Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Iddat (136 Questions)


Showing 100- 136 questions from 136 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
114087
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Ager mian bv mein 4 saal se koi hez na huva ho aur Usk baad woh tlak de de to kya edat wajib ho giii???

Answer: Jee iddat wajib hai. Aur jis waqt talaq k seeghay jaari hoay thay os waqt se hi iddat shuru ho jaati hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2480).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-16

Question: Assalamu alaikum Agar kisi ki puri umar kiraye ke makaan me guzar gai or wahi khawind ka inteqaal ho jaye to or unki bewa aurat or bachhon ko apne ghar ja kar iddat kar sakti hai ya jaha shohar ka inteqaal hua wahi iddat puri karna zaruri hai.

Answer: waffaat ki iddat chaad ke hissab se 4 mahene ,10 din hote hai . aurat per wajib nahe hai ke wafaat ki iddat use ghar me guzaare ke jis ghar wo aurat apne sohar ki wafaat ke waqt apne sohar ke sath rehte thi or iddat ke duraain ghar se bahar nikalna bhi haraam nahe hai
(ref:sistani .org ,arabi,topic , aliddat filwafaat ,sawaal no:2, 7)
[Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
115043
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: Assalamualaikum Recently my mamu passed away and my Mumani is going through her iddat days, my Mumani parents health is not good can she go n meet them. Your quick response will be much helpful.

Answer: wsalam.
wafat ki iddat mai aurat par laazim hai k zeenat na kary or doosri shadi na karey lekin wo ghar sai bahar nikal sakti hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481-2482).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-14

Question: Asalam u Alaikum..meri waleda iddat main hai is doran kya woh apny mamu se parda karein gi ? Please reply. Thank you

Answer: Agar koe aurat baywah ho jaay to qamari (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay. Chahe uske shohar ne us se Jima(Intercourse) kiya ho ya nah kiya ho dono sorton men Iddat e wafat rakhay gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay. Aur mamu mehram hai aur merham afrad se parda karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
[Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115334
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-09

Question: Agr koi orat bewah ho jae or bewah hony ky bad dobara shadi ka irada na rkhty ho to kia wo idat us pr farz ho gy ya nhe

Answer: Jee wafaat ki Iddat har soorat me rakhni hoti hai chahe shadi ka irada ho ya na ho, wafat ki iddat ki muddat(chand ke hisab se) 4 mahine 10 din hai. Iddat ka matlab faqat shadi se ruki rehna nahin hai balke is ke alawa aur bhi haram chezain hai jin se apne aap ko iddat ke dauran rok ke rakhna zaroori hota hai jese ke zeenat wala libaas pehenna, surmaa lagaana aur isi tarah aise doosray kaam karna jo zeenat shumaar hotay hon, Q ke iddat ke dauran in cheezain ko anjam dena bhi haram hota hai. Lekin ghar sai nikalna haram nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2481,2482).
[Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115648
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-30

Question: Meri shaadi ko 1.5 saal hua h aur mujhe ladka paida hua ladka paida hune ke 9 din ko shohar ka inteqal hua mujhe kitne din iddat karna chahiye 9108143603 ye no. Ko answer dena

Answer: Shohar ki wafaat par biwi ko iddat rakhni zaroori hogi aur iddat ki muddat(Duration) chand ke lehaz se 4 mahine 10 din hai. aur jab se shohar ki wafat hoi ho us din se iddat shuru ho jati hai. Jo aurat wafaat ki iddat mai ho us k liye zenat wala libaas pehenna, surmaa lagaana aur isi tarah aise doosray kaam jo zeenat shumaar hotay hoon haram hain. Lekin ghar sai nikalna haram nahin hai.(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, masalah #578,586)+Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2481,2482).
[Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-12

Question: Assalamualaikum. Hamari nani idat mein roz hamare ghar atein kya karein

Answer: Agar aap ka sawal wafat ki iddat ke hawale se hai to wafat ki iddat ke dauran bewa aurat ghar se bahir jaa sakti hai (yani aurat ka ghar se bahir nikalna wafat ki iddat ke dauran haram nahin hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2481,2482).
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116555
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Kya Orat ko iddat ma apny damad sy bat krna mna ha

Answer: Saas k liay damad mehram hay. Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza mehram ya na-mehram afraad se baat kar sakti hai koi mana nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120480
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-26

Question: talaq k bad iddat se phele dono husband wife ban skty Hain?

