Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (478 Questions)


Showing 150- 200 questions from 478 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
49344
Mujtahid:
any Date:

Question: AOA, I am suffering from Asthma and use inhailer to relief. can I use it in ROZA and guide me if u have any treatment of Asthma from Quran or Imam saying . Also tell me which Mujtahid is allowing .Allah Hafiz

Answer: Damay ki bimari me istemal hone wala spray(inhaler) agar dawa ko sirf phephoro(lungs) tak pounchae(yani dawa ko sirf saans ki nali tak pounchae, nah k khane ki nali tak) to is se roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49357
Mujtahid:
Date:

Question: ASSLAMUAALIKUM SIR MERA SAWAL YE HAI KE ROZE KI HALAT MAIN MAIN AGAR NET PER APNI WIFE KA BHOOSA LOON YA USS KA JISM DEKHO KIYIA MERA ROZA TOOT JAE GHA YA NAHI

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasd k baghair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
49372
Mujtahid:
Date:

Question: roze ki halat mai gair iradatan night fall(mani nikelne) ho jane se kya roza makrooh ho jata hai.

Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam(neend mai mani ka kharij hona) ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49382
Mujtahid:
syad sistani sb/ Date:

Question: a/salaam agr awrat ko ramzan me roze ki halt me haiz ho jai din me 10 baje k bad to roza rakhna hai ya tood dena hai

Answer: Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarchah ye khoon maghrib k kareeb hi Q nah aay is ka roza batil hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1612) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49411
Mujtahid:
roza ka kafra Date:

Question: aslam o alaikum sir agr farz roza ho ur jan boj kr larki se pyar kry boso kanar kry to roza toot jata ha ur es ka kafra ur gunah se toba ka tarika bta dy agr wo dil shrminda ho ky allah maf kr dy ga k phr kbi asa gunah ni ho ga tafsil se jawab dy i am waiting ur reply BR Atif shahzad

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k baghair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49425
Mujtahid:
Date:

Question: agr roze me ulti ho jaye tou rozatoot jta hai ??

Answer: Agar sehwan(yani iraday k baghair) ya be-ikhtiyaar ulti ho jaay to roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49433
Mujtahid:
Date:

Question: agar roza ki halat ma mouth se khon nikl aye our pata na chala to kya roza toot gata ha?

Answer: Monh se khoon nikalnay se roza nahi toota hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49441
Mujtahid:
mu Date:

Question: sehari se pehle biwi se sobat kar sakte hai?

Answer: Sehri se phele kar sakte hai .Laikin waqt fajar se phele ghusl e janabat kar lena zarore hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49446
Mujtahid:
SISTANI SAHAB Date:

Question: Igar may Wajib ya Kaza Rozay kay doran roza tornay ka irada karta hoon to kia roza sahi hay ya batil. Wassalam.

Answer: 1)Agar kisi moayan wajib roze k bare me maslan ramzan k roze k bare me insaan kashma kash k aalam me ho k apne roze ko batil kare ya na kare ya roze ko batil karne ka irada kare to agar dobara roze ki niyat na kare to is ka roza batil ho jata hai.aur agar dobara roze ki niyat kar le to ehtiyat wajib ye hai k is din ka roza pora kare aur baad me is ki qaza kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1551 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

2)Agar koe shaks jo mustahab roza ya wajib roza maslan kaffaray ka roza rakhay hoay ho jis ka waqt moayan nah ho kisi aisay kaam ka qasd karay jo rozay ko batil karta ho ya muzabzab ho k wo aisa kaam karay ya nah karay tu agar wo koe aisa kaam nah karay or wajib rozay main zuhur se pehlay or mustahab rozay main ghoob se pehlay dobara rozay ki niyat ker lay tu os ka roza sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1552 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49457
Mujtahid:
Date:

Question: agr masuroon se peep niklay to roza ho jata hy

Answer: Khoon nikalnay se roza batil nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49462
Mujtahid:
rahnumai Date:

Question: A-O-A sir mera sawal he k roze ke duran hum nakhun aur baat kaat sakte he kya?

