Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (482 Questions)


Showing 100- 150 questions from 482 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
32407
Mujtahid:
Date:

Question: a.o.a sir agr rozy ki halat me koi sexy scene dikha jy or us ki wja s mene achanak apni pent ky upar sy ragarna shoro kar diya to mani nikal aya me ni janta tha k asa ho ga

Answer: 1)Agr rozay daar koi aisa kaam kary k mani nikal aey tou roza batil hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1569)
2)Ethiat e wajib k tor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44036
Mujtahid:
Date:

Question: Slaam mera question yeah ha kay agar kisi nay Ramdan sharif ka kabi ahtaram na kia ho oor rozay ki halat mein Muhat zani ho gai ho tooh kaya hukam ha Toba kar li jay us gunah say hamesha kay leah tooh phir kaya mafi ho sakti ha? Please meray answer ka tafseel say jawab dean

Answer: 1)Istimna(Musht zani) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
2)Agar rozay dar istemna karay to os ka roza batil ho jata hai.
3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko istimna ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1569,1630)
4)Istemna ka kaffara toba krna hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 200,pg # 82)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
45444
Mujtahid:
Date:

Question: kya roza rakh kr love you bolne se or internet karne se roza tut jata h plzzz jaldi rply

Answer: Is sai roza batil nahi hota hai magar jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Ref : Nigah aur libas sawal # 106, pg # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45549
Mujtahid:
quran & sunnat Date:

Question: Assalamu Alaikum kya penis se eak ya do bund ghadha pani tapakne se roza toot jata hai mughe itminan hai ki wah mani nahi nikla hai plz jaldi answer de jajakallah

Answer: 1)Agar rozay daar koi aisa kaam kary k mani nikal jae to roza batil hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1569)
2)Mazi kharij hone se roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se pouchey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 3) mazi pak hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47455
Mujtahid:
Date:

Question: asalama o laikum kya main rozey main apni bachi ko dhood peela sakti ho?

Answer: Bachay ko doodh pilanay sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47489
Mujtahid:
Date:

Question: kya rozy ke halat may makeup kia ja sakta hai??????

Answer: 1)Rozay ki halat me make up karnay sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) 2)Makup karna jaiz hai laikin is k baad aurat ko apna chera na-mehram se chupana zaroori hai.(ref. nigha aur libas sawal no : 161,160 pg no:96) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48409
Mujtahid:
shia Date:

Question: sir, i want to know that k kia masturbation k bad ghusul wajib hojata he? aur mani kiya he? leukoria aur mani me kiya waziha farq he? agar rozay ki halat me masterbation ki jaye to kiya roza toot jaega?

Answer: 1)Istimna(Musht zani) karna haram hai.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
2)Istimna karnay sai insan mujnib ho jata hai aur ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he.
3)Agar rozay dar istemna karay to os ka roza batil ho jata hai. aur agar koi shakhs ramzan k roze ko istimna ki wajah se batil karey jab keh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344 , 356, 1569, 1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48747
Mujtahid:
deoband Date:

Question: kia roze ki halat main hasbant and wife hambistri kr sakty hain

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Jima yani shohar aur biwi ka aik doosray k sath hambistri karna rozay ko batil kar deta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48759
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Agr ramzan me koi roza rkhe so rha hai r sote waqt use night fall hoje to kya roza toot jata hai?

Answer: Agar rozay k doran neend ki halat mai mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1571)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48824
Mujtahid:
dioband Date:

Question: SIR AGAR GANDI KHAWAB AY TO ROZA TOOT JATA HAY

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jee nahi kisi bhi qiam k khawab sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48849
Mujtahid:
NA Date:

Question: Kya roze ki hlat me thuk nigal sakte hai. thuk nigalne se roza tutata hai.

Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hota hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48852
Mujtahid:
Date:

Question: kya roze ki haalat me nakhun kaat sakte hai.

Answer: Rozay ki halat mai nails katnay sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48868
Mujtahid:
any Date:

Question: Dodh pilanay wali maan roza rakh k apnay bachay ko dodh pila sakti hai?

Answer: Jee han maa rozay ki halat mai bachay ko doodh pila sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48921
Mujtahid:
Ihtlam Date:

Question: Ager neend mai roza ki halat mai ahitlam ho jaye tou kya roza tot jata hai ?

Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48923
Mujtahid:
Hanfi Date:

Question: Mera naam Abdul Latif hai aur mera sawaal yah hai ki kya doodh pilane se maa ka roza toot jata hai. .

