Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Namaz (56 Questions)


Showing 0- 50 questions from 56 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
330
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-30

Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!

Answer: Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.

Print

Id:
331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date: 2018-05-30

Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!

Answer: Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
332
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!

Answer: Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.

Print

Id:
333
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-30

Question: I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!

Answer: Salam un alaikum
It is not permissable at all.
Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087
We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.

Print

Id:
791
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-28

Question: namaz kay tashahud main wilayat ali a.s ka iqrar karna jaiz ya nahi imam jafer a.s ki hadis hai "tum main sai jub bhi koi kahai la ilaha il allah , muhammah dun rasul allah to fauran kahai ali un wali allah".

Answer: A.Sistani kay nazdeek Aihtiyat ki bina par Tashahhud main Shahadat-e-Saalisa (Aliuun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:I-1.

Print

Id:
1024
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-09-04

Question: SALAAM. 1. MUJHE GASTRIC ULCER HAI JIS KI WAJAH SE KABHI BHI GAS KHARIG HONE LAGTI HAI AB IS SURAT MAI WAZOO AUR NAMAZ KA KIYA HUKUM HAI. 2. BIWI KE SATH MAZAK KARNE SE YA KOI TASVEER YA FILM DEKHNE SE MAKAM-E-PESHAB SE CHIKNI CHEEZ KHARIJ HOTI HAI YEH NAJIS HAI YA PAK?

Answer: *1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62.

Print

Id:
1152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: aslaam o alikum jnaba meera swaal ye hai k nmaaz mein ali un wali ulaah parhna jaez hai ya nahi

Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa (Aliun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org

Print

Id:
1323
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar kisi nay jan kar wazoo kay baghier namaz ada ki halan kay wo janta hai kay us ka wazoo namaz mein toot gaya hai hai lakin wo namaz mein raha to ab kya karna chiyay us ko

Answer: Agar Namaz kay doraan hadas waqay ho jaey to namaz toor kar wuzu karna zaroori hay.Lihaza aap ki zimmedari hay kay agar waqt baqi ho to namaz dobara ada ki niyyat say anjam dain aur agar waqt khatam hogaya ho to us namaz ki qaza karain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.301.

Print

Id:
1857
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikum.. Maira sawal ye hay k agar ahle sunnat k sath bajamat namaz parhnay key ilawa koi chara na ho tou kia aisay mahol me jahan shion key khilaf nafrat pai jaati ho..wahan namaz me hath bandh key bajamat namaz parhi ja sakti hay? aur Doosri rakat me qunoot chori ja sakti hay?

Answer: w.s. mubtelate namaz me se tisri cheez yeh he k insan apne hatho ko ajezi or adab ki niyyat se bandhe likin is kam ki wajah se namaz ka batil hona ahteyat ki bina par he aur agar mashrueeyyat ki niyyat se anjam de to is kam k haram hone me koi ishkal nahi he. agar koi shaks bhule se ya majboori se ya taqyye ki wajah se ya kisi aur kam masalan hath khujane aur ayse hi kisi kam k liye hath par hath rakh le to koi haraj nahi he. tamam wajib aur musthab namazo me dusrari rakaat me rukua se pahele qunut padhna musthab he (is liye is ko aam halat me bhi tark kiya ja sakta he) (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1138, 1139 & 1126)

Print

Id:
3551
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Agar Mein beghabri(La elmi)mein Surah Hamd kay bad Ameen kahta raha hoon to kia mujhe tamam namezay dobara parney ki zaroorat hai ya nahi ?

Answer: Ghalti say aameen kahnay say namaz batil nahi hoti (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah# # 1117(4) ).

Print

Id:
5650
Mujtahid:
quran o sunnah Date:

Question: agar 4 rakat mein tash-had k baad ya pehle wazoo toot jaaye to wazoo k baad dobara 4 rakat shuroo se parhenge ya jaha se wazoo toota wahin se parhenge

Answer: Wazoo ka batil hona namaz ka batil hona hai aur dubara wazoo kar k puri namaz parhni ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1113 shart # 2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6845
Mujtahid:
Date:

Question: Mulvi sahab mera ye sawal ha k kya namaz main seene pr haath bandhna aur rafaulyadain krna jaiz ha agr nahi ha to aurat aur mard kyun alag alag namaz parhte hain 1 seene pr aur 1 naaf kay neechay.

