Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Jamaat K Ahkaam (124 Questions)


Showing 50- 100 questions from 124 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
46597
Mujtahid:
Ayatoolah sistani sahab Date:

Question: Salamun aliykum. I want to know about how we can pray in jamat namaz ..what should we recite and what we should not recite while praying namaz. Also i want to know that in our area molana reciting ali un valiyullah in tashahood before 2 month .but now he stopped it and now he not reciting ali un walliyullah in tashahood so i have dout that he saying now he is not reciting but in his mind or heart this thing kept i mind so i am not playing jamat nnamaz with him.. So ans me that i forgot and pray or not to pray behind him

Answer: During Namaz e jamat you should recite everything in namaz except surae al-hamd and 2nd surah.
If you know that prayer of pesh imam is wrong according to his own mujtahid then you cannot offer prayer behind him.
Now if he is offering prayer correctly according to his own mujtahid then you can offer prayer behind him if all the other conditions are fulfilled.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla#810)

Print

Id:
47019
Mujtahid:
Ayatullah Khamenai Date:

Question: ZOHAR & ASAR ki namaz jamaat k saath parhte waqt 1 & 2 rakat mai kia parhna chaiye? & isi tarah MAHRIB & ISHA ki namaz jamaat k saath parhte waqt 1 & 2 rakat mai kia parhna chaiye?

Answer: Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rakat main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay. or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rakat main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
47438
Mujtahid:
jamat Date:

Question: Namaz e Jamat mai jana kaisa hai?

Answer: Rozana ki namazain jama,at k saath perhna mustahab hay.or subah, maghrib or isha ki namazo k liay, khososan masjid k parhoos main rehne walay or masjid ki azaan sunnay walay k liay bohot ziyada takeed ki gae hay. Aur Bay aytenai(yani laa perwaahi) k saath namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or ye bhi munasib nahi hay k baghair uzr k namaz e jamat ko tark kia jaay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48598
Mujtahid:
Syed Ali Sistani Date:

Question: Salam! Nimaz me Imam e Jamaat k liye kin sharayid ka hona lazmi han?? or ye b furmayie k agr kisi maqtaddi ko imam jamaat ka mutaliq un sharayid ka bary ma shak ho, to os shakhs ka liye os imam jamaat k iqtada ma nimaz parna jayiz ha ya nahi? khuda k liye zarur jawab daina.

Answer: Imam e jamat ki shriat ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)note : Shak ki surat mai teqheeq karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48752
Mujtahid:
hanifa Date:

Question: aoa. agr ap zohar ki ya asr maghrib isha ka jamat mein 3,2,ya 1 rakat late ho gay ho r imam k slam pherne k bad khary ho gay ho to apki jo 3, 2 ya 1 rakat reh gai hen un ko ap kesy pora kro gay un men kia parho gay. maslan agr ak rakat reh gai ti sirf alhamd prho gay ya sath koi soorat b mila k parho gay?

Answer: Jo shakhs imam sai aik rakat pechay ho is k lie behtr ye hai k jab imam aakhri rakat ka tashahhud parh raha ho to hathoon ki unglian(fingers) aur poun(leg) k talwoo ka agla hissa zameen par rakhay aur ghutnoo ko buland karay aur imam k salam parhnay tak intezar karay aur phir khara ho jae aur namaz ko mokummal karay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah # 1433). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49178
Mujtahid:
Date:

Question: mara sawal ha ka bagar dari ka jamat karwa sakta hon

Answer: Imam jamat k lie zaroori hai k wo adil ho yani tamam wajibat ko anjam deta ho aur haram kamoo ko tark karta ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50708
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualikum mjy ye pochna tha k jamat k sath namaz prhty howy 2 rakat m imam sab sorha fiatiha prty hn nd khali rakat m kia humin surah fatiha prhni chaye k ni m n yahan bht s logon ko dekha hy jo k kisi b namaz ki khali rakat m surah faiha prhty hn