Answer: Jo aurat bachay ko doodh pilati hai os ka roza doodh pilanay sai nahi toot-ta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1700-1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48928
Mujtahid:
what Date:

Question: kai roza ke halta ma undershave kar saktan han.

Answer: Jee han naaf k nichay k baal katnay sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48950
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamo Alikum ager koi shakhs apni b.v k sath ramazan k din mi humbistry kary aur dono d.v aur khawand ki raza b ho to s kia roza toot jata hai? ager toot jata hai to kia kafara ada karna pary ga .

Answer: 1)Agar roza ki halat mai jima kia jae to roza toot jata hai.
2)Ramzan ka roza torne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48956
Mujtahid:
Quran sunnat. tableegi Date:

Question: kiya roze ki halat main biwi k sath humbiztari jaiz hai? or agar aysa ho jaye tu kya kia jaey?

Answer: 1)Agar roza ki halat mai jima kia jae to roza toot jata hai.
2)Ramzan ka roza torne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48959
Mujtahid:
Date:

Question: kia rozay ke halat main main apni girl friend say bat kr sakta hon

Answer: Aik khatoon se aise baatain ki ja sakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasad ki sorat me na nikal raha ho jab k koi aise baat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k sath kia jana munasib nahi hota. Albetta is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127, pg # 66) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48963
Mujtahid:
Date:

Question: agar bholay say rozay may koch kah lay to kia hota hai

Answer: Agar rozardar galri sai koi cheese kha lai ya pi lai to roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1556) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48966
Mujtahid:
Date:

Question: agar rozay ki halat may koch kah lay to kia hota hai

Answer: Jan boojh kar roze ki halat me khana khane se roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49023
Mujtahid:
Date:

Question: Kya jagte huve ager sex ke thought aane se lekin jaan bujh kar munny ko kharij na karna chahta ho lekin ho jaye to kya uska roza toote ja ta he ?

Answer: Istemna kisi bhi tareeqay sai ho haram hai rozay ko batil kar deta hai. laikin agar koi rozaydar mani nikalnay k iraday k bagair apni sharamgah sai chair char karay to aur osay itminan ho k mani kharij nahi ho gi aur itefaq sai mani kharij ho jae to roza sahi hai. laikin agar itminan na ho to is surat mai jab mani kharij ho gi to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49025
Mujtahid:
yes Date:

Question: kya roze ki halat me hum log brush kar sakte hai

Answer: Rozay main tooth brush krny sai roza nahi toota hai laikin ghele lakre se miswaak karna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49030
Mujtahid:
Sayyad sistani sahab Date:

Question: Agar rozay ki halat mein galati se sperm bahar ajaye to roja tut jata hai? Ya phr masturbate se roja tut jata hai?

Answer: Agar be-ikhtiari ki halat mai kisi ki mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. laikin agar koi shakhs mani kharij karnay k iraday sai istemna karay aur is sai mani kharij ho to roza batil ho jata hai aur is k zimay qaza aur kaffara dono hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1570) (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 110 pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49041
Mujtahid:
Date:

Question: Roza ki raat mein biwi se sex kiya. Subh kab tak gusul karna zaruri hai ki roza na kharab ho.

Answer: Jis per ghusal janabat wajib ho us ko waqt namaz fajar se phele ghusal janabat kar lena zaroori hai. Warna roza sahi nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49048
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: can an husband suck nipples, lips, vergin of his wife and can wife suck and kiss her husband organ and lips etc during roza.

Answer: Yes they can but it is makrooh for a fasting person to do these act, without the intention of ejaculation. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49054
Mujtahid:
Date:

Question: agar roja ho to kya mai masturbate kar sakta hun... kya is se roja tut jayega...

Answer: Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai. Aur rozay ko batil kar deta hai. (ref : jaded fiqi masail aqa sistani pg # 253 masla # 462) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49056
Mujtahid:
Date:

Question: Agr miyan biwi rozay ki halat ma hon our wo sohbat kr lain to us ka kya kaffara ho ga......?

Answer: Jima yani shohar aur biwi ka sohbat karna rozay ko batil kar deta hai aur donoo par is rozay ki qaza aur kafarra donoo wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49064
Mujtahid:
Both Date:

Question: A/s Kya Napak hone ki halat me roza Maqrooh ho jata hai ??