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Apnay hathoon ko aajizi aur adab ki niyat se baandhnay se namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil ho jati hay.or agar namaz main haath baandhnay ka kaam shariyat ka hokum samajh ker karay tu aisa kerna haram bhi he .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1113 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8993
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: as salamalekum. mera sawaal yeh hai ke kya namaz me ajilfarajahu jo hazir imam ke liye bola jata hai bolsakte hai ke nahi?

Answer: Jee haan jaiz hay Q k Namaz me quran parhne or dua karne me koi haraj nahi hai or ye bhi aik dua hai aur is ka parhna jaiz hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1122)

Print

Id:
12264
Mujtahid:
Date:

Question: Q:Hath Chor kar Nimaz Parna kesa?

Answer: Namaz ko haath khool ker perhna zarori hay.or agar koe shaks haatho ko aajizi ya adab ki niyat baandhay tu os ki namaz ehtiyaat ki bina par batil hogi.or agar is kaam ko mashroo,iyat(shariyat ka hukum samajh ker) ki niyat se anjam day tu is kaam k haram hone main koe ishkaal nahi.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1116). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14203
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kuch log namaj padhte waqt muh me kuch khate he to kya unki namaj kubul hoti he

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

1-Mubtilaat e namaz may say aik khana pina hay. Agar koi shakhs namaz k doran is terah khaay k loog ye nah kahain k namaz parh raha hay to chahay os ka ye amal jaan boojh kar ho ya bhool chook ki wajah say ho, os ki namaz batil hojati hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Topic: Mubtilaat e namaz ki shart # 10, maslah #before 1141 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14571
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: salam,ma ya pochna chahta ho k kia hum nimaz parhta hova agr azan ki awaz sun raha ho to kia HAZRAT MUHAMMAD PBUH ka name pa during namaz darood bhej sakta ho?

Answer: Jab bhi Insan Hazrat Rasool e Akram s.a.w.w. ka ism e Mubarak maslan Muhammad s.a.w.w. , Ahmed s.a.w.w. ya laqab aur quniyat maslan Mustafa s.a.w.w. , aur Abul Qasim s.a.w.w. zaban say ada karay ya sunay to chahay wo namaz may hi q na ho mustahabb hay k dorood bhejay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1111). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
15405
Mujtahid:
Date:

Question: main ye janna chahata hu ke jab hum niyat karte hai to hath kaha bandhne chahiye

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Ye cheez mubtilaat e namaz main se hay k insaan apnay hatho ko aajizi or adab ki niyat se bandhay laikin is kaam ki wajah se namaz ka batil hona ehtiyaat ki bina per hay or agar mashroiyat ki niyat se anjaam day tu is kaam k haram honay main koe ashkaal nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1116). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16105
Mujtahid:
Date:

Question: salam! sir i want to ask that sometime jb main wazoo kar ke namazparhnay lagta hoon to aisay feel hota he kh jesay peeshab ke khuch drops mtlb washroom ke bahr wh aisay lagta he jesay giray hoon to un se meray kapray napak ho gyae hoon to kia is se namaz ho jati hee.?? and kia is se chutkara paya ja sakta he.......?plz explain it i am tooo worrried about it....

Answer: Agar aap ko yaqeen ho k ye paishab k qatray hi hain tu jin maqamaat per paishab k qatray giray hoon wo najis hoongay aur najis kaprhon main namaz bhi nahi hoti. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 122,787)
Jis shaks ko qatra qatra peshab nikalta ho agr wo surahe zumar ki ayat#67 ko kagaz par likh kar kamar par bandh ley tou ye bemari chali jaegi.aur agr zafran sy likh kr pi lain tou bhi faida hoga.(ref:book nawaey saleheen pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32192
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: Salam - mera sawaal ye h ki kya namaz mai kisi kaam ka ishara kar sakte h

