Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Umrah (59 Questions)


Showing 0- 50 questions from 59 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
9332
Mujtahid:
Date:

Question: aslam o alikum kia koi aurat apny husband ko btaey bgyr khyrat kr skti ha ya kisi ko umrah krwa skti ha(apni job k pysun sy)jb k iss baat ka andysha ho k oss ka husband osy iss ki ijazt nai dy ga plz reply JAZAK ALLAH

Answer: agr wo pese orat ki milkiyat hen to wo us ko istamaal kar sakti hai, han agr uske shohar ki milkiyat hen to us ki ijazat ke bager istamal nahi kar sakti.
(Ref: syed sistani, mujtahid se poche gae sawalaat, jild # 4, masala # 147, ALLAH ap ki toofeeq main izafa farmaae)

Print

Id:
12991
Mujtahid:
Ummrah Date:

Question: Kya bada bhai apne behan ki shaadi na kare aur apne biwi ke saath ummrah krne jaye toh kya ummrah hoega.

Answer: Jee haan . ye umrah durust shumaar hoga agar umray ki dosri shara,it ka bhi khiyaal rakha gaya ho.( Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=846466&id=55&pid=2945 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
13062
Mujtahid:
Date:

Question: umra kitna din bad kia ja sakta hai. aur har bar baal katnay zarury hain

Answer: Saal k her mahinay main umra e mufrada kerna mustahab hay.or 2 umro k dermiyaan 30 din ka waqfa zarori nahi hay.Laihaza aik umra mahinay k akhir main or dosra mahinay k awwal main kerna jaiz hay. Aik mahinay main 2 umray kerna chahay apni taraf se ya kisi or ki taraf se jaiz nahi hay.taa,hum dosra umra rija(hope) ki niyat se anjam dainay main koe haraj nahi hay.isi terah agar aik umra apnay liay or dosra umra kisi or ki taraf se ya dono umray 2 mukhtalif afraad ki taraf se hoon tu phir aik mahinay main 2 umray kerne main koe haraj nahi hay.umra e mufrada or umra e tamat,tu k dermiyaan 30 din faasla hone ki shert main ishkaal hay.(Ref:A.Sistani(d.b),manasik e haj, maslah# 137, +http://www.sistani.org/index.php?p=846466&id=55&pid=2949 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15536
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alaikom..mera sawal hai k kia main apni aunty jo k recently Allah ko pyari ho gai hai unn k ley umrah kr sakta hu???

Answer: Gee haan, ker sakty hain. (Ref : Manasik e hajj , Ayatullah Sistani d.b. masla #137 )

Print

Id:
16469
Mujtahid:
Date:

Question: Salam meraQ ya k nhi mera abhi delivery howA ha tu ab mera Sava mnth start howA.ha kya ma is halat ma umer kar sakti ho plsz jaldi jawab do

Answer: Umra mufrada ka saal k har mahine me karna mustahab hai.(lehaza app ummra karsakte hai).(Ref : Aqai Sistani, Manasik_e_Hajj, Pg : 46, Masla : 137, Edition#1996).(Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye)

Print

Id:
35023
Mujtahid:
umera Date:

Question: kia agar aurat ki umer 40 saal se ziada ho to kia wo bagair muhram ki umera pa ja sakti ha? plz muje jawab jaldi de meherbani ho gi

Answer: 1)Mustahab hajj mia aurat k lie sohar ki ijazat shrt hai.(Ref : Manasik e hajj masla # 134)
2)Wajibat ka khayl rakhtay huay aurat na mehram k sath hajj par ja sakti hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal #119 ,pg # 63)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44372
Mujtahid:
Date:

Question: salam.. molve sahab, mein yea pochna chati ho kya ummrah aise admi ka kabool hota hai jo apni biwi or aulad ka haq pora nahi krta ho un ke zimadari pori nahi krta ho jo un ko pochta nahi ho biwi or bachy bimar ho jaye un ka kharcha nahe deta ho apny sath biwi bacho ko nahe rakhta ho aur logo kay paisy ley kar un ko wapis nahi kiya ho karza ho jis par or logo ko khafa kiya ho or mafi bhi nahi mangi ho or ummrah bhi apny paiso ke jaga apni behen bhai ka paiso par kiya ho kya aise admi ka ummrah kabool hota hai or allah pak aise admi ka lia kya farmata hai jo aulad or biwi ka haq pora nahi krta ho or sirf apni zindagi ke har zarorat pori kr raha ho..

