Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Lottery (4 Questions)


Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
9847
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: salam,mera sawal ye hai k lottery lena jaiz hai k nai?or agr is me jo prize nikle uska kia hukum hai?plz muje jald az jald rpl kijie?

Answer: 1-Agar ticket is liay khareda ho k inaam nikle tu ye maamla haram or batil hay. Or agar in tickets k badle raqam dene ka maqsad khairaati kamo main imdaad or shirkat ho. Maslan madrasa or pull bananay main madad ho, sood ya inaam ki lalach nah ho tu ye jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e pg # 472). Update on dated 08-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
16077
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b. Date:

Question: Kia os shad(honey) ko khareedna jaiz hai jis k uper inami copun chispa ho aur khareedtay waqt inam nikl anay ki umeed ho?

Answer: Agar qimat ki adaigi is ehtimali munafay (by chance gift) k badlay nah ho balkeh mokammal tour par shahad k moqablay mai ho to jaiz hay.(Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 282, pg # 164). Update on dated 08-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
46187
Mujtahid:
Agha Sistani Sb Date:

Question: Salaam Un Alaikum.. Maira sawal ye hai kay main aik Islamic Library ka owner hun, main library kee tarveej kay liye Ticket jaari kerna chahta hun jiski qeemat 20 rs hogee. Ticket kee amount jama honay kay baad qurandazi kay zariye ticket lainay walon main se kisi aik fard ka mobile bator e inaam (Gift) nikala jaye ga. Baaqi maanda raqam se library kay liye books khareedi jayain gee. Aaya maira ye amal jayiz hai ya nahi ?

Answer: Agar ticket is liay khareda ho k inaam nikle tu ye maamla haram or batil hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e pg # 472). Update on dated 08-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
110963
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-24

Question: kya scratch card bechna jaiz ha Dukandar bachoo ko lottery ya scratch card deta ha jis ma paisy b niklty ha aur Khali b nikl skta ha dukan far ka profit fix hota ha Kya ya khareedna ya bachena jaiz ha???????

Answer: Lottery ko khareedna or baichna jaiz nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani db, pg#472). [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print