Answer: Namaz main hath se ishara kerne main hoe haraj nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1138). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40326
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Masjid ki tamer aur murammat krna kaisa hai? W salam

Answer: Masjid ka tamer krna aur aisi masjid ki murammat krna jo toot phot gae ho, mustahab hai aur agar masjid is qadar toot phot gae ho k is ki murammat krna mumkin na ho to osay gira kr dubara tamer kia ja sakta hai bal k agar masjid tooti phooti na ho tb bhi osay logo ki zaroorat ki khatir gira kr bara kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 898)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44242
Mujtahid:
NMAZ Date:

Question: NMAZME AMIN BOLNA SUNNAT HE AGAR HE TO US HDESH KO BTAYE ME BHO T CONFUSH HU

Answer: Mubtilaat e namaz mai sai aik ye hai k al hamd parhnay k bad aameen kehay. Yani Surah e al hamd k bad Aameen kehnay sai namaz batil ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1117)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46843
Mujtahid:
Masala Date:

Question: Assalamualikum. In the time of offering salat in jamat and phone ring at that time what should we do. Can we off ring with hand.

Answer: wssalam o alykum, if the form of salaat does not change because of having silent the ring so it is permisible to off the ring, except the salaat will be batil. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , mubtilaat e namaaz # 9th condition , pg # 185 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
48688
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam o Alikum !! agar aurat nay ballo ka joraa bnaya hoo means akhtay kar kay ball bandhay hooo too namaz jiaz hay...

Answer: Is sai namaz batil nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1113)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49878
Mujtahid:
Saistani sahib Date:

Question: Roza ki halat main agar ehtlam ho jay tu ghusal kaisay kia jay . Because ghusal k liyeh kuli aur gharghray zaroori hota hay aur gharghray krnay se roZa toot jata hay . Plz tafseel k saath jawab dain ALLAH apko jaza e khair ata farmaye.

Answer: Ghusl e janabat k mustahabat mai sai hai k 3 bar qulli karnain aur 3 bar naak mai pani dalnain albetta wajib nahi hai aur agar kisi shakhs ko maloom ho k kulli karnay sai be-ikhtiar ya bhool janay ki wajah sai pani halaq mai chala jae ga to zaroori hai k kulli na kary. (Ref : Ayatullah sistani Tehreerul wasila part # 1, pg # 228 & Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1662)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49882
Mujtahid:
sistani Date:

Question: sir please tell me wajibat-e-namaz ...

Answer: Namaz k wajibat 11 hain: 1)niyat 2)takbeeratul Ehraam yani namaz ki ibteda me Allaho akbar kehna 3)Qiyam 4)Qaraa,at 5)zikr 6)ruku 7)sujood 8) tashahhud 9)salam 10)tarteeb 11)mawalat yani namaz k af,aal pay dar pay baja lana(one by one). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # Before 929)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50770
Mujtahid:
Date:

Question: kia namaz main haath bandnay walay ki namaz ho jaye gi

Answer: Ager haath baandna is ALLAH TAALA ke hozoor adab ki niyat se ho to ehtiyaat wajib ki bina per is ki namaaz batil hai, or ager is niyat se ho ke ye ALLAH TAALA ka hokum hai to hath ka band na haraam hai, or ager Is ke ilawa kisi or waja se ho masalan taqye, majbori, bhoolne, khujane wagera ki waja se ho to is se namaaz main koi farq nahi pharta.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1117 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
51705
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: hm shia haat khol k quen namaz pharty han...plz is b bary mein kio ethentic daleel dy..

Answer: Ahle sunnat ki mustanad tareen kitab me hai. moujood hai k rasool akram namaaz hath khool kar perhte the. (sahe bukhari jild 1, pg: 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53017
Mujtahid:
do not know Date:

Question: Salam mein pehl karna kesa hai agar koi betha hai to kiya wo pedal chalte admi ko salam mein pehl kar sakta hai

Answer: Salaam karna mustahab hai aur is amar(kaam) ki bohot taaqeed ki gaye hai k sawaar pedal ko aur khara huwa shaks bethay huwe ko aur chota, baray ko salaam karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1135)(Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
54047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalan o alaikum janab mera sawal hai ki khana khate waqt salam ka jawab de sakte hai aur namaz padhte huwe bhi salam ka jawab de sakte hai in sawalon ke jawab baray meharbani de diye shukriya !

