Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nijasat (86 Questions)


Showing 0- 50 questions from 86 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
149
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: Salamulikum I just wana ask. Those perfumes which have made from Alchol is useable or not ? Plz try to give the answer as soon as possiable Thx you.

Answer: W.Salam
All kinds of Alchol in perfumes are allowed for use.
Ref:Jadeed Fiqhi Masail page no 62 Prob no 39

Print

Id:
156
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: AS-SALAM-UAKUM I WILL LIKE TO KNOW CAN WE EAT FOOD COOKED BY A HINDU COOK

Answer: Salam un alaikum
Agar aap ko maloom hay keh us hindu ney khanay ko mas kiya hay to giza najis hay aur usay khana jayez nahi hay. Agar maloom na ho keh mas kiya hay ya nahi to khana jayez hay.
Ref: Mujtahid Sey Pochay Gaye Sawalat (Part 1) Question No. 16

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: Agar koi kapra najis ho jaye to kya kissi gareeb ko us ki najasat ka bataey bagair de sakte hain? aur agar woh kapra aisa ho jo pak nahi ho sakta ho maslan aisa kapra jis se rang nikal ta ho?

Answer: Salam un Alaikum,
Kapray kee najasat key baray mein batlana zaroori nahi hay. Wo kapra jis ka rang nikalta hay usay baarish (rain) key pani sey paak kiya ja saktaa hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail A.Khoei Probe No. 147 & 2366.

Print

Id:
182
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: SALAAM, PESHAB KARNE KE BAD AGAR PANI KHARIJ HO TO KIA YEH NAJIS HO GA.

Answer: Salam un Alaikum,
Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)

Print

Id:
186
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: Peshaab karnay kay baad agar Maqam-e-Peshab say agar koi ratoobat kharij ho to us kay baray main kiya hukum hay ?

Answer: Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)

Khuda Hafiz

Print

Id:
237
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: salam kya jo adami bhi iesi movie dehkhe jiss sey shewat aati ho to kiya, To kiya jo rutubat body sey kharij ho woo aur jo ahtelaam mein kharij ho woo, dono mein faraq hai ya nahi?because logoo ne dono mein faraq dehkha hai. plz tell me !!!!! (all four mujtahid as above in menu)

Answer: Salam un alaikum,
Baaz auqaat shewat key doraan aisee ratoobat kharij hoti jo mani nahi hoti balkeh mani sey pehlay kee ratoobat hoti hay jisay mazi kehtay hein, yeh ratobat paak hay. Laikin agar shewat key doraan khaarij honay wali ratobat mani ho to phir wo najis hogi aur us key baad gusul bhi wajib hoga. Ehtelaam mein jo ratobat kharij hoti hay wo najis hay aur us key baad gusul wajib hota hay.
Ref: Tazeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 74)

Print

Id:
253
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: Raat ko sotay wakt money kharij ho gai thi aur bistar ki chadar kay sath metres bhi najis ho gaya tha chadar to may nay pak kar li metres kay liye kiya hukum hay kiunkay metres ko dhoya to nahi ja sakta may nay metres ki site change kar di hay najis honay wala hissa neechay kar diya hay aur dusray hissay par chadar bicha raha hoon aur usi par sota hoon?

Answer: Agar usay kur ya jari pani main dhoya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee laikin agar usay qaleel pani main dhoya jaey to jis tarah bhi mumkin ho us ka nichorna zaroori hay,khwah is main paaon hi kion na chalanay parain takay is ka dhoowan alag ho jaey.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.36 Masala No.157.

Print

Id:
329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salaam...mera sawal yah hai k..english bathroom (camot)mai baith saktay hai isse najis to nahi hotay na...namaz hosakty hia?

