Showing 0- 50 questions from 54 questions on this page.
Question: salam elekum mere kuch sawallat hain : 1) kia namaz-e-shab parhna bohat zaroori hai aru na parhne wale ko gunah mile ga. 2)namaz kai liye libas mein kon kon si cheezon ko chupana zaroori hai. 3)kia majlis mein niaz ki niyyat sai jaana jaiez hai. 4) islam mein larke aur larki kai darmiyan mohabbat kai bare mien kia hukum hai shukaraya wsalam
Answer: 1:Namaz-e-Shab parhna wajib nahi hay balkay ye un mustahib namazoon main shamil hay jin kay parhnay ki bohat ziada taakeed ki gae hay...2:Mard kay liye chahay usay koi bhi na dekh raha ho namaz ki halat main apni sharamgahoon ko dhaanpna zaroori hay...3:aap ka sawal A.Sistani ko bhaij diya gaya hay...4:Shareat kisi bhi aisay talluq(relation) ki ijazat nahi deti jo inhain haram ki taraf lay janay wala ho.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.752,776.Book-3 Q.No. 137.
Question: Shukrane aur hajat ki namaz ka treeka kya hai . what is the procedure of ahukrana and hajat namaz
Answer: bismehi taala, shukrane aur hajat ki namaz ko namaze fajar ki tarh hi padhi ja sakti he aur is ka koi khas tareeka mazkoor nahi he (ref: tawzihul masail Aytulla Seestani (d.b.) masaala no.774)
Question: Namaz-e-Shab ada karnay ke liye peechli tamam farz Namazain ada honi zaroori hai?
Answer: bismehi taala, jis shakas par kisi namaz ki qaza (wajib) ho woh musthab namaz padh sakata he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1382)
Question: Assalam O Alaikum mujhe tahajjud ki namaz ka complete tarika bataie ye
Answer: w.s. namaze shab ki 11 rakaato me se 8 nafela-e-shab ki niyyat se aur 2 rakaat namaze shafaa ki niyyat se aur ek rakaat namaze vitr ki niyyat se padhi jati he aur nafela-e-shab ka mukammal tariqa dua-o ki kitabo me mazkoor he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.773)
Question: sir jee agar mujhse 4 rakat sunnat miss ho gayi hai aur maine jamat ke sath farz pardh liye hai tu main 4 rakat sunnat nimaz ke baad pardh sakhta ho ya nahi mujhe iska 5 times nimaz ka batana hai apne acha yani ke fajar zohar asar magrib isha ki sunnat ke bare main batana hai agar miss ho jaye tu uska tareeqa kiya hai thanks
Answer: Fajr,zuhar or asr ki sunnat namazo ka waqt os waqt tak baaqi rehta hay jab tak k in sunnat namazo ko wajib namazo say pehlay ada kerna mumkin ho,or jab wajib namazo ki fazilat ka waqt khatam honay k qareeb ho tu behtar ye hay k pehlay wajib namaz perhlay os k baad sunnat namaz ko perhay.or isiterah magrib or is terah magrib ki sunnat namaz ka waqt os waqt tak baaqi rehta hay jab tak k in sunnat namazo ko esha k wajib namaz say pehlay ada kerna mumkin ho. or jab esha ki wajib namaz ki fazilat ka waqt khatam honay k qareeb ho tu behtar ye hay k pehlay wajib namaz perhlay os k baad sunnat namaz ko perhay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#757,758)
Question: salam alaikum,,,,,namaz-e ghufaila ko maghrib aur isha k darmiyan padhna chahiye,,,chahey maghrib isha ki namaz hum kabhi bhi qaza hone se phle padhe,,,ya koi specific time he ki azan k 1hrs k ander ho jani chahiye,,,,plz suggest
Answer: w.s. maghrib ki janib ki surkhi k chale jane k sath hi namaze ghofyla ka waqt khatam ho jata he, albatta baad me namaze ghufiyla padi ja sakti he (ref.www.sistani.org/arabic/saltul gofayla/q4&5)
Question: salam,namaze Nafla aur mustahab namaz bahar k ulawa kia ghar me bhi chalte phirte parh sakte he,agar koi buhut masroof ho tu kia hukum he,plz reply
Answer: Mustahab namaz raasta chaltay hoay or sawari ki halat main bhi perhi jasakti hay or in dono halato main zarori nahi k namazi ka rukh qiblay ki janib ho. (ref:Ayat ullah Ayat Ullah Seestani (d.b), (D.B), Tauzee hul masail, Maslah #769).
