Showing 100- 103 questions from 103 questions on this page.
Question: aslm o alaikum kya hum achi movie dhk skty hn jin mein koi gandgi na ho jesy k koi scientific ya knowledge k topic py movei ho?
Answer:
Aisi qaumi or gher mulki film o dramay jin me hijaab ka khayal nahin rakha jata aur television se dekhi jati hai agar lazzat ke irade aur gunah me mubtila hone ke khauf ke baghair aur akhlaqi buraiyon me mubtila hone ka baais na bane to dekhna jaiz hai, dekh sakte hain.
(Ref: Nigah or libaas, sawal #50,51,52, pg #44).
[Updated on 24-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shewat ke baghair or songs ke baghair sirf comedy ke liye Films Dekhi ja sakti Hain Indian or Pakistani jabke gunah ya buri niyat na ho.
Answer:
Agar lazzat ka irada ya haram me mubtila hone ka khouf na ho to Movie daikhne me koi harj nh hai..
Lekin uss me hone wali Haram cheezo se parhaiz krna zarori hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 47th Edition, Mafhoom e Masala No. 2397)
[Updated on 28-Dec-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia shehwat ke baghair or songs ke baghair indian or pakistani films dekhna jaiz hai.jabke burai k a irada na ho.
Answer:
1: Aisi qaumi or gher mulki film o dramay jin me hijaab ka khayal nahin rakha jata aur television se dekhi jati hai agar lazzat ke irade aur gunah me mubtila hone ke khauf ke baghair aur akhlaqi buraiyon me mubtila hone ka baais na bane to dekhna jaiz hai, dekh sakte hain.
2: Ginna (songs) sunna ya gaana haraam hai.
(Ref: Nigah or libaas, sawal #50,51,52, pg #44. + Jadeed Fiqhi Masail, Masla #553,550).
[Updated on 29-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]