Answer: Agar koi shakhs namaz jamat ki dusre (2) rakat shamil ho to usk liye surah alhamd aur surah parhna zarori nahi albatta qunoot or tashahud imam e jamat k sath parhe aur ehtiyat ye hai k tashahud parhte waqt hatho ki ungliyan aur paaon k talwe ka agla hissa zameen per rakhe aur ghutne othale aur tashahud k bad zarori hai k imame jamat k sath khara ho jaay aur alhamd aur surah perhe aur agar surah k lye waqt na rakhta ho to alhamd ko tamam kare aur ruku me imam jamat k sath mil jaay aur agar pure surah alhamd khatam karne ka waqt na ho to alhamd ko adhora chor kar imam jamat k sath ruku me shamil ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1420)
agar koi shakhs namaz jamat ki tisre (3) ya chouti(4) rakat me qiyaam ki halat me hone k waqt iqteda kare to zarori hai k alhamad aur surah parhe aur agar surah perhne k lye waqt na ho to zarori hai k alhamad tamaam kare aur ruku me imam jamat k sath shamil ho jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1423)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50825
Mujtahid:
Hanfiyat Date:

Question: Assalam o alaikum Mara Bajamat namaz ka hawala sa ha aur woh yah kh ' Aqr imam na Zohar ki namaz ki sunatan ada nhn ki aur jamayat ka wqt ho jay to kia won namaz parha sakta ha ya nhn'

Answer: Nafla namazain alag mustahab hai in ka jamat namaz sai koi talluq nahi hota hai, is lie chahay imam e jamat nai nafal namazain na parhi hon jamat namaz parha sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50849
Mujtahid:
abc Date:

Question: Agar koye insan farz namaz may namaz ba jamaat sy 2 or 3 rakat laye ho jaye to es surat may insan ko kya karna chaheye yane surat parna chaheye ya kaha sy shoro kary?

Answer: Agar koi shakhs namaz e jamat men is tarah shamil ho k jamaat ki 2 rakat or oski 1 rakat ho to os k liay surah hamd or dusra surah parhna zarori nahi hai, haan albatta qonoot or tashahud imam k sath parhe or ehtiyaat ye hai k tashahud parhte waqt hathon ki ungliyaan or paon k talwon ka agla hisa zameen per rakhe or ghutne uthale or tashahud k baad zaroori hai k imam k sath khara hojaye, ab imam ki 3 or oski 2 rakat hogi lehaza ose surah hamd or dusray parhna parega lekin waqt kam ho to faqt surah hamd parhe, or phir ruku imam k sath kare. Lekin agar shakhs jamaat men shamil ho is halat men k jamaat ki 3 rakat ho to ab ise apni pehli wali dono rakat men surah hamd or dusra surah parhna zaruri hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#1420). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52205
Mujtahid:
ayat.ullah siastani Date:

Question: slam.un.alaikum NAMAZ,E,ZUHAR,O,ASAR BA JAMA,AT ME 1ST RAKAT SURAH.E.FATIHA OR 2ND RAKAT ME DOSARA SURAH PARH SAKTE HAN? AGAR NAI TO LA,ILMI ME PARHI GAI NAMAZEN DURUST HAN YA UNHEN DOBARA ANJAM DIA JAEY?

Answer: Muqtadi (jamat namaz parhne wala) ko namaz zuhr or asar ki pehli or dusri rakat men ehtiyat ki bina pr Al-hamd or Surah nahi parhna chahiye or mustahib hai k un ka bajaye koi zikr parhe.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1447)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53079
Mujtahid:
Date:

Question: s/w kya bina dhadi wale ke piche namaz ho sakta hai

Answer: Agar imam-e-jama`at jaan bhoojh kar dhari mundvaay to wo aadil nahi rahay ga jo imam-e-jama`at ki sharait me say hai. magar uski dhari nahi aati ho aur us kay paas imam-e-jama`at ki tamaam sharait hoon to us k peechay namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1434) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53404
Mujtahid:
Date:

Question: kya namaj me pheli rakat me sure naas pdhkar dusri rakat me sure falaq pdh sakte hai?

