Showing 0- 50 questions from 86 questions on this page.
Question: Sawal ye tha k: (1)agar biwi khula lena chahe aur shohar bazid ho k wo usko talaq nahi de ga tu is maslay ka hal kistarha nikal sakta hai. biwi kisi keemat par apnay shohar ke saath nahi rehna chahti aur shohar talaq nahi de raha is soorat main aurat kis tarha fiqh-e-jafria ke mutabiq khula hasil kar sakti hai. (2) Doosray ye k agar shadi ke baad agar mian biwi main koi bhi rishta na bana ho aur shohar ne use chooa bhi na ho tu agar isi asna main talaq ho jaye tu kya aura per iddat wajib ho gi. shukria.
Answer:
1)-Fiqh jaffariya k mutabiq talaq ka haq shohar ko hasil hai, or agr wo talaq na de to talaq nahi hosakti,
2)-Jee nahi is surat men iddat nahi hogi or biwi faqt adhe mehr ki haqar hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Meri Behan ko khola Chahiya Us k Lia Kia Karna ho ga? 2nd is larka khola to day nay ko tayar hai mager vo sath main bacha hi mang raha hai jab hum us say talaq ka kehtay hain to vo mana kar deta hai kindly ya bhi sath main batain k sharah main bacha maan k pass kitni modat tak reh sakhta hai ? bachay ka baap USA main rehta hai is surath main vo bacha lay kar appni behan ko dena chahta hai kia kia jay abe ?
Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai, or olad jab tk 2 saal k na hojaen unka bap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liye k bachon ki negehdasht man or bap dono k zimme hai or ahwat or aola(behtr) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki man se juda nahi kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam Alaikum,mera masla yeh hai,ke Hamri shadi ko 5 saal hue.Aulad nhi hai.mai&meri biwi kuwait me hai.meri biwi job pr lagne ke bad us ke mijaz badal gye,ab wo mujh se khula mang rhi hai.mera khna hai tu india chal.tere ghar wale ke samne Talaq doga.wo khti hai kisi ki zaroorat nhi.&mai india nhi jaongi.6 mahine se sath rehte hue bhi baat nhi krti.khna alag bister alag kri hai.bina walidein ke bina qazi ke samne wokhula chahiti hai.kya mai usko 3 talaq de kar farig kar sakta ho.WASSALAM ALAIKUM>Jawab ka muntazir ho,
Answer: Talaq apk irade or ikhtiyar per moqoof hai, lehaza agr ap chahen to apni biwi ko talaq de sakte hen, albatta is tarah 3 mrtaba talak kehne se talaq nahi hogi balke talaq ki sari sharton ko lihaz kiya jayega.1) Mard Aaqil Baligh ho, 2) Talaq ka irada rakhta ho, 3) Talaq ka seegah parha jaye, 4) Do aadil gawah k mojud hon jo talaq k seeghe sunen, 4) Talaq k wqt orat Haiz or nifaas se paak ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 473-74-75-85-98-504, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Q1 aurat khula leti hai court se wo dosri shadi kar sakti he? Q2 wo aurat muslim nahi he please answer me Q3 muslim hone k bad shadi kar sakti he?
Answer: Jab tak wo orat islam qabool nahi krti tab islami ahkamat us k liye be-faaida hen, or ksis musalman ka non-muslim orat se shadi krna bhi jaiz nahi hai, albatta agr wo islam qabool kre to phir islami ahkamat us k liye sabit honge or phir ksis musalman mard se shadi kr sakti hai. (Ref:Ayat Ullah khumeni(d.b), Tauzee hul masael # 2391,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: meri zoja aur us ka baap mujh sai khola liana cha rahai hai magar mai us ko khola daina nhy cha raha hon womujh per zoor dai rahai hai meri rehnumaie farmaeyai? aur yai bhi bataeyai kai wo kin shrait per mujh sai khola lai sakti hai?
Answer: Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day.mazeed ye keh talaq k liay zarori hay k merd apni merzi ya ikhtiyaar say day,ager os ko talaq per majboor kia gaya ho tu tu ye talaq batil hogi.(Ref: Aytullah Seestani (d.b.) tawzee hul masail maslah # 2492 & 2462).
