Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ke Ahkam (312 Questions)


Showing 300- 312 questions from 312 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
126070
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Assalamulikum sir sir Mera sawal ya ha ka agr Sehri ka waqt khatm hogeya hu to phir hamary hath ma koi chez hu. To ham Kya usay finish kar sakty ha jab ka Azan bhe ho rahai hu.

Answer: 1: Jis waqt namaz fajar ho rahi ho us se ihtiatan 10 minutes pehly roze ko batil karne wali cheezon se parhez kiya jaye. Q ke ramzan ke roze ki niyat ka aakhri waqt aik aise shakhs k liay jis ki tawju ho, azan se pehle hay.

2: Jab roze daar khana(food) khaa raha ho agar use maloom ho jaaye ke subah(fajr) ho gaye hai to zaroori hai ke jo luqma mooh (mouth) main ho use ugal day. Aur agar jaan boojh kar wo luqma nigal lay to us ka roza baatil ho jaaye ga aur kaffara bhi daina hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1533,1554,1555,1630).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126072
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Haiz ka hona ka dar ho Matlb haiz hoi nhi lakin dard ho phala hi or khadsha ho ka roza ka doran ho jae gai tu kia karna Chiya

Answer: Aap ke liye pehay se ihtemam karna wajib nahin hai ke haiz ke aap haiz ki rok tham ke liye koi bandobast karen. Agar din me roza ke dauraan haiz aa jaye roza baatil ho jaye ga aur ramzan ke baad is ki qaza baja lani hogi.
Han, aap ye kar sakti hain ke haiz na aane ke liye aisi dawaein istemaal karen jis ki wajah se is ki haiz nah aaye, Q ke agar aurat haiz nah anay aur roza rakhnay ke liye aisi dawaon ka istemaal kare jis ki wajah se is ki aadat nah aaye to us ka roza sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22,23).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
126084
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: بوجہ مجبوری اگر رات میں ہمبستری نہیں کرسکتے تو کیادن کو روزہ نہ رکھیں اور ہمبستری کر لیں بعد میں کفارہ ادا کردیں

Answer: 1: Jaan boojh kar roza na rakhna Haram aur ghunah e kabira hai aur is ke sath sath kaffara bhi wajib ho jata hai.

2: Agar koi shakhs Ramazan ka roza nah rakhe jabke jabr aur lachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to qaza ke alawa kafffara bhi waajib hoga.

3: Kaffara ye hai ke wo shakhs in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay musalsal rozay rakhay ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.

Note: Do maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru karay.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1630,1632).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Roza ma vicks ya bam Laga sakHta ha

Answer: Jee, ye rozay ki halat mein laga saktay hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126150
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Kia Rozy ki halat me hasband wife apny kapry utaar k akhaty soo sakty hn our aik dosry ko hath laga sakty hn our bina kaproon k daikh sakty hn

Answer: Agar itemnaan hai ke rozay ko batil karne wala kaam anjam nahin den gay to is tarah aik sath so sakte hain. Albatta rozay ki halat me shehwat angez karna karna makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576,1629).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126154
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Mene Roza rakhne ki baad jb soya nimaz se phele tu mujhe se Mani nikal Gai. Mujhe oswaqt Grande grande khwab arrhe they kisme Meri Mani nkal Gai tu kia mera roza tot gaiya he ya ni

Answer: Agar rozedaar roza rakh kar din me kisi waqt so jaye aur use ehtilaam (mani kharij) ho jaye to us ka roza baatil nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,356,1571).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126155
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Assalam o Alaikum mere yeh sawal ha ke meri walida aur walid ko sugar ha ami insulin b lgati hain to unko sugar ka issue ha to woh roza ni rakh skte to iska fidya kitna hoga aur agar fidya na de skain to iski replacement me kia krna hoga?

Answer: Medical ke aihtebaar insulin ka istemaal roze me sahi hai ya nahin, is silsilay me doctor se rabta kiya jaye jabke sharaei aihtebaar se Rozay ki halat mein Insulin laye sakte hain Q ke insulin se roza baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b). edition #42, maslah #1557).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Kya pregnant aurat Roza Rakh Sakti Hai

Answer: Jee pregnancy ki halat me Roza rakhna wajib hai. Albata woh aurat jis ke wiladat ka waqt qareeb hai (jaisay 8th ya 9th month) aur roza rakhna us ke liye ya us ke bachay ke liye nuqsandeh ho, to us par roza wajib nahin hai, lekin baad mein qaza wajib hai, aur har din ke badlay 750 gram aatta, gheehon, ya chawal kaffare ke taur par faqeer ko day gi.
lekin woh aurat jis ke hamal ke aakhri mahinay nah hon (jaisay 1st month se 7th month tak) to agar roza rakhna us ke liye ya is ke bachay ke liye nuqsandeh ho ya mashaqqat ka baais ho ke jo aam taur par bardasht ke qabil nah ho, to roza us par wajib nahin hai lekin baad mein qaza kare gi, aur kaffara wajib nahin hai.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01792/ ).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Salam. Kya garmi k mosam me rozy me taskin k lye naha skty hain?

Answer: Jee han, naha saktay hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126174
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-24

Question: AoA kia rozay k doran asar se pehly haiz AA jaye to agrchay roza batil ho jata hai magr aurat Kuch kha p sakti hai ya roza khulnay tak khany peeny se baaz rahy ge?

Answer: Jee phir wo aurat kha pi sakti hai. ye zaroori nahin ke maghrib ke bad hi khaye piye.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #246,247).
[Updated on 25-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-24

Question: Kya rozay daar ka nmaz tark kr k sona bhi ibadat hai?

Answer: Namaz parhe baghair bhi roza durust hay. Albatta waazeh rahay ke wajib namaz tark karne ka ghunah mile ga Q ke jan bhooj kar namaz ka tark karna ghunah e kabira hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629. + Minhaj-us-Saliheen, part #1, maslah #30
[Updated on 25-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126186
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: Assalamoalaikum Mera sawal ye Hy k doran e roza haiz aajaye to roza batil hojata Hy to Kya phr kha pi skte hain ya maghrib k Baad hi iftar krna hota Hy?

Answer: Jee phir wo aurat kha pi sakti hai. ye zaroori nahin ke maghrib ke bad hi khaye piye.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #246,247).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print