Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 1 (1353 Questions)


Showing 1300- 1350 questions from 1353 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Aoa, mai ny apny masly k mutaliq kaafi sawalat review kiye hain jis sy mere sawal ka jawab kaafi wazeh hai, mgr phr bhi mai 1 martaba apna masla detail mai aap sy share karna chahta hoon wo yeh k meri wife ko liver cancer moozi marz hai jis ki wajah sy wo majbooran mjhy jinsi taskeen nh de paati or wo meri doosri shadi ki baat sy bohat upset hoti hai or mujhy dhar lagta hai k mera doosri shadi k lye israr karna kaheen uski sehat pr mazeed bura asar na dhalay, lekin jinsi taskeen na milny ki wajah sy mujh sy gunnah ka irtekab hojata hai kya gunnah sy bachny k lye mujhy pr wajib hai k mai doosri shadi krun?

Answer: Agr kisi ko khouf ho k v gunah me mubtila hojaga to uss k lie shadi krna wajib hai..
Ap apni wife se iss hawale se baat krein or unhe samjhae k ap pr sharii hukm yh hai..
Doosri shadi k lie pehli biwi ki ijazat zarori nhi lekin agr shadi na krne ki waja se haram me mubtila horhe hai to yh Gunah e kabira hai.
Adqe mutaa bhi kia jaskta hai.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.m, 39th Edition, Masla No. 2407)
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123683
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-28

Question: Salam,aik masla sharait ki Roshni mei Bata dijiye Kay agar shohar biwi par bohat zulm karta ho aur badkaar ho biwi ko ussay jaan ka khatra be ho biwi aisay sakhs Kay Sath na rehna chahti ho aur usay talaaq be na day Raha ho aziat Dena Chahta ho toh Kya khulla Kay ilawa court mei janay ka ilawa koi aisa tareeka hai Islam mei fiqa ahlebait mei Kay aurat rishta khatam kar sakay court mei janay Kay beghair???plzz rehnumai farmayein

Answer: 1: Biwi ke huqooq mein se hai ke mard us ko Aazaar o aziyat nah punhchaye, aur kisi sharaei wajah ke baghair is se tand o talkh rawaye se paish nah aaye, warna wo ghunah gaar hoga aur ghunah gaar ke liye islaam me koi nah koi saza muqarrar ki gayei hai.

2: Jab shohar biwi ko aziyat day, is par zulm kare aur is se acha sulooq nah kare. chunancha (quran mein) khuda ne yahi hukum diya hai. to zauja, haakim shara (mujtahid ya us ke wakeel) se Talaq ka mutalba kar sakti hai aur haakim shara (mujtahid ya us ka wakeel) is ka sigha e Talaq jari kar sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376. Jadeed Fiqhi masaail, maslah #428, Pg #214, edition #5).
[Updated on 29-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123713
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-30

Question: Aga sistani ke nazdeeq dotted/ribbed condoms use karna jaaiz hai?

Answer: Mard ke liye jaiz hai ke wo family planning ke liye condom (chahe koi sa bhi ho) ya is tarah ke cover istemaal kare lekin ehtiyaat e wajib ye hai ke istemaal karne se pehle apni biwi se ijazat lay. warna wo ehtiyaat e wajib ki bina par ghunahgar ho ga. Han albatta condom ya is tarah ke cover istemaal kiye bager aur biwi ki ijazat ke bager mani ka biwi ki sharamgah se bahir inzaal karna jaiz hai lekin agar biwi raazi nah ho to makrooh hai.

(Ref: Jadeed Fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #465, pg #254. + Minhaj us Saliheen, Part #3, Edition #1443 hijri, maslah #10).
[Updated on 31-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-06

Question: Salam agha Mera sawal ye he k wife agar kahe k mujhe sex ki need nhi he so plz nahii karna mujhe or naraz hojae pas aane pe to kiya Karen ??

Answer: Ek zouja k lie yh jaiz nahi hai k vo baghair kisi shari uzr k apne shohar ko sex se mana kre albatta ap bhi gour krein k kahi koi wajib haq aisa to nh jo ap se chut rha ho.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Daimi Aqd k ehkam Masla No. 2376)
[Updated on 07-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123742
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-06

Question: Shohar agar Na-mehram se dosti krny aur baat krny aur hassi mazaq krny se mana kry aur makeup kar k bahar jany se mana kry to biwi per kya uski itaat wajib hai. aur kya na-mehramon (mard aur khawateen dono) k sath resturant jana shohar ko btaey baghair theek hai?

Answer: Ek aurat k opar wajib hai k
1. Apne shohar ki ijazat k baghair ghr se qadam bahir na nkale magar yh k ghr rehna nuqsan ka bais ho..
2. Na mehram se dosti na kre. Shariat ne faqt zarori aur jo ek musalman k shayan e shaan batein hai us ki ijazat di hai
3. Apne chehre Aur hatho (Kalai se lekr ungli tk) k ilawa apna tamam badan Na Mehram se chupae hatta k pair, kalai se opar ka hath, baal wagera bhi chupana wajib hai aur agar kisi Na Mehram se haram ka khouf ho to chehre aur hath ko chupana bhi wajib hai
4. Agr uss ne makeup kia hai ya koi or zeenat lagai hai to vo bhi na mehram se chupae yaani makeup ki soorat me chehre ka chupana bhi wajib hai..

