Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (482 Questions)


Showing 0- 50 questions from 482 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
112
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-20

Question: kiya rozay main miya biwi aik dosaray ko kiss wagara kar sakthay hai

Answer: Agar koi shakhs rozay ki haalat main ,MANI nikalnay k iraday k baghair apni bewi ko kiss karay to MAKROOH hay aur agar MANI nikalnay ka irada ho to roza Batil ho jaey ga.

Print

Id:
224
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: If one is fasting and realizes he forgot to take medicine perscribed by a doctor, should he break his fast to take the medicine? Or, is it allowed for him to take his medicine and keep the fast?

Answer: Salam un alaikum,

If medicince is necessary i.e if you will not take the medicince it will be very harmful for you then it is premisbile to break the fast. Then you have to do qaza of this fast.

Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Roza) Ques. No. 23

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
245
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: Salam.. well my question is that if we are sick like the patient of diabities so during the fasting doct has advise us to take the injuction so will this effect the fasting?if we take a injuction it wil effect or not ..?? please tell me about this ...i will thankful to u.. ALLAh hafiz

Answer: Salam un alaikum,

It will not effect the fasting.
Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Roza) Ques No. 19

Print

Id:
2460
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-07

Question: if some one look or think about some one and his money drop come out from his panies, is his fast broken or he need for bath

Answer: bismehi taala, jo shakhs mani nikalne k irade se ched-chad aur dil-lagi kare to khawah mani na nikale ehtiyate lazim ki bina par zaroori he k roze ko tamam kare aur us ki qaza bhi baja laye, agar rozedar mani nikalne k irade k bagair misal k tor par apni biwi se ched-chad aur hansi mazaq kare aur use itminan ho k mani kharij nahin hogi to agar-che ettefaqn mani kharij ho jaye us ka roza sahih he. albatta agar use itminan na ho tu us soorat me jab mani kharij hogi to us ka roza batil ho jayega. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1603 & 1604)

Print

Id:
4371
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalmualikum. men ek bht pareshan kun maslay se dochar hun gusal aur rozay k hawaly se. plz ap meri rehnumai farmaye ga , mera sawal ha k agar raat men gusal wajib hojaye aur sehri men uth k ap ne sehri ki aur rozay ki nyat kar li lekin privacy k bais ap ne gusal dair se kara yane k soraj nkalnay k bad to kia aesy halat men roza hojayega???

Answer: Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.
2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1591 , 1594) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4374
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: muj se rozay ki halat mai istimna yani musturbate hu gya par mujay maloom nhi tha kai is sai roza fasid hu jata hai mujay abhi is maslai ka pata chala hai tu ab is silsilay mai mujay kya karna hu ga or kaffara or qaza ki miqdar bhi batae ga hanafi maslik kai mutabiq .shukrya.

Answer: NOTE : Is web site per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diew jatay hein.

Agar insaan nah jaanta ho k jo batain batae gae hain un main se baaz rozay ko batil kerti hain or maslah jaan,ne k silsilay main os ne koe koh,tahi nah ki ho or nah hi kisi qisim k taraddud(shak) ka shikaar ho ya ye sher,e hujjat per etemaad rakhta ho or khane, peene or jima k alawa in af,aal(yani jin chezo se roza toot jata hay) main se kisi kaam ko anjaam day tu oska roza batil nahi hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1625) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4380
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA Sir Agar hum ne raat ko humbistry ki aur subah ko roza rakha aur ghusal rozay ki baad namaz ki baad kya tu kya yeh roza saheeh hua.

Answer: Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4388
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salaam o laikum-rozeki halat me agar apni (mani)nikalo jabke mujhe nahi pata ke esa karne se mera roza toot jayega.to kiya mera roza tootgaya agar ha to mujhe kiya karna hoga.safseel se bataye

Answer: Agar insaan nah jaanta ho k jo batain batae gae hain on main se baaz rozay ko batil kerti hain or maslah jaan,ne k silsilay main os ne koe koh,tahi nah ki ho or nah hi kisi qisim k taraddud(shak) ka shikaar ho ya ye sher,e hujjat per etemaad rakhta ho or khane, peene or jima k alawa in af,aal(yani jin chezo se roza toot jata hay) main se kisi kaam ko anjaam day tu oska roza batil nahi hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 1625) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4405
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: shohar mani nikaalnay k iraday k baghair bivi ka bosa (kiss) layna ya koe shehwat angaiz kaam kary to agar bive ki sharamgha say kuch kharig ho jay to kya us ka roza toot jata hay plz wazahat...

