Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Khula (82 Questions)


Showing 50- 82 questions from 82 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
112754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-11-26

Question: mere shoher ki mujhse pehle qulah hoi thi lekin ab wo dono dubara sath aana chahte hai kya ye jayaz hai bina mere ijazat name ke

Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diye jaate hain). Aur mazhab e shia main court sai khulaa nahin li jaa sakti us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai, aur aap apne shohar k nikah mai hi rahain gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Eddition 42, maslah #2492,2366)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Mera ak sawaal hae agr koi larki (wife) khula ka case karae oor uss mae kain jhotae ilzamat hon oor woh larka (husband) sulah kae leea court jae lakin larki (wife) thori daer kae leea elahda mae baat krnae kae leea court mae tayyar na ho, judge buss thori si bt poch kr larki (wife) kae haq mae faisla dae dee oor phr bd mae union council case send kr dae oor wahan pr larki (wife) razi nae ho, matlab larki koi baat krnae kae leea tayyar nae, larkae (husband) sae kisi ak jagan sign kara lain union council walae oor bayan aisae hae kae larki apni marzi sae khula lae rahi hae etc.... lakin larka ander sae tayyar nae hae ussae chornae kae leea oor dosri dafa jb ana ho union council larkae ki jaga koi relatve sign karae oor teasri baar bi issi tarah, asl chease yeh hae kae larka, larki ko kabi nae chorna chahta, buss ak tarah ki zabardasti samj lain, keea iss soorat mae divorce yah khula ho sakti hae? Oor ak oor chease Larki ki shadi ko kain saal hogae hon jiss mae woh st rahae hon ( i mean koi aisi baat nae hae kae shuru ki bt hae jb new shadi hoti hae).

Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diye jaate hain). Aur mazhab e shia main court sai khulaa nahin li jaa sakti us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai, isi tarah agar kisi ko talaq dene par majboor kiya jaye to bhi talaq saheeh nahin ho gi. aur wo aurat apne shohar k nikah mai hi rahay gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Eddition 42, maslah #2492,2366)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
114658
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-07

Question: Me apny shohar se khula lena chahti hun wo Razi b hain mjhe koi gunah to nahi ho ga ....kion k mere shohar gussay k bht taiz hain logo ko Sarak pe chalty bura bhala kehty ...mere family me a ker attitude show kerty ...mjhe tension rehti k ab kch na ho jaye ab kuch na ho jaye .... Un k sath reh reh k mjhe khud ko depression ho gyaa. Lalchi b hain .. Or mjhe sexually satisfied b ni kerty me shadi k baad 1 and half months sath rahi un k or hardly 6-7 martaba wo mere qareeb aye wo b bht thori dair k liye ....intercourse b hamara proper ni huya

Answer: Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.. Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na hoor as se nafrat karte ho apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day.mazeed ye keh talaq k liay zarori hay k merd apni merzi ya ikhtiyaar say day,ager os ko talaq per majboor kia gaya ho tu tu ye talaq batil hogi.(Ref: Aytullah Seestani (d.b.) tawzee hul masail maslah # 2492 & 2462).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114715
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Mera khula hua hai my dobara unse shadi karna chahti hoon mujhe wazifa batao wo mujhe phir se rakle

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Shia mazhab men court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492,2503).
(Note: Sharaei lihaz se Aap ka nikah baqi hai aur aap apne ki sharaei taur par biwi hain ).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115885
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-13

Question: Agar sohar bahir ho 2years say Tu kia iddah hogai khula k bad

Answer: Agar talaq khula apni mukammal sharait ke sath hoi ho to is ke bad iddat rakhna zaroori hoti hai chahe shohar hazir ho ya ghaaib ho ya chahe shohar ziyada arse se ghaaib ho.
Talaq e Khula: us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh wo say talaq day day. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat kerti ho k usay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-02

Question: Agar saas zul m kary or shohar bhi sath na dy to kiya khula ly sakty hai

Answer: 1: Pehli baat to ye ke saas ke zulm karne or shohar ke sath na dene ki buniyad par khula nahin le sakti hain Q ke Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna mehr ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120532
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-18

Question: Haq mher larki ko mil gya h or ab larki ne khula le lia h ab kia larki ko haq mher wapis krna pare ga

Answer: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120572
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-22

Question: Sawal... MERI shadi ko 9 mhine huye h lekin mere shohar se Mai khush nhi Hu, khula dena chahti hu me unko lekin wo raazi hi nhi h , wo kehre h ki me khula qubool nhi karta aur sign bhi nhi karunga, iss halat me Mera khula kaise hosakta hai..? Aur Bina shohar ki marzi se khula hojaye toh kitne din tak hamara nikah rehta h aur kab khatam hojata h

Answer: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
3: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai. Aap faqat darkhast kar sakti hain talaq daina ya nah daina shohar ki marzi hay. aur talaq ke bager shohar or biwi ke darmiyan judai nahin hogi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2475,2492).
[Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120670
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-06

Question: Mere biwi shadi k 19 sal bad khula lena cahti hai magr mai khula dena nahe cahta usny sadat k ak idary se khula ka letar lelya hai k kulah hogae jab k uss idary ne mujhy bulaya tha to meny mana kardeya tha khula deny se asi sorat mai kya khula hogae?