(Reff:Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla Number 2376,2397,2399)
[Updated on 07-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-31

Question: Salam kya qibla rukh karky hambistri jaiz he

Answer: Jaiz hai, lekin makrooh hai.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5).
[Updated on 01-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123757
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-14

Question: Agr shohar pehli biwi se chup k betey(son) ki khatir dusri shaadi krle, or pehli biwi se uski 4 bachiyan hon, tou kya ye jaiz hai? Or pehli biwi ko apne ghar walon ki zabardasti khidmat mein masroof kr k dusri shaadi krle, betey (son) ki khatir tou kya ye jaiz hai?

Answer: Mard k lie Islam ne 4 shadiyo ko jaiz kia hai bashart yh k sb me adal krske lekin agr adal na krskne ka yaqeen ho to phr jaiz nh..
Zouja k lie yh zaroi nhi k vo apne shohar k ghr walo ki khidmat kre ya ghr k kaam kaaj kre aur use iss cheez k lie zabardasti krna khaas kr k torcher krna to bljkl jaiz nh hai..
(Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2376)
[Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Assalamu alaikum me yeh arz karna chahta hun agar ladki shaadi se pehle shohar bol de to iska kya masla he

Answer: Nikah k bad mard or aurat aik doosre pe halal hojate hai uss se pehle nhi, faqaqt shohar pukarne me koi harj nhi hai lekin Nikah se pehle namehram hi rhege
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Nikah k ehkam, Masla No. 2328)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123795
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Kya biwi apne shohar ko le k alag reh skti hai?? Or biwi ki kya responsibilities hai sasural walo ko le k

Answer: G blkl sharii lihaz susral se alag rehne me koi mumaniat nhi hai agr larka bhi razi ho aur larke k walidain ko iziyat na horhi ho.
Mard ko yh haq hasil nh k biwi ko gharelo khidmat pr majbor kre.
(Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2378)
Lkn akhlaqi lehaz se h bhtar nhi hai..

[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Salam. Meri shadi ko 6 to 7 months hoay hain ormeray shohar mujhy job na krnay k tanay detay hain boht ziada or hat baat mai job k tanay derahy hotay lekin mai koshish kr rahi pr mujhy ni mil parahi job Australia mai. Kia shohar bivi ko pressure daal sakta hai job krnay ka lazmi?

Answer: Ek shohar apni zoujah ko job krne pr majboor nhi krskta aur agr job krne me Haram ka andesha hai to uss aurat k lie job krna bhi haram hai..
Bal k shohar k opar apni zouja ki Rihaish, Ghiza, Libas or degar zaroriyat e zindagi ka intezam krna wajib hai
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39 Edition, Mafhoome Masla No. 2376)
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123863
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-21

Question: Kia bv shohar ki ijazat k bina bhai ko ghar bula sakti gai.?

Answer: Agar us ghar ka malik shohar ho or zouja ko yaqeen ya itmenan ho k shohar razi hai to koi masla nh otherwise haram hai..
Or agar zouja hi ghar ki malikn ho or bhai ko bulane se shohar ki haq talfi na horhi ho to bhi koi harj nhi..
(Ref: Minhajus saliheen jld#3, mafhom e masla#327)
[Updated on 22-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123866
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-21

Question: عورت بچہ پیدا کرنے کے کتنے دن بعد گھر سے باہر جا سکتی ہے؟

Answer: Iss ki koi qaid nh hai bas zarori hai k shohar ki ijazat k baghair ghar se bahir na jaya jae..
(Ref:Mujtahid se poche gaae sawalaat, Part # 4, masala # 145).
[Updated on 22-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-14

Question: محرم میں ہمبستری کرنا جائز ہے

Answer: Biwi se muharram men hambistari karna jaiz hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istifta from https://www.sistani.org/arabic/qa/11651/ ).
[Updated on 15-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124401
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-14