Answer: Jee haan,Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49470
Mujtahid:
Date:

Question: Agar din ka waqat ramzan ma owrat ko haiz ki bimari lag jai. To oska roza tot ta hai keh nahi agar roza tot jata ha to kana pena sham se pehla jaiz ha ya wo sham tak wait kara ga.

Answer: 1)Din me (roze ki halat main ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarchah ye khoon maghrib k kareeb hi Q nah aay is ka roza batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1612 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
2)wo aurat jo din main haiz ya nifas k khon se paak ho jay os k liay mustahab hay k mubtilaat roza se perhaiz karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1719). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49474
Mujtahid:
Suni Date:

Question: Mai ye pochna chati hun k rozay ki halat mai time pass k liye Sexy movies dekhna jaiz hai kya is se roza tot jata hai??????

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Agar rozay daar ko itminaan ho k is sexy scene ko daikh ker oski mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij ho jaay tu os ka roza sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiyaat e wajib ki bina per fehash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k baghair dekha jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49482
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu alaikum mein yeh janna chata hoon ke roze mein jab moon mein thook aye tho or ek saath thook ko nigaliya jaye tho roza rahega ya toot jayega . sehar karne ke bad roze ki niyat kab parne chaye azan se phele ya azan ke bad padh sakte baraye meherbani iska jawab de, ALLAH HAFIZ. Ramada Mubarak.

Answer: Thook nigalne se roza batil nahi hota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1560)
Ramzan k roze ki niyat ka aakhri waqt aik aise shak k liay jis ki tawju ho azan se phele hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1533 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49484
Mujtahid:
Date:

Question: Din k wkt soty huye mani nikal jaye, to kia roza tot jata hy? agr nhi .to ghusl krna chahiye kya ?

Answer: Roza batil nahe hota hai srif namaz or dosri ibadaat k liay ghusl e janabat wajib hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49512
Mujtahid:
Date:

Question: Kya roze ki halat mein paist se brush kiya ja sakta hai dusra sawal mera yeh hai ke roze ki halat mein sar mein oiling ki ja sakti hai.

Answer: Brush or tooth paste k zerye daant saaf kerna rozay ko batil nahi kerta, jab tak daanto ki safae k doraan thook k saath mili hoe kisi cheez (tooth paste waghaira) rozay daar nigal nah lay. Albattah thook k saath ghul mil janay wali cheez se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 101) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

2)Jee haan, Jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49530
Mujtahid:
seestani Date:

Question: Husband n wife dono rozay say hoon .....tu kiya shohar apni bivi say chair chaar ...kissing kar sakta hai?or dosra yay kis aisay mai agar female ko discharge ho tu kiya os pai gusal wajib hai jab k is mai oski marzi bhi shamil na hoo...or intercourse bhi na hoa hoo?or kiya yay roza theek hai?

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shehwat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49552
Mujtahid:
Date:

Question: kya baa kate se roza tuutta hai

Answer: Baal katne se roza nahi toota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49560
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kia roza may biwi kay saat humbastari jisa amal karsaktahey ya nahi is say roza per kowi fark tu nahi parta

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Hambistari se roza toot jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1565 )

Print

Id:
49565
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: kia roza m thndak ki niyat se thanda pani munh pe dalne se kia roza batil hojata h?

Answer: Roze ki halat main bilawajah pani monh me daalna makrooh hain .
Insaan piyaas ki wajah se kolli kare yani pani monh me ghomaye aur bayikhtiyaar pani pait me chala jaay to is ko faqat roze ki qaza karna wajib hay. Laikin kaffara wajib nahi hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1629,1659 ) .

Print

Id:
49568
Mujtahid:
Ayatollah Sistani Date:

Question: If a person is leaving for his home after fajr (say 7 am) and reaches his home next day after zawal (around 3pm ). What is fatwa for Roza in such a case?