Question: meri zoja apnai walid kai kehnai per mujh sai khola laina cha rahe hai liakin mai us ko khola daina nhy cha raha hon aur yai chata hon kai wo merai sath rahai is maslai mai meri rehnumai karai agar wo khola liana cha rahi hai to wo kin shrait kai sath mujh sai khola lai sakti hai? jab kai mai us ko khola daina nhy cha raha ho.
Answer: Agr apki biwi apki taraf mail na ho or wo apse is qadr shadeed krti ho k apko wazeefa zojiyat ada na krne ki dhamki deti ho to agr wo apko mehar ya koi or maal bakhsh de take ap use talaq e khula deden to wo is bat ka haq rakhti hai k ap se talaq ka mutaliba kre albatta talaq apki marzi per moqoof hai, or jab tak ap apne irade or ikhtiyar se talaq na den tab tak talaq nahi hosakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462-2492). Update on dated 04-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mara sawal yah hai. Mari wife ne Rokh sati se palhai hi Qula maag liya tha, kuch family problems ki waja se, abb wo mujh se phir contact kerna chahti hai aur mai bhi yahi Chahta hun. humari Qula ko Abbhi 3 months hone mai 9 Din baki hain. Please mujhy batain k abb kiya ho sakta hai?
Answer: Talaq e khula, talaq e Baain k aqsam men se hai, or talaq e baain wo talaq hai jis k bad mard apni biwi ki taraf ruju krne ka haq nahi rakhta , matlb bager nikah kiye dobarah use apni biwi nahi bna sakta , lehaza khula dene k bad shoahar apni apni biwi ki taraf ruju nahi kr sakta, albbat agr biwi talaqe khula ki iddat k doran shoahar se us ewaz (badle) ka mutaliba kre (ewaz men ruju kre) jo usne shohar ko dekr us se khuli li thi to ye talaq rijee (ruju wali) hojayegi or us k bad shohar iddat k darmiyan hi biwi se ruju kr sakta hai. lekin agr ewaz men ruju na kre to phir iddat ka wqt guzarne k bad wo dono dubara nikah kr sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam-o-alaikum .. mera sawal yeh hai k m apne shohar se khula lena chahti hoon m 1 saal se apne walid k ghar hon aur mera shohar kehta hai k woh mera kharcha afford nhi karsakta aur woh mjhe talaq b nhi deraha hai lekin mjhe uske sath nhi rehna hai mjhe khula lene k liye kya karna chaye ??
Answer: Is surat men Biwi Hakim e shara (mujtahid) se is masle ka hal k liye ruju kr sakti hai, or wo mujtahid halat ko madd e nazar rakhte hue talaq ko jari kr sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 428, Pg # 214, Eidition# 5). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal hai k khula sirf court say hi ho gi ya maslahti committee may bhi ho sakti hai or court k paper affidavit per title Khula likhey ya Talak bazarya khula likhey shukriya k saat jawab dey
Answer: Talaq sirf usi wqt hogi jab shohar khud apni riza-mandi se talaq de, albatta share`at e muqaddasa men court k nikah, talaq or papers ki koi ehmiyat nahi hia,(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Mera Nikah hoa ha Rukhsati nahi Meri wife mujh sey Khula mang rahi ha kia mujhe Talaq k baad Haq maher dena parey ga k nahi as main ne us k sath hum bistari nahi ki
Answer: Jee han ap haq mehr ka adha hissa biwi ko denge, albatta agr ap chahen to orat se talaq e khula k badle kisi chiz ka mutaliba kar sakte hen jese haq e mehr ka wo hissa maaf krwa sakte ya phir is se zaaid raqam ka mutaliba bhi kr sakte hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 309, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As salam Alikum, mera sawal hai kai, agar larki ka nikha huwa ho or larka us ko passand na ho phir bhi ghar walon kai kehne pe nikha huwa to kya woh nikha ho gaya ? or larki nikha kai baad se 2 saal ho gaye woh tallaq mang rahi hai or larkay ne phone pe tallaq day di hai magar woh kehta hai kai 2 baar main nai tallaq kaha tha or 1 baar DALLAQ kaha tha to kya tallaq ho gayi.? larki us se shadidt nafrat bhi karti hai ... mujhe please is ka jawab bata dayn