Question: Agr shohar Apne biwi to satisfy nai kar pata h toh biwi Kya kre

Answer: 1: Shohar aur biwi aik dusre ke badan ke kisi bhi hissay ko badan ke kisi bhi hissay se mass (touch) kar sakhte hain lekin jism ke hissay ke alawa koi aur cheez sharamghah main ehtiyaat ki bina par dakhil nahin kar sakta or biwi ki sharamghah me ungli daal kar mani nikaalna jaiz hay. yani aap apni biwi ki jinsi feelings ko poora karne ke liye badan ke kisi bhi hissay (parts of body) ko istemal kar sakte hain. 2: shohar apni biwi se fauran jima nah kare balkeh pehle orgasm yani masaas chaati raan waghaira ko haath se masalna sehlana cheerh chaarh or hansi mazaaq kare is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kiya hai aur un ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jane ki surat me mard ki khahish to poori ho jati hai lekin aurat ki khahish poori nahin ho pati jis ki wajah se aurat apne mard se nafrat karne lagti hai shayad isi liye deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas bosah baazi kissing cherh chaarh hansi mazaaq piyaar o muhabbat ki batain karne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima ke liye poori tarah aamadah ho jaaye or jab is se jima kiya jaaye to wo bhi mard ki tarah se poori tarah jinsi tasalli hasil kar sake, shayad isi liye Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad farmaya ke jo shakhs apni aurat se jima kare wo murgh (cock) ki tarah us ke paas nah jaaye balkeh pehle masaas (orgasm) or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabee karay is k baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hai ke jis waqt Imam Jaffar Sadiq(a.s) se kisi ne daryaaft kiya ke agar koi shaks haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamghah ke saath baazi karay (playing) to kaisa hai Aap(a.s) ne farmaya khuch mozaiqa nahin (no problem) lekin ajzaaye badan (parts of body) ke alawa or koi cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima ke liye poori tarah aamada karne yani garam karne ke liye mard, aurat ki sharamghah main ungli ya jism ke kisi bhi uzu (part) se cherh charh kar sakta hai takeh aurat or mard dono ko mukammal jinsi lazzat hasil ho sake. 3: Jima se pehle masaas (orgasm) ke baad jab jima shuru kiya jaaye to jab jima ke dauran aurat ke muzil hone (discharge) ke bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat kare mard se chumte, lipte, apne hathon ya taangon se mard ko kas kar dabaaye, tab mard bhi jaldi jaldi dkhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) kar ke farigh ho jaaye agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haathon ya taangon se mard ko kas ke daba rahi ho takeh mard alag nah ho to mard ko chahiye ke is waqt tak apne aala e tanasul (penis) ko aurat ki sahramghah se baher nah nikaale jab tak ke aurat munzil nah ho jaaye phir khuch dair baad penis ko nikaal kar mard aahistagi se aurat se alag ho jaaye.

(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #4, Maslah #261. + Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146,151).
[Updated on 15-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125160
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-07

Question: Hasdand aghr gher larkiyo ki trf mail ho to kya bivi us ko apny pass any se mnna kr sakti hai.

Answer: Shohar ke liye na-mehram aurton se jinsi aur aur ghair sharaei taluqaat rakhna jaiz nahin hai. lekin biwi apne shohar ko apne paas aane se mana nahin kar sakti Q ke aurat ke liye zaroori hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke bagair shohar ko hambistari se nah rokay (yani sharaei uzr ke bagair shohar ko hambistari se mana karna Haram hai). Haan shohar ki razamandi se taakheer (late) karna jaiz hai.

(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #2376).
[Updated on 08-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125552
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: Ek orat agar ek mard ke Sath nikkah mei hoty hue Kisi or mard ke Sath gunnah mei mablus ho to Kya uska nikkah bki rahjta hai

Answer: Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo aurat, zina karne wale par hamesha ke liye Haram ho jati hai, lekin shohar par Haram nahin hoti aur un ka apne shohar se nikah bhi baqqi rehta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2367).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-03

Question: Kya shoher ko bhi bv ko bata kr ghar se bahir nikalna chahye?

Answer: Ghar se baahir jate waqt shohar pe wajib nahin ke wo apni biwi se ijazat le ke jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2376).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125576
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-03

Question: Agar koi shadi shuda aurat kisi gair shadi shuda mard k sath zinna karti hy aur phir apnay husband sey talak ley k jis mard k sath zinna karti thi shadi kar ley tou islam ki roshni mein wazayah kejeay

Answer: Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne wale) par hamesha ke liye Haram ho jati hai yani jis ne zina kiya hai wo ehtiyat e wajib ki bina par kabhi bhi is aurat se shadi nahin kar sakta.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2367).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125584
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-03

Question: biwi agar kisi Gair mard se talluk rakhe To shauhar Kya Karen

Answer: Agar wo tauba aur istigfaar nah kare aur apne amal par baaqi rahe (yani zina kaari tark nah kare) to behtar ye hai ke shohar use talaq day day. lekin nikah ke waqt tay kiya hua meher use dena zaroori hai.
( Shohar use haram kaamo se waazo nasiat kar ke ruke ya kise or ke zarie rukeaae )

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2367).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125589
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: Assalamualaikum Kia humbistri kartay waqt agar biwi ki Sharam gaah nahe dekhsaktay toh sex kay Amal mein mushkil hogi aur sex Kay doraan Biwi ki Sharan gaah kiyun nahe Dekh saktay? Aur barhaina hokar juma kiun nahe karsaktay?

Answer: Ye dono kam anjam de sakte hain Q ke humbistri ke waqt biwi ki sharamghah dekhna aur barahna ho kar humbistri karna ye Haram nahin hai. Albatta makrooh (yani na-pasandeedah) hai.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125648
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Aoa ya Ali a.s madad Shor biwi ko apny uper betha k sex kr skta ha Or khary ho k sex kr skty hain

Answer: Shohar aur Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain wo jaise chahe jima(sex) kar sakte hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #259. + sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125687
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-30

Question: biwi ke kya faraiz hain?