Answer: Zarori hai k insaan rozana ki wajib namazo ki phely aur doseri rakat me phele alhamd aur phir kise bhi aik surah ki tilawat kare.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 965) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53971
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye haiii....k agr imam se banda ik rakat ma reh jye to jab imam salam pery to uske bad ut k banday ko surah fatiha k bad 2nd surah parhna hoga....isi tarah 4 rakato tk bta de plzzzzzzzz

Answer: Agar koe shaks dosere rakat me iqteda kare (jamat me shamil ho) is k leye alhamd aur surah perhna zarore nahe hai albatta qunoot aur tashahud imam k sath perhe aur ehteyat ye hai k tashahud perhte waqt hatho ki ungliya aur paoon k talwoon k agala hissa zameen per rakhay aur ghuthne utahle aur tashahud k baad zarore hai k imam k sath kharha ho jaay aur alhamd aur surah perhe aur agar surah k lye waqt na ho to alhamd ko tamaam kare aur ruku me imam k sath shamil ho jaay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1420)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54081
Mujtahid:
Date:

Question: Aksar namaz ghar mai jamat k sath ada kar di jati .. To is kay bary mai kia hukum hai???

Answer: Ager imam e jamaat main tamaam sharaait mojood hain to yoomiyaa namaazain jamaat ke sath pharna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1380 , 1434 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Shai pish e Imam namaz e ba jummat k duraan zameen k ander namaz keu parta hi?(jis jaga pe pish e Imam kara hota hi wo jagy dosry namazio sy gihra hota hi ? }

Answer: chand masjidoo main namaaziyoo ki kasrat ki waja se namazi masjid se bahar sehan tak ponhach jate hain jese namaaz e Jumma or Namaz e eid main, or masjid ki zameen ka level sehan ki zameen se uncha hota hai to esi halat main Imaam e Jamaat ko esi jaga khara hona pharta hai jis jaga ki zameen tamaam namaziyoon ki jaga ki zameen se unchi na ho kun k Shariat e Muqaddasa main zarori hai ke Imaam e Jamaat ke khare hone ki jaga mutadiyoon(namaznio) ke khare hone ki jaga se ziyada unchi nah ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1396 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
60129
Mujtahid:
Date:

Question: immam sey ikhtelaaf ki surat mai immam k pichey namaz ka kiya hukam hai

Answer: Ager is mian tamaam sharait mojood hain to iktilaaf ke hone ke bawajood is ki iqtida (peche namaaz pharna) ki ja sakti hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1434 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61190
Mujtahid:
Date:

Question: nika ki raat hambistaru se pahele husband wife ek saat namaz pahe ya alag

Answer: Nikah ka bad wo ek sath namaz to parh sakte hen, albatta namaz k wqt kis andaz se khara hona hai uska tafseeli jawab kuch is tarah hai, 1)Jab bhi mard or aurat aik sath namaz perhna chahain tu ehtiyat e lazim ki bina par zarori hay k aurat mard se kam se kam itna pechay khari ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main mard k dono guthno k baraber ho.2) Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khari ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain, yehi hokum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.3) Agar mard aur aurat aik dosray k baraber kharay hon ya aurat aagay kheri ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyan diwar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il (maujood) ho k aik dosray ko na daikh sakain ya on k dermiyan 10 hath se ziada ka fasla ho tu dono ki namaz sahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # before 874 and 875) (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 875)note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat sohar aur biwi hon ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61831
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia jammat namaz mai surah hammad aur baad surah hammad ki tilawt karnai kai bari mai kai hokum hai?