Answer: Agr larka ya larki nikah per razi na hon or unhen majboor kiya jaye to hone wala nikah sahi nahi hoga, is surat men ksi talaq ki zarurt nahi rahegi, albatta agr zahiri tor per na-pasandeedgi ka izhar kren lekin dil se razi hon, ya phir nikah k bad wo koi aysa kaam anjam den jo unki razamandi per dalalat krta ho to nikah ko sahi mana jayega, Lekin mazkoora tareeke k mutabiq di gai talaq sahi nahi hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335—39-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera nikah howa hai aur rukhsati nahi howe hai aur Hambistari b nahi howe hai .kuch ghalat fahmiyo ki waja say ab wo court k zarye khula lena chah rahi hai aur mai nahi day raha ho .ap batai k is ka kiya hall hai aur mai ye rishta nibhana chah raha ho
Answer: jab tak shohar razi ho ker talaq nahi de tab talaq durust nahi.court ki talaq k baad bhi wo aap ki bivi hen .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Meri biwi khula mang rahi hai main nahi de raha...wo meri taraf mail nai horahi hai aur humbistri nai karne ki dhamki de rahi hai...wo mujhe dhamki de rahi hai ke nikkah ke paper main coloumn no 18 main court ne aurat ko ye haq diya hai ke wo mard se khula le sakti hai aur rishta nibhane ki bina par main ne sign kardiya...wo kehti hai main court se judge se khula le longi agar aap ne mujhe khula na dia to...is ka matlab mujh pe haq mehar ka qarza rahe ga... Kia main maqrooz ho aur kia main ne apni biwi ko apne aap ki wakil bane ki ijazat de di sign kar ke aur agar nahi to kia wo khula court ki jo judge sign kare ga sahi hai wo 2 shadi kar sakti hai court ke khula lene par aur kia wo jiaz shadi ho gi...kia mera khula dene ka haq khatam hogaya sign karne se...
Answer: Ager ap us ko Shari Taalaq e Khula dene ke liye tayyar ho jaain to Taalaq e Khula ke tehat ap us se haq mehar balke is ke ilawa raqm bhi – talaaq dene per razi hone ke liye – le sakte hain, or bayaan karda sorat main talaaq ka sahi hona apki marzi per moqoof hai lehaza jab tak shohar razi ho ker talaq nahi de tab talaq durust nahi.court ki talaq k baad bhi wo aap ki bivi hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2462 to 2472 , 2492 , Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar aurat khula le adalat k zareey or mard adalat main na aye or adalt us khula de de to talaq waiqa ho jati ha.or aut dosri shadi kr sakti ha.kia mard ka apny munh se talaq dena zururi hota ha plz tell me islam es main kia kehta ha
Answer: Jee nahi ye talaq nahi hogi, jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager shohar galigloch karta ho sakhat mazaj ho uss kimojudgi se aurat ko tention hoti ho nafrat b karti ho saxualy satisfied na hoti ho bachun ke salook b bura ho to aurat khula le to gunnagar to nahin ho gi
Answer: Jee nahi mazkoora surat men orat talaq e klhula ka mutalibba kar sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mayri biwi 22 din hi maray sath rayhi par haq-e-joziyat ada na keya. ab mujh say alg hay or talakh ka mutalba karti hay or ilzam lagati hay kay main mard hi nahi, jabkay main thora bohat kamzor hon laken youn nahi kay mard he nahi. tu kiya wo is sorat main talkh ya khola ki haq dar ho sakti hay.
Answer: Agr wo ilzam jo apki biwi apki taraf mansoob kr rahi hia agr wo sach hai to biwi k liye apse talaq lena bhi zaruri nahi hai, balke wo bger talaq k nikah ko khtm kr sakti hai or foran dusri shadi bhi kr sakti hai, lekin agr wo jhoota ilzam laga rahi hai to talaq apki marzi per moqoof hai or jab taka ap talaq nahi denge wo apki biwi rahegi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2346-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khula ki suratein kiya hain aur khula ki surat mein jo kuch ladaki ko diya gaya hai uski wapasi ho sakat hai ke nahi
Answer: Agr biwi apne shohar se is qadar ziyada nafrat krti ho k use hambistry na krne ki dhamki deti ho, to is surat men wo apne shohar se talaq e khula ka mutaliba kr sakti hai, or qabool krna shohar k ikhtiyar men hai, isi tarah talaq e khula men jita maal chahe orat se talaq k ewaz mang sakta hai. agrchhe haq e mehar se ziyada hi q na ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2692-2499). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: khula ka mujhay pata hai k kiss soorat mi khola jaiz hai...ye batain ap k agar biwi ne kula lena ho tu kon husban ya un k ghar walo se baat karay ga or agar wo na dain tab kiya ho ga or zor zbardast shohar hambistri karay biwi razi na ho ye gunah hai k nahi?