Answer: Jab tak paak cheez kay najis ho janay ka ilm na ho wo cheez najis nahi hoti.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.117

Print

Id:
604
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salam ager kissi muslim ka passeena lebass per lag jay or ham ko maloom na ho k aaya pak hai ya najees tuo hum kiya uss hi lebass main namz ada ker saktay hain or ager bad main maloom ho k uss nai koi wajeeb gussol nahi kiya tuo ada ki jani wali namz k liye kiya hukum hai wasalam

Answer: Agar kisi paak cheez kay baray main ye na jaanta ho kay paak hay ya najis to wo paak hay,musalmaan ka paseena choonkay paak hay lihaza is main namaz parhnay main koi haraj nahi hay.agar koi insaan koi wajib ghusl anjaam na day to is ka paseena najasaat main say shumaar nahi kiya gaya hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.30,Masala No.114-116

Print

Id:
605
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salam,plz mujhey is baat ka ans dain k jub sex key baad mani agar bedsheet per gir jai tu kia woh bedsheet haraam hojati hey??? agar hojati hey tu us ko paak karnay key liay us hissay ko dhoya jai ya poori bedsheet?? isi tarah agar jo kapray hum is key baad pehnay woh kia gusal key baad bhi pehen saktey hain ya woh najis hojatey hain? plz yeh bhi batai key ans kaha milay ga is web site per ya meray email address per aaiga???aur kitnay dino baad milay ga? khuda hafiz

Answer: Bed-Sheet par najasat girney say bed-sheet haram nahi hoti balkay najis hoti hay.aur is ko paak karnay kay liye sirf itna hissa dhoo lena kaafi hay kay jitney hissay par najasat lagee hay..aur jo kapray us waqt aap nay pehnay hoay hoon agar najasat us tak pohunch jaey to wo bhi najis ho jain gay.aur agar najasat in tak na pohunchay to wo paak hain aur ghusl kay baad inhee kaproo ko pehen saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.122.

Print

Id:
627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Salam-o- Aalikum, Mera sawal yeh hai key humari office main tamam peon hindu hain aur Approximately 50% staff non-muslim hai, aur aik hi wash room hai, aik cooler hai jis main sai sun pani peetay hain. main pani tu office ka nahin peta laikin wash room ka bahat masla hota hai ?

Answer: Salam un alaikum,
Aqai Sistani kee nigah mein hindu najis hein laikin esaai, jews aur majosi paak hein. Lehaza agar aap ko office key bathroom key najis honay ka yaqeen ho aur tari key libas ya badan ka koi hissa wahan lag jaye to sirf wohi hissa najis mana jaye ga aur namaz key liye us ka paak karna zaroori hoga.
NOTE: We are sorry for the late reply.

Print

Id:
636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: jis per koi ghusl wajib ho ,us ka paseena paak hay ya najis? ager kisi ko bay hosh kiya jay aur wo is baat per razi na ho to kiya hukum hay ,chahay us kay zariey say kisi ko ghusl e mayyet sikhaya jaey to kiya ye sahi amal hai.

Answer: Salam un alaikum,
Jis shaks par gusal wajib ho us ka paseena paak hai. Mazkorah sorat e haal mein beshosh karna jayez nahi hai.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Prob No. 114

Print

Id:
880
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: When i wake up i can feel a bit of semen but i cannot tell if it is mani or mazi, can i read salat in this state?

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70.

Print

Id:
923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Salamun Alikum, Hum yehan Toronto kay jis area main rehtain hain akser abadi Ahmadi (Qadyani)ki hai, un kay sath atluqat main kehan tak ehtyat karni chahye yani khanay peenay of milnay julnay main an early repy will be highly appreciated.

Answer: Wo shakhs jo kisi Nabi ki Nabuwwat aur Zarooriyaat-e-Deen main say kisi aik ka inkaar karay jo juzuwi toor par hi sahi Rasool-e-Akram SAWW ki takzeeb ka sabab banay Najis hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.103...Musafaha karna aur aisa khana khana jo najis na ho is main bazaat-e-khud koi haraj nahi hay aur jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.28...Haan agar najis cheez kisi paak cheez ko is tarah lag jaey kay un main say koi aik is qadar tar ho kay aik ki taree dosri tak pohunch jaey to paak cheez najis ho jaey gee.masalan Qadiyani ka haath kisi saalan ya tarr khanay par lagg jaey to wo khana najis ho jaey ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.119

Print

Id:
1197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agher koi aisa kapra ho jis ko dohnay k baad nickora nahi ja sakta for example (molty form) ya (4pai) tau is surat mai with out nichoray paak ho jai ga.