Question: Salamun Alaikum: What niyyat I do when I reciting 4 rakaat Namaz Jafar-e-Tayyar, Thanks
Answer: A person should offer prayers with the intention of Qurbat, that is, complying with the orders of the Almighty Allah. (ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b., 01-28- 2011)
Question: Salam, Can you tell me the procedure of Namaz -e-Abuzar Gaffari R.A. or kindly gave me the link. thankinhg you. Mohammad Haider
Answer: Please refer to the books that mention that. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011)
Question: salam o alaicum mujhy btaeen k shukranay k nawafil ya wese hi agr nafal prhny hon tau uska time kab kab hota he waziha btaye ga shukria
Answer:
Yomia namazon ki mustahabat(nawafil) ka wqt moyin hai jese Zuhar ki nafila(jo k 8 rakat hen) zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke wqt parhi jati hen or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada krna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila(jo k 8 rkat hen) asar se pehle parhi jati hen, Magrib ki nafila(jo k 4 rkat hai) maghrib ke bad parhi jati hen or jahan tk mumkin ho ise magrib ke waqt ke andr anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rkat beth kr parhi jati hen) ka waqt Isha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise baad-e-esha foran parhliya jaye. Fajar ki nafila(jo k 2 rkiat hen) is se pehle pahri jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab pahri ja sake.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #756,757,758,759,760).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: eid ul adha ka phrny ka tarika complete
Answer: Eid-e-qurban ki namaz 2 rakat hai,jis ki har rakat mai alhamd aur surah k baad 3 takbirain parhi jaein aur behter hai k pehli rakat mai 5 takbirain kahi jaen aur har 2 takbir k darmiyan aik qunoot parha jaey, aur 5th takbir k baad aik aur takbir kahay aur ruku mai chala jaey aur phir 2 sajday anjam day aur 2nd rakat mai alhumd aur surah k baad 4 takbirain kahay aur har 2 takbir k darmiyan qunoot parhay aur 4th takbir k baad aik aur takbir keh ker ruku mai chala jaey aur ruku k baad 2 sajday karay aur tashahud or salam parh ker namaz tamam karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1500). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: salam, Ramzan ka chand dekhnay ki namaz batai? plz inform me .thnx.
Answer: Riwayat hai k har islami mahinay ki pehli tareekh ko 2 rakat namaz parhay. Pehli rakat mai surah e al-hamd k baad 30 martaba surah e ikhlaas aur doosri rakat mai surah e al-hamd k baad 30 martaba surah e qadar parhain. Namaz k baad kuch sadqa dain aur wo dua parhain jo takeebaat e namaz mai darj hain. (ref : Takeebaat namaz pocket size pg # 15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: fajr mai farz ke baad sonat
Answer: Farj ki 2 rakat sonnat namaz hay jo fajir se phely parhi jati hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #752,760 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslamo alikum mera sawal ye hai k kia hum fajar ki namaz ki sunat ko faraz raqaat k bad parh sakty hain k nai.