Answer: Biwi k liye zaruri hai k shohar jab bhi jinsi lazzat hasil krna chahe to uski khwahish puri kre or sharaee uzar k bager shoahr ko hambistry se na roke, Albatta agr biwi apne shohar se is had tak nafrat krti ho k use wazeefa zojiyat ada na krne ki shamki deti ho to wo apne shohar se talaq e khuka le sakti hai, lekin shohar is bat ko qabool na kre to talaq e khula nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376-2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: (1)mera sawal hai. main ENGLAND mein rahti hon aur mera husband pakistan mein hain. Main un sey talaq lena chahti hon lakin wo muje talaq nahin dey rahe.ab wo PAKISTAN mein hain aur main ENGLAND to kis tarha un sey talaq ley sakti hon. (2)main ney ENGLAND sey SHIRYA CONCIL mein KHULA k liye apply kia. jis k baad SHIRIYA CONCIL ney muje KHULA ka ak CERTIFICATE diya.jab mein dusri shaadi karney lagi to MOLVI ney CERTIFICATE accept nahin kia MOLVI ney kaha is CERTIFICATE per mere HUSBAND k sign nahin hain aur is liye woh is CERTIFICATE ko accept nahin kar saktey.
Answer: Wssalam o alykum, Talaq dene ka haq aap k shohar ko hai ap apne tor per talaq na de sakti hen na le sakti hen or jab tak ap k shohar apko talaq nah den tab tak ap unki biwi hi rahengi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472 2367 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri biwi mere se khula Lena Chati h woh Kehti h me uss galian Bohat deta ho aur bar bar chorne ko Kenya h uss ka baat bi Mehta h meri beti ko talaq do an woh log court me chale gaye h khula lene me pani biwi ko chorne nhi Chahta abi rukhsti nhi hoi kya asi sorta me court uss khula de de ga
Answer: Jab tak ap razi nahi hote or talaq nahi dete tab tk court ki talaaq ke baad bhi wo apki zoja hen q k share`at e muqaddasa men court k nikah, talaq or papers ki koi ehmiyat nahi hia,lehaza agr apki biwi court ki talaq ki bina per agr dusra nikah kre to wo jaiz nahi hoga. .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: salam mera sawal h k mene apne shohar se khula li h lekn ab hum dobara nika krna chate h ase m ky krna hoga plz btaden
Answer: Agr iddat khatam ho chuki ho tu aap dobara on se nikah ker sakti hain..(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2498). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Saalam O Alaikum, Mera sawal ye hai ke keya prgnent woment khula le sakti waladat se pahel? Aap ke jawab ka muntazir hu..........
Answer: Agar shohar bivi ko halat e haiz main talaq de or baad main pata chale k bivi hamla thi tu is sorat main talaq batil hay baqi tamaam sorto main hamila aurat talaq ko talaq di jasakti hay..(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2478). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: meri biwi muj se khula lene cahti hai magar main nahe dena cahta.kya aisi surat main khula ho jae ge
Answer: Jee nahi is surat men talaq e khula nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462) . Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: AOA MERA SAWAAL HY K AGAR LARKI KHULAA LATI HY OR 2ND DAY SHADI KARTI HY TU YAH HALAAL HY IC SE KOI BORA ASAR TU NAI HO GA LARKY YA OS K BACHOO PAR YA OS K ROZGAAR PAR OR AGAR LARKI OR LARKE KI LARAI HO JAHE OR SAAL TAK KOI RABTA NA HO TU TALAAK HO JATI HY THANKX
Answer:
1 ) Jab aik aurat apnay shohar sai khula leti hai to usk liye zaroori hai k talaq wali iddat mukammal karnay k baad dosra nikah karay. Iddat sai pehlay kisi doosray mard sai nikah nahi kar sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475)
2) Jee nahi faqt rabta khtm hone se talaq nahi hoti balk jab tk shohar talaq k seeghe ada na kre tab tk talaq nahi hoti.Albatta agar shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziyada muddat k liye hambistry krna chore de to ye amal haram or gunah hai albatta is se bhi nikah khtm nahi hota.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2382-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Assalaamualaikum, mai ek shadi shuda hun mere mere bacche hai aur mai mere shohar ko har kushi deti hun phir b vo dusri shadi kiye hai aur mai aur mai uske khilaaf hogai aur abi mujhe vo pasand nhe aarahe hai aur mai mere shohar se qula lena chahti hun phir b vo mujhe qula nhe dete hai aur unke sath mai sohbath b nhe karti hun kya mai aaise unhe apni tarafse qula dekar dusri shadi kar sakti hun,plz aap batain....
