Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (482 Questions)


Showing 50- 100 questions from 482 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
14936
Mujtahid:
Syed Sistani Date:

Question: Salam kia rozay main inhelair use kar sakte hai plz reply me fast?

Answer: Dame ki bimari me istemal hone wala spray(inhaler) agar dawa ko sirf phephoro(lungs) tak pounchae( yane dawa ko sirf saas ki nali tak pounchae, na k khane ki nali tak) to is se roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14952
Mujtahid:
muslman Date:

Question: sir iam kashif mera ap se sawal ye hai k apni bivfi se roze ki halat mein sex karna matlab k andar dahil na ho sirf upar hi touch karne se roza toot jaye ga or kya roze ki halat mein aisa karna jaiz hai

Answer: Jima rozay ko batil kar deta hai chahae peshab ki nail supari tak hi dhakil ho aur mani bhi kharij na ho. Lakin srif touch karnay sai roza batil nahi ho ga . aur agar mani kharij ho jay to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565-67) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14962
Mujtahid:
ahle hadees Date:

Question: kya mazi nakalne se aadmi napak hojata hai aur gusul wajib hojata hai kya isse raza par koi fark padta hai

Answer: 1)Mazi kharij hone se roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2) mazi pak hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14964
Mujtahid:
Date:

Question: kiya ramzan mein bwivi se sohbat kar sakten hain ya nehi

Answer: jima(intercourse) karnay se roza batil hojata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14965
Mujtahid:
taqleed Date:

Question: assalam alaikum ramzan me biwi ke sath kya mubashrat karne se roza toot jata hai ya bat karne se jo mizi yani jo pani ata hai us se roza toot jata hai ya nahi

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14967
Mujtahid:
sunni dewbandi Date:

Question: kia khud ba khud vomit any se se roza toot jata ha

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Agar sehwan ya be-ikhtiar vomit ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14974
Mujtahid:
Date:

Question: sir kya roze ki halat mein nakhun(nails)kat sakte hain

Answer: Jaiz hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14977
Mujtahid:
janabat kay ghusal kay faraiz Date:

Question: asalam.o.alikum mera ap sy sawal hai k ramzan mei agar mei biwi sy janabat karta hon aur ghusal nai karta bs wazu kar k roza rakh leta hon aur subha naha nai pata tau kia mera roza ho ga ya makroh ho ga plz answer me shukriya

Answer: Jo shakhs ramzan ki raat mai junub ho jae to zaroori hai k fajar k waqt sai pehlay ghusl karay. Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14983
Mujtahid:
Date:

Question: Rozay ki hallat mien kia mian bivi mani kharaj krnay ki neat k beghair jima(intercourse) kr saktay hain ?

Answer: Jima rozay ko batil kar deta hai chahae mani bhi kharij na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15026
Mujtahid:
Date:

Question: Yu tu Ramazaan mein Roza ki Niyat Hamesha Raheti hai, aur ish dafah bhi thi, magar Mein ne Raat mein Apni Biwi se Sohbat Ki aur Gusle Janabaat ki Haalat Mein Sehri Ki ( Roza Rakha), Ghar chota hone ki wajah se sharam ke maarey mein ne Gusool Baad Naamaze Fazr Subah 10 Baje Kiya kya Mera Roza Kabool hoga, jab ke meri biwi ish baat se hamesha mana karti rahi Ke aaisha mat kijiye roza kabool nahi hota gusool e janabaat ki halaat mein

Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.
3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.
2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1591, 1595, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15038
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: biwi k sath roze ki halat mai hmbistri ho jae to roza toot jata hai ya nahi

Answer: 1)Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima karnay ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15056
Mujtahid:
janab sestani sb. Date:

Question: agar roze ki halat me ho aur sote waqt apne aap mani nikal jae toh kya roza toot jata hain

Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam(neend mai mani ka kharij hona) ho jaye tu roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15057
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal ye ha k me rozy me tha r ak larki sy chat kr raha tha us sy koi sex related bt b ni ki lekn mjhe bilkul thore c mani nikal gai. Kya mera roza tot gya ha! R me bagar gusal k namaz ada kr sakta hu! R rozy k alawa is tarah ho jae to bagar gusal k namaz ho sakti ha!

Answer: 1)wo ratoobat jo khabi khabar shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail sai kharij hoti hay wo pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. Aur namaz bhi parh saktay hain aur wazoo bhi batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70,72)
2)Mazi kharij hone sai roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33)
3)agar yaqeen ho k mani hi nikli hai to phir roza batil ho jae ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
4)jins e mukhalif sai chatting karnay mai jab fasad, burai aur ghunnah mai mubtila honay ka khof ho to jaiz nai hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 79 pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15099
Mujtahid:
Date:

Question: salam..mera sawal ye hai k mien ramzan may apny husband se intercourse sakti ho ya nahi????