Answer: Jee han, ban sakte hain agar talaq, talaq e rejiye hai to iddat ke dauran ruju kar ke dubara biwi banaya ja sakta hai. aur agar talaq to riyie thi lekin talaq ke iddat mukamal ho gayei ho to iddat ke baad nikah ke zariye dubara biwi banaya ja sakta hai tab wo dono phir se miyan or biwi ho jayen gay, Aur agar talaq e baain hai to is men iddat ke baad dubara nikah ke zariye se biwi banaya ja sakta hai tab wo dono phir se miyan or biwi ho jayen gay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2486,2487,2488).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120484
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-26

Question: Agar talaq hojay or or aisi orat jic ko bacha ho he nhi sakta kia us ko bhi iddat pori krni hogi

Answer: Agar shohar, aurat se jima karne se pehle use talaq dede to us k liye koi iddat nahin yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ne aurat se jma kiya ( chaae jima aurat ki aaghe wale sharamgha me kia ho ya piche wale sharamgha me kia ho ) ya shohar ki mani us aurat ki sharamgaah mein daakhil huyei ho to is soorat mein zaroori hai keh wo aurat Iddat rakhe. chahe aulad na bhi hoti ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-29

Question: Assalam-o-alekum: mere susar ka intiqal hogaya hai aur meri saas ki age 73 years hai . Kia meri saas iddat k dinno main operation karasakti hain? Unka operation hona tha aur susar ki death hogae. Please jaldi reply kardain

Answer: Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai. Lehaaza wo operation karwane ke liye jaa sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482).
[Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-30

Question: Assalam-o-alekum: mere susar ka intiqal hogaya hai aur meri saas ki age 73 years hai . Kia meri saas iddat k dinno main operation karasakti hain? Unka operation hona tha aur susar ki death hogae. Please jaldi reply kardain

Answer: Jee, iddat main ghar se bahar jaana har sorat main jaiz hay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2480)
[Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120734
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-28

Question: Miyan biwi 1 saal tk alag ho aur Aurat Khula Ly to kya Iss surat aurat ki iddat hosakti hai? Asked By: Abdullah ,Email: samikhan.kpk.chd@gmail.com, Country: Pakistan, City: Lahore, Gender: male

Answer: Agar nikah ke baad shohar ne jima karne se pehle talaq dedi ho to is surat me koi iddat nahin yani talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ne jima (chahe agli sharamghah me ya pichli sharamghah me) kiya ho ya kisi tarah se shohar ki mani aurat ki sharamghaah me daakhil huei ho to is surat me zaroori hai keh wo aurat iddat rakhe. chahe jitna arsa alag rahe hon.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475).
[Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120860
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-14

Question: Asslaam alaikum mera 3 din pahle 3 talak pyr hogae hai . 3 mahine mainsath rahi husband k n 2 .5 years se apne parents k ghr pr hu ... Iddat k duran kya main tution padhne bacho k ghr ja skti hu qki mere na jaane. Se unka nuksaan hoga ..

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jee han, Iddat chahe khula ki ho ya talaq ki ho ya wafat ki ho is Iddat ke dauran kisi bhi kaam ke silsile me ghar se baahir nikal sakti hain Q ke iddat ke dauran jo cheezen haram hain in me se shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon ye haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai. Lehaaza tution parhne ke liye jaa sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482).
[Updated on 14-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-08

Question: Assalam o walaikum Janab mera sawal ye ha k agar talaq yafta aurat iddat kaise kare agar us k ghar mein koi kamane wala na hu to ?

