Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mix gathering (6 Questions)


Showing 0- 6 questions from 6 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
14729
Mujtahid:
AyatoAllah Sistani (r.a) Date:

Question: kia khandaan ki aisi shadian jahan mukammal tour pa mixed gathering ho, attend karna jaiz hai? ayaotalla sistani is baray main kia farmatay hain .. kia yea ahkaam mard or aurat k liay same hain? or plz farmaiye ga mixed gathering kin kin moqon par jaiz hai .. office main kaam karna jahan aurton sey interaction ho wo jaiz hai? universities main .. khandaan ki picnic jahan sab namehram bhi hon wahan janay k kia ahkaam hain .. baraye meherbani yea ahkaam mard or aurat dono k liay batayie gaa .. jazakAllah!

Answer: 1) Agar aap ko yaqeen ha ka app kise qism k ghuna me mubtila nahe hon ghi to aap k lye jaiz hai.(ref : E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april)
2) (haram mixed gathering se muraad ye he k ) Aurate aur mard is tarh jama hoon k jis may hijab ka khayl nah rakha jay aur isi terh in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat may zahir ho to wo jaiz nahi hay. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 152, pg # 67)
3) Office main kaam karna : agar shr’ei(islamic) parday ka khayaar rakha jay aur lazzat ka iraada ya Ghana me mubtela hone ka khoof na ho to koe haraj nahe hai. (Ref : nigah aur libaas ques # 97 pg # 65).
4)university me co.education: Agar gunnah aaloud nigahoo ka tabadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koe haraj nahi laikin is k bawajood ye masla is laiq hay k islami mumalik k zimaydar afraad larkoo aur larkioon k liye alag alag taleemi idaray bananay k liye mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libaas ques # 92 pg # 63). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
41370
Mujtahid:
about men and women Date:

Question: janab ham ye pochna chahtay han k kia ak mard aowrat ko parha sakta hain. awr agar parha sakta hay to kin sorato may awr kis tara parha sakta hay

Answer: Agar burai mai mubtila honay ka imkan ho tu wahaan par (parhanay k liay) rukna haram hai,chahay wahaan koe aaskta ho ya na asakta ho.(ref:book nigah aur libaas,masla#103,pg67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
57269
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AssalamunAlaiykum, What is the rule of attending wedding function in which there is mix gathering, as both men and women are in a single hall, without partition between them though they are not sitting on the same tables?? Similarly what about organizing such gatherings??

Answer: 1) (haram mixed gathering se muraad ye he k ) Aurate aur mard is tarh jama hoon k jis may hijab ka khayal nah rakha jay aur isi terah in ka aisa mail milaap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat may zahir ho to wo jaiz nahi hay. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 152, pg # 67)
2) khandaan ki aise shadi me jana jaha mukamal tour se mix gathering ho Agar aap ko yaqeen ha ka app kise qism k ghunah me mubtila nahe hon ghe to aap k lye jaiz hai.(ref : E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: What is fatwa of mix gathering?

Answer: (Haram mixed gathering se muraad ye he k ) Aurate aur mard is tarh jama hoon k jis may hijab ka khayl nah rakha jay aur isi terh in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat may zahir ho to wo jaiz nahi hay. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 152, pg # 67) khandaan ki aise shadi me jana jahan mukamal tor se mix gathering ho Agar insaan ko yaqeen ha ka app kise qism k ghuna me mubtila nahe hon ghi to insaan k lye jaiz hai wrna jaiz nahi hai.(ref : E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
114926
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-26

Question: Assalamoalaikum, mere Maa baap mujhe daawat me lejaana chahte h pr waha na mehram h .mom dad family relations rakhte h.humara koi khooni rishta nhi h...mere Maa baap chahte h ki Mai bhi saath jaau..aap plzz btaiye isme mere Maa baap ko gunah milega q ki Mai nhi chahti jaana waha aur plzz btaiye ki Mai Maa baap ko kaise mana kru waha mujhe le jaane se..

Answer: (Haram mixed gathering se muraad ye he k) Auraten aur mard is tarh jama hon k jis may hijab ka khayal nah rakha jay aur isi terh in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat may zahir ho to wo jaiz nahin hay.
(Ref: Mujthid se pouchey gaye sawalat, part #2, sawal #152, pg #67).
khandaan ki aise shadi ya mehfil me jana jahan mukamal tor se mix gathering ho Agar insaan ko yaqeen hai ke wo kisi qism ke ghuna me mubtila nahe hoga to insaan ke liye jaiz hai warna jaiz nahin hai.
(Ref : E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april).
[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-08

Question: Asee weddings jis main gaana baj raha ho aur hum mokammal hijab main hon with makeup tou kiya huqum hai ayat ullah sistani mukallid hon

Answer: 1: (Haram mixed gathering se muraad ye hai ke ) Auraten aur mard is tarah jama hon ke jis me hijab ka khayal nah rakha jaye aur isi tarah in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat me zaahir ho to ye jaiz nahin hai.
Maslan khandaan ki aisi shadi me jana jahan mukamal taur par mix gathering ho to agar insaan ko yaqeen ho ke kisi qism ke gunah me mubtila nahin ho ga to insaan ke liye jaiz hai, warna jaiz nahin hai.
Isi tarah aisi mehfil me jana, jahan gane wagera bajaye jaa rahe hon agar gunah me mubtila hone ka khauf nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin hai.
2: Makeup karne ke baad na mehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai lekin agar makeup bauhat mamoli ho aur zahir na ho to phir makeup karne ke baad chehra chupana wajib nahin hai.

(Ref: Mujthid se pouchey gaye sawalat, part #2, sawal #152, pg #67).
Nigah o libaas, pg #96.
sistani.org, urdu, zeenat, ques #1.
E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april).
[Updated on 09-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print