Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Waldein (48 Questions)


Showing 0- 48 questions from 48 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
946
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: my mom said me " my order is thiz u have to pray ur prayer at the time of fazilat .. " so is thiz wajib for me to pray at the exact time as my mom say

Answer: Agar aap kay Fazeelat kay waqt main Namaz NA parhnay say aap ki waalida ko aziyyat hoti ho to aap kay liye Namaz ko Fazeelat kay waqt say Moakkhar karna HARAM hay aur walida kay Hukum ko Na Mannay ki soorat main gunahgaar hongay.Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Msala No.1387.

Print

Id:
6601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asalamualikum warehmatullah, sewal,mare walidah mare chotey bai see naraz hy is ky wajah ye ky woo bagheer kisi qasoor ky bewee ko chood deny ko khehte hay kiya walidah ka naraz hoona huq hay,wasalam.

Answer: It is not obligatory on you to obey your mother in this matter, and her statement [about him becoming disobedient] has no effect whatsoever., it is necessary for you to hold back from any insulting statement or action towards her “your mother”. (Ref : e mail rec from ayatullah sistani d.b. dated : April 22, 2011)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
7949
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: meray do betai hien age 6years and 3years aapes men bohat larte hen her bat per unke liea meray moon se ghalat bhi nikal jata hai.plz kuch bataiea men kya karoon plz .men ghalat bat kehker apne aap men sharminda bhi hoti hoon men iss se kaise bachoon?

Answer: 1)Aap k lie ye kaam bilkul munasib nahi he. Balke agar sanjeedgi se ho to jaiz nahi hay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 210, pg # 95)
2)wazifa : Kisi 2 fard k darmian sulah karanay k lie surah e maraij ko 80 bar parhe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9529
Mujtahid:
Date: 2018-05-30

Question: Salaam, Mein UK Post Graduation karne ja rahi hu aur meri mother mujhe nahi dena chahti. mera visa aa gaya hai. vo mujhe rokne ki puri koshish kar rahi hai. yahan tak ki vo badua bhi de sakti hai jis ki vajah se mujhe aage ja ke bahut problems ho sakti hai. vo har maulana ke pas jati hai aur mujhe rokne ki puri koshish kar rahi hai.kuch aisa wazaif bataye jis se mujhe mom ki badua na lage aur mujhe UK jake koi pareshani na ho.

Answer: 1)jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat se inhen aziat hoti ho to aulad k liye un ki mukhalifat karna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387 eidition 31)
2)baite per waldain k 2 farz aaid hote hain:
1) waldain se naiki kare yane agar wo zarorat mand ho to in k lye infaaq(karcha) kare aur in ki zindaghi ki zaroriaat ko pura kare aur insane fitrat aur mizaaj k taqazo k mutabiq in ki zindaghe se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi pura kare. Aise farmaishaat jin ko thukrana in k ahsaanaat k muqable me napasaddida samja jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat wa zooaf k mutabiq muktalif ho sakte hain.
2)waldain k sath husne solook hai. yani in se apne qool wa faile k zarie bura salooq na kare .agarche wo is per zulme kar rahe ho.
3)agar (upper biaan kiye hoa)mana me waldain se ahsaan is amar ka mutaqazi ho k baita baab(ya mah) k qareeb rahe ya shafqat ki bina per baite k bahroni mulke safar se baab(ya mah) ko aziyat ho to ise chaiay k wo lazami tore per safar tarak kare bashat ye k is se baite ka nuqsaan na hota ho warna safar tarak karna wajib nahe . (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 345,350 , pg # 211,214, eidition 5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12131
Mujtahid:
sistani Date:

Question: salam agha kia maa sy ounche awaz main baat karna gunnah hai kia or agar kar li hai to kia kuffara hai .. plz reply

Answer: Baitay k aqeeday k mutabiq waaldain ki jo raay or mau,aq,qif(arguments) sahi nahi hay, os main on se behes or mubahisa(discuss) ker sakta hay.Lainkin baitay ka ye zarori farz banta hay k waaldain se behes or mubahisay k doran adab or tehzeeb ka khiyaal rakay or onki taraf ghoor ker(staring) daikhne se bhi guraiz karay.Apni awaaz ko waaldain ki awaaz se ziyada buland nah karay.or tand o taiz alfaaz istemaal karna tu batareeq e awla jaiz nahi hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah#347 ).

Print

Id:
13658
Mujtahid:
Date:

Question: meri ammi jaan mujhse naraaz hai 10 din ho gaye hai unhone mujhse baat bhi nahi ki, aur mere bhi bahen bhi naraz hai plz. kuch bataiye nahi to me mar jaunga

Answer: 1-Baitay k aqeeday k mutabiq waaldain ki jo raay or mau,aq,qif(arguments) sahi nahi hay, os main on se behes or mubahisa(discuss) ker sakta hay.Lainkin baitay ka ye zarori farz banta hay k waaldain se behes or mubahisay k doran adab or tehzeeb ka khiyaal rakay or onki taraf ghoor ker(staring) daikhne se bhi guraiz karay.Apni awaaz ko waaldain ki awaaz se ziyada buland nah karay.or tand o taiz alfaaz istemaal karna tu batareeq e awla jaiz nahi hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah#347 ).
2-Ehtiyaat e lizim ki bina par musalman se 3 din se ziyada qata ta,alluqi kerna jaiz nahi hay.(Ref: Ref: A.Sistani(d.b), Masail e Muntakhaba, Maslah#24).

Print

Id:
52796
Mujtahid:
Date:

Question: waldain ka zikar kin sauratoo mea kiya gaya hai

Answer: 1 - [sura e Baqra (sura no2) ki ayat no83, 180, 215 , 233] 2 - [sura e Nisa (sura no 4) ki ayat no 7 or ayat no 33, 36, , 135] 3 - [Sura e Al-Maeda (sura no 5) ki ayat no 110] 4 - [Sura e Al-Anaam (sura no 6) ki ayat 151] 5 - [Sura e Ibraheem (sura no 14) ki ayat no 41] 6 - [Sura e Al-Isra (sura no 17) ki ayat no 23] 7 - [Sura e Maryam (sura no 19) ki ayat no 14, 32] 8

Print

Id:
56743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: konsa wazeefa aulad ka waledein k silsike mein kabhi khatam nahi hota?