Answer: Zarori ha k muqtadi(imam k peeche namaz jamat perhne wala) Alhamd or surah ke ilawa namaz ki sab cheezay khud perhe,or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 31th edition). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
66469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam agah mera sawal ye hai ke namaz e jamat mai mamoom imam se pahle sajde se sar utha le (yani taqreeban adha baith jaye) to kya use fauran sajde mai chale jana chahiye kya uski namaz sahi rahegi (jabki yahan rukn ki zyadati ho jayegi) please jaldi reply keejiye shukriya

Answer: Jo muqtadi sehwan sar sajde se utha le or dekhe k imam abhi sajde main hay tu ehtiyaat ki bina per zarorei hay k dobara sajde main chala jaey, or is terah sajde k izafa se namaz batil nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1453). Update on dated 14-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66717
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam-o-alaikum, sir main jahan rehta hon wahan shahadat-e-salsa pary jati hy kia main in k sath namaz ba jamaat par sakta hon ya pher main jamaat k sath furada ke niayat c par sakta hon agar nhn par sakta tu mjy inform kar dain agar ho saky to tu koi referrence (book) waghaira be dy dain q k dosry humain kehty hain k kahan likha hy k ap nhn par sakty, thanks.

Answer: Agar mamoom(yani namaz e jamaat main shamil namazi) or imam e jama,at k dermiyaan namaz k ajza(parts) or shara,it main ijtehaad ya taqleed k wajah se ikhtelaaf ho jaay,or mamoom ko maloom ho k imam e jamat ki namaz batil hay(yani imam e jama,at k mujtahid k fatway main ye namaz batil ho), tu ye mamoom is imam e jama,at k peechay namaz mukammal nahi ker sakta.siwaay is sorat k , keh agar imam e jama,at ki namaz main koe aisi ghalati ho jo k jaahil e qasir{Jaahil e qasir aisay laa ilm shaks ko kehtay hain jis ki jahalat/laa,ilmi ka uzr qaab e qobool ho} k liay maaf ho tu phir mamoom k liay jaiz hay k wo is imam e jama,at k peechay apni namaz ko mukammal karay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #810, eidition # 1st ). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Lehaza aap namaz k shuru se jamaat perh sakte hain, jab imam e jamat shahadat e salisa shuru kare tu aap apni namaz ki niyat ko furada ker lain.

Print

Id:
73066
Mujtahid:
Date:

Question: kya namaze jamaat me jo pesh imam bolte hai wo ham logo ko bola chahiye

Answer: Zarori ha k muqtadi(imam k peeche namaz jamat perhne wala) Alhamd or surah ke ilawa namaz ki sab cheezay khud perhe,or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 35th edition). Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76603
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamu Alaikum, Umeed hai aap kheriat se honge. Mein ne abhi kuch dair pehle aap ki video clip \"Namaz e Jamaat Tark kanrey ki Muzammat\" dekhi jis ki link yeah hai. http://qoitrat.org/video_clip.php?id=49 Kiya aap is ko quran o hadis ki roshni mein prove ker sakte hein k Namaz e Jamaat na perhne waale k saath kissi tarrah ka b rishta nahein rakhna chahiye, maslan us k saath na khaya jaye, na baat ki jaye aur se shaadi b nahein ki jaye. Jazak\'Allah

Answer: Razeeq, hazrat Imam jaffer Sadiq a.s se riwayat kerte hain keh hazrat ameer(yani hazrat Ali) a.s ko ye ittela mili k khuch loog masjid main namaz e ba-jamaat main hazir nahi hote tu aap a.s ne khutba daite hoay fermaya: khuch loog hamari masjid main hamaray sath namaz e ba-jamaat main hazir nahi hote tu onko chahiay k wo nah hamaray sath khaein or peein, nah hum se mashwara karain, or nah nikah o izdewaaj or nah hi hamaray maal e ghanimat main se hissa lain ya phir(apni harkat se baaz aaen or) hamaray sath namaz e ba-jamaat main shamil hoon, warna qareeb hay k main hukum doon ga or in k gharoon ko aag laga di jaey ya wo baaz aa jain(raawi ka bayaan hay k hazrat ameer a.s k is ailaan k baad) aam logo ne aise logo se khana peena or baahami aqd o izdewaaj kerna terk ker diya yaan tak k wo loog (majboor ho ker) musalmano k sath jamaat main shamil hone lagay. (Ref: Wasaelush shia, part#3,Baab masajid k ahkaam, baab#2, hadees#8, terjuma, pg#367, Ayatullah Muhammad hussain najafi). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77356
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aghr namaz ki jamaat khari ho or koi sunnat per kr jamaat k saath khra ho jaey Imaam k Salam pherny se pehly hi uth jaey to kia krna chahiay?

