Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Gift (30 Questions)


Showing 0- 30 questions from 30 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalamo Alaikum.sawal ye hai kay kia provident fund per jo zaid raqam company apni taraf say dayti hai jaiz hay.

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1310 , Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Niaz mai jo dua ki kitab baatn tai hai, uskai pehlai safai per surah fateha ki request hoti hai, kia yeh fateha na pernai per koyee gunah hai

Answer: Q k dua ki kitab per fateha ki guzarish(Request) ki gae hoti hay. Is liay fateha ko perhna wajib nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1326 , Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2028
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I resigned from a foreign non muslim company and got Provident Fund. from time to time I received interest on Provident Fund Account which I received in total when I resigned however there was also loss on this account last time. I have taken out khums on my PF contribution. Please advise regarding interest on PF received over a period of years. is this money ok and halal.

Answer: Your Provident Fund money is lawful(Halal). (Ref: Mafhoom e Email Rcvd from, A.sistani d.b) Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14110
Mujtahid:
quran pe qasam Date:

Question: mene shadi k 2 saal k baad court k zuriye khula le li thi. is liye apna huq mehur bhi maaf kr dia tha. shadi k waqt susral walo ne kuch zever gift k tor pe diye thy. jo me ne bech diye thy kion k shor mujy khurcha nhi deta. ab susral waly wo zever wapis mang rhy hein. or chaty heink mein QURAN pe HLUF uthao k mery pass wo zever hein. jubk unho ne mera koi bhi saman muhy waois nhi dia. mera sawal ye hai k un zever pe mera huq hai k nahi???? aur agr me ye hulf uthati hoon k "AP K KOI ZEVER MERY PASS NHI HAI" tu kia k galut hoga?????

Answer: Wo zewraat jo apko tohfe k tor per mile the agr wo apne bech diye hen to ab ap k susraal walon ko wo wapis lene ka koi haq nahi hai, or na hi ap pr wapis krna wajib hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320-1322, Eidition 1417 hij). Ap k liye ye Halaf uthana ya qasam khana k “Ap k pas ab un k koi zever nahi hain" jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16075
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b. Date:

Question: Khailoo(sports) k muqabilay mai jeetnay wali team ko aisey kisi idaray ya shakhs ki taraf sai inam denay ka kia hokum hai jo khud muqabilay mai shareek na ho?

Answer: Agar inaam ki shart nah rakhi gae ho to sahi hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed masael , Mafhoom e Pg #182 , part# 2). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
40369
Mujtahid:
Date:

Question: kya kafan ko hum gift kar sakte ek dusrun ko?

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1312, Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
41202
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Hiba ke Ahkam.

Answer: Hiba (Gift) k matlab apni cheez kisi doosre ko dena baghair kisi badle k,,Jo gift de raha ho us k liay zaruri hai k wo baligh, aaqil ho, or apnay irade se, or apni marzi o ikhtiyar se gift de raho ho. Or ye bhi zaruri hai k Hiba (Gift) men aysi chiz di jaye jis ki islam men lain dain jaiz ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1311-1312, Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46967
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mear question yah hai k main apnyswalid sb ka iklota beita hn aur meri char bahnay hain. meray walid sb ny meri sister ki raza mandi sy apni jaidad mery naam kr di hai, aur meri sisters muj sy bohat bohat pyaar kart hain. wo kbi b mj sy hisa nahi mangay ki. kia main gunghar tu nahi hn ga

Answer: Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meras k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52071
Mujtahid:
na Date:

Question: Assalam walaikum Mere biwi ke walid apne beti ko apni jaidad ka ek hissa dena chahte hai par mai aur meri biwi ye lena nahi chahte Kya ye sahi hai

Answer: 1-Lena bhi jaiz hay or mana kerna bhi jaiz hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1314, Eidition 1417 hij).
2-Albatta agr ap ki biwi ka jaidad ka hissa lene se mana kerne se un k walid ko baiti se shafqat o muhabbat ki wajah se aziyat ho to apki biwi k liye wo lena wajib ho jayega q k walden ko aziyat dena haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 1387). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jehez kia saas kbi b wapis ly skti hai...shohar ka kitna haq hai us per ??????