Answer: Allah Rehmaan o Raheem se un ke liye magfirat ki dua karna.(Ref : Sura e Bani-Israeel (sura no 17) , ayat # 24 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
103664
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-02-08

Question: A.oA mera name umair hai mery ghr waly mera rishta ak azeez k ghr kr rhy hai me kush nahi wo larki moti or chuti hai agr ami abu ko na kro to bura han kro to mera bura bhen bhai bhi razi nai hai moti hai larki ab mughy kia krna chaheay

Answer: Was Salam. Is tarah k kamo main waldain ki itaat zarori nahi hay. Dono mai sai agar kisi aik ki bhi razamandi nahi tou aisa nikah durust sahi nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah # 2335+Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1439).
[Updated on 08-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Asalam o aleykum , Agar kisi aulaad ka baap bht badzabaan or badtameez or badmizaaj ho lekin or aulaad us ki pori koshish karay kay kisi bhi tarha maa baap koi koi pareshani na ho aulad ki waja se or farmanbardaari ki pori koshish karay , lekin pher bhi baap ka rawwaya bht hi kharab rahay , aesi soorat mai aulaad kia karsakti hai , agay shadi bhi hogi aulaad ki to kia karsaktay hain is maslay mai ham , Kia aulaad walid ko chohr sakti hai ya kia solution hai is ka?

Answer: Baap k liay faqat aap ka naan o nafaqqah wajib hay ab mazeed ye ayteraz nahi kia jasakta keh wo kis or ko kia day rahe hain or aap ko kia day rahe hain. Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104366
Mujtahid:
sunni Date: 2023-08-04

Question: Assalamo alaikum. Agar Islam mai waldain k haqooq hain to kia Aulad k haqooq hain? Agar hain to bayan karen authentic reference k sath please. Waldain aksar aulad mai na-insaafi or tafreeq ka salook rakte hain yaani 1 bache ko ziada pyar or doosre ko kam. 1 Bache per ziada kharch jab k doosre per kam. 1 bache ko har cheese daina jab k doose ko har waqt bezatkarna or pir b samajte hain k wo adal o insaaf se kaam le rahe hain. Agar waldain ye anjaane mai b kar rahe hain tab b to aulad suffer hoti hai or aulad khudkushi ya pir baaghi ho jaati hai. Aise waldain k bare mai Islam kia kehta hai please guide. Aise maamlat mai agar aulad ki behtari isi mai hai k wo waldain se baat karna chor dai to kia jaaiz hai kyun k baat karne mai bezti or disheat milti hai. Please guide

Answer: Baap k liay faqat aap ka naan o nafaqqah wajib hay ab mazeed ye ayteraz nahi kia jasakt akeh wo kis or ko kia day rahe hain or aap ko kia day rahe hain. Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110313
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-21

Question: Agar waalid bhot zulm kry olad pe to kia unka zulm bardasht krty rahen...or kabhi kuch bi na bolen chahy Walid din rat zehni Aziyat dety Hoon or zindgi me beghair Kai qasoor k jenay bi na den har want ki Aziyat.... plz agha seestani k fatwa k mutabik answer dain...jzak Allah

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5).

[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: Ap k her jawab me hy k maa baap ko jis bat sy azziyat hy wo na kren, to Jo haqooq Islam ny bachun ko diye hain walidein un ki b mukhalifat kren sirf is liye k "log kya kahen gy" to b khamosh rehna chahye k waliden naraz na hun? Aur as a result us sy Allah ki nafarmani ho jaye?? Phr kis aspect ko dekhen hum? Plz guide

Answer: Un umoor main waldain ki ita,at karna zarori nahi hay jin umoor ke anjam dene se allah ki Na farmani hoti ho, laikin waldain se bad tamizi nah ki jaey. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30)
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110628
Mujtahid:
sunni Fiqah Date: 2022-05-06

Question: Islami Nuqta e nazr se Shadi kay baad rehaish (residence) kaha rakhi jaye, mtlb Waliden kay saath mushtarka (combined) family me rehna jayz hay ya sahi nahi hay??? Rehnumai farmaiyay .

Answer: (Note: Waldain ke sath rihaish ho ya biwi ke sath alag ghar me rihaish ho jaiz hai.) Lekin Insaan per apni bivi or maan baap ka naan o nafqa wajib hay. Laikin maan , baap ka naan o nafqa os soorat main daina wajib hay jab wo faqeer o nadaar hon. laikin bivi ka naano o nafqa her sorat main wajib chahay bivi maal daar ho ya nahi, or agar baita ghareeb ho or wo apni bivi or maan, baap ka naan o nafqa dainay ki taqat nah rakhta ho tu jab wo naan o nafqa dainay k qabil ho bhi jay tu os per wajib nahi hay k wo zamana e ghurbat ka naan o nafqa apnay maan baap ko ada karay laikin shohar per bivi ka wo naan o nafqa ada kerna wajib hay jo wo zamana e ghurbat main bivi ko nahi day saka tha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#456+413+440+433). baite per waldain k 2 farz aaid hote hain: 1) waldain se naiki kare yane agar wo zarorat mand ho to in k lye infaaq(karcha) kare aur in ki zindaghi ki zaroriaat ko pura kare aur insane fitrat aur mizaaj k taqazo k mutabiq in ki zindaghe se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi pura kare. Aise farmaishaat jin ko thukrana in k ahsaanaat k muqable me napasaddida samja jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat wa zooaf k mutabiq muktalif ho sakte hain. 2)waldain k sath husne solook hai. yani in se apne qool wa faile k zarie bura salooq na kare .agarche wo is per zulme kar rahe ho. 3)agar (upper biaan kiye hoa)mana me waldain se ahsaan is amar ka mutaqazi ho k baita baab(ya mah) k qareeb rahe ya shafqat ki bina per baite k bahroni mulke safar se baab(ya mah) ko aziyat ho to ise chaiay k wo lazami tore per safar tarak kare bashat ye k is se baite ka nuqsaan na hota ho warna safar tarak karna wajib nahe . (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 345,350 , pg # 211,214, eidition 5)
[Updated on 06-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110725
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-04-11

Question: Assalamualaikum, agar maa apne 3 beton me se sirf ek hi bache ki zindegi barbaad karna chahe aur uske khilaf baaki 2 beto ko bhadkaye aur pure khandaan me use badnaam kare tho us bete ko kya karna chahiye???