Answer: Agar musafir zohar k baad apne watan pouche ya aisi jagha pouche jahaan 10 din qayam karna chata ho to ehtiyaat e ki bina per is din ka roza batil hai.aur zarore hai k is ki qaza kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1694 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49570
Mujtahid:
Date:

Question: asslam.o.alaikum myra sirf 1 sawal ha rozy ki halat main sharam gha ka bhal utarna jaiz ha ya nhi plz jawab urdu main diy plzzzzzzzzzzz

Answer: Sharamgaah k baal kaatnay se roza batil nahi hota.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,maslah #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49632
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: May rozay ki halat laita tha bed pe aur mere zehn may kch sexual khayalat a gaey, Phr may khud pe control nahi kr paya aur manni nikal gai.... may ne rokny ki koshish ki but nahi rok paya,,, kia hukum hai iska,,, kia roza sahi hai?

Answer: Agar kisi ki bayikhteyaar mani kharij ho jaay to is ka roza batil nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1570 )
Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576,) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49877
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum me ye pochna chahta hun agr rozay Kay doran mani nikal jaey tou roza rahega ya Nahi agr rahega tou gusil kese ki jaey rozay mein?

Answer: Agar rozay mai be-ikhtiari mai kisi ki mani kharij ho jae to roza batil nahi hota hai. aur ghusl ka tareeqa wohi hai jo aam tour par rozay k bagair kia jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1570) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50215
Mujtahid:
Aurangabad Date:

Question: Roze ki halat me baal ya naqun kat sakte hai kiya?

Answer: Jee han rozay ki halat mai baal aur nails katay ja saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50264
Mujtahid:
SUNI Date:

Question: ROZAY KE HALTH MAIN APNI BIWI KO BEGAIR KAPRON KAE DEKH SAKTAY HAIN,2 KABHI AGAR MANI NEKALNAY KAE BAD GUSAL NA KE HOO AGAR NAMAZ PHARNI PHARAY ASIE HALTH MAE NAMAZ JAIZ HA,AGAR ROZA RAKHNAY KAE BAD 14HR KAAM KARNA HOO AUR BHT NEAND ATI HOO ROZA RAKHNAY AUR DRIVING BE KARNI HOO TU ASIE HALTH MAE ROZA FARZ HA

Answer: 1)Shohar ka mani nikalnay k iraday k bagair rozay ki halat mai bagair kapro k apni biwi ko dekhna makrooh hai.
2)Mani niklnay k baad namaz parhnay k lie ghusl e janabat karna zaroori hai.
3)Roza rakhna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629, 356, 1696-98)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50275
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera question ya hy k mazi k nikalny sa rozay p kia asar parta hy ?? roza tote gata hy ya ni?

Answer: Mazi sai roza batil nahi ha ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50446
Mujtahid:
muslim Date:

Question: Kya rozy ki halt me itlaam hony sy roza rahta ha kya ?

Answer: Agar be-ihktiari ki halat mai kisi ki mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1570)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50456
Mujtahid:
Date:

Question: Agar jan boj kar mony nikali jae to roza toot jata ha kia tell me plz

Answer: Ji han jan boojh kar mani niklnay sai roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50469
Mujtahid:
Date:

Question: Sir,Mai ne rozay li halat me apni biwi k breast p kiss kiya aur fir fir isi beech discharge hua. Intercourse nahi kiya aur intercourse ka koi irada bhi nahi tha...aisi halat me kya hukm hai..kya ye roza valid h ya nahi aur agar nahi to fir kya ehkam hai?

Answer: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misal k taur per apni biwi se cheerh char ya hansi mazaq karay aur osay itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar osay itminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50527
Mujtahid:
roza Date:

Question: a.a sir meraa sawal yeh hai ky insan roze main ho or porn pic or video dekhy or oska kharij ho jaya mgr yeh malon no ho ky mni hai ky mazi to roza toot jata hai

Answer: 1)Jo shaks mani nikalne k irade se cheir chaar kare aur dil laghe kare laikn is ki nini na nikle to agar dobara roze ki niyat na kare to is ka roza batil hai aur dobara roze ki niyat kar le to ehteyat lazim ki bina per zarori hai k roze ko tamaam kare aur is ki qaza bhi baja lahe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1575)

