Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Question & Answers << Go Back

Topic: Aitikaaf (80 Questions)

Showing 50- 80 questions from 80 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123357
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-18

Question: Kya itikaaf me kapde change kr skte hai masjid ke andr hi

Answer: Agar masjid me kapre tabdeel karne ka koi ehtimaam ho maslan parda laga kar to phir masjid me kapre tabdeel kar sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #27,28,29).
[Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123377
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Kya iteqaaf mein message par apny shohar sy zrori bt ki ja skti hai???

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan shohar se baat karne me koi haraj nahin hai aur baat karne ka waqt bhi muayyen nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123381
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Orat agr ghr me itkaf kry or ghar hr time shor ho washroom aty jaty b koi privacy na ho or jidr itkaf kia ho us jgha machar or inteha ki saffocation ho jis se ibadt me koi mza na ara ho ..usko lgy k wo itkaf se bahr ja k achi trha ibadt kr skti h .to kya itkaf chor dena sahi h .itkaf py bethy 4 din guzr gye hon ?????

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123386
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Kia hum 5 din ka ahtikaaf kr k khtm kr skty h..Agr niyat 10 din ki ho.. Pr Kisi waja se uthna par jaye tw itiqaaf khtm kr k uth skty hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Agar aitekaaf ke 5 din mukammal ho jayen to zaroori hai ke chhate din bhi aitekaaf karen lekin 5 din mukammal hone se pehlay aitekaaf ko khatam kiya jaa sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #3,10,11).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123387
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: aitakaf k lie quran para hona lazam hai jo log quran nahi pare wo Aitakaf nahi kar sakty

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (yani qiyaam kare). aur behtar ye hai ke theherna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho. lekin Quran parha hona lazim nahin hai, balke jis koo Quran parhna nahin aata wo bhi Aitekaaf kar sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,5,10,11, pg #477,478).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123395
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: کیا عورت اعتکاف میں نہا سکتی ہے

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Aitekaaf ke dauraan nahana jaiz hai lekin masjid ki hudood se baahir nahin nikal sakte.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123397
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Agr bivi itikaf bethi hai to kya uska Shohar us k pas beth sakta hai k nhi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Aitekaaf ke dauraan Shohar, biwi ke pas beth sakta hai Albatta Aitekaaf ke dauraan biwi se jima aur mail milap karna ye Aitekaaf ko baatil kar deta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,13).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123408
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Wazoo karny k bad Aitikaaf main agar mohn say kuch lafaz nikal jahy tu kya aitikaaf toot jata hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, is se aitekaaf baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #13).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123409
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Itqaf 3 din ka kis rozy betha jaye ga 26 way rozy ki rat ko ya 27 wy rozy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf ke aaghaz ka waqt pehlay din ki azaan subah se hota hai aur ehteyat-e-wajib ki bina par is ki intehaa teesray din ki azaan maghrib tak hai aur Aitekaaf ke saabit honay mein teen makhloot din kaafi nahin hain yani koi shakhs yeh nahin kar sakta ke pehlay din azaan-e-subah ke baad Aitekaaf shuru kare agarche pehlay din ki kami ko chouthay din se poora kare maslan Aitekaaf karne wala pehlay roz zuhur ki azaan se chouthay roz zuhur ki azaan tak masjid mein thehray (to is soorat mein Aitekaaf kaafi nahin hai).

Note: 26 rozay ko aaghaz karen ya 27 rozay ko. Aap sawal ke lihaaz se 26 rozay ki azaan-e-subah se aaghaz karen gay to is ki intehaa 28 rozay ki azaan-e-maghrib tak hogi. Aur agar 27 rozay ki azaan-e-subah se aaghaz karen gay to is ki intehaa 29 rozay ki azaan-e-maghrib tak hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #4, pg #477).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123411
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Aetkaaf men mehendi lagwa skty hyn??? Jesy 30 rozay hoty hyn to aetikaf sy uthny sy pehly lagwa skty hyn???