Answer: 1: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar (zarori) hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye ke shia mazhab ke mutabiq court ya kisi idare say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.( ya shohar kise dosere ko talaq ya khula dene ke lie vakeel banae yani shohar use apni taraf se talaq ya khula ke seghe jaare karne ke ijazat de).
3: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai. biwi faqat darkhast kar sakti hai, talaq daina ya nah daina shohar ki marzi hay. aur talaq ke bager shohar or biwi ke darmiyan judai nahin hogi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2475,2492).
[Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120675
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-06

Question: Salaam mere biwi shadi k 19 sal bad khula lena cahte hai mai khula nahe dena cahta or apna ghr basana cahta ho mere biwi ne sadat k ak idary mai ja kar khula ka letar leleya hai or kehti hai mere khula hogae hai jab k uss idary ne mujhy ak martaba bulaya tha to meny unko bata deya tha k mai khula nahe dena cahta.kya is tarha khula hojate hai?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120717
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-30

Question: Q1 Kia khula k baad dubara usi shohar se nikkah kiya ja sakta hai bagheir halala k?? Q2 agar shohar khula deny pe raazi na ho to kiya aurat hakim e shria usey sigha e khula jari kar sakty hein??

Answer: 1: Agar ye talaq e khula pehli talaq hai (yani teesri dafa nahin huei) to bager halale ke iddat ke baad usi mard se nikah kiya ja sakta hai Q ke Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar os ki taraf roju kar lai ya usay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad ruju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq ke baad wo aurat is mard par haram ho jaye gi. laikin agar chauthi bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hain jin ki pabandi karna zaroori hai.
2: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar (zarori) hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
Aap apne shohar ko talaq daine par razi Karen k wo aap ko talaq day chahay wo raqam wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh den taakeh wo talaq day day. yahi iska qanoni or sharaei hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e sharaei puray kar raha ho to os ko koe bhi majboor nahin kar sakta k wo apni biwi ko talaq day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, maslah #2475,2491. + (Ref: Ahkaam e azdawaaj, Farsi kitab, pg #148)
[Updated on 31-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120724
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-30

Question: Meri Zoja ne mere hi ghr me rhte hwe Hakim e shara ko khula k liye application di jis me usne apna or mera/husband both k CNICs k sth kch documents ki copies b sbmt krwai lkn Hakim e shara ne mjhy koi notice nae bhja or na hi call pr itlah di jb k CNIC me address waze tor pr likha tha lkn Hakim e shara ne us k bawajod ghalat address pr notices bhje jis ki na hi whan b ksi ko recive krwane ki receipt or na hi wo notice back un k pas aye then at last Hakim shara ne Khula ka sigha us k hi ghr walo ko gawah bna kr jari kr dya or mere susral me bhjwa dya jis ki itlah mjhy meri wife ne apne sasural jane k 2 weeks bd di sth me whats app pr khula ki jari krda Hakim e shara ka letter b half pictr snd kiya thn nxt day ja kr mne jb hakim e shara ko itlah di or ghalat adress ka btaya k apne mjhy koi na hi notices bhje or na hi mobile tk pr call kr k itlah dna munasib smjha jb k mobile numbr b ap k pas mojod tha or na hi apne meri zoja k lgaye gye elegations ki ksi se tasdeeq krwai to kia ab ye jari krda khula or mri mrzi k bgher or bin btae khula k sth sigha jari krna shi hoga? And lst mne jb us se pattern ka pocha k apne kis mujtahid k fatwe k tehad ye jari ki hy? To Hakim e shara koi munasib ans tk na de pae or unho ne ye jari krda khula b UC office bhjwa di to kindly ap ye btae k ye jari krda khula shi hy? Ya batil? Or ab aesi sorat me kis trha me is msle ko solve/challenge kr skta hn ta k UC office b Khula ki degree ko tasleem na kre?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aap ke sawal se ye laga raha hai ke aap ya aap ki biwi Hakim e shara se muraad koi aam maulana le rahe hain jabke Hakim e shara se murad wo jaame-us-sharait mujtahid hai jis ka Hukum, sharaei qawaneen ki buniyad par naafiz ho. jese ke Ayatullah Sisistani(d.b) wagera....., Aur Hakim e shara (yani Mujtahid) ya (Mutahid ka wakeel) us waqt talaq jaari kar sakta hai jab shohar biwi ke azdawaji huqooq ki adaigi se inkaar karay or talaq dainay per bhi aamada nah ho or Hakim e shara (Mujtahid) ki taraf se in dono(zdawaji huqooq ki adaigi or talaq dainay) main se kisi aik baat par paband banane ke bawajood shohar os par amal nah karay tu zauja, Hakim e shara ys us ke wakeel se talaq ka mutalbah ker sakti hay jo iska seegha e talaq jari karay. Is k alawa in halaat main bhi yahi hokum naafiz hoga.
1: Jab shohar naan o nafaqqah or osay talaq dainay se inkaar karay or is sorat ka hokum bhi yehi hoga jab bivi ka naan o nafaqa dainay ki istetaat (taqat) nah rakhta ho or talaq dainay per bhi aamada nah ho.
2: Jab shohar biwi se kinara kash ho jaye is tarah ke nah wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. Laikin jahan shohar biwi ki jinsi khahish ko mukammal taur per pora nah karta ho jis se us ke gunah ke murtakib hone ka khatra ho, is sorat main agarchah ehtiyaat e wajib yahi hay ke shohar biwi ki khahish pori karay ya os k talaq k mutaalbay ko pora karay. Laikin agar shohar aisa nah karay tu biwi ko sabr or intezaar karna chahiye.
3: Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur baghair kisi sharaei jawaz ke is par tashadud kare to biwi apna muaamla le kar Hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai taake Hakim shara (mujtahid) is ke shoar ko husne sulooq karne ka Hukum de aur agar is ka koi faida na ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalbah kar sakti hai. agar shohar talaq dene se inkar kar de or ise talaq per majboor na kiya jaa sake to Hakim e shara (mujtahid) apne ikhteyaraat istemal kar ke is ke talaq ka seegha jaari kar sakta hai.
4: Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq sahi nahin hoti. 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard nay jima (intercourse) nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e ke saath parha jaey. 4. Talaq do aadil gawahon (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamon par amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) ki maujoodgi main di jaay. 5. Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar usay apni biwi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Mard talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
5: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main zaroori hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
6: Dosri baat ye ke shia mazhab ke mutabiq court (ya UC Office) se talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.( ya shohar kisi dosre ko talaq ya khula dene ke lie wakeel banae yani shohar use apni taraf se talaq ya khula ke seeghe jaari karne ki ijazat day).
Agar bayan kiye gaye masail ko madde nazar rakhte hue talaq jaari ki gayei thi to talaq sahi hogi, Jabke jis tarah ke masail aap ne bayan kiye hain un ke mutabiq talaq durust nahin hai.
(Ref: Jadeed Fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #413,428. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2462,2475,2492).