2)Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. Laikin ye (kaam) roze ko batil nahe karta (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)

3)jaan bouch kar roza torne k kaffara aik mahena aik din musalsal roze rakhna ya 60 sherhefaqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faer ko 750 gram gandum , rote wagira de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50535
Mujtahid:
Ayatullah Sistani(d.b) Date:

Question: mayri wife ko raat may haiz shoro ho wah . par boohat hey alka sah. aur aus nay yah soch k roza raak liya k aabi poori tarah say haiz nahi ho wah hai... aap say poch nah yah hai k kiya aasey halath may aus ka roza ho gah yah nahi ?

Answer: 1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aaye is ka roza batil hai.
2)haiz k halat me wo roza nahe rakh sakte hai.
3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nai haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Aurat k lye halat haiz me namaz perhna aur roza rakhna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)

Print

Id:
50592
Mujtahid:
islamabad Date:

Question: salam molvi sahab mein ne ap se ye pochana hai k roze ki halat mein wife ki sharamgah mein ungali karna theek hai k nahi?????? plzz answer

Answer: Is say roza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50593
Mujtahid:
Tableeg Date:

Question: Mera sawal ye he ki muje piles ki takleef hai, me roza rakh kar ek piles ki cream istemal karta hu jisko saya 20-25mm tak toilet jagah ke undar lagana padta he jisse rahat milti he, to kya aisa karne se roza tut jayega. please jaldi jawab dijyega

Answer: Gee nahi is say roza batil nahi hota.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50609
Mujtahid:
YES Date:

Question: KIA JISM SAY BLOOD NIKALNY SAY ROZA TOOT JATA HAY???

Answer: Gee nahi, is say raza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50611
Mujtahid:
mumbai Date:

Question: asallamwalekum... kya roze ke niyat me hand se mani nikal sakte hai means masturbatekar sakte hai kya please answer de do....

Answer: Gee nahi, masturbation se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50614
Mujtahid:
Date:

Question: Rozay main meray mun main khoon jaisa aur kabhi namkin zaiqa ata hai main buhat pareshan hun thookta hun tu khoon nahi hota air waham bhi buhat hota hai zaiqa halak main bhi mahsoos hota hai mujhay plzzzzzz koi haaal batain ALLAH ap ka bhala karay

Answer: Monh main khoon aanay se roza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1556). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50615
Mujtahid:
Date:

Question: roza k haalat ma agar koi net use karta koi galat video dakh li jae . magar na mani nikla na kuch hoo to roza to nai tootta??? orjaaan booj kar b dakhi jae to b btae plz replyy

Answer: Gee nahi is say roza batil nahi hota al-batta sexy videos daikhna haram hai.
Aur agar lazzat k iraday k baghair ho tu bhi daikhna ehtiyaat e wajib ki bina par haram hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553 and jadid fiqhi masail pg254,maslah#463) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50632
Mujtahid:
Date:

Question: rozadar ager ager apni biwi k sath masti kre ur us se mani kharij hojai to kia roza tot jata hain?

Answer: Agar rozay daar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k tour par apni biwi sy dil lagi/masti karay aur usay itmenaan ho k mani kharij nahi hogi tou agrchay ittefaqan mani kharij hojaey,tu iska roza sahi hai.Al-batta agr usay itmenaan na ho tou is surat mai jab mani kharij hogi tou uska roza batil hojaeyga. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1576). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50639
Mujtahid:
Date:

Question: kya khuon niklny sy roza toot jata ha

Answer: Gee nahi khoon nikalnay se roza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50643
Mujtahid:
kay ramzan me chodana sunat hai ya gunnah hai Date:

Question: Kay ramzan me Chodna gunah hai

Answer: Rozay k doran sexual intercourse say roza batil hojaega al-batta iftaar k baad bivi se sexual intercourse kerna jaiz hai. (Ref:Ayat#ullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553)

Print

Id:
50654
Mujtahid:
roza or musht zani Date:

Question: asalam u alaikum mera sawal yeh hai ke mene roza ke doran sex pictures dekh kar mani ka ikhraj kia lekin mene hath ka istemal nai kiya.ap muje ye btaye ke is ka kafara or qaza kya hain???