Answer: Jo shaks imam se aik rakat pechey ho us k leye behtar yeh hai keh jab imam aakhari rakat ka tashhud parh raha ho tu hathon ki unglion or paon ka aaglah hissah zameen par rakhey or ghutnon ko buland kare or imam k salaam parhney tak intezaar kare or phir kharah ho jaye or ager esse waqat furadah ka qasd karna chahey tu koe harj nahe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1433)Update on dated 21-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77959
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal ya ha k aksar masjdo ma namaz k waqat choty bachon ko phli saf sa hata k pichy bhj daya jata ha k bachy pichy chale jayea bary agy ajaen .. kia ya sahi ha ?? Aisi koi hades ya quran ma ha

Answer: Agar jamaat main ittesaal ka zariiya aik samajhdaar bacha yani aisa bacha jo achay buray ki samajh rakhta ho or wo loog nah jaantay hoon k is ki namaz batil hay tu iqteda ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2397).
Mustahab hay k sahibaan e ilm o azal or taqwa pehli saf main kharhay hoon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1463). Update on dated 08-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya 1 hi namaz ko 2baar jamat se padhna jayaz hai? Matlab Maine zuhar ki namaz 1 jagah jamat se padhi phir thodi der baad dusri jagah wahi namaz jamat se padh sakta hu Kya?

Answer: Rija(yani sawaab ki umeed) ki niyat se perhne main koe haraj nahi hay agarche is ka mustahab hona sabit nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail jaame,part#1, maslah #1681). Update on dated 09-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar subha mainay Farz Alag parh lia phir bad man Jamat ho rahe the us kay bhe Farz parh lia to koi masla to nhi ?

Answer: Jub jammat k saath namaz parhi janey lagay tou mustahab hai k jis shaks ne tanha namaz parhi ho wo dobara jamaat k saath parhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1384 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86985
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal ye hai k.. k agr nemaz ba jumat ada ki jaye to surah fatiha parna hota hai sath me ya nahi... plz jawab dey

Answer: Zarori hay k muqtadi pehli 2 rakat main al-hamd or sorah k alawa sab cheezen khud parhen lekin agar muqtadi ki pehli or dosri rakat ho or imam ki teesri or chouthi rakat ho to zarori hay al-hamd or soorah khud parhy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1442). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AOA, MASJID E NABI ya makkah mein haram mein jakr namze jamat ka kya hukum hai? Kya hm unki namaze jamat k sth namaz parh skte hain ??because wo loag alhamd k bd jo surat parhte hain wo complete nhn hoti aur rukoo bhi unka kafi lamba hota hai kya unk sth namz parhne se hamari namz batil hojati hai??

Answer: Was Salam. Jo shia sunni pesh namaz k sath namaz ba-jamaat parhe tu us k liye zarori hai k alhamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay.(Ref tauzeeh ul masail jamay part 1 maslah no 2091).

Print

Id:
88968
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikum... Bhaijan mera sawal ye hai ki Ba-zamat namaz pardte wakht jab rakat choot jati h fir zab imaam salam ferte hain to hame apni choti hui rakat ko puri karne ke liye kab uthna chahiye?? (1) imaam ke dono salam puri tarah fear dene ke baad ya fír.. (2) Dusra salam fearte wakht..