Answer: 1)Agar discharge hone se murad wo pani he jo aurat say shehwat k saath Khaarij hota hay agar is Hadd tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
2)ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356)
3)Agar mani k kharij na honay ka etminan na ho to is surat me is ka roza batil he aur qaza aur kaffara bhi wajib he laikin agar etminaan ho k mani kharij nahi ho gi aur kharij ho jey to is surat me is ka roza sahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza , ques # 28, pg # 27, 28) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4574
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya roze ki halat me thuk andar liya ja sakta hai aur sehri karne me do minute ki deri ho jaye to kya roja tut jata hai

Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5980
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salam maine baligh hone k bad kabhi pure rozay nai rakhe pure ramzan main 4 ya 5 rozay rakhta tha mujhe ye to elm tha k mujh pe rozay wajib hain mager ye elm na tha k jan boojh k roza chhorne se qaza aur kaffara dono wajib ho jatay hain aur tab main taqleed b nai karta tha plz tell me k maine jitne b rozay nai rakhe kya un ki qaza k sath kaffara b daina hoge ya jahi hone ki waja se muaf hai kaffara. thanx a lot.

Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker khanay pinay ya jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karay jab kay jabar (zabardisti) aur na

Print

Id:
6048
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu alykum G kya jub roze ki halat me sohbat kar li jaye,tub is se roza toot jayega ya nahi. Or mard or biwi kis had tak aik dusre k sharamgah ko suck kar sakte he?

Answer: Roze ki halat me jima (sohbat) karne se roza batil ho jata hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)
Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565,1569,1630 eidition 2012)
jaan bouch kar roza torne k kaffara 2 mahene roze rakhe ( yane roze is tara rakne zarore hai k aik mahena aik din musalsal roze rakhna aur baqi roze chur chur kar bhi rakhe jasakte hai) ya 60 sher`ee faqeero ko pait bar kar khana khilana ya har faqeer ko 750 gram gandum, rote wagira de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633 eidition 2012)
Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian na jaye.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)

Print

Id:
7640
Mujtahid:
Date:

Question: kya ramzan ke waqt hambistari kar sakte hai

Answer: Ramzan ki pehli raat ko hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Aur ramzan me din k waqt hambistri karnay se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-68) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7956
Mujtahid:
Date:

Question: kya Bache ko doodh pilane se roza tootjata hai

Answer: Jee nahi bachay ko doodh pilanay se roza nahi toota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7994
Mujtahid:
Date:

Question: During ROZA if Vomiting happening so ROZA is stable or not.

Answer: Agar rozay dar jan boojh kar ulti (vomiting) karay agar chah wo beemari ki wajah se majboor hi q na ho is ka roza batil ho jata he. lakin agar be-ekhtiar ulti karay to koi haraj nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8028
Mujtahid:
Date:

Question: asslam u alaikum. sir mera question ye he ke sehri ke bahd apni b.v ke sath aik bister par so sakta he ya nai? aur agar sath lipat jaen ya bosa lain to rozay par asar paray ga ya nai?

Answer: 1) Rozay k doran jima karna rozay ko batil kar deta he lakin agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k toor per apni biwi se cheirh chaarh ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
Aur agar mani nikalnay k iraday se cheirh charh ya dil lagi karay lakin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ethiat e lazim ki bina per zarori he k rozay ko mukammal karay aur is ki qaza bhi baja laye.
2)rozay daar k liay ye makhroh hay k mani nikaalnay k iraday k baghair apni biwi ka bosa lay ya koe shewat angaiz kaam karay.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-1576, 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8042
Mujtahid:
Date:

Question: Kia agar roza rakhny sy phly masuray sy khon nikqal raha ho to kia ya jaiz hy????

Answer: Agar rozay k doran khoon halaq me na jay to jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1554). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8092
Mujtahid:
Date:

Question: aslam alikum moulana rozay ki halat mai sex karan wajeeb hai kya .razay ki halat mai apni bawi ka saath humbistri karna wajeeb hai kya . juld bata di jiya kare

Answer: Jima (hambistri) rozay ko batil kar deta he chahae ozu e tanasil(penis) supari tak hi dakhil ho aur mani bhi karij na hui ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8094
Mujtahid:
rozy Date:

Question: agar rozy main ghosal toth jay tou roza bhe toth jata hain?

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8252
Mujtahid:
Fiqh-jafirya Date:

Question: A.O.A mera question yeah hai agar koi insan roza k halat mai movies mai sexy scene daikhta hai tu kya us ka roza tout jata hai? Reply must thanks

Answer: Agar rozay daar ko itminaan ho k is sexy scene ko daikh ker oski mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8289
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A Mulana Sahib. Kia couple Ramadan kay month may night may Jama (Sex) karnay kay baad time short honay ki bina per ghusal kiye baghair sehri kar leta hain. to kia essi soorat may na pak haalat may Roza rakhna jaiz ho ga?

