Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Aulaad k ehkaam (101 Questions)


Showing 50- 100 questions from 101 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
102760
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-23

Question: میں نے اپنی بھانجی کا نام رکھنا ہے اس کے لئے کون سا نام ہو گا سہی 27 دسمبر کو پیدا ہوئی 2019 میں

Answer: Bachay ka achcha naam bachay ka haq hay apne walid par. Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij).
اللہ تعالی کی عبودیت کے مفہوم پر مشتمل ا سماء کے مطابق نام رکھنا مستحب ہے۔چنانچہ پیغمبر اکرم ﷺ باقی انبیائے کرام،حضرت علی علیہ السّلام،امام حسن علیہ السّلام امام حسین علیہ السّلام جناب جعفر طیار، طالب،حمزہ اور حضرت فاطمۃ الزہرا علیہا السلام کے اسماء کے مطابق نام رکھنا مستحب ہے اور اسلام اور اہل بیت علیہم السّلام کے دشمنوں کے نام کے مطابق نام رکھنا مکروہ ہے۔
(Ref:jadeed fiqhe masail urdu,aqa sistani )
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102951
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-08

Question: le palak bache k walid ka naam change kr sakte hen? Agr nahi to wjaa kya hai. Plz help me

Answer: Adoption(Gaud lene) men koi harj nahi albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ka ta’al’luq mehfooz rahe. (Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010).Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
102956
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-08

Question: Adobted child ke bare me bataen

Answer: Jee adoption(Gaud lene) men koi harj nahi albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ka ta’al’luq mehfooz rahe. (Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-09

Question: wife ko apne maa baap ke sahmti ke beger tour pe le ga rha hu kya ye sahi hai?

Answer: Agar aap k waldain aap ko kisi amal say rok tok muhabbat ki wajah say ya ap ki mukhalifat ki wajah say unhay aziyat hote ho to olad ky lia un ki mukahifat karna haram hay...(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #1387).
[Updated on 10-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-01

Question: salaam mera ak becha ha 3 mah ka meri biwi dubra hamla ho gi ha pr ma abi pregncy ni chehta.islam issh beray may kia khta ha???

Answer: Qarar e nutfaa orat k rehm men mard ki mani thehrne k bad isqat e hamal bachhe ko zaya krna jaiz nahi hai mgr ye khoaf ho k hamal ka baqi rakhna orat ki zindagi k liye nuqsanda hai ya naqabi e bardasht harj ka baais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqat e jaiz hai lekin hamal men jaan parne k bad bachhe ka zaya krna hargiz jaaiz nahi hai (Ref: Ayatullah sistani d.b tauzeehul masail edition#42, maslah 72 jadeed masaail).
[Updated on 01-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-31

Question: Agar koi bacha girana chahy or wo is hisab sy giraye k main paal nh sakta to kiya bacha girana jaiz hai. Agar jaiz h to kis month m giraye?

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.agar hamal gherane wala doctor ho to diat is doctor per wajib hai albaat wareseen is doctor se diat maaf karsakte hai (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 72).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103294
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Agar doctor mard ho to kya usse delivery karana haram hai,,our samaaj mai vaginal scan hai to zyadatar mard doctor hi karte hai to o kaisa hai islam mai

Answer: Agar Khatoon doctor dastiyaab nah ho ya phir mard doctor khatoon doctor se kaam main ziyada mahir ho or is delivery k liay ziyada munasib ho tu phir mard doctor se delivery karana jaiz hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#386,eidition 1439 ).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104110
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Mare husband ke itne income nhi k wo bachi ka aqiqah kr sake tou me yeh pochna chahte hon k mare parents mujhe pocket money detey hain kia me unhe jama kr k bachi ka aqiqah kr sakte hon ???

Answer: Jee han aap kar sakti hain. Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein (7th) rooz aqaiqa kia jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij)
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104239
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-02

Question: ASSALAMUALAIKUM, kya bache ko Muhammad naam de sakte hein ya Muhammad k sath koi aur naam b hona chahey?

