Showing 50- 100 questions from 107 questions on this page.
Question: Maghrib aur Isha k namaz k dauran kam az kam waqfa kitna he (maghrib k azaan k kitne waqt k baad isha ki azan jaiz hojati he) plz jawab mudallal hona chahiyia
Answer: Maghrib aur isha ki namaz ka waqt aik sath start hota hai laikin in donoo namazoo k darmian mutawajh honay ki surat mai tarteeb motebar hai yani isha ki namaz ko jan boojh kar maghrib ki namaz sai pehlay parhay to batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 724)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: zawal k oqat konse hen or in oqat me ibadat krna q mana he..zawal k oqat ki nishani kya he...
Answer:
zohor aur asar ki namaz ka waqt zawaal k baad se goroob aftaf tak hai .zahor sharhi ka matlab hai aadha din ghuzarna. maslan agar din 12 hours ka ho to suraj nikalne k 6 hours k baad zahor sharhe ka waqt ho gha aur agar 13 hours ka ho to tolo aftab k 6(1/2) hours baad zahor sharhi ka waqt hoga. ZOhar sharhi jo k tuloob aftab se goroob aftaf k darmiaan (1/2) waqt ghuzalne k naam hai. Karachi k ufaq (latitude) k mutabiq kabhi dopahar 12(1/2) baje se khuch phele aur kabhi is k khuch baad me hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #720,pg:123 )
Zahor k waqt beghair kisi waja k mustahab namaz perhna makroo hai.yani haram nahe hai. (ref: sharhe lumha ,Shaheed-e- Awwal jild 1, kitab salah pg: 87).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mara sawal yh ha kh agr namaz Zohar ka wqt jamahat ka wqt ho jay aur imam na sunatan ada nh ki hon to kia woh namaz parha sakta ha ya nhn
Answer: Is Web pr faqt FIQH JAFFARIYA k sawalat k jawabat diye jate hen.
Question: isha ki namaz kab qaza hoti ha ma na suna ha k agar isha ki azan k bad ap so jao or phir uth k namaz parho to bhi qaza hoti ha kia ya bat right ha
Answer: Maghrib aur isha ki namaz ka waqt ikhtiyari halat men kisi shaks k lye aadhe raat tak rehta hai laikin jin lougo ko kohe ( sharhe) majbori ho masalan bhool jane ki waja se ya neend ya haiz ya in jise dosere majburi ki waja se aadhe raat se phele namaz na perhsakhe to in k lye magrib aur isha ki namaz ka waqt fajar tolu hone tak baqi rehta hai laikin in dono namazo k darmian mutawajo hone ki surat me tarteeb zarori hai yani isha ki namaz ko jaanbouch kar maqrib ki namaz se phele perhe to batil hai laikin isha ki namaz ada karne ki miqdaar se ziyada waqt baqi na raha ho to is surat me lazim hai k isha ki namaz ko maqrib ki namaz se phele perhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 724 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: fazar ki namaz mai bad zohar kaza karu k zohar ki namaz se pehle kaza karu?? plz zara bataye.
Answer: Ager zohar ki fazilat ka waqt katam na ho raha ho to pehle fajar ki qaza karna behtar hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1365 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: kia namaze tahajud ka akhri waqt fajre 2 tak hay aurkia roza rakhnay ki sourat may khana peena fajre 2 tak kar saktay hain
Answer:
Subha ki azaan ka waqt Roza band karne or namaaz e tahajjud ka aakri waqt hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 761 , 1531 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: please btain k namaz k auqat kya hain aur fazilat k auqat kya hain. plus yeh bhi btain k awal waqt konsa hota hai. shukria
Answer: Zuhar o asar ki namaaz ka waqt zawaal e aaftaab ke baad se ghuroob e aftaab tak hai, maghrib o isha ka waqt mashriq ki tarf ki surkhi ka
Question: shia namaz ikathay parhty hen or sunni alehda pls elaborate the concept... actually kaha jata hy k imam hussain waqt e asar shaheed huay agr asa concept hota k zuhren ki namaz m wo shaheed huay to phr namaz e asar q kaha jata hy?? jb k faqa b asar k wqt khulta hy
Answer: Shia 2 namaazo( maslan zohar, asar or maqrib , esha) ko aik waqt me sunnat e rasool (s.a.w.w)ki roshani me perhte hain .Ehle sunnat ki mashoor o maroof kitaab sunaan abi daood terjuma moulana waheeduz zamaan jild 1, pg: 490 : me ibne abaas ne kaha k rasoolallah(s.a.w.w) ne zohar aur asar ko aur maghrib aur esha ko madine me barish aur khouf k beghair aik waqt me ( yani aik namaz k fouran baad dosere namaz perhe) aur rasool allah(s.a.w.w) ne aisa is lie kiya k takeh meri ummat ko taqleef na ho . ( ref: shiat ka muqadma, hussain amini , pg: 225,227) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA janab ye batain kh shia zohar and asar ki namaz aur magrib and eshan ki namaz ek sath kun parhte hain.