Answer: 1: Sharaei lihaaz se se biwi par do cheezen wajib aur farz hain. Agar biwi ye do kaam anjam na de to to ghunahgar hogi:
1. Shohar ki ijazat ke bagair biwi us ke Ghar se Baahir nahin jaa sakti (yani shohar ki ijazat ke bagair ghar se bahir jaana Haram hai) chahe us ka nikalna shohar ke haq ke manafi nah bhi ho. magar ye ke koi aham zaroorat paish aaye ya ghar men rehna us ke liye nuqsan ka baais bane ya ghar us ke munasib nah ho.
2. Aurat ke liye zaroori hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke bagair shohar ko hambistari se nah rokay (yani sharaei uzr ke bagair shohar ko hambistari se mana karna Haram hai). Haan shohar ki razamandi se taakheer (late) karna jaiz hai.
(Note: in do maqamat ke alawa shohar ki baat manna wajib nahin. Aur jis aurat ka kharch us ke shohar ke zimme ho aur shohar use kharch na de to biwi apna kharch shohar ki ijaazat ke baghair us ke maal se le sakti hai. Aur agar na le sakti ho aur majboor ho keh apni maash ka khud bandobast kare aur shikayat karne ke liye haakim shara tak us ki rasayei na ho taake woh us ke shohar ko kharch dene par majboor kare to jis waqt woh apni maash ka bandobast karne mein mashghool ho, us waqt shohar ki itaat us par waajib nahin hai).

2: Biwi ki ghiza, libaas, rehaish aur zindagi ki baaqi zaruriyaat ka intezaam karna shohar par waajib hai. agar wo ye cheezein muhayya na kare to chahe un ke muhayya karne par qudrat rakhta ho ya na rakhta ho woh biwi ka maqrooz hai.

3: Nan o nafaqe ke taur par jo cheezien shohar par wajib hain un me se hai ke wo biwi ke liye khana, libaas, aisa makaan faraam kare jis me zaroori wasaail ho. jese heater, coolur, ghar ka farsh or deegar samaan wagera..., jo shohar ki hesiyat ke mutabiq biwi ke sayaan e shaan ho albatta ye lawaazimaat zindagi, zamaan o makaan or haalaat o satah ke lehaaz se mukhtalif bhi ho sakte hain or shohar par biwi ka naan o nafaqa sirif us surat me wajib nahin ke jab biwi faqeer ho or muhtaaj ho balke us surat me bhi wajib hay jab biwi ameer or beniyaaz ho.

4: Agar kisi shakhs par wajib akharajat - jese ke apni daaimi biwi aur bachon ki zaruriyaat ko poora karna - us ke zimme hon, aur us ke liye us ke pas maal, jaidaad wagera na ho to us ke liye tijarat, zaraat, sanat ya aise hi kisi kam ke zariye kamana wajib hai

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2378,2380. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #407,409. + Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), part #2, edition #1443, maslah #2).
[Updated on 01-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: میں اپنے ایک دوست کے ساتھ ایک رات کے لیے وایف شیرنگ کرنا چاھتا ھوں ھم دونوں دوست راضی ھیں کوی جایز طریقہ ھے کیا ھم متعہ کر سکتے ھیں

Answer: Shadi shuda aurat ka kisi doosre mard se nikah (chahe daimi ya mutah) karna haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125697
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Sir me aor mera dost aik raat k liay wife sharing krna chahty hain shari tor pr hm muta k zariye aisa kr sakty hain

Answer: Shadi shuda aurat ka kisi doosre mard se nikah (chahe daimi ya mutah) karna haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125847
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-19

Question: Asslam o alikum, Kya pregnancy k duran biwi ki sharmgah mai farigh hona jaiz hai?

Answer: 1: Jaiz hai.
2: Agar biwi hamila ho jaye to doctor ki hidayat ke mutabiq hambistari kar sakte hain. lekin jin surton me doctor mana kare to wahan ehtiyat karni chahiye. Biwi ke sath jima (intercourse) ke waqt Bismillah parhna, isi tarah wuzu karna to mustahab bhi hai, khaas taur par jab biwi hamila ho.
(Note: Dauraan e hamal jima (sex) karte waqt is baat ka zaroor khayaal rakha jaye ke jima ke waqt biwi ke pait par shohar apne jism ka wazan nah daalay, is se bache ko nuqsaan puhunch sakta hai. aam taur par doctor hazraat 8th mahinay se jima karne se mana karte hain. lekin ye har aurat ki jismani kaifiyaat or taaqat par munhasir (depend) hota hai. hum aap se guzarish kartay hain ke aap is silsilay main apne lady doctor se ruju karain or bache ko nuqsan puhuchne wali cheezon se parhaiz karain).
(Ref: Minhaaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5).
[Updated on 20-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125857
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Aga sahib AOA. Kia aurat apny husband k hair zarori ball bagal zir naaf saaf karsacti by pl?

