Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Iddat (136 Questions)


Showing 50- 100 questions from 136 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
92137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam-o alikum iddat se uthny ka koi tariqe kar he? Ya aurat iddat ki moddat pori hoty hi us din kisi bhi wqt jaskhti he bahir?

Answer: Talaq ki iddat say murad yeh hay k wo aurat is muddat k doran shadi nah karay or wafat ki iddat men shadi nah karnay k sath sath zenat kerna us par haram hay lekin kisi kaam k liay ghar say bahar ja sakta hay or wafat ki iddat 4 mahine 10 din hoti hay . Ref: (Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, part#03,Mafhoom e Maslah #550/578 ). Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-22

Question: Mere Walid ka intaqal ke waqat Walid ki Umar 80 plus or walida ki Umar 60 plus hai kia Meri walida iddat mein Beth sakti hai

Answer: Iddat e wafaat k liye aurat ki umar nahi dekhi jaati chahay jitne saal ki ho shohar ki wafaat par biwi ko iddat rakhni hogi iddat ki muddat qamari 4 mahine 10 din hai. Jo aurat wafaat ki iddat mai ho us k liye zenat wala libaas pehenna, surmaa lagaana aur isi tarah aise doosray kaam jo zeenat shumaar hotay hoon haram hain. Lekin ghar sai nikalna haram nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2481,2482).
[Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
93429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-15

Question: I got married to a handicap person and after 9 days of marriage we had a reception. The next day of reception my husband left me at home. And stopped contacting with me blocked me everywhere. We had intercourse. when my parents contacted him was saying he was not interested in me. After waiting for 9 months Now I want to end this marriage by taking either khula or divorce. after divorce , how many days I can remarry. Is iddat days are same for khula and divorce?

Answer: Jee haan, khula or aam talaq ki iddat same hay, aisii aurat ki iddat jis k do haiz ka darmiyani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shauhar ose paki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose dobaar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi osay teesri dafah haiz aa jaay to os ki Iddat khatam ho jayegi aur wo dosra nikaah kar sakti hai. Laikin agar shauhar aurat se majamat karne se pahle ose talaq de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq k fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shauhar ki mani os ki sharamgaah mein daakhil huyee ho to os suurat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2475 )
[Updated on 15-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95365
Mujtahid:
Date: 2019-04-13

Question: اگر عورت نے ہمبستری نہ کی ہو اور طلاق ہو جائے تو کیا عدت واجب ہے یا نہیں؟؟؟

Answer: Agar hambistari k baghair aurat ko talaq d jaey tu koi iddat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton#41, maslah#2475).
[Updated on 13-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-18

Question: 0 Answers found for "Assalam0alaikum. Mera sawal h k ek lrki ka nikah hoa or uski rukhsati se pehly talaq ho gai to kia uski iddat ho gi ya ni or agr h to kitni h. Wassalaam jwab ka muntazir "

Answer: wsalam. Agar hambistari nahi ki ho tu iddat nahi hay or agar hambistari ki ho tu iddat wajib ho gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2474,2475)
[Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97633
Mujtahid:
Date: 2019-06-13

Question: Aur ladki ki iddat kya hogi jisne shadi ki 1 month me talak ho gaya ho aur es duran dono me kisi bhi tarah ka physical relationship na bana ho to kya ladki ko iddat puri krni hogi dusare nikah k liye

Answer: Agar shadi k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition#41, maslah#2475)
[Updated on 13-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98909
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya iddat mai aurat dusre bate k paas jasakte hai agar do makan mai dewaar hai aur aurat ek bate ke gar mai rehta hai

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 27-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99545
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia talaq ki iddat k Doran biwi ka khrcha husband ki zimedari he ya nhi??

Answer: Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508). Update on dated 17-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100940
Mujtahid:
A.Sistani. Date:

Question: Agr kisi oraat ka bacha 8 8 din ka ho or usky husbnd ki death ho jye to kia us py idaat bnti hai???

