Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz Ke Ahkam (249 Questions)


Showing 100- 150 questions from 249 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
12428
Mujtahid:
Date:

Question: ager kana samney ho to pehlay dinner or lunch karna chaheay ya namaz perhani chahiay

Answer: Behter ye hay namazi namaz ko awwal e waqt main ada keray, laikin agar koe dosra shaks is shaks{namzi} ka intezaar ker raha ho{k is k saath khana khaay ga} ya isay{namazi} itni bhookh lagi ho k huzoor e qalb k saath namaz nah perh sakta ho tu behter ye hay k pehlay khana khaay laikin jahaan tak mumkin ho fazeelat k waqt main hi ada karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13609
Mujtahid:
suni Date:

Question: Namaz main khushu o khuzu k lye kia zruri hai ?

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Khushu o khuzu, aajzi or inkisari k izhaar ko kehtay hain. Is k liay insan ko chahiay k wo ye khiyaal rakhay k kis hasti se kalam ker raha hay or apnay aap ko khuda wand e alam ki azmat or buzurgi k muqaablay main haqeer or naa cheez samjhay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # before 717). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note: Aap khushu o khuzu k behtareen tariqay hasil kernay k liay ayatollah dastaghaib sheerazi ki kitaab khasheen ki namaz ko perhain.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
13789
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamu alaikum...I just want to ask that is it neccessary to recite sana in every rakat or just in the first rakat.And if it in a zohr nimaz do i have to start every 4 rakat or 2 rakat with sana or it is just once in the first rakat of the whole nimaz

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Print

Id:
14678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA kia namaz-e-shab ko chalty/phirty huway bagher Qibla ruk k ada ki jasakti hia jissay nafala namaz ada ki jasakti hia

Answer: 1)Mustahab namaz (is me namaz –e- shab bhi shamil hai) raasta chalte hoay aur sawari ki halat me perhe ja sakti hai aur agar insaan in donoo halato me mustahab namaz perhe to zaroori nahe hai k is ka mou qiblay ki taraf ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 769,753)
2) lakin agar insaan in donoo halato(raasta chalte hoay aur sawari ki halat me) k ilawa mustahab namaz perhe to ehitiyate wajib ki bina per qibla ruke hona zaroori hai.(ref. Urwa tul wusqa part no :2 Ayat Ullaha Sistani (d.b.)masla #after 1245) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14829
Mujtahid:
aqa e sistani Date:

Question: bachon ko kis had tk namaz aur dusre shareeat e islam k ahkamat prr amal krne ka kha jai agr vo un prrr amal na krte hon to...?maan baap ko..!

Answer: Mustahabb hai k samajhdar bachay ko (yani os bachay ko jo buray bhalay ki samajh rakhta ho)namaz parhnay aur dusri abadaat bajalanay ki aadat dali jae balke mustahabb hai k osay qaza namazain parhnay par bhi aa’mada kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1370)

Print

Id:
15116
Mujtahid:
Bimari Date:

Question: Asalam-o-Alikom , sir,ager kisi bemari se yani peshab bar bar ana chalty phirty thore thore qatrey behtey rehein.yahan tak k din mein 10 bar kaprey napak ho jatey hein.job k doran ghar aa kar kaprey change b nai saktey to kiya un hi kapron mein nimaz kesy ho sakti he.....

Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15566
Mujtahid:
Date:

Question: Baith k namaz ada krny ka full tareeka btayiye?

Answer: Jub tak insan khary hokar namaz parh sakta ho zarori hai k namaz mai na bethy maslan agr khra honay ki halat mai kisi ka badn harkat krta ho ya wo kisi cheez pr taik lagany ya badn ko terha krny par majbor ho tou zarori hai k jaise bhi hosakay khara ho kr namaz parhay lakin agr kisi bhi surat khara na ho skta ho tou zarori hai k seedha baith jae or beth kr namaz parhay or jo shaks alhmd aur surah k baad khara hoskta ho aur ruku kharay ho kr bja la sakta ho tou zarori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay tou zarori hai k ruku bhi beth kr bja laey aur ruku main es qadar jokhna zarori hai k us ka chera us k gutnon k bilmoqabil ja ponchy. Isi terah sajday mai chala jae. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #957,959, 1014 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16303
Mujtahid:
Date:

Question: assalamualikum,mai jab bhi namaj me khada hota hu man me ulti sidi baate aati hai kabhi kabhi toh yahi sochta hu .........allah ko ulta sidha bolta rehta hu par jab namaj khatam hoti hai toh bahut rona aata hai aur bura lagta hai ....aap meherbani karke mujhe isse bachne ka tariqa aur namaj me concentrate karne ka tariqa bata sakthe hai kya.....

Answer: Insan ko khayl rakhna chahea k namaz jaldi jaldi na perhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rehay aur khusho aur khuzoo aur waqar sai namaz perhay aur ye khayal rakhay k kis hasti sai kalam kar reha hai aur apnay aap ko khuda ki azmat aur buzrgi k moqablay mai haqeer aur na-cheez samjhay. Agar insan namaz k doran puri terh in batoo ki taraf motawajah rehay to wo apnay aap sai be-khabar ho jata hai jaisa k namaz ki halat mai Hazrat Ali a.s. k poun sai teer nikal lia gya aur imam a.s. ko khabr tk na hui. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, namaz k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16420
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Nimaz ki duraan ghalti se sajde min raku aur raku min sajde ka ziker parhne se nimaz batil ho jati hai ya nahin

