya nahin. shukriya
Answer: Agar koi shakhs aisi cheez par sajda karay kay jis par sajda karna durust nahi hay (bhoolay say ya is aitiqaad kay saath kay is par sajda karna sahih hay) to agar wo sajday say sar uthanay kay baad ya Namaz parh lenay kay baad mutawajjeh ho kay jis cheez par wo sajda kar raha tha wo sahih nahi tha to is ki namaz sahih hay.Ref: Minhaajus Saaliheen Pg.186 Masala No.558.
Question: Salaam Alaikum, Fajr, Maghrib aur Isha ki Namaaz me Surah hamd aur dosri Surah ka buland awaaz me perhna zaroori hai ? kitni buland awaaz ? Aur Zuhr aur Asr ki namaaz me kitni slow awaaz me ? Aur kya ye namaaz ka rukn hai ( aisa na karne pe namaaz batil hai ) ? Ayatullah Khoie aur Ayatullah Seestani ke fatwe ke mutabiq jawaab dein
Answer:
Jee haan Mard kay liye Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say
parhna zaroori hay Is ka Mayaar URF hay aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye
Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay.aur Agar jaan boojh kar jahan buland awaz say parhna hay
aahista parhay aur jahan aahista awaz main parhna hay wahan buland awaz say parhay to uski Namaz
Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahih
hay.Ref:Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26.
Question: mujhe maloom kerna tha keh cents jin mein alchol denated mix hoti hai kya woh laga ker namazz perhi ja sakti hai
Answer: In ka Istemaal JAIZ hay.(means Namaz Sahih hay)Ref:Mujtahid say Poochay Gaey Sawalaat Book-4 Ques. No.45
Question: mein ager safer mein ho aur nmaz qaser perhi wapsi per mein apni city se door hoon ke namaz kasur hai lekin rastein mein hoon aur azan ho gai mager kaza hone se phele phonch gaya aur namaz qaser perhoon ke poori shukrya
Answer: Aap ko Namaz poori parhna hogee.Ref: Mujtahid say pooochay gaey sawalaat Book-4 Q.No.77.
Question: Nammaaz me buland perhne ke bare me kya hukum hai ? Kitna buland aur sirf qiraat ya zikr bhi please detail me jawab dein
Answer:
1:Mard par Aihtiyat ki bina par wajib hay kay subah ,maghrib aur Isha ki namazon main Al-Hamd aur soora buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par aihtiyat ki bina par wajib hay kay zohar aur asar ki namaz main Al-Hamd aur sora aahista parhain..2:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main aurat Al-Hamd aur sora buland awaz say ya aahista jaisa chahay parh sakti hay laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aithiyat ki bina par aahista parhay aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat e laazim ki bina par uski namaz batil hay.3:Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaz say parhna zaroori hay usay jaan boojh kar aahista parhay ya jo namaz aahista parhni zaroori hay usay jaan boojh kar buland aawaz say parhay to aihtiyat e lazim ki bina par uski namaz batil hay.laikin agar bhool janay ki wajah say ya masala na jannay ki wajah say aisa karay to
sahih hay.naiz al-hamd aur soora parhnay kay doraan bhi agar wo mutawajjeh ho jaey kay is say ghalati hoi hay to zaroori nahi hay kay namaz ka jo hissa parh chuka ho usay dobara parhay. 4:Agar koi shakhs Al-Hamd aur soora parhnay kay doraan apni awaz mamool say ziada buland karay masalan in sortoon ko aisay parhay jaisay Faryaad kar raha ho to uski namaz batil hay.Note: In tamam masail main buland aur aahista parhnay kay masalay ka talluq faqat Qirat say hay baqiya Azkaar main usay Ikhtiyaar hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.980,981,982,983.Pg.161.
