Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Sawab (4 Questions)


Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
56745
Mujtahid:
Date:

Question: konsa amal har namaz k baad aik hazar rakat namaz ka sawab rakhta hai?

Answer: Tasbeeh e Fatima binte Muhammad (s.a.w), jesa ke Hazrat imam Jaffer o Sadiq (a.s) se marvi hai ke Hazrat Fatima Zehra (a.s) ki tasbeeh her namaaz ke bad baja lana mere nazdeek rozana 1,000 rakat namaaz e nafila se ziyada mehboob hai. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 115 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
110765
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-29

Question: Asslam o alaikum.. Mera ya sawal hai. koi banda apni nemaz ka sawab un logo k poncha sakta hai.jo fout ho gy hun

Answer: Jee haan apni wajib ya mustahab namaz ka sawab kisi zinda ya murda ko hadiya kia ja sakta, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, before maslah #752
[Updated on 29-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
115716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-16

Question: Question: Sir 5 tanj paak aor 12 imam ko quran parh kr bakshany ky hawaly sy kya ahkamat hain?

Answer: insaan mustahab kaam de kar is ka sawaaab marhoom ya zindaa ko hadiya karsakta .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1515).
[Updated on 16-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122448
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-23

Question: Kiya betii apne baap ki kabar pr Jaa skti haii or apne baap ki kabar pr agarbatti jala skti haii??

Answer: 1: Jee han, jaa sakti hai Q ke aurton ke liye qabtistan jana jaiz hai.
2: Agar agarbati, loban, chirag waghaira ka istemaal maal ka israaf na samjha jaraha ho to ye haram nahin hai aur beti baap ki qabar par jala sakti hai. (lekin is ke istemaal ko deen ka hissa na samjha jaye).
Note .marhomeen ke lie aise kaam kie jasakte Hain Jo un ko faida de ,masalan ,un ki qabar per fatiha khani ki jaae,in ki qaza nazame ,roze rakhwaae jaae ,un ki traf se sadaqa dia jaaye ,agar un ke upper Kise ka koi qarza hay tu wo ada kia jaae ,agar un upper khums hay tu wo ada kia jaskta hay
(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, part #3, sawaal #202, pg #85). + Deen Ke Ahkam, Ayatullah Sistani(d.b), #356).
[Updated on 24-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print