Answer: Jima rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15106
Mujtahid:
ahmad Date:

Question: mera sawal yh ha ke agr rozay main aap kisi larki se bt kr rhy hain and wo batain bilkul bi sexy ni yani paak saaf batain lakn un batain krne se aapki mazee nikal aaye yani mani ni mazee tou kya iska rozay pe farq parey ga plz reply me soon....and iske bd ghussal wajib hai?

Answer: Mazi kharij hone se roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat ,roza , ques # 40 pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15115
Mujtahid:
Date:

Question: main ye jana chahta ho k agr mai apni friend k sth bat kr rahat ho or as duran tnawo aa jae or madh behna shoro ho jae or hum dono roze ki halat mai ho tu kia roza makhro ho jae ga döno ka

Answer: 1) Agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose itminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
2)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dobara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dobara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1575-6) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15154
Mujtahid:
Date:

Question: kya ramadan me apne bewi ke saath intercourse karna jaiz hai . Or agar koi karta hai to kitna gunah hai .

Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker biwi sai intercourse ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15161
Mujtahid:
Date:

Question: Ramzan me apni bivi ke sath hambistari kar sakta ya nahi

Answer: Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15172
Mujtahid:
rozay ki halat me mnni nikalna Date:

Question: rozay ki halat me mnni nikalna aur Allah se toba kar k aglay din phir wohi gunha plz quran ki roshni me meri ishla kijye , Allah apko khush rkhay

Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker istemna ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15248
Mujtahid:
Date:

Question: kya sotay hway danto say khoon ay oar roza ho to kya roza toot jata hai???

Answer: Is sai roza batil nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15280
Mujtahid:
imam abu.haneefa Date:

Question: Asalam.u.alaikum. Mera sawal ye hy k roza k doran agar music suna ja.ey ya lrkio ki tasveeray daiki jaey jis my wo neem barhana ho tau is sy roza par kya fark paray ga?

Answer: 1) Ginna haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043)
2)Ethiat e wajib k toor per fahash tasweeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)
3)Ginna aur fahash tasweero ko dekhnay sai roza batil nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15312
Mujtahid:
sistani Date:

Question: rozay ki halat mien agur husband wife aik doosray k itnay close ho jayien k biwi bagher sex kiye discharge ho jaye to kia roza khatum ho jaye ga? Doosra rozay mien aap blood test ketva saktay hain?

Answer: 1) Agar rozy daar mani nikalny k irady k baghair apni biwi se cherh charh or hansi mazaaq kary or usay itmenaan ho k mani kharij nahi hogi to agarchey ittefaqan mani kharij ho jaay , us ka roza sahi hai . albatta agar usy itmenaan nah ho to is sorat main jab mani kharij hogi to os ka roza batil ho jay ga .
2) Agar khoon dena kamzori ka sabab bany to ye makroo hai warna makhrooh bhi nahi hay . (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1576,1629 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15354
Mujtahid:
Date:

Question: kia sar pr oiling krney sey roza toot jata hai?

Answer: Jee nahi rozay ki halat main sar ya badan per Oil laganay se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15379
Mujtahid:
Date:

Question: Agr jan bhooj kr koi mani kharaj kre to roza tot jata hai?

Answer: Jee han istemna krnay sai roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15391
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu akelum, mera sawaal ye hai ki ramzan me aur roze ki halaath me bure (sex) khayal aye tho kya biwi se bistar kat sakthe hai ya nahi.

Answer: Rozey ki halat shohar main bevi se jaan boojh ker humbistri kerna rozey ko batil kar deta hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15392
Mujtahid:
halat e ehtlam Date:

Question: A/S kia ehtalam hone k bad sari mani kharij na ho or nali me pans jae us ko nikalne se roza tot jata ha ya ni mani ko nikalne k liye nali ko kpry se ragra tha please is ka jawab de dain shukria

Answer: Jab rozey daar ko ehtelam hojay , agar osey maloom ho k mani nali main reh gae hai or agar ghusal se phely peshab nahi karey ga tu ghusal k baad mani os k jism se kharij hogi tu ehtiyat e mustahab ye hai k ghusl se phely peshab karey , or aap ka roza batil nahi hoga . (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1574 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15396
Mujtahid:
Date:

Question: ager ramzan main sonay k bah ihtalam ho jae to kia banda subah gusal k begair roza rakh skta hai ya nahi.. or ager kisi ne rakh lia to kia us ka roza ho ga ya nhi

Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai , zarori hai k azan sobha se phely ghusal karey . or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k bad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15403
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: roje ke halat me apne bivi ka pitan dabane se roja toot sakta hai

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Roza nahi toot (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 )

Print

Id:
15404
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: apne bivi ka pistaan dabane roja toot jata hai

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Is amal se roza nahi toot jata. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15415
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi insan apni bibi se sohabat kare or sahari ke waqt sahari kare or maa or baap ke lehaz karke subho 10am ya 12pm ko ghosal kare uska roza mukamal hoga?

