Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Haiz (342 Questions)


Showing 300- 342 questions from 342 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-23

Question: Assalamualaikum Mera sawal ye hai ki maine apne 7ve din gusl e haiz krliyaa aur mujhe duphair tak yakeen tha ke mai paak hogyi hu lekin phir mere white discharge ke saath zra sa blood aya uske baad phir white discharge aya aur phir kuch ghnto baad phir se discharge ke saath blood aya toh kyaa mujhe phir se gusl krna padega aur mai namaz padhh sakti hu ya nai iss condition mein ???

Answer: 1: Agar kisi aurat ka khoon 10 din se pehle ruk jaye aur use yaqeen ho ke us ke baatin mein khoon e haiz nahin hai to use chahiye (yani zaroori hai) ke apni ibadaat ke liye ghusl kare (aur ibadaat baja laye) agarche ghumaan rakhti ho ke 10 din poore hone se pehle dobara khoon aa jaye ga.
Lekin agar use yaqeen ho ke 10 din poore hone se pehle use dobara khoon aa jaye ga to jaise bayaan ho chuka hai use chahiye ke ehtiyaatan ghusl kare aur apni ibadaat baja laaye aur jo chezein haaiz par Haram hain unhein tark kare.

2: Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon e haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyaat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamghah mein kuch dair royei rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz auraton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thorha sa zard pani laga ho. Pas agar wo Haiz ki muayin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi us ki aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar daswen din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya daswen din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakhti.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #495,496).
[Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-06

Question: Search Questions Question & Answers << Go Back کیا حیض روک جائے اور 5 یا 6 دن جے بعد براونش خون نکل جائے اور اپ غسل کر چکی ہو تو تو کیا دوبارہ غسل کرنا چاہئے اور کیا اسی دن عورت روزہ میں ہو تو کیا روزہ ٹوٹ نائیگا۔ Topic: Haiz (271 Questions) 1 2 6 Showing 0- 50 questions from 271 questions on this page. کیا حیض روک جائے اور 5 یا 6 دن جے بعد براونش خون نکل جائے اور اپ غسل کر چکی ہو تو تو کیا دوبارہ غسل کرنا چاہئے اور کیا اسی دن عورت روزہ میں ہو تو کیا روزہ ٹوٹ جائیگا۔"

Answer: 1: Do haiz ke darmiyan hamesha kam az kam das din ka faasla ho ke jo do haiz ke darmiyan pak honay ki kam az kam muddat hai, is bina par jo khoon pehlay haiz ke das din guzarnay se pehlay kam az kam paaki ke zamane mein dekha jaye to woh haiz nahin hai. maslan jo aurat das din khoon dekhe aur chhay din paak ho jaye aur dobarah chaar din khoon dekhe to dosray khoon ko haiz qarar nahin day sakti, agarchay haiz ki nishanain maujood hon.

2: Jaisa ke zikar kya gaya ke "haiz ke darmiyan kam az kam paaki das din hai" lekin ziyada se ziyada paaki ki koi miqdaar nahin hai aur yahan par do haiz ke darmiyan pak honay se muraad khoon haiz se pak hona hai nah ke har tarah ke khoon se pak hona hai, is bina par mumkin hai ke do haiz ke darmiyan das din khoon e istihaza aur is ke manind khoon ke zariye faasla ho jaye aur isi tarah jo zikar hua do haiz ke darmiyan pak honay se marboot hai aur agar aik haiz ke darmiyan pak ho (ke jis ka zikar baad mein hoga) to ehteyat e wajib ki bina par zaroori hai ke jo kaam haiz wali aurat par Haram hain un ko tark kare aur jo paak aurat par wajib hai us ko anjaam day.

