Showing 0- 17 questions from 17 questions on this page.
Question: I AM MUQALIDA OF AAYAT-UL-ALLAH KHUI MY QUESTION IS AURAT MARD KE KONSE AAZA(BODY)DIKH SAKTI HAI BAGEER KISI LAZAT KE TV ME AUR PICTURE {TASVEER} ME.
Answer:
w salaam,
We are extremely sorry for the very late reply. This was because of some site functional probelems. We will try our best for the quick responce later, Insha allah.
Aurat ka na-mehram key chehray (face), hathoon (hands), sar aur gurden (neck), legs ka lazzat key bagair daikhna jayez hay,
agar-che behtar hay keh aisa na kiya jaye. Lazzat key saath in aaza ko daikhna ehtiyaat kee bina par haram hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail, Masla No. 2442
Question: internet per nangi larkyon ko luzzut ki nazar se dekhna kaisa hai?(i m girl)
Answer:
Salam un alaikum,
Aisa karna haraam hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2447
Question: Kia internet per barehna larkiyon ki tasaveer ko lazzat ki nazar se dekhna haraam hai?
Answer:
Salam-un-Alaikum,
Mazkoora soorat mai nazar karna "Haram" hia.
Ref: Tauzeeh ul masail Aqai Sistani Prob no 2442
Question: salam;internet per nangi larkiyon ko lazzat ki nigah se dekhna kaisa hai??(i m girl).....thanx
Answer:
Salam un alaikum,
Aisa karna haraam hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2442
Question: asalamalikum,mujhe drawing aur finearts ka shauq hai is liye i want to ask ke kia kisi insaan ki tasweer ya shkal sketch karna ya us ki painting bana islam mein jaiz hai
Answer:
Salam un alaikum
Insan ki tasveer banana jaiz hai laikin Ehtiat kia bina par Insan ka (Mujassama)banana jaiz nahi.
Ref:Isteftat Ayatullah Sistani
Question: Asalam mu alikum mayra sawal ye hai : kay tasveeray banana islam mai wajib hai ya nahi mai aap ka shukur guzar hun ga agar aap puri tarh say khulasa day baki wasalam...
Answer:
Tasweer ki 3 qismain hain.
1)Ze rooh maslan insan aur hewan ka moujasma banana. Ye mutlaqan ehtiyaat e wajib ki bina par haram hay chahay mokammal ho ya naqis(incomplete).
2)Zee rooh (insan aur janwar) ki tasweer (painting) banana. Ye jaiz hay.
3)Gair e zee rooh (maslan darakht) ki tasweer (painting) banana. Ye mutlaqan jaiz hay chahay mujasma hi q na ho.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam.kia bachpan ki pictures jab nabalig thay , namehram ko dikha sakte hain?
Answer: Agar bachpanay ki tasveer aap ki aaj kal ki halat ka pata day aur wo na mehram aap ko pechanta bhi ho to ehtiyat e wajib ki bina par is ka nigah karna jaiz nahi hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 49 pg # 44) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam walekum..mujhe fine arts ka shauk hai or usi me apna career banana chahti hu to kya kisi insan ,janvar ya kisi bhi tarah ki painting banana jaiz hai ya nahi.. or agar nahi hai to kyu nahi hai?
Answer: Tasweer ki 3 qismain hain. 1)Ze rooh maslan insan aur hewan ka moujasma banana. Ye mutlaqan ehtiyaat e wajib ki bina par haram hay chahay mokammal ho ya naqis(incomplete). 2)Zee rooh (insan aur janwar) ki tasweer (painting) banana. Ye jaiz hay. 3)Gair e zee rooh (maslan darakht) ki tasweer (painting) banana. Ye mutlaqan jaiz hay chahay mujasma hi q na ho.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya jandaron ka nqsh banana shirk ya bidat hai?plzanswer in detail regarding sahi quran and sahee hadees
Answer: Jandar k mujasma banana ehtiyat ki bina per haram hai laikin in ki khareed o farokth mana nahi hai. albetta jandar ki naqashi jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2030) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia sketching krna hram h??? Koi b jandar insan janwer plants in sb ki sketching hramm h??? Agr hmari niat shirk ki na ho bs shoq k tor p bnaen tb ye kesa h ?? Or ye b bta dain k kia kia bnana hram h ?
Answer:
Jandar ka mujasama banana ehtiyat ki bina per haram hai laikin in ki khareed o farokth mana nahi hai. albetta jandar ki naqashi(picture) jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2030)
[Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humare mah yan bap mein se koi dunya se chala jae to unki zinda picture apne sath social media per lgana jaiz hai yan whatsapp per yan phone me rakhna?
Answer:
Jaiz hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 18)
[Updated on 28-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humare mah yan bap mein se koi dunya se chala jae to unki zinda picture apne sath social media per lgana jaiz hai yan whatsapp per yan phone me rakhna?
Answer:
jaiz hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 18)
[Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا ہم موبائل میں اپنی تصاویر بنا سکتے ہے
Answer:
Insan ki tasweer(picture) banana jaiz hai laikin Ehtiyat ki bina par Insan ka Mujassama(Statue) banana jaiz nahin hai.
(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #18).
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u alikum kia qabar ki picture banana jaiz hai ?
Answer:
Jaiz hai.(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #18).
[Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamalaikum..Marhoom ki tasveer ghar mai laga sakte kya ?
Answer:
Jee han, Laga sakte hain.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, mafhoom e maslah #18. Tauzeeh ul masail, Mafhoom e Maslah #885).
[Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam . i wanna know that drawing faces are allowed or not
Answer:
Tasweer ki 3 qismain hain.
1) Ze rooh maslan insan aur hewan ka moujasma banana. Ye mutlaqan ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hai chahay mukammal ho ya naqis(incomplete).
2) Zee rooh (insan aur janwar) ki tasweer (painting) banana. Ye jaiz hai.
3) Gair e zee rooh (maslan darakht) ki tasweer (painting) banana. Ye mutlaqan jaiz hay chahay mujasma hi q na ho.
(Ref: Minhaj ul Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, maslah #18).
[Updated on 04-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya Musawari haram hai? Agar kisi ghair jandaar (cartoon ya fictional characters) ki drawing banai jae... Lekin mushabehat rakhta ho jandar se ya na b rakhta ho... Wasalam o Alaikum
Answer:
Tasweer ki 3 qismain hain.
1) Zee rooh maslan insan aur hewan ka mujasma banana. Ye mutlaqan ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hai chahay mukammal ho ya naqis(incomplete).
2) Zee rooh (insan aur janwar) ki tasweer (painting) banana. Ye jaiz hai.
3) Gair e zee rooh (maslan darakht wagera) ki tasweer (painting) banana. Ye mutlaqan jaiz hay chahay mujasma hi Q na ho.
(Ref: Minhajul Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, maslah #18).
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]