Answer: Jee, kar sakti hai. albatta shohar use is kam par majboor nain kar sakta.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2378. +
Jadeed fiqhi masail, maslah #406, pg #236).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125885
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-16

Question: Mera husband mujha meri female doston k sth bhr janay nhi deta ki kia wo thekh krta hai mery sth ?

Answer: Jis aurat ka daaimi nikaah ho jaaye us ke liye apne shohar se ijaazat liye baghair ghar se baaher nikalna Haraam hai chahe us ka nikalna shohar ke haq ke manafi nab hi ho, magar yeh keh koi aham zaroorat pesh aaye ya ghar mein rehna us ke liye nuqsaan ka sabab ho ya ghar us ke munaasib nah ho. Aur shohar bhi apni biwi ko ghar se bahar jane se rokne ka haq rakhta hai

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125891
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: Halat haiz ma Mera husband na muja3 talak de Kiya ya talak hue ya nahi?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Haiz ya nifaas ki halat me talaq sahi nahin hoti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2462 to 2472).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-06

Question: Is it permissible to have sex with other women when you are alao in mutah with one girl as well

Answer: Shohar biwi ke alawa kisi dosre insan se jismani talluq rakhna Haram aur ghunah e kabira hai.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #30).
[Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Asslam o alaikum g Mera swal hai orat ko kesy farig Kiya jae jis sai wo kush ho jae us ko be Maza ay bohat

Answer: Agar hambistri (intercourse) se pehle darj zel baton ka khayal rakha jaye to mard aur aurat dono aik dusre se mutmaen (satisfied) hon gay.

1: Shohar aur biwi aik dusre ke badan ke kisi bhi hissay ko badan ke kisi bhi hissay se mass (touch) kar sakhte hain lekin jism ke hissay ke alawa koi aur cheez sharamghah main ehtiyaat ki bina par dakhil nahin kar sakta or biwi ki sharamghah me ungli daal kar mani nikaalna jaiz hai. yani shohar apni biwi ki jinsi feelings ko poora karne ke liye badan ke kisi bhi hissay (parts of body) ko istemal kar sakta hai.

2: Mustahabaat e jima main ye milta hay ke koi bhi shakhs apni biwi se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana, chairh, chaarh or hansi mazaaq karay. is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kiya hay, in ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jati hai aur is surat main mard ki khahish to poori ho jati hay lekin aurat ki khahish poori nahin ho paati, jis ki wajah se aurat apne mard se nafrat karne lagti hay shayad isi liye deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas, bosah baazi(kissing), chairh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain karne ko mustahab qaraar diya, taake aurat mazkorah amal se jima ke liye poori tarah aamadah ho jaaye or jab is se jima kiya jaaye to wo bhi mard ki tarah se poori tarah jinsi tasalli hasil kar sakay shayad isi liye Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad farmaya ke jo shakhs apni aurat se jima karay to wo murgh (cock) ki tarah us ke paas nah jaaye balkeh pehlay masaas, orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabaei (dil lagi, hansi mazaq) karay is ke baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}.
Aur shayad yehi wajah hay ke jis waqt imam jaffer sadiq(a.s) se kisi ne daryaaft kiya ke agar koi shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamghaah ke saath baazi karay (playing) to kaisa hay Aap (a.s) ne farmaya khuch muzaiqa nahin (yani koi haraj nahin) lekin ajzaay badan (parts of body) ke alawa aur koi cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima ke liye poori tarah aamada karne yani garam karne ke liye mard, aurat ki sharamghaah main ungli ya jism ke kisi bhi uzu (part) se chairh chaarh kar sakta hay taake aurat or mard dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sake.
3: Jima se pehlay masaas (orgasm) ke baad jab jima shuru kiya jaye to jab jima ke dauran aurat ke munzil hone (discharge) ke bilkul qareeb ho yani wo baitabana harakaat karay, mard se chumtay, liptay, apne hathon ya taangon se mard ko kas kar dabaaye tab mard bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) kar ke farigh ho jaaye, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho aur wo apne haathon ya taangon se mard ko kass ke daba rahi ho taake mard alag nah ho to mard ko chahiye ke is waqt tak apne aala e tanasul (penis) ko aurat ki sahramghaah se bahir nah nikalay jab tak ke aurat munzil nah ho jaaye, phir khuch dair baad (penis) ko nikaal kar mard aahistagi se aurat se alag ho jaaye.

