Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mula Ali (a.s) (11 Questions)


Showing 0- 11 questions from 11 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
15430
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Hazrat Ali R.A.A. ne kis shahar ko apne dar-ul-khilafa qarar diya tha?

Answer: Ameerul Momineen Hazrat Ali (a.s) ne kofa sheher ko apna darul kahlifa banaya.(Ref:http://ur.wikipedia.org/wiki/عراق) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50477
Mujtahid:
Date:

Question: Kiya quran pak main kahen aaisa likha hai k hazor pak (p.b.u.h) ny farmaya hai k jis ka maula main mere baad ali us ka maula hai? ???

Answer: Ager ap ki muraad ye hai ke ye alfaaz Quraan main hain ya nahi? to jawaab hai ke ye alfaaz Quraan Majeed main mojood nahi hain.
Or ager ap ki muraad ye hai ke Quraan Majeed ne is ka hokum diya hai ke nahi? To jawaab ye hai ke Quraan e Majeed ne is ka kukum diya hai is terhan ke ye hadees ulama ke dermiyaan yaqeeni tor per Muhammad(s.a.w) ne farmaae hai, or Quraan e Majeed farmaata hai ke ager tum allah se muhabbat karte ho to mere(s.w.a) hokum ki takmeel karo to pas samaj aata hai ke ager tum ALLAH TAALA se muhabbat karte ho to ALI (a.s)mula tasleem karoo.(Ref : sura e aal e imraan , aayat # 3 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
53254
Mujtahid:
nabi Date:

Question: Asslamu alaykum,mera sawal,Jnaza namaz ki ibtada kis nabi se suru hai?

Answer: Hazrat shees(a.s) ne hazrat aadam (a.s) ki namaaz e janaza aada farmaae thi.(Ref : tareek e islaam , baab # 6 , pg # 116 to 117 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
60320
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: 10 zil Haj ko hujatul Wida k khutbay mai Nabi Akram s.a.w.w nay Hazrat Ali ko mola kyu nhi bana dia 18 zil Haj ko hi kyu, aur wo kaunsi Aayat hai jismai Allah nay Balligh ma..... ya Ghadeer k msge dainay k liay kaha tha, plz answer

Answer: 18 zilhajj ko surah maida No#5 ki ayat no:67 Nazil hui ( jis ka terjuma ye hai k aye Rasool ap wo hokum poucha den jo ap k rab ki taraf se ap per nazil hoa hai. or Rasool allah ne Hazrat Ali (a.s) ko tamam logon ka hakim or moula banaya tha.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 227,pg # 102) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60734
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: a.o.a...zulfiqar kon c jang me nazil hui thi?

Answer: Zulfiqaar jang uhad me naazil hoi jo 3 hijri me hoi thi. (ref: chuda sitaare, alama najamul hasan qaraarvi, pg: 67) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
81808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Q. Assalamo Alekum.mera sawal hai ki kya janab e aqeel ibne e Abi talib Muawiya sey mil gaye they?

Answer: Answer : Janab e aqeel a.s ne mawiya se maali madad k liay mulaqaat ki thi, laikin mazhab e shia per hi qaaim rahe thay or hazrat Ali a.s ki fazilat ka koe mauqa hath se nahi janay daite thay, aik din mawiyah ne darbaar main kaha keh agar aqeel mujh ko ali se behter nah paata tu mairay paas nah aata, tu janab e aqeel a.s ne fermaya maira bhai ali a.s mairay deen k waste mairay liay behter hain or tu mairi dunya k waste behter hay,main apni dunya ko tarjeeh daita hoon or khuda se akhirat bakhair hone ki kha,hish rakhta hoon.( http://fa.wikishia.net/view/%D8%B9%D9%82%DB%8C%D9%84_%D8%A8%D9%86_%D8%A7%D8%A8%DB%8C%E2%80%8C%D8%B7%D8%A7%D9%84%D8%A8)۔ Update on dated 22-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam walykum.. mera swal ye h ki kya shia ko eid nahi mnani chahiye kyuki moula Ali as. ki shadat bhi ramzan me hui or kuch ho din baad shia eid mnate h kya ye jayz h plzz muje janna zarori h...