Question: as salam ale kum, meri qaza namaze baaki hai,mei abhi namaz baith kar parti hu kyuki mere pairo mei bohot takleef hai.mera sawal yeh hai kei kya mei apni qaza namaze jo baaki hai unhe baith kar adaa kar sakti hu??plz reply soon
Answer: Jab tak Insaan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hay kay na baithay masalan Agar kharay honay ki haalat main kisi ka badan harkat karta ho ya wo kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hay kay jaisay bhi ho sakay khara ho kar Namaz parhay laikin agar wo kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hay kay seedha baith jaey aur baith kar Namaz parhay.Is main Qaza aur Ada Namaz main koi Farq nahi hay.Ref:Tauzeeh ul Masail Pg.158.Masala No.957
Question: SALAAM. 1. MUJHE GASTRIC ULCER HAI JIS KI WAJAH SE KABHI BHI GAS KHARIG HONE LAGTI HAI AB IS SURAT MAI WAZOO AUR NAMAZ KA KIYA HUKUM HAI. 2. BIWI KE SATH MAZAK KARNE SE YA KOI TASVEER YA FILM DEKHNE SE MAKAM-E-PESHAB SE CHIKNI CHEEZ KHARIJ HOTI HAI YEH NAJIS HAI YA PAK?
Answer: *1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62.
Question: namaz paadtey me biwi aur moula per burey burey khayal atey hain jinko sochker ruk kaap jai , isskey liyeh kya kerey
Answer: Namaz ki haalat main Khuda ki Yaad main rahay aur Khuzoo o Khushoo aur Waqar aur Yaksooi say Namaz parhay aur khayaal rakhay kay kis HASTI say kalaam kar raha hay aur apnay aap ko khuda wandeAalam ki Azmat aur buzurgi kay muqablay main HAQEER aur NACHEEZ samjhay.Ulema is ka aik aur Hal bayan kartay hain kay Namaz kay Azkaar kay Tarjumay ko Yaad karain aur Arabi parhtay hoay us tarjumay ki taraf bhi tawajjuh dain to khayal batnay say bhi mehfooz rahay ga aur yaksooi say Namaz Parh paingay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.121-122.
Question: Agar kisi ko paeshab karne ke baad harkat(movement) karne par paeshab ke katre gire to use kya karna chahiye? aesi halat me uska namaz aur dusri ibaadaton ka adaa karna kaisa hai? Aur is bimari ka koi ilaaj, taaweez ya naksh ho to de.
Answer:
Ye Jawab A.Sistani kay Fatawa kay Mutabiq hay..Answer:1..Usay chahiye kay Istibraa karay jis ka tareeqa Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.69 main dekha ja sakta hay,aur beemari na honay ki soorat main aisi haalat main kay jab istibra na kiya ho namaz BATIL hay...*1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Peeshaab kay qatray roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peeshab kay qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay qatray kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chand namazoon kay liye bhi kafi hay siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308,787-Masala No.345,Pg.No.62.
Question: whom should(kis tarahan) one pray namaz when he is on the moon. and a person is in a country where 6 months days &six months nights.plz reply as soon as possible. and request to do ur service properly.
Answer: Baaz makhsoos shehroon kay makhsoos mausamoo main kai kai din ya kai kai maheenay Soraj ghuroob nahi hota,aisi soorat main batoor-e-aihtiyat musalmaan ko chahiye kay apnay shehar kay us nazdeek tareen shehar par aitemaad karay jahan 24 hours main din aur raat hotay hain,yani us shehar kay shab-o-roz ko apnay shehar kay shab-o-roz samjhay aur apnay paanch(5) waqt ki namazoon ko hamsaya shehar kay auqaat kay mutabiq qurbat-e-mutlaqa ki niyyat say parhay.Ref:Jadeed Fiqhi Masail A.Sistani Masala No.69,Pg.No.76.
Question: what is criteria for loud and silent recitation of surah and alhamad in salat.if someone is articulating mouth and whispering sound is produced which one can hear himself,is it loud recitation or silent recitation
Answer:
Is ka Maiyaar Urf hay jaisa k Aam Logoon ki Nazar main Buland(Loud) ya Aahista(Slow) Samjha jaey.
Ref: Minhaaj-us-Saaliheen Pg.210 Masala No.620.
Question: Salam Ya aLi madad ..main yeah pochena chahta ho ki tashehed main alian wali allah par sekty hia nahi ??desceibe fullly it plz ........thanx
Answer:
Salam un Alaikum
Aap Namaz K Tashahud mai Apni janib se kisi jumle ka izafa nahi karsakte chahe wo jumla Bazat e Khud(itself)sahih hi kion na ho.