Answer: Zarori hai k insaan chahay namaz ki halat me ho ya nah ho salam ka jawab fouran de. Laikin zarori hay k jawab salam ki manind ho yani zarori hay k asal salam per izafa nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1124- 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: In the time period of roza if we commit intercorse with wife then what would be the saza & qaza of broken roza..please tell us sooon.thank youIn

Answer: Jima rozay ko batil kar deta hai chahae peshab ki nali supari tak hi dhakil ho aur mani bhi kharij nah ho. Laikin sirif touch karnay say roza batil nahi ho ga . aur agar mani kharij ho jay to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565-67)
jaan bojh kar ramzaan ka roza torhne per qaza k ilawa kaffara k taur per 2 mahina musalsal roze rakhna ya 60 shere faqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faqeer ko 750 gram gandum , rote waghera de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
66126
Mujtahid:
Date:

Question: my question is this js jga camera lga ho wahan namaz qabool ho jti h ya nai?

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #854-879). Update on dated 02-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66199
Mujtahid:
Date:

Question: Sir myny apny g.f se cl py sexy bt ki mra irada ni.tha k pani nikalonga par khd nikl gya to kya roza tot jaega

Answer: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi(ya naozo billah kisi na mehram aurat) se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he.Albatta agar ose etminaan na ho k biwi (ya naozo billah kisi na mehram aurat) se chherh char krunga to is mani kharij hogi tu is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. Lakin ghusl kerna wajib hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629,-1576).

Print

Id:
66200
Mujtahid:
Date:

Question: Sir myny apni gf se bt ki sexy r mri niyat ni thi k kch nikal roza tha mra jb pishb krny gya bt k bd to pishb k sath white sa liquid nikla tar tar sa horha tha aik to ghara sa hta hy aik liquid sa aik wo hta hy jo hand practice se niklta hy aik ye hta hy to kya isky niklny se roza tpt jaega sir r gusal wajib hwi?

Answer: 1)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi(ya naozo billah kisi na mehram aurat) se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he.Albatta agar ose etminaan na ho k biwi (ya naozo billah kisi na mehram aurat) se chherh char krunga to is mani kharij hogi tu is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. Lakin ghusl kerna wajib hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629,-1576).
2) Agar wo ratbat mazi ho tu ghusl bhi wajib nahi or roza bhi durust hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553,70). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66439
Mujtahid:
Date:

Question: Roza ki halat main ehtelam ho jaye to kia ghusal karna chaiye ya ni aur agr karna chaiye yo kia roza ki halat main kar sakty hain ya phr ni

Answer: Ehtilam se roza batil nahi hota or ehtilaam k baad roze ki halat main ghusl kia ja sakta hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 17-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70341
Mujtahid:
Date:

Question: kisi ki wajah se namaz toot jay to koi guna ha

Answer: Ikhteyaari halat main wajib namaz ka torhna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay. Laikin maal ki hifazat or maali ya jismani zarar se bachne k liay namaz torhne main koe haraj nahi, balkeh wo tamaam deeni or dunyavi kaam jo namazi k liay ehem hoon, on k liay namaz torhne main koe haraj nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1146). Update on dated 12-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72377
Mujtahid:
Date:

Question: kia balon ka joora bnaney se namaz ho jati hei?

Answer: Is se namaaz per koi faraq nahe perta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1113-1142) . Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76975
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Namaz e Wajib main kia urdu ya madri zaban main dua mangsactay han

Answer: Namaz main quran perhne or dua kerne main koe haraj nahi laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k arbi k alawah kisi zaban main dua nah kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1122). Update on dated 10-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77182
Mujtahid:
Date:

Question: hath chorr ker namaz parhny per ahlesunnat aur ahle bait sy koi dalail dain ......................