Answer: Jo shakhs Imam se ek rak’at peechhe ho os k liay behtar yeh hai keh jab Imam aakhri rak’at ka tasha,hud parh raha ho to haathoon ki onglion aur pa’on k talwon ka agla hissa zameen par rakhe aur ghutno ko buland kare aur Imam ke salaam parhne tak intezaar kare aur phir kharha ho jaey aur agar osi waqt furaada ka qasd karna chahta ho to koe haraj nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1433). Update on dated 09-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88981
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: حالتِ نماز میں اگر محسوس ہو کے ریحا خارج ہوگئی ہے مگر یقین نہیں ہو شک ہو تو نماز درست ہوگی یا نہیں؟ دوسرا سوال یہ ہے کہ اگر با جماعت نماز میں دوسری رکت میں شامل ہوں رکو سے پہلے تو اختیتام جماعت کے ساتھ ہی کریں یا کوئی اور طریقہ ہوگا رہنمائی فرمائیں۔

Answer: 1: shak ki soorat men namaz sahi hy .
2: Agar koe shakhs dusri rak’at mein iqtedaa kare to os k liay alhamd aur surah parhna zarori nahi. Albattah qonoot aur tasha,hud Imam k sath parhe aur ehtiyaat yeh hai keh tasha,hud parhte waqt haathoon ki onglian aur pa’on k talwo ka agla hissa zameen par rakhe aur ghutne uthha le aur tasha,hud k ba’d zaruri hai keh Imam k sathh kharha ho jaey aur alhamd or sorah perhe aur agar surah k liay waqt nah rakhta ho to alhamd ko tamaam kare aur ruku mein Imam k sath mil jaey aur agar poori alhamd parhne k liay waqt nah ho to alhamd ko udhura chorh kar Imam k sath ruku mein shamil ho sakta hai. Laikin is surat mein Ehtiyaat-e-mustahab yeh hai keh namaz ko furadaa ki niyyat se parhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #299,1420). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Amam Saab k peeche fatiha parniii chahye ya nii

Answer: Zarori hai keh muqtadi alhamd aur surah k alawa namaz ki sab cheezein khud parhe. laikin agar oski pahli aur dusri rak’at ki teesri aur chauthi rak’at ho to zarori hai keh alhamd aur surah bhi parhe, or Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pahli aur dusri rak’at mein Imam ki alhamd aur surah parhne ki awaaz sun raha ho to khud wo kalimaat ko theek tarah na samajh sake tu zaruri hai keh alhamd aur sureh na parhe aur agar Imam ki awaaz na sun raha ho to mustahab hai keh alhamd aur sureh parhe. Laikin zaruri hai keh aahistah parhe aur agar bholay se buland awaaz se parhe to koe haraj nahin hai. Or Agar muqtadi Imam ki alhamd aur sureh ki qir’at k ba’az kalimaat sun le to jis qadr nah sun sake wo parh sakta hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1442/1443/1444). Update on dated 26-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89194
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Imame juma ke Qutbe ke dauran kisi bhai tarah ki baat karna sahi hai ya galat

Answer: Imam e jamaat k khutbe ke dauraan baatein karna makrooh hai laikin agar baaton ki wajah se khutba sonne mein rukawat ho to ehteyaat ki bina par baatein karna jaiz nahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #722). Update on dated 18-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92500
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir main ye puchna chata hun.. zohar or asar ki nmaaz main imam saab unchi awaz see tilwat ni karte...to peeche hm niyat krne k badd sanah prhne k badd kuch parhen ya Nahi ...ya immam sab hi sirf khamoshi se parhte rhen or hum na parhen kuch???.Please Jawab Zrur Dejea Ga

Answer: Muqtadi k liye zaroori hai k alhamd or surah k ilawa baqi tamaam azkaar khuda parhe lekin agar muqtadi ki pehli or doosri rakat ho or imam ki teesri ya chothi rakat ho tu zaroori hai k alhamd or surah bhi parhay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 1442).khuda aap ko uloome aale Muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaaye.

Print

Id:
93028
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-09

Question: Sir agr namaz ba jummat k liay late ho jayaain to bhaag k masjid ke janib jana jaiz ha?