Answer: Ahlesunnat ki mashooro maaroof kutub sunan abe daood ,jaame termeze jild 1,pg:109aur sahe muslim ki riwaayat hai : rasool allah ne namaaz zohar aur asar ko aur namaaz maqrib aur esha ko madene me beghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad dosere namaaz perhe. Aur rasool ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (ref:shiat ka muqadma ,moulaana hiussain ameeni,pg:226) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: a.o.a...plz mjhe ye bata dijiye k aima-e-masumeen a.s to zohar asar ki namaz alag alag prhte thy to hum ek sath kiun parhte hn?
Answer: Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub ‘sunan abe daood’ , ’jaame termeze’ jild 1,pg:109aur sahe muslim ki riwaayat hai : rasool allah ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad doseri namaaz perhi. Aur rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (ref:shiat ka muqadma ,moulaana hiussain ameeni,pg:226) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: karachi mai namaz zuhr ka waqt kitne baje k bad shuru hota hai
Answer:
1)Namaz-e- zuhar or asar ki namaz ka waqt zawal-e-aftab ke bad se guroob-e- aftab tak hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#718, Tauzeehul masail 31th edition).
2)Karachi ki ufuq k mutabiq kabhi dopeher 12.30 bajay se khuch pehle or kabhi os k khuch baad main hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, pg#123) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz e zuhrain ka tareqa aur timing
Answer:
Namaz e zohar,aur asar me se har aik ki 4 rakhat hai, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #717 ),
Zohar aur asar ki namaaz ka waqt zawaal aftab (zohar share) k baad se ghuroob e aftab tak hai. Yani jab zohar ka waqt share ho jaay to phele zohar ki namaaz perhe aur us k baad asar ki namaaz perh sakta hai. zohar share ka matlab (1/2) din ghuzar jaana hai . maslan agar din 12 hours ka ho to suraj nikalne k 6 hours k baad hoga. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #718 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Zohar ki namaz 4 baje pade to asar ka wakt aa jata he to Zohar ki namaz kaza hoti he ?
Answer: Zohar aur asar ki namaaz ka waqt zawaal aaftaab k baad se guroob aaftaab tak hai . Suraj k doob jane aur mashriq ki janib se nikalne wali surkhi k darmiyane waqtfe me namaaze zoharain ada aur qaza ki niyat k beghair anjaam de . aur ehteyate waajib ye hai k namaaz perhne me is waqt tak takheer na ki jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 718) (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 72,pg # 41) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam agha me chahta hon k meri fajar ki namaz qaza nahin ho me alarm bhi lagata hon par fajar me nahin uth pata plz koei aesa wazefa batayen k meri fajar ki namaz kabhi qaza nahin ho .Mohtaj e Dua Zulfiqar Naqvi
Answer: subhe ki namaaz ki qaza hone se bacne ka tariqa : rasool allah ne farmaaya : jo shaks surah khaf ki aakheri aayat sote waqt jis bhi waqt utne ki niyat se perhe gha jo jis waqt chahe gha bedaar ho jaaye gha.( nawaahe sauleheen,pg:332) Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam walekum aagha namaz kya azan se phle parh skte h jab k waqt aa gya ho or azan na hui ho
Answer: Azaan ka hona zarori nahi hai balke insaan namaaz me mashgool us waqt ho sakta hai jab ise yaqeen ho jaay k waqt dakhil ho gaya hai ya do aadil mard waqt dakil hone ki khabar de. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #730 ) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya esha ke namaz prhny sy phly so jyn or uth k namaz parhyn to kya namaz qaza ho jte ha ya parh skty HN?