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Aitekaaf ke dauraan mehndi lagwayei jaa sakti hai lekin us ki khushbu soonghi nahin jaa sakti, Q ke Aitekaaf karne walay ke liye har qisim ki khushbu ko soonghna chahay is se lazzat haasil ho ya nah ho jaaiz nahin hai. Aur agar jarri bootiyon ke soonghnay se lazzat haasil ho to jaaiz nahin hai aur agar un ke soonghnay se lazzat haasil nah ho to koi ishkaal nahin hai. isi tarah aitekaaf karne wala muattar aur khushbodar dhonay walay mawaad jaisay maya(مائع) ya thos(ٹھوس) sabun, shampoo aur khushbodar tooth paste se istifada kar sakta hai aur masajid mein baghair aitekaaf walay aam taur par itar lagatay hain, un ke itar ki khushbu ko soonghna jaaiz nahin hai lekin itar ki khushbu ka mehsoos hona zaahiran koi haraj nahin rakhta aur yeh bhi zaroori nahin hai ke apni naak ko band kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,13,14).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Aitikaf ma aurat ghar change kar sakti hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123415
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: السلام وعلیکم ۔۔۔۔ سر اتیکاف کے دوران بال کا ملنا کیسا ہے؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.
2: Aitekaaf ke dauraan baal ka milna koi haraj nahin rakhta.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,13).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-17

Question: Kiya halate etekaaf me jagah Kam hone ki wajah se khwateen bed par beth kar tilwate Qur'an or zikro azkar kar sakti he ya nahi?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.
Albatta insaan ghar me tilawat-e-quran aur zikr khuda kar sakta hai chahe zameen par ya bed par baith kare, is me koi haraj nahin hai

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11).
[Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-17

Question: Itekaaf se uthnay se pehlay naha saktay hain? jab ka pehlay puray itekaaf ma na nahaye ho bagair wajah ka naha saktay hain agar ghusal wajib na ho? Itekaaf se uthnay se pehlay naha ka saaf honay ka liya?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.
2: Aitekaaf ke dauraan nahana jaiz hai lekin masjid ki hudood se baahir nahin nikal sakte.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25).
[Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123435
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-28

Question: Aitikaaf k liy pardy lgy hon to jmaaat qatah e saff hony sy gunah hota hy?

Answer: Ghunah nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 1392,1414).
[Updated on 29-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123436
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-27

Question: Aitkaf k doran agr koi napak aurat andr a jye tu us sy aitkaf krny waly k lye koi gunah ya kafara hy ? Plz jldi reply kye ga

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

2: Napak (janabat, haiz ya nifaas wali) aurat ke liye masjid me theherna hi jaiz nahin hai albatta aitekaaf karne wale ke lye koi ghunah ya kaffara nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25, pg #478. + Tauzeeh ul masail, maslah #354,348, pg #64)
[Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123441
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-30

Question: Kia aitikaaf mein kisi ko zarori msg krna jaiz hai ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan kisi se bhi baat karne me koi haraj nahin hai aur baat karne ka waqt bhi muayyen nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11).
[Updated on 30-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123445
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-05

Question: Assalamualaikum ! Aitekaf ki halat men hameeen kin kin chezooon SE parheeez kerni chahiy ?? And Aitekaf ki halat men mobile pass rakhna , mobile use kerna ya call per baat kerna jaiz he ?? Aor agar jaiz he to iski kitni ijazat he ??

Answer: Aitekaaf ki halat me har us kam se parhez karna zaroori hai jo roze ko baatil karta ho Q ke jo kaam roze ko baatil karta hai wo Aitekaaf ko bhi baatil kare ga jese khana, peesa, biwi se jima air mail milap karna, istimana, azan e subh tak halat janabat, haiz, ya nifas me baaqi rehna, jan bhooj kar ulti(vomit) karna, wagera.... Is ke alawa har qisim ki khushbu songhne, larhaei jhagarhe, behes o bubahese, khareed o frokht aur har qisim ka lain dain karne, biwi ko choone aur lazzat ke sath bosa dene se parhez kiya jaye, aur Aitekaaf karne wale ke liye zaroori hai ke Aitekaaf ki halat me masjid se khaarij na ho siwaye un maqamat ke jahan se khaarij hona sharan jaiz hai jese ghusl e janabat, wajib ada namaz ke wuzu ke liye khaarij hona sharait ke sath, tashee janaza aur tajheez e mayyit ke liye, namaz e juma ke liye. lekin us kam ko anjam dene ke liye jitna waqt laazmi ho zaroori hai ke us se ziyada masjid se baahir na rahe.
Lekin aitekaaf ki halat men mobile pass rakh sakte hain aur istemal karna ya call par baat karna jaiz hai aur jab chahen istemal kar sakte hain had muayyen nahin hai. Albatta sharaei aitekaf ye hai ke Insan masjid men qurbat ke irade se thehre(tawquf-o-qayam kare). Ehtiyat e mustahab(behtar) ye hai ke theherna ibadati aamal jese namaz ya dua ki anjam dahi ke irade se ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1553, pg #239. and pg #477 to 483).
[Updated on 06-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123451
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-05