3: Agar teen din pay dar pay khoon dekhe aur pak ho jaye phir dobarah khoon dekhe to jin dinon mein khoon dekha hai aur darmiyan mein jo pak hui thi un ki muddat das din se ziyada nah ho to tamam dinon ka khoon haiz hoga lekin ehteyat e lazim yeh hai ke darmiyan mein paak honay walay dinon mein ke jis ko khoon ke darmiyan paaki ka naam dete hain jo kaam paak aurat par wajib hain un ko anjaam day yani ehtiyatan ghusal haiz kare aur apni ibadat ko baja laaye aur jo kaam haiz wali aurat par Haram hain maslan Quran ke khat ko mas(touch) karna aur masjid mein theharna to is ko tark kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #502,504,506).
[Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122729
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-07

Question: Halat e haiz mn agar mian bivi ny akhri din jab nahana tha jama kr lia tou kia wo gunnah k zumry mn aye ga.... Aur agr aye ga tou uska kafara kia aur ktna hoga.... Lazmi btaiye ga

Answer: Agar aurat haiz se paak ho jaye to paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad jima kiya jaye.
lihaza agar haiz se paak ho jane ke bad aur ghusl karne se pehle, sharamghah ko dho kar jima kiya tha to ghunahgar nahin hon gay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #457).
[Updated on 08-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-08

Question: Assalamualaikum , mujhe period m 1st day spotting hoti h fir 3 ya 4 fmday s period start hota h or agle 5 din tk phta h isliye kuch 9 din LG jate h to kya vo shuru ke din se haiz mana jayga ? Qki 1st day spotting hoke 3 din kuch ni hota or hmesha aise hi hote h mujhe periods orkya shuru k 4 din hsbnd se relation Bana sakte hai?

Answer: Haiz ki muddat 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti, lihaza agar khoon aane ki muddat 3 din se zara bhi kam ho to wo haiz nahin hoga. isi tarah agar aurat ko 3 din se kam muddat tak khoon aaye aur phir band ho jaye aur phir 3 din tak khoon aaye to dusra khoon Haiz hai aur pehla khoon chahe wo us ki aadat ke dino hi mein aaya ho Haiz nahin hai. Aur jab tak haiz baqaida taur par shuru na ho, us se pehlay wale dino me husband se relation bana sakti hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,447,449).
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122749
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-10

Question: Salam. Kia ladki ka nikkah masjid mai ho sakta hai. Yaani ladki nikkah k ly masjid ja skti hai aur agr ja skti hai to kia sharait hain lazmi btaye. Mai chahti hu mra nikkah masjid mai ho kia aisa ho skta hai jaiz hai Islam mai.

Answer: Is website per fiqhe jaferia ke mutabiq jawabaat die jate hain , aytullah sistani sahab ke mutabiq
Masjid me nikah ho sakta hai, albatta taharat aur nijasat ka khayal rakhna zaroori hoga, isi tarah masjid ki intezamiya se bhi baat ki jaye.(or ladies masjid agar chaae tu un ka haiz se paak hona zarori hay kyu ke halat haiz me aurat ka masjid me baithna haram )
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,901).
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-10

Question: Kya haiz ki halat mein balun mein tail lagana sahi hai?

Answer: Jee han, haiz ki halat me balon men laga sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467).
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122855
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-05

Question: Salam, Mera masla ye ha ke Mujay ek mahiney se Jabh se mere periods khatam hoye hain brown discharge horaha ha. Is surat ma mere liye namaz or roza my ka kiya hukum ha

Answer: 1: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai aur is surat me namaz aur rozay anjam nahin dene, lekin 10 din ke baad jo aaye ga wo haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain.
2: Agar koi aurat jaanti ho ke jo khoon use aa raha hai wo zakham ka khoun nahin hai, lekin us khoon ke istehaza, haiz ya nifaas hone ke bare mein shak kare agar sharan wo khoon haiz o nifaas ka hukum nah rakhta ho to zaroori hai k istehaza waale ahkaam ke mutabiq amal kare balke agar use shak ho ke ye khoon istehaza hai ya koi dosra aur wo dosre khoon ki alaamaat bhi nah rakhta ho to ehtiayat-e-wajib ki bina par istehaza ke afaal anjam daina zaroori hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #431،438,439).
[Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122872
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Fibroids ki waja se me 11 din pe ghusl kar pati hon agar uske baad bi light pink ya yellow discharge ho to namaz roze aur ghusl ke liye kya hukm hai?