(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #4, Maslah #261. + link; http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1213 ). + Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146,151,152).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-14

Question: Asalam u allikum jnb mere ye sawal hai mere mangitar ka humare ghar ana jana hai cousin hai kun kai humare siwa unka koi nai means kai mere walid shb kai sab bhai ke death hoogai hai to hum chahte hai kai humara nikkah hoojai pehle shadi ko abhi 1 saal hai to kai pehle nikkah karna sahi hai kuch logon ka kehna hai kai nikkah kai bad 4 sai 6 month mie shadi lazmi hai to rehnumai farmaye

Answer: Rukhsati karna laazmi aur zaroori nahin hai Q ke sigha e nikah ke zariye mard aurat par aur aurat mard par halal ho jate hain (yani mian, biwi ban jate hain or mian biwi wale taluqaat qaim kar sakte hain). Lekin agar maushre ke lihaaz se riawaj yahi ho ke jab tak rukhsati nahin hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay shohar ke liye paish nahin karti, is tarah se ke ise aik zimni shart samjha jata ho to phir biwi ke liye nikah ke bad or rukhsati se pehlay shohar ke liye apne aap ko paish karna wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #142,149 pg #69,70,72).
[Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126082
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: 2 Sawal, 1. Jab biwi pregnent ho to kya hum foreplay me uske pet (stomach) ko dekh sakte hai, usko chat sakte hai and usse khel sakte hai? 2. Jab biwi pregnent ho to kya hum uske sharamgah ko dekh sakte hai, usme ungli kar sakte hai and usse khel sakte hai?

Answer: Jee han, ye dono kam jaiz hain Q ke mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (halal) hain.
(Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126083
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Jab biwi peshab karne jati hai to us dauran uske sharamgah ko dekh sakte hai and usse khel sakte hai?

Answer: Jee han, ye kam jaiz hain Q ke mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (halal) hain.
(Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126085
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Agar mubashrat bache ke liye nahi karne only foreplay kare to kaun se dua and tashbih pardh sakte hai? Foreplay ke dauran koi tashbih pardh sakte hai?

Answer: Jima (mubashrat) ke waqt wuzu karna, bismillah parhna, aur koi sa bhi zikr ilahi karna mustahab hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #5).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-21

Question: Kya foreplay me biwi ko put (munh ke bal leta ker) uske dono buttocks ke darmiyan bagair dakhul ke ungliyon se khel sakte hai?

Answer: Jee han, Q ke mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (halal) hain.
(Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126090
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-21

Question: Mera sawal hai ki Kya biwi ko put (munh ke bal leta ker) uske dono buttocks se bagair dakhul ke foreplay nafa lene ke Kya hadood hai? Kya use munh me le and chat sakte hai?

Answer: 1: Mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram hain laikin gair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par mian, biwi ka razi hona lazim hay.
2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga.
3: Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door ho janay se monh paak ho jaata hay or paani se paak karne ki bhi zarorat nahin hoti.

(Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15). + Tauzeeh ul masail jaame, Edition #1435 hijri, Mafhoom e Maslah #233).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: My question is that if the wife is pregnant and for how long the wife should refrain from intercourse

Answer: Agar biwi hamila ho jaye to doctor ki hidayat ke mutabiq hambistari kar sakte hain. lekin jin surton me doctor mana kare to wahan ehtiyat karni chahiye. Biwi ke sath jima (intercourse) ke waqt Bismillah parhna, isi tarah wuzu karna to mustahab bhi hai, khaas taur par jab biwi hamila ho.

(Note: Dauraan e hamal jima (sex) karte waqt is baat ka zaroor khayaal rakha jaye ke jima ke waqt biwi ke pait par shohar apne jism ka wazan nah daalay, is se bache ko nuqsaan puhunch sakta hai. aam taur par doctor hazraat 8th mahinay se jima karne se mana karte hain. lekin ye har aurat ki jismani kaifiyaat or taaqat par munhasir (depend) hota hai. hum aap se guzarish kartay hain ke aap is silsilay main doctor se ruju karain or bache ko nuqsan puhuchne wali cheezon se parhaiz karain).

(Ref: Minhaaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5)
[Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Mera sawal hai ke, Agar mubashrat(foreplay) ke starting me Bismillah pardhan bhool jate hai to, foreplay ke darmiyan biwi ke hasas hisso ke massage ke time or inko dekhne ke time Bismillah pardh sakte hai?

Answer: Jee, parh sakte hain.
(Ref: Minhaaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5)
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Agr apka shohar apko kahy g muje haiz kii surat hal batain yanii usko fikr ho or wo humy kahy g muje uski surat hal dikhao to kiaa biwi ko wo surat hal apny shohar ko dikhanii chaiye

Answer: Jee, dikha sakti hai Q ke miyan, biwi aik doosre ka poora badan dekh sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2400).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126160
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: aoa mera sawal ya ha ka mera shohar jb bhi ma humbistri ka khti to inkar kar detaa jasa uska dil nahi plzz is bary ma btya mjha kia krna chiyaa

Answer: Aap apne shohar ko is sharhe masle ki traf tawajju delaae ya kise or se kehe ke une ye masla samjaae : shohar apni jawaan biwi se 4 mahene se ziyada muddat ke lie humbistri ( jima ) trak nahe karsakta hay .
Is ke liye aap in do wazaaif ko anjaam dain.
1: Mian biwi ki aik dusray se mohabbat o ulfat ke liye har namaz ke bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karain. Is se dono me be-misal mohabbat qaim ho jaye gi.

2: Kisi bhi jaiz muhabbat ke liye 213 martaba “yaa lateefo yaa wadoodo” (یَا لَطِیْفُ یَا وَدُوْدُ) parhen.

