Showing 0- 50 questions from 154 questions on this page.
Question: i got married in ths march im 20 yrs old my husband told me aftyer shadi tht he was not interested in me i remaind with him for 2 mnths during tht period he tried to intercorse for 2 or 3 times due to the pressure of family bt he could not do actualy and teased me as mch as he could.. now m getting divorce frm him shd i complete the period of iddat
Answer: Aap per iddat rakhni wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: salam,mutah kei baad iddat hooti hai,toh kya yeh iddat boy n girl dono ko rakhni chahiye ya sirf girl ko? plz reply jald...kyuki boy nei muta ka iddat nahi rakhi thi..plz bohot urgent hai yeh..jald se jald jawab dei.
Answer: Jee han mutta ki iddat hoti , albatta iddat ka hukm islam men faqat orat k liay hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: my father has died at 13 Nov. my mother is in eddat(that time woman spend in home when her husband died).she is 50 year old.how many days are mentioned for eddat in islam
Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam, kia agr koi larki iddat ka waqt guzaar rahi ho, or doran-e-iddat agr wo IRAN ziaraton k ley jaana chahy, to us k ley kia hukum hai.? Ziaraten krny k ley IRAN ja skty hain ya nahi...... Please iska jawab jaldi chahey.. jitna jaldi hosky aap mujhy reply kren...
Answer: Jee han iddat chahay talaq ki ho ya wafaat ki ziyarat per jasakti hai balkeh kisi bhi kaam ghar se bahir nikal sakti hay or haram nahi hai. Albatta agr wo larki wafat ki iddat men ho to us k liye ranbaranga libas pehna, surma lagana or isi tarah dusre ayse kam kerna jo zeenat men shumar hote hon haram hen .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: QUESTION: If a man had sexual intercourse with a woman during her pure period and divorces her during the same period, and then marries temporarily and again permanently her sister after only two pure periods but in the middle of her 3rd menses after the divorce, (and it transpires later that the woman was not pregnant at the time of divorce), is that divorce in order and the 2 marriages to the sister also in order? And if either the divorce or the marriages are void, what should be done next? FOR EXAMPLE: On the 3rd of February a man divorced his wife during her pure period in which they indeed had intercourse. She then had a menses from the 16th-23rd of February, became pure once, had a menses again from the 12th-19th of March, then became pure a second time. She then had her 3rd menses after the divorce from the 3rd-10th of April, during which the man married (temporary) his divorced wife’s sister on the 5th of April and then again married (permanent) (his divorced wife’s sister) on the 9th of April. Are the divorce and the two marriages to the divorced wife’s sister all in order? If not, what should be done next?
Answer: Your divorce is not valid. And your sister marriage also invalid. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2463,2355). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa, fiqh-e-jaafria me, kisi WOMEN k HUSBAND ki DEATH ki soorat , me wo WOMEN kitni dair ghar se bahir nhe nikal sakti? pls reply soon
Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: What is the period for Iddat after the divorce? Are there any restrictions on the movement of the woman while she is observing the period of iddat?
Answer: If a wife who has completed nine years of her age and is not in menopause, is divorced by her husband after sexual intercourse, it is necessary for her to observe the waiting period of divorce. The waiting period of a free woman is that after her husband divorces her during her Pak period, she should wait till she sees menses twice and becomes Pak. Thereafter, as soon as she sees menses for the third time, her waiting period will be over and she can marry again.there is no restriction on the movement of the woman while she is observing the period of iddat. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: iddat kitne period ki hoti hai? agar kisi ka shohar / husband pehle accident mei bed pe 2.5 months se ho and then who maar jae died aisi larki ko agar shadi karni ho tu aus ke leye kitne period ki iddat ho gi shohar / husband ke marne ke baad?
Answer: Jese hi shohar ki wafat hojaye usi wqt se lekar 4 mahine 10 din tak orat iddat rakhe yani shadi nah kare.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir please Quran ke kisi verse ka hawala de kar batai ke ek burhi bewa(an old widow) ki iddat kya hai...? Jis ki umer zeyada ho ... pregnancy ka koi chance na ho...Aur na hi usse periods aate hoo
Answer: Wo aurat jo haamla nah ho, os ki Iddat e wafaat 4 mahine 10 din hoti hay. Quran main sorah baqra ki ayat#234 main is ka zikr hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: bewa aurat iddat k doran kab ghar sy nikal sakti ha suraj garoob hony sy pahly ya baad ma
Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalam-o-alakum meneap se iddat kay bare mail bhi pocha tha kya aik talaq ki iddat hotti ha jabke mere shohar ne mujhse rojjo karliya ha
Answer: Agar apke shohar ne apko talaq rije di thi or iddat k doran hi rujoo kerliya tha to iddat khatam hojaye gi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam O Alaikum.mje mery husband ne 5mah bad tallaq dy de koi khas haq e zojieat b ada ni kia mere iddat ki muddat kia hy?