Answer: ایک مختصر
شیعه اثنا عشری نماز کو هاﭡﮭ کھول کر اس لئے پڑھتے هیں تاکه پیغمبر اسلام صلی الله علیه وآله اور ائمه اطهار علیهم السلام کی سنت اور طریقه پر عمل کرسکیں، اس سلسله میں ان کی دلیل وه روایات هیں جو بیان کرتی هیں که پیغمبر صلی الله علیه وآله اور ائمه اطهار علیهم السلام نماز میں اپنے هاتھوں کو کھلا رکھتے تھے اور یه که نماز میں هاﭡﮭ باندھنا مجوسیوں کے رنگ میں رنگنا هے۔ اسی طرح ﻜﭽﮭ موثق روایتوں میں نماز کے وقت رسول الله صلی الله علیه وآله کی حرکات و اعمال کو شروع سے آخر تک بتایا گیا هے، لیکن ان میں هاﭡﮭ باندھنے کا ذکر نهیں ملتا۔ بهرحال نماز میں هاﭡﮭ باندھنے یعنی قبض الید کا عمل رسول الله صلی الله علیه وآله کی رحلت کے بعد خلیفه دوم کے زمانے میں شروع هوا اس لئے اهل سنت هاﭡﮭ باندھ کر نماز پڑھتے هیں، البته ان میں بھی بعض لوگ اس پر عمل نهیں کرتے۔
تفصیلی جوابات
هاﭡﮭ باندھ کر نماز پڑھنے کی روش ایسی هے جو رسول الله صلی الله علیه وآله کے زمانے میں نهیں تھی اور آپ هاﭡﮭ کھول کر نماز پڑھتے تھے۔[1] اور چونکه شیعه حضرات هر عمل میں پیغمبر اکرم صلی الله علیه وآله اور ائمه اطهار علیهم السلام کی پیروی کرتے هیں لهٰذا اسی طرح نماز پڑھتے هیں۔ البته نماز میں هاﭡﮭ باندھنا ایک ایسی بدعت ھے جو رسول اکرم صلی الله علیه وآله کے بعد ایجاد هوئی، یعنی آپ کے زمانے میں هاﭡﮭ باندھنا سرے سے تھا ھی نهیں بلکه یه خلیفه دوم کے زمانے میں شروع ھوا، اور اس وقت سے اس بدعت کا راسته کھل گیا[2] اور اب بھی اکثر سنی، خلیفه دوم کی روش پر عمل کرتے هیں،[3] لیکن ائمه علیهم السلام اس طریقه کو مجوسیوں کا طریقه کهتے اور کفار کے رنگ میں رنگنا کهتے هیں اور انھوں نے شیعوں سے کها هے که پیغمبر اکرم صلی الله علیه وآله کی سنت پر عمل کرتے هوئے نماز کو هاﭡﮭ کھول کر پڑھیں۔ ایک حدیث میں حمید ساعدی نے نماز کے بارے میں رسول الله صلی الله علیه وآله کے تمام اعمال کو تکبیرۃ الاحرام سے لیکر نماز کے سلام تک ذکر کیا هے لیکن اس میں هاﭡﮭ باندھنے سے متعلق کسی طرح کے عمل کو ذکر نهیں کیا هے بلکه اس میں آیا هے که تکبیر کے بعد حضور صلی الله علیه وآله اپنے هاتھوں کو نیچے لاکر دونوں پهلوؤں سے چپکاتے تھے ۔[4]
یه بات بھی واضح هے که یه ممکن نهیں که کسی مستحب عمل کو رسول اکرم صلی الله علیه وآله نے پوری زندگی میں ترک کیا هو۔
اسی طرح حماد ابن عیسی نے امام صادق علیه السلام سے چاھا که آپ انھیں مکمل اور صحیح نماز سکھائیں تو آپ روبقبله کھڑے هوئے اور تمام مستحبات کے بعد تکبیرۃ الاحرام کهی اور قرائت شروع کی اور پھر اسی طرح نماز کو پڑھا جس طرح اس وقت اھل تشیع پڑھتے هیں اور سلام پر نماز کو ختم کیا۔[5] اس روایت میں امام علیه السلام نے حماد ابن عیسی کو وهی نماز سکھائی هے جسے پیغمبر اکرم صلی الله علیه وآله پڑھتے تھے اور هاﭡﮭ باندھنے کا ذکر نهیں کیا هے اور اگر یه عمل سنت هوتا تو امام علیه السلام ضرور اسے بیان فرماتے۔
اسی طرح ائمه اهلبیت علیهم السلام سے بهت سی روایات هیں جن میں آپ نے فرمایا هے که: یه کام اهل کفر اور مجوسیوں کے رنگ میں رنگنے کے برابر هے اور اس پر عمل نهیں کرنا چاهئے۔ هم اس کے صرف چند نمونے پیش کرتے هیں:
1۔ روی محمد ابن مسلم، عن الصادق او الباقر علیهما السلام قال: قلت له: الرجل یضع یده فی الصلاۃ ۔و حکی۔ الیمنی علی الیسری؟ فقال: ذلک التکفیر لایفعل۔[6]
2۔ و روی زرارۃ عن ابی جعفر علیه السلام انه قال: وعلیک بالاقبال علی صلاتک، و لاتکفر، فانما یصنع ذلک المجوس[7]۔
3۔ روی الصدوق باسناده عن علی علیه السلام انه قال: لایجمع المسلم یدیه فی صلاته و ھو قائم بین یدی الله عز وجلّ یتشبه باھل الکفر، یعنی المجوس۔ [8]
مزید مطالعه کے لئے رجوع کریں:
الانصاف فی مسائل دام فیھا الخلاف، آیۃ الله شیخ جعفر سبحانی، ج1، ص169۔193

