Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Zakaat (28 Questions)


Showing 0- 28 questions from 28 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
850
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: why is there no zakat on rupees notes

Answer: Kionkay Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29.

Print

Id:
1161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana kia gold jo zewer hotha hai women k pass aus per be zakat hothi hai? ager hai tho kitnay grams per kitni zakat wajib hai .may nay ak book may read kia hai k zewar per zakat nahi hothi.plz reply me soon thx Allah hafiz

Answer: Wo Sikkay Daar Sona aur Chaandi jo aurtain batoor e zaiwer pehenti hain jab tak wo raaij hoon yani sonay aur chaandi kay sikkon kay taur par un kay zariye lain dain hota ho to aihtiyat ki bina par Zakat dena wajib hay.Agar un kay zariye lain dain ka riwaaj baqi na ho to Zakat wajib nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1865

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana shahib kia gold jo zewer ke shap may ho aus per zakat hoti hai? plz reply me allah hafiz

Answer: Wo Sikkay Daar Sona aur Chaandi jo aurtain batoor e zaiwer pehenti hain jab tak wo raaij hoon yani sonay aur chaandi kay sikkon kay taur par un kay zariye lain dain hota ho to aihtiyat ki bina par Zakat dena wajib hay.Agar un kay zariye lain dain ka riwaaj baqi na ho to Zakat wajib nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1865

Print

Id:
1864
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Asslamalaikum.mujhe gold par jakat ke bare me malum karna hai.kya sone par jakat ramjan ke mahine se phle ada kar sakte hai.

Answer: w.s. agr insan bara mahine gaye, bhed, bakari, unt, sone or chandi ka malik rahe to un ki zakat ada kare, albatta barhwe mahine ki ibteda me koi aysa tasarruf mal me nahin kar sakta k jis ki wajh se mal khatam ho jaye. sone ke do nisab he (1) bis miskale sharee (2) char miskale sharee (ref: tawzihul masail Imam Khumeni (r.a.) masaala no.1853 & 1893)

Print

Id:
2067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, Dear Sir, I hv a confusion in zakat and khums issues. If possible advs me the specific books which can easily explain me the both. Pls advs as follows. Zakat: - Tell me process and what are the sources of income on which we hv to pay zakat. KHUMS. Tell me process and what are the sources of income on which we hv to pay zakat. Need to know the details about khum. Also advs shall I use khums money on my sister to support her family. Pls advs. Awaiting your immediate responses. Thanks & Rgds hassan

Answer: w.s. Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29. (2) Jab Insaan Tijarat, Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day. Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay, warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222. (3) zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey, is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay. jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko (ya uske wakeel ko) diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.

Print

Id:
2286
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mulana sahab zakat kaisay wajib hoti ha kahtay ha k 7:30 tolay say zayada sonay p zakat wajib hoti ha or agar 8:30 tolay gold ho to 1 tolay p kitni zakat wajib ho gi plz bataa dain.

Answer: bismehi taala, Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti. 1:Gandum. 2:Jao. 3:Khajoor. 4:Kishmish. 5:Sonay kay sikkay. 6:Chandi kay sikkay. 7:Oont. 8:Gaey. 9:Bhair bakri. 10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par. Ref:Istiftaat A.Sistani I-29

Print

Id:
3877
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA, mera question yeh hai k , ager koi burha couple ho or us k batay bhi hoon mager wo apney waldain ki zeroorat poori na kertay hon , as example, kaprey na bana k detey hon, to kia zakat k paisoon se hum unhain kaprey day sektay hain ? plz jawab zeroor dian.

Answer: Jeen haan,agar aulaad apnay waaldain k akrajaat ada nah karain tu doosray loog is is k walidain ki zakaat say imdaad kersaktay hain.laikin zakaat jis cheez ki nikaali gae ho,ya tu wo zakaat main dana hogi ya is ki qimat k baraber raqam daini hogi.zakaat ki raqam say kaprhay kareed ker daina ehtiyaat lazim ki bina par jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen Part#1,masla#1127).

Print

Id:
3905
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: zakat kin chizo par deni hogi tafsil se bataain

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay.

1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay. 7:Oont.8:Gaey.9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay.