Answer: Agar shohar ne aurat hambistari nahin ki to aurat par koi iddat nahin hai. lekin agar hambistari ki thi to is surat main aurat itni muddat tak sabar kare (yani nikah na kare) ke aurat ko do baar haiz aaye or phir pak ho jaye or jese hi teesra haiz aayega to aurat ki iddat khatam ho jaye gi phir dusra nikah agar karna chahe to kar sakti hai. (yani talaq ki iddat me nikah ke alawa tamam kaam kar sakti hai or ghar se bahir bhi ja sakti hai, sirf nikah nahin kar sakti ).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475).
[Updated on 08-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121185
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-05

Question: میری بہن کے شوہر کا انتقال 31 May 2022 کو ہوا تھا.. تو بتا دیجئے انکی عددت کس تاریخ کو پوری ہوجائے گی؟؟

Answer: (Note: yeh masalah, Pakistani Citizens ke liye hai or ye sawaal Pakistan ke city Karachi se kia gaya hay,kyu ke har country me chaand ke saabit hone ahtebaar se Chand ki phele tareekh alak ,alak hosakte hay )
Iddat qamari (chand ke) lihaaz se 4 mahinay 10 din iddat rakhni hoti hai (yani shadi karne se ruke rehna hai), nah ke English tareekh ke mutabiq rakhni hoti hai, aur qamari (chand ke) lihaaz se 10 Rabi-ul-awal ko Iddat khatam honi thi jo ke khatam ho chuki hai Q ke aaj kal to Rabi-ul-saani mahina chal raha hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482).
[Updated on 05-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-08

Question: Kya najaiz talaq Dany waly mard ki bhi iddat hoti h?

Answer: sahe nikha ke baad agar shohar ne APne biwi se aik Baar bhe humbistri ki hay tu Iddat aurat ne guzarni hoti hai wo bhi us surat me jab aurat ko mukamal sharaait ke sath Talaq de di jaye, mard ke liey iddat nahin hoti.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2474,2481).
[Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-14

Question: I want to ask few questions realated to mutah and nikah. Q1. If one couple have completed agreemented time of mutah and now they want to continue it. In this case Iddat time gap is mandatory or not? Q2. Can couple themselves recite their nikah's seegha without anyone else presence?

Answer: 1: Yes, it is necessary to observe Iddat, However, if a man has a temporary wife whose iddah has not yet finished, he can contract a permanent marriage with her or marry her again in a temporary marriage.
2: Yes both of you can themselves recite their seegha without anyone else presence, Because it is mustahab to witness on the marriage, announce it and recite the sermon before it.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2396. + Minhaj us Saliheen, Part #3, Edition #1443, Maslah #03).
[Updated on 15-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121465
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-31

Question: Kya dusri bar muta padne k liye iddat zaruri hai ye pehla muta khatam hote hi dusra pad sakte hai

Answer: Agar mutah ki muddat poori ho jaye ya bakhsh di jaye or mutah ke dauran hambistari bhi ki ho to 2 mukammal haiz iddat rakhna zaroori hogi, us ke baad kisi or mard se nikah kare gi. or agar hambistari nahin huei thi to phir iddat ki zarorat nahin or fauran baad dosre mard se nikah kar sakti hai. lekin wo shakhs jis ne kisi aurat ke saath pehle mutah kiya ho wo ye kar sakta hay ke jis aurat ke sath is ne pehle mutah kiya hai or abhi is ki iddat khatam nahin huei (jabke mutah ki muddat khatam ho gayei ho ya bakhsh di ho) is se daaimi nikah kar lay ya dobara mutah kar lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396,2473,2479).
[Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-15