Answer: Agar koi shakhs ramzan ki kisi raat me junub ho jay aur jaan boojh ker azaan e fajr tak ghusl na karay ya jis shaks ka fariza tayaamum kerna ho wo jaan boojh ker tayammum nah karay tu zarori hay k is din ka roza pora karay or phir aik din or roza rakhay or choonkeh ye tay nahi hay k dosra roza qaza hay ya saza, layhaza ramzan k is din ka roza bhi ma fiz zimmah(yani jo mairay zimmay ho) ki niyat se rakahy or ramzan k baad bhi jis din roza rakhay or is main qaza ki niyat nah karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1591). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8338
Mujtahid:
Date:

Question: kya Ramzan ke mahine me jeena kar sakhte hain?

Answer: 1)Jima rozay ko batil kar deta he. chahae ozu e tanasul supari tak hi dakhil ho aur mani bhi kharij na ho.
2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1565, 1630). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8374
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Rozay ki halat me, Ehtalam aanay say kiya roza toot jaay ga. Rozay ki halat me Mashat Zani karnay say roza toot jaay ga. Kafara kesay kehtay hen. our kesay diya jaay.

Answer: 1)Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he.
2)Agar rozay dar istemna karay to roza batil ho jata he.
3)Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.
4)Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71, 1569, 1630-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9031
Mujtahid:
Date:

Question: assalamaualikum, mujhay yeah maloom karna hay kay agar meyan bewi say galti say ramadan main apsi talluqat hu jain(sex)to us ka keya gunha hay..jabkay huamin malom hi na hu kay ramadan main sex karna mana hay tu ab keya karin....

Answer: Agr apko pukhta yaqeen ho k jima karne se roza batil nahi hoga to kaffara wajib nahi hoga lekin jitne rozon me ap ne aysa kiya hai sirf un rozon ki qaza karna zaruri hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1625,1631).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9279
Mujtahid:
Date:

Question: A.A roze ki halat mai apni bivi sy hmbestary krna jaiz hai k nai

Answer: Wssalam o alykum, Roze ki halat men apni bivi se hmbistari karna roze ko batil kar deta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565 to 1568)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11441
Mujtahid:
roza ky baray main Date:

Question: Roza ki halat main agar roza dar inhalar(sans kharab ho tu sans ky sath medicen layty hain khany wali nahi hay gas ki sorat main hoti ha)lay to kia roza toot jay ga.

Answer: Dame ki bimari me istemal hone wala spray(inhaler) agar dawa ko sirf phephoro(lungs) tak pounchae( yane dawa ko sirf saas ki nali tak pounchae, nah k khane ki nali tak) to is se roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11565
Mujtahid:
Date:

Question: maney boolkay qaza roza azaan sey phelay toffee khaya tha mera roza ka kia baneygha

Answer: Agar roze dar ghalte se koe cheaz khale ya pi le to is ka roza batil nahe hota laikin jaise hi yaad aa jay tu os k baad se koe cheez halaq main nahi lay jjay. (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1556 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11930
Mujtahid:
Date:

Question: maine 18 sal ka hun ek bar mera roza tha to mene galty se sex kar lya or jis ke sath kara uska bhi roza tha sex ke liye mere se usi ne bola tha aap batayen ki allaha mere ko kese mafi de sakte hai

Answer: 1) Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.
2) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
3) Agar rozay daar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur por apni b.v (ya kisi aur se saath) se cherh chaarh or hansi mazaaq karay(sex) or osay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254).
4) Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11932
Mujtahid:
Date:

Question: maine 19 years old hun or ek bar rozay me sex kar chuka hun or jis ke sath sex kya uska bhi roza tha sex ke liye usne bola tha magar mene thoda sa hi dala tha phir hat gaya kya mera roza tuta

Answer: 1) Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.
2) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
3) Agar rozay daar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur por apni b.v (ya kisi aur se saath) se cherh chaarh or hansi mazaaq karay(sex) or osay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254).
4) Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14748
Mujtahid:
Date:

Question: sir roza kon konse chezon par tot ta ha

Answer: 8 chezain rozay ko batil kar deti hain:
1)khana aur pina 2)Jima karna 3)istemna karna 4)Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna 5)gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par 6)azan e subah tak janabat , haiz, ya nifas ki halat mai baqi rehna 7)kisi liquid cheez sai huqna(anima) karna 8)ulti karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)

Print

Id:
14750
Mujtahid:
Date:

Question: Salam alaikum ramzan me rat ko biwi se sauhbat ki sehri ki. Subah 11pm gusl kiya to roza makror ho y jayga?

Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.
2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591,1630)

Print

Id:
14786
Mujtahid:
Date:

Question: asslamualekum, roze mein thuk nigalne se roza rehta hain ya nahi..

Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14788
Mujtahid:
Date:

Question: Rozay ki hallat mien mian bivi k taluqat ki kis had tk ajazat hai.