Gandum, Jao, Khajoor or Kishmish per zakaat os waqt wajib hoti hay jab wo apnay nisaab ki had tak pohanch jain or in ka nisaab taqreeban 847 kilogram hay.
Sonay or Chandi per zakat os sorat main wajib hoti hay jab wo sikko ki sorat main hoon or on k zarye lain dain ka rawaj ho(yani raa’ijul waqt hoon).
Oont k 12 nisaab ahin jin pehla nisaab 5 oont hain.(yani agar 5 say kam oont hoon tu zakat wajib nahi).
Gaey k 2 nisaab hain jin main pehla nisaab 30 gaey hain. .(yani agar 30 say kam gaey hoon tu zakat wajib nahi).in per zakat wajib honay ki aik shart ye bhi hay or wo ye keh ye jaanwar sara saal sirif jangli gaas khaatay rahay hoon.layhaza ager sara saal ya is ka khuch hissa maalik ki gaas khaay tu is jaanwar per zakaat daini wajib nahi hogi.
Bhairh Bakri k 5 nisaab hain jin main pehla nisaab 40 Bhairh bakri hain. .(yani agar 40 Bhairh bakri say kam hoon tu zakat wajib nahi).
(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1820,1829,1864,1872,1874,1876,1877).

Print

Id:
4422
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salaam alaikum agar koi sahibe nisab ho zakat nikal ne ke baad us ke pass kuch bhi maal baqee naho to kya use zakat desakte

Answer: 1)Jis hunar mand ya sahib e jaidad ya tajir ki amdani is k saal bar k akhrajat say kam ho wo apnay Akhrajat ki kami puri karnay k liay zakat lay sakta hay aur lazim nahi hay k wo apnay kam k auzaar ya jaidad ya sarmaya apnay akhrajat k masraf may lay aye.
2)Malik jis shakhs ko zakat day zaroori hay k wo shia isna ashri ho.
3)jis shakhs ka faqeer hona sabit ho os ko zakat di ja sakti hay.
4)jo shakhs sharab pita ho ya namaz na parhta ho isi terha jo shakhs khulam khulla ghunah karta ho to ethiat e wajib ye hay k os ko zakat na di jay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1892-1909 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4440
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam Mufti Sahib, Zakat kin kin chizo per wajib hain our unka miqdar kia hain?

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaijul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4456
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya ek syed zaada ya syed zaadi jo AALE RASOOL S.A.W. hain woh zakaat dena chahiye ki nahin?

Answer: Zakat apni tamaam sharait k saath wajib hay chahae syed ho ya ghair syed laikin syed , ghair syed se halat e majboor k alawa zakat e wajib(zakaat ya fitra) nahi le sakhta aur ethiat e wajib ki bina per zarori he k aisi majboori ho k khums aur dosray zariay se aamdani k akhrajaat k lie kafi na hoon. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1918) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4614
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I have a open plot and how i have to pay zakat on it.

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay.( (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820)
Laihaza aap k plot per zakaat wajib nahi hogi.

Print

Id:
4748
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya zakat dena farz hy.ager apki incam achi nahi tu,humke pas shadi ka gold hy,mager ab itni achi incam nahi,tu pir bhi hum ko zakat lage ghi.hum ki shadi ko 3 saal ho gaye hain,

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaijul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865,1735).

Print

Id:
6306
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: If we have 30 gms of gold and 40gms of silver .....how we will pay zakat.khuda hafiz

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6840
Mujtahid:
Date:

Question: fitra kab wajib hota hai? namazke libaas ki kitne shart hoti hai

Answer: Eid ul Fitr ki raat Ghoroob e aftab k waqt chand sharait k saath fitra niklaana wajib hota he.
2)Namaz parhnay walay k libas ki 6 shrtain hain.
1 : Pak ho. 2 : Mubah ho bina bar ethiat e wajib. 3 : Murdar k ajzah say na bana ho. 4 : darenday k ajzah say na bana ho balke ethiat e wajib ki bina per haram ghost hewan k ajzah say na bana ho. 5,6 : Agar namaz parhnay wala mard ho to is ka libas khalis resham aur sonay ki kerhai ka bana hua na ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1952, 756).

Print

Id:
7446
Mujtahid:
seestani Date:

Question: salam,mera sawal yeh hai k wajib sadqa kya hai yeh kb daina hota hai.

Answer: Wajib saqday se murad wajib zakaat aur fitra he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 103, pg # 52,). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7488
Mujtahid:
Ayotullah Sistani Date:

Question: Paper money is against gold reseves of the country.Then why not Zakat on it.