Answer: Molty Foam un cheezoon main say hay jin ko nichora ja sakta hay.Agar najis cheez ko kur ya jari

pani main aik martaba yoon duboo diya jaey kay pani is kay tamam najis maqamaat tak pohunch jaey

to wo cheez paak ho jaey gee aur qaaleen ya daree aur libaas waghaira ko paak karnay kay liye

isay nichorna aur isi tarah malna ya paaon say ragarna zaroori nahi hay.aur agar badan ya libaas

peshaab say najis ho gaya ho to usay kur paani main do martaba dhona zaroori hay albatta jari

pani main aik martaba dhona kafi hay.agar najis chatai ko jo dhaagoon say bani hoi ho kur ya jari

pani main duboo diya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee,laikin agar

usay qaleel pani say dhoya jaey to do martaba dhonay kay saath jis tarah bhi mumkin ho is ka

nichorna zaroori hay khwah is main paaon hi kion na chalanay parain,takay is ka dhowan alag ho

jaey.(Lihaza charpai ko agar qaleel pani say dhoay to jis tarah bhi mumkin ho is ka nichorna

zaroori hay)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.153,154,157.

Print

Id:
1247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: i wanna ask the difference between Najis And Haram

Answer: Haram:Har wo amal jis ka tark karna shareat ki nigah main zaroori ho...Najis ki 2 qismain hain Najis-ul-Ain:Jo zaatan najis ho aur paak na ho sakti ho jaisay peshab aur pakhana waghaira..Mutanajjis:Jo zaatan najis na ho balkay kisi najis-ul-ain ki wajah say najis ho jaey.

Print

Id:
1482
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam mera sawal yeh hai mai money kharij honai say pehlai jo ratobat nikalti hai woh pak hai ya nahi or aghar money kharij nahi howi or us say pehlai kharij honai wali ratobar kharij hojai to kia us halat mai namaz perhi ja sakti hai ya nahi Plz reply as soon as possible in waiting 4 ur reply ?

Answer: ji haan woh rutubat paak hai aur namaz bhi parhi ja sakti hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail (11 edition), masla no.72.

Print

Id:
1992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: kia chohay ki bit ki tarah chikbli(lizard)ki bit bhe najis hai

Answer: b.t. aap apne swal k liye www.khamenei.ir par ruju karain.

Print

Id:
2325
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam u Ailiakum i want to ask that if a person has problem of piles and bleeding after motion is done.is the splashes of blood is pak or not .plz do answer my question

Answer: Bawaseer(piles) k khoon k cheentay(splashes) najis hain. Agar piles (bawaseer) ki bemari ki wajah sa agar maqam e pakhana sa khoon niakalty huay tangon pay lag jaay tu taang ko paak kerna hoga.Laikin agar khoon kaprhay k os jagah per laga ho jo khoon nikalnay ki jagah k qareeb ho, ya jism main maqam e pakhana or is k qareeb laga ho tu namaz k liay is khoon ko paak kerna zaroori nahi ye maaf hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#838,839).

Print

Id:
2380
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam,, mujhay jab peshab nahee b aaraha hota to b lagta hai k kuch qatray niklay hain plzzz. tellll me k kia ye peshab k hain??kia ab paak insaan is se napak hojata hai i never understand this problem,,,,,,,,plzzz reply me ASAP..

Answer: agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi reta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).

Print

Id:
2499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salam agha sb. Mara sawal yah hay kah agar bagum sa char char karta hua ya koie film waghara dakhta hua agar shak ho jaia kay maney kharij ho gaie hay ya yaqeen ho jai kah kharij hoie the. to ase soorat main kay hamra paint aor shirt, ya shalwar qameez donon najas ho jate hain ya sirf shalwar, paint. aor qameez aor shirt dhona ke zaroorat ha ya naheen.