(Ref: kitab Naway Saleheen, pg #404. + Naeem ul amaal, pg #311).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126195
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Mery husband meri phudi mai apny hont dal k zuban sy andr lick kerty hain is sy mjhy maza to ata hai magr mera pani seedha unky mu mai chala jata hai phr wo quli ker lety hain kya ye jaiz hai Or agr halaq sy nichy utar jaye to kya kerna chaeye

Answer: 1: Mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram hain laikin gair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par mian, biwi ka razi hona lazim hay.
2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) lagana ye jaiz hai, aur monh(mouth) laga saktay hain, magar ye ke sharamgaah se nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaaye. agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga.
3: Agar monh ka androni hissa najis ho jaye to nijasat ke door ho janay se monh paak ho jaata hay or paani se paak karne ki bhi zaroorat nahin hoti.
(Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15). + Tauzeeh ul masail jaame, Edition #1435 hijri, Mafhoom e Maslah #233).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126210
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: Hambistari k doran agar haiz ka khoon ajay to isky baray m kia ahkam hai?

Answer: Hambistri karne se ruk jana hai Q ke agar haiz ka khoon aa jaye to haiz ke dauran Hambistri karna haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448).
[Updated on 24-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126234
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-20

Question: Mera sawal hai ke, mujhe shahoot bahut jyada aati hai, meri biwi ki pistan(Breast) choti hai jisse meri shahoot Puri nahi hoti, mai kya karu? Kya shoher pistan ko bara ker sakta hai? Kya koi foreplay ka tarika hai use bara kerne ke liye?

Answer: 1: Agar hambistri (intercourse) se pehle darj zel baton ka khayal rakha jaye to mard aur aurat dono aik dusre se mutmaen (satisfied) hon gay.
1: Shohar aur biwi aik dusre ke badan ke kisi bhi hissay ko badan ke kisi bhi hissay se mass (touch) kar sakhte hain. lekin jism ke hissay ke alawa koi aur cheez sharamghah main ehtiyaat ki bina par dakhil nahin kar sakta or biwi ki sharamghah me ungli daal kar mani nikaalna jaiz hai. yani shohar apni biwi ki jinsi feelings ko poora karne ke liye badan ke kisi bhi hissay (parts of body) ko istemal kar sakta hai.
2: Mustahabaat e jima main ye milta hay ke koi bhi shakhs apni biwi se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana, chairh, chaarh or hansi mazaaq karay. is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kiya hay, in ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jati hai aur is surat main mard ki khahish to poori ho jati hay lekin aurat ki khahish poori nahin ho paati, jis ki wajah se aurat apne mard se nafrat karne lagti hay shayad isi liye deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas, bosah baazi(kissing), chairh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain karne ko mustahab qaraar diya, taake aurat mazkorah amal se jima ke liye poori tarah aamadah ho jaaye or jab is se jima kiya jaaye to wo bhi mard ki tarah se poori tarah jinsi tasalli hasil kar sakay shayad isi liye Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad farmaya ke jo shakhs apni aurat se jima karay to wo murgh (cock) ki tarah us ke paas nah jaaye balkeh pehlay masaas, orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabaei (dil lagi, hansi mazaq) karay is ke baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. Aur shayad yehi wajah hay ke jis waqt imam jaffer sadiq(a.s) se kisi ne daryaaft kiya ke agar koi shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamghaah ke saath baazi karay (playing) to kaisa hay Aap (a.s) ne farmaya khuch muzaiqa nahin (yani koi haraj nahin) lekin ajzaay badan (parts of body) ke alawa aur koi cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima ke liye poori tarah aamada karne yani garam karne ke liye mard, aurat ki sharamghaah main ungli ya jism ke kisi bhi uzu (part) se chairh chaarh kar sakta hay taake aurat or mard dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sake.
3: Jima se pehlay masaas (orgasm) ke baad jab jima shuru kiya jaye to jab jima ke dauran aurat ke munzil hone (discharge) ke bilkul qareeb ho yani wo baitabana harakaat karay, mard se chumtay, liptay, apne hathon ya taangon se mard ko kas kar dabaaye tab mard bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) kar ke farigh ho jaaye, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho aur wo apne haathon ya taangon se mard ko kass ke daba rahi ho taake mard alag nah ho to mard ko chahiye ke is waqt tak apne aala e tanasul (penis) ko aurat ki sahramghaah se bahir nah nikalay jab tak ke aurat munzil nah ho jaaye, phir khuch dair baad (penis) ko nikaal kar mard aahistagi se aurat se alag ho jaaye.
4: Jee shohar pistan ko bara kar sakta hai us ke liye darj zel oils istemaal kar sakta hai: Almond oil, clove oil, coconut oil, emu oil, fenugreek oil, flaxseed oil, lavender oil, jojoba oil, olive oil, primrose oil, soybean oil, tea tree oil, wheat germ oil.