Answer: Jaheez aik tohfa hay jis per baiti ka huq hay or aap k jahez per koe haq nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat,part# 2,Mafhoom e Maslah #150). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-02-19

Question: Salam arzz hai Mje yeh pochna hai k.agr hum.apne old.kapre jo bilkul sahi condition me ho to kia shleter home me donate krna chie or kia.waqai shelter home.wale.unhe use.krte hen ya phek dete hen kch smjh nhi ata k.ks ko.den or ks ko nahi den batein is bare.me.kch

Answer: Ye aap ko osi idare se pochna chahiay jis jagah aap donate kar rahe hain. (https://sarimburneytrust.org/?utm_source=AdGrntsAdawarness2ad2&gclid=CjwKCAiA1rPyBRAREiwA1UIy8BLTBMPHv2-MyHIi7oLlhxmotGjvifKXaofE2w35p7EeSPALnMnKrBoCEAMQAvD_BwE).
[Updated on 19-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104563
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-21

Question: Kya magater ko koi cheez gift k tor per day saktay Hain agar wo czn ho Kya wo use Kar sakti hai Kya hus per Haram hai k nahi ??

Answer: Faqat tohfa dayne main koe haraj nahi. or Cousin choonkeh rehmi rishtedaar bhi hay tu os ko tohfa daina mustahab bhi hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1335,eidition 1439 ).
[Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110724
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-30

Question: Assalamualaikum . hum 4 bhai or hmari 4 behnein hain. Mry bhai 17 saal ki age say he walid k sath karobar mai lag gaye. Or unhein abbu ny monthly koi salary per nae rkha ik sath jama kiye paisay.. ab ager abbu 20 saal bad bhai k naam per koi property lga detay hain.. kya us mai say b behan ya dosray kisi bhai ka hissa bnta hai?? Aisay ager koi b property walid apni zindagi mai he kisi betay k naam per buy krein.. matlb k first owner he bhai hon.. kyn us mai say b kisi behan ka hissa bnta hai.. ? Please rehnumai kijiye.. Allah ajar day.

Answer: Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad main se kisi aik ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meras k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111081
Mujtahid:
Ahel e sunnah Date: 2021-12-01

Question: Asslam o alikum! kia muh bolay bhai sy gifts exchange kiay ja skty hian?

Answer: Wa alaikum salam, munh bola bhai na mehram hai. lekin tohfa dayne aur layne main koe haraj nahi.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1335,eidition 1439 ).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111227
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Assalam O Alaikum Mera sawal yeh hai ke mein ek company me employee hoon. Client mujhe as a gift kuch paise deta hai to kia mere liye yeh lena jaiz hai. Please Ayatullah Seestani ke nazdeek mujhe guide krdein. Shukria

Answer: Hiba (Gift) ka matlab apni cheez kisi doosre ko dena baghair kisi badle k. Jo gift de raha ho us k liay zaruri hai k wo baligh, aaqil ho, or apnay irade se, or apni marzi o ikhtiyar se gift de raho ho. Or ye bhi zaruri hai k Hiba (Gift) men aesi cheez di jaye jis ki islam men lain dain jaiz ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1311,1312,1313, Eidition 1417 hij).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-25

Question: Talaq ki sorat maen shoher Aur susral walon ko turaf se dye gae zaewarat ke bare maen Kia qanon Aur aehkam haen

Answer: Shohar or susral wale tohfe main di gae cheez ko wapas laine ka mutaalba kar sakte hain, ye os sorat main hay jab wo tohfa maujood ho. or agar ye loog mutalba nah karain tu aap per wapis karna wajib nahi hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat,part# 2,Mafhoom e Maslah #150).
[Updated on 25-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: kia bati ko warasat main hisa bap k marny say pahly mil sakta hai jub k uski shadi ho gai ho

Answer: Agar Baap jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de de to wo tohfa (gift) kehlaye ga, or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meeras k ahkaam nahi ate. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #2, Edition #1417 hij, Mafhoom e Maslah #1320).
(Note: Meeras ke ahkam marne ke bad aate hain marne se pehly nahin or marne ke bad beti ko bhi meeras se hissa milta hai lekin beton se adha hissa mile ga).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115199
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-28

Question: Agar maap baap apni zindagi mai apni aulaad mai meeras taqseem karna chahty hon to us ka shariyat mai kia hukum hai ? Aulad mai b sirf 2 betiyaan hain wo b shadi shuda..

Answer: 1)Agar maap baap zindagi may apna mal taqseem kar kay apni olad ko day to wo meeras nahi balkay hiba(tohfa) kehlata hay or maap baap jisay jitna dayna chahan day saktay han (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij).
[Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115702
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-27

Question: Aqeeqah ki dawat me koi hadiya laaye to lesakte hai ya nahi

Answer: Jaiz hai, le sakte hain.
(Ref: Minhaaj us Saliheen Part #2, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #1310,1312,1314 Edition #1417 hij. https://www.sistani.org/arabic/book/15/4183/ ).
[Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115728
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-13

Question: باپ نے بیٹے کی بیوی کو زمین دی ہو اور باپ فوت ہو جائے تو کیا بیٹا باپ کی زمین میں وارث ہوگا یا نہی۔ جبکہ بیٹے کو باپ نے اپنی زندگی میں عاق کر دیا ہو