Answer:
Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k lie aadhi rat tk hai. aur rat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai toloe e fajar tk hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 727).Update on dated 25-02-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Namaz e isha se pehlay sona jaiz hay.
Question: Quran me kitni namazen farz ki gai hen aour kon si surat me in ka zikar he
Answer: Surah e bani israeel ayat#78 main 5 namazain farz bayan ki gae hain laikin on ka waqt 3 bayaan hoa hoa. Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal hai k shia mazhab mein namaz e zuhrain aur maghribain ka concept hai magar maghrib ka waqt guzr jaane k baad kia maghrib ki namaz qaza ho jaati hai??? aur kia zuhr ka waqt guzar jaane k baad zuhr kia namaz qaza hojati hai?? agar aisa nahin hai toh is ka reason kia hai? jaise k agar main maghribain parhta hun par isha k time pe toh maghrib ki namaz qaza hogi ya nahin?
Answer:
Namaz e maghribain ka waqt mukhtar shaks k liye aadhi raat tak hai or majboori ki haalat mai jese koi namaz parhna bhool jaye tou Azaan e subah tak parhi jaa sakti hai.(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02699/ ). Or namaz e zauhar or asar ka waqt zawal e aftab sai guroob e aftab tak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #718). Update on dated 20-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kaya asar or magrib ki namaz akhati par sakty hain? or agar par sakty hain to kaya tariqa ha.
Answer: Nahi namaazon ka alag waqt moayyan hai zaroori hai k namaaz usi waqt par adaa ki jaaye.lekin agar asar ki qazaa namaaz hai tou usay maghrib k waqt ada kar saktay hai or agar maghrib ki qaza namaaz hai tou wo asar k waqt parh saktay hai lekin ada ki niyat sai dono ko aik dosray k waqt mai nahi parh saktay faqar zohar or asar aik waqt mai or maghrib or ishaa ada ki niyat sai aik waqt mai ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 730 743 1361). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam walekum main kam per jati hon har roz kam ki timeing alag hoti he namaz ka waqet hone main 20 minutes baqi hen tu main nama erly adha ker sakti hon kyon k kam per lete ni ho sakti or kam per time ni milta
Answer: Jee nahi har namaz ko usi k waqt main ada karna zarori hai waqt sai pehle ada nahi kia jaa sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 30). Update on dated 23-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya fajar ki azan sunte he aurat namaz ada kar sakti hai??
Answer:
Agar yaqeen hojaey k namaz ka waqt dakhil ho gia hay to namaz ada ki jasakti hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta ,https://www.sistani.org/urdu/qa/17522/ ).
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shion ki magrib qaza nhi hoti ? Aagr hoti hai tou wo time duration btayen jis k bad qaza hoti hai. Please
Answer:
Jee maghrib or isha ki namaz qaza hoti hai. Mukhtaar shaks k liay qaza ka waqt aadhi raat hai aadhi raat sai muraad ghuroob e aftaab sai fajar tak ka waqt hota ye mukammal raat kehlaati hai tu is ka adha kar lia jaaye wohi adhi raat kehlaaye gi or namaz e maghribain usi waqt qaza hogi. or wo ashqaas jo kisi uzr ki bina par aadhi raat sai pehle namaz na parh sakay tu un k liay namaz ka waqt fajar tak rehta hai.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#723,724).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA, mera sawaal hai ki Maine kal majlis me suna k azaan hote hi namaz adaa kar leni chahiye, kya ye sahi hai
Answer:
Afazaliyat yehi hai k aap namaz ko awwal waqt main ada kar dein lekin ye wajib nahi hai, Aap us namaz k waqt mai usay adaa kar saktay hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#718,723,729).