Answer: Fajar ki nafal(sunnat) namaz e fajar sai pehlay perhi jati hai laikin agar koi shakhs subah ki nafal mashriq ki surkhi zahir honay tk na parhay to is surat mai behtr ye hai k pehlay subah ki namaz parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 760)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 1. AB WINTERS KO MAUSAM START HO GAYAH HAY .TO GAS NAHI HAY AUR HAMMAY COLD WATER SAYWQZU KARNA PARTA HAY.KIYA APP HANDS AND FACE TOWEL SAY DRY KAR SAKTAH HAY WAZU KAY FORAN BAD. 2. MA APNI QAZA NAMAZAY BHI ADA KAR RAHA HOO.MA NAY FAJAR KI ADA KAR DI HAY AUR ZOHAR KI BHI ALKOST DONE HAY. NAMAZ SHAB 3 RAKAT ( SHAFA TWO . WITAR ONE) PARTHA HOO TAQREEBAN 10 BAJAY .KIA TIME THEEK HAY KIYO K MA ABHI STUDENT HOO AUR AGE 24 HAY.KIA APP NAMAZ SHAB ISHA KI NAMAZ KAY FORAN BAD ADA KAR SAKTAY HAY.AKSAR VILLAGE JANA HOTA HAY TO WAHA JAGA BHI NAHI AVAILBLE AUR BAQI RELATIVES KO BATA BHI NAHI SAKTA IS LIYAH UN SAY TAQIYA KIA HOTA HAY AUR NAMAZ KO YA ACHAY AMAL KO MA DOOSRAY K SAMNAY KARNAY SAY SHARAM MAHSOOS KARTA HOO TO KIA APP ISHA NAMAZ KAY BAD FORAN NAMAZ SHAB ADA KAR SAKTAY HAY. 3.LAST 2 YEARS SAY BEMAR BHI HOO ANXIETY KA PROBLEM HAY. HEART RATE BOHAT TEZ HO JATA HAY AUR DOCTORS NAY TENSION KA KAHA HAY. QUESTION YAH HAY K PEHLAY MA ROZA POORAH RAKHTA THAA LAKIN AB IS RAMZAN 1433. HIJRI SIRF 4 RAKHAY BOHAT MUSQIL SAY. AB MERAY OPER QAZA KIA HAY. JAB K MERI EDUCATION ( ACCA ) ABHI COMPLETE HONAY WALI HAY US KAY BAD ARTICLESHIP AUR JOB.ROZA RAKHNA AB MERAY LIYAH BAISAY ZAHMAT HAY.
Answer:
1.wuzu k pani ko tauliya se khushk kerna balkeh kisi bhi cheez se khushk makrooh hay.(( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Urwatul wusqa,part#1, maslah #490)
2. Namaz shab ka awwal waqt mash,hoor qaul ki bina per aadhi raat hay. Ye qaul agarchah ahwat o behtar hay laikin ba,eed nahi hay(yani fatwa ye hay) keh is ka waqt raat ki ibtida se shuru ho or subah ki azaan tak baqi rahay or behtar ye hay keh subah ki azaan k qareeb perhi jay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #761,322)
3)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1674).
4)Agar koe shaks kisi uzr( beemari) ki wajah se ramzan main rozay nah rakhay or ramzan k baad oska uzr door ho jay or wo aaindah ramzan tak amadan rozo ki qaza nah bja lay tu zarori hay k rozo ki qaza karay or har din k liay aik mud( 750gm) ta,aam bhi faqeer e shar,e ko day.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1676) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia qasar namaazoon may tahhajud ki namaaz phar sakty hain
Answer: Jee han safar mai namaz e tahajud parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 782-55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu alaikum mujhe malum krna hai ki 4 rkat sunnat namaaz ki hr rkat mai kya padhna chahiye?
Answer: Mustahab namaz mai sirf al-hamd per sakte hai. aur doosra surah parhna zaroori nahe hai. Laikin agar koi shakhs baz aisi mustahab namaz in k ahkam k mutabiq parhna chahae maslan namaz e wehshat k jin mai makhsoos surtain parhi jati hain to zaroori hai k wohi surtain parhay.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #973 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AoA, g mujhay ye malom karna hai k kya asr k bad koe nafil namaz nahi hote aur nahi hi quran pak ki tilawat kar saktay hai???
Answer: Namaz e Asr ki nafla 8 rakat namaz hai jo namaz e asr sai pehlay 2 2 kar k parhi jati hai. Aur quran ki tilawat to har waqt kar saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 757)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: I Love Islam ·!!! اسلام و علیکم و رحمتہ اللہ آج کا بہت اہم سوال اگر کسی شخص کی عید کی نماز کی ایک رکات چهوٹ جاےء تو وہ اپنی نماز پوری کیسے کرے گا..... قرآن و حدیث کی روشنی میں اور مستند دلیل کے ساتهہ بتایئں
Answer: Agar koi Shaks Namaz-e-Eid me is waqt ponche jab Imam 1st Rakat k rukuh me ho wo niyat kar k aur Namaz ki pehle Takhbeer keh kar ruku me Chalay jain or imam k sath 2nd rakat perh ker namaz khatam karain. Aur imam 2st Rakat k rukuh me ho wo niyat karay aur Namaz ki pehle Takhbeer keh kar ruku me Chala jay or 2 sajday imam k sath baja lay or 2nd rakat k liay kharha ho jay or dusri Rakaat me Surah Hamd aur koi Surah parhne k Baad 4 Takhbeer kahe aur har 2 takhbeer ke darmyan Qunoot parhe aur 4 takhbeer ke bad 1 aur takhbeer parh kar rukuh me chala jae aur 2 Sajde,Tashahud aur Salaam parh kar Namaz Khatam karain(Ref:Tauzeeh-e-ul-masayl Ayatullah Sistani db 31st Edition Page#233 Masla#1500) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye).
