Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Sajda (74 Questions)


Showing 50- 74 questions from 74 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
102516
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Kya aurton ko napaki ke waqt quraan padhna ya uski audio sunna jayaz hai

Answer: wajib sajde wali ayaat me se koi aik ayat parhna jis ke parhne se sajda wajib ho jata hai parhna haram hai, wajib sajde wali ayaat 4 hain,
1)Surah Sajdah Ayat 15, 2)Surah Haa Meem Sajdah Ayat 37, 3)Surah Najam Ayat 62, 4)Surah Alaq Ayat 19.
(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla no # 354,448).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102566
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Assalam0aliku sawal yah hai kay aurat pehly wazo kry phir makeup kary kia wo nimaz k waqt nimaz parh sakti hai makeup kay sath

Answer: kyun keh makeup sajda gah ke aur apki peshani ke bich me ayega to zaroori hai keh thora sa makeup peshani ke bich ke hissay se hata len take sajdah kia ja sake. ( mafhoom e masla ) (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 1047 ).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
104037
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Sajda gah par Allah kay Naam k ilawa Naam (14 Masomeen k Naam) Likha Hona Jaiz hy???

Answer: Jee han us par sajda karna sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1063)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Namaz k akhri sajde ma wajibat k elwa kn sa zikr kr skte ha jese k pesh imam parhte ha

Answer: Sajde main ye zikr یَاخَیْرَالْمَسْئُوْلِیْنَ وَیَاخَیْرَالْمُعْطِیْنَ، ارْزُقْنِیْ وَارْزُقْ عَیَالِیْ مِنْ فَضْلِکَ فَاِنَّکَ ذُوالْفَضْلِ الْعَظِیْمِ‘‘۔
parhna mustahab hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masala#1077 point 5)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-04

Question: Assalam o alikum kya tooti sajdaga per sajda kar saktay hay?

Answer: Ungli ki upper wali gera ki traf ki miqdaar ke barabar bhe sajda karne wale cheezo per sajda hojaay tu sajda sahe hay.
Ref: urwaturwusqa,aqa sistani ,jild no 2,[ 1609 ] masla no :1, hashia no: 539)
[Updated on 05-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kya hmm zameen pe sajda kar sakte hai

Answer: 1)Sajda zameen per or on cheezon per jo nah khaai jateen hen or nah hi pehni jateen hain or zameen se ugne wali hoon un per kerna zaruri hai,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1063)
2)Sajda zameen per doosri tamaam cheezon se afzal hai or matti per sajda kerna zameen se bhi afzal haiy or tamaam mattiyon se afzal turbat-e-Hussainiya hai jis per sajda kerna tamam cheezon se afzak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Muntakhab-ul-Masaail, maslah #305)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110778
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-01

Question: Aoa. Ahle sunnat kay pichay namaz parhtay waqt unkaay saath kapray par sajda karna kesa he?

Answer: kapray par sajdah karna durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1063).
[Updated on 01-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110850
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-05

Question: Kia marble k floor par ya tile par Sajdah hosakta hai? Agar kisi Masjid mai jaayen aur pata na ho k wahan ka floor marble hai ya kisi aisi cheez ka jis par Sajdah jayez nahi, tou kia Namaz sahi hogi?

Answer: 1-Tile par sijdah krna jaiz hay. (Ref : Ayatul;lah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail pg # 78 masla #92) 2-Marble per sajdah kerna jaiz hay. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Jul 2, 2012).
[Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: Aoa. Plastic ki chitai par sajda karna jaiz he?

Answer: Jee nahi plastic par sajda sahi nahi hai Q k plastic zameen k ajzaa mai shumaar nahi hota. aur Sajda zameen par aur un cheezon par karna zarori hai k jo khaye aur pehni nahi jati ho aur zameen say ugti ho.(Ref: Tauzeeh ul masail, ayatollah seestani, edition 39th, maslah #1063).
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Sajjdey shukr aur namaz ke sajde mein kya farq hai isse tafseer se boliye

Answer: Namaz (chahe wajib ho ya mustahab) is main jo sajday hain wo wajib hain yani wo sajday lazmi taur par baja laanay hain. lekin agar koi in sajdon ko jan bojh kar baja na laye to us ki namaz nahin hoti aur wo gunahgar hoga. aur Sajday shukr se murad wo sajda hai ke insaan ke liye mustahab hai ke namaz ke bad sajda baja laaye ya koi nemat mil jaye ya koi museebat tal jaye allah taala ka shukriya ada karne ke liye sajda baja laaye. lekin agar koi sajday shukr ko jan bojh kar baja na laye to wo gunahgar nahin hoga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, edition 39th, mafhoom e maslah# 1032,1034,1110)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112148
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: Assalam o alaikum! Hum sajda e shukr me rukhsaar zameen pe kyun rkhte hain

Answer: Aksar akhkaam e sherae ke sabab or illatain(reasons) or shariyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah #6, kitaab e meraas, nashir maktab e naveed e islam, pg #472).
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112368
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Kia tissue paper ko ya phr dono hath k angothon k nakhun k hissay ko sajdgah k tor per istemal ker saktay hain

Answer: Jee nahin, balke sajdah zameen per or on cheezo per kerna zarori hay k jo khaae or pehni nah jati hoon or zameen se ugti hoon. maslan lakri, darakhto k pattay, concrete, cement k farash or mosaic waghaira per bhi sajda kerna jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah #1063 + http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=3&perpage=10)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112856
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-03

Question: Namaz ke akhri sijda main Kaun si aayat padhi jaati hai.