Answer: Jaiz hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #1380 )
[Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94286
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: Salam!! Agar tv per jamat namaz ah rahi hu tu usi kay sath hum jamat namaz perh saktay hain .....

Answer: wsalam.Fiqh e jafferia mai is tarah ki jamaat durust nahi hai q k jaamaat ki sharaet mai sai aik ittesaal hai jo is soorat mai haasil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#1392).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95629
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-24

Question: Jinab mera ye sawal hai ki kya ye zaroori hai ki magrib ki namaz imaam k hi peechay padni Hoti hai?

Answer: Jamaat k saath namaz parhna mustahab hai lehaza alag bhi parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah #1380)
[Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103330
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Assalamualaikum mai puchna chahta ho ki agar kisi 3 rakaat wali namaaz me pehli 2rakaat choot jae to wo jab phir padhe ga pehle kya padhega

Answer: Ba jamaat namaz main agar imam ki teesri rakaat hai or aap ki pehli rakaat hai tu aap k liye al hamd or surah parhna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#1442).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103455
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Imam ki dhari na ho to pechy nimaz hoti Hy k nhi

Answer: Agar imam-e-jama`at jaan bhoojh kar dhari mundvaay to us ehteyate wajib ki bina per us ki adalat sabit nahe hosake ki or imam-e-jama`at ki sharait me say hai ke imam jamaat aadil ho (yani tamaam wajibaat ko anzaam deta ho or tamaam gunaao se ijtenaab karta ho)
magar uski dhari nahi aati ho aur us kay paas imam-e-jama`at ki tamaam sharait hoon to us k peechay namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1434)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103561
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-13

Question: Assalam u alaikum :- sir agr hum kisi imam jamat ky pechay namaz prh rahy hon or uski qirat sahahi na ho jabky apni qirat thk ho or majbori ki waja sy jamat tark bhi na kr sktay hn to kia krain

Answer: Jaiz nahi hay, Haan, doosri rakat k ruku se on ki iqtidaa karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mujtahid se poche gaey sawalaat, part#, pg#39).
[Updated on 14-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103988
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Paish Namaz ki shareeat main kaya shart hy?

Answer: Imam e jamat ki sharait ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho yani tamam wajibat ko anjam deta ho aur haram kamoo ko tark karta ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103999
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Kia Imam k pasha moqtadi surah fatiha para ga

Answer: 1-Zarori he k muqtadi Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar muqtadi ki pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1442)
2-Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat (yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jamaat ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan (yani bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1443).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104125
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Salaam! Imam ke pechy namaz parhty waqt jab imam ruku me jane ke liye AllahuAkbar kahy to hum b foran ruku me jai ya phir thora wait karain take phly imam sahib ruku jai phir hum?

Answer: Zaroori hai k muqtaddi , namaz mai jo kuch parha jata hai is k alawa namaz k doosray afaal maslan ruku, sujood imam k sath ya is sai thori dair baad baja laye aur agar in afaal ko janboojh kar imam sai pehlay ya itni dair baad anjam dai k isay imam ki parvi karna na kaha ja sakay to is ki jamat batil hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1451)
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104163
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-14

Question: Namaz b jamat m imam surah fatiha par raha ho to Sana parhna ha ya nahe Agar nahe to kb parhne ha

Answer: Zarori ha k muqtadi(imam k peeche namaz jamat perhne wala) Alhamd or surah ke ilawa namaz ki sab cheezay khud perhe,or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 35th edition).
Agar koi shakhs namaz jamat ki dusre (2) rakat shamil ho to usk liye surah alhamd aur surah parhna zarori nahi albatta qunoot or tashahud imam e jamat k sath parhe aur ehtiyat ye hai k tashahud parhte waqt hatho ki ungliyan aur paaon k talwe ka agla hissa zameen per rakhe aur ghutne othale aur tashahud k bad zarori hai k imame jamat k sath khara ho jaay aur alhamd aur surah perhe aur agar surah k lye waqt na rakhta ho to alhamd ko tamam kare aur ruku me imam jamat k sath mil jaay aur agar pure surah alhamd khatam karne ka waqt na ho to alhamd ko adhora chor kar imam jamat k sath ruku me shamil ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1420) agar koi shakhs namaz jamat ki tisre (3) ya chouti(4) rakat me qiyaam ki halat me hone k waqt iqteda kare to zarori hai k alhamad aur surah parhe aur agar surah perhne k lye waqt na ho to zarori hai k alhamad tamaam kare aur ruku me imam jamat k sath shamil ho jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1423)