[1] اس سلسله کی روایت کچھ بعد میں آنے والی هے۔
[2] ِ اس بات پر سھل ابن سعد کی حدیث شاهد هے جسے بخاری نے نقل کیا هے: کان النأٌس یومرون ان یضع الرجل الید الیمنی علی ذراعه الیسری فی الصلاۃ (فتح الباری فی شرح صحیح البخاری، ج2، ص224) ظاهر هے که اگر پیغمبر نے قبض الید کا حکم دیا هوتا تو کوئی تک هی نهیں هے که <کان الناس یومرون >کها جائے بلکه <کان النبی یامر> کهنا چاهئے تھا۔
[3] َ حنفی، شافعی اور حنبلی هاتھ باندھنے کو سنت اور مستحب سمجھتے هیں لیکن مالکی هاﭡﮭ کھولنے کو مستحب سمجھتے هیں (الفقه علی المذاهب الخمسه ص110)۔
[4] سنن بیهقی، ج2، 72، 73، 101، 102؛ سنن ابی داوود ج1،194
[5] وسائل، ج4، باب1 من ابواب افعال الصلاۃح1
[6] وسائل، ج4، باب15 من ابواب قواطع الصلاۃح1
[7] وسائل، ج4، باب15 من ابواب قواطع الصلاۃح2، 3، 7
[8] سبحانی، جعفر، فقه الشیعۃ الامامیۃ و مواضع الخلاف بینه و بین المذاهب الاربعۃ، ص183.
(http://www.islamquest.net/ur/archive/question/fa1813 ). Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78177
Mujtahid:
Date:

Question: Namaz k dooran gas ko rok sektay hain

Answer: Ikhteyaari halat main wajib namaz ka torhna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay. Laihaza agar aap k liay doraan e namaz gas rookna mumkin ho tu dooran namaz os ko rook ker namaz ko anjam diya jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 1146). Update on dated 14-04-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82168
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr namaz mein gas nikl jaye tw wazu tw tootta hai lekin kia agr uske bad wazu na kiya jaye or namaz parhli jaye tow kia ham Islam se kharij hojate hain ? .. or aik or question yeh hai keh agr namaz mein gas nai blke uski thori si jo gas ki feel jo awaz k bubble wali awaz ke sath ati hai to kia wazu toot jata hai ?

Answer: 1-Namaz main riyaah(gas) kharij hone se nanamz batil ho jaey gi, laikin wo bay wuzu namaz perhne ki wajah se islam say kharij nahi hoga .2- Agar riyaah kharij ho jaati hay to wuzu toot jaata hay warna nahi tootay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #322) . Update on dated 16-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82182
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya Sajda Or Rukoo Me Drood Pak K Aakhir Me \"W AJJIL FARAJAHUM\" Keh Sakty Hain...?