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai aur is surat me namaz aur rozay anjam nahin dene, lekin 10 din ke baad jo aaye ga wo haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122881
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Agr delivery k bad bleeding ki jagah lochia (white yellowish discharge)ho Jo 40 din k bad b a Raha ho to kia namaz parh skty hain ??? Is halat main aurat Pak hogi ya napak

Answer: Leukorrhea (white, yellow color ki ratubat) mani ya haiz nahin hai. Ye paak hai or is ke aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. Aur is halat men aurat pak hogi, isi tarah namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), email rcvd). + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122964
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2025-03-14

Question: Asalam o Alaikum wabarakatoho Mera sawal yeh hai keh, hamy kaisy pata chaly keh hamary periods start huy hy? Mjy proper period start hony se 3 din pehly, light brown color ka discharge hota hy, jo tissue paper k sath check krny pr nazar ata hy. 4 day pr bakaida blood spoting shuroo ho jati hy, jo taqreeban 7 din tk rehti hy. Kya wo shuroo k dino ka light brown discharge mere haiz k dino mai shumaar hota hy? Kya un dino mai, mai roza namaz kr sakti hoo? Please must reply

Answer: Haiz ki kam az kam muddat teen din aur zyada se zyada das din hai. Agar kisi aurat ki aadat teen din ki ho aur teesre din ke baad khoon aana band ho jaye, to woh paak samjhi jaye gi aur namaz ada kar sakti hai. Taham, agar paanchwen din humbistari ke dauran dobara khoon nazar aaye, to yeh istihazah (ghair mamooli khoon) shumaar hoga, aur is surat mein aurat par laazim hai ke namaz ada kare aur istihazah ke ahkaam ki pairwi kare. Istihazah ki mukhtalif aqsam ke liye mukhsoos ahkaam hain, jaise wuzu aur baaz suratoun mein ghusl ka ehtemaam karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail Jaamay, Mafhoom e maslah # 467)
[Updated on 14-Mar-2025:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123068
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Agr rat humbistri ki ho or roza rkh lya ho or pani 1 bjy tk b na a rha ho tu kyaa gunnah ho ga

Answer: 1: Maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai ya agar ghusl karna mumkin nah ho to phir tayammum kar ke roza rakhna zaroori hai isi tarah tayammum kar ke namaz parhna bhi zaroori hai warna dono soorton main insaan ghuhagar hoga.

2: Maah e ramazan main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye ya agar ghusl karna mumkin nah ho to phir tayammum kar ke roza rakha jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-18

Question: Salam mera sawal ye hy k mere haiz ki muddat 8/9 din ki hy lekn is beech 5/6 day ko khoon ana ruk jata hy or phr jab gusul leti hun to dubara ajata hy to kya mera is trha beech me gusul krna sahi hy?

Answer: 1: Agar maslan teen din mutawatir khoon aata rahe phir aurat paak ho jaye. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe to jin dino main wo khoon dekhe aur jin dino me wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das(10) din se ziyada nah hon to jin dino main wo khoon dekhe wo haiz ke din hain lekin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki ke dino main wo un tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day aur jo haaiz par Haram hain, unhain tark kar day.

2: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bagher ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa k baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Ps agar wo Heyz ki mo’eyin ‘adat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah houe hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #442,496).
[Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123308
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-22

Question: Aoa janab merry periods irregular Hain age 46 Hy Dr krhty Hain 50 tak khatam hon gy masla yeh Hy k namaz bhi irregular ho Jate Hy Kia her dafa ghussa kerns lame ho jata Hy ya sirf wazoo KR Lia kron aur shuhar k Pas jany ki ky masial pr roshne dalen

Answer: 1: Haiz wali aurat ki 6 qismien hain aur konsi qisim kese maloom ho sakti hai, is ke liye aap ne do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. Jab aap do mahine check karti rahen gi to aap ko maloom ho jaye ga ke un 6 aqsaam me se aap ki konsi qisim banti hai aur phir usi hisaab se aap ne ghusl, ibadat anjam dene hain aur isi tarah shohar ke pass jaane ka maslah bhi waazeh ho jaye ga.