Ref:Istifta No 26093e Ayatullah Khamnai.
Question: maghrib aur isha ki namaz ka time kab tak rehta hai?kia isha ki namaz ka time namaz e subah se pehle tak rehta hai?
Answer: Maghrib aur Isha ki Namaz ka waqt Mukhtar Shakhs (wo shakhs jis kay liye Namaz ko waqt main parhna mumkin ho aur sharaan koi uzr na rakhta ho)kay liye aadhi raat (Raat ka hisab Sooraj guroob honay ki ibtidaa say tuloo e fajr tak hay) tak rehta hay laikin jin logoo ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya Haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say agar wo aadhi raat say pehlay wo namaz na parh sakay hoo to un kay liye maghrib aur isha ki namaz ka waqt tuloo e fajr tak baqi rehta hay.Agar koi Ikhtiyari haalat main maghrib aur Isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyat e wajib ki bina par zaroori hay kay Azan e Subh say pehlay Ada aur Qaza ki niyyat kay baghair in namazoo ko anjaam dain.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.724,728.
Question: Kya Quran TARAKUS SALAAT ko kafir kahta hai
Answer: Taarikus Salaat Kaafir nahi balkay Gunahgaar hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-23.
Question: Tashhud mai Ashhado anna Ali Wali Allah perna jaiz hai?
Answer: Aihtiyaat ki bina par JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org (I-1)
Question: aslaam o alikum jnaba meera swaal ye hai k nmaaz mein ali un wali ulaah parhna jaez hai ya nahi
Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa (Aliun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org
Question: a.o.a molana kia namaz awaz k sath per saktya hain athni awaz kay telawaty ke awaz sirf kud ko hee aay. thx allah hafiz
Answer: 1:Mard par Aihtiyaat ki bina par wajib hay kay subah,maghrib aur Isha ki Namaz main Alhamd aur Sura Buland awaz say parhay...2:Mard aur Aurat Dono par Aihtiyaat ki bina par Wajib hay kay Zohar aur Asar main Alhamd aur Sura Aahista parhain...3:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main Aurat Alhamd aur Sura buland awaaz say ya ashista jaisay chahay parh sakti hay laikin agar Na-Mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho aur us ka sunna haram ho to Aihtiyaat ki bina par aahista parhay...4:Awaz kay buland aur Ahista honay ka mayaar Urf-e-Aam hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979-981.
Question: SALAM. KYA NAMAZ-E-FAJIR SUBBAH TUK QAZA NAHI HOTI.
Answer: Namaz e Fajar ki qaza ka waqt Tuloo e Aaftaab tak hay.Ref:Tauzeeh A.Khaminae Q.No.372.
Question: mera sawal yeh hai k pakistan k time key mutabiq multan city mein "maghriban"ki azan takreeban 7:10 pm per hoti hai or taqreeban 7:25pm per pora andhera cha jata hai agar main kisi waja sey andherey k baad magrib ki namaz ada karoon to kiya meri "niyat","qaza" ki ho gi or yahi condition agar "namaz-e-fajr" ki ho jomein kabhi neend ki waja se nahin parh sakta to kiya mein 6:30am ya 7:30am per bhi fajr ki namaz qaza ki niyat se ada kar sakta hoon?
Answer:
magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shaks kay liyay aadhi raat tak rehta hai. aur is dauran magrib ki namaz "ada" ki niyat se bajalae. aur agar koi shaks ikhtiyari halat me magrib aur isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai ke azan-e-subah se phelay qaza aur ada ki niyat kiyay bagair in namazon ko parhay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 724+728.
aur agar fajar ki namaz fajar kay waqt me anjaam di ja rahi hai to ussay "ada" ki niyyat se parhain gay, chahay faqat aik rakat ada karnay ka waqt hi baqi ho. aur agar waqt guzar janay ke baad anjaam di jai to "qaza" ki niyyat se parhi jai gi. aur fajar ka waqt yeh hai keh subah ki azan ke qareeb mashriq (east) ki taraf se aik sufaidi upper uthti hai jissay "fajar-e-awwal" kaha jata hai. jab yeh sufaidi phail jai to woh "fajar-e-dowwom" aur "subah ki namaz ka awwal-e-waqt" hai. aur subah ki namaz ka akhiri waqt suraj nikalnay tak hai. lihaza is waqt kay baad namaz "qaza" kar kay parhi jai gi, chahay ussay phir baad mein jis waqt bhi anjaam diya jai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 729+736.