Question: Kya talak ke 1 month bad ladki job ke liye bahar ja skti he

Answer: Iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki, is Iddat ke dauran kisi bhi kaam ke silsile me ghar se baahir jaa sakti hain Q ke Talaq ki iddat ke dauran jo cheez haram hai wo shadi karna. aur wafat ki iddat ke dauran jo cheez haram hain in me se shadi karne ke sath sath, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon ye haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki ho. Lehaaza job ke liye jaa sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121738
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-26

Question: ASSALAMUALIKUM meri 1 freind ka nikkah howa tha. 1 saal pehly rukhasati nh hoi ti to bad nikkah dono m. Physical relationship hogaya tha mani andr kharij nh hoi ti. Osky bd larka bhar. Chala gaya tha. Ab wapis aya 8 months bd to osko divorce hori h ! To is surat m? Larki ko iddat krni hogi ya nh?

Answer: Agar shohar ne biwi se hambistari ki thi to is surat main iddat rakhna wajib hogi aur itni muddat tak sabar kare (yani nikah na kare) ke aurat ko do baar haiz aaye or phir pak ho jaye or jese hi teesra haiz aayega to aurat ki iddat khatam ho jaye gi phir dusra nikah agar karna chahe to kar sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475).
[Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-09

Question: 1 Talaq ki iddat me Biwi ko khusbu wali chize use kar sakti he yani k shampoo tel ya bodylotion.or mob me vedio dekh sakti he ya TV dekh sakti he

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

(Agar wafaat ki iddat na ho tu )Talaq ki iddat ke dauran upper zikar shuda kaamo me ju halal Hain wo tamaam. Halal kaam kar sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475).
[Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121926
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-29

Question: Assalam o alikum plz mujha ya malom karna ha ka talaq ka bad iddat 3 month 10 din Hoti jab ka sohar ki death ka baad iddat 4 month 10 din Hoti Kyo ha ASA plz answer zaror deya ga

Answer: Woh sabab jis ki binaa par aik Talaq Yafta aurat ki iddat teen maاh yani teen haiz hai aur jis aurat ka shohar mar gaya ho us ki iddat, shohar ki wafaat se chaar maah das din hai.

1: Abi Haisham se riwayat hai ke aik martaba unhon ne Hazrat Abal Hasan Sani(a.s) se daryaft kya ke Talaq Yafta aurat ki iddat teen haiz ya teen maheene hai to shohar ki wafaat ki iddat, shohar ki wafaat se chaar maah das din kaisay ho gayi? to Aap(a.s) ne farmaya: Talaq Yafta aurat ka haiz ya teen maah ki iddat aurat ke reham ko bachay se pak karne ke liye hai aur iddat wafaat to Allah taala ne kuch sharaait aurton ki muwafiqat mein lagaei hain aur kuch aurton ki mukhalfat mein, aur jo shart un ki mukhalfat mein lagaei hai woh bhi usi shart ke barabar hai. is ki us shart ke jo muwafiqat mein lagaei hai. woh shart jo un ki muwafiqat mein lagaei hai woh yeh hai ke eela(ایلاء) (yani mard qasam khaale ke mein is aurat se hambistari nahin karoon ga) mein chaar maheene rakhay hue hain is liye ke us ko ilm hai ke aurat ziyada se ziyada chaar maah sabr kar sakti hai. chunanchay irshad parwardigaar hai ke: (pas mard ke liye yeh jaaiz nahin ke chaar maah se zayed apne eela(ایلاء) par qaaim rahay) (surah baqra, ayat, #226) (us ko kaffara day kar apni qasam ko torna parhe ga ya Talaq day kar aurat ko azaad karna parhe ga). is liye ke Allah ko ilm hai ke aurat ziyada se ziyada chaar maah tak mard se be niyaz reh sakti hai aur woh shart jo auraton ke khilaaf hai woh yeh hai ke is ke liye irshad parwardigaar hai ke: yani agar shohar mar jaye to aurat par wajib hai ke chaar mah aur das din iddat rakhay jis tarah eela(ایلاء) ke mauqay par shohar ko chaar maah ka paband banaya gaya hai. Allah taala ko ilm hai ke ziyada se ziyada chaar maah tak aurat sabr kar sakti hai is liye yeh dono is ke mukhalif o mawafiq kar diye gaye.
2: Abdullah bin Sinaan ka bayan hai ke aik martaba mein ne Hazrat Imam Jaffar Sadiq(a.s) se arz kiya ke kya wajah hai ke Iddat e Talaq teen maah aur Iddat e Wafaat chaar maah das roz ho gayi? Aap(a.s) ne farmaya: is liye ke Talaq ki soozish (nagawari ya dard waghera ki taseer) aurat ke dil mein teen maah ke andar sukoon paa jati hai aur shohar ki wafaat ki khalish aurat ke dil mein chaar mah das din se pehlay qarar nahin paati.
(Ref: Elal-us-Sharaye, pg #531,532).
[Updated on 30-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121935
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-04