Answer: Wssalam o alykum, Talaaq e khula dene ka haq ap k shohar ko hai ap apne tor per khula na de sakti hen na le sakti hen or jab tak ap k shohar apko khula na den tab tak ap unki biwi hi rahengi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2462 to 2472 2367 2492) Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: a o a sir mra swal ye hey k agr lrki ka nikah zbrdsti krvaya gya ho aur rukhsti b na hoi ho to khula kesy Liya Jay k khula raz rhy kyn k nikah b chnd logo ki mojodgi m hoa th
Answer: khula ki zarorat nahi, Q ke nikah ki shart ye hai k mard or orat nikah pr razi hon, lehaza agr larki nikah per razi nahi hai to ye nikah sahi nahi hai. .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamoalaikum mjh ye pochna tha k mene khula li ha do din phle or aj se iddat shuru krni th asar maghrib k bad lkn mere ayam (haiz) shuru hogae hen to kya is halat me iddat shuru krskti hn? agr nh to kya phr is haiz k bad mjh 3 or haiz pore krne honge?
Answer: Agar talaq k k khuch diar baad haiz aay tu ye aik shumaar ho jata hay or is haiz k baad mazeed do haiz ka or intezaar kia jaey or jaise hi teesra haiz aay gat u aap ki iddat khatam ho jaey gi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1427 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam mera sawal yeh hai k ek larka or larki ne quran pe hath rakh k ek dosre ko husband or wife mana or 3 bar qabool bi kaha or khuda or Rasool s.aw ko gawah bi man k iqrar kia to kia is soorat mai nikah ho gya hai ya nahi. plz ager ho sake to is ka jawab mujhe email kar dia jae or is ko page pe na show kia jae . salam
Answer: Jee nahi ye nikah sahi nahi hoga.(Ref : Ayat Ullah khumeni(R.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2367). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalam o alakom kya koi larki apni marzi ka motabiq talaq lasakti hain jo ka oski ki nika oski marzi sa hoi ha ya oskin pasand sa hoi ho or bad ma wo chaha talaq lasakti hain is waja say ka wo kahti ha ma na samaj ti ka mana ha kardi ti or ma nikah ka bad kisi or ko pasand karti ho or oska shoher osa talaq nahi dana chahta or oski rokhsati be nahi hoy ha ladki molk sa bahir ha or talaq lana ja be nahi sakti ager jay to osa jan ki bi khatra hain oska shoher osa jan sa marna ki damki daraha hain to wo kya kara jabe zaror day
Answer: Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day.mazeed ye keh talaq k liay zarori hay k merd apni merzi ya ikhtiyaar say day,ager os ko talaq per majboor kia gaya ho tu tu ye talaq batil hogi.(Ref: Aytullah Seestani (d.b.) tawzee hul masail maslah # 2492 & 2462). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khola hogaya hai kiya phir se miya biwi ban sakte hai
Answer: Khula k baa os aurat se nikah ker k osay apni bivi banaya jaa sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #2486). Update on dated 10-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shohar agr Khula K segay na prhay to sharai lihaz say talaq ka dusra hal btain. 1.5 sal say sohar e mutalqa ko seghay paharny ka keh rahay hain lakin wo pahrny ko tiar nai Ho raha. Plz jaldi jwab dijiaga hum be had preshan hain
Answer:
Talaq ka haq shohar k paas hota hay. Agar wo raazi nah ho tu os ko raqam day kar khula per raazi kiajaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah #2492).
[Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr koi aurat 2 maah se shohar se alag reh rahi hy phr woh ussay khula ly leti hy to kiya us aurat par iddat bnti hy?
Answer:
Agar shadi k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi. (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 24750.
[Updated on 01-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: خلع سے کیا مراد ہے؟
Answer:
us aurat ki talaq ke jo apne shohar ki taraf mail na ho aur us se nafrat karti ho apna meher ya koi aur maal use baksh de takeh woh use talaq de de. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla no 2492).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya qula ka Baad sohar apni biwi sa baat kar ka ussa maana sakta hai ka dubara sa nikah ka liya
Answer:
agar koi aurat talaq e khula ya talaq e mubaarat ki iddat ke doran apni bakshish se phir jaye to shohar uski taraf rujoo kar sakta hai aur dobarah nikah kie beghair use apni biwi bana sakta hai. agar shohhar iddat k baad osi se nikah karna chahay tu nikkah kar sata hay or nikah k liay baat karna jaiz hay. (Ref:
Tauzeeh ul Masail Ayatullah sistani d.b, maslah no #2498)
[Updated on 17-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: my husband don't respect my parents and use bad words for women he lives abroad I just got nikkah not rukhsati and now I don't want to live with him because it's been 2 yrs and I'm mentally sick because of his behaviors
Answer:
us aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf mayil na ho, aur us se nafrat karti ho apna meher ya koi aur maal use baksh de take woh use talaq de de , is qisam ki talaq ko talaq e khula kehte hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2492).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA,Mera sawal ha k khila kay bad aurat dusre merd se nikkah ker sakti gaya Nahi??
Answer:
Agar shadi ke baad mujamiat (humbistri) kare to agar khula ya talaq ho jaye to iddat guzarne ke baad aurat dobara nikah kar sakti hai, aur agar shadi ke baad mujamiat (humbistri) nahi hui ho to is surat me khula ke baad foran dosra nikah kar sakti hai. ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah#2475).
[Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assallam u alikom . janab Mayra sawal ap say ye hy k kio mard apni bewi bachu ka agar khyal na rakta hu jaysay k buss sirf kana kilata hu our apni khwahish pore krta hu na bachu ka khyal rakta hu na un k kapru ka sub kuch un uss k maa bapp krty hy larki k leyay tu is halat may kya krna cheheyay kya larki uss mard ko chor sakti hy talak lay sakti hy k nhe iss ka baray m,ay zara clear karay plx
Answer:
aurat shohar se talaq ka mutalba(sawaal ) kar sakti hai, magar talaq khula me motabar(zarori ) ye hai keh aurat apne shohar se is qadar nafrat karti ho keh use wazifa e zaujiyat ada na karne ki dhamki de. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no #2492).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir mjy ye pochna hy k biwi agr khula ki decree ly ly court se or union council se certificate na ly or dobara ruju krna chahy shohar sath to kia dobra nikah krna pre ga???? Khula ki decree b shohar ki mrzi se ni hui to kia dobra nikah krna pre ga uc ka fesla b ni lia abi tk????
Answer:
Fiqh e jaffriyah main court sai khulaa nahi li jaa sakti us mai bhi shohar ya os ka moayyan karda wakeel hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaet bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahi wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti.2492,2366).
Talaq ki chand sharait hain jinki pabandi na ki jaye to talaq waqye nahi hoti. Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz انت طالق k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72).
[Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sirf nikah hua hai rukhsati ni hui - lekin hm m aik doosry ko chornay ki bat bht bar ho chuki hai -jse m n kha k m ni rehna chahti sath to wo khta thek ha na rho m bhi ni rhna chahit- to kia is bat s khula ho jati ha?
Answer:
Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492) (Note:) aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meei bahoo ny court k through khula li hy case 30.09.2019 ko decree hoa tha usku fav.union council ko main ny khula ka 21.01.2020 ko inform kia hy ab kia union council mujhy 90 din bad khula ka certificate jari kry gi jab k usku iddat k 90 days b kb k guzer chuky hain kia larrkay ki union council sy certificate khula ka lena zaruri b hy.