Question: salaam mera sawal yeh he k krabala ki atraaf ki ziarat me 2rakaati mustahib namaz khre hokr parh sakti hoon
Answer: Nafal namazain halat e ekhtiar mai bhi beth kar parhi ja sakti hain aur ye bhi zaroori nahi hai k 2 rakatoo ko aik rakat samjha jae albetta behtr hai k inhain kharay rah kar parhay. Zaroori hai k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 754 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamwalekum, mera ye question hai ke Eid e Ghadeer namaz wajib hai sunnat, hamare yahan kuch log wajib ke neyat se padh rahe hai aur mai sunnat ke neyat se wo log bol rahe hai ke namaz wajib hai please answer me this is second time i am asking same question but no reply from your side
Answer: Namaaze eid e ghadeer jo 18 dil hajj ka din perhe jati hai mustahab namaaz hai waajib nahe hai.(ulwatulwasqa, taliqe aqa sistani,part:2,pg:119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: As salam alaikum.. Janab m yeh puchna chahti hu ki sirf farj namaz ada kr skte h kya?
Answer: Wssalam o alykum, G han bilkul ada kr sakte hen, sunnat ka ada karna wajib nahi hai, albatta sunnat namaz ka bhi apni jag ape both sawab hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 752 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kya shukrane ke nafal beth kar ada kar sakte hein?
Answer:
Jee haan. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 754 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kiya namaz e vitar jamaat k sath adaa ki jati hai
Answer: Naafla namaz jamaat se perhna ehtiyaat ki bina per jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1388). Update on dated 03-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: tahjudf namaa ke liye kya Pancha waqt namaaz padhna zaroori hai.kya kaza namaaz Ada Karen ye wajib hai ?
Answer: Rozana ki panjgana namazein wajib hai or namaz e tahajud mustahab e moakkada hai.wajib namaz har haal mai ada karna zaroori hai albatta ye wajib namazein mustahab namaz k liay shart nahi hain.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 753) Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Nmaz e mughrab me kitna frz or kitna nmafil hota hnn
Answer:
Maghrib ki wajib teen rakaat hain or nafil 4 rakaat hoti hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 752)
[Updated on 13-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia fajr ki namaz sunat parhay bagair qabool ho jati hai?
Answer:
Jee, Mustahab namaz ko perhna lazim nahi hay or is k baghair bhi wajib namaz durust shumaar hoti hay.
[Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar hum isha ki nmaz me 3 witar e bajaye 3 farz parh lain, phr sajda e sahav b Karen lain to kya krna pary GA
Answer:
1) Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Isha ki nafl 2 rakat beth kar parhi jati hai. aur fajar ki terah parhi jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752-55)
2) Islam main 3 rakat nafila namaz nahi hay.
Note : namaz esha 4 rakaat wajib hote hain jo har haal me perhna zarori ,chae mustahab or sunnat us ke baad perhe ya na perhe
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam kia ham sukrane ki namaz main sirf wajebat ada ker sakte hain ?
Answer:
Mustahab ya Sunnat sai muraad har wo hukm jis ko karney mai sawab ho lekin na karney mai koi gunah na ho lehaza agar namaz mai faqat wajibaat ada kie jain or mustahabaat ko tark kar dia jaey ya nafil namazein chorh di jaey to namaz sahi ho jati hai albatta behtar hai k mustahabbaat ko tark nah kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 )
[Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fajr me sunnat parhna lazmi h?
