Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: General (502 Questions)


Showing 200- 250 questions from 502 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3933
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salaam, kia kalay colore ke kapray pehnna jaez hay, is baray main kia hukm hay?

Answer: Kalay color ke kaprhay pehenna karahiyat k saath jaiz hay(yani mahroh hay.(Ayat Ullah Khamnaie(d.b), taleemul ehkaam,pg#125).

Print

Id:
3989
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: humara hous ka bahir kesc ki tar jate ha kia hum us sa bijli la sakta han jub ka kesc walo na mana kia ha or hum us sa pani bhi bharta han.

Answer: Bijli(electric) k meter ko chalnay say rookna or onhain chairhna jaiz nahi hay.or kisi bhi jagah bijli ka ghair kanoni istemaal jaiz nahi hay or aisa kaam kernay wala zaamin hay laikin is chori ki bijli say haasil honay walay paani say wuzu or ghusul durust hain or namazain bhi sahi rahain gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Jaded fiqhi masail, maslah #229,Mujtahid say pochay gay sawalaat,
part#3,maslah#186 ).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
4279
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: je aik general sawal hai. kya yew website shia biradaree ka hai ya suni biradare ka shukriya

Answer: Is web site per faqat fiqha e jaffaria k mutabiq hi jawabat diey jatay hein.

Print

Id:
4309
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aslam o alikum.mojay yah ask karna hai k mard hazrat neechy k hair kitny din bad remove kar saktay hain or remove na karnay pay kiya hota hai explain it this problame please

Answer: 1)Rawayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Rawayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2)
3) Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4402
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA.is it we clean our body(uder arma & uder naff part) in Fasting.plz send me answer by Email Allaha hafiz

Answer: 1)Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay. (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198)
2)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.3)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4421
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: MERHOOM KA KIA MATLB HOTA HEI

Answer: Merhoom k 2 matlab hain: 1) Rehmat kia gaya, bakhsha gaya, maghfoor, jannati. 2) Mara hoa,faut shoda, mutawaffi.(Ref: ferozul lughaat jaame, pg#1226) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4438
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam Mufti Sahib, May kisi UN organization ke sath kam karta tha our us organization ka aik project tha jiska fund government ko dena tha our project ko um ne monitor karnata. Lehaza jab meinm project mian shamil uwa tho project ka ada esa gozar chukka tha. Lehaza main be majboran government ke responsible ke sath fund ka kuch hesa ka gia. Lehaza ab mere liey kia ukm hain? kia mein jitan paisa kaya usey kisi gharib ko dedon ya us organization ko dedo jesy me ne chora hain?

Answer: Aap zamin hain or aap ki zimmay dari hay keh is silsilay main hakim e shara(mujtahid) se ruju karain.(Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, part#1,pg#64,sawaal#119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4457
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: KYA AULIA ALLAH SE MADAD MAANGNA SHIRK HAI?AGAR NAHIN HAI TOU HAME USKA SABOOT QURAAN SHAREEF KI ROUSHNI MEIN SE AAYAAT KE ZARIYE DIJIYE

Answer: Agar dua ko nabi (s.a.w.) aur ehlay bait (a.s.) k sath milaya jay to dua qabool honay k nazdeek ho jati he. (ref : web site ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346 )
2) Quran sorah e maa,ida sorah#5 ki ayat#35 bhi wasilay k ikhtiyaar kernay ka hokum daiti hay: “ emaan waloon Allah se daro or os tak pohanchnay ka wasila talaash karo or o ski raah main jihad karao keh shayad is terah kamiyaab ho jao.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#258-9)
Or Quran sorah e nisaa sorah#4 ki ayat#64 bhi wasilay k ikhtiyaar kernay ka hokum daiti hay: “………or kaash jab in logo nay apnay nafs per zulm kia tha tu aap k paas aatay or khud bhi apnay gunaho k liay istighfaar kertay or rasool(s.a.w.w)bhi on k huq main istighfaar kertay tu ye khuda ko berha hi tauba qabool kerne wala or meherbaan paatay.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#258-9) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4622
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: masla no 1260 se taqriban 70 k m city jatahun usi din ya rat me wapas ajatahun wanha mai puriv4 rekat nemaz parta hun sahi hai

