Showing 0- 7 questions from 7 questions on this page.
Question: wo kon se paighamber h jo bina baap k paida hue?
Answer: Hazrat essa a.s wo nabi hain jo bina baab ki paida hoay. (Ref : https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B9%DB%8C%D8%B3%DB%8C%D9%B0_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ). Update on dated 28-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: O kosa dhoor hy jis my Ten peghamber saat ay ??
Answer:
Aksar mufassireen ka kehna ye hay keh sorah e yaseen ki ayat#14 main jis gaon ka zikr hay wo antakiah ka gaon hay or is ayat main jin 3 ambiya ka zikr hay wo yohanna, yulus or shamoon hain. (Ref: Quran, terjuma zeshan haider jawwadi,nashir ansariyaan, pg#914). Update on dated 24-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wo konse nabi hai jinko quran majeed me unke maa ke sath pukara gaya hai
Answer:
Wo nabi janab e moosa a.s hain. (Ref: Surah qasas sorah#28, ayat#7) . Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran may kul kitnay ambea ka zikar hai
Answer: Quran mai taqriban 26 nabiyon ka on k naam k sath ziakr hay.(Ref: http://www.hamarenabi.in/2015/09/26-nabiyo-ka-zikr-quran-shareef-mein-hai.html). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: us nabi ka naam batayiye jo ma ke goud me se bol uttha
Answer: Wo nabi hazrat essa a.s thay. (Ref:surah e maryam). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Hazrat Adam a.s ka bade nabowat unke ulad main sa kis ko mili?
Answer:
Hazrat shees a.s ko janab e aadam k baad nabuwat di gayi.(Ref: https://www.imamreza.net/old/eng/imamreza.php?id=8382).
[Updated on 07-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam, kiya ye kehna sahi hai kay anbiya ki tadad 1,24,000 hai qukay quran mei kam o baish 24-25 anbiya ka zikar kiya gya hai. koi authentic hadees ya riqayat bata dijiye jahan anbiya ki tadad mention ho. agar koi specific nahi tou hum bachpan sei hi ye kiyon parh rahay hain? Jazakallah. Salamat rahain
Answer:
Mashhoor riwayaat ki bina per ambiyaa ki tadaad 124000 hay. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%86%D8%A8%DB%8C%D8%A7)
[Updated on 24-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]