Answer: jis jagah per lagay sirif wohi maqaam nijis hota hay jahaan nijasat lagi hay baaqi tamaam jagah paak rehti hay.mazeed ye k jis ko yaqeen ho k os k jism say maney karij hoe hay tu os per ghusl wajib hay sirif shak say ghusl wajib nahi huta.maney k nishaniyaan teen hain:i) lazzat say kharij ho.ii)uchal ker niklay.iii)nikalnay k baad jism sust hojaay.(ref:Aayat-ul-Allah Khamnaie(d.b),talee mul ehkaam,Pg# 50 & 100)

Print

Id:
2597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA, peeshab kay baad 1 mard nay 3 baar sharamgah paak ker li.phir istibra kertay huay sharamgah say cheentay jism per gir jaaen tau kya woh paak hein?please reply by Ayat-ul-Allahh seestani fatwas

Answer: Maqam e paishaab ko aik baar dhoona kaafi hay or behtar ye hay k 3 mertabah dhooya jaay.agar aap ko ye yaqeen (100%) ho k jo cheentay aap k jism per lag gaay hain wo paishaab k qatray hain jo paishaab ki naali say istibra kertay waqt niklay hain tu jism ka wo hissa najis ho jaay ga. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#62,119).

Print

Id:
2806
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Agar Peshab ke qatre ate hon to kya har namaz se pehle kapre pak karna zaroori hay ya nahin. Agar hai to is ka tareeqa kya hai. Aur kya har namaz se pehle penis aur tangon ko dhona zaroori hai ya nahin.

Answer: agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd hazraat is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi rehta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).
Agar paishaab k qatray aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).

Print

Id:
4357
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam. English toilet use karte waqt pakhana karte waqt jo cheete ur te hain us main peshaab bhi shamil hota hai. Un jagho ko jahan cheete ure hain ek baar pak karna kafi?

Answer: Agar libaas aur badan peshab se najis ho jay tu os per qaleel ya kur pani 2 dafa bahana zurari he. albatta jaari paani(maslan chashma{ spring/fount}) main aik baar dhona kaafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 154). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4407
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Aslam-o-Alaikum,, Hamre ghar mein non muslim nokrani hai wo ghar ka kam kaj karti hai , khana waghira nahin pakati us se agar kapre dulwalien jaien t kia un kapro se namaz ho jai gi,,,Matlab Ghair muslim (Kafir)ke hath se dhulhe hue kapre use kar sakte haien ya nahien.

Answer: Kafir yani wo shakhs jo Allah k wajood ya us ki wah,da,niat ka iqrar na karta ho najis he. Aur Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur donoo ya un me se aik is qadar tar ho k aik ki tari dosray tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi. Al,betta Ahl e kitab (yahoodi , christens , majoosi) pak manay jain ge. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103 , 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5092
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: gusl farz hone ki sorat me pak kapre pehn sakte hain kia?agar gusl k baad phir se wohi kapre peh liye jain to koi harj hai kia?

Answer: Jo shakhs junub ho het’ta ke agar haram se bhi junub hua ho to is ka pasina pak he. 2)Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag gey aur donoo ya in me se aik is qadar tar(wetness) ho k aik ki tari dosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 114 , 119)

Print

Id:
5223
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: salam janab, mera sawal ye hai ke raat ko ahtelam,ya khooni matam kerne ki wajah se jo kapray pe daagh reh jatay unkay pak kerne ke bawajud tou kiya un kapron se namaz parhna jaiz hy??? jb ke dagh moujood hon? detail mein btayiye...

Answer: Jab tak aayn nijasat kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahi ho gi lakin agar boo(smell) ya nijasat ka rang is me baqi rah jaay to koe haraj nahi layheza agar khoon libaas per se heta dia jaay aur libaas dhooh lia jaay aur khoon ka rang libaas per baqi bhi reh jaay to libaas paak ho ga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 164)

Print

Id:
5890
Mujtahid:
Ayat-ulah Sastani Date:

Question: salam mera sawal ye hai k, agar mani ratobat chadar , bistar, ya dusry kapro mei lag jaye to kiya wo bhi najis ho jaye gay, aur ye k mani nikal ne k bad gusul kiye baghair mani saaf kar k dusry kapry pehne to kiya wo kapre bhi najis ho jaye gay

Answer: 1)Agar mani kisi paak cheez per lag jaay tu wo najis ho jaay gi or os ko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door ker k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak hojati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichornah bhi zarori hay.(ref:Ayat Ullah Ayat Ullah Seestani(d.b), (d.b), Tauzee hul masail, maslah#155).
2)Agar badan k tamaam najis maqamaat (yani jahaan mani lgi thi) ko paak ker k dusray kaprhay pehen liay jain tu wo dosray kaprhay paak raheen gay. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119).