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 09-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102551
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-01

Question: Assalamolaikum, MERI shadi ko 6 saal ho chuke hai, aur 11 mahine se me aur mere shohar alag reh rahe hai, mere shohar Ka shadi ke 1 saal bad se hi zidd tha ke unhe talaq Chahiye, ab 6 saal bad hum talaq Lene wale hai, aur 11 mahine se me Apne parents ke Ghar reh rahe hu to kya mujhe iddat rakhna hoga ?

Answer: agar shadi ke baad mujamiat (humbistri) kare to agar khula ya talaq ho jaye to iddat guzarni hogi, aur agar shadi ke baad mujamiat (humbistri) nahi hui ho to is surat me khula ya talaq ke baad iddat nahi hogi. ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2475 ).
[Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102872
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-04

Question: Myri sister ki iddat chal rahi hy aysy mai kia myry shoher un kay samny ja ker unsy baat karsakty hyn?

Answer: 1- Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482).

2- Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Update on dated 17-09-19.
Note: Oper bayaan karda masle ki bunyad per iddat main baywah aurat se baat ki jaa sakti hay.
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102874
Mujtahid:
Molana Tariq jameel sahab Date: 2023-08-21

Question: Myri sister ki iddat 11 din pahly shuru hui hy aysy mai kia myry shoher un k samny ja sakty hyn or un sy baat ker sakty hyn?

Answer: agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102890
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-22

Question: Qula ka Baad kya sohar apni biwi sa bath karka wapas si nikah kar sakta hai

Answer: agar koi aurat talaq e khula ya talaq e mubaarat ki iddat ke doran apni bakshish se phir jaye to shohar uski taraf rujoo kar sakta hai aur dobarah nikah kie beghair use apni biwi bana sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah sistani d.b, maslah no #2498)Û”
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-20

Question: Khula hone K bad kitne din iddat K hote hai

Answer: Agar shadi k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi. aur agar hambistri hui hai to phir aisi aurat ki iddat jis ke 2 haiz ka darmiyani fasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab us ka shohar use paki ki halat me talaq de to woh itni muddat sabar kare keh use do baar haiz aye aur paak ho jaye aur jo hi use teesri dafa haiz aye to uski iddat khatam ho jaye gi aur woh dosra nikah kar sakti hai. (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 2475)
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-16

Question: Kya larki idat k doran kisi gher muharam sy bat Kar Sakti hy?

Answer: Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482).
Note: Bewa k liayiddat k doran kisi na mehram se baat karna jaiz hay.
[Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103295
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-22

Question: Mera talaq ho chuka h... Me iddat kis tarah Gujaru .?

Answer: Jis aurat k saath us k shohar ne mujamiat ki thi or phir usay talaq day di ho tu aurat k liye zaroori hai k talaq k baad iddat rakhay. Talaq ki iddat ka doraniya 2 haiz hai or jaise hi teesra haiz aaye ga tou us ki iddat khatam ho jaaye gi talaq ki iddat main faqat nikah karna haram hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2475)
[Updated on 22-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103296
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-01-24

Question: Mera dicorce, shadi k 2 months bad hi ho gya tha... Lekin humare bich koi humbistari nhi hui h... Or talaq hue v 5-6 months ho chuke h... Kya mujhe iddat guzarni hogi, or kis trh guzarni hogi... Or dusra nikah kb kr skte h...

Answer: Jee nahi, apko iddat guzarne ki zaroorat nahi Q keh jab shadi k baad shohar aurat se mujameat na kare to talaq ke baad iddat guzaarne ki zaroorat nahi hai, aur woh talaq ke baad foran shadi kar sakti hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 2520).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103389
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-01-28

Question: Aoa. Hm log rent k ghr pr rehty hain. Meri saas ki iddat is ghr se shuru hue hai. Lakin is ghr main kafi masail hain. To kch intehai majburi ki waja se hm ghr tabdeel krna chahty hain. Kya ye mumkin hai..? K wo apni baki idat us ghr main puri kr lain...