Answer: Agar junub shaks ramzan main jaan bojh ker azaan subah tak ghusl nah karay tu zarori hai k os din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or choon keh ye tay nahi hay k ye dosra roza qaza hai ya sazah , layhaza ramzan ka os din ka roza bhi maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15418
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi aadmi par ghusul waajib ho,toh kya wo ramzaan ka roza rakh sakthaa hai

Answer: Agar Junub shakhs ramzan me jaan boojh kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan boojh kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15426
Mujtahid:
hanafi Date:

Question: main ne roza ki halat main biwi sex ker liya or mukamal sex kiya biwi bhi roza se thee abh is ka kuffara kiya hoga ,main bohat sharmsar or pareshan hon plz meri madad keejeeya

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

1-Agar aik rozay daar ramzan main apni rozay daar bivi se jima karay tu agar os ne bivi ko majboor kia ho tu apnay rozay ka kaffara or ehtiyaat ki bina per zarori hay k apni bivi k rozay ka kaffara bhi day or agar bivi jima per razi ho tu har aik per aik aik kaffara wajib ho jata hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1649)


2-Agar koe shaks ramzan k rozay ko jaanboojh ker or ikhtiyaar k saath jima(intercourse)k zerye se batil karay tu os ko os rozay ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko ¾ kilo ghandum ya jow ya roti wagaira day ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1632,1630 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15431
Mujtahid:
shia Date:

Question: agar rozy ma mani kharij ho jae to kia roza toot jata ha ya nhe?

Answer: 1-Agar rozay daar ko ehtelaam(yani sotay main is ki mani kharij hona) ho jay tu oska roza batil nahi hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1571).
2- Agar rozadaar istimna(masturbation) karay tu oska roza batil hojata hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1569). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15434
Mujtahid:
Date:

Question: Kai mani ya mazi nekalne sy rozay par koi asar parhta hai ? Aksar r0ze ki halat main girlfrind sy bt krte waqat chand qatrey nekal jate hain wo kai hote hain plz my first question plz plz sir ans me plz

Answer: 1)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi(ya na,ozo billah kisi namehram lerki) se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)ye bhi makrooh hai(haram nahi hai) k mani nikalne k irade k beghair insaan apne biwi ka bosa le ya koi sehwat anghaiz kaam kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1576)
2-Mazi k nikalnay se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15446
Mujtahid:
Date:

Question: Sir, main ny rozy ki halat my (masturbate) kia roza tot gia k baqi rahe hay.Plzzzzzzz

Answer: Agar koe rozay daar istimna(masturbation) karay tu oska roza batil ho jata hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1569 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15450
Mujtahid:
gg Date:

Question: mera sawal ye hai k agar rozay ki halat main zina ho jay to us ki mafi kaisay mil sakti hai pls tell me immigiately

Answer: 1-Agar koe shaks ramzan k rozay ko jaanboojh ker or ikhtiyaar k saath jima(intercourse)k zerye se batil karay tu os ko os rozay ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko ¾ kilo ghandum ya jow ya roti wagaira day ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1632,1630 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

2-Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15457
Mujtahid:
Date:

Question: rozay ki halat main ager disjarg hojai to kya roza toot jai ga

Answer: 1-Agar rozay daar ko ehtelaam(yani sotay main is ki mani kharij hona) ho jay tu oska roza batil nahi hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1571).
2- Agar rozadaar istimna(masturbation) karay tu oska roza batil hojata hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1569). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15461
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum, Mera swal hay k roze ki halat mein balon mein mehndi lgane k mtalluq kya huqm hay ?

Answer: Mehendi lagane se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # #1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15464
Mujtahid:
Syed Sistani Date:

Question: Salam kia naak(nose) main mujood balgam agar halaq main aajaye to us nigal sakte hai ya nhi pls reply fast?