Note: in 6 aqsaam ki tafseelaat janne ke liye Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai.

Mukhtasaran ye ke Haiz wali aurat ki 6 qismien hain:
(1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakay baad deegray 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se saatween tareekh tak khoon aaye.
(2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye lekin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakay baad deegray 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekh se khoon aana shuru ho lekin wo pehle mahine mein saatwen din aur doosre mahine mein aathwen din khoon se paak ho.
(3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakay baad deegray 2 mahino mein aik jaisi ho lekin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use paanchween se dasween tareekh tak aur dosre mahine mein barween se satrween tareekh tak khoon aaye.
(4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho lekin us ki aadat muayin nah huei ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho.
(5) Mubtadeah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho.
(6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho.
In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam bayan kiye gaye hain jo diye gaye link mein maujood hain.

2: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai aur dono ghunahgar hon gay. aur un dino men bhi jima karna haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. lekin Haiz ki halat men Jima(Intercourse) ke alawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,449,451,468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ).
[Updated on 23-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-20

Question: Aoa janab merry periods irregular Hain age 46 Hy Dr krhty Hain 50 tak khatam hon gy masla yeh Hy k namaz bhi irregular ho Jate Hy Kia her dafa ghussa kerns lame ho jata Hy ya sirf wazoo KR Lia kron aur shuhar k Pas jany ki ky masial pr roshne dalen

Answer: 1: Haiz wali aurat ki 6 qismien hain aur konsi qisim kese maloom ho sakti hai, is ke liye aap ne do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. Jab aap do mahine check karti rahen gi to aap ko maloom ho jaye ga ke un 6 aqsaam me se aap ki konsi qisim banti hai aur phir usi hisaab se aap ne ghusl, ibadat anjam dene hain aur isi tarah shohar ke pass jaane ka maslah bhi waazeh ho jaye ga.

Note: in 6 aqsaam ki tafseelaat janne ke liye Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai.

Mukhtasaran ye ke Haiz wali aurat ki 6 qismien hain:
(1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakay baad deegray 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se saatween tareekh tak khoon aaye.
(2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye lekin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakay baad deegray 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekh se khoon aana shuru ho lekin wo pehle mahine mein saatwen din aur doosre mahine mein aathwen din khoon se paak ho.
(3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakay baad deegray 2 mahino mein aik jaisi ho lekin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use paanchween se dasween tareekh tak aur dosre mahine mein barween se satrween tareekh tak khoon aaye.
(4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho lekin us ki aadat muayin nah huei ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho.
(5) Mubtadeah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho.
(6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho.
In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam bayan kiye gaye hain jo diye gaye link mein maujood hain.

2: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai aur dono ghunahgar hon gay. aur un dino men bhi jima karna haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. lekin Haiz ki halat men Jima(Intercourse) ke alawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,449,451,468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ).
[Updated on 21-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123343
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: AOA Mere 1 roza pichle Saal ka reh gaya hai jise me ne periods ki waja se khaya tha magar ab dusra roza a gaya hai or wo pichlay Wala Abi tak nahi rakha to ab Khali wo roza rakhna Kafi hoga ya phir kafara hoga

Answer: Haiz (periods) ki halat me rozay nahin rakhne hote lekin ramzan ke baad aur agle ramzan se pehlay ehtiyat-e-mustahab (yani behtar) hai ke us ki qaza ki jaye warna fidiya-e-takheer zimme aa jata hai. Ab us rozay ki qaza bhi karn zarori hai aur fidiya-e-takheer bhi dena zaroori hai.

Fidiya-e-takheer yani har din ke liye aik mud (yani 750 giram) taam faqeer ko day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1612,1676,1677).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Assalam O Alaikum.mera sawal ye hy.ka jab haiz band ho jay.bleeding na ho rahi ho.aise surat may gushal kea baghir roza rakh sakta hy kia.agar namaz zahur sa pahla naha lea jay.to kia roza ho jay ga.reply me. 2nd question ye hy.ka mera husband muj sa month may serf 1 ya 2 dafa humbistri karta hy.waisa bhi mera pas nah ata hy.na hi muja touch karta hy.aise surat may muja bitiye.ka may kia karo.jab ka muja olad ki buth khawish hy.reply me soon.

