Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Hukumati qawaneen ki pabandi (5 Questions)


Showing 0- 5 questions from 5 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1403
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salamun Alaikum..main ye poochna chahta hoon kay kiya A.Sistani ki raye main wo taleemi imported books aur CDs jo students ko bohat mehengi parti hain,unki copies (Pirated books & CDs) khareedna jaiz hay?

Answer: Ayat-ul-Allah Sistani (d.b) k Nazdeek agar is lihaz se koi qanoon ho to zaruri hai k uska lehaz rakha jaay. (Ref : Ahle-e-Fikr-o-Nazar k sawalat or unk jawabat, Ayat-ul-Allah Sistani (db), Pg # 285, Mafhoom e Ques # 547). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53436
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: SALAM ham bangkok say air saigapur say gold( sona) ismagling kar raga hai india may Bach raha ha india may tax Bach raha hai kai ham gornament ko doka dasak that hair please urjant reply karai was salam

Answer: Kafiro k zaati or aam maal ko chori kerna jaiz nahi hay. Or agar kafiro k mulk se ismagliling ko os mulk se ghaddari or os muahide(agreement) ki khilaaf-warzi samjhi jaey jo os mulk se visa ki darkaahst k waqt kia jata hay Q k kisi bhi shaks k sath ghaddari or naqs e aman haram hay.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael, Mafhoom e maslah #237, Pg#149, Eidition# 5).Update on dated 13-03-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121915
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-08

Question: السَّلاَمُ عَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ اللّهِ وَبَرَكَاتُه Mera sawal ye hai k social media per kisi aur ki video us ki ijazat k bina hum usey istemaal ker sakty hain jesy k re-upload ker dain?

Answer: Agar ye amal qanoon k khilaf nah ho tu jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/510788/)
[Updated on 08-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121916
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-08

Question: السَّلاَمُ عَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ اللّهِ وَبَرَكَاتُه Mera sawal ye hai k ager hum kisi dosre ka koi bhi content ho jesy k blog post ho ya kisi ki video ho usey re-upload kerain aur usse jo paise kamaye to kia wo kamye howe paise jaiz hongy ya haram?

Answer: Agar ye amal qanoon k khilaf nah ho tu jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/510788/)
[Updated on 08-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-12

Question: Assalam O Alaikum, mera sawal ye hai k mere mamu ki wife government teacher thi unki death ko 3 years hogae us k bad mamu ko unki pension milni shrw hogai, ab masla ye hai k vo dosri shadi krna chahte hain mgr agr vo nikkah krengy or nadra me registration krwaeingy to unki pension band hojaegi, kia vo ye kr skte hain k nikkah kr k registration na krwaein or pension k paise lete rahe kia ye jaiz hai?

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) ke nazdeek ehteyat e wajib bina par Government lows ki bandi karna lazim hai aur in ki khilaaf warzi nahin kar sakte. lihaza government lows ke mutabiq shadi karne ke baad pension nahin di jaye chahe registration karwayen ya nah karwayen.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se pochay gaye sawalaat, Part #2, mafhoom e sawal #187. + Jadeed Fiqhi masail, mafhoom e maslah #221,240).
[Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print