Answer: Sajde men dua karna aur Allah taala se hajat talab karna aur ye dua parhna mustahab hai. aur wo dua ye hai." یا خَیرَ المَسْؤُوْلَینَ وَیا خَیرَ الْمُعْطینَ، ارْزُقْنی وَارْزُقْ عیالی مِنْ فَضْلِك، فَاِنَّكَ ذُو الْفَضْلِ الْعَظیمِ ". (Yani "Aye sab men se behtar jin se manga jata hai aur aye un sab se bartar jo rizq ataa karten hain. mujhe aur mere ahl-o-ayal ko apne fazl-o-karam se rizq ataa farma Q ke to hi fazl-e-azeem ka malik hai "). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition 42, maslah #1078)
(Note: Koi ayat wagera nahin parhi jati balke dua parhi jati hai ).
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113193
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-22

Question: Sajde me kitni chize mustaheb h

Answer: 1: Sajday men chand cheezen mustahab hain: 1. Ruku se sar uthane ke baad mukammal taur par khare ho kar sajday men jane ke liye Takbeer( اَللہُ اَکْبَرُ ) kahe. 2. Sajday men jate waqt mard pehly apni hathelian aur aurat apne ghutne zameen par rakhe. 3. Namazi naak ko Sajday Ghah ya kisi aisi cheez par rakhe jis par sajda karna karna durust ho. 4. Namazi sajday ki halat men haath ki unglion ko mila kar kaanon ke pas is tarah rakhe ke un ke sire qibla roo hon. 5. Sajday men dua kare, Allah taala se hajat talab kare aur ye dua pare: یا خَیْرَ الْمَسْؤُوْلِیْنَ وَیا خَیْرَ الْمُعْطِیْنَ، اُرْزُقْنِیْ وَارْزُقْ عِیَالِی مِنْ فَضْلِكَ، فَاِنَّكَ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِیْمِ . (Yani " Aye sab men se behtar jin se manga jata hai aur aye un sab se bartar jo rizq ataa karten hain. mujhe aur mere ahl-o-ayal ko apne fazl-o-karam se rizq ataa farma Q ke to hi fazl-e-azeem ka malik hai "). 6. Sajday ke baad baain(left) raan par beth jaye aur daain(right) paaon ka uper wala hissa (yani pusht) baain(left) paaon ke talwe par rakhe. 7. Har sajday ke baad jab badan ko sukun hasil ho jaye to Takbeer( اَللہُ اَکْبَرُ ) kahe. 8. Pehly sajday ke baad jab badan ko sukun hasil ho jaye to ﺍَﺴْﺘَﻐْﻔِﺮُﺍﷲَ ﺮَﺒِّﻰْ ﻭَﺍَﺘُﻮْﺐُإﻠَﻴْﻪِ kahe. (Yani men magfirat talab karta hon us khuda se jo mera palnay wala hai aur men us ki taraf roju karta hon). 9. Sajda ziyada der tak anjam de aur bethte waqt hathon ko raanon par rakhe. 10. Dosre sajday men jane ke liye badan ke sukun ki halat men Takbeer( اَللہُ اَکْبَرُ ) kahe. 11. Sajdon men Durood parhe. 12. Sajday se Qiyam ke liye uthte waqt pehle ghutnon ko aur in ke baad hathon ko zameen se uthaye. 13. Mard kuhniyon aur pet ko zameen se na lagain neez bazuaon ko pehlo se juda rakhen. Aur Aurten hukniyan aur pet zameen par rakhen aur badan ke aazaa ko aik dosre se mila len. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1078)
2: Sajday men Quran majeed parhna makrooh hai aur sajday ki jagh ko gird-o-gubar jharne ke liye phonk marna bhi makrooh hai balke agar phonk marne ki wajah se do harf bhi monh se Amadan(Jan boojh kar) nikal jaain to Ehtiyat e wajib ki bina par namaz baatil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1079)
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113598
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Kia aurtain sajday ma pair ki unglian zameen pa rakhn sakti hain

Answer: Namaz main sajday ki halat main wajib hay k 7 aazah zameen par rakhay jain. 1.Peshani. 2,3.Dono hatailiyaan. 4,5.Dono ghutnay aur 6,7.Dono poun(legs) k angothay. Ethiyaat e wajib ki bina par peshani se murad peshani ka darmiyani hissa hay.(Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah # 1032).
(Note: Auraton ke liye bhi yahi hukum hai ke wo dono paun ke angothay zameen par rakhay na ke unglian ).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114234
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-10

Question: agar sajday ka zikr parhtay huway paun ka angutha khud hi hil jayey to namaz dubara parhni hogi ya dobara zikr parhna kafi hoga??