[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107936
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-24

Question: Ajkl namaz jummat ghar pr ho rahi corona ki waja sai. Namza jummat aval waqt mai na parh sakai to akhir waqto mai jummat kra kr prhain ya apni apni? ( Hanfi)

Answer: (Note:) Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diye jatay hain.

[Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-27

Question: As-salamun alekum Jamaat se namaz ada kar rahe hai to Amam ke peeche dohrana hei ya chup khade reh kar sirf sunna hei ,,,ye fir kuchh or padhna hei???

Answer: wsalam.
Agar jamaat k saath namaz adaa ki jaa rahi hai tou zaroori hai k alhamd or surah k ilawa baqi tamaam azkaar khud parhe lekin agar muqtadi ki pehli or doosri rakat ho or imam ki teesri ya chothi rakat ho tu zaroori hai k alhamd or surah bhi parhay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 41 maslah no 1442).
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-16

Question: sir wo knsi farz namaz h jo jamaat k sath adaa nai kr skte

Answer: Soraj girhan aur chand girhan ke elawa or namaz tawaaf ko jamaat ke sath parhna sabit nahin hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41, Maslah #1491)
[Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110671
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-12

Question: Keya parhatay waqt jamat late ker saktay hain k hamari class 5 o'clock khatam hoti hai r jamat 4:45 per hoti haii..... Tu keya hamain class chorni chahia ya namaz bad me adda karni chahia....??

Answer: Note : Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. rozana ki wajib namaaze ( maslan : namaz fajar ,zhohar, asar wagira ) ko jamaat ke sath perhna mustab ( yani acha hay) hay wajib nahe hay. Aur Bay aytenai(yani laa perwaahi) k saath namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or ye bhi munasib nahi hay k baghair uzr k namaz e jamat ko tark kia jaay.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 1380, 1382)
Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub ‘sunan abe daood’ , ’jaame termeze’ jild 1,pg:109 aur sahe muslim ki riwaayat hai : rasool allah ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad doseri namaaz perhi. Aur rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (ref:shiat ka muqadma ,moulaana hiussain ameeni,pg:226)(Note: aap namaz zuhr asr ko aik hi ( yani awal waqt )me parh saktay hain.)
[Updated on 12-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110770
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-16

Question: Aoa. Ahle sunnat imam kayy pichay namaz parhnay ki kia rullings hein?

Answer: Was Salam. Jo shia, sunni pesh namaz k sath namaz ba-jamaat parhe tu us k liye zarori hai k alhamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay.(Ref tauzeeh ul masail jamay part 1 maslah no 2091).
[Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-03

Question: Aoa. Ahle Sunnat imam kay pichay jehri ya dusri namaz ho to tilawat ham apni hi karein gay?

Answer: Was Salam. Jo shia sunni pesh namaz k sath namaz ba-jamaat parhe tu us k liye zarori hai k alhamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay.(Ref: Jadeed masael fuqaha o mujtahideen ki nazar main, part#4, pg#183).
[Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110772
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-03

Question: Aoa. Ahle sunnat imam kay pichay jehri namaz me hamari tilawat halki awaz me hi ho?

Answer: W/Salam. Jo shia sunni pesh namaz k sath namaz ba-jamaat parhe tu us k liye zarori hai k alhamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay.(Ref: Jadeed masael fuqaha o mujtahideen ki nazar main, part#4, pg#183).
[Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print