Answer: Is sai namaz batil nhi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1015)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16425
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamo alaikum janab namaz main bar bar hathon ko hilana ya kharish karnay kay baray main kia hum hay

Answer: Hathoo sai khailna aur har wo kaam krna jo namaz ka khoshu o khozu khatm kar day namaz mai makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16951
Mujtahid:
Date:

Question: Main aap sy ye pochna chahta ho k kia namaz k bad hum sajdy mian ja kar dua mang sakty hain k nai

Answer: Insan k lie mustahabb hai k namaz k baad sajdah e shukr baja laye aur itna kafi hai k shukr ki niyat sai peshani zameen par rakhay laikin behtr ye hai k 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa “ﷲ ﺸﻜﺮﺍ ” ya “ ﻋﻔﻮﺍ ” kahay. Aur dua mang saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1110) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16974
Mujtahid:
Date:

Question: aslam-o-alikum main nay asar ki namaz k bad sajda kar k dua ki to mujy 1 admi nay kaha k Asar ki namaz k bad koi sajda nahi hota. ap mujy durast tarika bta dain.shukria

Answer: Mustahabb hai k har namaz k baad insan kuch dair k lie taqeebat yani zikr, dua aur quran majeed parhaya aur sajdah e shukr baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1109-10) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
26194
Mujtahid:
Date:

Question: Mere sawal ye ha k namaz k faraz.m or.sunat m kia kia parhna hota her rakat k hisab s batyn detail m batyn .. Jazak Allah

Answer: Namaz k wajibat 11 hain: 1)niyat 2)takbeeratul Ehraam yani namaz ki ibteda me Allaho akbar kehna 3)Qiyam 4)Qaraa,at 5)zikr 6)ruku 7)sujood 8) tashahud 9)salam 10)tarteeb 11)mawalat yani namaz k af,aal pay dar pay baja lana(one by one). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # Before 929) Namaz ki tarkeeb: Namaz k tamaam af,aal aur azkaar ko zail me tarteeb waar bataya gaya hay. jis zikr k agay (+) ka nishaan laga hay wo sunat(mustahab) hay yani agar in ko na perha jay tu bhi namaz sahi hay. 2 rakati namaz ka tariqa : Pehli rak,at : jis namaz k perhne ka irada kiya ho is k liay qibla rukh ho kar itmenaan se kharhay ho kar takbeeratul ehraam yani Allaho akbar khain. khiyaal rahe k niyat k tour per koe alfaaz zabaan se ada karna ya dil se guzaarna zarori nahi hain. sirf zehan mutawajjah rahe k khuda ka hukum bajalane ki garz se yani qurbatan ilal-lah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. Albattah agar zabaan se yu kahain tu bhi koe haraj nahi. “Namaz perhta/perhti hoon subah ki 2 rak,at qurbatan ilal laah.” Takbeeratul Ehram k bad surah e fatiha aur dosera aik surah(maslan in,naa anzalna,ho) perhain. surah mukammmal ker k takbeer kahain(+) aur phir ruku me jain. Ruku me zikr e ruku ada karain. Is k bad kharhay ho kar sami,allaho li,man hamidah(+) aur takbeer (+) ada ker k sajde me jain aur sajde ka zikr ada karain. pehle sajde k bad beth ker takbeer(+) phir istighfaar parhain(+) aur takbeer ada kerain aur phir dosra sajdah baja laain. Is k baad baithain aur takbeer(+) khain aur phir agli rak,at k liay kharhay hoon. kharhay hote hoay zikr “bihaulil laahi wa qoowatihee aqoomo wa aqod”(+) perhain. Tash,reh(Explanation about ruku & sajdah): (i)Ruku me zarori hay k is qadar jhokay k apni tamaam ongliyo ko angothay k siray k saath guthne per rakh sakain. (ii)sajde ki halat me wajib hai k 7 aaza(part of body) zameen par rakhain. 1) peshani 2,3) donoo hatailiyaan 4,5) donoo guthnay aur 6,7) donoo poun(legs) k anghotay. Dosri rak,at: Dosri rak,at me surah e fatiha aur dosra aik sorah (maslan surah e ikhlaas) perhain. Dosri rak,at me ruku me jaane se pehlay qonoot perhna mustahab hay.Qonoot me haatho ko monh k samne asman ki taraf rakh ker dua perhi jati hay.Qonoot k bad pehli rak,at ki manind ruku aur dono sajde baja laain .Dosre sajde se sar otha kar baithne aur takbeer(+) perhne k baad tashahud perhain.Or aakhir main “salam” perh ker namaz mukammal karain.or aakhri salam k baad 3 baar takbeer perhna mustahab hay. 3 Rakati namaz(maghrib) ka tariqa : Oper di hoe terkeeb k mutabiq 2 rakat tamaam ker k tashahud perhain or phir teesri rak,at k liay kharhay ho ker aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday bja lain or phir baith ker tashahud or salam perh ker namaz mukammal karain. 4 Rakati namaz(zuhar,asr or isha) ka tariqa : Pehli 3 raka,at oper di hoe terkeeb k mutabiq baja lain. Teesri rak,at k 2 sajdo k baad chothi rak,at k liay kharhay hoon.chothi rak,at main halat qiyaam main aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday ada karain or phir baith ker tashahud or salaam perh ker namaz mukammal karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Ehkaam e Islam,part#1,Nashir Najafi Haal o Najafi Cassette Library, pg #78-80). 2) Tamam wajib or mustahab namazo me dusri rak,at me ruku se pehle qunoot mustahab he.(Ref: Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1104). Namaz ki ibratain(Wording of namaz): (i)Takbeer: اللہ اکبر (Allaaho Akber) (ii) Ruku ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی العظیم و بحمدہ (Subhaana rabi,yal azeemi wa bihamdihi) (iii) Dorood: اللھم صل علی محمد وآل محمد (Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (iv) Ruku se kharhay hone k baad ka zikr: سمع اللہ لمن حمدہ (Sami,allaaho liman hamidah) (v) Sijday ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی الاعلی و بحمدہ (Subhaana rabi,yal aa,laa wa bihamdihi) (vi) Istaghfaar: استغفر اللہ ربی و اتوب الیہ (Astaghfirul laaha rabbee wa atoobo ilaihi) (Vii)بحول اللہ و قوتہ اقوم و اقعد (Bihaw lillaahi wa qoowatihee aqoomo wa aq,od) (viii) Qunoot: رب زدنی علما (Rabbi zidnee ilmaa) (ix) Tashahud: اللھم صل علی محمد وآل محمد اشہد ان لا الہ الا اللہ وحدہ لا شریک لہ و اشھد ان محمدا عبدہ و رسولہ (Ashhado allaa ilaaha illal laaho wahdahoo laa shareeka lahoo wa ash,hadu anna muhammadan abduhoo wa rasooloh Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (x) Tasbeehaat e arba,ah: سبحان اللہ والحمد للہ ولا الہ الا اللہ و اللہ اکبر (Subhaanal Laahi wal hamdo lillaahi wa laa ilaaha illal laaho wallaho akber) (xi) Salaam: السلام علیک ایھا النبی و رحمۃ اللہ و برکاتہ، السلام علینا و علی عباد اللہ الصلحین، السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ (Assalaamo alaika ay,uhan nabeeyo wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo, assalaamo alainaa wa alaa ibaadil laa his saliheen, assalaamo alaikum wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mutafariq masail: 1-Zarori hay k insaan rozana ki wajib namazo ki pehli or dosri rakat main pehlay sorah al-hamd or phir kisi aik sorah ki tilawat karay or ehtiyaat ye hay k aik mukammal sorah ki tilawat karay.sorah e zuha(sorah#93) or sorah e alam nashrah(sorah#94) ki sortain or isi terah sorah e feel(sorah#105) or sorah e quraish(sorah#106) ehtiyaat ki bina par namaz main aik sorat shumaar hoti hay yani agae surah zuha parhain to os k sath surah alam nashrah bhi parhni paray gi aur agar surah feel parhain to surah quraish parhni paray gi.
2- Namaz main quran majeed se sorah daikh ker perhna makhrooh hay .or agar aap ko sorah yaad nahi hay tu on ko daikh ker perh lain.
3-Mustahab ye hay k tamam namazo ki pehli rakat main “sorah e qadr” or dosri rakat main “sorah e ikhlas” perhay.
4-jo sorah insan pehli rakat main perhay osi ka dosri rakat main pehna makrooh hay. Laikin agar sorah e ikhlas dono rakato main perhay tu makrooh nahi hay .
5-namaz ki teesri aur chothi rakat mai faqat aik martaba tasbehat-e.arbaa parhi ja sakti hai.
6-tamam wajib aur mustahab namazo ki dusri rakat mai,magrib ki tesri rakat mai bhi aur zohar aur asar ki chothi(4th) rakat mai zarori hai k dusray sajday k baad insan beth jae aur badan ko sukun ki halat mai le aey aur tashahud parhay.
7-namaz k akhri rakat mai tashahud k baad zarori hai k insaan salam bhi parhay aur namaz tamam kary.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1092)