Print

Id:
6644
Mujtahid:
Aghe Sistani Date:

Question: Assalamoalikum...MUjhy PESHAB K BADD BHE KUCH QATRAY ATTAY HAIN ...MAI ISTABRA BHE KARTA HON ABB MAI SHAK KI HALAT MAI REHTA HON k WO PAKK HAI YA NAHI ...LAKIN MAI USSI HALAT MAI NAMAZ ADDA KAR LAITA HON ...TU KIYA MERE NAMAZAIN SAHI HAI JO PARHIN HAI ...rEPLY ASAP

Answer: Wo ratubat jo baaz awqaat peshaab k bad nikalti he aur jisay wida kaha jata he, agar peshab is se mila hua na ho to pak he. Mazeed ye k jab kisi ne peshab k baad istibra kia ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koe aur ratubat to wo pak he or agar yaqeen ho k peshab hay tu ye qatray najis hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6874
Mujtahid:
imam Abu Hanifa Date:

Question: agar wife k sath hmbistri ki jay to us k bad kia cloth ka vohi hisa dhona chiye ya mukaml dhona chiye . agar vohi hisa dho lia jay to jaiz hay ya najaiz hay.

Answer: Is web site me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Kapray k jis hissay ko najasat lagi ho sirif wohi hissa najis hoga. Aur baqi hissa paak shumaar hota hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 122) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7354
Mujtahid:
Date:

Question: agr anus mein pasina aaye to kya pak hai or namaz ho gati hai

Answer: pasina khud pak hai laikin agar ye najasat sai mil jae to najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 80-114) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
8214
Mujtahid:
khan Date:

Question: Assalam0alaikum. M0lvie sahab mera questi0n yeh hai ke mujhe hamesha yeh fikar,tenti0n,aur darr rehta hai ke mere kapde paleet h0gaye hain yar kuch hua hai kapdon ko.halanke mein roz naha kar kapde change karta h00n. Mein bATHr00m bhi ja kar darr darr kar peshab karta h00n magar mujhe bAhar aA Kar lagta hai ke mere kapdE Paleet h0gaye hain. Ramzan ka mahINa hai aur mein namaz 5 ki parna chahta h00n aur parhta bhi h00n. Magar is tenti0n se mujhe d00r farmaye. Plz plz jitna jaldi h0sake mujhe email kijiye mera answer plz.

Answer: Agar kisi paak cheez k baray me shak ho k najis ho gay he ya nahi to wo paak shumaar hongay.Aur agar is cheez k najis ya paak honay k baray me pata bhi chala sakhtay hoon to tehqeeq zarori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9047
Mujtahid:
Fika Hanfi Date:

Question: Assalam-o-Alaikum Mera sawal ye hai k agar shak ho k ehtalam k bad mani jo trouser ya shalwar ko lag jati hai, shayed trouser ka wo geela hissa bister ko touch ho gya hai lekin bister pe koi nishan nazar na aa raha ho to us soorat mein bistar pak ho ga ya napak. Agar trouser pe lagi hui mani dry ho chuki ho aur us trouser k sath koi aur kapra lag jaye jahan mani lagi hai wahan to kya wo kapra bhi napak ho ga.