Answer: Umra kerna mustahab kaam hay jab k bivi bacho ka naan faqah(kharcha) or in k bimaar hone ki sorat main ilaj kerwana , or qarze ki raqam ko waqt per ada kerna wajib hay or isi terah momeen ko aziyat daina haram hay. Haan agar koe doosra shaks umre ki raqam day ker kahe k umre per jao tu os ka ummre per jana sahi hoga laikin os ko chahiay k wo jitni muddat k liay umre per jaey utni muddat k khache ki raqam ya samaan apne ghar walo ko de ker jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #422 , Eidition 1417 hij)+ (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #985 , Eidition 1417 hij)+ (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Edition# 2013,Mafhoom e Maslah #49,136). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45699
Mujtahid:
Date:

Question: Ager ap makah men hain to aik umrah k bad dosry umrah men kitny din ka waqfa hona chahiye

Answer: Umrah mufradah ka saal k har mahinay mai baja lana mustahab hai 2 umrah k darmian 30 din ka fasla hona motebar nahi hai pas jaiz hai k aik umrah mahinay k aakhir mai baja laye aur doosray ko doosray mahinay ,ai . 2 umrah ko aik mahinay mai baja lana jaiz nahi hai. (Ref : Manasik e hajj Ayatullah Sistani masla # 137)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48029
Mujtahid:
Date:

Question: sir Allah k karam say mai kuch dino bad umrah ka liya ja raha ho mara ap say ye sawal hai k during tawaf agr hawa haraj (fart) ho jay tu kia karna chahiya.. tawaf jari rakhay ya kia Karin... aur agr tawaf jari rakhy tu kia umrah ho jay gha... plz reply Karin....

Answer: Agar tawaf k doran hadas sadir ho jae to is ki chand suratain hai. 1: Hadas chotay chakar k puray honay sai pehlay hua ho to is surat mai tawaf batil ho gaur taharat k baad is ko dubara karna ho ga. 2:Hadas chotay chakkar k mukammal honay k baad hua ho aur bagair ikhtiar k hua ho to is surat mai apnay tawaf ko rokay aur taharat kar k phir jahan sai chora thaw aha sai idama dai kar pura karay. 3: Hadas chotay chakkar k baad hua ho laikin is k ikhtiar sai ho to ahwat ye hai k is surat mai taharat kar k tawaf ko jahan sai chora thaw aha sai idama dai kar pura karay aur phir dubara bhi karay. (Ref : Manasik e Hajj masla # 285)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53084
Mujtahid:
Dargah Sunni Masjid Date:

Question: this is for my friend. we want to know that if she has separated from her husband but is still not divorced and she wants to go for Umrah with her father so can she go or she has to inform her Husband and take his permission from him as she is still in his Nikah. Please answer us as she wants to submit her passport for that.

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Yes she go for umrah.(Ref: manasik e haj, ph#134) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
63831
Mujtahid:
Date:

Question: agar umrah krty waqat or ihraam ma naak se blood nikalna shoro hojaye tho kia dum wajib hoga, agar han tho kia dum hoga

Answer: Agar jaan bojh kar nahi nikala to koi kaffara nahi hai, warna ager Umra e Mufrada hai to 1 bakri Makkah Mukarrama main zibah karain or ager Umra e Tamattu ya Hajj hai to is ko Mina main zibha karain. (Ref : manasik e hajj , topic # Mina main Qurbani , pg # 99 ,Mafhoom e maslah# 103). Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63899
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Janab. Salaam Alehkum... Janab Mai Bahreen me Job karta hun kuch din pahle ek Qafile ke saat Umra karne gaya tha pahle ham log Madina gaye but mere Qafila salar ne bola ke Madina ke Miqaat se Ahraam Pahnna Zaroori nhi hai to ham logo ne Jojfa (Rabigh) se Ahraam pahna kya ye sahi hai ya mujhe Damm dena padega please Reply....