Answer: Jee faqat muhammad naam diya jaa sakta hai or ahlebait k naam par naam rakhan mustahab hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 573 , pg # 287)
[Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-12

Question: Aoa. Mera sawal hai k ager shohar biwi ki physical needs pori ker sakta ho per olad na day saky. Jese medically sperms na hon but baqi her tarha acha ho tou biwi ko olad ki khawhish be ho. Tou ese mn husband ko chor day ya adopt ker lay?

Answer: Salam. mashware k liay is number 02132226948, 02132237207 subah 8 pm se 6 pm tak raabta kar sakte hain.
[Updated on 12-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-09-28

Question: 10 muharram k din beta peda howa kay naam rkhon

Answer: Islami nuqta e nazar se aulaad per ache ache naam rakhne ka haq walid ka hota hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110865
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-14

Question: Mera swal ye hai agar bivi nay beati ko dodh na pilaya ho k agar beta hota to pila deti talaq k bad beti par maaa ka haq hai ya BAP ka

Answer: Jab tak larka ya larki 2 saal k nah ho jain baap, bacho ko inki maan se juda nahi kar sakta is liay keh bacho ki nighedaassht maan or baap dono k zimme hay or ehtiyaat e mustahab ye hay keh bacho ko 7 saal tak os ki maan se alaihda nah kare balkeh is sorat main jab alaihda karna bacho k liay zarar rakhta ho, tu ye kaam jaiz nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2421)
[Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111198
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-24

Question: Mera sawal ye hy k agr biwi bacha paida karna chahti ho r sohar bacha paida kar sakta hy lkhn bina Kesi khas waja k wo pori umar bacha paida karny de gurez karta ho tu Kya ye biwi k maa banany ka haq Chen raha hy? Kya Islam me sohar ko ese karni ki ijazat hy Kya esa karna jaiz hy bina Kesi waja k?

Answer: shohar per bacche paiida kkarna wajib nahi hhay.(Ref: minhajus saliheen, jild#3, maslah#422)
Note: bachay ki paidaish k silsilay main biwi or shohar ko aik doosre se baat karni chahiay.
[Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111729
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Asslamualaikum, mera 1st beta 3 saal ka h.. Uska naam mere sasur ne rakha tha.. Mujhse bina pooche aur bina mujhe btay.. Jab m operation theatre main thi.. Ab 3 saal baad Allah ne mujhe ek aur beta diya meri khuwaish thi k uska naam meri pasand se rakha Jay... Par is baar phir mere hosh main aane se pehle mere bete ka naam mere sasur ne rakh diya.. Jo mere marhoom dada sasur ka naam tha... Kya maa ka apni aulad ka naam rakhne ka koi haq nhi hai?

Answer: Jee haan bilkul maan apni aulad ka naam rakh sakti hai koi harj nahi hai, Albatta islami nuqta e nazar se aulaad per naam rakhne ka haq walid ka hota hai dada ka nahin. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112140
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Aulad ki paidaish se pehle jaan lena k aulad kiya h kiya ye jaiz h ultrasound k zarye

Answer: Jee haan bazat e khud ye jaiz hay (Ref: istiftaat a sistani i 17)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112287
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Salam .. 1 shakhs ki 2 bivia hain 2no sy auladen hain ... wo apas me Sagy bhen bhai keh laye gy yah sutelay ... baap 1 hi h maa alag alag hain...

Answer: Ye bache apas main mehram hain. Sotele nahi kehlaingay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part #3, maslah #90)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112487
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-12

Question: agar ek baap bachi ko us ka haq na dai us ko mahana kharcha na dai us ki islam main kia saza hai

Answer: Baap k liay faqat bachon ka naan o nafaqqah wajib hay lehaza mazeed ye aiteraz nahin kia jasakta keh wo mahana kharacha day rahe hain ya nahin. Aur Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rahay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref: Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael, Mafhoom e maslah #298, pg #176, Eidition #5).
[Updated on 12-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-10

Question: Aoa mira sawal ya hn adr hasnand ke maa koi glt kam kirty hn or wobaty ko pata chal jata hn to kay us waqt b baty par farz hn maa ke izat kirna

Answer: Aulaad per waldain ke sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai . (Ref: www.sistani.org, urdu, waldain k huqooq, que:1)
[Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116457
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-20

Question: Kya jawan beti apnay baap ko gal per bosa day sakti hai? Islam main is ki ijazat hai?

