Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Friendship (61 Questions)


Showing 50- 61 questions from 61 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
84439
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslam o alekum Kiya ghair mazhab se uthnabetna khana peena unke ghar aana jaana jaiz hai

Answer: Ager log ese hon jin se ap ke deen o mazhab ko nuqsaan ponhche ga to jaiz nahi masalan larke or larkiyoon ki mix gethring ya esi party jis main haraam cheezain khaae pee ja rahi hon.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 3 , question # 168). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85005
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalamualaikum meku ye puchna tha agar hum apne dil k sukoon k liye thide waqt tak kisi ku ignore karte hai ya phr hume thida waqt akele guzarna hai jisse hum pyaar karte unke saat aisa karna jaiz hai

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref: kitab nigah aur libas ques # 106 , Mafhoom e pg # 69). Update on dated 31-07-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
86350
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum meray sath yah problem ha main aik larkaye say mohabbat karti hon 4 saal say humharay bech sub boht accha chalraha Tha achanak aik din woh mujha chor k Sharjah chalaye gye 24 Nov ko or mujh say bus 2 bar contact Kiya plz koe wazifa bataye woh mujh say contact karain

Answer: 1) Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69).
2) Rasool e akram ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86354
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu aliakum mera naam aslam hai main 1 ladki se pyar karta hu aur wo bi mujhe karti thi kuch ghar waloko pata chalne se mujhse dur hogayi hai aur kuch ladko ne dhamkaya hai usko isliye aur uske ghar walo ne kuch kala jadu karwaya hai iska koi ilaj batayi ye bahut pareshani me hu aur main us ladki se nikha karna chahta hu plz reply dijiye plz

Answer: Was salam. Jinsay mukhalif say dosti karna haram hai aap ye kar saktey hain k nikah k liay un k ghar rishta bhej dain. (1) Rasool e akram ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18).2) Agar kisi par jadoo kia gya ho to Sunday k din surah e muzammil ko likh kar sahr zada ko pilaya jae to jadoo khatm ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 224) Jadoo k toorh k lie surah araaf ayat 118 sai 120 aur surah yunus ayat 81 sai 82 aur surah taha ayat 69 ko pani par dam kar k aisay mareez k sar par pani chirkain jis par jadoo kia gya hai inshallah jadoo ka asr jata rehay ga. (Ref : Tajalliyat e quran pg # 55) Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88696
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslam o Alikum Sir main ny gusy main aa kar aik dost ko bohat kuch bol deya ( bola ky agar main tumhary sy ab bat karon to kafir murdood etc ) lekan phir mujy sakoon nahi aeya or mujy neend b nahi aa rahi thi main mujboor ho kar us ko masg keya main apny sary alfaz wapis leta hun or sachy dill sy toba karta hun Allah pak mujy moaf kar dain Sir mera question hy ab main us sy bat kar sakta hun ya ab nahi kar sakta or agar karun ga to keya kafir murdood hun ga yah nahi

Answer: Is tarah sai koe banda deen sai khaarij nahi hota.aap os se baat cheet ker sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 103, masaelul muntakhaba, maslah#24). Update on dated 16-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93220
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-22

Question: Mein jisse pyar krti hun phone mein baat kr rhi thi toh meri ammi ne muje dekh li toh usne apna kasam de di muje ki tm ladka se baat nhi krogi .Toh kya ye kasam mani jayegi or kasam tutne par kya kaffara hai..?

Answer: Jins e mukhalif se dosti karna jaiz nahi koun keh gunah me mubtila hone ka khoof majood hay. Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakti hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khoof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q nah ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah ghair akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Agar wada kia ho k aap os se baat nahi karain gi tu wada khilafi jaiz nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633).
[Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112208
Mujtahid:
Syed ayatullah sistani sahab Date: 2020-12-28

Question: Christmas wish krsakte Hain

Answer: jee ahle kitaab ( jews, eesai) wagaira ko un k tehwaar jese new year, christmas wagaira ki mubaarak baad dena jaaiz hai.(Ref:email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011)
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112210
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-28

Question: Plz hame btaen Christmas PE Mubarak baad Dena jaiz hai jabki Christian kahte Hain isaa. A. S Allah k bete hain

Answer: jee ahle kitaab ( jews, eesai) wagaira ko un k tehwaar jese new year, christmas wagaira ki mubaarak baad dena jaaiz hai.(Ref:email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011)
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112234
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-28

Question: Manny Christmas Kahna jaiz hai jbki Christian's kahte Hain isaa a.s Allah ke beten Hain

Answer: Jee ahle kitaab ( jews, eesai) wagaira ko un k tehwaar jese new year, christmas wagaira ki mubaarak baad dena jaaiz hai. or hazrat eisa(a.s) Allah ke bete nahin hain, balke Allah ke bande hain. (Ref: email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011)
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113551
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-13

Question: kya dost bnana zayz hai

Answer: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti aur rafaqat rakhna jaiz nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 13-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121664
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-11

Question: Ak larkay or larki ki friend ship kasay start hoti hay ???

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Kisi na mehram se dosti aur refaqat rakhna jaiz nahin hai. isi tarah gher akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona bhi jaiz nahin hai. aur agar koi tanhaei ki sakhti aur shadi ke muqadmaat faraham nah honay ki soorat me kisi na mehram se dosti kare to ye bhi jaiz nahin hai, aur aisay shakhs ko shadi ke muqadmaat faraham karne ki koshish karni chahiye, aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.
(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2407).
[Updated on 11-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print