Answer: Umrah e mufrada ka ahraam johfa se bandhna jaiz hai. (Ref: Manasik e hajj ,ayatullah sistani, Pg#48, Mafhoom e Masla#140). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65667
Mujtahid:
Date:

Question: umrah k liye jaty waqat nail katne chahiye k nahi

Answer: Umre ka ehram pehenne se pehle mustahab hay k nakun bhi katay jain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #454 k baad). Update on dated 23-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65848
Mujtahid:
Date:

Question: kia hum zinda banday ka umrah kar saktay ha plz mujhay apni wife ki dadi ka ur apnay father in law ka umrah karna ha

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e haj, Mafhoom e Maslah #129). Update on dated 24-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75710
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Umerah karna jaiz ha agar app pe loan hu ur app ka pass raqam bhe hai tu Kia pehla Umerah karna chiya or udehar utarna lazam hai

Answer: Jo shaks makah k haram se bahar ho os per umrah kerna wajib nahi hay or qarz ko waqt per wapas kerna lazzmi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b),Manasik e Haj,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #136, Minhajus saliheen, part#2, mafhoom e maslah#992). Update on dated 20-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75894
Mujtahid:
Date:

Question: Kia umrah group mai jaiz ha jis mai ap ka apna mehram na ho??

Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay, mehram ki koe shart nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 11-01-2020. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76154
Mujtahid:
Date:

Question: umrah mai kitne bal katana chaie aajkal fashion ho gya hai ki thode se bal katate hai aur khte hai sunnat kata lia

Answer: Thorhay se sar ya moncho ya darhi k baal kaatna kafi hay, agarchah afzal ye hay k sar mundwaya jaey.(http://www.sistani.org/arabic/book/14/3547/ ). Update on dated 30-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77191
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: My husband is going for Umhra on 24th of this month . He suffer from gastric problem and is not able to control his ria. How will he be able to perform all his required ahkams when he is not in the state of waju .

Answer: Agar kisi bhi waqt itna mauqa nah milay k mukammal tawaf kia jaa sake tu phir aik hi wuzu se tawaaf kia ja sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e haj jadeed ,Mafhoom e Maslah #296). Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya na mehram aur zinda shaks ka Umraah kiya ja sakta hai?

Answer: Jee kia ja sakta hy. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #526). Update on dated 29-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88610
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalamualekum. mera sawal ye hy k hm pakistan sy ja rheen hean umrah krny to ye lazmi hy k phly makkah jaean umrah k baad madina jaen. q k hamara route pakistan sy madina hy wahan 5 days stay hy us k baad makkah jaen gy umrah ada kreen gy wahan 5 days stay hy pher wapsi hy pakistan. to kia es me koi harj to nhi k phly madina jaen?

Answer: Nahi aisa karnay mai koi harj nahi hai q k ahraam baandne k liye mukhtalif meeqaat hain jin mai sai aik zul hulefa hai ye madina munawwara k nazdeek hai or ye har us shaks k liye meeqaat hai jo madina mai rehte hai ya madine sai guzar kar jaana chahte hain.(Ref:manaasik e hajj ayatollah seestani page no 99). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89138
Mujtahid:
Date:

Question: Salam alaikum, Main Umrah k ja rha hu Allah k fazal se aur mjhy ye janna he k mjhy chalty phirty masana se drops atey hain aisi halat main kia krna chaeay?

Answer: Agar ap ko itna wqt milta hy k namaz parh saky to phir aap ko namazen usi waqt men perhni hongi or isi tarh tawaaf bhi paki ki halat men karna hoga or har wo amal jis k liay taharat shart hay usay paki ki halat men anjam dena hoga or jahan tak mumkin ho apnay badan ko pak rakhen. (Ref: ayatollah sistani d.b, Minhajus Saliheen, jild#1, pg#56). Update on dated 26-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89192
Mujtahid:
Date:

Question: Can I do Tawaf for my dead mother

Answer: It is lawful .(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/7704/ ). Update on dated 08-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92799
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-27

Question: Assalam alailum.. Jo shohar apni biwi par kisi tarah ki tawajjo ni deta aur biwi 7saal se apne ghar pe rah rahi ..aisi haalat me biwi umrah karne apne waalid se sath ja rahi.. kya biwi ka shohar se ijaazat lena zaroori hai

Answer: jee haan shohar ki ijazat lena zarori hy. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2367 ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92841
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-29

Question: Kya umrah k bad sex ho sakta hai

Answer: Tawafun nisaa say pehly biwi k sath hambistri karna jaiz nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b),Manasik e Hajj ,Mafhoom e Maslah # 139/420). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93392
Mujtahid:
Date: 2019-02-06

Question: kya ek shohar apni bv k kharchy py umrah kr skta hai?? agr koi bv apny shohar ko umrah krwana cahy to kya koi harj hai??