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

1)Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur dono ya in may say aik is qadar tar(wet) ho k aik ki tari doosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jati hay.
Aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in k jis hissay ko najasat lagay gi wo najis ho jay ga or baqi hissa pak rahay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119-122) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9137
Mujtahid:
Janab Sistani Sahab Date:

Question: Mera sawal yeh hai ki kya peshab ke bad istanja tissue paper se kiya ja sakta hai ya nahin agar pani se karna mumkin na ho

Answer: Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se paak nahi hota he. aur ose pani se aik martaba dhona kafi he albatta ethiyaat e mustahab he k 2 martaba dohain aur behter ye he k 3 martaba dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10595
Mujtahid:
Yes Date:

Question: Assalamo Alaikum. mera sawal ye hai k kya mani (semen) khaarij honey se pehle jo chikna sa mada khaarij hota hai sharamgaah se us se Ghusal farz hota hai ya nai? Plz reply me soon

Answer: Wssalam o alykum, G nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10705
Mujtahid:
Date:

Question: mani se insan napak hota he

Answer: G han.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10706
Mujtahid:
Date:

Question: meri mani niakal jati he is halat main namaz parhni chaie

Answer: Namaaz se pehle gusal karna wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 356 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
14017
Mujtahid:
Date:

Question: salam sir agar kapro pay money lag jia aur pata ho kay kaha pay lagi hai to pani lagane se woh jaga pak hojiatai hai ya nahe?

Answer: Agar kapra Mani say najis ho jae to mani ko hatanay k baad aik dafa qalil pani is par dala jae jab wo pani beh jae to kapra pak ho jae ga albetta kapray ko nichorna zaroori hai ta k wo pani nikl jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15564
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: ahtalam ya janabat k baad ghusal karliya jae, lekin raat ko sone k liye agar wohi kapre pehan kar so jaya jae jis par mani lagi ho to kya subah uth kar dobara ghusl wajib ho jata hai. Does contact of somebody who is pak to mani(semen) necessitates ghusl. kisi maslak men to semen\mani ko pak qarar diya hai or aise clothing jis par mani lagi ho, pehne huay prayer krna jab body ko ghusl kr k pak kr liya gya ho, ko correct qarar diya hai. hamare fiqh ki is pe kya ruling hai?

Answer: 1)jis kapry pe mani lagi ho us ko pehnny se dobara ghusl wajib nahi hota hai albetta agar os kapray par mani lag gae ho to namaz parhnay sai pehlay os ko pak kia jae ga pir hi namaz sahi shumar ho gi. 2)Mani najis chezon main se hai pak nahi hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #345,80 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16039
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia peep (zakham sai niklnay wala pila madah) najis hai?

Answer: Jee nhi, siway is k keh is peep mai khoon mila hua ho. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 26, pg # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16258
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Mitti ka tanoor agar kafir nai banaya ho to kia osay istemal krna jaiz hai?

Answer: Agar is k bnanay sai tanoor ka najis hona sabit ho jae jaisay agar wo kafir is tanoor ko apnay hathoo sai bnaey aur wo ahl e kitab bhi na ho to phir aisay tanoor ko pak keay begair roti k lie istemal krna jaiz nhi. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 19, pg # 27)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16850
Mujtahid:
Date:

Question: mera masla ya ha k raat ko sota waqat ehtelam ho gya tha to vo kapron par laga tha aur sath may mera bed(metres) par b laga tha vo jaga wet ho hai thi, main ya poucha na chata hon k is paak kasa kia jaya

Answer: Agar mani kisi paak cheez per lag jaay tu wo najis ho jaay gi or os ko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door kar k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak ho jati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichorna bhi zaroari hay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b) tauzeehul masail, maslah # 155). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17252
Mujtahid:
Date:

Question: a.a kaya larki larky kay sperm pi sakti hai aur kaya larka bi kisi kay sperm pi sakta hai ?