Answer: Agar yaqeen ho jaye ke paak ho gayei thein to Roza rakhne ke hawale se sharaei maslah ye hai Azaan e subh se pehle Ghusl kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare.
2: Aap ko bacha chahiye to shohar se request kar sakti hain lekin use majboor nahin kar saktien aur shohar agar aik mahine me 1 ya 2 dafa biwi se hambistri karta hai ye sahi hai Q ke waise bhi shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar nahin kare ga to wo gunahgar hoga).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608,2376,2382).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123404
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Agar haiz k doran bleeding stop ho jay yani 3rd ya 4th day to Kia namaz prhi ja skti hai??

Answer: Jab aurat haiz se pak ho jaaye (yani haiz ka khoon aana band ho jaye aur sharmghah me bilkul khoon na rahe) to us par namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye ghusl karna wajib hota hai aur is ke baad namaz parhni hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #456).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123407
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Asalamu alaikum mera sawal ye hai k kia halat-e-haiz mai wudu kr k jate namaz(prayer mat)pr beth kr tasbihat prh sakty hain ?

Answer: Jee han, balke Haiz wali aurat ke liye Mustahab hai ke namaz ke waqt apne aap ko khoon se paak kare aur roei (cotton) aur kapre ka tukraa badle aur wuzu kare aur agar wuzu na kar sake to tayammum kare aur namaz ki jagah par ruba qibla baith kar zikr, dua aur salwaat mein mashghool ho jaaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #466).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123427
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-27

Question: Ramzan main bv ko hez ajy or or hez k 5 din shohr hmbstri krle roze rkh k tw kia bv ko kafara krna prega

Answer: 1: Agar biwi 5 din bhi haiz ki halat me thi yani ke us ka haiz ka khoon aana band nahin hua tha to biwi par koi kaffara nahin lekin shohar ne jo rozay ki halat me biwi se hambistri hai to shohar ka roza baatil ho jaye ga aur ramzan ke baad us rozay ki qaza karna zaroori hogi aur is ke sath sath shohar kaffara bhi day ga. albatta ye baat waazih rahe ke haiz ki halat me biwi se hambistri karna Haram hai aur zaroori hai tauba ki jaye.

2: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai. Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to ramazan ke baad rozay ki qaza(repeat) karna zaroori hai aur is ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga.

3: Kaffara dene me zaroori hai ke insaan kotaahi na kare lekin fauri taur par dena zaroori nahin. Albatta agle ramazan se pehle pehle ada kar liya jaye warna fidiya e takheer bhi dena hoga.

4: Kaffara ye hai ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,1565,1630,1632,1633,1655,1676,1677).
[Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123450
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-13

Question: Agar pehly din Thora SA blood Aya or phr nai aya to Naha k roza Rakh sakty hai.

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 3 din se kam yani 1, 2 din ke liye khoon aaye to ye haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439).
[Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: کیا جنابت کی حالت میں مختصر پاک ہونے کے بعد بال کلر کیں جا سکتے ہیں اور کیا حیض میں کر سکتے ہے بال کلر

Answer: Hanabat ya haiz ki halat me balon me khisaab kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,348).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123514
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Haiz ki halat me ager bleach kerlen to ghusul hojata he ??mtlb bleach kerne k 1din baad ager ghusl kerna ho to hojata he?

Answer: Haiz ki halat me bleach kar sakti hain, lekin wuzu ya ghusl karne ki soorat me agar wuzu aur ghusl ke liye wo pleach rukawat bane to use hatana zaroori hai, warna wuzu ya ghusl sahi nahin hon gay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #289,376).
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123626
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-21

Question: Husband wife date ka 5din bad humbistri kar sakty ha

Answer: Agar yaqeen ho ke aurat haiz ke khoon se paak ho chuki hai to humbistari karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke hambistri sharamgah dhone ke baad ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behter )ye hai ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. lekin jin dino me aurat ke periods yaqeeni na hon lekin sharan us ke liye zaroori hai ke apne aap periods wali aurat qaraar de to in dino me bhi humbistari karna Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #449,457,496).
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123666
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-11