Answer:
Aulad ko chahiye har haal men apne walden ke sath hushne sulook kare yani in se apne qoul wa fail ke zarie bura sulook na kare agarche waaldain aulaad per zulm karrahe ho. rewayat me hay :agar waaldain tumhe maare tu tum inhe na jhirkho or kho khuda aap ko bakh de or waaldain ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne wajebaat pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. Baitay k aqeeday k mutabiq waaldain ki jo raay or mau,aq,qif(arguments) sahi nahi hay, os main on se behes or mubahisa(discuss) ker sakta hay.Lainkin baitay ka ye zarori farz banta hay k waaldain se behes or mubahisay k doran adab or tehzeeb ka khiyaal rakay or onki taraf ghoor ker(staring) daikhne se bhi guraiz karay.Apni awaaz ko waaldain ki awaaz se ziyada buland nah karay.or tand o taiz alfaaz istemaal karna tu batareeq e awla jaiz nahi hay.( Ref:Aytullah Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah#298,347,345 )
[Updated on 12-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111700
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-22

Question: Asslamwalekum mera sawal hai..jo maa apne 13 din k bache ko apni maa ko palne k liye dede aur jo baki bache hain unko khud palti ho aur jab wo bacha bada ho jaye..aur khud bina kisi ki madad k apne pairo pe khada ho jaye apne bhaiyo ko business karva de behno ki shadi karva de..baap ka ilaj kavaye maa ko paise bhijwaye..fir bhi uske ghar wale uski har jagah burai kare to kya karna chahiye.

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5).
[Updated on 22-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114801
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: AGR ik walad sari zindgi kam bi kuch na KIA ho aur gharwalo KO bi kuch na deta ho aur galliyan deta rahy AGR beti hai tou usy KO bi AGR beta hai tou usy KO bi AGR koi baho hai tou usy bi is ma aulad KIA rahye Islam ma is ka Kya Hal hai

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai.
(Ref: Jadeed fiqhi masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #5 Mafhoom e maslah #298 pg #176).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114859
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-01

Question: kya jawan beta apni ma or bap ka honto sy bosa ly sakta hy?

Answer: Jee han, jaiz hai lekin agar yehi bosa shewat ka bais banay to jaiz nahin hoga. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistanid.b), Maslah #468, pg #254).
[Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115455
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-15

Question: Agr ak baap jis ki 3 betiyan or 1 beta hai bachapn se sb k samny marta arahai maa ko us k rishtydaro k samny zaleel krta hai olad ko marta hai kamata nhi hai apni manmani krta har cheez mein kya tab b beti k liye baap se nafrat krna nhi banti jo olaad ka ak haq tk na adaa kr ska siwaey paida krny k????????

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah kar sakain to is ka hargiz ye matlab nahin k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat main ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahin karta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masael, Edition #5, Mafhoom e maslah #298, pg #176).
[Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-26

Question: Aslkm.mere ammi unke chose behn se rishta tod diye hai aur hum ko bhai qaala se chachi se rishta nai rakhne ko kehte hai.aur ab 3 saal bad meri quality ki beti ka call aya woh khair khairiyat k lye phn kare.ammi mujhe gussa horahe hai mera isme kya role hona chahiye plz Islam k hisab se guide kare.

Answer:
Aulaad k liye zaroori farz banta hai k waldain se bahas wa mubaisa k dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghuraz kare . apne awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare chijaike tanwa taaz alfaz istemal kare jo batareeq aula jaiz nahen. . Aulad per waldain ka sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai .
Aap apni ammi ko is masale se agah karen ke Qata e rehmi karna (yaani qareebi rishtedaaron se taluqaat khatam kar dena) haram hai. Agarche wo reham (qareebi ristedar) namaz na parhtay hon aur sharab khor hon aur baaz deeni ekham ko ehmiyat na detay hon. Hamaray Nabi s.a.w.w. nay farmaya k fazaail mai sab sai afzal ye hai k jo tum sai qate reham karay tum os say silah rehami karo. Jo tumhen mehroom karay osay ataa karo aur jo tum par zulm karay osay maaf karo.
Silah rehem mai wo rishtedaar shaamil hain jo insaan k rehem mai shareek hote hain yaani khooni rishtedaar jese walidain, bhai, behen, maamu, khaala, phupi chacha wagaira. Is mai door k sababi or nasabi rishtedaar shamil nahin hain.(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 5, ques #347, pg #213),(Ref: sistani.org, urdu, waldain k huqooq, ques #1)
(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b) Maslah #296, pg #173,
https://www.sistani.org/arabic/qa/0575/).
[Updated on 26-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115722
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-14

Question: Agr baap apni aulad ko aulad na samjhe or ghr mai Bethe rhe kuch na kamaye or duniya ke samne dikhawa kre to kya kre plz guide

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k Quran or Ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah (jan boojh kar ya majboori ki wajah) se wo apne zimmedaare (masalan naan o nafaqa wagera) pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahin k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda us ki namaz qabool nahi karta hai.
(Ref: Jadeed faqhi masael, Ayatullah Sistani, Mafhoom e maslah #298, pg #176, Edition #5).
[Updated on 14-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116257
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-01

Question: Assalamalekum, Kya shadi ke baad beti ke upar se sare haq khatam hojate hai parents ka khayal rakhne me? Sirf bete par hi haq hota hai ke wo apne maa baap ka khayal rakhe? Beti aur bete ke liye kya responsibilities hai parents ke liye according to Quran sharif? Plzz is ka reply kariyega

Answer: beti (larki )per apne waaldain ka karcha dena ( agar wo desakte ho) eyteyaate wajib ki bina per zarori hay.(ref:ahkaam deen,aqa sistani ke fatwe ke mutabiq,pg no: 256), aulaad per ( jis me beta or beti dono shamil hay) waldain ka sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna waajib hai . (ref:sistani .org, urdu, waldain k huqooq ,que:1)
[Updated on 02-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116517
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Bache ko doodh bakshwana chahye maa ka maa k marne k bad

Answer: ? aap apne swaal ki wazahat kare ke aap ki is se kya muraad hay.
[Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120385
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-24