(Note: Aap Madrasa Quran o Itrat Academy main subah 9:00 am se dopeher 12:00 pm tak Ayatullah Sistani(d.b) ke wakeel, Hujatul Islam wal muslimeen Maulana Ali Raza Mehdavi se phone par rabta kar ke apnay maslay ka hal talab kar saktay hain ya phir mulaqaat bhi kar saktay hain. Or Madrasa Quran o Itrat Academy ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hain ).
(Ref: http://qoitrat.org/about/ ).
[Updated on 31-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120725
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-30

Question: Meri Zoja ne mere hi ghr me rhte hwe Hakim e shara ko khula k liye application jis me meri zoja ne 1st elegation ye lgaya k yme usse kharcha nae dta... 2nd nasha krta hn 3rd marta pitta hn.... Di jis me usne apna or mera/husband both k CNICs k sth kch documents ki copies b sbmt krwai lkn Hakim e shara ne mjhy koi notice nae bhja or na hi call pr itlah di jb k CNIC me address waze tor pr likha tha lkn Hakim e shara ne us k bawajod ghalat address pr notices bhje jis ki na hi whan b ksi ko recive krwane ki receipt or na hi wo notice back un k pas aye then at last Hakim shara ne Khula ka sigha us k hi ghr walo ko gawah bna kr again mjhy itlah dye bgher jari kr dya or mere susral (Islamabad) me bhjwa dya jis ki itlah mjhy meri wife ne apne sasural jane k 2 weeks bd di sth me whats app pr khula ki jari krda Hakim e shara ka letter b half pictr snd kiya thn nxt day ja kr mne jb hakim e shara ko itlah di or ghalat adress ka btaya k apne mjhy koi na hi notices bhje or na hi mobile tk pr call kr k itlah dna munasib smjha jb k mobile numbr b ap k pas mojod tha or na hi apne meri zoja k lgaye gye elegations ki ksi se tasdeeq krwai to kia ab ye jari krda khula or mri mrzi k bgher or bin btae jari kiya hwa sigha shi hoga? And lst mne jb unse pattern ka pocha k apne kis mujtahid k fatwe k tehad ye jari ki hy? To Hakim e shara ne mjh se kaha k UC office se khula registered hne k bd zoja hi mjhy degi qk usi ne kaha tha k me apko iski itlah na dn and ye zimedari apki zoja ki hy k wo apko itlah de 2nd thing ye k mne application ka pocha k ye apko kis ne sbmt krwai qk meri zoja to abi just 1 week hwa hy waiden k ghr gyi hy qk mere sasural walo ne mjh se ye keh kr ijazat mangi k mere saalle ki imam zamin ki rasam hy Eid ghadeer k day jis behlaf pr mne foran ijazat de di to kia ab 1 week me ye khula ka process complete hwa hy? To Hakim sharah mjhy koi munasib answer na pae or khne lag gye k me apko btane ka paband nae hn or unho ne ye jari krda khula b mere susral ( islamabad) k UC office bhjwa di and last bs itna btaya k mri wife or gawahan ne is blank page pr ye keh kr sogn kr dye k hm dur rhte hain or aaj jaa rhe hain is liye apne jo formality pori krni hy ap kr pae thn mne sign lne k 01, 02 bd ye jari kr k piche mnth ki last date ko whan bhjwa dya tha.... to kindly ap ye btae k ye jari krda khula shi hy? Ya batil? Or ab aesi sorat me kis trha me is msle ko solve/challenge kr skta hn ta k UC office b Khula ki degree ko tasleem na kre?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 31-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-23