Question: Aslam o alaikum. Mera sawal h k JB pehli br sex Karein to aurat KO Kitna khoon ata h .. means khoon ziada hota h ya kum hota h

Answer: Pardaye bakarat ke phatnay se khoon ka aana zaroori nahin, kabhi kabhi to khoon ka aik qatra bhi nahin aata aur kabhi itna shadeed khoon ka bahao hota hai ke lady doctor ki zaroorat paish aa jati hai. larki ki umer jitni ziyada hoti hai, khoon raizi ka imkaan bhi kam rehta hai. baaz larkiyon mein to khoon raizi ka naam o nishaan nahin hota.

(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%A2%D8%AF%D8%A7%D8%A8_%D8%B4%D8%A8_%D8%B2%D9%81%D8%A7%D9%81 ).
[Updated on 12-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-27

Question: Biwi s humbistri periods k kitne din bad honi chahye

Answer: Jab aurat haiz se pak ho jaaye (yani haiz ka khoon aana band ho jaye aur sharamghah me bilkul khoon na rahe) to is ke baad humbistri ki jaa sakti hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah ko dhone ke baad humbistri ki jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #457).
[Updated on 28-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-03

Question: Kya periods k bad us art k bal hatana wajib hai ?

Answer: Jee nahin, wajib nahin hai. Albatta Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay ke aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or mard zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk na kare. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab bane tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay. Or Aurat ke liye sar ke alawa puray jism k baal katna mustahab hai aur lohay(blade) sai apnay jism k baal kat sakti hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #354,355. + link; http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ).
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-11

Question: Asslam O Aliakum....sir kia 9 din se ziada bleeding ho to hambistri jaiz h k nh???

Answer: Haiz ki muddat kam az kam 3 din or zyada se zyada 10 din hai..
10 din se zyada agr khon ae to vo haiz nh hai aur haiz k ehkamat jari nh hnge yaani asi sorat me hambistri ki jaskti hai q k halat e haiz o nifas me aurat k reham se hambistri krna Haram hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 438, 448)
[Updated on 11-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124154
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-11

Question: Mera sawal hy k agr haiz k 6 din ghusal karty hon, r ghusal krny k bad, khoom nahi, bs khoon k thory zarat ayn, to kya dobara ghusal karna zrori ho ga

Answer: Jee bilkl agar khon k drops hi q na arhe hon vo bhi haiz hi shumar hoga or sare ehkamat haiz hi k lgege.. (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 496) . [Updated on 11-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-30

Question: Ager malom na ho k periods strat ho gaey h r sex ker ly to kya hukam h iska

Answer: Agar shohar ko ilm na ho k aurat halat e haiz me hai or mujamiat krle to yh mard k lie haram nh hai lekin agar use maloom ho to istaghfar krna zarori hai lekin kaffara wajib nh hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 450, sistani.org ,urdu,topic : humbistri,saeaal no :2)
[Updated on 01-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124378
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-07-21

Question: Assalam o alaikum mai periods k ghusal k bad apny shohar k sat sex kiya after this pora din Giza raat me mujhy phr se blood nazar aya apni discharge me to Kya gunah hy

Answer: Jab tak yaqeeni taur par haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak is se parhez kia jaaye, Q ke In dino men bhi jima karna haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #449).
[Updated on 22-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124388
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-14

Question: Kia periods ( haiz) k duraan gair zrori Baal saaf Kiya ja skty hn

Answer: Jee han, Haiz ki halat me baal saaf karti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448).
[Updated on 15-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-15

Question: meri biwi ke periods aj shaam ko khatam. unke ghusl karne se pehle kya mai unki saath humbistari karsakta hoo??