Answer: Sar or seny ka balgham jab tak monh k andar waly hisy tak na ponchy ussy nighalny main koe haraj nahi lekin agar wo monh main ajay to ehtiyaat e mustahab ye hai k ussy na nighlay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 1561)

Print

Id:
15470
Mujtahid:
Date:

Question: agar neend ki halat mn mani kharaij ho jai to kia roza tootha hai,yani roza dar neend ki halat mn anb ho ai

Answer: Agar rozay daar ko ehtelaam(yani sotay main is ki mani kharij hona) ho jay tu oska roza batil nahi hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1571). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15471
Mujtahid:
sunnni Date:

Question: Aoa Salam mufti saheb mera sawal ya hey ky mey rozy ki neyat ker key soya to mujy soty huwy ehtelam agya or asy 3 din tak huwa Dail..to keya asy hony sy roza toot sjta hey ya phir kuch or....w/salam

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Agar rozay daar ko ehtelaam(yani sotay main is ki mani kharij hona) ho jay tu oska roza batil nahi hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1571). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15547
Mujtahid:
Date:

Question: Agr roza rakhnay say pahlay ekhtalam ho jaey to kiya roza rakh saktay hain jab kay ghusal nahi kiya

Answer: Agar Junub shakhs ramzan me jaan boojh kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan boojh kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1591 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15573
Mujtahid:
Date:

Question: Kia rozay ki halat mein kan aur nak mein dawa dal sakte hein.aur is ka itikaf per kia asar parta hay

Answer: 1)Kan main dawa dalny se roza batil nahi hota chay us ka zahiqa galy main mehsos ho. Or nak main dali jany wali dawa agar galy tak na ponchey to us ka roza batil nahi hota.
2)Agar nak mai dali janay wali dawa agar halaq tk pounch jae to to os sai roza batil ho jata hai aur agar roza batil ho jae to itikaf begair roza k sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1557, itikaf masla # 2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15590
Mujtahid:
aaa Date:

Question: A.O.A mera sawal ye he k roze ki halat mein ihtalam mushtzani, porn movies daikhane se roza toot jata he, aur plz tafseel beyan kare roza tootaney ke masail

Answer: Ehtilaam(sootay main mani ka nikalna) se roza batil nahi hota. Mushtzani se roza toot jata hai, or 8 chizon se roza toot jata hai : 1)khana peena 2) jima karna 3) mushtzani 4) khuda , rasool e khuda(saww) or un k janashinoon se ehtiyaat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna 5) ghubar e ghaleez halaq tak pochana ehtiyaat e wajib ki bina per 6) azan subah tak janabat ,haiz ,ya nifas ki halat main baqi rehna 7) kisi sayaul cheez se huqna(enema) karna ,8) ulti karna. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1569,1570,1553 )

Fehesh manazir (Porn movies or pictures) chahay wo baraah e raast hoon ya television per hoon, shehwat ki nighah se onhain daikhna jaiz nahi hay balkeh ehtiyaat e wajib k taur per kisi terah se bhi (agarchah baghair shehwat k ho) daikhnay ko terk kerna chahiay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),jaded fiqhi masail, maslah #492 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15592
Mujtahid:
Lahore Date:

Question: agar periods hon to roza rakh skty hain?? or periods mai bleeding se roza tut jata kiya??

Answer: Periods ki halat main roza rakhna jaiz nahi hay or dooran e roza haiz ajanay se roza toot jata hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1608,1612 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15598
Mujtahid:
suni Date:

Question: mufti shab agar azanhona sa 1 minte pahla galti a roza khol la to roza ho ga ya ni

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Insaan ko yaqeen ya itminaan ho k maghrib hogae hay or roza iftaar ker lay or baad main pta chalay k maghrib nahi hoe thi tu is rozay ki qaza kerna wajib hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1659 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16231
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Mah e Ramzan mai agar din k doran jima k alawa kisi aur batil krnay wali cheez ko aik sai za’id dafa anjam dia to kafara takrar ho ga?

Answer: Jee nhi, takrar nhi ho ga. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 81, pg # 45) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16256
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Begair kisi wajah k maswak aur kulli krna kia rozay par asr andas hota hai?

Answer: Agar jan boojh kar pani halaq tk na phounchay to roza shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 169, pg # 83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16428
Mujtahid:
Date:

Question: kya roze ki halat me masturbate karna jayez he?

Answer: Agar rozay dar istemna karay to is ka roza batil ho jata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1569)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
30940
Mujtahid:
imam Abu Hanifa Date:

Question: assalam o alaikum mera swal y hai k rozy ki halt men mian biwi ka talluq ks had tk jaez hai? wo hmbistri nhi kr skty but kya shohr apni biwi k kpry wgera utrwa kr us k jsm sy lutf andoz ho skta hai? us ko kissing krna us k jism pe hath pherna kya y sb kch jaez hai? men y baten ksi sy khul kr nhi poch skti is lye aap sy cntct kr rhi hn men smjhti hn k rozy ki halt men y sb thek nhi hai pr mey shohr nhi manty aap plz is slsly men meri khul kr rahnumai kr den.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1)Jima(hambistari) kane se roza batil ho jata hai.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)ye bhi makrooh hai(haram nahi hai) k mani nikalne k irade k beghair insaan apne biwi ka bosa le ya koi sehwat anghaiz kaam kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553, 1576, 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print