Answer: Ji han shohar apni biwi kay kharchay say umrah kar sakta hai koi harj nahi hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#02,Mafhoom e Maslah # 1310/11).
[Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94852
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-23

Question: Mera bhai 16 saal ka hai aur baligh hai. Agar mai meri bhen aur meri ammi uskay sath umrah ka safar kren tou kia wo jaiz hoga?

Answer: Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Q1-kia qarz ly kar umrah krna Jaiz hy? Q2- kia apny parents ko qarz ly kar umrah krwana jaiz hy? --parents (Dada-Dadi-Walda)

Answer: 1- jaiz hay. 2- jaiz hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2949/)

Print

Id:
98906
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia umra kay bad bal khud Kat sakta hain

Answer: jee haan, jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2976/).Update on dated 27-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
101162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslamo alaikum.. Kya kisi or ke istemal kiye hue Ahram se umrah kia jaa sakta hai...?

Answer: Ehram k kaprhe main wohi sharaet mutabar hain jo namazi k liabas main mutabar hain, is laiy agar malik ki ijazat ho phir wo ehram pehena jaiz hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e haj, maslah #192). Update on dated 18-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103037
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-11

Question: Kya aurat apne husband ke hote hue bete ke saath umrah kar sakti hai

Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay, mehram ki koe shart nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103243
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-01

Question: Agr umrah ki niyat k bf ghalti s handwash use kr liya jaye to umrah pr is ka asr kia ho ga?

Answer: Muhrim k liay kushbo ka istemaal haram hay chahay soongne, khane, malne rang karne ya bukharaat lene k liay k zarye se ho. Is par koe kaffara wajib nahi hay.(Ref: Manasik e hajj, pg#140).
[Updated on 01-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104118
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Kya umrah sy pehly gher zarori bal saf krna zarori hai

Answer: 1) Riwayat k mutabiq puray badan k baal saf karna hatta k sharamgah k bhi mustahabb hai. 2) Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104278
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kya na mehram k begahir umrah kiya ja sakta ha ? meri talaq ko 4 sal hugaye hain aur meri 8 sal ki beti b ha jo meray sath jayegi ?

Answer: Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-22

Question: Kya shohar biwi k paise se umrah kar skta hai?

Answer: (agar biwi apne khushi se shohar ko paise de tu) shohar apni biwi kay kharchay say umrah kar sakta hai is me koi harj nahi hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#02,Mafhoom e Maslah # 1310/11).
[Updated on 22-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111246
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-31

Question: Salam, mere husban umrah karna chahte hain par corona ki waja se umrah ke permit mae srf ek tawaf aur sayi kar sakte tawaf un nisa karne ki ijazat nahi hai... kia unko umrah karna chahye ya tawaf un nisa chor sakte aesi halat main?

Answer: Umra karna wajib nahi hay. Agar umra kia or tawaafun nisa nahi kia tu bivi se hambistari karna haram rahe gi. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2949/+https://www.sistani.org/urdu/book/62/2978/)
[Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116263
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Agar umrah karny kay baal katna bhool jaye or ehram khol day to phir jab achanka yaad aye tab baal kaat sakty hain

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
agar koi umrah mufradah me taqseer ( yani khuch baal kaatna ) bhool jaay tu is per wajib hay ke taqseer kare (yani khuch ) baal kate take halat ahraam se nikal sake .(ref: manasikehajj,aqa sistani,arabi,masla no : 140 ke hashia no 71 ke baad sawaal no :4
(Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), edition #4, maslah #355,manasike hajj ,urdu,masla no:350).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116283
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: I work online and I want to go for Umrah but my team and job is very dependent on me. Is it allowed to work online for a small part of a day during Umrah or even Hajj?