Question: Assalam o alaikum! Q1: khula mein or us talaq mein kia farq hota jo jska right aurat ko nikah namay mein mila hota hai? Q2: Agar lrki nikah namay k acc. Talaq lena chahe tw kia uska husband usko haq meher deny ka paband hoga? Or jo paise lrki walon ny larky k functions k joron k aewaz dye thy wo larka wapis krny k paband hoga? Q3: agar lrky ne naan o nafqe ki koi raqam bhi bv ko ni di jb tk shadi rahi koi khrcha ni uthaya. Bs saas ne kbhi kbhi kch joray bnadye r shampoo waghera lake dedya. Or na kbhi koi paise dye mia ne. Tw talaq k wqt kia lrka paband hoga k naan o nafqe ki likhi hui raqam ada kry jtny duration tk shadi rhi us ki? Q4: agar lrka rishta na nibhana chahta ho lekin lrki walon ko tang krny k liye divorce bhi na derha ho. Tw larki apna nikah namay me dye gaye divorce ka right kese use kry?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: Ma na april Ma khula ka case kia or may ki 1st ko khula ka rule change ho gya to mery case ma purna law lgy ga ya jo new aya wo?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur mazhab e shia mai court sai khulaa nahin li jaa sakti us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin, or wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2462 to 2475).
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120915
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Jo shart orat apny nikha my likhwati h jb wo khud kula ly ti h to usy wo likhi hoi rakm milti h ya nhi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Nikah ke waqt jo shart jaise rakhi gayei thi us pe usi mutabiq amal karna zaroori hai, lekin Talaq e Khula me kuch sharait hoti hain jin pe amal karna bhi zaroori hota hai, jaise ke Talaq e Khula: us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat karti ho aur apna meher ya koi or maal osay baksh day taakeh wo say talaq day day. Talaq e khula main zaroori hai ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat (maslah hambistari ) ada nah karne ki dhamki day.
2: Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti us men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin wo aurat apne shohar ke nikah men rahay gi or kisi or se nikah nahin kar sakti.
3: Isi tarah Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand aur sharaait bhi hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
(Note: Jab shohar biwi ko talaq de raha ho to us me in sharaait ka hona zaroori hain aur khas taur talaq e khula me in do sharait ka hona zaroori hai: pehli shart ye ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho keh use wazifa e zaujiyat (maslah hambistari) ada nah karne ki dhamki day, aur dosri shart ye ke aurat apna meher ya koi aur maal use baksh day taakeh shohar say talaq day. lihaaza agar in sharaait par amal na kiya jaye to talaq khula sahi nahin hogi ).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2492,2493).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121012
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-09

Question: Salam. My question is k shadi k 2 and a half baad miyan biwi se alag hojaye or usky agay k 3 mahinay unka koi rishta na ho, sohbat na ho or bt cheet bh na hue ho 3 mahinay or alag alag rehtay bhi hoon or usky baad khulaa leli jaye ya talaaq hojaye tou kia iddat wajib hai ? Zaruri hai ? Or agar hai tou kitnay arsay ki or kin kin pabandiyo k sath ? Please reply. Thankyou !!

Answer: Aam talaq ya talaq khula ki surat me agar shadi ke baad se miyan or biwi ke darmiyan hambistari nah huei ho tu phir koi iddat nahin hai. Or Agar hambistari huei ho to iddat rakhni hogi. Chahe jitna arsa aik dosre se alag rahe hon,
Iddat e Talaq ki mudat(Time period) ye hai ke aurat itni muddat tak sabar kare (yani nikah na kare) ke aurat ko do baar haiz aaye or phir pak ho jaye or jese hi teesra haiz aayega to aurat ki iddat khatam ho jaye gi phir dusra nikah agar karna chahe to kar sakti hai. (yani talaq ki iddat me nikah ke alawa tamam kaam kar sakti hai or ghar se bahir bhi ja sakti hai, sirf nikah nahin kar sakti ).
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475).
[Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121191
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-10

Question: Shadi hue ... miyaan biwi 30 din ek sath rahy ... husband wapis apni country mai chala gaya ... and phir wapis nahi aya ... shadi ko 1 saal 6 month guzar gye hain ... husband ko gaye 1 saal 5 month ho gye hain ... Larki khula lena chahti hai ... to ab khula k baad iddat poori karna zaroori hai ? ( sasural sara USA mai hai ) Larki apney mayeqay mai reh rahi hai ... or husband uska kharcha uthana b pasand nahi kartay ... bht abuse kartay hain and shout kartay hain ( call per ) ... she is mentally disturbed .... Husband kharcha nahi uthata shaudi or laalchi k taney deta hai halan k kabhi kisi cheex k lie zid nahi ki na he kharcha maanga ! Sir one of my friend is facing this issue ... I am worried about her ... so I decided to ask you Pichley 1.5 saal se dono miley b nahi hain ... just call per baat hoti