Answer: Agr ap k shohar ne apse hambistari nahi ki to ap per koi iddat nahi hai.lekin agr hambistari ki thi to is surat main aap itni muddat tak sabar karen k apko 2 baar haiz aye or phir pak hojaen or jese hi teesra haiz ayega to aap ki iddat khatam hojayegi phir dusra nikah agar kerna chahain to kar sakti hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aik larki jiska nikah 3saal raha aur is doran mubasarat bhi hue to uske bad divorce hogae ab kya iddat kerni hogi ya nahin kerni hogi.
Answer: Jee iddat rakhna hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: iddat kise kehte hain kyun ki main jab tak is ka matlab nahi janta mujhe dosra kuch bhi nahin samajh ayega plz jald reply kijiye?
Answer: iddat us zamane ko kehte hen jis men orat k liye dusra nikah kerna jaiz nahi hota, or aysa waqt orat per 2 waja se aata hai ya to uska shohar us ko talaq dede,is ko iddat e talaq kehte hain or dusra ye k uska shohar wafaat pa jaey or is iddat ka maan iddate wafaat hay or is main shadi nah kerne k alawa kuch or kaamo se bhi perhain kerna perhta hay. , albatta iddat ka zamana guzar jane k baad agar orat dusra nikah kerna chahe to ker sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam..meri shadi ma ik hafta tha tu mere dewar ka achanak intekaal hogya jiski wejhse shadi delay hogai...phir uneh ik mahine ma pata laga k meri dewraani umeed se then unki zid thi k jb tk wo farigh nh hojaten wo shadi nh krengy 2 mahine baad unka bacha gir gaya mje puchna hy k idat khatam hogai ya abi b 4 mahine 10 din hogi//
Answer: Agar 4 mahine 10 din guzarne se pehle bacha paida ho jaey tu zarori hay k shohar ki wafaat k baad se 4 mahine 10 din tak iddat rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A O A. main ek larki se ek ghanta muttah karna chahta hon agar doran sex condem use kron tb bhi us larki ka iddah zaroi hai.....
Answer: Jee haan, is sorat main bhi iddat rakhna hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Jo aurat sohar ki wafat ki iddat mai ho os par kia wajib hai?
Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AOE- MARAY FATHER INLAW KA INTAQL HAL HE MA HOW HA KEA MARI MOTHERINLAW APNA BAQE EDDAT APNE BATEE KA PASS DUBAI MA KAR SAKTEN HAN ? KEA WHO SAFAR KAR SAKTEN HAN ?
Answer: Jee han jaiz hay .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASalam Walaum > agr nikah ho jaye or rukhsati na ho or Shohar Intakal kr jaye to kya Larki pr Iddat lazim hai ??????......
Answer: Jee han iddat rakhna phir bhi lazim hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar larki waly larky sy talaq lein.kiya larka larki ka iddat ka kharcha dega ????
Answer: Jee haan iddat k doran biwi k akhrajaat uske shohar per wajib hen lekin iski shart hai k wo orat nashza(yani hambistari or jinsi lazzato main shohar ka sath nah dainay wali) nah ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2508). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamualy cum janab me abi iddat me hu mere sohar ne muje talak dya he aap muje talak e iddat ke hukuk aur is iddat ke farz aur wajibat bata sakte he ?
Answer: Jab tk orat talaq ki iddat men ho wo dusri shadi nahi kr sakti hai, q k iddat men bhi wo usi ki biwi shumar hogi or sare ahkamat wohi honge jo taklaq se pehle the.albatta iidat khtm hote hi wo ek dusre k liye na-mehram hojaen gay. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474-2487). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamualycum me abi talak ki iddat me hu kya aap muje iddat ke wajibat aur farz bata sakte he ? kya isme kisi male se phone se bat ya MEssage se bat kersakte he ?