Answer: Aik jawan larki ke liye jaiz hai ke wo piyar o muhabbat ke tour par apne mehram afrad (jese baap, bhai) ko bosa dai, lekin agar yehi bosa dena shewat ka bais banay to jaiz nahin ho ga. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #468, pg #254).
[Updated on 20-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120474
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-02

Question: Pls bataiyen k Shia sunni Shadi k baad jo aulad hogi woh kis k firqay ko follow karnay ki paband hay shairiah k hisab sy Mard Shia hy or aurat sunni

Answer: Shia or sunni ki shadi ke liye buniyadi taur par maslah ye hai ke masalan shia mard ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunno larki se shadi kar sakta hai aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho to jaiz nahin hai. is bina par shia mard ko chahiye ke apni aulad ko apne mazhab ke mutabiq taleem dilayei jaye.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3 , maslah #215,200)
[Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: Kya ek maa ko apni aulaad k faisle lena ka haq hai? Kya usko bache k baap se ijazat lene ki zarurat hai? Aj mere shohar ne narazgy ka izhar kiya jab unhay pta chala k maine apni ek saal ki beti ko ganja karvadia unse puchay bagair.

Answer: Bacahe ki parwarish karnay ka haq 2 saal tak bivi or shohar dono ka mushtarak haq hay, is bina per bacahe ko ghusl daina, os k baal ki islah karna, os k nakhun kaatna jaiz hay. ehtiyaat e mustahab hay keh ye kaam dodno ki rizamandi se hoon. (Ref: Tauzihul masael jaame, jild#4, maslah#407)
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1439 hij, Maslah #401,408).
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120796
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-08

Question: Kya aik ummati syed bach dopt kr sakty hain bet ya beti

Answer: Jee han, kar sakta hai. Adoption (Gaud lene) men or us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin ise apna bacha kehlana jaiz nahin hay. agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab or is ki family say is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi or is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe or is ka naam apne bete ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki waja se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) or likhen or is per ghawaah banain. or ye adopt kia hua bacha adopt karne wale ka na mehram hay or agar jise adopt kia gaya hay wo larka hay tu adopt karne wale ki wife or betiyon ke lie ye na mehram hay or agar jise adop kia gaya hay wo larki hay tu adopt karne wale liye or adopt karne wale ke beton ke liye ye na mehram hay.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1, english, ques & ans, topic :adoption ques #1,2).
[Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-10

Question: باپ کے مرنے کے باد بچوں کا وارث کون ہے؟

Answer: Dada or agar Dada bhi nahi ho to Hakim-e-Sharah(Mujtahid) hota hay . (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #57,67 , Eidition 1427 hij).
[Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121134
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-30

Question: Salam , Waldain k adaaab bacha kiss tarha karay , un k hukook or specially a list of adab e guftugo to parent for young generations . please send some notes for kids ir referal vedio clips .