Print

Id:
32739
Mujtahid:
Muslim Date:

Question: Dear Sir, mujy app say yh poochna hy k fraz nimaz mn muqtadi doran-rukhu or Sajood tasbeehat ki miqdar kitni muqarir hy. ya un limited hy. is baat ka jwab mukamal detail ky saath dy . ap kee Mherbaani ho gi.

Answer: Zikr e ruku mai mustahab hai k isay 3 ya 5 ya 7 dafa bal k is sai bhi ziada parha jae. Behtr hai ikhtiar ki halat mai ruku mai 3 dafa “ ﺴﺑﺤﺎﻦﺍﷲ ” ya 1 dafa “ ﺴﺑﺤﺎﻦﺮﺑﻰﺍﻠﻌﻆﻴﻡﻮﺑﺤﻤﺪﻩ ” kahay laikin ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai itni hi miqdar mai ho laikin waqt ki tangi aur majboori ki halat mai 1 dafa “ﺴﺑﺤﺎﻦﺍﷲ ” kehna kafi hai. isi terah zikr e sajdah ka bhi ye masla hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1016)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32743
Mujtahid:
Aya tullah Sistani Date:

Question: Aoa...qayam me Al-hamd or surah k bad durood parh sakte he?

Answer: Namaz me quran parhnay aur dua karne me koi haraj nahi. Yani durood parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32884
Mujtahid:
ayatullah hazrat ali sistani r.a Date:

Question: Assalamo alaikum Can we do prayer in front of miror Aur kya ye ahadees sach hai ki black shoes pahenne se bachche nahi honge

Answer: Every such act which disturbs attention and humility is Makrooh in namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32919
Mujtahid:
dont know Date:

Question: kya jute pahen ke namaz padh sakte hai

Answer: Agar jutay najis na hon to jutay pehan kar namaz parh sakta hai aur namaz e miyyat mai mustahab hai k namaz nangay poun parhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 601)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32937
Mujtahid:
Date:

Question: namaz k doran peron men kiyne fasla hona chiye

Answer: Namaz k durain mustahab hai k mard apnau donoo pairon k darmian 3 pheli hui ungliyo se le kar 1 balish tak ka fasla rakhain aur aurat apnay donoo pairon ko mila kar rakhy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 964 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37015
Mujtahid:
Date:

Question: sarri or johri namaz m kia farq hai ?

Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat donoo par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohar aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay. Aur is ka Mayaar URF hay(yani society k naik loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay.aur Agar jaan boojh kar jahan buland awaz say parhna hay aahista parhay aur jahan aahista awaz main parhna hay wahan buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahih hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 979) (Ref:Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38379
Mujtahid:
None Date:

Question: Can we pray namaz in dark? or kamray ki light off karkey? please suggest.

Answer: Andharay(dark) mai namaz parhna jaiz hai laikin agar is sai namaz ka khashu aur khazoo khatam ho raha ho to makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39756
Mujtahid:
Date:

Question: namaj padhne ke liye kitna time laga ta hai

Answer: Jo shakhs namaz ko mamooli aur gair ahm samjhay wo is shakhs ki manind hai jo namaz na parhta ho. Aik din rasool e khuda s.a.w.w. masjid mai tashreef farma thay k aik shakhs masjid mai dakhil hua aur namaz mai mashgool ho gya laikin ruku aur sujood mukammal tor par na bja laya. Is pr aap s.a.w.w. nai farmaya: “agar ye shakhs is halat mai mar jae jb k is k namaz parhnay ka ye tareeqa hai to ye hamaray deen pr nahi maray ga”. is lie insan ko chaheay k namaz jaldi jaldi na parhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rahay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 121-22) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40472
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Jab ham apni family k sath park wagira mai jatay hai to waha par namaz ka waqt ho jata hai to kia hum wahi par namaz parh saktay hain ya is k lie ijazat hasil krna zaroori hai?

Answer: Namaz parhna jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 77,pg # 43)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40610
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: SLAM. mera sawal yeh hy ky hum shia jo 2 nimazen mila kar parhtey kia iska zikar quran mujeed mein majood hy aur agar hy tu reference dy kar btaen aur kia agha sistani ky nazdeek 5 nimazen alag alag bhi kar ky parh sakty hain? men sunni sy convert hua hon shia pe islaiy mery ghar walay iteraz karty han mujh pe 2 nimazen mila kar parhney pe tu mery liay kia hukam hy?

Answer: Ayatullah Sistani d.b. k nazdeek zohar Asr aur maghrib isha ki namaz alag alag kar k parhna mustahab hai. (Ref : website sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40714
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Assalmualaikum, mera sawal hai kai mainay fajar ki namaz majid main parh raha tha tu imam sahab nai ruko sai uth tay hi buland awaaz main qirat kai sath ek Dua parhi then woh Sajday main chalai gay. is tarhan ki namaz mainay first time parhi hai, yea konsi dua thi aur konsai firqay main aisay parhtay hain. Assalamualaiku.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Jab Ruku k baad uthay aur sidhay kharay ho to badan k sukoon ki halat mai hotay huay “ﺴﻤﻊ ﺍﷲ ﻠﻤﻦ ﺤﻤﺪﻩ ” kehna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1030)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
42518
Mujtahid:
Date:

Question: mein aksar namaz parh te huway aayat paraha hota hun aur mein kabhi ghalat alfaaz hjata ha aayat k doran toh mjhe kia phir se shurruh karni chaiye aayat ?

Answer: Agar koi ayat ya lafz galat ada ho jae to wohi ayat ya jumla dubara sahi tareeqay sai parh lain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1003)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44381
Mujtahid:
shia Date:

Question: Hum namaz me salam parhany k bad sajda shukar karty hen mera sawal ye hay k sajda shukar me hum dayn(left),bayn(right) mun kyun karty hen?

Answer: 1)Har namaz k bad taqeebat sai farig ho kar sajda e shukr baja lana mustahab hai. aur itna kafi hai k shukr ki niyat sai peshani zameen par rakhay laikin behtr ye hai 100 dafa ya 3 martaba ya aik dafa ﺸﻜﺮﺍﷲ ya ﻋﻔﻭﺍ kahay. Is ka alawa 10 martaba ﺍﻠﻌﻔﻭﺍﻠﻌﻔﻭ kahay phir right rukhsar sajdigah par rakh kar 3 martaba ﻴﺎﺍﷲﻴﺎﺮﺒﺎﻩﻴﺎﺳﻴﺪﺍﻩ kahay aur phir left rukhsar sajdigah par rakh kar 3 martaba ﻴﺎﺍﷲﻴﺎﺮﺒﺎﻩﻴﺎﺳﻴﺪﺍﻩ kahay phir dubara peshani sajdigah par rakh kar 100 martaba ya 3 martaba kahay ﺸﻜﺮﺍﷲ . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1110)
2)Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45224
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Sir muje namaz ka tareeka pata nhi he farj me kya padna chahiye johr me aaap pls muje batae

Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain.

Print

Id:
45860
Mujtahid:
aqa-e-sistani Date:

Question: salam...my question is that..........kay table chair per namaz perhne k kiya sharaiyet hai...........??