Answer: Sab say pehlay tu hum aap per ye baat wazeh ker dain k Ayat Ullah Seestani(d.b), ki Tauzee hul masail, ka maslah#1260 ka aap k sawaal say koe tal’luq nahi.maslah # 1260 k mutabiq agar safar per janay or wapas anay ka faaslah sab mila ker 44 km ho or jis din gaye hoon osi din ya raat ko wapas palat ker nah aa’en tab bhi safar main qasar perhni hay.
Agar aap ka safar 8 sharait k mutabiq tha tu aap ko is safar main 4 rakati namaz ko 2 rakat hi perhna hoga.agar aap ko maloom tha k qasar namaz perhni zarori hay or aap nay ghalti say pori perhli thi tu ehtiyaat ki bina per qaza perhna zarori hay. Or agar aap ko ye maloom hi nahi tah k aap ko namaz e qasar pehna zarori hay or aap nay pori 4 rakat namaz perhi tu ye namaz sahi mani jay gi. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1260,1344-5).

Print

Id:
4679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: mari do fajar ki namaz qaza ho gi han ma un ko kasa aada kro.please tell me soon

Answer: Jis shakhs ki namaz qaza ho jaay to zurari hay k is ki qaza perhne me khothai na karay albat’tah is ka foran perhna wajib nahi hay. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha Khoei d.b masla no 1381) (Aap donoo fajar ki namaz qaza ki niyat se perhain aur toba bhi karein ke dubara namaz qaza nahei karoon ga).

Print

Id:
4766
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: ji hum ye poochna chahte hain ki roz jo paise satqe ke liye nikale jate ahin un paise ko agar zaroorat pade to kya rs rakh k badal sakte hain kuch haraj to nahi hoga

Answer: Sadqa alag rakhne se sadqa nahi banta. (ref : website ayat ullaha sistani http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=228&sid=0&eid=0&page=2 , ques # 12 , sadqa)

Print

Id:
4779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam Aalikum Misken aur garib log jo Masjid me bikh mangtay hay kia un ko Masjid may unki madad ki ja sakti hay qunkay Fiqh Hanifi kay mutabiq Masjid may kisi ki madad karna mana hay.

Answer: Jee nahi haram nahi hay.balkeh maangnay walay(saa’il) ko mana kerna makhroh hay chahay gumaan(zan) ho k ye ghareeb nahi hay balkeh os ko dain chahay cheez ki miqdar kam hi kun nah ho. Masjid main awaaz ko buland kerna makhroh hay laikin azaan k liay awaaz ko buland kerna mana nahi hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#901) & Minhajus Saliheen Part#2, masla#1610).

Print

Id:
4853
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam o Alikom Sir mujy namaz e jumah k 2 farz ki niyyat btta dain Allah Hafiz

Answer: Ans : zurari he ke insan namaz qurbat ki niyat se yani khuda ki bargah me pesti aur khezu ke izhar ke lia perhe aur ye zurari nahin ke niyat ko apnay dil se guzaray ya maslan: zaban se kahein….. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 930)

Print

Id:
4865
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya lerkyon ki bhi khatna hoty hay or agar hoty hay to kis umer mei hoty hay

Answer: 1)Circumcision(khatna) faqat mardon ki wajib he. ( rec : Email rec from ayatollah sistani d.b. on 26 nov 2010)
2)Aurat k lie khatna karma mustahib he agar chah wo balig ho jay aur bather ye he k aurat ki khatna 7 sal honay k bad ho. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 1382)

Print

Id:
4889
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam alekum umid ke mohammad w ale mohammad ke zere saya khair o afiyat se honge. masaele qaser ke tamam gosho ke na janne ke sabab doteen sal qabal mahe ramzan me halate roza me namaz e jumma adakarne ke liye masjid jata tha,ab mujhe malum hua ke wanha jane per namaz qaser w zohar ke pahle roza batil hojata hai. 1-un guzre hua roza w nemaz ke motaliq keya hukm hai.unka qaza ada karna hai? agar do sal ke mahe ramzan me shak ho to kaise ada karen gen. umid hai ke jawab arsal karneki zahmat karenge.iltamase dua