Answer: Orat iddat k doran dursa nikah nahi kr sakti, is liye agrchhe talaq hochuki ho phir iddat k doran orat apne shohar ki sharaee biwi ki hesiyat rakhti hai, yahan tak k iddat ka period khatam hojaye.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2508). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-Alaikum, Mera sawal yeh hay kay Islam main husband ki death kay baad Shariat-e-Masoomeen (AS) main iddat kitnay din karni chahiay aur iddat kay doran Aurat kahan jasakti hay? Kya Imam Bargah ja sakti hay? Kyunkay hamari dadi aur phoopo hamari ek rishtay dar ko yeh kaha kay iddat kay doran Imam Bargah jaya ja sakta hai. Barah-e-Meharbani Shariat-e-Masoomeen (AS) ki roshni main bilkul sahi jawab dain takay main apni dadi aur phoopo ko dekha sakoon. Thanks,
Answer: Wafaat ki iddat 4 mahine or 10 din hai, Or jo orat wafat ki iddat men ho us k liye us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah khumeni(d.b), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah # 2510-11). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-Alaikum. mere 2 sawal hain pehle yeh k kya muttah k baad iddat zarori hai? aur us k kya sharaait hain matlab k iddat kese puri ki jaye aur agar iddat puri nahi karsakti ho larki kisi masail ki wajah se to kya tareeqa hoga dosra? aur dosra sawal yeh hai k muttah k waqt jo haq mehar tay kara gaya ho woh kya larki khud say maang sakti hai?
Answer:
1)Jee han muttah ki iddat rakhna orat per lazmi hai. Iddat main shadi nahi ki jasakti.
2)shoahr se apne mehr ka mutaliba ker sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2395). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia aurat iddat mai shadi kar sakti hai?
Answer: Jee nahi orat iddat men shadi nahi kar sakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: talak k kuch din bad hum nikah ker sakte hain kyon k kuch mujbore thi or lady hamala bhi nahi thi
Answer: Talaq e rije main iddat k doran ruju ker k bivi banaya jasakta hay or agar oski iddat khatam hone k baad ruju kia jaey tu os se nikah ker k os ko bivi banaya ja sakta hay. ker.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: iddat main umra karne k liye jana jaiz ha
Answer: Agar ye iddat talaq ki hai to shohar ki ijazat k baghair nahi ja sakti hain laikin agar ye iddat wafat ki hai to umrah karnay ja sakti hain. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482-2487). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asslamu alekum. Sir mera talak ho chukka hai. Main apse ya puchna chahte hu ki mujhe talak main kitne din iddat main rahna hoga. Or kin kin cheezo sa par-heez karna hai. Or meri iddat kaise puri karu. Please mujhe jalde bataye. Khuda haffiz
Answer: Jis aurat ki umar pure 9 saal hochuki ho or wo yaaisa bhi na hon, or os k shohar os se hambistry ki ho to talaq ki surat men os per iddat wajib hai, is surat men agar 2 haiz ka darmiyani fasla 3 mahino se kam hai to talaq k bad jab bhi ap ko 3 dafa haiz aye to os ki idat khatam hojaye gi.(matlb talaq k bad teesra haiz aate hi apki iddat ka waqt khatam ho jata hai) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam u Alikum..mery walid ki 2 month pehly death ho chuki hai or meri walida iddat main is doran kya woh mobile phone py kisi ghair mehram se baat kar sakti hai jesy k koi relative...plz jaldi ans den..
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam u Alikum..meri waleda iddat main hai is doran kya woh apny damad se bhi parda kar sakti hai ya nhn???
Answer: Zaruri nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar koi apni biwi ko talak de deta hai to kya wo fir us se nikah kar sakta hai? Pls is ka pura maslah quran or hadis se bataye bohot meharbani hogi.
Answer: Jee haan bilkul kr sakta hai, balkeh agr talaq rijee (rujoo wali) ho to agr orat abhi tak talaq ki iddat men ho to baghair nikah kiye us ki taraf ruju ker sakta hai, lekin agr talaq ki iddat khatam hogai ho to is surat men nikah krna hoga, lekin jo talaq di thi agr wo 3rd(teesri) talaq thi to us k bad wo orat os merd se nikah kersakti hay jab wo kisi or merd se shadi kare or chand sharit k sath talaq le phir ye pehle se shadi jaiz hogi .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: meri divorce ho chuki hai, mere husband southafrica main hain, or kch sanjeeda wajoohat ki bina per main apne bhai k ghar nhi reh skti, main akele rehna chahti hun, abhi main iddat main or apne bhai k ghar hun , mera sawal ye hai k kia iddat k doran main job kr skti hun or alag reh skti hun, 3 mahiney yahan nikalna mere liye ek azab hai.