Answer:
Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Ye talaq nahi hoe or wo aurat apne shohar se solah ker sakti hay. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ourat ko apna husbnd nh acha lgta wo us sw kula le skti h
Answer:
Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko kehtay hain, jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, Talaq e khula main zarore hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).
(Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq ( ya khula de) day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)
[Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-O-Alaiqum ager aurut khula lay Kar Apnay ussi shohar hay saath rehsakti hay jis say khula Lee hay?
Answer:
Note: Is web par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain, Aur Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Jab tak shohar apnin marzi se talaq na dede tab tak talaq durust nahi howa karti. aur court ki talaq k baad bhi aurat apne shohar ki bivi hogi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya khula ka case dobara ho skta hai agr pehli dfa case file kia ho magr sulah krli jy or kya baby k kharchy ka b case dobara ho skta hai agr pehli dfa wapis ly lia jy to??? Kindly reply must
Answer:
Shia mazhab main court talaq say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 2492)
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum! Mujhe apka jwab mil gya. Lekin jwab bohat dair say mila hai. Main ne khula lay li hai husband say. Wo na mujhe khrcha detay thay or na 2 sal say mere pas aye thay. Kya ap bta saktay hain k main ne thek faisla kiya hai? Kya meri dosri shadi hogi ya pehla shohar wapis a Jaye ga. Koi wazeefa ya istakhara kr k btain. Shukriya.
Answer:
Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492)
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Orat khawand ka address jantey howey court main ghalat address deti hey jis par adalat ki taraf sey notic janey k baad .adalat xparti khula deti hey jis ka khawand ko pata bi ni chalta . Tu puchna ye hey k esey khula ki islaam main or pakistan k qanoon main kya hesiyat hey . 2 esey khula k foran baad orat k nikah ki kya hesiyat hey
Answer:
Shia mazhab main court say talaq nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga aur wohi khulaa dai ga.
Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho ya os ko pasand na karti ho or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 2492,)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: may apnay khawand sy khula layna chati hu .mujy wo pasand na8 han 10 saal bad ab yeh faisla lay rahi hu .magr mayray walidain nai maan rahay wo kehtay han agr tum log gi tw hum sy taluq khatm.may us insaan k sath 2 lamhay nai guzar sakti .mujy khula chahaiy wo insaan khud b khula nai dayna chata.is surat may kya karun My zaheni tor pe bohat perayshan hu .
Answer:
Talaq e khula: Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492)
Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi karen k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh wo aap ko talaq day day. yehi iska qanoni or sharae hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e sharae puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day. (ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg #148)
[Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager aurat apne shohar ko pasand na kre or wo shaks usko satisfy b na kre toh kiya in surat mn khula le sakte hn, kiya shariyat mn hai k sohar na pasand ho or ap na rehna chahte ho?
Answer:
Talaq e khula: Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492)
(Note: Aap apne shohar ko talaq daine par razi karen k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay bakhsh dain taakeh wo aap ko talaq day day. yehi iska qanoni or sharae hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e sharae puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day. (Ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg #148)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager bivi ko shohar se nafrat ho jay to kya wo khulla le sakti hai
Answer:
1: Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai.
2: Mazhab e shia mai court sai khulaa nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahi wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo Alaikum, Janaab ek maamla fasa hua hai, mamla ye hai ki ek nikah hua aur jis din nikaah hua us date ke 4 months Pahle ki likhayi gayi. Nikah nama shauhar ke pas hai aur ladki mayke me hai. Ladki Khula lena chahti hai par ladki ke paas na to Nikah nama hai aur nahi nikah ki likhai gyi date aur jis shahar me nikah hua qazi bhi waha ka nahi tha ladke ne kahi bahar se bulaya tha. Shauhar nato nikahnama ki copy derha na date bata rha na ye ki nikah ke liye kon se qazi ko bulaya aur kaha se. To ab ladki khula kaise apply Kare? Bara e meharbani bataiye
Answer:
(Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Talaq khula: Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liye day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai.
2: Mazhab e shia mai court sai khulaa nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamialaikum, agar sohar talaq e khula k time pe us jagah pe na ho to aur dusri country me ho to kya biwi talaq e khula k liye uske maa bap ko maher de skti he?
Answer:
(Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Talaq khula: Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liye day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. 2: Mazhab e shia mai court sai khula nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai.
3. Phone py mard khula dy skta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]