Answer: 1)Jo musafir ye na jaanta ho k usay namaz qasar kar k perhni zarori he agar wo pori namaz parhay to is ki namaz sahi hay.
2)Koe shakhs jisay ye ilm na ho k musafir ka roza rakhna baatil hay agar safar main roza rakh lay aur agar maghrib tak hukum maloom na ho to us ka roza saahi hay. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1345 , 1690)

Print

Id:
5001
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalmoalaikum, janab mai apko ek zehmat de raha hoon,pls hamare sawal ka jawab jaldi dene ki koshish kayega... kya apke masail par sunni firke ke log amal kar sakte hai

Answer: Jee haan, aap shia fiqh per amal kar sakhtay hein. (ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b., 01-28- 2011)

Print

Id:
5021
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: کیا فلم میں کام کرنا حرام ہے؟

Answer: har sorat main haram nahi.

Print

Id:
5023
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: hi

Answer: hi ok

Print

Id:
5043
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: hmry fiqah m aik gai m ktny hissay ho sakty hai???..Hadess ky sth jawab dy ga..

Answer: Baqar eid ki Mustahab qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha ª1431¡ hashiyah#27, sawal#4).

Print

Id:
5051
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: details of how much nan nafqa after marriage on husband

Answer: Aurat ki ghiza (fooding), libaas , rehaa’ish (housing), aur zandagi ki baqi zaroriyaat ka intezaam sohar per wajib he. Agar wo ye cheezain mohaiya na karay to chahay un k mohayia karnay ki qudrat rakhta ho ya na rakhta ho wo biwi ka maqrooz he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2376).

Print

Id:
5061
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: ziyarat IMAM HUSAIN A.S apne marhoomin ko bakhsh sakte hain

Answer: Esaal e sawaab darhaqi’qat khuda ki baargaah me is baat ki aarzoo karna he k jo sawaab k tayhait wo(allah) ata kar reha he osay us k badle kisi aur ko ata kar de. Is etibaar se ye bhi aam duaoon ki tarah aik dua he jo k jaiz he. Is ke lie kisi khaas naiki ki zarorat nahi he,balkeh pichlay amaal k hawalay say bh esaal e sawaab kia jasakta hay,(maslan ziaraat e Imam Hussain a.s.) ( mujtahid se pochey gay sawalat , part # 1 , ques # 199 , pg # 94).

Print

Id:
5099
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam,kia razor se unwanted balon ko saaf karney mein koi ishkal hai??

Answer: Jee haan.auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay loha(Iron) istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is smoking allowed according to ayatullah Sistani???

Answer: 1)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi barhay nuqsaan ka khatra na ho, agarchah kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi.
2) Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (ref : jadid faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219)

Print

Id:
5168
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: is it permissible to send money to pakistan for qurbani rather then doing it here in australia?

Answer: There is no problem in that. (Ref : e-mail rec from ayatollah sistani d.b. Mon, January 24, 2011 4:13:47 PM)

Print

Id:
5373
Mujtahid:
Date:

Question: I have 1 male friend he wants to marry with me according to him he is 1st sunni and then he believes on Bohra shia and i m sunii i m confused like as per islam can i marry with him or i cannot because i dont want to go gaianst islam. please reply me.

Answer: Ye shia web site he aur is per faqat fiqh e jaffary hi k jawabat die jatein hein

Print

Id:
5383
Mujtahid:
imam abuhanifa (sunni) Date:

Question: facz aur wajib main kia farq hy.

Answer: Note: is website per fiqh e jafariya k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479).

Print

Id:
5587
Mujtahid:
Date:

Question: How old mohd saw....