[Updated on 07-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Firada (individual namaz jo ghar mein parhi jati hai) parhne ka sahi waqt kya hai? Azaan k fauran baad parhni chahiye ya jamaat k waqt k baad?
Answer:
Namaz ko os k awwal waqt main perhna afzal hay. Jamaat sai pehle bhi agar namaz ka waqt ho chuka hai tu namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#41, maslah#730).
[Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aurto ki zohor ki namaz kitne time se shuru hoti hai
Answer: Zuhur ki namaz ka waqt zawal e aftab se shuru hota hay. Or ghroob e aftab tak rehta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #718). Update on dated 28-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mjhe pata chala ha kisi se k fajar ki qaza namaz nai hoti kya yeh thk ha?? 6
Answer:
Jee nahi fajar ki namaz ki adaegi ka bhi aik waqt hai us k baad fajr qaza ho jaati hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#729).
[Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: fazar ki namaz agar suraj nikalne ke baad padi to wo farz hogi ya kaza ?
Answer: Namaz e fajr ka watq fajr e sadiq se lay kar tulu e aftaab tak hay. Or tulu e aftaab k baad namaz e fajr qaza ho jaati hay. Lehaza agar aap ne tulu e aftaab se pehle namaz nah perhi ho tu phir namaz qaza ki niyat se perhi jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #726). Update on dated 27-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I want to ask a question ? fajr ki namaz 4:45 pr ada hti or agr koi 3bjy galti sy ada kr dy to is ka koi gunnah hoga..ku ky mainy kesi ko 3bjy fajr perhty daikha or mana b kiya ky abi time ni hua liken us ny phr b 3bjy he namaz e fajr ada ki ???kiya 3bjy ada kr sktay namaz e fajr?
Answer: Insan namaz main os waqt mashghool ho sakta hay jab osay yaqeen ho keh waqt dakhil ho gaya hay. Agar koe ghalti se namaz main mashghool ho jaey or baad main pata chale keh namaz ka waqt abhi shuru hi nahi hoa tu wo gunah gaar nahi hay laikin namaz batil hay or baad main namaz waqt aane per perhna zarori hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #730,733). Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Zohrain or maghrabain ko al alag parh sakty hai jo us kay muqarar waqt hai?
Answer:
Ayatullah Sistani d.b. k nazdeek zohar Asr aur maghrib isha ki namaz alag alag kar k on k fazilat k auqaat main parhna mustahab hai. (Ref : website sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774)
[Updated on 01-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya azaan hote wqt namaz ada kr skte hai, kyu ki me jaha rehti hu waha par mashallah bht sari masjid hai jisske wjhse se 6 bje se 6:15 tak azaan chlte rehti hai aisi surat me kya wo namaz jo azaan hote wqt pdhi jaa rhi hai jayz hai yaa sari azaan khtm hone k baad namaz pdhna jyz hai
Answer:
Insan namaz main os waqt mashghool ho sakta hay jab osay yaqeen ho keh waqt dakhil ho gaya hay. Agar koe ghalti se namaz main mashghool ho jaey or baad main pata chale keh namaz ka waqt abhi shuru hi nahi hoa tu wo gunah gaar nahi hay laikin namaz batil hay or baad main namaz waqt aane per perhna zarori hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #730,733)
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walekum mera sawal ye tha ki Fazr ki namaz kitne baje tak ada ki ja sakti hai??
Answer:
Suraj nikalte hi fajar ki namaz qaza ho jaati hai lehaaza is sai pehle namaz e fajr adaa karna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 729).
[Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Magrib oe isha ki namaz kub kaza hoti hain time late time
Answer:
Mukhtaar shaks k liay qaza ka waqt aadhi raat hai aadhi raat sai muraad ghuroob e aftaab sai fajar tak ka waqt hota ye mukammal raat kehlaati hai tu is ka adha kar lia jaaye wohi adhi raat kehlaaye gi or namaz e maghribain usi waqt qaza hogi. or wo ashqaas jo kisi uzr ki bina par aadhi raat sai pehle namaz na parh sakay tu un k liay namaz ka waqt fajar tak rehta hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#723,724).
[Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alaikm... main ye pooochna chahta hooo k subha ki namaz azaaan k foran baad parh skty h? Ya phir 40 mint ya es se ziada ka wait krna lazmii hota h?? Plz answer
Answer:
wsalam.Fajar ki namaz ka jese hi waqt ho jaey parhi jaa sakti hai 40 minute ka intizaar karne ka koe hukum nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 729).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assallamualaikum! Sir ! Meri duty time 7 bajy tak hay aor azan 7:03 pa hoti hay , tu sawal mera ye hay k 7 bajy hamara pick up ajata hay leny k liye aor lock down ki vajha se ham rok nahi sakty namaz k liye , tu kiye sir main namaz 5 ya 10 mint pehly pharr sakta hon azan se ? Main apke reply ka wait karonga. Shukriya.
Answer:
wsalam.jee nahi waqt sai pehle namaz nahi parhi ja sakti.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 730).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zohar ki Namaz 4:45Pm parh saktey hain.
Answer:
jee guroob e aaftaab sai pehle zohar or asr dono parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 718)
[Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jysy aksr log zohar ke azaan sunn kr so jaty hn k uth k namaz prhyn gy. to kia soo ky uth ky zohar ke nmz prhny py hm usy qaza adaa kryn gy ya azaan sun kr so jany sy namaz qaza nahi hoti?
Answer:
zohar or asar ki namaz ka waqt zawaal e aftaab sai guroob e aftab tak hai agar is doran namaz ada ki jaey gi tou adaa ki niyyat ki jaaye gi lekin agar guroob e aftab k baad adaa ki jaaye tou phir qaza ki niyat karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 718).
[Updated on 24-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA. Kya jummay k din zuhr ki namaz late parhtay han?( Jumah nhi ja sakay)
Answer:
wsalam.jee nahi jummay k din bhi zohar ki namaz ka wohi waqt hai jo dosre dino mai hota hai yaaney zawaal e aftaab k baad sai guroob e aftaab tak hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 718)
[Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mera sawaal yeh hai kai eshia ki nimaz ka waqat aj kal kai dinon mein kab dakhil hota hai
Answer:
suraj guroob hone k baad mashriq ki taraf sai jo surkhi namoodaaar hoti hai jub wo insaan k sar k upar sai guzar jaaye tou wo maghrib or esha ki namaz parh sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 723).
[Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zohor ki farz namaz padhne ke baad kya fajar ki qhaza namaz padh sakten hai
Answer:
Jee bilkul parh sakte hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1358).
[Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asar or maghrib ki namaz isha me padh sakte hai
Answer:
Asar apne waqt par parhna zaroori hai.
maghrib or isha aik saath parhi jaa sakti hai.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 723 and 730)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar namaz parhte parhte aadha namaz parhne k baad namaz ka waqt khatam ho jaye to kya karenge?
Answer: jis shaks k paas namaz ki faqat aik rakat ada karne ka waqt ho osay chahiay keh namaz ada ki niyat se perhe. Albattah ossay jaan boojh kar namaz main itni takheer nahi karni chahiay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#636 ). [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Isha ki namaz ka time kab tak hota hai or tahujjud kab perhi jati hai
Answer:
Maghribain ka waqt aadhi raat tak hota hai, or namaz e tahajjud maghribain k baad sai namaz fajr sai pehle pehle tak parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 761).
[Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shia namaz timing ada qaza in Nov 2020
Answer:
Salam. aap is link per click kar k 2020 k poray saal ka calendar download kar lain. http://zahraacademy.org/wp-content/uploads/2020/Calendar2020_Ur.pdf.
[Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Fajr ki namaz Zuhr k sath parhi ja sakti hai? Fajr ki namaz ka aakhir waqt kia ho ga? Agr kisi waja se na parh saken azan k forn bd or subah kuch waqt bd parhe to kia thk ho ga? Zuhr k sath parh le agr aesa kia ja sakta hai? (Qaza hi parhi gai ho agr fajr zuhr k sath) ?