Answer: Jis per ghusal janabat wajib ho us ko waqt namaz fajar se phele ghusal janabat kar lena zaroori hai. Warna roza sahi nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49069
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam-o-Alaikum mera sawal yea hai k agar rozay main sote hue itlaam ajaye tu isse rozay mokhro hota hai kya ..plz reply karrain jaldi

Answer: Agar sotay mai kisi ki mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. Aur na hi makrooh hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1570 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49074
Mujtahid:
Date:

Question: kia khly pani mai nahany sy roza toot jata hai maslan sawimming pool wagaira mai nahany sy

Answer: Swimming pool mai nahanay sai roza batil nahi hota hai laikin pura sar pani mai dbona shadeed makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1590) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49082
Mujtahid:
khomani Date:

Question: what is the affect of balgham on fast?

Answer: Balgam jo moo k ander na phochi ho osay niglnay sai roza batil nahi hota hai chahay ye balgam sar ki ho ya seenay ki ho laikin jo balgam moo k ander aya ho ehtiyat-e-wajib ki bina par osay nahi niglna chaheay aur agar ye balgam moo sai bahir aa jae aur phir osay nigla jae to roza batil ho jae ga. (Ref : Tehreerul Wasila Ayatullah Khomeni r.h. pg # 521)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49087
Mujtahid:
Date:

Question: Kya hum ramzaan mai rooze rakh kar eyebrow wagairah kara sakte hai......din ya raat kisi bhi waqt

Answer: Auratoo k lye eyebrows banwana jaiz hai aur is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : deen k ahkaam pg # 242 ques # 760) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49103
Mujtahid:
Date:

Question: sehri ka time 3.40 tk tha meri ankh 4.20 pe khuli 4.35 tk mein ne khana kha k roza rakh liya kya mera roza sehi hy

Answer: Roza rakhnay k lie namaz e fajar k waqt sai lai kar maghrib tk kuch nahi khana hota hai. maslan fajar ka waqt agar 4.20 hai to 4.19 k baad kuch nahi khana hai. warna roza nahi ho ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1531-53)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49108
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-alikum, mera questionye hai k " ramdan ka roza jo k farz hai agar is rozay ki halat mai kisi k qazaye hajat (defication) kartay waqat ghusal wajib ho jaye(i.e.ejection of semen while excretion) toh kia roza toot jata hai? Pls reply as soon as possible thanks

Answer: Agar be-ikhtiari ki halat mai kisi ki mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. laikin agar koi shakhs mani kharij karnay k iraday sai istemna karay aur is sai mani kharij ho to roza batil ho jata hai aur is k zimay qaza aur kaffara dono hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1570) (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 110 pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49113
Mujtahid:
Date:

Question: My question is that : kia rozay ki halet main bivi ko kiss ker saktay hain, aor uss k sath cherh charh ker saktay han, iss soorat main roaza makrooh to nain ho ga?

Answer: Rozay ki halat mai mani nikalne k irade k begair apne biwi ka bosa (kiss) lana makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49123
Mujtahid:
AssaLam_o_Alaikum!! Date:

Question: AssaLam_O_Alikum!!!!!Mra ap sy ye sawal ye hai k agr koe insan apna apko kse kam sy control ni kr sakta to.....or agr wo insan wo kam kr dy to kiya roza toot jta hai.......Mra matlb hai..........(((((((Handpractice)))))))

Answer: Handpractice karna haram hai aur rozay ko batil kar deta hai. (Ref : jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49125
Mujtahid:
Date:

Question: ka roza ma games khel skta han

Answer: Jaiz games khelna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49131
Mujtahid:
Date:

Question: Agar aehtelaam hojae aor pata na chale aor pore din namaz pare aor roza bhi ho phir raat me pata chale to namaz roza hojata hai aor shareyat me keya hai namaz dobara parhe ya hai aor roza dobara rakhe

Answer: Agar koi shaks ramzan mai dekhay k ise ehtelam hogaya hai to agarche ise maloom ho k ye ehtelam azan se phelay hoya hai is ka roza sahe hai. laikin namaz ki qaza karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1606, 353)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49140
Mujtahid:
Date:

Question: Roza ke halat mein tooth brush karney se roza toot jata hai.

Answer: Rozay main tooth brush krny sai roza nahi toota hai laikin geele lakre se miswak karna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49145
Mujtahid:
Date:

Question: kya rozy ki halat ma gair zruri bal saf kiye ja skty hn?