Answer: Jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam alekum. Mera sawal ye hai ki agar kisi aurat me shohar me wafat hogaye hai aur uske baad us aurat ka kamai ka koi zariya nahi hair bachchon ko plane me liye to kiya us aurat pe iddat wazib hai kiya WO apne bachchon ke mustaqbil me liye bahar ja sakti hai
Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri shaadi 2001 ma hoe thi mery shohar ne mjhe ek baar talaq di 2009 ma ek month k andar hi dubara raju kia phir us ne mjhe dubara ek baar talaaq di phir dubara hum ne raju kr lia dubara nikah nahi hoa 2 saal pehly hum ma alehdigi ho gae aur ma apny parents kay ghar reh rahi hoon 2 saal se ab ma ne us se court k through khula li ha to aisi surat ma mery liye iddat ka kia humak jabkay ma dsry shehar ma job kr rhi hoon apny ghar se door aur mera guzara isi job se hota ha kia idaat k doran ma job nahi kr sakti?
Answer: Ap abhi tak apne shohar ki zojiyat men hen or or dusre ruju k bad faqat alhedgi se talaq nahi hogi or nahi court se li gai talaq khula k zariye talaq hosakti hai, is lihaz se ap bhi tak uski biwi hen or ap k liye koi iddat nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition # 35,Mafhoom e Maslah # 2491). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya edat k duran aurat ka bahir jana jaiz hy or tasaveer banwana jaiz...or kis kis sy milna karna jiaz.plz foran ans dy
Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assaamolaykum me ye janna chati hu ki me abhi iddat me hu kya me ghar per rah kar online kaam kar sakti hu ? or kaam ke silsile se agar bat karni pare to kya me kisi bhi candidate se phone se ya mail se bat kar sakti hu?
Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam Walekum MERA SAWAL HAI KI AGAR AURAT AUR SOHAR KA TILAK NAHI HUA HAI AUR WO AURAT APNE MAA KE PAS RHE RAHE HAI 15 SAAL SE KOI MATLAB NAHI HAI Na MILE HAI AUR SOHAR KA INTHEKAL HO GYA KYA AURAT IDDAT RAHE YA NAHI USKE DO BACHCHE HAI SOHAR MUMBAI ME RHETA HAI BIWI ALLAHABAD ME PLEASE ANSWER DE
Answer: Is aurat per iddat e wafaat wajib hay jo keh 4 mahine 10 din hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, maslah#2481). Update on dated 09-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 70 saal ki oraat ki edat kya h ?
Answer: Is aurat per iddat e wafaat wajib hay jo keh 4 mahine 10 din hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, maslah#2481). Update on dated 07-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o walaikum ... mera sawal ya hy . mera sohar 4 saal pehly mujhy chor kar chala gaya hy or kisi kism ki khairiat nhi pochta hy usny dosri shadi bhi karli hy .. main bhi ab shadi karna cahti ho to mujhy kia karna cahey plz answer
Answer: Aap apnay shohar se talaq ka mutaalba ker sakti hain, or talaq milne k baad iddat e talaq pori hone k baad aap dossri shadi ker sakti hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2462-2472). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa..mera sawal ha ka meri apnay husband say almost 1 and half year pahly aladgi hoge thi lakin papers may talak maina ab apply ki agar ab main dosri shadi kerna caho to kia adat kerni peray ge yeh papers ki talak k bad main kisi b time dosri shadi ker sakti ho
Answer: Paper ki talaq se iddat rakhne ka koe ta,alluq nahi,jis waqt talaq k seghay jaari hoay thay os waqt se hi iddat shuru ho jaati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2480). Update on dated 27.04.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri walda aur mery walid ki elahdgi howy 15 sal ho gye koi rabta nahi dono ka APAs mai. Meri walda ko 5 saal ho gye menopause howy ab mery walid ka intiqal ho gya ha tu kya meri walda par iddat wafat jayz ha.