Answer: Talaq e Khula me kuch sharait hoti hain jin pe amal karna zaroori hota hai agr in par amal na kiya jaye to talaq sahi nahin hoti, jaise ke Talaq e Khula:
1: us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat karti ho aur apna meher ya koi or maal osay baksh day taakeh wo say talaq day day.
2: Talaq e khula main zaroori hai ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat {maslah hambistari} ada nah karne ki dhamki day. 3: Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti, khulaa men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin wo aurat apne shohar ke nikah men rahay gi or kisi or se nikah nahin kar sakti.
4: Isi tarah Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand aur sharaait bhi hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti.
1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho.
2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi.
3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey.
4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
5: Aam talaq ya talaq khulaa ki surat me agar shadi ke baad se miyan or biwi ke darmiyan kabhi bhi hambistari nah huei ho tu phir koi iddat nahin hai. Or Agar hambistari huei ho to iddat rakhni hogi. Chahe jitna arsa aik dosre se alag rahe hon, Iddat e Talaq ki mudat(Time period) ye hai ke aurat itni muddat tak sabar kare (yani nikah na kare) ke aurat ko do baar haiz aaye or phir pak ho jaye or jese hi teesra haiz aayega to aurat ki iddat khatam ho jaye gi phir dusra nikah agar karna chahe to kar sakti hai. (yani talaq ki iddat me nikah ke alawa tamam kaam kar sakti hai or ghar se bahir bhi ja sakti hai, sirf nikah nahin kar sakti).
(Note: Jab shohar, biwi ko talaq de raha ho to us me in sharaait ka hona zaroori hain aur khass taur talaq e khula me in do sharaait ka hona zaroori hai: pehli shart ye ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho keh use wazifa e zaujiyat {maslah hambistari} ada nah karne ki dhamki day, aur dosri shart ye ke aurat apna meher ya koi aur maal use baksh day taakeh shohar say talaq day. lihaaza agar in sharaait par amal na kiya jaye to talaq khula sahi nahin hogi).
6: Agar shohar biwi ke izdawaji huqooq ki adaaigi se inkaar kare aur Talaq dainay par bhi amaada nah ho aur haakim shara ki taraf se un dono mein se kisi aik baat par tayyar nah honto zauja Talaq ka mutalba kar sakti hai aur haakim shara is ka Sigha e Talaq jari kar sakta hai. is ke ilawa darj zail halaat mein bhi haakim shara is ka Sigha e Talaq jari kar sakta hai.
1. Jab shohar biwi ka nan o nafaqa dainay se inkaar kare aur usay Talaq dainay se bhi inkaar kere aur is soorat ka hukum bhi yahi hoga Jab biwi ka nan o nafaqa dainay ki istetaat nah rakhta ho aur Talaq dainay par amaada nah ho
2. Jab shohar biwi ko aziyat day, is par zulm kare aur is se acha sulooq nah kare. chunancha (quran mein) khuda ne yahi hukum diya hai.
3. Jab shohar biwi se mukammal tor par kinara kash ho jaye is tarah ke nah woh shohar daar rahay nah mukammal azaad. lekin jahan shohar biwi ki jinsi khwahish ko mukammal tor par poora nah karta ho jis se is ke gunah ka murtakib honay ka khatra ho, is soorat mein agarchay ahthyat wajib yahi hai ke shohar biwi ki khwahish poori kare ya is ke Talaq ke mutalbe ko poora kere. lekin agar shohar aisa nah kare to biwi ko sabar aur intzaar karna chahiye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475,2492,2493. + Jadeed fiqhi masail, maslah #428, Pg #214, Edition #5).
[Updated on 10-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121276
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-23

Question: Assalamu alaikum wrwb Mera sawal hai kya koi aourat khula lene ke baad iddat Puri karke kya apne usi shohar se nikah karsakti hy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Agar ye talaq e khula pehli talaq hai (yani teesri dafa nahin huei) to bager halale ke iddat ke baad usi pehle shohar se nikah kiya ja sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, maslah #2475,2491).
[Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121682
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-15

Question: السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ پوچھنا یہ ہے کہ میری اور میرے شوہر کی 3 سال قبل علیحدگی ہو گئی تھی. کسی قسم کا رابطہ نہیں بس کورٹ میں ہی سامنا ہوتا رہا، اب خلع ہو گئی تو عدت وہی 4 ماہ دس دن ہو گی اس کے علاوہ بچوں کی ذمہ داری مجھ پر ہے باپ نے میرا یا بچوں کا خرچ اٹھانے سے انکار کر دیا ہے تو کیا عدت کے دوران نوکری جاری رکھ سکتی ہوں، پردے میں ہی سہی؟. جلد جواب دیجئے گا.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq Talaq e Khula me kuch sharait hoti hain jin pe amal karna zaroori hota hai agar in par amal na kiya jaye to talaq sahi shumaar nahin hoti. Aur jab tak Talaq sahi nahin hogi biwi ka naan o nafaqa (yani kharcha) shohar par hi wajib rahe ga balke agar saari sharaait ki maujodgi me agar talaq e rijei de di jaye tab bhi talaq e rijei ki iddat ke dauraan shohar par wajib hai biwi ke akhraajaat ada kare.
Aur aulaad ka naan o nafaqa (yani kharcha) to har surat me baap par hi wajib hai.
2: Talaq e Khula: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat karti ho aur apna meher ya koi or maal use baksh day taakeh wo say talaq day day.
3: Talaq e khula main zaroori hai ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k use wazifa e zaujiyat {maslah hambistari} ada nah karne ki dhamki day.
4: Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti, khulaa men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin, lihaza aap apne shohar ke nikah men rahen gi aur kisi aur se nikah bhi nahin kar saktien.
5: Talaq ki mazeed sharaait:
1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho.
2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi.
3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye.
4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye.
5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai.
6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2462 to 2472,2487,2492,2493).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121821
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-09