Answer: 1)Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai k wo beth kar namaz na parhay maslan khara honay ki halat mai kisi ka badn harkat karta ho yaw o kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hai k jaisay bhi ho sakay khara ho kar namaz parhay laikin agar wo kisi terah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai k seedha beth jae aur beth kar namaz parhay. 2)Jo shakhs beth kar namaz parh raha ho agar wo alhamd aur surah parhnay k baad khara ho sakay aur ruku khara ho kar kar sakay to zaroori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay to zaroori hai k ruku bhu beth kar anjam dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 957-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47083
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: A/s kya farmate h ulMadeen rafaden ke bare me baraye karam Quran our hadesh ke hawale se bataye

Answer: Mustahab hay k namaz ki pehli takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 942 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48098
Mujtahid:
Atullah Sistani Date:

Question: Asalam-0-Alekum mera sawal ye hai k mujhe peshab ki problem hai mere katre behte hai or mujhe namaz ki bohot problem hoti hai or mai bar bar changr tw kar nhi sakta kappry tw mere liye kya hoqum hai plz mere sawal ka jawab jaldi diya sukriya :)

Answer: 1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.. 3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308 ). Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48270
Mujtahid:
Date:

Question: Kya Rafa dayan karna sahi hai ya galat

Answer: Mustahab hay k namaz ki pehli takbeer or namaz ki dermiyan digar takbeerain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 942 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49890
Mujtahid:
Aatullah Sistani Date:

Question: ASALA-0-ALEKUM MERA SAWAL YE HAIN KAI MAI NAMAZ PARHTE WAQAT APNE AKHE KAHAN RAKHON OR MERI AKHE EDHAR UDHAR DEKHE TW KOE HARJH TW NAHI PAR MERA MU QIBLA PAR HI HOTA HAI PLZ SIR MUJHE BATA DE MAI KAHA GALTI KAR RAHA HON PLZZ JALDI REPLLY

Answer: Namaz mai makrooh hai k koi shakhs namaz ki halat mai apni ankho ko left ya right tarf phairay jab k mustahab hai k namaz mai apni nigah sajdah ki jigha par rakhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 964,1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50237
Mujtahid:
Date:

Question: Ajj kal Masjido me Mirror(Sheeshy ) ka istaml zayada ho rha hai , buht dafa apna aks us me ne nazar aata hai or tamam log us aks k samny namaz ada krty hain kya is se koi masla hota hai ya nhi?

Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53705
Mujtahid:
Date:

Question: Aurat namaz Beth k parhy ya uth k ??

Answer: 1)Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai k wo beth kar namaz na parhay maslan khara honay ki halat mai kisi ka badn harkat karta ho yaw o kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hai k jaisay bhi ho sakay khara ho kar namaz parhay laikin agar wo kisi terah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai k seedha beth jae aur beth kar namaz parhay. 2)Jo shakhs beth kar namaz parh raha ho agar wo alhamd aur surah parhnay k baad khara ho sakay aur ruku khara ho kar kar sakay to zaroori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay to zaroori hai k ruku bhu beth kar anjam dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 957-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56201
Mujtahid:
Date:

Question: mje buht derr bad pata chala k jub maine namaz parhi ti tb mei pak nai ti lakin ub mje namazain yad nai k kitni ti k mai repeat kr lu...r mje yakeen h k mai tb pak nai ti to ub mai kiu kru? kiu k napaki mei to namaz nai hoti

Answer: G han dubara parhni parengi, namaaz ke kam se kam adad ke mutabiq parhen, jese ager shak ho ke qaza namazain 5 thi ya 7 to 5 pharna zarori hai, or behter hai ke 7 pharain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1364 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
58891
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alaikum mera sawal ye hai k andhere me namaz Parna jaiz hai k nahe ?

Answer: Andhere me namaz Parhna jaiz hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1113-1143 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59853
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASLAM-OALAIKUM WA REHMATULLAH WA BARAKAT-O-HO MUNTAZIR IMAM MEHDI A-S AZADAR-E-HUSSAIN A-S JANAB, 1- MERA SAWAL YE HAI KEH HUM JO NIMAZ PANJGANA PERHTAY HAIN NIMAZ SE PEHLAY YA BAAD MAIN JO NIMAZ NAFAL YA SUNAT PERHNI HOTI HAI UN KI TASDIQ KIJIAY KE PANJGANA NIMAZ SE PEHLAY YA BAAD JO NIMAZAIN ADA KERNAI HAIN UN MAIN KIN NIMAZOON KI NIYAT SUNAT KI AUR KIN KI NIYAT NAFAL NIMAZ KI KERNI HAI ????? 2- NIMAZ-E-JUMAH AGAR HUM KISI AISI JAGAH PER HAIN KEH JAHAN IMAM BARAGAH NAHIN HAI YA HUM WAHAN PER JA NAHIN SAKTAY AUR NIMAZ-E-JUMAH HUMAIN YAAD BHI NAHIN LEKIN ADA KERNA CHAHTAY HAIN TUO ????? 3- ISS K ILAWAHNIMAZ-E- SHAB AUR NIMAZ-E-SHAB-E-JUMAH KI ADAIGI KI SAHI TARTIB AUR SAHI TARIQA KYA HAI ????? 4- AUR IN K ILAWA KON KON SEE NIMAZAIN HAIN JIN KI ADAIGI KI FAZILAT BOHAT ZYADA HAI ????? 5- AUR KYA AULAD APNAY WALDAIN KI ZINDAGI MAIN UN KI QAZA NIMAZAIN PERH SAKTI HAI ????? 6- AZADARI KI KYA FAZILAT HAI AUR ZUNJEER ZANI AUR AAG K MATAM KI KYA MASLEHAT HAI LOOG AKSAR HUM SE POCHTAY HAIN KEH TUM ZANJEER ZANI Q KERTAY HO AUR AAG KA MATAM Q KERTAY HO ? MAIN KHUD BHI ZANJEER ZANI KERTA HOON MERA TOU MANNA YE HAI KEH HUM ISHQ-E-HUSSAIN A-S MAIN ZANJEER ZANI KER K IMAM A-S K SATH KARBALA MAIN SHAMOLIYAT KA IZHAR KERTAY HAIN AUR KARBALA WALOON KA SOOG MANATAY HAIN AAP KA IS MASLAY K BARAY MAIN KYA KEHNA HAI ????? 7- AUR MUJHAY PATA CHALA THA KEH KISI MUJTAHID NE ZANJEER ZANI SE MANA KIYA THA AUR KAHA THA KEH ZANJEER ZANI KERNAY SE BEHTAR HAI KEH AAP KISI KO KHOON KA ATIYA DE DAIN ISS MAIN KITNI SACHAI HAI WESE MAIN NE KABHI BHI KISI KO KHOON DENE SE INKAAR NAHIN KIYAAGAR KISI KO KHOON KI ZAROORAT PER JAY AUR MUJH SE TALAB KERAY TOU MAIN ZAROOR DETA HOON CHAHAY MAIN USI WAQT ZANJEER ZANI KER K AAYA HOON TOU AISI HALAT MAIN BHI AZADARI SE MANA KERAIN GAY ????? MERE IN SAWALON K JAWAB MEHARBANI KER K MERE EMAIL ADD PER BHAIJ DAIN ALI MURTAZA MUNTAZI AL MEHDI K NAAM SE MERI FACE BOOK HAI AAP K LIAY TAHYAAT DUA GO AUR AAP KI DUAOON KA TALAB GAAR (ALI MURTAZA JAFRI)