Question: Salam Mera sawal ye hai k hum 2 behne hain or 1 bhai. Hmare walid ne job hmare bachpan m he chordi thi Jb hum school goin thy Us k baad se kbi bhi koi kaam ni kra unhone.... Kbi meray maa k hath m paisa la k ni rkha JB job thi Tb bhi ni.... Hum ko hmare mamu or khala ne support kra h... Hum ab MashAllah Jawan hain 29 26 or 24saal ki umro k hain mgr hmare baap ka rawaiya blkul theek ni hota laraian Ammi se zara un KO khayal ni k Ammi k he ghr wale support krte hain mahinay k paisay wo dete hain bacho ko parha likhadia... Na he mere walid ka hum bacho se attitude theek hota h or na meri walida se.... Wo ghr se shaam ko nikaltay hain k property selling ka kaam kra hoon or pir Raat m aty hain.... 3 Saal se yei kre hain mgr wo in saal0 m kch bhi kama k ni laye 65+ plus hain age m.... Hum ne ye tk Bola h k ap Mt niklein kam k liye ni hora kam Mt jaein bahir bas jhoot na bolein k kam hora h hojae ga 3 saalo se yei sunrahy hain hum..... Un ki in baato ki waja se hum se batameezi bhi hojati h.... Pareshani Hoti h un se batameezi kr k bhi mgr Kia krein hum aesi life guzar rahy hain jese baap k bager koi role ni h un ka hmari life m... Please btaein hum Kia krein hum sochte hain k ab bad kalami ni krein gy mgr kch na kch baat hojati h..

Answer: 1: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai.
2: Aualad par waliden ke 2 tarah ke Huqooq wajib hain. 1. Agar wo gareeb hon to un se nek sulook karna or infaaq karna, un ki zarooriyat e zindagi or jaiz khuwahishaat ko aik aam aur fitri zindagi ke taqazon ke mutabiq poora karna hai or in wazifon ka anjam na dena ihsaan faramoshi hai. Or ye ihsaan karna un ke halaat, aaram or sakhti, taqat or kamzori ke pesh e nazar mukhtalif tarah se ho sakta hai. 2. Amal or zaban se nek sulook karna, amal or zaban se bad-tameezi na karna agarche aulad par zulm kya ho. Hadees men aaya hai ke agar maan, baap aulad ko maaren tab bhi waleden se bad-tameezi se pesh na aain balke ye kahen ke khuda aap ko maaf kare.
(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5. https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ ).
[Updated on 24-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120459
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-22

Question: My father and I work together in a business. My father manages all the accounts. I have obtain loan from couple of my friends for my business and its pay back time. We have money but my father isn’t giving me a single penny to pay the loan. This causes rifts and arguments between my father and I. Am I allowed to be upset with my father on this issue and to what extent can I be upset ??

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k Quran or Ahadees ki roshni men walden ka haq buhut bara hai to agar kisi wajah (jan boojh kar ya majboori ki wajah) se wo apne zimmedaare pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahin k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda us ki namaz qabool nahi karta hai.
(Ref: Jadeed fiqhi masael, Ayatullah Sistani, Mafhoom e maslah #298, pg #176, Edition #5).
[Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120628
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-01

Question: Maa baap k farz apne bohoo aur beta k liye

Answer: Shohar ke maan, baap par bahu ke kuch huqooq nahin hain Albatta waliden ke aulad par or aulad ke waliden par Huqooq hain jinhen apni apni jagh par anjam dena zaroori hain.
1: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai.
Aualad par waliden ke 2 tarah ke Huqooq wajib hain.
1. Agar wo gareeb hon to un se nek sulook karna or infaaq karna, un ki zarooriyat e zindagi or jaiz khuwahishaat ko aik aam aur fitri zindagi ke taqazon ke mutabiq poora karna hai or in wazifon ka anjam na dena ihsaan faramoshi hai. Or ye ihsaan karna un ke halaat, aaram or sakhti, taqat or kamzori ke pesh e nazar mukhtalif tarah se ho sakta hai.
2. Amal or zaban se nek sulook karna, amal or zaban se bad-tameezi na karna agarche aulad par zulm kya ho. Hadees men aaya hai ke agar maan, baap aulad ko maaren tab bhi waleden se bad-tameezi se pesh na aain balke ye kahen ke khuda aap ko maaf kare.
2: Isi tarah waliden ki zimme dari bhi do tarah ki hoti hai
1. Maan, Baap ko takleef is liye hoti hai ke aulad ka bhala chahte hain aur jo kaam wo anjam dete hain agarche is ka un se koi rabt na bhi ho unhen takleef puhnchti hai, aulad ko aisa kaam nahin karna chahiye jis se unhen aziyat ho chahe wo use mana karen ya na karen.
2. Maan, Baap ko is liye takleef hoti ho ke un me kuch buri aadaten paaye jati hon jo unhen pasand na hon agar waliden ko bachon ke aise kaamon se aziyat ho to bachon par is ka asar nahin pare ga aur bachon par is tarah ki tawaquaat ko poora karna wajib nahin hai aur yaheen se maloom hotra hai ke waliden agar bure kamon ki taraf hukum karen ya ache kamon se mana karen to un ki itaat wajib nahin hai.
(Ref: Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/
(Note: Mazeed maloomat ke liye darj zel links mulahiza farmayen).
Link: https://www.erfan.ir/urdu/30907.html
Link: https://www.erfan.ir/urdu/30908.html
Link: https://www.erfan.ir/urdu/12166.html
Link: https://vimeo.com/521734994
[Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120662
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-06

Question: 2 saal se mangni hai ... MAA BAAP ki leerai ki waja se maa baap mangni toor rahay hain kya kiya jaye.. maa baap ko smjhaon touu woh mujhe batain sunataa abh stand b nahi ley paa raha chup kr k dekh raha hun.. please batayen k torne doon unhain k larun unh se ? Woh larki bht pyar krti hai mujhse lakin mein dara hua hun apni famiky ki waja se...