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14798
Mujtahid:
Date:

Question: kya ahtlam hone sa roza tot jata ha

Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14812
Mujtahid:
Date:

Question: kia mian bivi rozay kay duraan aik dosary ko touch kar sakhty hain? sirf bahoon main lay sakhty hain?

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14813
Mujtahid:
hanifia Date:

Question: kya rozay kay waqt may shohar bewi kay sat forplay kar sakta ha k ni.is say roza toota hai k ni.

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)For play se muraad agar jima(intercourse) karna ha to jima karne se roza batil hojata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565)
2)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
3)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
4)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576)

Print

Id:
14832
Mujtahid:
Date:

Question: kia french kiss karny sy roza toot jata hai

Answer: Jee nahi Mian aur biwi ka French kiss karnay sai roza batil nahi hota hai. albetta rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553, 1629)

Print

Id:
14845
Mujtahid:
Date:

Question: kya janabat ki halat men roza rakha ja sakta hai ya nahi

Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.
2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he.
3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.
4) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594, 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14872
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alikum. Kia roze ki halat me clean shave ya phir jism se hair cut kr sakty hae k nhi.

Answer: 1)Clean shave karna ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahe hai . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2042)
2) Clean shave karna aur jism k baal katne se roza batil nahe hota hai(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14878
Mujtahid:
Date:

Question: kya roze ki halat main sexy kandi film dekne se roza khatum ho jata hai plz reply

Answer: Agar rozay daar ko itminaan ho k is sexy scene ko daikh ker oski mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14879
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam u alikum. Mera swal ha kih kia ulti ane se roza toth jata ha jab kih ulti 2 ya 3 bar mouh bhar k aie. Plz reply me.

Answer: Agar shawan(iraday k bagair) ya be-ikhtiyar ulti ho jaay to roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14908
Mujtahid:
Date:

Question: mery sawal ye hai k agar rozy hi halat main kisi larki sy sirf baat krny sy katry ya mani aa jy tou roza batil ho ga ya ni? agr waisy hi zehn main koi khiyal aany ki waja sy katry ya mani nikal aaye tou roza batil ho ga ya ni?

Answer: 1)Agar ye qatray wo hain wo khabi khabi shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail mai aa jatay hain to ye pak hai aur is sai roza bail nahi hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33)
2)Agar yaqeen ho k ye qatray mani hain to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14913
Mujtahid:
Date:

Question: rozay ki halat main apni bivi se mubashrat jaiz ha ya nai

Answer: Mubasharat roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14921
Mujtahid:
Date:

Question: rozay ki halat main agar bivi k sath bagair dakool kay mony kharij ho jai to kia roza toot jai ga. please anwer

Answer: Agar koi rozay dar istemna karay yani mard apnay hath sai ya kisi doosray zariay sai jima k alawa koi aisa fail karay jis k natijay mai mani kharij ho to roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14922
Mujtahid:
Date:

Question: Mera Sawal ye hy ky mera aj roza tha main fajar ki namaz parh ky akay sogaya or utha to mani kharij ho gai khud ba khud to kiya mera roza hoga ya nahi

Answer: Ehtelam hone se roza batil nhi hota. agar chah rozay dark o ilm ho k agar din mai soe ga to osay ehtilam ho jae ga yani sotay mai mani kharij ho jae gi tab bhi os k lie sona jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14924
Mujtahid:
Date:

Question: Kaya rozay main Tooth Brush krny sy roza toot jata hy?

Answer: Rozay main tooth brush krny sai roza nahi toota hai laikin ghele lakre se miswaak karna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14927
Mujtahid:
Date:

Question: Agr rozay m sexs kia h r mani nkal jy to roza hoga ya ni

Answer: 1)Jima aur istmna (kise zaria se mani kharij karna )karne se roza batil hojata hai.
2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565,1569,1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14928
Mujtahid:
Date:

Question: AGAR KOE APNI BIVI K SAT RAMZAN ME HUMBISTARI KARLAY TO US KA KAYA KUFFARA HOGA YA SACCHI TOBA KARNA SA ALLAH PAK UNKO MAFF KARDAINAGAY, PLZ ADIVSE????

Answer: 1)Jima karna se roza batil ho jata hai.
2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14933
Mujtahid:
abc Date:

Question: Bawaseer ka khoon anay say roza toot-ta hay kay naheen,khoon ke miqdaar kafi hay

Answer: Bawaseer ka khoon anay say roza nahi toot’ta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 239, 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14934
Mujtahid:
no understand Date:

Question: Sir jab koi rojedaar insaan din main so jaaye sote waqt ahtlaam ho jaaye uska roja tootega ya nahi

Answer: Ehtelam hone se roza batil nhi hota.agar chah rozay dark o ilm ho k agar din mai soe ga to osay ehtilam ho jae ga yani sotay mai mani kharij ho jae gi tab bhi os k lie sona jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print