(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #4, Maslah #261. + link; http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1213 ). + Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146,151,152. + https://www.healthline.com/health/oil-for-breasts#purported-benefits ).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-20

Question: Mera sawal hai ke pure 1 saal ke kin kin dino or raaton me biwi se mubashrat kerna afzal hai and jyada sawab hai? Pura batayen.

Answer: 1: Hambistari ki dua: Mustahab hai ke hambistari se pehlay apna haath biwi ki peshani ke baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa be kalemateka astahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”).
2: Biwi ke saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai ke bismillah parhi jaaye, or baa wuzu hon khaas taur par jab biwi haamla ho, or Allah taala se dua kare ke Allah use naik, baa barkat or pakiza aulad ataa kare. or jima ke waqt jo kaam makroh hain un main se kuch ye hain: 1. soraj or chaand gerhan ka hona, 2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat ke din ke, 3. guroob e aaftaab ke waqt ka hona, 4. chand ki aakhri 3 raaton main jima karna, 5. fajar ke baad soraj nikalnay say pehlay, 6. islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat (chaand raat) main, 7. islami mahinay ki darmiyaani or aakri taarikh main jima karna, 8. qiblay ki taraf rukh ya pusht karna, 9 .barehna (naked) halat main jima karna, 10. ehtilaam ke baad baghair wuzu ke jima karna, 11. jima ke waqt biwi ki sharamghah dekhna, 12. jima ke doraan baat karna siwaay Allah ke zikr ke. ye tamam kaam makrooh hain jin se parhez karna behtar hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Mera sawal hai ke shoher ke liye mustahab hai ke wazu kare and Bismillah padhe mubashrat ke liye, Kya biwi ko wazu karna and Bismillah padhna zaruri hai ya nahi?

Answer: Biwi ke liye bhi hukum hai ke mubashrat ke waqt mustahab hai ke wazu kare and Bismillah parhe.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Mera sawal hai ke Agar shoher biwi ke sare kapde utar kar (Full Naked) karke apni god me baitha ker foreplay jinsi hissen jaise Pistan, pet(stomach), raan, sharamgah and buttocks me haath ferte and khelte time Allah ke zikr ker sakta hai? Kya Deen, Quran wo hadees ki baat Biwi ko bata sakta hai?

Answer: Jima ke waqt aam baaten karna makrooh hai lekin Allah ka zikr kar sakte hain.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-09

Question: Mera sawal hai ye hai ki Agar shoher wazu kar ke biwi se mubashrat shuru kare and foreplay kerte hue jab shoher biwi ke buttocks (sureen) ke darmiyan bagair dakhul ke ungliyan fere and khele to us dauran Bismillah pardh sakta hai And Allah ke zikr ker sakta hai ya Quran ka koi aayat pardh sakta hai?

Answer: Bismillah ya Quran ka koi aayat parh sakta hai isi tarah Allah ka zikr kar sakte hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
[Updated on 09-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126328
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Kiya shohar ka bivi ko bta k jana k kahan or kidhr ja rahy hn or kb tak ayn gay jaiz nhi??? Kindly don't mention my id or anything... Me un k liya preshan hoti rehti hon wo kehty hn kaheen quran o hadees me nhi or me mard hon btana zarori nhi smjhta kahan ja raha hon kb tak aon ga... Kindly rehnmae krain quran o hadees ki roshni me or wo sara din busy hoty hn 2 ghari mery sath bethny ka time hota raton ko b 12 1bjy tak aty hn me wait krti rehti hon preshan hoti rehti hon

Answer: Ghar se baahir jate waqt shohar pe wajib nahin ke wo apni biwi se ijazat le ke jaye ya use bata ke jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2376).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-16

Question: bivi ki indaame nahani me nafs ke ilava nafs jaisi koi doosri cheez dalna jayaz hai ya haram

Answer: Khud shohar aur biwi apne badan ke kisi bhi hisse ko dusre ke badan ke kisi bhi hisse se chhoo (touch) sakte hain, (maslan shohar ka biwi ki sharamghah main apni ungli daal kar mani nikalana, isi tarah biwi ka apne haath se shohar ke uzw tanasul (penis) lay kar hand practice/masturbation) kar ke mani nikalna, jaiz hai). lekin jism ke hisse ke alawa koi aur cheez (maslan sex toys, vibrator wagera) sharamghah main ehtiyaat ki bina par kisi bhi surat men dakhil nahin kar sakte.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #406, pg #236).
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126332
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-16

Question: Bivi ki indaame nahani me azutansul ke ilava koi doosri cheez dalne se kya bivi par gusl jinabat vajib ho jayega

Answer: 1: Khud shohar aur biwi apne badan ke kisi hisse ke alawa koi aur cheez (maslan sex toys, vibrator wagera) sharamghah main ehtiyaat ki bina par kisi bhi surat men dakhil nahin kar sakte.

2: Uzway-e-tansul ke alawa koi doosri cheez dakhil karne se ghusl wajib nahin hota, Han agar daakhil karne se biwi ki sharamghah se mani kharij ho jaye to ghusl wajib ho jaye ga.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #406, pg #236. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #344).
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print