Answer: Iddat main ghar se bahar jaana jaiz hay. (Ref: Minhajus saliheen jld#3, maslah#542).
[Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103602
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-02-11

Question: Agr kisi ka intekal 28 September 2019 ko (chand ki 28 muharram) his hue he to iddat kab khatm hogi

Answer: Agar koi aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452)
(Note: wo aurat muharram k baad k 4 mahine iddat rakhne k sath sath muharram main jitne din iddat rakhi ho os k sath jamius sani se ittne din iddat rakhe k 10 din mukammal ho jain. phir is aurat ki iddat mukammal hogi.
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-06

Question: Salam , mai ne poochna hai k ager shoher ejaculation keray without penetration of penis k to Kia is Surat mai bhi aaat rukhni hogi.. becz un dono ne mutha kia tha kuch time k liye ....jis mai intercourse ki shert laikin ...intercourse ni sirf sirf mani kharij ki hai lerkay ne vagina pr intercourse kiye bgair.....to kia is Surat mai bhi lerki ko idaat rukhni hogi

Answer: Agar bivi k sath jima(intercourse) nah hoa ho tu iddat rakhni wajib nahi hoti. laikin agar shohar ki mani is ki sharamgaah main dakhil hoe ho tu is sorat main zarori hay keh wo aurat iddat rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2474-5).
[Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103637
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-07

Question: Salam , mai ne poochna hai k ager shoher ejaculation keray without penetration of penis k to Kia is Surat mai bhi aurat ko idaat rukhni hogi.. becz un dono ne mutha kia tha kuch time k liye ....jis mai intercourse ki shert ni thi laikin ...intercourse ni kia sirf mani kharij ki hai lerkay ne vagina pr intercourse kiye bgair.....to kia is Surat mai bhi lerki ko idaat rukhni hogi??

Answer: Agar bivi k sath jima(intercourse) nah hoa ho tu iddat rakhni wajib nahi hoti. laikin agar shohar ki mani is ki sharamgaah main dakhil hoe ho tu is sorat main zarori hay keh wo aurat iddat rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2474-5). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479)
[Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103680
Mujtahid:
Sunni Date: 2020-02-08

Question: Meri cousin ki shadi k aik saal baad talaq ho gae lekin wo sirf aik mahina apne husband k sath rahi uss k baad wo dosrsy mulk chala gaya kya uss ki iddat ho gi

Answer: talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
[Updated on 08-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103997
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Salam!mera sawal ye hay kay iddat complete ho jae to kya krna chahye jesay kay meri khala ki iddat pori honay ko hay to unko kis tarha mtlb koi khas qisam ka ghusal krna hota hay ya kya?

Answer: W/Salam, Jee nahin iddat khatam hone ke bad kuch nahin karna hota aur iddat ke khatam hone ke bad koi gusl nahin hai. lekin agar aap ka sawal iddat e wafat silsilay me hai to agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay iddat ke doran shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482).(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani topic wajib gusl edition 39 page # 62,).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104106
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-28

Question: AoA. Main ny apni wife ko 1 dfaa talaq di phr 3 month sy pehly hm donu ny 1 sath rehny ka fesla kia lekin us k parents ny mery sath ni byja meri wife ko, kia talaq ho gai? Please ans

Answer: Talaq e raje main merd iddat k doran ruju ker sakta hay yani baghair nikah kiay osko wapas apni bivi bana sakta hay or agar iddat k doran ruju nah karay tu iddat k baad nikah k zerye apni bivi bana sakta hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486,2491)
[Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Mamu ki 20 Din phle death hoi hai or Mami pregnant hai iddat poori hone sy phle nikkah kia ja skhta hai?

Answer: 1)G nahin nikah nahin kiya jasakta, Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai.
2)Aurat dosri shadi apni iddat khatam honey k bad kar sakhti hai, aur wafat ki iddat ye hai: Agar koi aurat bewa ho jey aur agar wo hamila na ho to qamri yani chand ke hisab se 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe aur agar hamila ho to wazh e hamal tak iddat rakhe. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482).
[Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kis age ki aurat ko idat kernay zaroori nahi

Answer: Jis larki ki umar pori no saal na hoi ho aur esi tarah jo aurat yaaisa (jis ko umar ki ziydati ki wajah se haiz aana band ho gaya ho) ho chuki ho us ki koi iddat nahin hoti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2474).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108870
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-09

Question: Sir, meri sister ka husband 8 year sy bahar mulk me tha. Aur wahen uski heart attack sy death ho gye. Sawal ye hy meri sister kk idat krny hogi ya nhe.