Question: Assalamualaikum Kya ehtekaaf me mai apne shohar se phone par voice call aur video call par baat kar sakti hun kyunki mere shohar mulk se bahar rehte hain

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan shohar se bhi baat karne me koi haraj nahin hai aur baat karne ka waqt bhi muayyen nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11).
[Updated on 06-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123457
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Kya aurat ghr me itikaaf me ho to thori dair apni paltu bili ya pet se mil skti hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Main or meri bhen 1 kamre m itikaf kr rahe the mujay bohat der se ajeeb ajeeb waswasay arahe the main apni behan ke hisay main dawai lene gai woh a rahi the washroom se toh Mere damag main ajeeb ajeeb waswasay ana lag gaye ke main usko nhi Batati ke main edr hon JB woh mere kamre m ai the toh m ne usko dekh Liya tha is liye mere damag main aya woh be myj dekhe main ne nhi bata usko m edr hon bad main main ai apne hisay m main bohat roi ke mere damag m q kya yeh waswasa to a be ke kya mera itikaf toot gaya h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Waswaas se Aitekaaf baatil nahin hota. Albatta ye baat waazih rahe hai ke Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123504
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Ager Kisi ki biwi ka intteqal ho jaye to aitkaaf se uth skta hai?

Answer: Aitekaaf karne wala tashee janaza aur tajheez ke liye jaisay mayyet ko ghusl o kafan aur dafan ke liye aitekaf ki jagah se bahar ja sakta hai Q ke Aitekaaf karne wale ke liye zaroori hai ke Aitekaaf ki halat me masjid se khaarij na ho siwaye un maqamat ke jahan se khaarij hona sharan jaiz hai jaise ghusl e janabat, wajib ada namaz ke wuzu ke liye khaarij hona sharait ke sath, isi tarah tashee janaza aur tajheez e mayyit ke liye, namaz e juma ke liye. lekin us kam ko anjam dene ke liye jitna waqt laazmi ho zaroori hai ke us se ziyada masjid se baahir na rahe.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #24,29,38, pg #481,482).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Aitkaaf k last day me periods ho jyen to kYa Kiya jye? plzzz tell me

Answer: Aitekaaf ke duaraan agar kisi bhi waqt haiz aa jaye Aitekaaf baatil ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #8, pg #478).

123507

123542
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-11

Question: Kia ahitaaf uspe jaiz se jine Quran ki taleem haslil na ki ho mgr musalmqn ho?

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq Aitekaaf aik mustahab ibadat hai aur is ke liye quran ki taleem hasil karna zaroori nahin balke is ke bager bhi Aitekaaf kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1, pg #477).
[Updated on 12-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Kiya aitikaf ki halat ma haiz hu tu larkiyan uth jain ya nh

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota.
2: Aitekaaf ke duaraan agar kisi bhi waqt haiz aa jaye Aitekaaf baatil ho jata hai. aur Napaki (janabat, haiz ya nifaas) ki halat me aurat ke liye masjid me theherna hi jaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #8,10,11,25, pg #478. + Tauzeeh ul masail, maslah #354,348, pg #64).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: Kya mirror MN dekhny Sy itheqaf toot jata h ya phr Kya hota h?

Answer: Is se aitekaaf nahin tootata.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #13, pg #479).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126222
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: Biwi etikaf main ho to shohar biwi ko barhana dekhskta hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh (maslan ghar me) aitekaaf hi sahi nahin hota. lehaza agar biwi masjid me aitekaaf me baithi hain to masjid to aik umoomi jagh (public place) hai wahan to biwi ko barehna nahin dekh sakte Q ke parday ka maslah aaye ga. Han agar biwi ghar me aitekaaf me baithi hain to masjid ke alawa kisi aur jagh (maslan ghar me) aitekaaf hi sahi nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11).
[Updated on 24-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126232
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: کیا اتیکاف میں عورت چھت پر جا سکتی ہے؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. Han agar aap masjid ki chhat ki baat kar rahi hain to Aitekaaf ke dauraan masjid ki hudood se baahir nahin nikal sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126301
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: aitikaaf ky akhri din kis waqt bahir nikle magrib ky baad ya isha ki namz ky baad

Answer: Ehtiyat-e-wajib ki bina par aitekaaf ka ikhtetaam aakhri din ki azan-e-maghrib tak hai. (yani azan-e-maghrib ke baad bahir nikhlen gay).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #4, pg #477).
[Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print