Answer: 63 years (ref : naqooshe ismat pg # 17) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5589
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aurat ko bhi naaf ke neechey ke baal ko kaadna chahiye

Answer: 1)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2)
3) Auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay loha(Iron) istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5638
Mujtahid:
Date:

Question: Islam may shuhar per kis ki zimedari or khushi aur HAQ zada hay . Admi per biwi ki zarooriyat or khuwahish ka ya Step brother or onki zarooriyat ka

Answer: Biwi ki ghiza , libas , rehaish , aur zindigi ki baqi zurariat ka intezam sohar per wajib he agar wo ye cheezain mohyya na karay to chahae un k mohyya karney per qudrat rakhta ho ya na rakhta ho wo biwi ka maqrooz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5663
Mujtahid:
Date:

Question: assalam alaykum , mera sawal yeh hai ki , mere panis se liqued aata hai& kabhi mani bhi aajata hai pishab karte time ,plz koi dua bataen

Answer: 1) Ratoobat jo peshab k bad niklte he aur jise wadi kahte hein agar peshab us se mila hua na ho to pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k bad istebra kia ho aur is k bad ratubat kharij ho jis k baray me shak ho jis k baray me shak ho k wo peshab he ya koi aur ratubat, to wo pak hein.
2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5701
Mujtahid:
Date:

Question: sir app yeh batyn kay ye side kis kisam ky questions ky liye buni hai?

Answer: Quran-o-Itrat Academy ki is website per fiqh e jafferriya k mutabiq tamaam fiqhi sawalaat k jawabaat mujtahideen karaam k fatwo k hawalay k saath diay jatay hain.or saath saath mushkilaat k hal k liay wazifay bhi bataay jatay hain.

Quran-o-Itrat Academy web is all about Istifta , Books Of Mujtahid ( Maraja-e-Uzzam ) with the online question and answer system for commonly asked questions. And many more about Islam and other Shia features. Was-salam

Print

Id:
5790
Mujtahid:
suni Date:

Question: mufti shahib ma ak suni hoo our ma sheya sa khabe nafrat nahe karta laken mara ak sawal ha keh kia app sunni ha our ye jo masail app hall kartay hay keya ye suni tareqa sa jaiz ha....ma pir mafi chahta hoo ma kise be insan sa nafrat nahe karta...please reply me....

Answer: Note : Is web site per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diew jatay hein.
Sunni hazrat in masayl per amal kar sakhtay hein. (ref : E mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : January 28, 2011)

Print

Id:
5876
Mujtahid:
al janab sistani saheb Date:

Question: we can watch and create animated films of karbala battle or on nabi and imam movies

Answer: Agar in filmo or dramo main in muqaddas hastiyoon ki tazeem o takreem k taqazo ka khiyaal rakha jay or sami’een o nazreen k dilo main in muqaddas hastiyoon ki jo tasawwuraati tasweer maujood hoti hay osay bura asar nah milay tu koe haraj nahi hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, maslah#592).

Print

Id:
5936
Mujtahid:
Date:

Question: under shave kahan se kahan tk krni chaeye

Answer: 1)Rawayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Rawayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2)
3)ye tamam kam , Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5947
Mujtahid:
Where this academy belongs Date:

Question: Please can u tell me that where this academy belongs.. and how qualified you are for the Islamic answers....

Answer: Please visit this link for your answer: http://qoitrat.org/about/ . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6071
Mujtahid:
Date:

Question: Mujhe gandi adat lag gai he mere itni kosis ke baad bi mujh me sudar nahi aa raha. Me bahut awara kism ka ladka ban gaya hu. Meri mudad kijiye.

Answer: sab sai shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na farmani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhna, waghaira. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6273
Mujtahid:
agha sistni Date:

Question: AOA SAWAL...ager koi shakhs apne brothers se alag hone se pehly kisi khalisa zameen per darkht lagay ab dosry brothrs se alag hoty waqt wo darkht(jo us shakhs ny lagaya tha)kaisy taqseem hoga usi ek shakhs ko milega ya tamam brothers ma baraber hoga???plz ans jaldi baijh di jaiga..

Answer: Agar insan kisi k sath is qism ka muaida karay maslan phal dar darakhtoon jin ka phal khud is ka maal ho ya is phal per is ka ikthiar ho aik muqqarra muddat k lie kisi doosray shakhs k supard kar de take wo in ki neghagisht karay aur inhain pani day aur jitni miqdar wo apas me tay karain is k mutabiq wo in darakhtoon ka phal le le to aisa maamla musaqaat kehlata he. Agar maamla aisa nahi tu pora darakht aap ka hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2201) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6300
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam valekum, Mera naam Mohd. Salim hai mujhe apne sunni islam k bare me puri tafseel se jankari chahiye. or mujhe fatiha karne ka tariqa-e-book nahi mil pa rahi hai, me aapse guzarish karta hu ki mujhe fatiha book or sunni islam ki jankari di jae

Answer: Note : Is web site per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6301
Mujtahid:
Date:

Question: keya ahle sunnat k liye namaz mein karbala ki mitti agey rakh ker namaz parhna jaen hey ?