Answer: ji bilkul wafat ki iddat karni hogi jo k 4 mahine 10 din hai
iddat sai muraad ye hai k wo doosri shaadi na karay ya aisay afaal anjaam na de jo zeenat shumaar hote hai jese (surma lagana, naya libaas pehenna wagaira) lekin ghar sai bahar nikal sakti hai.Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481).
[Updated on 10-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-18

Question: Khula ki iddat ka time period kitna hy .

Answer: Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
[Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110580
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-16

Question: Sir mera yah sawal hai k agr larki talaq mangy or larka dy b dy or 2months k andr andr dobra ruju karna chah rahy hon matlb dobra nikah main ana chahty hon to kya tareeka hai us ka

Answer: Iddat k time men ruju karnay say wapas wo biwi ban jaati hay talaq ka asar khatam ho jata hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah # 530).
[Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110954
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-24

Question: Assalamoalaekum, meri khala iddat mein hain,kya iddat mein mamu zaad behan ke bete se parda hai. Wo mere shauhar bhi hain.

Answer: Jo afrad iddat se pehle na--mehram thay wo iddat k doran bhi na-mehram hoon gay. iddat k doran na-mehram se baat karna haram nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2480-2484).
[Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-13

Question: Divorce k baad iddat itni hoti hai (iddat zaruri hoti hai ya nhi ?

Answer: Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
[Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-24

Question: Aslam o alaikum please btayen k ab mera husband muslman nhi rha mgr main aur hmare bche muslim hain to kia hum abhi bhi mian bivi ki trah ek ghar main rh skte hain?

Answer: Agar koi mard shadi k baad murtad e fitri ho jaye to is ki biwi is par haraam hojati hai. Agar is ne biwi se hambistari ki ho aur aurat yaesa ya Umar mein choti nah ho to aurat ko chahiye ke iddat e wafaat ke barabar iddat rakhay jis ka zikar ehkaam talaq mein bayan hoga. balkay ehthyat e wajib ki bana par agar hambistari nah ki ho ya aurat yaesa ho ya kam Umar ho tab bhi iddat e wafaat ke barabar iddat guzaray. Agar iddat ke douran mard tauba karle aur dono akhatay zindagi guzaarna chahain to ehthyat e wajib ki bana par dobarah Aqad parheen aur agar judda hona chahain to talaq di jaye .
[Updated on 24-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111541
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-11-27

Question: Iddat mai apne hone wale damaad se mil sakte hai??

Answer: Jaiz hai.(Ref: Ayatullah Khomeini, Tauzeeh ul masael, Mafhoom e Maslah # 2514).
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-19

Question: Assalamo alaikum kiya idatt men CCtv Camera sy ghar sy bahir manazir or ghar k khayal k k liye CCtv istamal kar sakti hen??

Answer: 1: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy.
2: Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress), surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111768
Mujtahid:
imam abu hanifa Date: 2021-11-29

Question: kya talaq wali aurat iddat k time py ghr sy bahar nikal skti ha?

Answer: Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo aurat nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: talak k bad agar aurat idat na krna chahye ya kam se kam kitny dino ke idat krni chahye

Answer: 1: Aurat iddat k doran dursa nikah nahi kr sakti, is liye agrchhe talaq hochuki ho phir iddat k doran aurrat apne shohar ki sharaee biwi ki hesiyat rakhti hai, yahan tak k iddat ka period khatam hojaye.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2508).
2: Jis ladki ki umar qamri 9 saal ho chuki ho, aur isi tarah jo aurat yaesa nah ho chuki ho, os ka shauhar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke baad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar use paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh use dobar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle use talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ki mani us ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to us surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2475).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: talak k bad agr aurat idat na kary or foren shadi krly to kia hukum ha .