Answer: Note: Mangni ka islam men koi aytebar nahin hai, lihaza Mangni torne ya na torne me aap khud mukhtar hain. isi tarah aap ki mangetar bhi dusri auraton ki tarah aap k liye na-mehrm hai. lihaza piyat o muhabat karna jaiz nahin hai. albatta walden ke sath laraei jhagra ya bad-tameezi nahin kar sakte or har haal men apne walden ka ehteraam karain chahe wo zulm hi q na kar rahen hon, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut bara hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahin k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda us ki namaz qabool nahin karta hai.
Aualad par waliden ke 2 tarah ke Huqooq wajib hain. 1. Agar wo gareeb hon to un se nek sulook karna or infaaq (kharcha) karna, un ki zarooriyat e zindagi or jaiz khuwahishaat ko aik aam aur fitri zindagi ke taqazon ke mutabiq poora karna hai or in wazifon ka anjam na dena ihsaan faramoshi hai. Or ye ihsaan karna un ke halaat, aaram or sakhti, taqat or kamzori ke pesh e nazar mukhtalif tarah se ho sakta hai. 2. Amal or zaban se nek sulook karna, amal or zaban se bad-tameezi na karna agarche aulad par zulm kya ho. Hadees men aaya hai ke agar maan, baap aulad ko maaren tab bhi waleden se bad-tameezi se pesh na aain balke ye kahen ke khuda aap ko maaf kare. 2: Isi tarah waliden ki zimme dari bhi do tarah ki hoti hai 1. Maan, Baap ko takleef is liye hoti hai ke aulad ka bhala chahte hain aur jo kaam wo anjam dete hain agarche is ka un se koi rabt na bhi ho unhen takleef puhnchti hai, aulad ko aisa kaam nahin karna chahiye jis se unhen aziyat ho chahe wo use mana karen ya na karen. 2. Maan, Baap ko is liye takleef hoti ho ke un me kuch buri aadaten paaye jati hon jo unhen pasand na hon agar waliden ko bachon ke aise kaamon se aziyat ho to bachon par is ka asar nahin pare ga aur bachon par is tarah ki tawaquaat ko poora karna wajib nahin hai aur yaheen se maloom hotra hai ke waliden agar bure kamon ki taraf hukum karen ya ache kamon se mana karen to un ki itaat wajib nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Sawalat or jawabat 10 marajaye kiram k fatawa k mutaiq, pg #31. + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ ).
[Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120750
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-29

Question: Salam un Alekum sir mra sawal yeh hai ke meri walda ki salery 50 hazar hai jis mein se mera baap meri maa ko sirf 12 hazar deta hai jab ke baba ki salery 1.5 lakh hai to unhen apne panch beton ko kina mahana kharcha dena chahiye Shukria..

Answer: 1: Agar aap ki walida razi hain to wo un ka apas ka muamlah hai, chahen to poori salary aap ke walid ko de den chahen to aadhi ya aik tehaai (1/3). lekin agar raazi nahin to aap ke walid ke liye jaiz nahin hoga ke wo aap ki walida ki salary un se le or apne istemaal me laaye.
2: Baap ke liye faqat aulad ka naan o nafaqah wajib hay ab mazeed ye ayteraz nahin kiya jaa sakta ke wo aap ko mahana kharch de raha hai ya nahin or de rahe hain to kam de rahe hain ya ziyada.
3: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda us ki namaz qabool nahin karta hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid Say Poche Gaye Sawalaat, part #4, mafhoom e maslah #147. + Minhaaj us Saliheen, part #2, mafhoom e maslah #1320. + Jadeed fiqhi masail, mafhoom e maslah #298,584).
[Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-02

Question: Asalam o alikum .. Mera name haseeb murtaza hai . Mery papa sy bht ikhtilaf thy mai kbhi kbhar batmezi bhi krta tha .lkn har walden ko pyar hota hai apni olaad sy wo mujhy pyar b bht krty thy or mai bhi . lkn mai ehsas e kamtri ka shikar rha hmesha or bss esi wajh sy apny papa sy behs or lrai hoti thi wo ab es dunya mai nhi hyn .. Or meri wajh sy do baar roye mery samny mai bht khoofzada hon unk jany ky baad mai bht gltiyan ki in gltiyon ki mafi mai unsy unky jany sy phly mang chuka hon unko taslai di hai ky farmabrdar rho ga apka lkn dill ko tasli nhi hai . mai yh janna chahta hon agr wo naraz gye hyn mujh sy tu mai kia amal kru ky mery gunah khtm hu jye jo unki nafarmani sy mily hai mai bht preshan hon . mujhy koi solution bta den sb yhi khty hyn ky mai glt hon mai manta hon lkn mai khofzada hon allah ky azaab sy mujhy koi hal btyen es masly ka mera khoof khtam nhi hota unk jany k baad

Answer: 1: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k Quran or Ahadees ki roshni men walden ka haq buhut bara hai to agar kisi wajah (jan boojh kar ya majboori ki wajah) se wo apne zimmedaare pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahin k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda us ki namaz qabool nahin karta hai.
2: Aaq e waldain (yani waldain ko aziyat dena or naraz karna) gunahan e kabira me se hai. Agar aap ne un ki hayat me un se maafi mang li thi umeed hai ke unhon ne aap ko muaf kar diya hoga Q ke waldain apni aulad se ziyda arsa tak naraz nahin rehte is liye ke maan, baap ka rishta hi aisa hai ke wo apni aulad banisbat shafeeq or meherban hote hain, Albatta is ke bawujood bhi unke liye dua e khair, sadqa, khairat kasrat se Allah se magfirat talab karen apne wajibat me unhe yaad rakhen, koi aika kaam karen un ke sadqa e jariya ka sabab bane wagera.....
(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani, maslah #298, pg #176. + Minhajus Saliheen, Part #1, Maslah #30).
[Updated on 03-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121003
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: Salam sir mera Sawal hai kai hum 4 behan bahi hain dno behanain shadi shuda hain... main joint family system pe rehti bahi maa ki kafalat nahi karte aur unko khercha bhi nahi dete.. walida ko sasural pe laa kai rakhna na mumkin sa hai... mera sawal hai kya waldain ko shadi shuda betyan dekhna unki zmedari hai?? Walida soorat e haal dekhte hue eidhi home chli gyi hain...