Answer: Aulaad par walidain k 2 terhan ke haqooq wajib hain :
1. Agar woh ghareeb hoon to un se naik sulook aur infaq karna, un ki zaroriat zindagi aur jaiz khahishaat ko aik aam aur fitri zindagi ke taqazoon ke mutabiq poora karna hai aur un wazifo ka anjaam nah dena ehsaan faramoshi hai .
aur yeh ehsaan karna un ke halaat, aaraam aur sakhti, taaqat aur kamzori ke paish e nazar mukhtalif tarah se ho sakta hai .
2. Amal aur zabaan se naik sulook karna, amal aur zabaan se badtameezi nah karna agarchay is par zulm kya ho. Hadees mein aaya hai ke agar maa baap aulaad ko marain tab bhi un se bad tameezi se paish nah ayen balkah yeh kahain keh kkhuda aap ko maaf kere .
yeh dono wazifa aulaad ke liye hai. jab ke walidain ki zimma daari bhi aulaad ke liye 2 tarah ki hai :
1. maa baap ko takleef is liye hoti hai ke woh aulaad ka bhala chahtay hain aur jo kaam woh injaam dete hain agarcheh is ka un se koi rabt nah bhi ho onhen takleef pohonchti hai, aulaad ko aisa kaam nahi karna chahiye jis se onhen aziat ho chahay woh usay mana karen ya nah karen .
2. maa or baap ko is liye takleef hoti ho keh un mein kuch buri adaten payi jaati hoon jo onhen pasand nah hon agar walidain ko bachon k aisay kamon se aziat ho to bachon par is ka asar nahi parhe ga aur bachon par un ki is terah ki tawaqqaat ko poora karna wajib nahi hai aur yaheen se maloom hota hai ke walidain agar buray kamon ki taraf hukum karen ya achay kamon se mana karen to un ki itaat wajib nahi hai .(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/).
[Updated on 30-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: What will be kofara on child beating case?

Answer: Bachon ko marna Jaiz nahin hai. aur maarne ki wajah se diyat (wo maal hay jo nuqsan uthanay wale insan ya us ke wali ko nuqsan punhchane wala insan deta hai) wajib ho jati hai. Agar chehra surkh ho jaye to diyat derh(1.5) deenar sharaei hai, aur badan men is ka aadha hai, Aur agar chehra kabod ho jaye to diyat chheh(6) deenar sharaei hai, aur badan me is ka aadha hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01802/ ).
[Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-22

Question: Aoa...Hazrat sahib meny apny bety ka nam Muhammad Arshman rkha h kya ye durust h?r

Answer: Is web site per fiqhe jafferia ke mutabiq jawaabaat dia jaate hain . Bache ka ye naam rakhna jaiz hain balkeh Muhammad rakhna to mustahab (sawaab) bhi hay.
mustahab (sawaab) he ke bache ka achha nam rakha jae chunke yeh bachhe ka bap par haq he, or riwayat me aya he k "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho ( maslan Abdur rahmaan,abdurraheem ) or namo me sab se achha ambiya salwatullahe alyhim ke nam he( maslan aadam ,nooh ,ibraheem, Ismail,yaqoob ,mosa ,essa , Muhammad)" or inhi ke sath aeema alyhemusslam k namo(ali,Hasan, Hussain )ko bhi mulhiq qiya jayega. (Jaffer,talib,hamza ko bhe ache namo me shumaar kia hay),or nabi salllaho alyhe w aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne ne mujh par jafa ki" or makrooh he agar bachhe ka nam mohammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or eesi tarh makrooh he ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen ke dushmano ke nam se bachhe ka nam rakha jae.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Mafhoom e Maslah #387, Edition #1443 hij,jadeed fiqhe masail,aqa sistani urdu).
[Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121508
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-10

Question: Can We keep our Name is Mohammad Nabeeh Khan

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jee han, rakh sakte hain. Bachay ka acha naam bachay ka haq hay apne walid par. Ahadees ke mutabiq Anbiya, Masomeen (a.s) waghaira ke naam par bache ka naam rakhna mustahab hay.
2: Allah ki ubudiyat ke mafoom par mustamil naam (maslan Abdul-ur-Rahman, Abdul-ur-Raheem) ke mutabiq naam rakhna mustahab hai. Baqi anbiya e karam, Hazrat Ali(a.s), Hazrat Hasan(a.s), Hazrat Hussain(a.s), Hazrat Jafar Tayyar, Talib, Hamza, aur Hazrat Fatima(s.a) ke naam ke mutabiq naam rakhna mustahabb hai aur islam aur Ahlabait(a.s) ke dusmanon ke naam ke mutabiq naam rakhna makrooh hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatulah Sistani(d.b), Part #3,Maslah #387, Edition 1439 hij). Jadeed Fiqhi Masail, Maslah #573, pg #287).
[Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121631
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-10