Answer:
Nafil parhna laazim nahi hai wo mustahab hai lehaaza tark kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 752).
[Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera naam Syed waseem kazmi Mera sawal kya hum namaze naflay zouhar 4 raqat ki niyat kr k pad rakte h masln namaze naflay zouhar padta hu 4 rakt dodo k Salam se ar phir hum do rakt Salam phir kr beyol Lilah Kar k khade ho jay ar Bismillah Kar k hamd pade toh btay is tarha pad sakte h
Answer:
Islam main 4 rakat nafila namaz nahi hay aur 4 rakat nafila namaz ki aik niyat nahin ki ja sakti balke 2, 2, rakat ki niyat ki jai gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salamkia fajar ki nmaz me 2 rakat farz k sath 2 rakat sunnat prhna b zrori he or o b farz rakat se phle
Answer:
1) Nafil parhna zaroori nahi hai wo mustahab hai lehaaza tark kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 752).
2) Fajar ki nafal(sunnat) namaz e fajar sai pehlay perhi jati hai laikin agar koi shakhs subah ki nafal mashriq ki surkhi zahir honay tk na parhay to is surat mai behtr ye hai k pehlay subah ki namaz parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 760)
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr imam juhar 4 sunnat na pade to namaz padha sakta hai ya nahi
Answer:
Nafila namazain alag mustahab hain in ka namaz e jamat se koi talluq nahi hota hai, is lie chahay imam e jamat ne nafil namazain na bhi parhi hon tab bhi namaz e jamat parha sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Yadi fazar ki namaj chhut Jaye to Kya Eid ki namaj hogi?
Answer:
G han bilkul hogi, Q ke Imam a.s. k zamana e hozoor mai eid ul fitr aur eid e qurban ki namazain wajib hain aur in ka jamat k sath parhna zaroori hai. laikin hamaray zamanay mai jab k imam a.s. gaibat mai hain, ye namazain mustahabb hain aur ba-jamat aur furada donoo terh parhi ja sakti hain. aur fajar ki namaz ki qaza parhni hogi, Q ke fajar ki namaz khud wajib namaz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1497)
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is sunat necessary in fajar kasar safar
Answer:
Is website per fiqhe jaferia ke mutabiq jawabaat diae jate hain.
jee han, fajar ki mustahab namaz parh sakte hen laikin wajib or zarori nahe hay . zuhur aur asar ke nawafil safar mein nahi parhni chaiye aur agar isha ke nawafil rajaa ki niyyyat se parhe jaye to koi haraj nahi. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla #755)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo kon sy 3muqam hain jaha mustahab ko farz sy pehle anjam diya jata ha
Answer:
Fajr, zuhr or assr ki namaz wajib namaz se pehle on ki nafil namaz parhhi jati hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 130-131).
[Updated on 15-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Simple routine mai Zohar ki namaz k sirf Farz parh skty hein? I mean azan hony k bd e bss farz parhna theak hy ? (Sunnat or nawafil chor k)
Answer:
Jee bilkul jaiz hai kyun k nafil parhna mustahab hai wajib nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 malsah no 752).
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sunnat namaz ki teesri rakat mn surah fatiha k sath koe or surah parna bhool jay to kis tara namaz ki corrextion ki jay
Answer:
Islam main 3 rakat nafila namaz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shia hazrat sunnat Namaz kyu nhi pharty
Answer:
Sunnat namaz perhna sawab ka kaam hay laikin wajib o lazim nahi hay. lehaza agar koe sunnat namaz nah perhe tu azeem sawab se mehroom ho jata hay laikin phir bhi gunahgaar shumaar nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #752).
Note: Kafi Shia hazrat mustahab namazain perhte hain. mustahab namaz ko nafil bhi kehte hain. Agar aap masajid main jaa kar daikhain tu aap per wazeh hoga keh maghrib or isha ki namaz k baad on k nawafi arhe jaate hain.
[Updated on 15-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek din Johar ki namaj me jab ham masjid pahunche to imam Shahab ne Johar ke farz padana start kar diye ham unke saath hi farz padne lage aur hamari chaar sunnat chhut gayi kya hame bo sunnat farz ke baad ada karni chahiye ya bachi hue do sunnat aur do nafl hi padne chahiye
Answer:
Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain.