Answer: (Note: Aap khud bhi in masail par amal karen aur apne bhai ko bhi in masail se aghaah karen or use waaz o naseehat kar sakti hain. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ke bhai ko samjhaye taake aap ka bhai aap ke walidain ke huqooq ada kare or aap ke bhai ke liye in masail par amal karna zaroori hai warna wo gunhagar hoga).
1: Baitay par waldain ke 2 farz aaid hote hain:
1. Waldain se naiki kare yani agar wo zaroorat mand hon to in ke liye infaaq (karcha) kare aur in ki zindagi ki zaroriyaat ko poora kare aur insani fitrat aur mizaaj ke taqazon ke mutabiq in ki zindagi se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi poora kare. Aisi farmaishaat jin ko thukrana in ke ahsaanaat ke muqable me napasadeedah samjha jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat o zuaf kr mutabiq muktalif ho sakti hain.
2. Waldain ke sath husne sulook kare. yani in se apne qaul o fail ke zariye bura sulooq na kare. agarche wo is per zulme kar rahe hon.
2: Baiti (larki) par apne waaldain ka karcha dena (agar wo de sakti ho) Ehteyaat e wajib ki bina par zaroori hay. isi tarah aulaad par (jis me baita or baiti dono shamil hain) waldain ka sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna waajib hai.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), ques #345,350, pg #211,214, edition #5. + Ahkaam e deen, Ayatullah Sistani(d.b), ke fatwe ke mutabiq, pg #256).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: Salam sir mera Sawal hai kai hum 4 behan bahi hain dno behanain shadi shuda hain... main joint family system pe rehti bahi maa ki kafalat nahi karte aur unko khercha bhi nahi dete.. walida ko sasural pe laa kai rakhna na mumkin sa hai... mera sawal hai kya waldain ko shadi shuda betyan dekhna unki zmedari hai?? Walida soorat e haal dekhte hue eidhi home chli gyi hain...

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121132
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-31

Question: Kiaa raat me jhaaru nikal sakte hain? Agar nahi tou kyun?

Answer: Jaiz hay or is ka makhrooh hona bhi sabit nahi hay.(Ref: email rcvd from sistani.org 23-03-2013)
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-30

Question: Assalaam-o-alaikum Mera sawaal ye hai k kia waldain ko paalna ya un ki dekh bhaal karna shadi shuda beti ki zimadari hai ya bety ki?

Answer: Asal to Baitay(son) par zaroori hai ke waldain se naiki kare yani agar wo zaroorat mand hon to in ke liye infaaq (karcha) kare aur in ki zaroriyaat e zindagi ko poora kare aur insani fitrat aur mizaaj ke taqazon ke mutabiq in ki zindagi se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi poora kare. Aisi farmaishaat jin ko thukrana in ke ahsaanaat ke muqable me napasadeedah samjha jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat o zuaf ke mutabiq muktalif ho sakti hain. Lekin agar baita waldain par infaaq (karcha) nah kare ya nah kar sakta ho aur in ki zaroriyaat e zindagi ko poora nah kare ya nah kar sakta ho to agar Baiti (daughter) kar sakti ho to Baiti par apne waaldain ka karcha dena Ehteyaat e wajib ki bina par zaroori hay. isi tarah Baitay aur Baiti par zaroori hai ke waldain ke sath ahsaan karen aur in ka ehteraam karen au in ke sath husne sulook karen. yani in se apne qaul o fail ke zariye bura sulooq na karen. agarche wo is par zulm kar rahe hon.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), ques #345,350, pg #211,214, edition #5. + Ahkaam e deen, Ayatullah Sistani(d.b), ke fatwe ke mutabiq, pg #256).
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121702
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-23

Question: Mere shohar apni ammi ko chodte hain main kya karu

Answer: (Note: Aap unhen walden ke huqooq ke hawala se aghah karen aur use waaz o naseehat karen. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ke shohar ko samjhaye taake walden ke aitebaar se jo huqooq un par wajib hain unhen ada kare aur us ke liye in walden ke huqooq ada karna wajib hain, agar ada nahin kareg to wo gunhagar ho ga).

1: Aulaad ke liye zaroori farz banta hai ke waldain se bahas wa mubaisa ke dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghurez kare. apni awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare kahan ye ke bure alfaz istemal kare jo batareeqa e aulaa jaiz nahin.
2: Aulad par waldain ke sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai. Aap apne shohar ko is masale se agah karen ke Qata e rehmi karna (yaani qareebi rishtedaaron se taluqaat khatam kar dena) Haram hai. Agarche wo reham (qareebi ristedar) namaz na parhtay hon aur sharab khor hon aur baaz deeni ekham ko ehmiyat na detay hon. Hamaray Nabi(s.a.w.w) ne farmaya ke fazaail me sab se afzal ye hai ke jo tum se qate reham kare tum us se silah rehami karo. jo tumhen mehroom kare use ataa karo aur jo tum par zulm kare use maaf karo. Silah rehem me wo rishtedaar shaamil hain jo insaan kerfehem me shareek hote hain yaani khooni rishtedaar jese walidain, bhai, behen, maamu, khaala, phupi chacha wagaira. Is me door ke sababi aur nasabi rishtedaar shamil nahin hain.

(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), ques #296,347, pg #173,213. + link: sistani.org, urdu, waldain ke huqooq, ques #1. + link: https://www.sistani.org/arabic/qa/0575/ ).
[Updated on 24-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-22

Question: Agar waly apni aulad k huqooq na dein or usy chordy Tou kea wo walid ka haq kho deta hain aulad sy?

Answer: Jee nahin, is se walid hone ka haq nahin kho deta aur us ki hesiyat walid ki hi hogi aur aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahin ke aulad bhi un ke sath wohi rawayya rakhe. Jesa ke Imam Jaffar e Sadiq a.s ne farmaya hai ke jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay se dekhay jab wo us par zulm kar rahay hon to khuda us ki namaz qabool nahin karta hai.
Is ke alawa waaldain se naiki karna un tamam aamal se afzal hai jin ke zariye Allah ka qurb hasil kiya jaa sakta hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, Mafhoom e maslah #298,299).
[Updated on 23-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-14

Question: Salaam, Agar Walid (father) sharab piye tu kiya ain se Dori rakh skte hai. Aur kiya agar ainko smjhane k waqt thoda bad-tamazi se baat hojaye tu kaisa hai. Muaqalid of A.Sistani HA

Answer: Baap se doori to ikhtiyar nahin kar sakte, albatta agar baap haram kaam anjaam day raha ho ya wajib ko tark kar raha ho to bete ke liye apne baap ko achayei ki taraf dawat dena aur buraye se rokna jaiz hai.
lekin bete ke liye apne baap ko achayei ki taraf dawat dete hue aur buraye se rokte hue, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz baap ke samne sakhti se paish na aaye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #388. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2011).
[Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122733
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-08

Question: Kia lrki. Nikha ke bd rukhsati se phly maa baap ke kheney pr khula le skti hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Is maamlay main parents ki baat manna zaroori nahin hai, aur fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ke liye kisi ko majboor nahin kiya jaa sakta.
Mazeed ye ke Talaq khula us aurat ki talaq ko kaha jata hai ke Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya us ko pasand na karti ho) or apna meher ya koi raqam apnay shohar ko is liye day takeh wo us ko talaq e khula day, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain. Aur talaq e khula main zaroori aur laazmi hai ke zauja apnay shohar se itni nafrat karti ho ke huqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah karne ki dhamki day.

Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 & 2492).
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123651
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: السلام علیکم Aap say gusarish hai ki agr kisi ka baap sharabi ho aur sharab galat baat boley apne bacchon ko aur apni biwi ko ya apne bete ko gandi batein bolein uske bahan maa kay barey mein to isme ek aulad ko kya karna chahiye iske kya ahkam hain

Answer: Alaikas Salam
Aulad ki zimmedari hai k walid se Ehtraam se baat krein aur unhein Azziyat nhi di ja skti hai.. Walidain ko aziiayat phnchana Jaiz nhi hai..
Riwayat me hai k Walidain ka Ehtraam zaroori hai agrche vo kafir hi q na ho..
Sath hi sath koshish krein k Walid ki islah ki jae lkn andaaz phr bhi Badtameezi wala nhi hona chahiye.
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123654
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-12

Question: سلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ ۔ کیا والدین کا حکم کسی مستحب کام سے روک سکتا ہے اور کیا اگر کوئی مستحب کام والدین کو اذیت دےتو کیا اس کام سے رک جائیں؟؟

Answer: Jab waldain ka hukum aur rok tok aulad se shafaqt or mohabbat ki wajah se ho aur iski mukhalfat se inhen aziyyat hoti ho to aulad par unki mukhalafat karna Haram hai. Maslan! Agar aulad ka mustahab roza maan baap ke liye aziyat ka maujib(sabab) ho to aulad ke liay mustahab roza rakhna haram hai. Aur agar Agar aulaad Baap ya Maan ki ijaazat ke baghair mustahab roza rakh lay aur din ke dauraan Baap ya Maan use (roza rakhne se) mana kare, to agar aulad ka Baap ya Maan ki baat na manna fitri shafqat ki wajah se aziyat ka maujib ho to aulad ko chahiye ke roza torh day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1387,1711,1712).
[Updated on 13-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123677
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Asalm o alikum mera sawal ye hai k meri jbse shadi hue hain meri ami mujhai boht torture krti hain boht bura bhala bolti hain mere shohar ko b.... Jb k mera shaohar unko ek word ni bolta . Me apne ghr me boht zoyda khush hun mere shahor k pas har chez hai Allah ka shukr hai mere ghr me asi koi chez b nahi.... Me jb b kuch naya krti hun meri ami bahna bna k larne lagti hain mere shoahr ko bura bolti hain asa lgta hai k wo meri dushmn bn gae hain me suln se zindagi guzr rahi hon unko ni pts konsi jaln hai mujse jo wo itna tang krti mujhai mujhai kia krna chaoye plz mujhai btyn

Answer: W.slm
Ap k mutabiq agr ap ki walda galat hain to bhtr mashwara to yhi hai k a un se ek martaba proper baat krein k un k dil me kya hai..
Yh jaan lein k koi walidian apne aulad ka bura nhi chahte khususan ek maa apni beti ka to bura soch bhi nhi sakti..Yaqenan ap ki janib se koi galati hogi jis se un k dil azari hui hai..
Un se baat kijae to mamla hal hoskta hai lkn yh yaad rkhein k waldain se badtameezi nhi ki jaskti..
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123725
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: Aaj bhi kahi ise mother's hai jo apne bacho ko Bina father ke itna bada bana dethi hai

Answer: G aisi bht si misalein hai k mother single parent bn k apni aulad ki tarbiyat behtreen andaaz me krti hain..
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123891
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-21

Question: Salam.... Mene puchna tha k maa or baap agr dono apny bchy ko koi kam kahain to bchy py kia farz hai maa ki baat phly sunay ya baap ki

Answer:
Agar aap k waldain aap ko kisi amal say rok tok muhabbat ki wajah say ya ap ki mukhalifat ki wajah say unhay aziyat hote ho to olad ky lia un ki mukahifat karna haram hay..
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #1387).
[Updated on 22-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123909
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-28

Question: Asslamuallikm Sir Meray sth ek msla hay jis main main zehni toar phans Chuka hu asl main Meri beti hui Jo Bhai nay goad lay li Meri pehlay beta beti Hain abhi ek hafta guzra hay lekn Meri wife nay yeh Faisla pressure aur zehni tensions ki wja say Kya kiu Kay Meri walda nay emotional batain kr kr Kay usay draya hua tha to us ko yeh dar tha khin Meri beti ko Kuch ho na jye mjhy bhi emotional torcher Kya hua tha zehni toar pr lekn ab hum dono bht takleef say guzr rahain Hain meray Abu foat hogye Hain khwab main bola uski bchi wapis dilwao ab mjhy smjh nhi arhi sub rishtedaron ko pta lg gya mainy goad di hay aur Bhai ko mainy yeh bhi smjhaya Kay ap documents main waldiat change nhi krsaktay to Meri ammi aur Bhai lrna strat krdya ...ab main apni bchi wapis lay skta hu ya nhi?

Answer: Ap hi apni beti k wali hai aur sahib e ikhtiyar hai..
Apne ghr walo se baat kije aur koi hal nkaliye lekin khayal rkhiyega k daurqan e guftugu walda se kisi qism ki badtamezi, onchi awaz me guftugu wagera yh sb jaiz nh hai..
(Ref : e mail rec from ayatullah sistani d.b.)
[Updated on 29-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123956
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-29

Question: Baap baar baar aulaad ko qarzae kr dy to Aulaad ko kya krna chahiye. Kafi dfa baap ka qzrza utara lekin phr baaq mazeed qarza le leta ha. Aisay me aulaad kya kr sakti ha

Answer: Apne walid ki un wajib zarorato ko poora kije jin ki waja se vo qarza le rhe hai..
Walid se baat kije iss hawale se lkn khayal rkhiyega k Badtameezi, buland awaz me bat krna, adab ko malhooz na rkhna jaiz nh hai..
(Ref : e mail rec from ayatullah sistani d.b.)
[Updated on 30-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-07-24

Question: Asslam o alikum!! Meri ik dost hai jis k walod us sy bht bura salooq krty hn Gali dna bduyan dna or bht treeqy sy paish aty hn ...wo na chty hoye bhi galiyn sun k agy bol prti hai kbhi kbar pr is pr guilty bhi Hoti hai roti hai Mafi bhi mngti hai...pr usk walod usko bht glt alfaz istamal krty hn Jo wo Cha kr bhi brdsh ni kr pati or wo khd asy slooq kr k khty hn k khuda uski pkr kryga aulad k liya gunh hai walidan k lia koi azab ni hau..ma Jana chti hou is bary ma apki raye?