Question: Question: Salamwalekum This Question is in behalf of my friend . She has taken Divorce in Court as per Muslim Marriage Act My Question is As she has already completed the procedure from Indian court So after that Khula Procedure is mandatory or not ? If yes What is the complete procedure

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq Talaq e Khula me kuch sharait hoti hain jin pe amal karna zaroori hota hai agar in par amal na kiya jaye to talaq sahi shumaar nahin hoti. aur jab tak shohar apne irade aur ikhtiyar se apni biwi ko talaq nahin dega tab tak talaq waaqe nahin hogi,
2: Talaq e Khula: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat karti ho aur apna meher ya koi or maal use baksh day taakeh wo say talaq day day.
3: Talaq e khula main zaroori hai ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k use wazifa e zaujiyat {maslah hambistari} ada nah karne ki dhamki day.
4: Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti, khulaa men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaait bhi hain aur court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin, lihaza wo dono nikah men rahen ge.
5: Talaq ki mazeed sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho.
2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi.
3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye.
4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye.
5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai.
6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2462 to 2472,2487,2492,2493)
[Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121822
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-09

Question: Second Question is What is the duration and procedure of iddat for her.?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti, khulaa men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaait bhi hain aur court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin, lihaza wo dono nikah men rahen ge aur koi iddat nahin hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2487,2492,2493)
[Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-15

Question: Kya khula iki iddat me aurat mard se mobile per chat kar sakti hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Talaq e khula, Talaq e baaen (طلاق بائن) ki aqsaam me se hai aur Talaq e baaen ke baad mard aur aurat aapas me na-mehram ho jate hain, to ab Talaq e khula ki iddat ya kisi bhi iddat ke dauran aik aurat kisi na-mehram mard se mobile par ya barahe raast batain kar sakti hai.
Albatta na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Isi tarah na-mehram ki awaz sunna bhi jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na-mehram mardon ko sunaye magar ye keh Haram me mubtila hone ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimmedaari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye ke jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.
Aur agar gunah me mubtila ka khauf ho agarche ahista ahista hi Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121963
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-11

Question: SALAM SIR MERA QUESTION YA HAI KA MERA HUSBAND MUJHA BOHAT TANG KARTAY HAIN MAARTAY HAIN BURA BEHAVIOUR RAKHTAY HAIN AUR SATH SATH DUSRI ALDIES MAI BHI INTRESTED HAIN. LAST YEAR SA MAI APNI WALDA KA GHAR HU MUJHA UNSA RUJU NAHI KARNA MERA AIK BETA HAI JO 4 SAAL K HAI MAINA USKI LEGAL CUSTODY LI HUIE HAI, MERA HUSBND MUJHA DIVORCE/KHULA NAHI DA RAHE AUR AB BAAT YA HAI KA MERI IZZAT PA BAAT AAGYE HAI HUMARI PERSONAL PICUTURES FACEBOOOK PA UPLODE KAR RAHE HAIN MAIN INSA TANG AA GAYE HU AUR ALAG HONA CHAHTI HU.ISS HAWALY SA MERI REHNUMAI FARMAYE NA HE WOH KISI KI BAAT SUN RAHE HAIN NA HE CHORNA KA LIYA TAYAR HAIN. HAKIM E SHARAH KON HAI KARACHI PAKISTAN MAI PLEASE ISS KA BARAY MAI BATAYE JO INSAY MERI KHULA KA LIYA SEGAH PHAR DAIN THANKS