Answer: Talaq ki iddat k doran nikah karna haram hai. agar koi aurat se nikah kare jo dosre ki iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya un me se koi aik janta ho keh aurat ki iddat khatam nahi hui aur yeh bhi jante ho keh iddat ke doran nikah karna haram hai to agar cheh mard ne nikah ke baad aurat se jima na bhi kia ho to woh aurat hamesha ke liay us par haram ho jayegi aur agar donon iddat ke doran hone ya iddat mein nikah ke haram hone se bekhabar ho to nikah batil hai, agar humbistri bhi ki hai to hamesha ke liay haram ho jayenge, agar humbistri na ki ho to haram nahi hain aur iddat ke khatam hone ke baad dobara nikah kar sakte hain. (Ref: Aayatullah Seestani, Tauzeehul Masail, Masala # 2365,2475).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111864
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-12-13

Question: Asalam o alaikum agha jan Mera nikkah 2013 men howa tha jo ek sunni Molvi ne parhaya tha kya mera nikkah durust hay? Agha jan ager durust nahi to us larki se ab mujhe 4 bache hen or kya mene zina kiya?

Answer: Agar nikah main seeghay shia fiqh ki sharaet k sath perhe gaey thay tu nikah durust hay. or agar nikah k seghay nahi perhe gaey thay tu nikah durust nahi hoa, laikin Q keh aap ko maloom nahi th keh ye nikah batil hay is liay hambistari ko zina shumaar nahi kia jaey ga laikin aap per wajib hoga keh aap apni bivi se alag ho jain or aap ki bivi apni wati bish shubbah ki 3 haiz iddat rakhe phir os k sath dobara shia tariqe se nikah kia jaey. (Ref: Minhaajus saliheen, ayatullah sistani, maslah#30, 567)
[Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112149
Mujtahid:
Allama ilyas attar qadari sab Date: 2020-12-22

Question: Baywah orat idat me bhir nikal sakti hai ya ni apny shohr ki qabar pe jana k lia

Answer: Bewah aurat jo iddat mai hai us k liye ghar sai bahar nikalna jaaiz hai lehaza wo kahin bhi jaa sakti hai.
bus us par ye laazim hai k iddat k doraan zeenat na karay or doosra nikah na karay.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2481,2482).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: KIYA ORAT BEWA HONY K BAAD , IDDAT MAIN NAYA KAPRA NAYA DRESS PEHAN SAKTI HY//

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo hamila nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga(colour full dress) libaas pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-11-28

Question: Me shohar k sath 7 months rahi , uske baad 2.5 saal me ussay alag rahi hmare beech intercourse nhi hwa is dohran r ab mjhe talaq aagai hai . Kya mjh per iddat ayegi ?

Answer: Jis ladki ki umar qamri hisab se poore 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaesa na ho, agar os ka shohar os se hambistari kare aur ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke bad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose 2 bar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Ruhollah Khomeini, Tauzeehul masail, maslah #2507).
(Note: 7 months pehle jab aap apne shohar ke sath thin agar us waqt intercourse howa tha to aap ko iddat rakhni ho gi aur agar us waqt intercourse nahin howa tha aur baad men bhi nahin howa to aap ki iddat nahin hogi.)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-28

Question: Meri shadi k 7 months baad kuch maslay ki wajah se me wapis waldein k Ghar agai r uske baad hmare beech intercourse nhi hwa r 2.5 saal baad mjhe talaq agai . Kya mjh pr iddat hogi ? R agar hogi to kitne arsay Tak ?