Answer: Agar jan boojh kar na uthaya ho aur khud ba khud uth jaye to namaz batil nahin hogi. aur zaroori hai dobara use zameen par rakh kar zikr parha jaye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1041).
[Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-17

Question: Agar sajdey wali ayath dil me padhi jaye to kya sajda wajid hoga

Answer: Jee nahin, is se sajda wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #1294).
[Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115180
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-17

Question: Mn aik yateem larki ku pasand krta hun aur wu mujhay pasand krti h. Hum shadi krna chahiay hn. Kia mujhay yatem larki s shadi ka sawab millay ga

Answer: larki or larkay k razi honay k saath saath larki k wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahin hoga. han agar baap ya dada men se koi bhi hayat na ho to phir kisi se ijazat lena zaroori nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341).
[Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115786
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-04

Question: Kia sajda e shukar k liye wazu krna zruri hai?

Answer: Jee nahin, Zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315).
[Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116487
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-20

Question: salam un alaikum ya ali a.s madad. ziarat e ashura ma jo salam sajday ma parhna hai wo sjda kye bagair parh skty hain ?

Answer: Jis tareekay sai aaima a.s ne ziyarat parhne ka tareeka bataya hai behtar hai usi tareekay sai anjaam diaa jaaye.
aik fiqhi maslay ki taraf aap ki rehnumai karte chalein k haath mai moujood anghooti k pathar par bhi sajdah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1063).
[Updated on 20-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-01

Question: Mera sawal yeh hai Kai agar kisi Kai pass namaz Ada karne Kai liye sajdagah na ho toh kia microfiber cloth pe Ada ki hui namaz qubool hai?

Answer: Kapre par sajdah karna durust nahin hai, balke sajdah zameen par aur un cheezon par karna zaroori hay ke jo khayei aur pehni nah jati hon aur zameen se ugti hon. maslan lakrhi, darakhton ke pattay, concrete, cement ke farash aur mosaic, ghaas, bhosay, chone ke pathar aur jipsam par sajda kiya jaye. aur sajde ke liye khaak e shifa sab se behtar hai us ke baad matti, matti ke baad pathar aur pathar ke baad ghaas hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1063,1065,1067,1070. + http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=3&perpage=10).
[Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122703
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-03

Question: السلام علیکم! واجب سجدوں والی سورت کو روزانہ یا دن میں کئی مرتبہ پڑھنے سے سجدے بھی روزانہ یا دن میں کئی مرتبہ کرنے ہونگے یا پھر ایک ہی سجدہ کافی ہے۔؟

Answer: 1: Jab bhi aur jitni martaba bhi sajday wali ayat ki tilawat karen gi utni martaba sajda karna wajib hoga.

2: Quran shareef mein kuch maqamat par sajday ka zikar hua hai jis mein se kuch wajib aur jin ki tilawat karne ya sunne walay se sajda matloob hota hai.
un mein se wajib sajday chaar suroon mein mazkoor hain.
Pehla. Surah #32 (alam tanzil al-kitab) jis mein ayat #15 ki qirat mukammal karne par sajda wajib hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota.
Dusra. Surah #41 ( Ha meem Tanzil min al-rehman al-raheem) jis mein aayat 37 ko mukammal karne par sajda wajib hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota.
Teesra. Surah #53 (wan-najm iza hawa) ke jis ki aayat #62 ke aakhir par sajda wajib hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota.
Choutha. Surah #96 (iqra bism rabbik allazi khalq) aur is mein aakhri aayat ki tilawat mukammal karne par sajda karna wajib ho jata hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota.
mazkoorah bala suron ko surah azaaim aur in ke sajday wali ayaat ko ayaat azaaim kaha jata hai ke jis mein aayat sajda ki tilawat karne walay qaari ya is ko sunne walay par fauran sajda karna wajib ho jata hai jo ke isi tarah anjam dena hai jaisa ke namaz mein sajda kya jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1080,1081. + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/26559/ ).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122722
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-06

Question: Assalam u alikum I was having periods but during periods i fall seriously ill. Now i cant wash my all body parts as water harms me. But i want to recite quranic surrahs and dua for my recovery. So can i recite them without ghusal?

Answer: Sirf woh chaar ayatain nahin parh satkeen jin mein sajday wajib hain, is ke alawa poora quran parh satkeen hain, aur Dua wagera parhnay mein bhi koi haraj nahin hai.
(Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/17194/ ).
[Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-03

Question: Haiz ki halat me hum Quraan ko bina chuhe uski tilawat kr skte h agar koi or hamare varkhe palat ta rhe please btaye mujhe kya Quraan ki tilawat kr skte h ese???

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jee, bagher chuye quran ki chaar wajib sajde wali aayat ke alawa baaqi quran ki tilawat kar sakti hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467).
[Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print