Question: Assalam o alikum plz mujha ya malom karna ha ka talaq ka bad iddat 3 month 10 din ki Hoti jab ha bewa hona ka bad iddat 4 month 10 din Hoti Kyo?

Answer: Jawab de diya hai.
[Updated on 05-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-15

Question: m apny shohar s khula lena chahti hn or mere shohar talaq deny p bhi razi hain q k na woh aulad paida krna chahtay or na mujhy apny saath rkhna chahty.... lykn hum peechly 1.5 saal s saath nhi rehty q k woh UK hotay or m pakistan.. tu kya talaq k baadh ya khula k baadh iddat zaroori h q k hum tu saath rehty hi nhi thy pechlay 1.5 saal s.

Answer: Nikah ho jane ke baad agar shohar, aurat se jima karne se pehle biwi talaq dede to us ke liye koi iddat nahin yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Lekin agar nikah ho jane ke baad shohar ne aurat se jima kiya tha (chaahe jima aurat ki aaghe wali sharamghah me kiya ho ya piche wali sharamgha me kiya ho) ya shohar ki mani us aurat ki sharamgaah mein daakhil huei ho ( chai srif aik baar dukool hoa ho ) to is soorat mein zaroori hai keh wo aurat Iddat rakhe. chahe jitna arsa alag rahe hon.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475).
[Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122075
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-10

Question: Salaams If a divorced girl don't want to pay iddah so what's the kaffara for it ?

Answer: (Note: Talaq ki iddat ka matlab ye nahin ke aurat ne alag se ihtemam karna hai ke fulan fulan kaam karna wajib hain balke is ka matlab ye hai ke is dauraniye (time period) me nikah na karay Q ke talaq ki iddat ke dauraan nikah karna Haram hai, lekin baaqi tamam kaam kiye jaa sakte hain jo roz mara anjam diye jaate hain. lihaza agar aurat ne is dauraniye (time period) me nikah nahin kiya to is ka matlab ye hai us ne iddat rakhi hai. lekin agar aurat ne is dauraniye (time period) me kisi se nikah kar liya hai to is ka matlab ye hai us ne iddat nahin rakhi aur ye ghunah gar hai aur zaroori hai tauba kare, lekin kaffara nahin.
Albatta ye baat bhi waazih rahe ke iddat ke duaraan nikah karne ka aik sharaei maslah ye bhi hai ke agar koi shakhs aik aisi aurat se nikah kare jo dusre ki Iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya in me koi aik janta ho ke aurat ki Iddat kahtam nahin hui aur yeh bhi jante hon ke Iddat ke dauraan aurat se nikaah karna haram hai to agarche mard ne nikah ke baad aurat se jima na bhi kiya ho to wo aurat hamesha ke liye is par haraam ho jaaye gi. aur agar dono Iddat ke dauraan hone ya Iddat me nikaah ke haraam hone se be khabar hon to nikaah baatil hai, ab agar hambistari bhi ki hai to hamesha ke liye haraam ho jayen ge. agar hambistari na ki ho to haraam nahin hain aur Iddat khatam hone ke baad dobarah nikaah kar sakte hain).