Answer: Walid ka is tarah se gali dena jaiz nh hai lekin aulad k lie bhi wajib hai k vo apne walidain k huqooq ka khayal rkhe aulad k lie jaiz nh hai k vo waldain se badtamezi kre aur un se buland awaz me baat kre, yh mumkin hai k ache andaz me khud ya kisi k zariye walid ko smjhae k yh haram kaam hai..
(Ref: Agha Sistani (d.b), Jadeed fiqhi masail, maslah # 347 ).
[Updated on 24-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124670
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-09-01

Question: Assalamoalaikum, agha sahab mjhy ye puchna tha k Mery maa Baap pyar to krty hain or hum 3 bhen bhai hain hum puri koshish krty hain any farz anjam deny ki k maa Baap ki khidmat mai koi kami nahi rahy or Bhot koshish krty hain larai jhagry mai behes na krny ki khud ko rokty hain bhot lekin hojati hai behes kabhi na kabhi unsy , Mery maa Baap ny bhot Kuch kiya hai hmary liye lekin humai Bach pan sy bhot zaleel bhi kiya hai or hum yahi dekhty dekhty bary hogaye meri ammi apni doston ko apni aulad py tarjeeh deti Hain wo aisy dikhati Hain jesy unko hmari zaroorat nahi main ek larki hun meri ammi ny mjhsy kabhi pyaar sy baat nahi ki jesy sb ki maa unsy krti hain kabhi pas bitha kr haal nahi pucha hamesha apni doston mai masroof rahi hain mjhy to bachpan sy e akela pan mehsoos hoa hai or ab bhi hota hai lekin ab Adat hogayi hai , kuch time mai meri shaadi hai in sha Allah tb tk mjhy ye sb bardasht krna prega , Mery abbu MERI ammi ko ksii cheez ka mana nahi krty chahy meri ammi ghalat cheez e Kyun na krai hon Mery abbu kuch nahi bolty na hmary liye bolty hain un k agy wo ammi ka e sath dety bhaly hmari ammi haram cheez e Kyun na krai hon , abhi shehr sy bahar jany ka MERI ammi ny socha hoa akely apni doston k sath jana hai unho ny mainy or bhai ny mana kiya to kehrhin k tm Loug choty bhai ko smbhalna or main apni doston k sath jaongi bahar , unko apni aulad apna ghar or apny shouhar ki parwah nahi wo jany wali hain or pata nahi Kab ayengi or ab aisy main mainy roka mana KIYA jany ko unho ny to unho ny Bhot zaleel kiya mjhy or bhai ko Mery or ye sab bachpan sy chalta araha hai wo pyaar sy baat tk nahi krtin humsy or na hmary sath bethti hain wo bs apni doston or mobile mai masroof rehti hain , aisy mai main zyada behs nhi krti unsy sirf Allah sy dua krti hun or Bhotttttt roti hun Kyun k Mery bolny ka kuch krny ka koi fayeda nahi hona un py asar nahi hota kisi cheez ka wo Kehti hain abhi ghoomungi sari Zindagi bachon ko papa hai Ab Mery din hain ghoomny k , wo haram or halal mai farq nahi rkhtin , main bhotttt roti hun unka rawaiyya Mery sath Bilkul Theek nahi hota mjhy bhotttt takleeef rehti hai main bhotttt Preshan hun baraye mehrbani mjhy solution dein is cheez ka k main kya krun , unko smjha k bhi dekhlia pyaar sy gussy sy unko smjh nhi ati hmari baat wo sara din phone mai lagi rehti hain or pta nahi kis kis sy baat krai hoti hain . Ab ismai main kya krun agha :(

Answer: Ap k lie zarori hai k unka ehtram krein sath hi sath apni waldah se is hawale se baat kije lekin khayal rkhiye k douran e guftugu koi badtameezi na ki jae ya onchi awaz me baat na kijae..
(Ref: Agha Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, maslah#347 )
pko kuch wazaif bayan kie ja rhe hai unhein anjam dein InshAllah hajat poori hogi..
1) Jaiz hajaat k liay Rozana 100 martaba parhna ( ya qaahiral adowwe waya waliyal walyeyye ya mazharal ajaaibay ya murtazaa ali ) yaqeenan mufeed hai. (Ref: Wazaif-e-Talib, pg #75 )
2) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajar pure hogi. (Ref: Payaam e Shifa, pg: 249)
3) Agar kise ko doost bana ho to surah namal ki ayat no: 31, aur surah qasas ki ayat no: 10 ko khane per perh kar dam kar de aur ise khelade (Ref: Payam e Shifa, pg: 257)
[Updated on 02-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124756
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-09-16

Question: I have a question, my friend who recently became a Shi'a is facing problems in her family. Like obeying parents is a must except if they are forcing you to do something that isn't permissible in Sharia, right? Is it a sin or not? Please kindly suggest something k what should i do to ease her pain? It pains me to see her like that

Answer: When an orders or restrictions from the parents is due to their love for children and disobeying causes pain to them, then it is forbidden for the children to disobey them unless the order which is given by the parents is obligatory or forbidden in islam..
(Ref: Tauzeeh-ul-masail Agha Sistani d.b, Edition #42, maslah #1387)
[Updated on 16-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124761
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-09-10

Question: aoa sir mein pochna chahta hon k mein umra pe jana chahta hon ami abhi sath jane ko tyar nhi to kya mein unko ghar chor k umra pe unki ijazat se ja sakta hon

Answer: G agar apki walda apko muhabat o shafqat ki wajah se mana nh krrhi ho or sath hi sath unki baat na manna unko aziyat phchana shumar na horha ho) to iss tarah se jane me koi harj nh hai..
(Lkn behtr hai k un k lie behtr intezam kr k jae taa k unhe mushkilat ka samna na krna pre..)
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, Edition #42, maslah #1387).
[Updated on 11-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print