1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat magrib ki, 2 rakat isha ki, 11 rakat namaz shab ki, aur 2 rakat namaz subha ki. laikin Juma k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parhna behtar hai.
2: Mustahabat(nawafil) ka waqt muayin hai. jese Zuhar ki nafila zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen, or is waqt tab tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada karna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila asar se pehle parhi jati hen, or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-asar se pehle ada karna mumkin ho, Magrib ki nafila maghrib ke bad parhi jati hen or jahan ta k mumkin ho ise magrib ke waqt ke andar anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rakat beth kar parhi jati hen) esha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise esha ke foran baad parh liya jaye. Fajar ki nafila fajar se pehle parhi jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab parhi ja sake. Namaz shab ki, 8 rakat namaz shab ki niyat se 2.2 rakat kar ke parhi jati hen, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki neyat say parhi jati hen, is k baad aik rakat namaz-e-witr ki neyat say parhi jati he jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul-huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakhshish ki dua mangi jati hai.
3: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa sai shuru hojaata hai (yani maghrib-o-isha ki azaan ke waqt se subah ki azaan ke waqt tak baaqi rehta hai) lekin behtar yehi hai subah ki azaan k qareeb hi parhi jaye. agar koe shaks us waqt bedaar ho jub fajar tuloo horahi ho tou ada or qaza ki niyat k baghair namaz e shab ada kar sakta hai. or agar namaz e shab ka waqt baqi na rahe tu baad main qaza ki niyat sai ada kar sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752,753,& 756 To 762).
4: Namaz-e-Ghufaila Maghrib o Isha ki namaz kay darmiyan parhi jati hay. is ki pehli rakat main Al-Hamd kay baad kisi doosri surah kay bajaey ye ayat parhni zaroori hay. ( وَذَاالنُّوْنِ اِذْ ذَّھَبَ مُغَاضِبًا فَظَنَّ اَنْ لَّنْ نَّقْدِرَ عَلَیْہِ فَنَادیٰ فِی الظُّلُمٰتِ اَنْ لَّا اِلٰہ اِلَّا اَنْتَ سُبْحٰنَکَ اِنِّیْ کُنْتُ مِنَ الظّٰلِمِیْنَ فَاسْتَجَبْنَالَہٗ وَنَجَّیْنٰہُ مِنَ الْغَمِّ وَکَذٰلِکَ نُنْجِی الْمُؤْمِنِیْنَ۔ )aur doosri rakat main Al-Hamd kay baad bajaey kisi aur surah kay ye ayat parhay ( وَعِنْدَہٗ مَفَاتِحُ الْغَیْبِ لَا یَعْلَمُھَا اِلَّا ھُوَ وَیَعْلَمُ مَا فِی الْبَرِّ وَالْبَحْرِ وَمَا تَسْقُطُ مِنْ وَّرَقَۃٍ اِلَّا یَعْلَمُھَا وَلَا حَبَّۃٍ فِیْ ظُلُمٰتِ الْاَرْضِ وَلَا رَطْبٍ وَّلَا یَابِسٍ اِلَّا فِیْ کِتٰبِ مُّبِیْنٍ ) aur iskay baad qunoot parhay ,us main ye dua parhay ( اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ اَسْئَلُکَ بِمَفَاتِحِ الْغَیْبِ الَّتِیْ لَایَعْلَمُھَا اِلَّا اَنْتَ اَنْ تُصَلِّیَ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِ مُحَمَّدٍ وَّاَنْ تَفْعَلَ بِیْ کَذَاوَکَذَا) kaza wa kaza kay bajaey apni haajatain bayan karay aur iskay baad kahay ( اَللّٰھُمَّ اَنْتَ وَلِیُّ نِعْمَتِیْ وَالْقَادِرُعَلیٰ طَلِبَتِیْ تَعْلَمُ حَاجَتِیْ فَاَسْئَلُکَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِ مُحَمَّدٍ عَلَیْہِ وَعَلَیْھِمُ السَّلاَمُ لَمَّاقَضَیْتَھَالِیْ ).
Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #763).
[Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhe wehem shak hota hai k shukrana k nafil mene parein h k nhi tau m kia karu
Answer:
Agar koi shakhs shak kare keh mustahab namaaz parhi hai ya nahin aur us ka koi muqarrar waqt na ho jaise “namaaz-e-jafar-e-tayyar” to use samajh lena chahiye keh nahin parhi. Agar us mustahab namaaz ka yaumiah nawafil ki tarah waqt muqarrar ho aur us waqt ke guzarne se pehle shak kare keh use anjaam diya hai ya nahin to us ke liye bhi yahi hukm hai. (yani samajh lena chahiye keh nahin parhi). Laikin agar waqt guzarne ke baad shak kare keh woh namaaz parhi hai ya nahin to apne shak ki parwah na kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1185).
[Updated on 04-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sawal yeh hai k mene dekha hy bht se log 4 rakkat sunnat ya farz ko 2 2 rakat me parhty hain matlb 4 sunnat ki 2 rakat parh kr salaam pheir kr phr baqi ki 2 parh kr salaam pheirty hain... kya yeh karna jaiz hai?
Answer:
(Note: Is website par Fiqh e Jafferiya (Shia Mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Islam main 4 rakat nafila(sunnat) namaz nahin hay.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752).
[Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سنت نماز میں غلطی ہو جائے تو کیا کرنا چاہئے
Answer:
nafl namaz mai agar aisi galti ho jaaye jis sai namaz baati hojaati hai tub bhi us namaz ka dobaara parhna zaroori nahi hai lekin agar dobaara parh le tou usey nafl namaz ka sawab milay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 mafhoom e maslah 752)
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam u alaikum. Kia nawafil ki namazo me tasbeeh parhna or har nawafil ki rakat me duaa mangna mushatahab hai?
Answer:
Is website per fiqhe jaferia ke mutabiq jawabaat diae jate hain.
Namaz main sirif Quarn or dua(ya salawaat) or Allah k zikr main izafah kernay ki ijazat hay,is k alawa ki ijazat nahi.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1121,1122).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: What is a method to recite zeyarat e ashura...like if to stand and direct ourselves to the shrine of Imam Hussain or can we read it anywhere (sit or stand) ? And is namaz compulsory after it ?
Answer:
1: Ziyarat e Ashura kabhi bhi or kaheen bhi isi tarah khare ho kar ya bath kar bhi parhi ja sakti hai.
2: Ziyarat e Ashura ke baad namaz parhna zaroori nahin.
(Ref: link; https://mafatih.net/?p=2025 + link; https://mafatih.net/?p=3169 ).
[Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya har fareeza namaz ke baad Allah swt se apne haq mein ya dusron ke liye dua maangna wajib ya zaruri hai? Aur agar bhool kar ya jaan bujh ke chod diya jaye toh iske liye koi saza ya nuqsan hai? Kya ise chodna jayez hai?
Answer:
1: Jee nahin, wajib aur zaroori nahin hai aur agar koi jaan boojh kar nah parhe to koi saza ya nuqsan bhi nahin. aur ise jaan boojh kar nah parhna bhi jaaiz hai.
2: Mustahab hai ke insaan namaz ke baad kuch dair ke liye taqeebat yani zikr, dua aur quran majeed parhe, (ya maslan apne liye ya apne azeez o aqaarib ya momineen, mominaan ke liye dua kare), Behtar ye hai ke namaz ke insaan apni jagh chorne aur wuzu, ghusl ya Tayemmum batil ho jane se pehle ru ba-qiblah ho kar taqibaat parhey. yeh zaroori nahin ke taqibaat arabi zaban main hon laikin behtar hai ke insaan wo duayen parhe jo duaon ki kitbon main batayei gayei hain aur tasbeeh Fatima Zahra (s.a) in taqibaat main se hai jin ki bahut ziyada takeed aayei hai. yeh tasbeeh is tarteeb se parhni chahiye: 34 dafa Allahhu Akbar, 33 dafa Alhamdu lillahi aur 33 dafa Subhanallahi. Aur Subhanallahi, Alhamdu lillahi se pehle bhi parha jaa sakta hai. laikin behtar hai ke Alhamdu lillahi ke baad parhe.