Answer: Is sorat main bhi Iddat e wafaat wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam o alaikum.mere waild ka inteqaal 4 jan 2017 ko hua.mai apni walda ko umrah me le kr ja rahi thi march k mahene me meri waldah ne jis raat un se ijazat li usi raat mere walid ka inteqaal ho gya.masla ye h k ab iddat k din pure nahi ho ge march tk to kya meri waldah umrah me ja sakti h ya nahi?
Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 06-01-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr kise orat ka shohar 5 months bemar rahy bed par or 5 months bad mar jay to orat k leya iddat kitnay arsay ke jaiz hai
Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 24-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mery husband ki death hu gai ha or ma yaha akeli rahti hon dubai may,or meri idat 30 din ki rahti ha,or visa be expire hu rha ha tu es surat may kya ma visa change k liye out of country ja skti hon
Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 09-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AsaLam O aalaekaum... MEraa sawaAal y he k mEriii idDat kaL pUriii hOriii h...sOo idDat x UthnY kaa sUnNatiii tariKa kiaaA h...???
Answer: Talaq yaafta aurat ko iddat k doran shadi se perhaiz kerna lazim hay or bewa ko 4 mahinay 10 din niakh or libas or badan ki zenat se perhain kerna lazim hay, or jab iddat k din poray ho jain tu wo in pabandiyo se azaad ho jati hay, Iddat k khatam hone per koe kaam anjam daina lazim nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481-2). Update on dated 29-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam-0-alikum.mere walid ki 4.3.2017 ko death ho gai or meri ami ki iddat chl rahi mere abu ki pension ka msla ha mere abu ki pension se hmare ghr ka kharch chlta ha kya meri ami bahir nadra office ja skti ha?qk ami ke bageir ye kam ni ho skta.plz jldi jwab den.suni hn hm or hmara mzhab islam
Answer:
Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 11-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Suni mazhab main bhi yehi maslah. (Ref: hay.http://www.thefatwa.com/urdu/questionID/3769/%DA%A9%DB%8C%D8%A7-%D8%AF%D9%88%D8%B1%D8%A7%D9%86%D9%90-%D8%B9%D8%AF%D8%AA-%D8%AE%D9%88%D8%A7%D8%AA%DB%8C%D9%86-%DA%AF%DA%BE%D8%B1-%D8%B3%DB%92-%D8%A8%D8%A7%DB%81%D8%B1-%D8%AC%D8%A7%D8%B3%DA%A9%D8%AA%DB%8C-%DB%81%DB%8C%DA%BA/)
Question: AS My question is k meri sister in law ko shadi k 2 saal baad divorce ho gai, woh job karti thi, job se leave bhi le skti thi aisa koi problem nahi tha, but us ne idat puri nahi ki or na hi idat ka irada kia ab us ne divorce k aik saal baad shadi kr li, kia us ki shadi jaiz ho gi Or idat puri na krne ka gunnah or kafara kia ho ga
Answer: Us ki shadi sahi hay or us per kaffara bhi nahi hoga q k talaq ki iddat ka matlab hota hay k is doran wo kisi say shadi nah karay or Iddat main ghar se bahar jaana bhi jaiz hay. (Ref: Minhajus saliheen jld#3, maslah#542). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam Aik aurat k husband ki death 2 November (12 Safar) ko hoi or dafeen 3 Nov (13 Safar) ko hoi tu edat ki date kya ho gi ? or edat 30 days k months py ho gi ya k qammri month py ?
Answer: Wafaat ki iddat shohar k marnay sai shuru hoti hai yaane (2 nov) sai hogi or iddat qamari hisaab sai 4 mahine 10 din hoti hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2481). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia talaq k bad suhr sy bt krna haram ha
Answer: Talaq e rijee ki iddat k doran bivi zauja k liay mehram hoti hay or baat karna jaiz hoti hay, laikin Iddat kahtam hone k baad shohar, aurat k liay na-mehram ho jaata hay lehaaza,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: talaq ki iddat kabse start hoti h ... i mean pehli talaq ki bad iddat start ho jati h ya jab 3no talaq ho jay tab iddat start hoti h
Answer: Jis ladki ki umar qamri 9 saal nah huey ho aur isi tarah jo aurat yaesa nah ho chuuki ho, os ka shauhar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke ba’d I’ddat rakhe. Aur aisi aurat ki I’ddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shauhar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itnii muddat sabr kare keh ose dobareh haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa’ haiz aa jaey to os ki I’ddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shauhar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi ya’ni wo talaq ke fauran ba’d dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shauhar ki mani os ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to os surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2475). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).