Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Umrah (59 Questions)


Showing 50- 59 questions from 59 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121800
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-06

Question: Assalamualaikum sir ma Sirf AP sa ya pouchna chata hoo ka Kia hum shadi ka bd Umrah pr jaha tw kia hum Maka ma sex kr sakta hai? I know question buhat gatiya hai lakin I need answer about my question. ND don't hate me plz thank you

Answer: Muhrim (yani jo halat e ehraam ho) chahe mard ho ya aurat is par, umra tamattu ke dauran, umra mufrada ke dauran aur asnaaye hajj, tawaf-un-nisaa se pehlay jimaa (sex) karna Haram hai, is ke alawa jaiz hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #2215. + Manasik e hajj, maslah #219, pg #156,169).
[Updated on 07-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122185
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-26

Question: Assalamualaikum Kya orat ko Umrah krty waqt naqab krna mna ha?

Answer: Aurton ke liye chehra ka chhupana
1: Haalat ahraam mein aurton ke liye burqa, naqaab ya chehray se chipaknay wali cheez se chehra chhupana Haraam hai chunanche ahwat yeh hai ke apne chehray ya chehray ke kuch hissay ko bhi kisi cheez se nah chupaye taham sotay waqt aur namaz mein sar chupatay waqt muqadme ke taur par jab sar par maujood chadar ko latkanay se nah chup sakta ho to chehray ka kuch hissa dhanpnay mein koi harj nahin hai.
2: Haalat ahraam mein aurat apni chadar ko latka kar, na-mehram se parda kar sakti hai yani sar par maujood chadar ko apni naak balkay gardan ke maqabil tak khench lay aur azhar yeh hai ke chadar ke is hissay ko haath waghera se chehray se door rakhna wajib nahin hai agarche ahwat hai.
3: Ahwat e aulaa ye hai ke chehra dhanpnay ka kaffara aik bakri hai.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #266,267,268).
[Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-13

Question: AsSalam o Alaikum Kia umrah per janay k liye haiz rokne ki phele se goliyan khana sahi ha?

Answer: Jee han, Aurat ke liye jaiz hai ke wo apne haiz ke mahaana ayyaam me dawaei ke zariye tabdeeli kar lay taake wo apne waajibaat maslan roza aur manasik hajj (ya umrah) wagaira sahoolat se ada kar lay. is shart ke sath ke us aurat ke liye aisa karna ziyada nuqsaandeh nah ho aur agar wo aurat in dawaon ke istemaal ke baad aisa khoon dekhay ke jo muttasil nah ho, agarchay aurat ke mahwari ke muqarrara ayyaam me ho to us khoon par haiz ke ahkaam jari nahin hon gay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #73, pg #467).
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123136
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-25

Question: Assalam O Alaikum! Baar baar Riya ka masla hai, Umrah e Mafarrada me Kaba k sath chakkar kaise lagayain?

Answer: Tawaaf ki sharait me se aik shart Taharat hai. yani tawaaf karne wala Hadas e akbar (jis ki wajah se ghusl karna zaroori hota hai) aur asghar (jis ki wajah se wuzu karna zaroori hota hai) se pak ho, chunanche jaan bhooj kar ya laa ilmi ya bhool kar haalat hadas mein kya hua tawaaf baatil hai.
Albatta agar tawaaf ke dauraan hadas saadir ho jaye to is ki chand soorten hain:
(1) Chautha chakkar mukammal karne se pehlay ho to tawaaf baatil ho jaaye gaa chunanche pak hone ke baad tawaaf dobara anjaam dena zaroori hai, balk azhar ye hai ke chauthe chakkar ke aadhe tak puhnchane ke baad bhi agar hadas saadir ho tab bhi tawaaf baatil hai aur dobara anjaam dena zaroori hai.
(2) Chautha chakkar mukammal hone ke baad ghair ikhtiyaari taur par hadas saadir ho to apna tawaaf qata kar ke Taharat kare aur Taharat ke baad apna tawaaf jahan se chorha tha wahein se shuru kar ke mukammal kare.
(3) Chautha chakkar mukammal hone ke baad ikhtiyaari taur par hadas saadir ho to ahwat ye hai ke Taharat ke baad is tawaaf ko poora bhi kare aur is ke baad tawaaf ko dobara bhi kare.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #285).
[Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123198
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-02