Answer: Agar aurat haiz se paak ho jaye to paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad jima kiya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #457).
[Updated on 16-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124455
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-07

Question: Haiz k 5ven din mubasrat krna thk h ya ghlt

Answer: Douran e Haiz agli sharamgah se mubashirat krna jaiz nh hai..
Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima kare to is ke liye zaroori hai ke istigfar kare lekin kaffara dena wajib nahin hai, albatta jima intercourse ke ilawa baqi lazzatien maslan lams/touching or bos o kinar/kissing wagera karna jaiz hai is men koi haraj nahin hai shohar aur biwi aisa kar sakte hain..
(Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b, Edition 42, Maslah No. 448, 450, 451)
[Updated on 08-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124558
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-27

Question: Meri biwi agar haiz me ho kia me apne biwi ko figuring kar sqta hu or woh mujhe suck kar sqti he kia

Answer: 1: Halat e Haiz men chand cheezien Haram ho jaati hain: in me se aik aurat ki farj(agli sharamghah) men Jima(Intercourse) karna hai jo ke shohar or biwi dono ke liye Haram hai. Albatta, Is surat me Jima(Intercourse) ke alawa baqi lazzatien maslan lams (touching) or bos-o-kinar (kissing) wagera karna jaiz hai.

2: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par dono ka raazi hona lazim hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,450,451. + Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Part #4, Maslah #259,261).
[Updated on 28-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124607
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-20

Question: Haiz ki halat me dua ka pani pee sakte hai?

Answer: Jee, pee sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 21-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124633
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-29

Question: Kia ghusl e haiz Kay bad bhi sharmgah se pad ki khusboo anay sai ghusl hojata hai ya nahi?

Answer: Agr khoon e haiz kharij horha ho to vo aurat haaiz hi shumar hogi or uss k ehkamat bhi haiza wale hi hnge..
note : or agar haiz ka khoon mukammal band hogaya ho yani na sharamgha ke andar khoon ho or na bahar khoon ho tu phir aurat haaiz shumaar nahe hoghe or jab aurat ka haiz ka khoon mukammal band hojaay tu aurat ko gusal haiz anjaam de kar apni wajib ibaadaat maslan namaz ,roza anjaam dena zarori hain .
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Mafhom e Masla No. 432)
[Updated on 30-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-07-05

Question: Kya haiz k 7 din baad gusal or zare e naaf ki baal aik sath kr skty

Answer: Jis din haiz se pak ho jayen to usi din ghusl ke sath zere naaf ki baal bhi saaf kar sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448).
[Updated on 05-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124878
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-07-05

Question: Kya larkiyaan Haiz k waqt baaki islamic kitaab parh sakti hai jaise k Bukhari shareef ya yaseen surah rehmaan?

Answer: Jee han, Parh sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448).
[Updated on 05-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-10-21

Question: Kya haiz ki halat me mehndi lga skte h

Answer: Jee haiz ki halat me mehndi laga sakte hain, jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 22-Oct-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125350
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-15

Question: Kya koi Aurat haiz(period)ke halat me wudu kr skti hai

Answer: Har waqt nahin kar sakti, Albatta Mustahab hai ke namaz ke waqt haaiz aurat apne aap ko khoon se paak kare aur roei (cotton) aur kapre ka tukraa badle aur wuzu kare aur agar wuzu na kar sake to tayammum kare aur namaz ki jagah par ruba qibla baith kar zikr, dua aur salwaat mein mashghool ho jaaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #466).
[Updated on 16-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125766
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Periods khatam ho jayen or gusal krna 5..6 din late ho jy tooo koi masla too nhi

Answer: Jab aurat haiz se pak ho jaaye (yani haiz ka khoon aana band ho jaye aur sharamghah me bilkul khoon na rahe) to us par namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye ghusl karna wajib hota hai aur is ke baad namaz ke auqaat me namaz ada karna wajib hai warna ghunahgar hongi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #456).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Kya periods ky doran daroody ibrahimi parh skhty hain ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jee, parh sakti hain Q ke Haiz (periods) ki halat men darj zel chand cheezien Haram hain:
1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jese roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise ke namaz e mayyit ada karna, ya koi zikr, dua ya wazifa parhna jis me wajib sajde wali aayat maujood na hon.
2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho.
3. Wajib sajde wali aayat parhna.
4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana.
5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna.
6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona.
7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono k liye Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print