Answer: عید الفطر سے متعلق اھل بیت (ع) کے ارشادات اور عید کا شرعی جواز:
اھل بیت (ع) کے کچھ عقیدت مند اور عزادار یہ کہتے ہوئے نظر آتے ہیں کہ عید کے دن امام علی (ع) کا دسواں ھے ، ھم عید نہیں منائیں گے،سب سے پہلی بات یہ کہ ان کا یہ کہنا ان کی اھل بیت (ع) سے محبت و عقیدت کی نشانی ھےدوسری بات: تصور عید کو سمجھیں۔ عید میڈیا کا دیا ہوا تصور نہیں بلکہ ایک روحانی تصور ھے جسے اسلام نے عطا کیا ھے۔
امام علی (ع) نے کللمات قصار 428 میں عید کا فلسفہ بیان کیا ھے،عید صرف اس کیلئے ھے جس کے روزوں کو اللہ نے قبول کیا اور قیام و نماز کو شکر کی نگاہ سے دیکھا اور ھر وہ دن کہ جس میں اللہ کی نافرمانی و معصیت نہ کی جائے وہ عید کا دن ھے، تیسری بات یہ کہ اگر عید کے دن دسواں منایا جائے امام علی (ع) کا تو اس طرح کئی ایسی شہادتیں اورمناسبتیں ہیں کہ جن کے فوراً بعد آپ خوشی مناتے ہیں؟ مثلاً ۲۹ ذی قعدہ کو امام محمد تقی (ع) کی شہادت ھے اور یکم ذی الحجہ کو عقد امام علی (ع) با حضرت زھرا (س) ھے تو وہاں آپ علی (ع) کے ساتھ ھے زھرا کی شادی کی منقبت پڑھتے ہیں!! اپنے گھروں میں شادیاں کرتے ہیں! خوشی مناتے ہیں؟ کیوں ؟ وھاں غم کیوں نہیں مناتے ؟ اصول سب جگہ ایک ھونا چاھئے!! سب جگہ ایک اصول رکھنا چاھیے،چوتھی بات یہ کہ چھاردہ معصومین (ع) میں سے صرف امام حسین (ع) کا صرف چھلم منانے کا حکم دیا گیا ھے!!دسواں اور سوئم نہیں!! کیونکہ دسواں یا سوئم ہم نے بنایا ھے اسلام نے نہیں،پانچویں بات یہ کہ امام سجاد(ع) نے نماز عید الاضحی کی بعد کی دعا 48 میں خطبہ و نماز جمعہ و عیدین کی امامت کو اللہ کے جانشینوں کیلئے مخصوص قرار دیا ھے اور کہا ھے کہ جسے انہوں نے غصب کر لیا تو یہاں غاصبین سے مراد بنو امیہ ہیں،چھٹی بات یہ کہ قنوت جو اھل بیت (ع) کا تعلیم کردہ ھے اور خطبہ عید الفطر جو امام علی (ع) کا ھے اس میں پڑھتے ہیں کہ یہ دن عید کا ھے،آخری بات یہ کہ عید کے دن اھل بیت کا غم منانے سے روکا نہیں گیا بلکہ اس کی تشویق کی گئی ھے! مثلاً زیارت امام حسین (ع) در روز عید الفطر، دعائے ندبہ وغیرہ، اس زیارت و دعا میں اھل بیت کے مصائب کو بیان کیا گیا ھے! ظاہر سی بات ھے کہ انسان جب یہ جملے ہڑھے گا تو گریہ کرے گا!! لیکن یہ غم منانا اس انداز سے ھو کہ تمام اھل اسلام کی اجتماعی روحانی خوشی کو مد نظر رکھا جائے۔
(Ref: https://www.facebook.com/sadiqrazataqvi.01/videos/838803052863561/?sw_fnr_id=229934669&fnr_t=0). Update on dated 22-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84441
Mujtahid:
Date:

Question: kia quran main likha hai maan kunto moula fahaza ali un moula?

Answer: Quran main nahi likha laikin motabar riwayaat or ahadees mai ye wazeh tor par mojood hai or is jumle ko surah e maaida ki ayat#3 k zail mai shia or sunni tafaseer dono main zikr kia gaya hai. or ahle sunnat ki seha e sitta main bhi is ka zikr wazeh taur par moujood hai . (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%A7%D9%82%D8%B9%DB%82_%D8%BA%D8%AF%DB%8C%D8%B1). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92502
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o Alaekum. Main yeh puchna chahta hun k main ne bachpan se ab tak apne ghar me yeh baat sunni hai k Rasool Allah (Saw) ne Khuda se dua ki thi k Jahan Jahan Mera Zikar Ho Wahan Wahan Mere Bhai Ali a.s ka Zikar Ho. Is baat ki kya haqeeqat hai? Is ki riwayat hamen kahan se milay gi agar yeh sahi hai. Aur agar yeh baat sahi hai to phir hum Tashud me Shahadat e Salisa qu nahi de sakty? Please answer.

Answer: Rasool e khuda ki ye hadees moujood hai k apni Mahafil ko Ali ibn e Abi Taalib k zikr say zeenat do. or jahan tak rahi shahadat e saalisa ki baat us mai aap k mujtahid ka qoul hujjat hai aap apnay mujtahid ko follow karain ayatullah seestani k fatwe main ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai. (Ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition). Update on dated 25-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99360
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.o.a sir main ye pochna chahta hon ke log ye bhi kehte han ke bibi ruqia bint e ali (as) lahore main han or kuch kahte han ke wo yahan nai han to assal bat kia ha....plz answer den

Answer: Janab e Ruqayyah bint e ali misr main dafan hay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B1%D9%82%DB%8C%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C_%D8%A8%D9%86_%D8%A7%D8%A8%DB%8C_%D8%B7%D8%A7%D9%84%D8%A8)

Print

Id:
113255
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-27

Question: Waqte wiladat Imam Ali Ne kis sureh ki Tilawat ki

Answer: Imam Ali(a.s) jab aagosh e madar se aagosh e risalat men aaye to Huzoor(s.a.w.w) ke chehre mubark ko dekh kar muskuraye aur Surah Mominon ki tilawat karne lagay. (Ref: Amali, Shaikh e Toosi, pg #708)
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print