Answer: Gee haan is say roza batil ho jata hai, zarori hai k rozay ki qaza bhi ki jaey aur kaffara bhi diya jaey.Aur kaffara ye hai k ya tu aik gulam azad keya jaey,ya 60 faqeero ko pait bhar kr khana khilaya jaey ya 2 months rozay rakhay jaein. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50656
Mujtahid:
Date:

Question: Assalm alaikum. Mera question yeh hai k ,kya pati patni roje me jismani talukat rakh sakte hai?

Answer: Humbistri yani sexual intercourse say roza batil hojata hai.laikin iftaar k baad ye kaam kerna jaiz hai. (Ref:Ayat#ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1565). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50658
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alekum . kia rozey me fajar ke baad my apni biwi se kiss kia koch chezao ko haat lagaya mani nahi nikli pani nikla kia hamara roza kharab hojaye ga plssss reply me im waiting ur answar

Answer: Mani nikalnay k iraday k baghair biwi say chair chaar jaiz hai,is say roza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1576). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50663
Mujtahid:
suni Date:

Question: agar rozy main mooh se khoon nikal aye aur tora buhat ap k halq se neeche b chale jaye(zaiqa mooh main aa jaye)tou kya rooza toot jata hai

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.


Agar galti say khoon ander chla jaey tu roza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1556). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50750
Mujtahid:
AHLE HADISS Date:

Question: Kya eye drops eye ma dallny sa roza toot gata ha? Plz tell me fast.........

Answer: Aankh mai dawa(drops) dalnay sai roza batil nahi hota hai chahay is ka zaiqa halaq mai mehsoos ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1557)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50758
Mujtahid:
muslim Date:

Question: agr roze main istemna kia jae to roza batil ho jata he

Answer: istmna (kise zaria se mani kharij karna )karne se roza batil hojata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1569)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50804
Mujtahid:
masla Date:

Question: MAIN ROZE KI HALAT ME APNI MEHBOOBA SE BATO BAAT PAR KUCH GLAT JAGHO PAR HAATH PHERNE KI WAJHA SE MAIN NAPAK HOGYA ... KYA MERA ROZA TUT GYA?? AUR ROZA TUTA TO KYA HUM PAR KAFFARA BHI WAJIB HUA??

Answer: ager haath pharna mani nikaalne ke iraade se ho or is ki mani nikal jaae to is ka roza batil hai or is per is roze ki qaza or kuffara wajib or ehtiyaat e lazim ki bina per is din roze ko batil karne wali cheezoo se bhi perhaiz kare, or ager mani nikaalne ke irade se na ho or itifaqan mani nikaljaae to roza sahi hai. Lekin agr apko is bat ka ilm nahi tha or in masaaail ko seekhne men apne kotahi b nahi ki to to is surat men apka roza b batil nahi hia.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1630 , 1575 , 1576 , 1562).
shoar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50809
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi ramzan main zana kray to us ka kafara kis tara ho yani kiya krna ho ga

Answer: ager koi roze main zina kare to is ka roza batil hai or is per is roze ki qaza or kuffara wajib hai or ehtiyaat e lazim ki bina per is din roze ko batil karne wali cheezoo se bhi perhaiz kare. Or roze ka kaffara ye hai k insane 2 do mmahine roze rakhe ya 60 faqeeron ko pet bher kr khana khilaye ya har faqeer ko ek mud taqreeban

Print

Id:
50817
Mujtahid:
yes Date:

Question: Mai apni biwi se phone baat kar raha tha aur Mani khariz ho gai kya mera roja batil ho gaya mera koi irada nahi tha Mani khariz karne ka.

Answer: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misal k taur per apni biwi sai hansi mazaq karay aur ose itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albetta agar ose etminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print