Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Lawaat(Sodomy) (60 Questions)


Showing 50- 60 questions from 60 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
111201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: کیا ایک لڑکا دوسرے لڑکے کو کس کرسکتا ہے۔ اگر انکی پاک دوستی ہو تو کیا وہ ادب سے چوم سکتے ہیں یہ نہیں۔

Answer: Mard ka mard ko jinsi lazzat ki niyat sai bosa dena haram hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 500 pg # 261)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111685
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-23

Question: agar hum nay chotay hotay hoa kisi larke ke saath sex kar liya ha jab me humain aqal nahi thi toh kya yeh gunnah maaf ho jai ga

Answer: Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghunah se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
Hazrat Rasool e Khuda s.a.w.w. irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
[Updated on 23-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
112913
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-04

Question: Agar kisi ladke(mard) ke sharmgah me maine apna penis bas ek bar hi dala aur bahar kr liya to kya wo zina ho gya? Aur kya uska gunah utna hi hai jitna mukammal sex krne me hai?

Answer: Lawaat yani mard ka mard k saath ghair fitri amal(bad faili) anjaam dena jaiz nahin hai aur haram hai or gunah e kabeera hai. (Ref : (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30).
(Aap ne jo amal kia wo gunah e kabeera hay)
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114034
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: I rubbed my penis in ass of a boy when i was 12 years old. There was no insertion in anal hole but i felt pleasure outside the anus. Now his sister is in my nikah. Is this nikah is halal? Please reply as soon as possible because my marriage date is near.

Answer: Ighlam(Lawaat) se muraad kisi mard ka kisi mard ke dubr(anus) main hi dukhhol karna hai, or ye amal gunah e kabira hay. Ighlam(Lawaat) karwane wale ki maan, Behn or Beti ighlam karne wale par (jabke Ighlaam karne wala Baligh ho) Haram hojate hen, Agarche Supari (uzw_e_Tanasul ka ibtadai ka hissay) se kam hi dakhil hua ho, Agar Ighlam karwane wala Mard ho ya Ighlam karne wala na_baligh ho tab bhi Ehtiyat_e_lazim ki bina par Haram hojate hen, lekin agar kisi ko guman ho k dukhool hua tha ya nahin, ya shak kare k dukhool hua tha ya nahin to phir haram nahin honge, or Isi tarah Ighlam karne wale ki maan, behn, or beti ighlaam karwane wale par haram nahin hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2369).
(Note: Agar dukhool nahin hua tha (yani uzw_e_Tanasul ka ibtadai ka hissay) se kam bhi dakhil nahin hua tha to nikah saheeh hai).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assalam o Alaikum MA shia asna ashri hu mera sawal Ye ha k koi mard aisi larki se nikah kr sacta Ha jis K Bhai K sath kbi galat taluqat qaim kr chuka ho agr Koi gunjaish ha tu mehrbani krke byan kr den?

Answer: Ighlam(Lawaat) se muraad kisi mard ka kisi mard ke dubr(anus) main hi dukhhol karna hai, or ye amal gunah e kabira hay. Ighlam(Lawaat) karwane wale ki maan, Behn or Beti ighlam karne wale par (jabke Ighlaam karne wala Baligh ho) Haram ho jate hen, Agarche Supari (uzw_e_Tanasul ka ibtadai ka hissay) se kam hi dakhil hua ho, Agar Ighlam karwane wala Mard ho ya Ighlam karne wala na_baligh ho tab bhi Ehtiyat_e_lazim ki bina par Haram hojate hen, lekin agar kisi ko guman ho k dukhool hua tha ya nahin, ya shak kare k dukhool hua tha ya nahin to phir haram nahin honge, or Isi tarah Ighlam karne wale ki maan, behn, or beti ighlaam karwane wale par haram nahin hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2369).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114843
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date:

Question: Maira aik doost kaafi gunah gaar insan hay, os ne mardo k sath ighlam bhi kia hay or larkiyo k sath zina bhi kia hay kia hay laikin ab wo sharminda hay, kia oski tauba qobool ho sakti hay? wo in gunaho ki taubah kaise karay.