1: Nikah ho jane ke baad agar shohar, aurat se jima karne se pehle biwi talaq dede to is surat me aurat ke liye koi iddat nahin yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Lekin agar nikah ho jane ke baad shohar ne aurat se jima kiya tha (chaahe jima aurat ki aaghe wali sharamghah me ho ya piche wali sharamghah me ho, chahe sirf aik baar dukhool hua ho) ya shohar ki mani us aurat ki sharamghaah mein daakhil huei ho to is surat me zaroori hai ke wo aurat Iddat rakhe.
2: Jis larki ki umr poore 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaesa na ho, us ka shohar us se jima kare to agar wo use talaaq de to zaroori hai ke wo (larki ya aurat) talaaq ke baad Iddat rake. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka darmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab us ka shohar use paaki ki haalat me talaaq de to wo itni muddat sabar kare ke use do baar haiz aaye aur paak ho jaaye aur junhi use teesri dafa haiz aaye to us ki Iddat khatam ho jaye gi aur woh dusra nikah kar sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2365,2475).
[Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122105
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-16

Question: Wafat k bad idat k Kiya huqam hn

Answer: Shohar ke inteqal ke baad zaroori aur wajib hai ke us ki biwi 4 mahine or 10 din wafat ki iddat rakhe yani nikah (daaimi ya muttah) nah kare, isi tarah zeenat wala libas nah pehene, surmah nah lagaye, aur isi tarah dosray aise kaam anjaam nah day jo zeenat mein shumar hote hon, lekin ghar se jana haram nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482).
[Updated on 17-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122406
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: Agr aurat k lye iddat guzarne k lye jga na ho kisi majboori se wo apne ghr bhi na reh skti ho or wo bgair iddat nikkah kr k rehna chahti ho to kya wo aesa kr skti hai?

Answer: Talaq ki iddat ke dauran jo cheez haram hai wo shadi karna. aur wafat ki iddat ke dauran jo cheezen haram hain in me se shadi karne ke sath sath, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon ye haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki ho. Lehaaza job ke liye jaa sakti hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2365,2475,2481,2482).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122407
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Agr aurat k lye iddat guzarne k lye jga na ho kisi majboori se wo apne ghr bhi na reh skti ho or wo bgair iddat nikkah kr k rehna chahti ho to kya wo aesa kr skti hai?

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122541
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-09

Question: Aoa. Mera sawal ye hy k agar larki ne daimi nikah k bad ksi jaiz wja sy khula li ho or ayam e idat guzar rhe ho lekin medical issue ki waja sy usko mahwari na hoi ho. Pregnancy bhe nh hoi ho lekin edat k ayam mn hukam k mutabiq 3 mahwari ka hona zarori hy or ksi bemari ki wja ay mahwari na hoi ho to kia wo 3 mah idat k count hon gy ya nh? Or dosra sawal idat k ayam gunah sy bachny k liay mn kia nikah e mutta kia ja skta hy?

Answer: Note: Agar talaq e khula apni tamam sharaait ke sath di gayei thi to Iddat guzarnay ke liye darj zel masaail par tawajjuh di jaye.