Answer: Jis maal ka insaan apni zindagi me kisi dosere ko tufa de kar maalik bana daita hay or jis ko wo maal diya gaya hai us ne qabza bhi kar liya ho tu wo maal pehle wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shakhs ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo zameen aap ke walid ne apne baite ki biwi ko zindagi men di hai wo baite ki biwi ki milkiyat hogi us zameen me
se bete ko kuch nahin mile ga. Lekin Baap k inteqaal k baad jo maal Baap ki milkiyat main tha wo sab meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga or us men se bete ko bhi mile ga.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Part #2, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #1320, Edition 1439 hij).
(Note: Yeh waazih rahe ke Aaq karne ke mana na farman qarar dena hai, jis ki meeras se mehroomi ke hawale se sharan koi hesiyat nahin hai, yani Baap ka apni aulad men kisi ko apni jaidad se Aaq karna jaiz nahin hai aur na hi sharan is ki koi hesiyat nahin hai, Pas walid ka apni aulad men se kisi ko Aaq karne se wo meeras se mehroom nahin hoga, Balke wo ba dastoor us ki aulad men shaamil rahe ga aur walid ki maut me bad us ke meraas men apne sharaei hisse ka haq dar hoga, Albatta agar waqean wo walid ka na farman ho to ye gunah e kabeera ka murtakib hai, jis par Allah ke nazdeek is ka mukhiza hoga).
[Updated on 14-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116456
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Agar hm kisi ko koi tohfa dain or baad mai ye keh dain k wo cheez hm ny tmy sadqa ki to kia tohfa sadqa bn jata hai?

Answer: Us tuhfe ki faqat sadqe ki niyat karne se wo tuhfa sadqa ban jata hai, aur jis ko diya hai use batana bhi zaroori nahin.or sadaqe dene me qurbatan illah (yani allah ki khush nude ki khatir kise ko sadaqa derahe hai) ki niyat hona zarori hay (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sisitani(d.b), Part #2, masalah #1603).
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120668
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-06

Question: Biwi ko haq mehr k ilawa jo zewar diya jata hai shadi k waqt, kiya wo talaq k waqt wapis liya ja skta hai?

Answer: 1: Shadi ke waqt jo zewar diya jata hay agar wo tuhfe (gifts) ke taur par tha ya biwi ki milkiyat me qaraar diya gaya tha to biwi us ki maalik ho jaate hay or biwi ke lie zaroori nahin hai ke wo zewar waapis kare.
larki ko tuhfe (gifts) dene wale agar larki ke khooni rishtedaar hain ya tuhfa (gift) khatam ho chuka ho ya us tuhfe (gifts) me koi aisa tasarruf (changing) kar diya ho ke pehle wala tuhfa (gifts) hone ki zaat usper sidq na aaye tu in tamaam suraton me tuhfe (gifts) dene walo ne jis ko tuhfe (gifts) diya hay us se wo tuhfe (gifts) waapse nahin le sakte albatta agar tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us ka khooni rishte daar na ho or asal tuhfa (gifts) moujood ho tu tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us se tuhfa (gifts) waapse le sakte hay or jise tuhfa (gift) diya gaya hay wo mana bhe nahin kar sakta. lekin agar tuhfe (gifts) ke taur par ya biwi ki milkiyat me qaraar nahin diya gaya tha ( balke aise hi waqti taur par biwi istemaal ke liye diya tha) to shohar (ya wo insaan jis ne wo cheez di hay ) wapis le sakta hai. Jabkeh biwe ko ju jehaiz diya jaata hay wo Jahaiz aik tuhfa (gift) hay jo baap ya rishtedaar apni larki ko dete hain or jis per par faqat baiti ka haq hota hai, lihaaza shohar ya us ke ghar walon ya kisi or ka larki ke jehaiz per koi haq nahin or shohar ya us ke ghar walon par laazim hoga ke larki ko jahaiz wapis karen.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, pg #361, and Part #3, pg #77. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, mafhoom e sawal #150).
[Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121314
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-04

Question: Aslam o alekum Molana sab mera ap se sawal hai k husband bv ko property hiba kar skta hai??