Answer: Wssalam o alykum, 1 – is maqaam main sunnat or nafil main koi farq nahi hai, or jahan tak niyat ki baat hai to ager ap ko maloom hai ke ap masalan fajar ki nafil o sunnat namaaz 2 rakat Allah Taala ke liye parh rahen hain to ye janna hi niyat hai or is ko zabaan se boolna zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 752 , 930).
2 – to Namaaz e Zuhar pharain(agr namaz jamat ki sharten puri na hon to par nahi sakte). (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 720).
3 – mukammal tareqa duaaon ki kitaboon main mojood hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 753).
4 – Namaaz e Shab or rozana ki wajib namazoo ki nafil namazoo ki takeed bohat ziyada hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 752).
5 – Jab tak ionsan zinda hai tab uski namaz koi or nahi parh sakta.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1371 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60696
Mujtahid:
Date:

Question: Teesre aur chothee rakat mai kya prhna chaheyay surah fatiha k sath koi ayr surah ya phr sirf surah fatiha??

Answer: Sura fatiha pharain ya 1 dafa tasbehaat e arbaah or 3 dafa pharna betar hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 992 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
61091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salamun allaikum...! sir me ek din namaz e shab ada krahi thi..namaz e shifa k doran bht khatarnak zalzla aya js se be-ikhiyari me mjh se namaz toot gai...!! to kia koi kuffara hoga..? or khof se namaz k toot jane k ehkam b bta dijiye...!

Answer: Ikhteyari halat me wajib namaz ka tourna ehteyat wajib ki bina jaiz nahe hai. laikin maal ki hifazat aur maali ya jismani zarar(nuqsaan) se bachne k lye namaz toorne me kohe haraj nahe balke wo tamam deni aur dunyavi kaam jo namazi k lye aham ho ,in k lye namaz toorna jaiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition, maslah # 1146)
Laikin mustahab (sunnat) namaz halate ikhteyar me bhi tourna jaiz hai. (ref: ulwatul wusqa, aqa sistani , pg: 21o, jild: 2.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61149
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa ... agar kisi ko hawa k ikhraj se wuzu toot janay ki shakayat ho or bohat zada ho kabhi aese ho k aik he wuzu se namaz parhi jae r zada tar aik he namaz k liye aik se zada baar wuzu karna pare or usse wehan bhi par gya ho tw isya hukm . hai.?

Answer: Agar kise ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311)
4)agar kise shak ko ye areza lahaq ho k riha(gas) rokene per qadir na ho to zarore hai k un loago k fareze k mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhne per qadir na ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61199
Mujtahid:
Date:

Question: Kaza namaz kha aur kab aur kaise pade

Answer: 1)Namaz ghar mai bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Is k alawa masjid mai ziada jana chaheay aur os masjid mai jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid k paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi na ho to os k lie masjid k alawa kisi aur jigha namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 880-884) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2) Zohur aur asr ki namaz ka waqt zawaal e aaftab k bad se suraj ghuroob honay tak he. Maghrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtaar shaksh k liay maghrib e shure se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi oper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phel jaay tu wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal e waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
3) Namaz k wajibat 11 hain: 1)niyat 2)takbeeratul Ehraam yani namaz ki ibteda me Allaho akbar kehna 3)Qiyam 4)Qaraa,at 5)zikr 6)ruku 7)sujood 8) tashahud 9)salam 10)tarteeb 11)mawalat yani namaz k af,aal pay dar pay baja lana(one by one). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # Before 929) Namaz ki tarkeeb: Namaz k tamaam af,aal aur azkaar ko zail me tarteeb waar bataya gaya hay. jis zikr k agay (+) ka nishaan laga hay wo sunat(mustahab) hay yani agar in ko na perha jay tu bhi namaz sahi hay. 2 rakati namaz ka tariqa : Pehli rak,at : jis namaz k perhne ka irada kiya ho is k liay qibla rukh ho kar itmenaan se kharhay ho kar takbeeratul ehraam yani Allaho akbar khain. khiyaal rahe k niyat k tour per koe alfaaz zabaan se ada karna ya dil se guzaarna zarori nahi hain. sirf zehan mutawajjah rahe k khuda ka hukum bajalane ki garz se yani qurbatan ilal-lah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. Albattah agar zabaan se yu kahain tu bhi koe haraj nahi. “Namaz perhta/perhti hoon subah ki 2 rak,at qurbatan ilal laah.” Takbeeratul Ehram k bad surah e fatiha aur dosera aik surah(maslan in,naa anzalna,ho) perhain. surah mukammmal ker k takbeer kahain(+) aur phir ruku me jain. Ruku me zikr e ruku ada karain. Is k bad kharhay ho kar sami,allaho li,man hamidah(+) aur takbeer (+) ada ker k sajde me jain aur sajde ka zikr ada karain. pehle sajde k bad beth ker takbeer(+) phir istighfaar parhain(+) aur takbeer ada kerain aur phir dosra sajdah baja laain. Is k baad baithain aur takbeer(+) khain aur phir agli rak,at k liay kharhay hoon. kharhay hote hoay zikr “bihaulil laahi wa qoowatihee aqoomo wa aqod”(+) perhain. Tash,reh(Explanation about ruku & sajdah): (i)Ruku me zarori hay k is qadar jhokay k apni tamaam ongliyo ko angothay k siray k saath guthne per rakh sakain. (ii)sajde ki halat me wajib hai k 7 aaza(part of body) zameen par rakhain. 1) peshani 2,3) donoo hatailiyaan 4,5) donoo guthnay aur 6,7) donoo poun(legs) k anghotay. Dosri rak,at: Dosri rak,at me surah e fatiha aur dosra aik sorah (maslan surah e ikhlaas) perhain. Dosri rak,at me ruku me jaane se pehlay qonoot perhna mustahab hay.Qonoot me haatho ko monh k samne asman ki taraf rakh ker dua perhi jati hay.Qonoot k bad pehli rak,at ki manind ruku aur dono sajde baja laain .Dosre sajde se sar otha kar baithne aur takbeer(+) perhne k baad tashahud perhain.Or aakhir main “salam” perh ker namaz mukammal karain.or aakhri salam k baad 3 baar takbeer perhna mustahab hay. 3 Rakati namaz(maghrib) ka tariqa : Oper di hoe terkeeb k mutabiq 2 rakat tamaam ker k tashahud perhain or phir teesri rak,at k liay kharhay ho ker aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday bja lain or phir baith ker tashahud or salam perh ker namaz mukammal karain. 4 Rakati namaz(zuhar,asr or isha) ka tariqa : Pehli 3 raka,at oper di hoe terkeeb k mutabiq baja lain. Teesri rak,at k 2 sajdo k baad chothi rak,at k liay kharhay hoon.chothi rak,at main halat qiyaam main aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday ada karain or phir baith ker tashahud or salaam perh ker namaz mukammal karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Ehkaam e Islam,part#1,Nashir Najafi Haal o Najafi Cassette Library, pg #78-80). 2) Tamam wajib or mustahab namazo me dusri rak,at me ruku se pehle qunoot mustahab he.(Ref: Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1104). Namaz ki ibratain(Wording of namaz): (i)Takbeer: اللہ اکبر (Allaaho Akber) (ii) Ruku ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی العظیم و بحمدہ (Subhaana rabi,yal azeemi wa bihamdihi) (iii) Dorood: اللھم صل علی محمد وآل محمد (Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (iv) Ruku se kharhay hone k baad ka zikr: سمع اللہ لمن حمدہ (Sami,allaaho liman hamidah) (v) Sijday ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی الاعلی و بحمدہ (Subhaana rabi,yal aa,laa wa bihamdihi) (vi) Istaghfaar: استغفر اللہ ربی و اتوب الیہ (Astaghfirul laaha rabbee wa atoobo ilaihi) (Vii)بحول اللہ و قوتہ اقوم و اقعد (Bihaw lillaahi wa qoowatihee aqoomo wa aq,od) (viii) Qunoot: رب زدنی علما (Rabbi zidnee ilmaa) (ix) Tashahud: اللھم صل علی محمد وآل محمد اشہد ان لا الہ الا اللہ وحدہ لا شریک لہ و اشھد ان محمدا عبدہ و رسولہ (Ashhado allaa ilaaha illal laaho wahdahoo laa shareeka lahoo wa ash,hadu anna muhammadan abduhoo wa rasooloh Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (x) Tasbeehaat e arba,ah: سبحان اللہ والحمد للہ ولا الہ الا اللہ و اللہ اکبر (Subhaanal Laahi wal hamdo lillaahi wa laa ilaaha illal laaho wallaho akber) (xi) Salaam: السلام علیک ایھا النبی و رحمۃ اللہ و برکاتہ، السلام علینا و علی عباد اللہ الصلحین، السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ (Assalaamo alaika ay,uhan nabeeyo wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo, assalaamo alainaa wa alaa ibaadil laa his saliheen, assalaamo alaikum wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Mutafariq masail: 1-Zarori hay k insaan rozana ki wajib namazo ki pehli or dosri rakat main pehlay sorah al-hamd or phir kisi aik sorah ki tilawat karay or ehtiyaat ye hay k aik mukammal sorah ki tilawat karay.sorah e zuha(sorah#93) or sorah e alam nashrah(sorah#94) ki sortain or isi terah sorah e feel(sorah#105) or sorah e quraish(sorah#106) ehtiyaat ki bina par namaz main aik sorat shumaar hoti hay yani agae surah zuha parhain to os k sath surah alam nashrah bhi parhni paray gi aur agar surah feel parhain to surah quraish parhni paray gi. 2- Namaz main quran majeed se sorah daikh ker perhna makhrooh hay .or agar aap ko sorah yaad nahi hay tu on ko daikh ker perh lain. 3-Mustahab ye hay k tamam namazo ki pehli rakat main “sorah e qadr” or dosri rakat main “sorah e ikhlas” perhay. 4-jo sorah insan pehli rakat main perhay osi ka dosri rakat main pehna makrooh hay. Laikin agar sorah e ikhlas dono rakato main perhay tu makrooh nahi hay . 5-namaz ki teesri aur chothi rakat mai faqat aik martaba tasbehat-e.arbaa parhi ja sakti hai. 6-tamam wajib aur mustahab namazo ki dusri rakat mai,magrib ki tesri rakat mai bhi aur zohar aur asar ki chothi(4th) rakat mai zarori hai k dusray sajday k baad insan beth jae aur badan ko sukun ki halat mai le aey aur tashahud parhay. 7-namaz k akhri rakat mai tashahud k baad zarori hai k insaan salam bhi parhay aur namaz tamam kary.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1092)