Answer: Yes, it is lawful to do work when you free from tawaf of umra and hajj. (Ref: manasik e hajj, maslah#199-280).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120531
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-23

Question: Haji agar Mecca se Jeddah ghumne gaya h phir wapas Mecca ana h use to Umrah zaruri h ya ni

Answer: Makkah main balkeh haram main baghair ehram k dakhil hona jaiz nahi hay. or jo shaks hajj k mahino k alawah makkah ya haram main dakhil ho os per umra e mufradah karna wajib hay. [Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-14

Question: Hajj ka bad Agar tawaf e weda sa pehla umra ker loo to iski kia saza ha

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq Tawaf e wida aik mustahab amal hai, agar Hajj ke baad tawaf e wida na kiya jaye or is se pehle umra kiya jaye to koi haraj nahin hai or koi saza ya kaffara nahin hoga.
(Ref: Manasik-e-Hajj {urdu}, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #338).
[Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121126
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-27

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Umray ki do aqsaam hain:
1. Umra mufrada(عمرہ مفردہ).
2. Umra tamattu(عمرہ تمتع).
Umra mufrada mein dono par tawafunisaa wajib hai jab ke umra tamatu mein dono par wajib nahin hai.
(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), pg #254,205, maslah #135,139).
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121127
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-27

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Umray ki do qisme hain:
1. Umra mufrada(عمرہ مفردہ).
2. Umra tamattu(عمرہ تمتع).
Umra mufrada mein dono (mard or Aurat )par tawaafunisaa wajib hai jab ke umra tamattu mein dono par tawaafunisaa wajib nahin hai.
(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #135,139).
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-27

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-27

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: Asalamoalikum mai umrah krne makkah i hon mere walid ne ek din pehly umrah kia he kia woh aj pir humai Masjid Ayesh ly ja kr umrah dubara krwa skhty hain .

Answer: 1: Umrah, hajj ki tarah kabhi wajib hota hai aur kabhi mustahib aur umrah ya mufrda hota hai ya tamattu.
2: Saal ke har islami mahinay mein umrah mufrda karna mustahib hai aur do umron ke darmiyan tees din ka waqfa zaroori nahin hai. lehaza aik maah ke aakhir aur dosray maah ke awwal mein umra karna jaaiz hai. aik mahinay mein do umre karna chahe apni taraf se ya kisi aur ki taraf se jaaiz nahin hai. taa hum dosra umra Rija ki niyat anjaam dainay mein koi harj nahin hai.
(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #135,137).
[Updated on 05-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-08

Question: Assalamualaikum kya Umrah krny k lye kisi or ka Istimal shuda Ahram band kr umrah kr sakty han.

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121216
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-10

Question: agr kise pa FIR ho likn zamnitan ho gayen ho to kia wo out country umrah ka lye ja sakta ha

Answer: Agar hukumati koi rukawat nah ho( ya ni hukumat or qanoon ki taraf se ijazat ho) to jaa sakta hai.

(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #3 to 72, & pg #10,15).
[Updated on 11-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121340
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-08

Question: Kia ek umrah krky us umry ko do logon k nam kia jaskta hai?...

Answer: Mustahbaat aur wajibaat mein khud apne amal ko marhomeen ya zindah afraad ke liye Hadiya karna jaiz nahin, lekin amal ke sawab ko Hadia karna jaaiz hai, balke Mustahab hai. neez insaan ke liye jaaiz hai ke mustahib ya wajib kaam apne liye khud anjaam day aur phir is ka sawab marhomeen ya zindah afraad ke liye Hadia kare.
Is baat ka zikr karna munasib hai ke sawab ka Hadia karna un wajibaat ke saqit hone ka sabab nahin bane ga jo marhomeen ya zindah afraad ke zimmay hain.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #2141).
[Updated on 08-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121532
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-12

Question: umera ma ma ka jata hai ya nahi?

Answer: Aap ka sawal k waazih nahin hai, barahe karam aap apna sawal wazih karen.
[Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121665
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-12

Question: Agar ek din niyat krli ho to agly din Umrah krna theek ha? Or is k beach ahram utar skte hen sonay k lye??

Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. isi tarah jab doosri chadar mein sharait mojood hon to badla bhi ja sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198).
[Updated on 13-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121674
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-16

Question: Umrah krne se phle e ehram utar dena la ilmi me to us ka kya hal he?

Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza agar ehraam ka libaas utaar diya hai to koi haraj nahin hai, dobra ehraam ka libaas pehna jaa sakta hai, Han albatta ye baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke (umre ke) wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print