Question: Mery shohar ny mujh sy demand kari h ky my apna dosra hony wala bacha apni nand yani apny shohar ki behan ko dy do aur baki ghar k log bhi yehi chahty hain kyun k wo nand banj hai toh kia mujhy aisa karna chaye? Ye bachy aur pehly bachy ky lye zulam toh na hoga? Please tell me serious question

Answer: Agar aap (maan, baap) dono raazi hain to kisi aur ko apna bacha de sakte hain, is me koi haraj nahin hai.
lekin aap ko aik aur sharaei masale ki taraf mutawwajah karate hain jo ke Adoption (Gaud lene) walon ke baare men hai aur wo ye hai hai Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. aur jise adopt kiya gaya hay agar wo larka hay to adopt karne wale shakhs ki biwi (yani aap ki nand) ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge, isi tarah jise adopt kiya gaya hay agar wo larki hay to adopt karne wale shakhs (yani aap ki nand ke shohar) liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge.

(Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, mafhoom e maslah #2422. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1, english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 10-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121756
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-17

Question: Aoa my name shagufta Naqvi mere sister is worried because your husband beta adopt kerna chta he mere bahnoe ka bahi ja beta he kea ye teek hi ya nahi please tell me thanks

Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. aur jise adopt kiya jaye agar wo larka ho to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge, isi tarah jise adopt kiya jaye agar wo larki ho to adopt karne wale shakhs liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge.

(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1, english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 17-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121757
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-15

Question: Aoa my name shagufta Naqvi mere sister is worried because your husband beta adopt kerna chta he mere bahnoe ka bahi ja beta he kea ye teek hi ya nahi please tell me thanks

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121827
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-13

Question: bivi ne or husbadn ne dono ne 2sri shadi krli hai jbky unki 2 betiyan hain or wo maa k pass hain ab baap custody chahta hai kio k wo agla banda betiyo k lye gair mahram hai to eska shariyat mai kya hukam hai ??

Answer: 1: Do saal ki umar tak bachay par maan or baap dono ka barabar ka haq hai lekin do saal ke baad ye haq baap se makhsoos ho jaata hai. yani do ke baad bache par sirf baap ka haq hota hai, maan ka haq khatam ho jata hai.
2: Jis shakhs ne aap ki pehli biwi se shadi ki hai agar us ne aap beti ki maan ke sath shadi ke baad aik dafa bhi hambistri ki hai to aap ki beti us ki mehram ho jaaye gi. lekin agar shadi ke baad us shakhs ne aap beti ki maan ke sath shadi ke baad aik dafa bhi hambitri nahin ki, to aap ki beti us ki na mehram hi rahe gi.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3 maslah #200. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2351,2352,2422).
[Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121836
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-14

Question: Agar soteli maa bachi rakhna na chahay

Answer: Do saal tak larka ya larki ki parwarish or negehdaasht, maan aur baap dono ka barabar ka haq hai or zimmedari bhe hay aur do saal ke bad ye haq or zimmedari baap se makhsoos ho jati hai. is bina par bachi apne baap ke pass hi rahe gi, aur soteli maan agar nahin rakhna chahti to us ki marzi hai Q ke soteli maan par us bachi ko koi haq haasil nahin, balke ye haq to baap ke liye hai ke wo bachi ki parwarish or negehdaasht kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2422. + Minhaj us Saliheen, part #3, maslah #401).
[Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121839
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-13

Question: Asalam .ak goud li v aluad ky nikkah py knsy baap ka name likha jahy ga os larki ky nikkah py

Answer: Aap ko aik sharaei masale ki taraf mutawwajah kiya jata hai ke jo Adoption (Gaud lene) walon ke baare men hai aur wo ye hai hai Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay.
Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain.
aur jise adopt kiya gaya hay agar wo larka hay to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge, isi tarah jise adopt kiya gaya hay agar wo larki hay to adopt karne wale shakhs liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge.