Answer: Jee han, kar sakta hai. us ki apni property hai jise chahe day jise chahe na day.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335).
[Updated on 05-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121515
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-16

Question: I am working with my father since 10-12 yrs and now after death this business belongs to me or have to give share to sisters also As my father says its all yours and we working together

Answer: 1: Agar koi shakhs apni zindagi me kisi ko kisi cheez ka malik bana day to wo cheez pehle wale shakhs ki milkiyat se nikal kar dosre ki milkiyat me chali jati hai, Is bina agar jo business aap ke walid sahb ne aap ko tuhfe ke taur par diya tha aur aap ki mikiyat me qaraar diya tha yani aap ko us business ka malik banaya tha to ye walid sahb ki meeras ke aitebar se taqseem nahin ho ga.
lekin agar milkiyat ke taur aap ko nahin diya tha to meeras ke aitebaar se is ko bhi taqseem kiya jaye ga. jis me dono behnon ko bhi hissa milga.
2: Pehle giroh mein se agar marhoom ke bete aur betiyan waris hon to maal ko yon taqseem kiya jata hai ke har beta, beti se dugna hissa paataa hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335. + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2691,2694)
[Updated on 17-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-01

Question: Maray mamu kuch month pehlay wafat ho chukay hy or un ki na biwi thi or na hy bachay . Ab maray khala kehti hy ky maray mamu ny ye sab stam paper py sab maray khala o un ky bacho ky naam kar diya hy to kya is ma hamara hissa hota ya nahi

Answer: Agar koi shakhs apni zindagi me kisi ko kisi cheez ka malik bana day to wo cheez pehle wale shakhs ki milkiyat se nikal kar dosre ki milkiyat me chali jati hai, Is bina agar wo jo cheezen aap ke mamu ne aap ki khala ko tuhfe ke taur par di then aur aap ki khala ki mikiyat me qaraar di then yani aap ki khala ko un cheezon ka malik banaya tha to ye aap ke mamu ki meeras ke aitebar se taqseem nahin hon gein aur in me kisi ka koi hissa nahin hoga.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335).
[Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121954
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-31

Question: Namehram ki taraf say gift kia hua quran parhna jaiz hay ya.. kindly bata dain

Answer: Tuhfa (gift) dene walon ya lene walon me mehram hona shart nahin hai, lihaza agar aik Na-mehram bhi Tuhfa (gift) de raha hai to is me koi haraj nahin hai aur us Tuhfay (gift) ke istimaal karna jaiz hai, (yani Na-mehram ki taraf se gift kiya hua Quran parhna jaiz hai).

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #1310,1323,1335).
[Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122532
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-06

Question: Salam Agr humein maloom hai k koi shakhs haraam kamata hai aur wo humein Khana pesh kare to wo Khana Khana jaiz hoga?? Aur agr Haram kamane wala shakhs inaam k Tor p kch raqam Dede to kia uska itemal jaiz hai??

Answer: Agar ihtemaal ho ke Haram kamai me Halal kamai bhi shaamil hai to un ka pesh kiya hua khana, khana jaiz hai aur inaam ke taur par milnay wali raqam ka istemaal karna bhi jaiz hai.

(Ref: email rcvd from sistani.org Dated:12-07-2018). + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30).
[Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122698
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-03

Question: Galat waja bta k office sey donation lena kesa hai? Khuha woh shakhs zarurtmand ho aur apni zarurt btana na chahy. Tou donation sey mila paisa usk liye haram hai ya jaiz?

Answer: Jaiz nahin hai, aur donation se mila paisa us ke liye haram hai.
(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, mafhoom e maslah #1611).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123712
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Meri Shadi ko 1 saal mukammal nhi hoa saas k kehne pe aatay me namak dalnay ki waja se shohar ne mjhe 4 maheenay se mere parents k ghar betha k rakha hoa tha or is tenure me tallaq or samaan uthanay ki dhamkia dete rhe or bilaakhir Eid se 2 roz pehle mjhe Tallaq e Awwal bhej di ha. Unke ghar se koi baat krne ko tayyar nhi ha. Shohar ne is pootay arsay me na koi naano nafqa dia na koi contact kia. Unki trf ka kuch zewwar mere pas ha (lekin mene nikkah namay me nhi likhwaya hoa) kya shariyat k lehaz se mjhe wo zewar wapas krna ha joke mera koi Nano nafqa unho ne ada nhi kia?.

Answer: Agr ap k shohar ne vo zewrat apko batour e tohfa die the or vo dobara maang rhe hai to return krna zaroori hai lkn agr vo demand na krrhe to apko return krna zaroori nhi..
lkn agr vo ap k pas batour e amanat hai to un zewrat ko return krna zarori hai.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.m, 39th Edition, Talaq k ehkam)
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126344
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Kia na mehram se gift lena jaiz hai

Answer: Jee jaiz hai. Q ke Tuhfa (gift) dene walon ya lene walon me mehram hona shart nahin hai, lihaza agar aik Na-mehram bhi Tuhfa (gift) de raha hai to is me koi haraj nahin hai aur us Tuhfay (gift) ka istimaal karna jaiz hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #1310,1323,1335).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print