Answer: 1: Lawaat (iglaam) yani mard ka mard sai gair fitri amal anjam dena, jaiz nhi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 461 pg # 253) 2: Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 3: App sachay dil se toba karen, Aur Hazrat Rasool Allah(s.a.w.w) se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijiye. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37).
3: Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi. or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. Yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem hai.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 07-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114909
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-28

Question: Me ek ladki hu 13 saal se 15 saal ki umar me sex kia tha apne cousin k saath jo ki baaligh nahi thaa aur penis andar daakhil nahi hota thaa na hi uski mani khaarij hoti thi kyaa ye zinah kehlaega ? Aur iska gunaah uss Nabaligh par bhi aega ya mujh par ?

Answer: Zina men ye hota hay k aik baligh(jo bacha na ho) or aqil merd(yani jo pagal na ho) apne uzo e tanasul(penis) ko hashfe(glanspenis) ki miqdaar k baraber aik aisi aurat ki agli(vagina) ya pichli(anus) sharamgaah main dakhil kare jo is merd k liay halal na ho. aur na-baligh par koi sharaei hukum lago nahin hota. Albatta aap gunahgar hain aur lazim hai aap tauba karen.
(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chepter kitab e hodood, pg #313).
[Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114920
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-09

Question: Larkay k sath Sex kee kia saza ha or iska kafaara kia ha

Answer: 1: Lawaat (iglaam) yani mard ka mard sai gair fitri amal anjam dena, jaiz nahin hai.
(Ref: Jadeed Fiqhi Masael, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #461, pg #253).
2: Sachay dil se toba ki jaye, Aur Hazrat Rasool Allah(s.a.w.w) se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main toba ki jaye.
(Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #37).
3: Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu apnay aap ko is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahin donga. or hamaisha yaad rahe k Allah har waqt daikh raha hay or is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. (Yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem hai). (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010).
[Updated on 09-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-02

Question: Mara sawal ma ak video dakh raha tu us ma alama sab kha rahy thy k ak larka ur larky ma ghalti sy badfali ho jy tu us k bahan sy nikkah ni ho sakta

Answer: Ighlam(Lawaat) se muraad kisi mard ka kisi mard ke dubr(anus) main dukhhol karna hai, or ye amal haram or gunah e kabira hay.
Ighlam(Lawaat) karwane wale ki Maan, Behen or Beti ighlam karne wale par (jabke Ighlaam karne wala Baligh ho) Haram ho jate hen, Agarche Supari (uzw_e_Tanasul ka ibtadai ka hissay) se kam hi dakhil hua ho, Agar Ighlam karwane wala Mard ho ya Ighlam karne wala na_baligh ho tab bhi Ehtiyat_e_lazim ki bina par Haram ho jate hen, lekin agar kisi ko guman ho k dukhool hua tha ya nahin, ya shak kare k dukhool hua tha ya nahin to phir haram nahin hon ge, or Isi tarah Ighlam karne wale ki Maan, Behen, or Beti ighlaam karwane wale par haram nahin hen.

(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2369).
[Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123383
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-08

Question: AoA! Mera sawal yeh hai ke kia mard aur mard ki saramgahen ya mard aur larke ke sex se ghussal wajib hota hai.

Answer: 1: Mard ka mard se ya larke se gair fitri amal anjaam dena (sexual relationship) jaiz nahin hai aur ye amal Lawaat (iglaam/homosex) kehlata hai aur ye ghunah e kabira hai. Aur is ki wajah se ghusl bhi wajib ho jata hai.

2: Nauzbillah Agar koi shakhs kisi haiwaan ke saath wati (وطی sex) kare aur us ki mani khaarij ho to sirf ghusl karna kaafi hai aur agar mani khaarij na ho aur us ne wati karne se pehle wuzu kiya hua ho tab bhi sirf ghusl karna kaafi hai aur agar wuzu naa kar rakha ho to ehteyat-e-waajib ye hai ke ghusl kare aur wuzu bhi kare aur mard ya larke se wati karne ki soorat mein bhi yahi hukum hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #350).
[Updated on 08-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print