(Note: Is masale ko madde nazar rakhte hue zaroori hai ke nikah naame par larki ke asal baap ka name likha jaye).

(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-15

Question: Bhai ny sister ka beta Pala Kia wo Bhai sister k bety ko apna name Ya B form apny name sy b was skta hy

Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card ya B form) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. aur jise adopt kiya jaye agar wo larka ho to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari hon gay.

(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1, english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121993
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-22

Question: Assalamualaikum Mera sawal ye hai ki baad azan bache ka naam kaise pukare

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Zaroori nahin hai ke bache ka naam saatwen din hi rakha jaye balke saatwen din naam rakhna Mustahab hai, lihaza agar pehle din naam rakha jaye to rakh sakte hain, is me koi haraj nahin.

2: Riyawat me hai ke Imam Jaffar Saqid(a.s) farmate hain: 'humaray han koi bacha paida nahin hota magar ye ke hum us ka naam Muhammad rakhen, pas jab saat din guzar jayen to hum chahen to us ka naam tabdeel kar den chahen to tabdeel na karen'.
Lihaza is riwayat par amal kiya jaye to pehle din se saatwen din tak Muhammad naan rakh sakte. Phir chahen to saatwen din naam tabdeel kar den ya chahen to tabdeel na karen.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #368. + Wasail-us-shia, part #21, pg #392).
[Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-01

Question: Last year mera bhateeja paida hua tha jiska nam hmne Muhammad Bilal rakha tha magr uski 5 month baad death hoo gai ab phir se mere bhai k ghr Allah ne karam kiya h to kya hm uska nam Muhammad Bilal rkh skte hain? Kya 2 bhaion ka ek hi nam ho skta h?

Answer: 1: Jee han, rakh sakte hain.
2: Name rakhne me koi haraj nahin hai, Han, jab wo beta (jis ka intiqal ho chuka hai) hayat hota to name pukarne me tab maslah pais aata lekin chunke abhi to sirf aik hi beta hayat hai is liye koi haraj nahin.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #387).
[Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122132
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-18

Question: Mera sawal ye hai k ap k paida hote he ap k maa baap ne ap ko goud de dia ho or kise b mamle mai unka amal daghl na ho... Zindagi k hr faisla palne wale maa baap ne kia ho to kia nikkah k waqt paida krne wale baap k ijazat zrori hai, Ya palne wala baap apne marzi se kr skta hai,Jnke haqiqi baiti hai unho ne koi haq ada ni kia kabhi... Khanay peene se le k taleem tk kuch b ni

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-02

Question: Mera sawal ye hai k agar baap parhai ka kharch aur pocket money na de to kya tab bhi uski ita’at wajib hogi?

Answer: agar aap ghareeb ho tu baap ke liye faqat aap ka naan o nafaqah wajib hay, ab mazeed ye aiteraz nahin kiya jaa sakta ke wo kisi aur ko kiya day rahe hain aur aap ko kiya day rahe hain.
Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q ke quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah kar sakain to is ka hargiz ye matlab nahin ke aulad bhi un ke sath wohi rawayya rakhe. Jesa ke Imam Jaffar e Sadiq(a.s) ne farmaya hai ke jo shakhs apnay waldain ko aisi halat me ghussay se dekhay jab wo us par zulm kar rehay hon to khuda uski namaz qabool nahin karta hai.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e maslah #298, pg #176, Edition #5).
[Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122261
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-04

Question: Bachy ka nam rkhny ka haq maa ko hai ya daadi ko

Answer: Maah ya daadi apni aulad ka naam rakh sakti hai, koi harj nahin hai, Albatta islami nuqta e nazar se aulaad par naam rakhne ka haq walid ko hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1417 hij, maslah #387).
[Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122490
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-04

Question: Aqiqa main ahay huay mehman paisay ya tuhaif agar bachay ko daitay hain to wo qabool krna kaisa ha?? Saath hi agar koi is niyyat say likhta ha k is mehman nay itnay paisay diye, is nay itnay diye jaisay shadi par hota ha to kya ye theek ha