Answer: Koe haraj nahi hay. (Ref:Minhaj us saliheen, jld#1, pg#215). Update on dated 16-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mera aik or sawal yeh hai ke namaz mein agr gas nikal jaye tow namaz toot jati hai lekin agar gas nikal jaye or wazu na kia jaye or namaz parhli jaye tw kia Islam se kharij hojatey hain ? Wese meri gas nai nikli thi sirf woh jo stool ane par bubble wali feeling hoti hai na

Answer: Aisa karny say sirif namaz batil hoti hay or koe hukum nahi lagta, wo musalman hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #103). Update on dated 14-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85032
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Namaz me apny penis ko hath laga sakty hai jbke uljhan ho rahi ho?

Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1144). Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86690
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: sardion main namaz k doran chadr pehn k hath khan bandin zarori han chadr k andr bandh sakty hain k nai

Answer: Note:Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawaab die jaatey hai.
Agar koi insaan apney haathon ko adab or aajizi ki niyat sai baandhe tu us ki namaz ahtiyaat e wajib ki bina par baatil hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#1113 point 3). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103394
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-27

Question: Assalam o alaikum Me pouchna chahti thi k Kuch log kehte hai k aurat balon me juda bana k namaz nhi phar sakti Plzz answer zarur dena

Answer: Ye amal namaz k mubtilaat ya makhrohaat main se nahi hay.(Ref:Ayatullah sistani, Urwatul wusqa,Part#2, pg#195-207, 208-209).
[Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-07

Question: Assalam o Alaikum mera sawal Ye hai k kiYa faraz namaz k sajde mein dua mang sakte hain agr agr han tou wo lazim Arabic mein mangi hai Ya jo madri zuban hai us mein.?

Answer: Namaz me kisi jagah per bhi quran parhnay aur dua karne me koi haraj nahi kisi bhi zaban may dua mang saktay hain lakin ehtiyaat mustahb ye hay k arbi kay alawa may nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1122)
[Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108229
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-30

Question: Salam. Can I say shahadat e salisa in prayer. Please advise. Why we say it in iqamat only.

Answer: wsalam. Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai parhna jaaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/).

Note: namaz main quran, zikr e ilahi or dua k alawa kisi qisim ka izafay ki ijazat shariat ne nahi di, laikin azan o iqamat main kalam karne se azan o iqamat batil nahi hoti.
[Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113608
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-17

Question: Aoa! Sir aik sawal tha k chars(hashish) peene ke baad banda kab tak namaz nhe parh skta I mean kitny ghanty tak nasha rehta hai?

Answer: 1-Har wo cheez jo mukammal ya juzvi taur per nasha aawer ho, chahe solid ho ya liquid ye sab haram hain. (Ref: Ayatullah Sistani, Jadeed fiqhi masael, Edition #5, Mafhoom e maslah #166).
2-Nashe ki halat main namaz nahi ho sakti. lehaza nasha utarne k baads hi namaz perhi jaa sakti hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #322).
[Updated on 17-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114598
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-07

Question: Salam. Agr namaz k doraan khane k zaraat mou mn ajye to namaz again parni hu gi.

Answer: Agar koi shakhs namaz ke doran koi aisi ghiza nighal lay jo is ke munh(mouth) ya danton(teeth) ke rekhon men reh gayei ho to us ki namaz batil nahin hoti.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1142).
(Note: Jee nahin, Dobara namaz parhne ki zaroorat nahin hai. Q ke is tarah ke zarrat ko nighalne se namaz batil nahin hoti ).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114863
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-31

Question: Agar kisi ne apni ghalat fehmi se imam ko awaz de di ke namaz tor de. To imam sahib ko namaz torne per aur sab namazio ko kya kaffara dena hoga?

Answer: Ikhtiari halat mai wajib namaz ka torna ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin hai lekin is se koi kaffara wajib nahin hota sewaye ye ke us namaz ko dobara parha jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1146).
[Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print