1: Agar kisi aurat ko kisi bemari ya dawa istemaal karne ya bachay ko doodh pilanay ya reham nikalwane ki wajah se haiz ka khoon nah aata ho, lekin woh un khawateen ki umer mein ho ke jinhein haiz aata hai, to zaroori hai ke Talaq ke baad (chand ke hisab se) 3 qamari mahinay iddat rakhay.
2: Jis aurat ki iddat 3 qamri mahinay ho, agar us ko mahinay ki ibtida mein Talaq di jaye, to zaroori hai ke 3 mahinay poray iddat guzaray (chaahe maheena 29 din ka ho) aur mahinay ki ibtida se murad mahinay ka pehla din nahin hai balkay pehli raat ka pehla lamha hai.
3: Jis aurat ki iddat 3 qamri mahinay ho, agar usay mahinay ke darmiyan Talaq di jaye, to zaroori hai ke is mahinay ke baaqi ayyaam aur do mahinay aur chouthay mahinay mein se itnay din jo pehlay mahinay ke guzar chuke thay, iddat rakhay.
Albata is surat mein ke pehla maheena 29 din ka ho, ehteyat e wajib ki bina par zaroori hai ke chouthay mahinay se is kami ko poora kya jaye taakay kul 30 din pooray ho jayen; maslan agar qamri mahinay ki 20 tareekh ke ghuroob mein Talaq di jaye aur yeh maheena 29 din ka ho, to ehteyat e wajib yeh hai ke chouthay mahinay mein se 21 din iddat rakhay, taakay pehlay mahinay ki iddat ke 30 din mukammal ho jayen.

4: Jee nahin, nikah e muttah nahin kiya jaa sakta Q ke iddat ke dauran nikah (chahe daimi ya muttah) karna Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #581,588,589,590).
[Updated on 10-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-07

Question: assalam.o.allaiqum.i :ave one question for khulla during iddatshe face alot of difficulties so islam can make an easy way to complete her iddat easily which tasks are prohibbited in khulla edday kindly gives me an answer

Answer: Talaq ki iddat me jis cheez se parhez karna zaroori hai yani jo cheez haram hai wo faqat shadi karna, Lekin is ke alawa aurat wo tamam kaam kar sakti hai jo aam dino me kiye jate hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475).
[Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123692
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-29

Question: Agr larki ko 8 years ho jayn apney husband say separate hoy aur 8 years k baad dissolution of marriage ho jay phr be us per iddat hogi

Answer: Agar nikah ke baad se talaq hone tak ke dauraan kabhi bhi miyan biwi ke darmiyan hambsitri (aaghe ki sharamghah ya peeche ki sharamghah me) huei thi to talaq ke baad iddat rakhna zaroori hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #2475).
[Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123702
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-29

Question: kia mutta k baad bhe iddat hoti hai agar hoti hai to kitny arsy ki?

Answer: Agar mutah ki muddat ke duaraan hambistri huei thi to aurat iddat rakhe gi lekin agar mutah ki muddat ke duaraan hambistri nahin huei thi to iddat nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2479).
[Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123778
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Khula lene k liye iddat kb se start hoti hai?

Answer: Talaq Khula ki iddat ka aghaz usi waqt se shuru hoga jb se khula ka sigha perhna khatam hojata hay chaie aurat ko pata chale ya na chale ke use talaq hoghe hay .pas agar iddat ke barabar din guzar jane ke baad pata chale ke use talaq hoghe hay tu zarori nahe hay ke dobara iddat rakhe
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2480)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: aoa.. kia aise talaq k lye b iday zruri hai jis m shohar ne 3 saal phly ghar se nikal dya ho magr tb talaq na di ho.. talaq 3 sal bad dy th idat k kia ahkam hn?

Answer: Agar nikah ke baad se talaq hone tak kabhi bhi miyan biwi ke darmiyan hambsitri (aaghe ki sharamgha ya peche ki sharamgha me )huei thi to talaq ke baad iddat rakhna zaroori hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #2475).
[Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125981
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Agr Aurat nikkah k bd apny shohar k sth mian biwi wla ta'aluq na rakhy tou kia aurat talaq k foren bd nikkah kar saktii ha?

Answer: Agar nikah ke baad se kabhi bhi mian biwi walay taaluqat qaaim nahin kiye (yani aik dafa bhe jima nahe kia )aur shohar ne talaq de di hai to phir us aurat ke liye koi iddat nahin hai aur wo talaq ke fauran baad kisi doosre mard se nikah kar sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475).
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print