Answer: Dono surton me qubool karna jaiz hai lekin ye qubool bache ka wali (yani baap ya dada) kare ga.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah sistani(d.b), Part #2, Maslah #1315, edition #1443)
[Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-21

Question: Asslamo Alykum! Tohfa Ya Ali a.s. Madad. Meray taya k betay ne ek 3 din ki bachi ko god lia tha 2003 me 2017 me uski shadi bhi ker di. us bachi ko cousine ne waldeet apne day di thi 2023 me cousine foot hu gay hen. uski bewi pochna chahti hen k usk husband ne jo apni waldiat di thi wo quran aur sunah k manafi hy. ab is gunah ko allah kesay dekhen . koi hal batien. jazakallah

Answer: Marhoom ki magfirat or maafi ke liye aise kaam kiye jayen jo marhoomeen ke liye anjaam diye jate hain malan:- Quran khuwani, Sadqa o khairat, Esaal e sawab ke liye majlis barpa karna wagera... (mayyit k wajibaat maslan:- namaz, roza, khums, qarz, hajj wageraa ada karna).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #623. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4283/ ).
[Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Keya ourat dosre shadi k bad apne plhe bate Sath rkh skte hai

Answer: Sharaei maslah yeh hai ke do saal tak bache ki parwarish or negehdaasht, maan aur baap dono ka barabar ka haq hai or zimmedari bhi hai aur do saal ke bad ye haq aur zimmedari baap se makhsoos ho jati hai.
Is bina par do saal ke bad bacha apne baap ke pass hi rahe ga, Han agar bache ka baap raazi ho ke wo bacha maan ke pass rahe to wo aurat dusri shadi ke baad bache ko apne pass rakh sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2422. + Minhaj us Saliheen, part #3, maslah #401).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122915
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-21

Question: Assalamu alaikum meri jisse shadi lagi hai usko uske chacha ne god le liya jaise hi wo paida hui. ab wo apne chacha ko hi apna baap manti hai aur baap ko wo chacha manti hai. aur uske dil me jo bhi pyar hai wo sirf uske god liye hue abba k liye hai. ab nikah me kuch logo ka kahna hai ki baap k naam me jisne paida kiya uska naam hona chahiye lekin ladki nahi chahti ki baap ka naam me uska naam ho jisne paida kiya balki uska naam ho jisne use paala aur bada kiya. mujhe batayein jayaz nikah me mujhe ye malum hai ki gawah ka hona jaruri hai lekin baap k naam me kya hona chahiye please mujhe jald se jald bataye

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Aap ko aik sharaei masaleh ki taraf mutawwajah kiya jata hai ke jo Adoption (Gaud lene) walon ke baare men hai.

1: Fiqh e jafferia ke mutabiq, Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay.
Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain.

2: wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.
lihaaza kunwari larki ki taraf se nikah ke liye us ke haqeeqi wali (yani baap ya dada) ki ijazat zaroori hai warna nikah sahi nahin hoga.

(Note: Is maslah ko madde nazar rakhte hue zaroori hai ke nikah naame par larki ke asal baap ka name likha jaye).

(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341).
[Updated on 22-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123108
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-23

Question: Kia islam me ye bat jaiz he k saas susar k dabao ki wajah se miya bv bacha paida karen ya ye srf miya bv ka apsi mamla he

Answer: Jab waldain ka hukum aur rok tok aulad se shafaqt or mohabbat ki wajah se ho aur iski mukhalfat se inhen aziyyat hoti ho to aulad par unki mukhalafat karna Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1387).
[Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123150
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-26

Question: Aoa Humny apny baby ka name quran me likh k rakaha tha kia wo change kr skty hye kiu k ab mery walden ( mom /dad ) ko apni marzi ka rakhana hy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Agar pehle din bache ka koi naam rakha ho to baad me tabdeel kar sakte hain, is me koi haraj nahin.