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raa’Ie’jul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865,1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7723
Mujtahid:
Date:

Question: ramzan ki zakat (fitra) ke mustahik koon hai

Answer: Fitra ethiyat e wajib ki bina per faqat un shia 12 imami shia faqiro ko dena zaroori he jo in shra’it per puray utartay hoon jin ka zikr zakat k mustahikeen me ho chukka he aur agar sheher (city) me 12 imami shia faqeer na mlain to doosray musalman faqiro ko fitra day sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1972).
Jis faqeer ko fitra diya jay tu zarori nahi hay keh wo aadil ho laikin ehtiyaat e wajib ye hay k sharabi, bay namazi or jo khul’lam khulla gunah kerta ho osay fitra nah diya jay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1974) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13883
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kya 7.50 tole se oper sone pe zakat he ya 7.50tole b shamil ho ga

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein.
sona aur chandi par zakat us waqt wajab hoti hay jab sona aur chandi dhalay hoay sikkay ki soorat may ho aur in ka zariay lain dain ka rewaaj ho laikin agar lain dain ka rewaaj khatam ho gaya hay tu zakat wajib nahi hai. (ref. tuziul masail aga sistani masala # 1864)

Print

Id:
15156
Mujtahid:
Date:

Question: Aa salam u alakum mufti shahib mera swal ap se ye ha k kya main apny gher kam kerny wali aurt ko zakat k paso se eid k lye kapry ly ker dy skti hu.aur kya kisi ko zakat ki raqm daty waqt use ye btana zaruri hai k ye zakat hai ya nhi please jawab zarur dy

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay.
1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raa’Ie’jul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2)Jis sherhe faqeeer ko zakat de jaay is ko ya batana zarori nahi hai k ye zakat k maal hai. Balkeh agar faqeer zakat lene me khifat( sharam) mehsoos karta ho to mustahab hai k ise maal zakat ki niyat se diya jaay laikin is ka zakat hona is per zahir na kiya jaay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1899)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15160
Mujtahid:
Date:

Question: agar humare pas 15 tole sona hai toh uspe kitni zakat nikalti hai.

Answer: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15162
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam 0 Alikum. Mufti sahab hamara Q ye hai ke eas saal ka fitra kitna hoga. our kahete hai ke hamari salary me se bhi kitna persantejh nikal na hoga. Please hame bataye.

Answer: Jo gheza aap k shr(city) me istemal hote hai maslan gandum , jou in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat)dena hota hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15927
Mujtahid:
aaqa khumeni Date:

Question: SALAAM WO LOG JIN K APNAY JEWELLERS HAIN AUR BANAY HUAY ZAIWRAAT KI KHAREED-O-FIROKHT KERTAY HAIN....UN K LIAY ZAKAAT KA KIA HUKAM HAY????????

Answer: Sonay par zakaat os surat mai wajib ho gi jab sona moamlay k lie raij sikka hona jo badshah ya is ki terh kisi markaz ki taraf sai mohar shuda ho agar chah wo kisi khas zamanay ya jigah si hi taluq q na rakhta ho. Islam ka sikka ho ya kufr ka, is par kuch likha hua ho ya na ho agar chah baad mai os ki likhai kisi wajha sai mit jae to bhi koi faraq nhi parta hai. Lakin agar pehlay sai mohar shuda aur likha hua na ho to os par zakaat wajib nhi ho gi magar ye k wo raij ho to ehtiyat ye hai k is par zakat wajib ho gi aur agar mohar shuda sonay ko zinat k lie zewar k tour par istemal kia jae to phir is par zakat wajib nhi ho gi. chahae is tareeqay sai is ki qimat ziada ho jae ya kam ho jae chahae is surat mai is ka lain dain mumkin ho ya na ho. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 2, Maslah # sonay ki zakat ki shrt, Chapter : Zakat). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16257
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b Date:

Question: Masjid ki tameer ya murmmat mai hissa lenay k lie kia fitra istemal kia ja sakta hai?

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par ye jaiz nhi hia. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 220, pg # 106)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32704
Mujtahid:
Aya tullah Sistani Date:

Question: AOA...kia zakat k paise kisi imam bargha ki tameer k liye diye ja sakte hen??

Answer: Zakat ka malik Zakat ko ehtiyat e lazim ki bina par imam ya naib e imam(mujtahid) ki ijazat k bagair fi sabil allah yani wo kaam jin ka faida tamam muslmano ko hota ho maslan masjid ya imam bargah tamer karana wagira mai istemal nahi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1889)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41065
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAMUALAIKUM, meri shadi nahi huwi hai, 3 sal se gold banaye rakein hai, mere parents is duniya nahi rahe, tho kya muje apne zewarath bech kar k zakat nikalna chahiye..........., JAZAKALLAH.

Answer: Gold ya silver k zewaraat per zakaat wajib nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1865). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41067
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAMUALAIKUM, kya hum zakat k paise apne sister k bachon ko padhayi karne k liye desakte hai ?

Answer: Wssalam o alykum, ager un main zakaat lene wale ki tamaam sharaait mojood hai to de sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1889 to 1919 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
48319
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Kia syed ko fitra dia ja sakta hai?

Answer: Syed ka fitra syed ko dia ja sakta hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print