Answer:
Jee nahi fajar ki namaz ki adaegi ka bhi aik waqt hai us k baad fajr qaza ho jaati hai, aur suraj nikalte hi fajar ki namaz qaza ho jaati hai lehaaza is sai pehle namaz e fajr adaa karna zaroori hai. Aur qaza namaz ka waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41, maslah #729,1358).
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamu alaikum kya asar ki namaz zohar main awal waqt padh sakte hai
Answer:
Jee han, Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay. yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay. or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha. laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ).
[Updated on 12-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri maghrib ki namaz qaza ho gae h agr main esha ki namaz k sath perhun to kya main puri namaz perhun gi ya sirf farz perhun gi
Answer:
1: Namaz e magrib aur isha ka waqt mukhtar shaks k liye aadhi raat tak hai or majboori ki haalat mai jese koi namaz parhna bhool jaye tou Azaan e subah tak parhi jaa sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02699/ ).
Or namaz e zauhar or asar ka waqt zawal e aftab sai guroob e aftab tak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #718).
2: Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub sunan abi daood, jaame termizi jild 1, pg: 109 aur sahe muslim ki riwaayat hain ke : Rasool(s.a.w.w) ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad doseri namaaz perhi. Aur Rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (Ref: shiat ka muqadma, moulana hussain ameeni, pg: 226)
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamualikum, Allama Sahab mainy yeh pochna hai k Mai akser rat ko taqreeban 9bajy maghrib or isha ki namaz Mila kr parhty hon tu kya uswaqt maghrib ki Namaz ki niyet qaza ki krni hogee ya qaza Nhi hai?? Jazak Allah khaair
Answer:
Maghrib or isha dono ka waqt aadhi raat tak rehta hai lehaaza 9 bajey dono namazon ko adaa ki niyyat sai parha jaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 742).
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hame subah se raat tak bahar jana ho to pure din ki namz kese ada kre...ghar se nikalne se pehle kr sakte h kya ya fir ghar ane k baad p
Answer:
Hara namaz apne wakt par adaa karna wajib hai sub namazein aik saath nahi parhi jaa sakti. or namaz ko qaza karna bhi gunah hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 730)
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamualikum Mera swal yeh hai kay jo hum zuhur or asr ki namaz mila kr parhty hen uska time kub tk hota hai kya maghrib say pehly pehly kisi bhi time dono namazen Mila kr parh sakty hen??? Same question about maghrib and isha unko Mila kr parhny ka time kub tk hai . Kindly reply me jazak Allah khaair
Answer:
1: Namaz e zuhar or asar ka waqt zawal e aftab sai guroob e aftab tak hai. aur guroob e aaftaab (yani maghrib) sai pehle zuhar or asar dono parhi jaa sakti hai.
2: Maghrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k liay aadhi raat tak rehta hai lekin jin logon ko koi uzr ho maslan bhool jaane ki wajah se ya neend ya haiz ya in jaise dusre umoor ki wajah se aadhi raat se pehle namaaz nah parh sake hon to on k liay maghrib aur isha ka waqt fajar tuloo hone tak baaqi rehta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #718,724).(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02699/ ).
[Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Isha ka kaza ka wakt ky hota hai ?
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Isha ki namaz ka waqt mukhtaar (jo majboor na ho) shakhs ke liye aadhi rat tak hai. aur rat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai tuloo e fajar tak hai. maslan agar shaam ko 7 baje suraj groob hojaae or subaha ke 4 baje tuloo fajar ( namaz fajar ka waqt ) ho jaae tu is ki nif (half) raat 11:30 baje hoghe ,or is surat me aik mukhtaar shaks ke lie is misaal ke mutabiq aadhe raat 11:30 baje tak hay yani namaz isha is surat ye shaks 11:30 baje se phele tak perh sakta hay ,or aadhe raat ka waqt ,suraj ke groob or tulo fajr ke time ke change hone se change hota rehta hay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #727,jadeed fiqhe masaail ,aqa sistani.masla no:84).
[Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]