2: Riyawat me hai ke Imam Jaffar Saqid(a.s) farmate hain: "humaray han koi bacha paida nahin hota magar ye ke hum us ka naam Muhammad rakhen, pas jab saat din guzar jayen to hum chahen to us ka naam tabdeel kar den chahen to tabdeel na karen".
Lihaza is riwayat par amal kiya jaye to pehle din se saatwen din tak Muhammad naan rakh sakte. Phir chahen to saatwen din naam tabdeel kar den ya chahen to tabdeel na karen.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame{fars}, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #368. + Wasail-us-shia, part #21, pg #392).
[Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123178
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-30

Question: سلام ۔ایک بے اولاد عورت اپنی بھتیجی یعنی بھائی کی بیٹی کو گود لینا چاہتی ہے تو کیا وہ بچی اس عورت کے شوہر کے لئے محرم ہو گی یا نامحرم پردہ کے کیا احکامہوں گے؟ کیا گود لینا صحیح ہے؟

Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us bache ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain.
Jise adopt kiya jaye agar wo larki hai to adopt karne wale mard (yani aap ke shohar) ke liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke wohi ahkaam jaari honge jo kisi na-mehram ke liye hote hain.

(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 31-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-13

Question: Baap ki death k baad bacho py kis Ka haq Hoga MAA Ka ya dada Ka?

Answer: Sarparast (wali )dada hota hai aur paalne aur dekh bhaal karne ka haq maan ka hota hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition 1443 hij, maslah #57,58,404).
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123448
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-05

Question: Aoa Agr 2 months of pregnancy me miscarriage hojye or bacha bana b na ho tw kia wo aurat jannat me jaye gi?

Answer: Agar hamal khud b khud saaqit (yani miscarriage) ho jaye to ye haram nahin hai aur is se insaan ghunahgar nahin hai hota. lihaza agar insan apni sharaei zimmedariyon ko anjam deta ho yani wajibaat ko baja laye aur muharramat se parhez kare to yaqeenan Allah taala aadil hai aur kisi par zulm nahin karta aur yaqeenan wo insaan bhi zaroor jannat me jaye ga jo muttaqti aur parhezgar ho Q ke Allah taala khud surah maryam ki aayat #63 mein irshad farata hai ke "yeh woh jannat hai jis ka waris hum apne bandon mein se muttaqteen ko banayen ge".

(Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=19&ano=63 ).
[Updated on 06-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: If a mother's angry anf puch on her child nose and blood come out is that's sin.

Answer: Islam me wali k ilawa aulad ko marne ki ijazat nhi hai aur wali k lie bhi bs itna allow hai k jild laal na ho wagarna diyyat lazim ajaegi..
Aulad k opar yh haram hai k apne walidain ki dil azari ka sabab banein aur agr walidain, aulad ki behtri k lie koi hukm dein aur uss ki nafarmani se unki dil azari hoti ho to agarche vo kaam wajib nh hai lekin cho k waldain ka hukm hai lehaza vo Wajib hoga
(Reff: Minhaj Agha Sistani d.m Part II)
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-08

Question: zana se paida hone wale bachy ki kya hasiyat ho g?

Answer: Zina se paida hone wale aulaad apne najaaiz mah or baap or qarebi rishtedaaro se meraas nahe pati or ye saare louq zina se paida hone wale se meraas nahe paate.
Zina se paida hone wale ke piche louq namaz jamaat nahe perh sate kyu ke imam jamat ka halaal zada hona zarori hay .or us ki taqleed nahe katsakte .
Zina se paida hone wala agar shadi kare or koi baccha paida ho tu wo halaal zaada hay
Na mehram ke sath hambistari karna zina kehlaye ga Aur zina karna haram aur gunahan e kabeera main sai hai. lihaza is se tauba karen. aur zina k zariye jo aulad ho gi wo haram zada ho gi.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, edition 1443 hij, Maslah #30,minhajussuleheen,aytullah sistani (d.b),part# 3,edition1443 hij maslah#978, tuizi masail,aqa sistani,pg no.225,masla:1434,2,2424).
[Updated on 09-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print