3: Insan ke liye mustahb hai ke namaz ke baad sajdah-e-shukr baja laye aur itna kafi hai ke shukr ki niyyat se paishani zameen par rakhe laikin behtar hai ke 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa shukran lillahi ya afwan kahe aur ye bhi mustahb hai ke jab bhi insaan ko koi nemat mile ya koi musibat tal jaye, sajdah-e-shukr baja laye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1109,1110).
[Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agha Jan mera sawal yeh hai k hum 2 namazen ek sath mila kr parhte h ye behtr h ya har namaz juda juda adaa krna zarori hai? Fazilat ka hisb kya hai
Answer:
1: Aik waqt main 2 namazain parhna jaiz hain. yani namaz e zuhar se farigh ho kar namaz e asr ko parha jaaye aur isi tarah namaz e magharib se farigh ho kar namaz e isha ko parha jaaye. aur beshak hamary nabi(s.a.w.w) ne is tarah zuhar aur asr ki namaz aur maghrib aur isha ki namaz ko baghair majboori ke jama kar kw parha tha. lekin afzal ye hai ke tamam namazon ko alag alag un ke fazeelat ke waqt main parha jaaye balkeh awwal e waqt main parha jaye.
2: Namaz e Zuhar ki fazilat ka waqt zawal aur shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdaar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say char 4 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai.
3: Namaz e Asr ki fazilat ka waqt shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say 6 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai. (ye waqt os waqt ka hay jab shadeed garmi na ho aur jab shadeed garmi ho to in dono namazon ki fazilat ka waqt shakhis ke barabar aur shakhis ki dugni (double) miqdaar ke darmiyaan baghair faaslay ke hai).
4: Namaz e Magharib ki fazilat ka waqt us ke liye jo musafir nahin hai magharib se shafaq ke chale jane tak yani humrae magharibiya (magrib ki surkhi) aur jo musafir ho us ke liye fazilat ka waqt raat ke 1/4 hissay tak hay.
5: Namaz e Isha ki fazilat ka waqt shafaq ke chale jane se yani humrae magharibiya se raat ke aik 1/3 hissay tak hai).
6: Namaz e Subah ki fazilat ka waqt fajr se lekar subah ke asmaan par zaahir hone tak hai, aur awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz parhna afzal hay. Isi tarah tamaam fazilat ke waqton me jaldi karna pehle bataye gaye waqtoon par afzal hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #964 to 969).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sallam Total 5 waqt nimaz mein kitne rakat hein farz or sunnat ans nawafil
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Or fiqhe jafferia ke mutabiq rozana 5 namaze wajib Hain namaz zohar 4 rakhat , namaz asar 4 rakhat ,namaz maqrib 3 rakhat ,namaz esha 4 rakhat or namaz fajar 2 rakhat Hain .insan agar safar me ho tu 4 rakhate namaz sharaait ke Sath 2 rakhate hote hain. Mustahab namaze bhut se Hain jinhe nafil namaze bhe khete hay roza ki mustahab namaze ye jumme ke ilawa 34 rakhate Hain Jin me se 8 rakhate zohar ki ,8 rakhate asar ki ,4 rakhate maqrib ki 2 rakhate esha ki ,11 rakhate namaz shab ki laikin jumme ke din zoharor asar ki 16 rakhate pe 4 ka izafa Hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#717,752 )
[Updated on 03-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shab e barat ke gusl ki Niyat aurat kaise kare
Answer:
Chahe mard ho ya aurat, niyat ke alfaaz dil se guzrna ya zaban se ye kehna ke "me shab e baart ka ghusl karti hon qurbatan ilallah" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai, yani pata ho ke me ghusl kar rahi hon ye kaafi hai, alag se alfaaz ada karna zaroori nahin hain.albatta aytullah sistani sahab ke mutabiq 15 shabaan ke gusal ka mustahab hona sabit nahe lehaza is 15 shabaan wale gusal ko zarori hay ke rija (yani is umeed ke sath ke allah ko matloob ho )ki niyat anjaam dia jaay (or zarori gay ke niyat me mustahab ki nahe na ki jaay )
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #930,635).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya kable juma sunat namaj -e- juma ke bad padsakte hain
Answer:
Namaz e juma ke baad qaza ki niyat se parh sakte hain, Q ke nafila (sunnat) namazon ki qaza karna mustahab hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #723).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]