Answer: Jis ladki ki umar qamri hisab se poore 9 saal ho chuki aur jo aurat yaesa nah ho chuki ho, os ka shohar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke bad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose 2 bar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ki mani os ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to os surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah #2475).
(Note: 7 months pehle jab aap apne shohar ke sath thin agar us waqt intercourse howa tha to aap ko iddat rakhni ho gi aur agar us waqt intercourse nahin howa tha aur baad men bhi nahin howa to aap ki iddat nahin hogi.)
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112264
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Assalam o alaikum.. Mere Phoppi ki iddat khatm honay wali hai. and aik rasm hai hamaray khandan mein k kapray wagra dye jayengay phoopi ko. Mujhe yeh pochna hai Islam ya Sunnat kia kehte hai. and kiya dena chahye. Jazakallah

Answer: Ye dunyavi rasam hay, Quran o hadees main is ka koe zikr maujood nahin hay.
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112381
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Assalamu Alikum ...kya iddat main mere Ammi T.V Dekh sakte h ...???

Answer: wsalam.
jee tv dekhne mai koi maslah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481,2482)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112858
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-03

Question: Agar koi aurat bewa hojaye to kiya iddat k doraan wo kisi mard ki awaz mn bayan ya tilawat wagaira sun sakti hai?

Answer: Bewa k liay ye kaam jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani, jadid fiqhi masail, mafhoom e masla #2481).
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113132
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: ek saas k lia damad mehram hai? or agar saas iddat mein ho tou kya damad k samnay asakty hai?

Answer: saas k liay damad mehram hay. Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza mehram ya namehram afraad se mulaqat kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482)
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113145
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Assalam o alaikum... Kya iddat me her mehran se bat ki na Sakti he Kam k silsile me?? Or get mehran Ka photo Dekh sakte he??

Answer: 1: Talaq ki iddat k doran sirf nikah karna haram hai. Is ke elawa koi cheez mana nahin hai. Aur wafat ki iddat k doran nikah karna, rang ba-ranga libaas pehnna, surma lagana aur isi tarah ke dusray aisay kaam karna jo zeenat mai shumaar hotay hon haram hain, Laikin Ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza iddat mai baat cheet karna jaiz hai. Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koi shehwat angaiz baat nah ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh-ul-masail, edition #42, maslah #2475,2481).
(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, ques #115, pg #57).
3: Agar lazzat kay qasd k bagair ho to un hisso par nazar dalna jinhe aam tor par mard nahin chupate masalan (chehra, sar, dono hath etc.....) to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113297
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-26

Question: asalam o alaikum mera apse swal hai k kia idat me aurat apne bety ka rishta leny ja skti hain lrki walon k ghr ? kindly mjhy yeh bta dein

Answer: Iddat k doran Ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza iddat ke doran baite ka rishta lene ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh-ul-masail, edition #42, maslah #2475,2481)
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113355
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Kya iddat krna zaroori hai

Answer: Jee han, Iddat guzarna zaroori hai chahe Iddat e Talaq ho ya Iddat e wafat.
Talaq ki Iddat:- Agar shohar nay hambistri(intercoursesex) k baad talaq di ho tu zarori hay k talaq k baad iddat rakhi jaay. Or aisi aurat ki iddat jis k 2 haiz ka dermiyani faasla 3 maah se kam ho, ye hay k jab oska shohar osay oski paaki ki halat main talaq day tu wo itni muddat sabar karay k osay do baar haiz aay or paak ho jaay or jonhi osay teesri dafa haiz aay tu oski iddat khatam ho jaay gi or wo doosra nikah ker sakti hay.
Wafat ki Iddat:- Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lehaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress), surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2474,2481,2482)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114007
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-07

Question: ایک عورت کا شوہر اگر ولیمہ والے دن مر جائے بغیر عورت کو چھوئے تو کیا وہ عورت ایک ہفتے بعد اپنے مرے ہوئے شوہر کے بھائی سے نکاح کر سکتی ہے؟

Answer: Agar koe aurat baywah ho jaay to qamri (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay. Chahe uske shohar ne us se Jima(Intercourse) kiya ho ya nah kiya ho dono sorton men Iddat e wafat rakhay gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
(Note: Us aurat ko 4 mahinay or 10 din ki iddat rakhni hogi aur is ke bad marhoom shohar ke bhai se nikah kar sakti hai ).
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print