Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Namaz (56 Questions)


Showing 50- 56 questions from 56 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
115923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-28

Question: Namaz k mubtilat jo bte jaty hain.. main w Woh kia hain ? Kia hum sajdagah ise thori c nazar hatt jane pr b namaz khrb ho jati hai? Aksar is trha hota hai.. k kisi aspas hrkt hone pe khud ko rokne k bawajud yaha waha nazar pr jati hai.. namaz batil ho jati hai?

Answer: Jee nahin jo aap ne farmaya hai is se namaz batil nahin hoti.
1: Mubtelat e namaz yani wo cheezen jo namaz ko batil karti hain 12 hain.
1. Namaaz ke dauran namaz ki sharton mein se koi shart mafqood ho jaaye maslan namaz parhte waqt pata chale ke jis kapre ko pehen kar wo namaz parh raha hai wo najis hai.
2. Namaaz ke dauran jan bhooj kar ya bhoole se ya majboori ki wajh se insaan ko kisi aisi cheez se do chaar ho jo wuzu ya ghusl ko baatil karde maslan uska peshaab khata ho jaaye.
3. Yeh cheez mubtelaat-e-namaaz men se hai ke insaan apne hathon ko aajizi aur adab ki niyyat se baandhe.
4. Mubtelaat-e-namaaz men se aik yeh hai ke Al-Hamd parhne ke baad Ameen kahe.
5. Mubtelaat-e-namaaz men se aik yeh hai ke baighair kisi uzr ke Qible se rukh phere.
6. Mubtelat-e-namaaz men ek yeh hai ke Jan bhooj kar baat kare.
7. Namaaz ke mubtelaat men se aik awaaz se saath aur jaan bhoojh ke hansna hai.
8. Ehteyaat-e-waajib ki bina par yeh namaaz ki mubtelaat men se hai ke insaan dunyavi kaam ke liye jaan bhoojh kar awaaz se ya baghair awaaz ke roye.
9. Namaaz baatil karne waali cheezon mein se hai ke koi aisa kaam kare jis se namaz ki shakal baaqi na rahe. maslan uchalna, koodna aur isi tarah ka koi amal anjam dena, chahe aisa karna Jan bhooj kar ho ya bhool chuk ki wajah se ho.
10. Mubtelaat-e-namaaz men se aik khana aur peena hai.
11. Mubtelaat-e-namaaz mein se do rakati ya teen rakati namaaz ki rakaton men ya chaar rakati namazon ki pehli do rakaton men shak karna hai ba-shartikeh namaaz parhne wala shak ki haalat par baaqi rahe.
12. Mubtelaat-e-namaz mein se aik yeh bhi hai ke koi shakhs namaaz ka rukn jaan bhoojh kar ya bhool kar kam kar de ya ek aisi cheez ko jo rukn nahin hai jaan bhoojh kar ghataaye ya ya jaan bhoojh kar namaaz men koi cheez barhaaye. Isi tarah agar kisi rukn maslan ruku ya do sajdon ko aik rakat men gahlti se barha de to ehteyaat-e-waajib ki bina par uski namaaz baatil ho jaayegi albatta bhoole se Takbeerat-ul-ehraam ki ziyadti namaaz ko baatil nahin karti.

2: Kisi shakhs ka namaz men apna chehra daaen ya baaen jaanib itna kam morna ke woh apne peeche ki jaanib maujood kisi cheez ko na dekh sake ye makrooh hai aur agar apne chehre ko itna ghumaaye ke use peeche ki cheezen nazar aa saken to jaisa ke pehle bayaan ho chuka hai us ki namaz baatil hai. Yeh bhi makrooh hai ke koi shakhs namaz men apni aankhen band kare ya daaen ya baaen taraf ghumaye ya apni darhi ya haathon se khele aur ungliyaan aik doosre men daakhil kare aur thooke aur Quraan-e-majeed ya kisi aur kitaab ya anghoothi ki tehreer ko dekhe. Yeh bhi makrooh hai ke Al-hamd, surah aur zikr parhte waqt kisi ki baat sunne ke liye khamosh ho jaaye balke har woh kaam jo ke khushu o khuzu ko khatam kar de makrooh hai.
Jab insaan ko neend aa rahi ho aur us waqt bhi jab us ne peshaab aur pakhana karne ki hajat ho namaz parhna makrooh hai aur isi tarah namaz ki haalat men aisa moza pehenna bhi makrooh hai jo paaon ko dabaaye aur in ke alawa doosre makroohaat bhi muffassal kitabon men bayaan kiye gaye hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 1113,1144,1145 page #181 to 186).
[Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116433
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-06