Answer: 1: Aap ke sawal se ye laga raha hai ke aap ,Hakim e shara se muraad koi aam maulana le rahe hain jabke Hakim e shara se murad wo jaame-us-sharait mujtahid hai jis ka Hukum, sharaei qawaneen ki buniyad par naafiz ho. jese ke Ayatullah Sisistani(d.b) wagera....., Aur Hakim e shara (yani Mujtahid) ya (Mutahid ka wakeel) us waqt talaq jaari kar sakta hai jab shohar biwi ke azdawaji huqooq ki adaigi se inkaar karay or talaq dainay per bhi aamada nah ho or Hakim e shara (Mujtahid) ki taraf se in dono(zdawaji huqooq ki adaigi or talaq dainay) main se kisi aik baat par paband banane ke bawajood shohar os par amal nah karay tu zauja, Hakim e shara ys us ke wakeel se talaq ka mutalbah ker sakti hay jo iska seegha e talaq jari karay. Is k alawa in halaat main bhi yahi hukum naafiz hoga.
1. Jab shohar naan o nafaqqah or osay talaq dainay se inkaar karay or is sorat ka hokum bhi yehi hoga jab bivi ka naan o nafaqa dainay ki istetaat (taqat) nah rakhta ho or talaq dainay per bhi aamada nah ho.
2. Jab shohar biwi se kinara kash ho jaye is tarah ke nah wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. Laikin jahan shohar biwi ki jinsi khahish ko mukammal taur per pora nah karta ho jis se us ke gunah ke murtakib hone ka khatra ho, is sorat main agarchah ehtiyaat e wajib yahi hay ke shohar biwi ki khahish pori karay ya os k talaq k mutaalbay ko pora karay. Laikin agar shohar aisa nah karay tu biwi ko sabr or intezaar karna chahiye.
3. Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur baghair kisi sharaei jawaz ke is par tashadud kare to biwi apna muaamla le kar Hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai taake Hakim shara (mujtahid) is ke shoar ko husne sulooq karne ka Hukum de aur agar is ka koi faida na ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalbah kar sakti hai. agar shohar talaq dene se inkar kar de or ise talaq per majboor na kiya jaa sake to Hakim e shara (mujtahid) apne ikhteyaraat istemal kar ke is ke talaq ka seegha jaari kar sakta hai.

2: Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to talaq sahi nahin hoti.

3: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main zaroori hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.

4: Dosri baat ye ke shia mazhab ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (ya shohar kisi dosre ko talaq ya khula dene ke lie wakeel banaye yani shohar use apni taraf se talaq ya khula ke seeghe jaari karne ki ijazat day).
Agar bayan kiye gaye masail ko madde nazar rakhte hue talaq jaari ki jaye to talaq sahi shumar hogi, warna nahin.
(Ref: Jadeed Fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #413,428. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2422,2462,2475,2492).

(Note: Aap Madrasa Quran o Itrat Academy main subah 9:00 am se do peher 12:00 pm tak Ayatullah Sistani(d.b) ke wakeel, Hujatul Islam wal muslimeen Maulana Ali Raza Mehdavi se phone par rabta kar ke apnay maslay ka hal talab kar sakti hain ya phir mulaqaat bhi kar sakti hain. aur Madrasa Quran o Itrat Academy ke contact numbers 021-32226948, 021-32237207).
[Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122062
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-01

Question: Kia agar Larkin ne khula Liya hai tu lackey has Mehr dena wajib hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to talaq sahi nahin hoti.
1: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main zaroori hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye ke shia mazhab ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (ya shohar kisi dosre ko talaq ya khula dene ke lie wakeel banaye yani shohar use apni taraf se talaq ya khula ke seeghe jaari karne ki ijazat day). Agar bayan kiye gaye masail ko madde nazar rakhte hue talaq jaari ki jaye to talaq sahi shumar hogi, warna nahin.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Assalamualaikum.. Sawal ye tha k me apny shohar sy khula lena chahti.. mera nikkah koi 3 saal pehly hoa tha bhhht sari wajoohaat aisi hn jiski binaa pr ab me mazeed un k sath ni rehna chahti Meri rukhsti b abi ni hoi.. or shohar khula deny ko tyar nii or sb sy bri bat meri family ko b is bat ka ni pta k mera Nikah hoa he.. mje itna bta dn mje is situation me kya krna chaiye?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Aap ki family me agar aap ke walid ya dada dono ya in me se koi maujood hai aur aap ka nikah aap ke walid ya dada ki ijazat ke bager hua hai to ye nikah sahi nahin hai.
Isi tarah agar nikah ke waqt deegar sharaait me se koi aik shart bhi maujood nahin thi tab bhi ye nikah hai sahi nahin hua.
Lekin agar nikah aap ke walid ya dada ki ijazat aur deegar sharaait ke sath hua tha to nikah sahi hai aur aap apne shohar se khula ka keh to sakti hai lekin unhen majboor nahin kar saktein ke aap ko talaq khula day Q ke islaam me Talaq dene haq shohar ke pass hai aur islaam me koi bhi shakhs (chahe biwi ho ya koi aur) shohar ko majboor nahin kar sakta ke wo apni biwi ko talaq day, lihaaza jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se aur deegar sharaait ke sath apni biwi ko talaq na day, tab tak talaq nahin sahi hogi. aur jab talaq sahi nah ho dono shohar aur biwi hi rahen gay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2335,2341,2462 to 2472).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122390
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-16

Question: Agr aurat khula lena ka bad iddat krna chahy to uska kiya tarika hoga?

