Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mustahab Namazain (53 Questions)


Showing 50- 53 questions from 53 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122859
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-05

Question: Question: jamat se pehle ki konse rakat namaz padh sakte hain? Jaise Fajar mai azan k bad ham 2 Sunat adaa kar saktye hain aise sab namazo ky batta dain please?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Mustahab (sunnat) namazen buhut se hain jinhen naafil namazen bhi kehte hain.
Rozana ki mustahab namazen, jume ke din ke alawa 34 rakaten hain.
In me se Do(2) rakat subah ki jo naafila e fajar ki niyat se namaz e subah se pehle parhni hain.
Aath(8) rakat zuhr ki jo do do kar ke naafila e zuhr ki niyat se zuhr se pehle parhni hain.
Aath(8) rakat asar ki jo do do kar ke naafila e asar ki niyat se asar se pehle parhni hain.
Chaar(4) rakat maghrib ki jo do do kar ke naafila e maghrib ki niyat se namaz e maghrib ke baad parhni hain.
Do(2) rakat isha ki jo naafila e isha ki niyat se isha ki namaz ke baad ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhni hai is liye ye aik(1) rakat shumaar hoti hai.

Giyarah(11) rakat namaz e shab ki hain jin ka waqt mashhoor qaul ki bina par aadhi raat hai. Giyarah(11) rakat me se Aath(8) rakat do do kar ke naafila e shab ki niyat se is ke baad Do(2) rakat namaz e shafa ki niyat se aur is ke baad aik(1) rakat namaz e witr ki niyat se khare ho parhni hai.
Lekin jumme ke din zuhr aur asar ki solah(16) rakat nafil par chaar(4) rakat ka izaafa ho jata hai, Aur behtar hai ke ye poori ki poori bees(20) rakat zawal se pehle parhi jayen siwaye do rakat ke jo zawal ke waqt parhna behtar hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #752 to 761).
[Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123394
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Mujy kindly ye bta dain k agr tahujd ki nmaz prhni ho to esha ki nmaz kesy prhain phr.? R sunt 4 frz 2 sunt 2 nafl .ab agy wiatr hum tahujd ki nmaz k baad prhain gain .lkn jo esha k 2 nafl hoty wiatr k bad wo kab prhain???

Answer: Note: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain.

1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhein ko mustahab namaz bhi kaha jata hai.

2: Isha ki nafila (jo ke 2 rakat beth kar parhi jati hain) ka waqt isha ke bad aadhi raat tak hai, aur behtar hai ke ise isha ke fauran baad parh liya jaye.

3: Namaz shab (tahajjud) ki total 11 rakat hain in me se 8 rakat namaz shab ki niyat se 2, 2 rakat kar ke parhi jati hain, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki niyat se parhi jati hain, is ke baad 1 rakat namaz-e-witr ki niyat se parhi jati hai

4: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa se shuru ho jaata hai (yani maghrib-o-isha ki azaan ke waqt se subah ki azaan ke waqt tak baaqi rehta hai) lekin behtar yehi hai subah ki azaan ke qareeb parhi jaye. Agar koi shakhs us waqt bedaar ho jub fajar tulo ho rahi ho to ada aur qaza ki niyat ke baghair namaz e shab ada kar sakta hai. aur agar namaz e shab ka waqt baqi na rahe to baad main qaza ki niyat se ada kar sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752,753,& 756 To 762).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
126361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-22

Question: Sir mea sawal ye hai k mea accident hwa tha uski waja se Dr ne kaha hai k Beth kar namaz paro chair par. Ab baz mustaib namazon beth kr parne se ek rakat sumar Hoti hai to aur par mustaib namaz k rakat 4 hain to Meri to 2 rakat hongi ya 4?

Answer: Jee han, Nafl namazain halat e ekhtiar mai bhi beth kar parhi ja sakti hain aur ye bhi zaroori nahi hai k 2 rakaton ko aik rakat samjha jae albetta behtr hai k inhain kharay rah kar parhay. Aur zaroori hai k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhain.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #754).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print