Answer: Jaiz hai aur is sai roza bhi nahi toot’ta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49169
Mujtahid:
Date:

Question: Sir maira sawal ya ha .ky jab Ramazan mai subha ki nimaz ky bad sooya jae or ghusal faraz ho jae ..to Kia rozy pa isla kuch Asar par sakta ha.or rozy mai ghusal ka tarika be batae. Suhkria

Answer: Roza sahi hai. Aur ghusl ka wohi tareeqa hai jo aam dino mai hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1571 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49206
Mujtahid:
Date:

Question: Kiya ealry prgnancy mai roza chor sakty hain?

Answer: Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay aik mudd toam(gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49208
Mujtahid:
sangli Date:

Question: mera sawl hai ki roze mai itlam ho jay to or sex ho jay to ye gunha hai kya

Answer: Ahtilam se roza nahi toota hai jab k Jima(sex) roze ko batil kar deta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49212
Mujtahid:
Date:

Question: Roze ki halat me apni wife ko khush karne ke liye ye soch ke sex karun ke mera ispurm nh gere ga lekin gir jaye to kya mera roza rahe ga ya batil ho jaye ga plezzzz answer the questions. ...

Answer: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misal k taur per apni biwi se cherh char ya hansi mazaq karay aur ose itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49225
Mujtahid:
sunniy Date:

Question: A.A sir meri age 19 sal h ,grmi ki waja sy muj sy aj ka roza bardasht na ho saka,jo akher muj say toth gaya plz kuch batay mujay meri etni hesiyat b nahi k ma kafra ada kar sakon ,or ma kafra ada b karna chahti hon, PLZ kch aesa batay k ALLAH pak muj sy razi ho jay

Answer: Agar rozedar ko itne payas laghe k ise payas se marjane ka khof ho ya ise nuqsan ka andesha ho ya itne sakhti uthani pare jo is k lie na-qabil-e-bardasht ho to itna pani pi saktay hain k in umoor ka khof katam ho jay balke agar mout aur is jise cheeze ka khof ho to pani pina wajib hai. laikin roza batil ho jay ga aur agar ramzan ho to ehtiyat-e-lazim ki bina per zaroori hai k is se ziyada pani na piye aur din k baqi hissay me wo kaam karnay se parhaiz kare jis se roza batil ho jata hai. (Laikin ramzan k bad aghle ramzan se phele is roze ki qaza zarori hai).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1562,1675) albetta Insan kamzori aur naqahat ki waja se roza nahi chor sakta laikin agar kamzori is had tak ho k umooman bardasht na ho sake to phir roza chorne me koi haraj nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1564)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49235
Mujtahid:
bahare shariyat Date:

Question: Assalamalayekum mera sawal ye hai ki ramzan ke mahine me rat ko shauhar ke sath humbistari ki to subha ki waqt tak naha lena zaruri hoga dusre din roza rakhne ke liye.

Answer: Waqat namaz fajar se phele ghusl janabat kar lena zarori hai. ( Ref: ayatullah sistani(d.b),tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49247
Mujtahid:
ali sistani Date:

Question: kiyea roze k doran fahsh porn pic ya video dekh sakte hen?

Answer: Agar rozay daar ko itminaan ho k is sexy scene ko daikh ker oski mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka roza sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska roza batil hojaay ga.Albetta Ehtiyaat e wajib ki bina per fahash(sexy) films aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chah shak aur lazzat k baghair dekha jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49255
Mujtahid:
Mujtahid Date:

Question: Mera sawal ye hy k rozay mein apni wife ko kiss kar saktay hn ya nai??? q k jab bhi un ko daikhta hn buhat payar ata hy..

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k baghair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shehwat angaiz kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.

Print

Id:
49263
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam alaikum roza ki din husband apni biwi love kary uske nichy fingering se andar bahir kary fluid uske hath me lag jaye kya uska jismm ganda ho gya hain kya wo saf hy ki ganda  hain kya wo pleet hain unka roza hota hain ki nahi ek sawal aur puchna chahta hoon husabnd apni biwi ko fingering kr raha hain husbnd ke haat me fluid laga hoon wo biwi ke leg pe lag gya aur husbnd ke jism me fluid na lagy biwi ke haat se kya wo pleet hain ki nahi agar biwi naha le aur husnd nai uske jism me fluid nai laga aur usny tisue raha kya wo pleet hain ya saaf uske kapry saaf hain ki pleet please mujhy battae ustad jee me bhot parshan ho

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k baghair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shehwat angaiz kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576).
4)wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna poori rizamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga).(Ref: (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#114 ).

Print