Question: Nmaz k duran zamai aye tw hath rakh skty

Answer: Namaz ke dauran hathon ko harkat di jasakti hai, lehaza is tarah ka mamala paish aajaye to munh pe hath rakh sakte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sisitani(d.b), edition #42, masalah #954).
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
120757
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-28

Question: Kea Namaz k doran bchey ka jhula jhula saktey hein

Answer: Namaz ko baatil karne waali cheezon mein se hai ke koi aisa kaam kiya jaye jis se namaz ki shakl baaqi na rahe. Is bina par Agar jhoola jhulane ko urf e aam me ye samjha jaye ke namaz ki shakal kharab nahin hui or namaz ke afaal or azkaar ko sahi taur par baja laa rahe hain to phir jhoola jhula sakte hain lekin is ke baraks agar urf e aam ye samjha jaye ke ye to namaz nahin ho rahi balke namaz ki shakal hi kharab ho gayei hai to is tarah ka amal anjam nahin de sakte.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, page #185, befor maslah #1139).
[Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120758
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-28

Question: Kea Namaz k doran bchey ka jhula jhula saktey hein

Answer: Namaz ko baatil karne waali cheezon mein se hai ke koi aisa kaam kiya jaye jis se namaz ki shakl baaqi na rahe. Is bina par Agar jhoola jhulane ko urf e aam me ye samjha jaye ke namaz ki shakal kharab nahin hui or namaz ke afaal or azkaar ko sahi taur par baja laa rahe hain to phir jhoola jhula sakte hain lekin is ke baraks agar urf e aam ye samjha jaye ke ye to namaz nahin ho rahi balke namaz ki shakal hi kharab ho gayei hai to is tarah ka amal anjam nahin de sakte.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, page #185, befor maslah #1139).
[Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121833
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-12

Question: *السَّلاَمُ عَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ اللّهِ وَبَرَكَاتُه* Kia loohy peetal tanbe wagarah ky hath ya pair main kara pehanna jaiz hai mard k leye? Aur ye pehan ker namaz perhain to ho jaye gi ya namaz batil hai ? Aur ager Chandi ka kara ho to jaiz hai hath main pehanna?

Answer: Mard ke liye sone(gold) ke alawa kisi dhaat (jaise ke chandi, loha, peetal, tanba wagera) ke pehnne main koi ishkaal nahin hai aur is ke sath namaz parhna bhi sahi hai lekin mard ke liye sona pehnna haram hai aur is ke sath namaz parhna bhi baatil hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 ,maslah #820).
[Updated on 13-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122025
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-28

Question: Nimaz may aysa konsa kam krnay say nazar ja sakti hai

Answer: Nazar se aap ki kya murad hai ? Waze nahe hay agar aap ki muraad mubtilaate namaz hay tu book tuizihul masail aqa sistani, PG no :181, masla no : 1113 se masla no 1142 Tak mubtilaate namaz moujood hay aap us ka mutaalla karsakte hay.
Mubtilaate namaz me se khuch ye hay.
mubtilate namaz me se tisri cheez yeh he k insan apne hatho ko ajezi or adab ki niyyat se bandhe likin is kam ki wajah se namaz ka batil hona ahteyat ki bina par he aur agar mashrueeyyat ki niyyat se anjam de to is kam k haram hone me koi ishkal nahi he. agar koi shaks bhule se ya majboori se ya taqyye ki wajah se ya kisi aur kam masalan hath khujane aur ayse hi kisi kam k liye hath par hath rakh le to koi haraj nahi he. tamam wajib aur musthab namazo me dusrari rakaat me rukua se pahele qunut padhna musthab he (is liye is ko aam halat me bhi tark kiya ja sakta he) (tauzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1138, 1139 )
[Updated on 28-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print