Question: mera sawal hay k aurat ki namaz main (farz namaz main) 2 rakato k baad teesri rakat main sana nahi parhain aur alhamdo k baad koi surat nahi parhtain hain aur teesri aur chothi rakat main ?
Answer: Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.994.Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.992.
Question: Q.1: kia tashood main ali un waliullah kehna sahi hy ya nahi.
Answer: ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi. REF: A.Sistani, www.sistani.org.
Question: Q: If sajdigah is not available can we perform it on the back of palm? Besides leaves and wood on which materials is sajda correct(jaiz)?
Answer:
1. sijda zameen par aur un cheezon par karna zaroori hai jo khai (eat) aur pehni (wear) na jati ho aur zameen se ugti (grow karti) ho. for eg. lakri (stem) aur darkhton (trees) kay pattay (leaves) par sijda karay. aur jo cheezain zameen se ugti hain aur animals ki khuraak (food) hain, for eg. ghaas (grass) aur bhoosa, un par sijda karna sahi hai.
2. agar kisi kay paas aisi cheez na ho jis par sijda karna sahi hai, ya agar ho lekin shadeed sardi ya garmi ki waja se us par sijda nahi kar sakta ho to aisi surat mein tarkol aur zuft ko doosri cheezon par aulawiyat (priority) hasil hai. lekin agar in par sijda karna mumkin na ho to zaroori hai keh apnay libaas ya kisi aisi doosri cheez par keh jis par halat-e-ikhtiyar mein sijda jaiz nahi hota, sijda kar sakta hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, pg no. 171+172, masla no. 1063+1065+1071.
Question: 1] Kya mein Mustahib Namaz computer par kamm karty huey aada ki jaa sakti hai? 2] Kya mustahib namaz office kay lye tayar hony kay baad, qibley ka rukh kar kay isharun [signs] mein parhi jaa sakti hai? 3] Kya mustahib namaz signs mein kare ho kar, qibla rooh ho par parhi jaa sakti hai? 4] Kya yeh namaz ghar kay kaam karty huey parhi jaa sakti hai? 5] Kya mustahib namaz wadu kay begair parhi jaa sakti hai? 6] Kya jummah ki namaz mein yeh amal sahi hai kay hum Jummah ki niyat Qurbatanillah ki niyat say parhein aur Zohr ahetiyat Qurbatanillah ki niyat sey parhein? Zara isski wazahat karein kyun kay mujhe pata hai kay Jummah ki tamam sharait hon tu zohr nahi parhi jaati. Bas sirf iss amal kay baare mein jaana hai kay yeh sahi hai nahi.
Answer:
bismehi taala,
(1-2-3-4) = nafal namaze halate ikhteyar me beth kar padhi ja sakati hain, mustabah namaz rasta chalte huye or sawari ki halat me padhi ja sakati hain, or agar insan in dono halto me mustahab namaz padhe to zaroori nahi ke uska munh kible ki tarf ho (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 754, 769)
(5) mustabab namazo me wazu sharte sehat he. (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 315 page # 78)
(6) agar namaze juma me zaroori sharayet puri ho to wo namaze zohar se afazal he or zohar ki jageh le sakati he. agar koi mukallaf namaze juma padh le to zohar ke badale usi par ektefa kar sakata he. (ref: jadid masail Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 27 page # 77) is masaale me mazeed maloomat ke liye aap www.sistani.com se ruju karen, ham bhi Insha Allah aap ka masala bhej denge.
Question: Q) Can Sajda be performed on a coin like a Rs 1, Rs 2, Rs 5 coin?
Answer: bismehi taala, in par sajda karna sahih nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1063)