Answer: Mard ki sperm(mani) najis hai. aur peena haram hai, aur aurat k jism sai jo ratubat shawat k sath niklay aur janabat ka sabab bnay to wo ratubat bhi mani ka hokum rakhti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 84)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
25705
Mujtahid:
seestani sab Date:

Question: slam shrab do tehai kam honay pr sirka ma tabdeel ho jati hai sawal yeh hai k jis bartan ma shrab sirka bananay k liay rakhi jay us bartan ka neechay wala hisa to pak ho jata ha ooper waley hisay k baray ma kia hukam hai

Answer: Bartan ki beroni jigha aur upper ka hissa agar is sharab sai aalooda ho jae to ehtiyat e wajib ye hai k sharab k sirka ho janay k bad is hissay sai perhaiz kia jae.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 209)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32195
Mujtahid:
seestani sab Date:

Question: slam aksar question ap ko atay hain k kia mard apna penis apni wife ka mouth ma suck kera sakta hai ap ka answer hota hai ka jaiz hai mani to najas hai or mouth ma najas cheez ka jana kesay jaiz ho sakta hai beshak ratoobat halak ma na jay pls jawab zaroor dain?

Answer: Nijasat ka nigalna haram hai lekin mouth main aajana haram nahi hai jis tarh khoon (najis hota hai) mouth mai aajata hai, laikin os ko haluq k se neechay utaarna jaiz nahi hay. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part # 3, masla #910 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32431
Mujtahid:
Quran-o-Itrat Academy Date:

Question: vuzu k bad girnain vala pani pak hay ya ni.

Answer: Wazoo kartay waqt girnay wala pani pak hai laikin agar koi najasat os sai mil jae to najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32631
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: May aik jaga say guzar raha tha qareeb aik kutta (dog) mojood tha kisi nai kuttay ko bhaganay k liyai pani phainka paani kuttay par gira magar uski cheentain jaga jaga jism or libas par agaee mai nai aam tarikay say paak kia yani kapra dhookar phir 3 baar pani baha kar neechora magar mjhay shak hai k wo kapra paak howa k nahi kio k Kuttay k chatay burtan ko 7 dafa dhonay ka hukum hai pehlay paak mitti sai phir pani sai, isi taraha jism k jis hissay par wo cheentain gaee unhain dhookar 3 dafa pani baha liya kia is tarha sai taharat hogaee?? barha-e-karam is hawalay sai mairi malomaat mai izafa farmain ,,,,, or kapray par nijasat yani peshaab, mani, pakhana, khoon laga howa ho tou wo kaisay paaki kia jaey

Answer: Pehli baat to ye k agar bartan ko kutta chatay ya bartan mai mouth dalay to os ko pak karnay k lie 7 dafa nahi dhoya jata hai albetta matti sai manja jata hai. han suwar agar baratan ko chatay to os bartan ko 7 martaba dhoya jata hai laikin matti sai manjna zaroori nahi hai, aur ye hokum sirf bartan ko pak karnay k lie hai. laikin agar kapray ko pak karna ho to os ko pak karnay ka tareeqa shariat e islam mai alag hai.
Agar libas peshab sai najis ho jae to os ko pak karnay k lie qaleel pani ko 2 dafa os par bahana zaroori hai ta k pak ho jae aur har dafa pani dalnay k bad os kapray ko nichora bhi jae.
Agar libas peshab k alawa kisi najasat sai najis ho jae maslan kutta, suwar, khoon wagira to os ko pak karnay k lie qaleel pani ko 1 dafa is par dala jae aur phir kapray ko nichora bhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 154-156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32667
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: Salm sir kia kapro ko jin par ihtlam ki mani lagi un ko khusk tareeqy sy pak kar sakty ha us ka tarreeqa kia jazak Allaha

Answer: Agar kapra mani se najis ho jay to mani ko door karne k baad 1 dafa pani is per dala jay. jab wo dhul jae to phir os ko nichorna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32833
Mujtahid:
Ayat ullah Sistani Date:

Question: Salam - Kya plastic aur lakhri (wood) pak ho sakti hai aur kasay

Answer: Agar plastic ya lakri par najasat lag gae ho to najasat ko hatanay k baad 1 dafa qaleel pani is par dala jae jab wo pani beh jae to wo pak ho jain gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
34727
Mujtahid:
anyone Date:

Question: jab jism say mani kharij huti ha..tu pent ya shalwar tu najis hu hi jati ha...kia banyan shirt najis huti ha agar usspay manni na kagi hu tu

Answer: Mani sai faqat wo cheez najis ho gi jis par mani lagi hai is k alawa koi aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print