Question: Kya main udhar lay k umrah kr sakhta hun mera karobar hai or kch payments nhi ayi to is surat main kisi or say paisay lay k umrah kr sakhta hun, wapis akay usay udhar luta diya jaye

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq udhaar lay kar umrah kar sakte hain lekin jo shakhs makkah ke haram (حرم) se baaher ho, us par umrah karna wajib nahin hai, balke mustahab hai, jabke qarza liya jaye to us ka apne waqt par waapis karna lazim hai.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah # mafhoom e maslah #49,136. + Minhaj us saliheen, part #2, mafhoom e maslah #985,994).
[Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-19

Question: Salam, sir I am married with two kids and job holder, I do my everything at my own grocery, kids fee their clothing's everything , I want to go to umra with my mother. She has managed hee own money and I am taking my salary with me. My husband is not allowing me and every time start abusing me and called umra as "lanti umra" naozbillah ... Allah reham... Every time he start fighting over this . I am not taking kids with me and I have manage a ful time maid for my kids otherwise I have saas susar other maids at home as well.. please tell me ..Mera umra accept hoga ? I am very upset and depress

Answer: Makka (macca) aur is ke aas paas 16 kilo meter me rehne wale afraad ke alawa deegar ghaon, shehron ya mamalik logon ke liye "Umrah" baja lana ye mustahab ibadaat me se hai aur mustahab ibadaat ko anjam dene ke liye ghar se baahir jana ho to shohar ki ijazat zaroori hai, aur shohar ki ijazat ke bagher Umrah pay nahin jaa saktein.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #59,134,136).
[Updated on 20-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: AoA, Hum umray k liay ja rahay thy per rastay mai bar bar humari gari kharab ho jati jic ki waja sy bohat parachani hoti, hum saudia mai hi rehty hain lekin jab b umrah k liay jian gari rastay mai garbar krti per ic dafa to woh bilkul hi kharab ho gai k humain usay chor k dosri gari mai aana parha kia ic ka matlab hum sy koi galti hoi hai ya Allah razi nae hai hum sy jo rastay mai mushkilain aati hain, weisay b humaray sath har kuch din bad koi asa kharcha aa jata hai jic sy poora budget kharab ho jaye rizk ki taraf sy parachan rehtay hain

Answer: Sb se pehlle to ap parwardigar se khuloos e dil se Toubah talab krein or apne lie Umreh ki sadat ki dua maangein. Sath hi nsath yh aamal bhi anajam dein InshaAllah ap ki pareshani door hogi
"Jaiz hajaat ke liye Rozana 100 martaba yh parhna yaqeenan mufeed hai ( Ya qaahiral adowwe waya waaliyal walyiyye ya mazharal ajaaibay ya Murtazaa Ali )
Surah e Zariyat(surah #51) aur Surah e Alam Nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee (ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai."
Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye
(Ref: Wazaif e Talib pg # 75, Kitab Payam e Shifa Pg # 236)
[Updated on 29-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123598
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-18

Question: Asalam u alaikum, agar koi banda Miqat se Umra ka ehram bande niyat b kary or nafal b ada kary or makkah pohanch k ehram khol dy tu kiya ous pe b dam ho ga ya nahi ?

Answer: Ehraam bandhna wajib hai warna is ke bager hajj ya umra nahin kar sakte. Lekin niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lehaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. (hajj o umrah sahi hai). isi tarah jab doosri chadar mein sharait maujood hon to tabdeel bhi kiya jaa sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), maslah #140,158,195,197,198).
[Updated on 18-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123623
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Asalam u alaikum Kia me rat ko umra mufrida kr skta hoon? Kia me apny walidain ke ley umra kr sakta ak umra jis ka swab mery waledain ko ak sat mily? Brae mehrabani rehnumai farmaie ga shukrya

Answer: W.slm
G blkl raat ko bhi umrah e mufrida kia jaskta hai and ek hi umreh ko tamam zinda murda marhoomen k lie anjam de skte hai
(Reff: Manasik e Hajj, Aga Sistani d.m)
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print