Answer: Talaq khula ho jane ke bad jo iddat rakhi jati hai is iddat ka matlab ye hai ke is dauraniye (time period) me aurat nikah na kare Q ke iddat ke dauraan nikah karna Haram hai, lekin baaqi tamam kaam kiye jaa sakte hain jo roz mara ki zindagi me anjam diye jaate hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2365,2475).
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123402
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Sir mere shadi ko 11 saal ho gai Hain 5 saal Mera nikah raha aur pir ruksti Hoi mere suher 3 month mere sath rahy pir Italy chale gai ab 6 saal ho gain wapis Nahi aiye ab main un se khula le Rahi inn 6 saal main main ne un ke ghar walon ke buth kidmat ke Hai wo na hud aity Hain aur na mujay bolty Hain ab main ne fasla kya Hai un se kulha lene ka kun ke Main ne buth koish ke Hai ke wo wapis ai jain ab mere age 31l ho gai Hai Mera misscarage be Hoi Tha aur un ke ghar wale mujay maid ke Tarah rakty Hain

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Is soorat main khula nahin hoti, Q ke talaq dene ka haq sirf mard ke paas hai, aurat ke pas nahin hota, Haan aurat shohar se talaq ka mutalba kar sakti aur shohar ko haq hai ke wo talaq day ya nah day, aur talaq dene ki soorat main talaq ke seegahy shohar ya shohar ne jis ko seegahy jaari karne ka kaha hoga wo jaari karay ga.

Note: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2492,2493).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123416
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-17

Question: Khulla k baad kia pray wo zywarat sony k sony pass rakha sakti hy Jo yay magni ur shadi my dye gy thy shohar ki taraf sy jab k mra aik betta hy us ka khurcha 7 saal sy mery aabo hi kr rhy hy pleas met is sawal kjawab Dy kia mjhy hak hy in zywarat ko rakhy ka shariat ky muttabik

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya me Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat karti ho. aur apna meher ya koi aur maal use bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main zaroori hai ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho ke use wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
Isi tarah fiqh e jafferiya me biwi ko talaq e khula ya aam talaq ya kisi bhi qisim ka talaq ka haq haasil nahin hota. Talaq faqat shohar ka haq hai aur jab bhi talaq ka muamala paish aaye ga to hamesha shohar hi talaq jaari karega.

2: Mangni aur shadi ke waqt aurat ko jo zewraat diye gay thay, Agar wo tuhfe (gifts) ke taur par thay ya meher ke taur pe thay ya aurat ki milkiyat me qaraar diye gaye thay to aurat us ki maalik ho jaati hai aur aurat ke liye zaroori nahin ke wo zewraat waapis karay.

3: Aurat ko tuhfe (gifts) dene wale agar aurat ke khooni rishtedaar hain ya tuhfa (gift) khatam ho chuka ho ya us tuhfe (gifts) me koi aisa tasarruf (changing) kar diya ho ke pehle wala tuhfa (gifts) hone ki zaat us par sidq na aaye to in tamaam surton me tuhfe (gifts) dene walo ne jis ko tuhfe (gifts) diya hai, us se wo tuhfe (gifts) waaps nahin lay sakte, Albatta agar tuhfa (gifts) dene wala, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us ka khooni rishte daar na ho aur asal tuhfa (gifts) moujood ho to tuhfa (gifts) dene wala, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us se tuhfa (gifts) waapis lay sakta hai aur jise tuhfa (gift) diya gaya hai wo mana bhi nahin kar sakta. lekin agar tuhfe (gifts) ke taur par ya aurat ki milkiyat me qaraar nahin diye gaye thay (balke aise hi waqti taur par aurat ko istemaal ke liye diya tha) to shohar waapis lay sakta hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, pg #363,364, and Part #3, pg #77. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492).
[Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Mere shohar se mene khula Lia tha ab 2 sal bad wo dubara ruju krna Chahta hai Kya ye mumkin hai?

Answer: Talaq e khula, talaq e Baain k aqsam men se hai, or talaq e baain wo talaq hai jis k bad mard apni biwi ki taraf ruju krne ka haq nahi rakhta , matlb bager nikah kiye dobarah use apni biwi nahi bna sakta , lehaza khula dene k bad shoahar apni apni biwi ki taraf ruju nahi kr sakta, albbat agr biwi talaqe khula ki iddat k doran shoahar se us ewaz (badle) ka mutaliba kre (ewaz men ruju kre) jo usne shohar ko dekr us se khuli li thi to ye talaq rijee (ruju wali) hojayegi or us k bad shohar iddat k darmiyan hi biwi se ruju kr sakta hai. lekin agr ewaz men ruju na kre to phir iddat ka wqt guzarne k bad wo dono dubara nikah kr sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael Mafhoom e Maslah # 2486).
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125802
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-26

Question: Agr mard ny dosri shadi krli hai to is baat sy naraz ho kr ya mard ki dosri shadi ko na-pasand krty huwy orat mard sy khula ly skti hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Is soorat main khula nahin hoti, Q ke talaq dene ka haq sirf mard ke paas hai, aurat ke pas nahin hota, Haan aurat shohar se talaq ka mutalba kar sakti aur shohar ko haq hai ke wo talaq day ya nah day, aur talaq dene ki soorat main talaq ke seegahy shohar ya shohar ne jis ko seegahy jaari karne ka kaha hoga wo jaari karay ga.

Note: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2492,2493).
[Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125884
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-17

Question: میں نے خلا کورٹ سے لی تھی پھر میری شادی ہو گئ اور اےک بیٹا ہے اب یب بات ہو رہی ہے کہ سیغے نہیں پڑے مجھے پلیز حل بتائیں

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti.

Note: Aap abhi tak apne pehlay shohar ke hi nikah me hain aur aap ke liye zaroori hai doosre mard se alehda ho jayen aur wati bashuba ki iddat rakhen.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print