Print

Id:
65614
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Wajib namaz mein taqbeer k baad foran neyat krni hoti hai ya azaan or akamat bhi deni hoti hai? Aurton k lye bata dain plzzz. Or rozay mein agr novels parhy jaien jo love stories houn tou kia ye theek hai???

Answer: Namaz ki niyat k sath takerbatul Ihram kehni wajib hay, takbeer k baad niyat nahi ki jati. Panch waqt ki wajib namazo se pehle azan o iqamat daina mustahab hay. roze main koe bhi shehwat paida kerne wala kaam makhooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #903,1629). Update on dated 21-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65832
Mujtahid:
Date:

Question: Aslamolaykum,i would kindly like to ask how many salah's do shia naqvi/bukhari pray in a day? and how many rakats with each salah please? I would be greatful if you could give me a detailed answer. I am a sunni and we pray 5 times a day...Fajr-2 sunnat,2 farz. Zuhr-4sunnah,4farz,2sunnah,2nafl.Asr-4sunnah,4farz.Maghrib-3farz,2sunnah,2nafl.Isha-4sunnah,4farz,2sunnah,2nafl,3witr,2nafl. I would like to kindly know the way shia naqvi/bukhari pray please.Thankyou.

Answer: Shia pray 5 times a day...Fajr-2 sunnat,2 wajib. Zuhr- 8 sunnah,4 wajib. Asr-8 sunnah,4wajib. Maghrib- 3 wajib,4sunnah. Isha-4 wajib,2sunnah. It is not obligatory to pray sunnah prayers. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #752). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66100
Mujtahid:
Date:

Question: barish ke waqt kounsi namaz padhi jati hai

Answer: Barish k waqt koe bhi namaz perhna wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # before 717). Update on dated 01-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71863
Mujtahid:
Date:

Question: Assallamallekum mera sawal ye hai ki mai jab namaz padh leta hun tab mujhe sak sa hota hai ki mai namaz me kahin bhul kardiya hun ya kuch chhood diya hun to aaise me mai kya karun pls ans.mai bahot problem me hun.

Answer: Agar namaze k salam k baad shak kare k us ne namaz sahi perhi hai ya nahi to wo apne shak ki perwa na kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1166). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72359
Mujtahid:
Date:

Question: Isha ki namaz KB tk parhi ja skti ha agar jumat sa rah jay

Answer: Isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k lie aadhi raat tk hai. aur raat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai toloe e fajar tk hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 727) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92836
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-29

Question: Mujhe isha ki namaz ka waqt nahi milta hai Mai kya karu

Answer: Maghrib aur isha ki namaaz ka waqt mukhtaar shakhs k liay aadhi raat tak rehta hai laikin jin logo ko uzr ho maslan bhool jaane ki wajah se ya neend ya haiz ya in jaisi dusre umoor ki wajah se aadhi raat se pehle namaaz nah parh sake hoon to on k liay maghrib aur isha ka waqt fajr tulu hone tak baaqi rehta hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 724 ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92839
Mujtahid:
Date: 2018-10-29

Question: Fajar parhne ka sahi waqt bta den? Kuch kehte he k asmaan pe roshni hojaye sirf to namaz qaza hojati he kuch kehte he sooraj jab tak nhi nikalta tab tak time hota he, plz thora explain krden

Answer: Subh ki azaan ke kareeb masshriq ki taraf se ek safedi opar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai –jab yehh safedi phail jaay to fajr-e-duwwum aur subh ki namaaz ka awwal waqt aur subh ki namaaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 729) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92881
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-02

Question: Agar namaz ke darmiyan maazi nikali toh namaz tut jaati hau

Answer: Jee haan namaz sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #1113 )
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93432
Mujtahid:
Date: 2018-12-14

Question: Namaz ki hala hum agar pisab ki bond pant per lagay ki gir gaya hai tu kiya nazar tarak kar de ager namaz ada kar leya tu iska kiya kafaza aada karna hoga????

Answer: Kaffara to nahi hoga bass us namaz ko dobara perhna hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 782)
[Updated on 14-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print