Answer: Sunni hazraat shia fiqha k mutabiq amal kar sakhtay hein. (ref : e mail rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : January 28, 2011)

Print

Id:
6454
Mujtahid:
Date:

Question: mere husband k muu se muje maa ka lafz nikl gaya tha kia is ka koi kafara dena pare ga plz reply as soon as possible

Answer: Is terha se zouja haram nahi hoti he aur na hi koe kaffara ho ga. Q k ye zihaar nahi keh laay ga. Or zihaar ye hay k sohar apni zouja ko mukhatib kar k ye sighah arabi main kahay k “anti alaiya ka zahri ummee” aur zaruri he k zihaar ka sighah 2 aadil mardoon k samnay kaha jaay aur wo dono sunain. Aur shohar apnay ikhtiar se kahay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 634-640) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6500
Mujtahid:
Date:

Question: Napaki k Baal remove krne ka tariqa batain or kahan tak kaat ne chaiyen

Answer: 1)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6525
Mujtahid:
Date:

Question: me cigrate bohat peeta hun ap ye bataye ke cigrate peena islaam me makru he ya haraam or daleel bhi batayega take me dusro ko bhi bata sagu

Answer: 1)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi baray nuqsaan ka khatra na ho, agar chahe kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi.
2) Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (ref : jadid faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6582
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Ahle hadith ki taqleed me panch namazo ki total kitni raqate he tafshil se batae

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein.

Print

Id:
6702
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Ghair Muslim k tehwar, maslan, Easter, Chrismas, waghaira per un ko mubarakbad dena, unki taqarib main shirkat karna aur taqareeb main khana peena jaiz hai?

Answer: It is permissible to greet Ahlul Kitãb (the Jews and the Christians, etc) and also the non-Ahlul Kitãb on the occasions they celebrate like the New Year, Christmas, Easter, and the Passover. (ref : email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011)

Print

Id:
6713
Mujtahid:
Date:

Question: kia muhammad name rakhna jaiz he ? only muhammad sath koi aur nam na ho

Answer: Mohammad name rakhna mustehsan he balkeh hazrat Mohammad (s.a.w.w) ne farmaya he k “wo shakhs jis k 4 larkay hoon aur os ne aik ka name bhi meray naam per nah rakha ho to os ne mujh per jafa(zulm) ki”. Haan jis ka name mohammad ho os k lie abul qasim kuniyat rakhna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6847
Mujtahid:
Date:

Question: what is the Faqha meaning

Answer: Fuqahaa, faqeeh ki jama he aur is ka matlab he bohot samajh daar, aalim, ilm e fiqh ka jaannay wala. (Ref : kitab Arabic dictionary al munjid pg # 758). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6848
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: is it allowed to drive car withiut having liscense in karachi? agar liscense na ban raha ho to rishwat dena jaiz hai?

Answer: It is not allowed to act against the law. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : May 6, 2011 )

Print

Id:
7259
Mujtahid:
Date:

Question: Bahee Sahab Ap log kaha sy yeh fathwa dy thy hu....??? ap apna cell number do

Answer: http://www.qoitrat.org/about/index.htm

Print

Id:
7394
Mujtahid:
agah Shistani Date:

Question: is adoption allowed in islam? if yes then what are its condition? if no then plz explain why its not allowed

Answer: Yes adoption is allowed in islam. And If a woman suckles a child with the conditions which will be mentioned in rule 2483, that child becomes Mahram. (Ref : website ayatollah sistani d.b. masla # 2473) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7452
Mujtahid:
Ayat Ullah Seestani Date:

Question: kya ek aurat doosri aurat se apni sharamgah ki waxing krwa sakti hai?

Answer: It is not permissible if that involve looking at or touching the private parts. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : June 30, 2011)

Print